• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,404
28,418
218
Update 193

‘ kahan the ab tak ? Phone kyun nahi mil raha tha tumhara? Kahan gye the ? Kiske sath gye the? Tumhe kisi ka koi dar hai k nahi? Aaj hi yahan aaye ho aur aaj hi ye harkaten . Itna bada ho gya hai tu k kisi ka koi dar nahi tumhe ? Agar yahi sab karna hai to main bhaiya se bol deti hun k tumhe wapis gaon bula le .

Ghar aate hi divya mausi mujh par baras padi samay 10 se upar ho raha tha. Mujhe yahi dar tha k mausi gussa karengi aur aaj wo sach me gussa thi. Ek tarah se mujh par gussa karna chhod hi diya tha unhone par aaj to wo poori gusse me meri class laga rahi thi aur mera college jana tak band karwane ka keh diya. Radh ek taraf khadi khamoshi se sab dekh rahi thi. Uski nazron me meri liye hamdardi thi.

Amit : sorry mausi wo main apna bag .......

Divya mausi : bahane kisi aur k samne banana. Doodh piti bachi nahi hun main jo tumhari baton me aa jaungi. Bag lene kya dusre desh chale gye the ? Aur aisi kaun si jagah thi jahan phone nahi chalta? Tumne jan bujh kar hi band kiya hoga. Apni to koi parwah hai nahi tujhe , hum log hi pagal hain jo tere liye pareshan hote rehte hain.

Amit : nahi mausi main .....

Divya mausi : kuch nahi sunna mujhe , chupchap baith idhar khana to khaya nahi hoga tune. Tu kya khadi dekh rahi hai. Chal baith tu bhi .

Divya mausi ne Radha ko bhi gusse me jhidakte hue baithne ko kaha aur khud kitchen me chali gyi. Mujhe to safai ka mauka bhi nahi diya unhone. Kuch jyada hi gusse me lag rahi thi. Radha bhi bina kuch bole chupchap baith gyi aur main bhi baith gya.

Radha : dheemi awaz me ) kahan the tum ? Phone kyun nahi chal raha tha tumhara? Dekha ma kitne gusse me hain. Kab se tumhara hi intzar kar rahi thi aur yahin baithi thi tab se darwaze par nazar rakhe.

Amit : sorry wo mujhe khud nahi pata ye kaise hua. Main to ek dost se Milne gya tha wahin time lag gya aur waqt ka pata hi nahi chala.

Radha : aisa kaun sa dost aa gya jiske bare me tune mujhe bhi nahi bataya ?

Amit : matlab ?

Radha : matlab Mohit se bat hui thi meri par usne bataya k tum uske pas nahi gye aur Neeraj bhaiya ne bhi tumhe stadium k bad nahi dekha, to kahan the tum ?

‘ band karo apni baten chupchap khana khao .’

Divya mausi ne hum dono k aage khane ki plate rakhte hue kaha. Aur fir se kitchen me chali gyi . Uske bad Radha bhi chup ho gyi. Hum dono ne khana khatam kiya aur fir main apna bag lekar apne kamre me chala gya. Is dauran divya mausi ne aur koi bat nahi ki aur na hi mere pas baithi. Mujhe acha nahi lag raha tha k meri vajah se wo naraz hain. Mera dil kar raha tha k main divya mausi se bat karun aur unki manaun par abhi wo itne gusse me thi k meri bat sunne ko taiyar nahi thi. Main kafi der tak mausi ko kis tarah manaun ye hi sochta raha.

Udhar divya bed par karwaten badal rahi thi. Aaj Amit itne dono bad aya tha aur is bat se wo andar se bahut khush thi. Rat k khane me specially usne har cheez Amit ki pasand ki banai thi. Par sham ko Amit ka aise ghar der se ana aur bina bataye gayab rehna phone ko band kar k . Ye divya ko acha nahi laga tha. Pichle dono ko kuch hua tha wo usse pehle hi Amit k liye dukhi thi upar se aaj fir se uska phone band hone se divya k dil me Anjana sa dar baith gya tha. Use dar tha k kahin Amit fir se kisi mushkil me na ho. Chahe Amit ne bat chhupa di thi par use shak to tha hi k karishma k ghar uske sath zarur kuch hua hai. Aur aaj fir se phone band hona divya ko dara raha tha. Wo andar hi andar Amit k liye dari hui thi aur jab Amit samne aya to wo apni us bechaini ko rok na payi jo gusse ki shakal me bahar aayi. Chahe usne Amit se gusse me bat ki par apne kamre me jate hi divya fir se bechain ho uthi thi. Use ab khud par hi gussa aa raha tha k usne kitna gussa kiya Amit par. Amit jis tarah se bilkul khamosh ho gya tha aur dubara apni safai dene ki bhi koshish nahi ki ye bat divya ko bechain kar rahi thi. Use ab dar lagne laga k kahin Amit uski is harkat se gussa ho kar yahan se chala hi na jaye . Agar wo usse naraz ho gya to wo kya karegi. Ye bat man me aate hi divya bed se uthi aur nange paon hi Amit k kamre ki taraf daudi use dekhne k liye wo kya kar raha hai. Divya ne darwaze par akar jaise hi darwaze par hath rakha to zara si ahat hui. Divya ne dheere dheere savdhani se kamre me kadam rakhe to Amit ko bed par leta hua pakar use thodi tasalli hui. Fir bhi bechain man ka chain dhoondhti hui wo Amit k kareeb aa gyi. Jo is waqt karwat k bal leta hua so raha tha.

Divya : nam ankhen ) kyun karta hai aisa ? Bol kya milta hai tujhe aisa kar k ? Tujhe samajh nahi aati k agar tujhe kuch hua to main bhi khud ko sambhal nahi paungi. Tu bahut bada ho gya hai na jhooth bolne laga hai sab se. Par teri ankhon me is din bhi Maine dard dekha tha. Tu mujhse nahi chhupa sakta khud ko. Gussa na karun to kya karun ? Tumhare sath kuch bhi bura nahi seh sakti main. Tujhe mera dard samajh nahi aya na? Mera gussa hi dekhta hai tujhe pyar nahi. Agar tu mujhe chhod kar kahin gya to dekh lena apni is mausi ko dekhn ko bhi taras jaoge tum. Bhagwan kare tujhe kabhi kuch na ho , teri har bala mujh par aaye .

Amit ko sota hua pakar divya ne apne man ka gubar khud hi badbadate hue nikal diya. Uski ankhon se ashru dhara lagatar behti ja rahi thi jiski 2 boonden Amit k chehre par bhi giri thi. Jaane se pehle usne jhuk kar Amit ka matha chooma par uski nazar nahi padi Amit ki ankhon k kone se behte hue us pani par.

Mausi k aane ki ahat se hi maine apni ankhen band kar li thi. Kyunki mujhe dar tha k mausi k gusse ka samna main abhi nahi kar sakta. Aise me main kuch bhi unse kehta to wo sunti hi nahi . Is liye Main sone ki acting karta raha. Par jab mausi ki baten mere kano me padi to mujhe ehsas hua wo kitni bechain thi meri vajah se unhe meri kitni parvah thi. Ek bar to mera dil kiya k main uth ke unke gale lag jaun par unki baton me chhipa dard mehsus kar k main bhi andar se bhar gya. Mere liye unke dil me kitna pyar tha ye mujhe pata chal raha tha. Aur jab meri ankhon par pani ki wo 2 boonden giri to meri ankhon ka pani bhi bahar nikal gya. Mausi to chali gyi par main der tak jagta raha aur mausi ki kahi baten mere dimag me ghumti rahi. Pata nahi kab meri aankh lagi.

Khwab me bhi mujhe divya mausi aansoo bahati hui nazar aayi to tadap kar meri aankh khul gyi. Main uth kar sidha mausi k kamre me gya . Divya mausi apne bed par aram se so rahi thi. Maine unhe sote hue dekhta raha aur unki rat ki baten mere dimag me ghumne lagi. Divya mausi ma ki ham shakl thi is liye main unko dekh kar hi ka ko yad kar leta tha ya yun kahen divya mausi me hi ma nazar ati thi jise maine apni hosh me dekha hi nahi tha. Main mausi k bed k pass zameen par baith gya aur unke paon par apna sar rakh diya. Abhi kuch der per jo khwab dekha tha usse man kuch jyada hi vichalit tha. Is liye main sukoon se unke paon par sir rakh kar wahin baith gya.

Jaise hi divya mausi ko apne paon par kisi ka ehsas hua to unki aankh khul gyi aur jab unki nazar mujh par padi to wo ek dam jhatke se bed se neeche utari aur mujhe gale se laga liya.

Divya mausi : chinta me ) kya hua Amit tu yahan kyun baitha hai? Teri tabiyat to theek hai na ? Kya hua hai ?

Amit : kuch nahi mausi main theek hun . Main to aapse maafi mangne aya tha. Main sach kehta hun mausi maine phone band nahi kiya tha . Wo shayad wahan signal nahi aa raha tha is liye aisa hua. Please aap mujhe maaf kar do. Main aapko pareshan nahi karna chahta tha. Wo baton baton me time ka pata hi nahi chala . Main aage se aisa nahi karunga. Jahan bhi jaunga aap ko bata kar jaunga . Please aap mujhse naraz mat hona.

Meri baten sun kar divya mausi ek tak mujhe dikhati rahi aur unki ankhon me nami si aa gyi. Maine unki aankh me aaye pani ko dekh kar apne hath se unki aankh ka wo Katra hatana chaha to mausi ne fir se mujhe ka k gale se laga liya .

Divya mausi : main tujhse kabhi naraz ho hi nahi sakti mere bete. Main chahun to bhi aisa nahi kar sakti. Tu mera hai mera. Main tujhse door nahi reh sakti. Tujhse gussa kar k main rat bhar theek se so nahi payi. Main tujhse bilkul naraz nahi hun. Chal uth upar bed par baith main tere liye chai bana k lyi hun. Aur tu kab se yahan baitha tha han ??

Amit : bas abhi kuch der pehle hi aya tha mausi . Aap so rahi thi to maine socha yahin baith jata hun.

Divya mausi s to zameen par baithna zaruri tha kya? Yahan upar bhi to baith sakta tha.

Amit : mausi wo kehte hain na k ma k paon me jannat hoti hai to bas wahin baitha tha.

Divya mausi ne meri is bat par mera matha choom liya aur poore chehre par bahut sare kiss kar diye. Unki Mamta zoron se mujh par baras rahi thi jisse main khud ko nihal samajh raha tha.

Divya mausi : tu itna pyar karta hi mujhse han muaaahhh muaaah muaaahh ....... tu sach mera beta hai . Meri damini ka mera . Muaaah muaaah muaaahhh .....

Mujhe chumte chumte Mausi ki ankhon se fir pani behne laga par is bar ye dukh k nahi khushi k aansoo the.

Divya mausi : tu baith main tere liye chai bana kar layi. Itna keh kar mausi apna chehra saaf karti hui muskurati hui kitchen me chali gyi. Mujhe ab sukoon tha . Divya mausi k chehre ki muskan ne mere dil par pada bojh ek pal me hata diya tha. Kuch hi der me mausi hum dono k liye chai bana layi aur humne sath me chai pi. Fir main fresh hua aur chhat par chala gy exercise karne. Exercise kar k Main neeche aya to mausi naha chuki thi . Unke geele bal mehak chhod rahe the. Divya mausi ne mujhe aate hi doodh ka gilas thama diya.

Divya mausi : doodh pi kar us rajkumari ko bhi utha dena . Maine awaz di thi magar uth hi nahi rahi . Tab tak main nashta dekhti hun .

Main bhi sidha Radha k kamre me gya to uske masoom chehre par manmohak muskan dekh kar main wahi jam gya. Aisa lag raha tha jaise pariyon ki rajkumari sapne me hi khwab dekh kar muskura rahi ho aur muskan bhi aisi k dekhne wala duniya bhool jaye. Main kuch der Radha k masoom chehre ko dekhta raha . Fir khud ko hosh me late hue main uske pas bed par baitha aur use awaz di . Magar Radha ne koi response nahi diya . To Maine uske chehre par hath rakha use uthane k liye . Magar mere hath rakhte hi uski muskan gehri ho gyi. Main samajh gya wo jaag rahi hai.

Amit : acha to madam jan bujh kar sone ki acting kar rahi hai han..

Mere aisa kehti hi Radha ne apni ankhen kholi aur muskurati hui lete lete angadai lene lagi .

Radha : angadai lete hue) unnnnnmmm ,, tumhe pehle bhi kaha tha na k jab tum yahan hote ho to tum hi mujhe jagaya karo .

Amit : o rajkumari ji main hamesha to sath nahi rehne wala na. Is liye ye adat mat dalo warna mausi kisi din tumhari pitai kar dengi dekh lena.

Radha : ma kuch nahi kahengi wo mujhse bahut pyar karti hain. Aur tum ye kaise keh sakte ho k tum sath nahi rehne wale han ? Main tumhe apne se door kahi jane hi nahi dungi.

Amit : kal ko shadi ho jayegi to fir ?? Fir to tumhari sas tumhe theek karegi dekh lena.

Radha : meri saas mujhse bahut pyar karti hai wo mujhe kuch nahi kahengi .

Amit : kya kaha ??

Radha : wo main mm mera matlab hai k meri saas mujhse bahut pyar karegi na ma ki tarah. Par tum hamesha aise hi jagana mujhe aai samajh. Ab jato main bhi taiyar hoti hun tum bhi taiyar ho jao.

Amit : han han ho jao taiyar sasural ja kar tumhe hi mushkil hogi. Bechara tumhara pati pata nahi kya karega

Radha : bathroom me jate hue ) apni khair karo bachu ye kam sari Umar hi karna padega tumhe budhu ram . Uuuuuu

Mujhe jeebh dikha kar usne darwaza band kar diya par uski is bachon jaisi harkat par mujhe hansi aa gyi. Main apne kamre me wapis aya aur naha kar tiyar ho gya tab tak mausi ne nashta bana diya tha. Radha bhi taiyar ho kar aa gyi aur hum dono nashta karne lage.

Divya mausi : college se sidha ghar ana tum dono . Kal deepawali hai to ghar me thoda bahut sajawat ka kam karna padega . Saaf safai main kar loongi .

Amit : kal deepawali hai , main to bhool hi gya tha.

Radha : tumhe kuch yaad bhi rehta hai budhu ram .

Divya mausi : radha !!! Ye kya bat hai ?

Radha : sorry ma par ise kuch yad rehta bhi hai? Bas ghar se bahar pata nahi kis kis se milta rehta hai magar ghar ka kuch pta nahi. Ma aaj chhutti kar lete hain na . Aap akeli kaise karogi itna kam .

Amit : han mausi aaj hum chhutti kar lete hain. Aap akele thak jaogi.

Divya mausi : are itna bhi kam nahi hai. Saf safai hi to karni hai. Tum log jaldi aa jana fir jo karna ho kar lena. Ab nashta karo aur niklo.

Humne jaldi se nashta kiya aur college k liye nikal gye. Jab hum College pahunche to wahan ka bhi aaj nazara badla badla sa tha . Bahar gate se hi halki sajawat dekhne ko mil gyi. College k sath students bhi aaj alag hi rang me nazar aa rahe the. Hathon me kitab ya bag ki jagah sab free hand hi ghoom rahe the aur aise aise kapde pehen kar aaye the jaise kisi function me aaye hon. Main aur radha dono hi hairan ho rahe the sab dekh kar kyunki jyadatar students bahar hi the jaise class lagni hi na ho. Tabhi piche se Kalpana ki awaz aayi.

Kalpana : aaj jaldi me ho kya jo wait bhi nahi kiya ? Waise aaj lagta to nahi k padai hogi to fir ja kahan rahe ho ?

Kalpana k sath is samay neha didi bhi thi . Radha dono se mili . Kalpana ne mujhse hath milaya aur didi ne bhi mujhe morning wish kiya aur radha k chal di. Mujhe unka kal wala ravaiya yad aa gya aur aaj bhi kuch aisa hi tha .

Amit : waise aaj ye sab ho kya raha hai?

Kalpana : dekh nahi rahe kal ki diwali aaj hi mana rahe hain.

‘ isi liye to sab patakha aur fuljhadiyan ban kar aayi hain . Dekho kon kon sa patakha foot ta hai’ ye minal thi Mohit k sath jisne aate hi aisi bat kar di k ek bar to Kalpana bhi sharma gyi par agle hi pal usne use chapat laga di.

Kalpana : kabhi to sharam kar liya kar. Mana k Tera bf tere sath hi rehta hai par sabke samne to mat bola kar

MInal : aaaiii marti kyu hai ? Tere pas nahi hai bf to main kya karun. Maine to pehle bhi kaha tha tum dono ek dusre ki naiya par lga do aaaahhh

Minal ki bat poori hone se pehle hi Kalpana ne fir se uski peeth par ek jama di par minal fir bhi chup nahi hui.

Minal : dekh kya rahe ho bachao na mujhe is Bruce lee se kaise bf ho aaaahh maa

Minal ne Mohit ki aur dekh kar madad mangi

Kalpana : han han bula le jise bulana hai aaj to tu gyi

Mohit : na baba main to nahi padne wala ladkiyon ki ladai me

Minal : Amit yar tum hi sambhalo apni is jangali billi ko aahhh maa chhod mujhe apne barabar wale se lad na . Tu Amit k hi kabu me aa sakti hai ye hi tujhe theek karega

Kalpana : tu aise nahi manegi .

Kalpana ne minal ki baju marod di maine minal ko cheekhte dekha to Kalpana se usko bachaane k liye kalpana ko piche se pakad kar uski pakad se minal ko Azad karwa diya .

Minal : ( Kalpana kI pakad se nikalte hue ) pakad k rakhna apni is Bruce lee ko . Ab bol ab dikh dam, nikal kar dikha ab iski pakad se . Isi liye kehti hun ye hi tere liye perfect hai. Ek to bhala karo upar se mar khao. Meri man to aaj hi tum bhi diwali mana lo.

Minal aankh daba kar kalapan ko kaha to Kalpana meri bahon me kasi hui hi uchal kar use kick marne ki koshish karne lagi. Minal jaldi se bhag gyi. Maine minal ko chhoda to wo wahan se bilakul bhi nahi hati . Jabki pehle wo khud ko chhudate ki koshish kar rahi thi par usne meri pakad se nikalne k liye zor nahi khaya tha ek bar bhi.

‘ kya ho raha hai ye ? Lagta hai diwali ki khushi me patakhon ki jagah minal ko hi fodne wali hai lady don’ ye bat kahi thi Shalu ne . Uske sath hi sheena shivani aur Rina bhi thi. Sab ki sab aaj kamal ki ban k aayi thi. Aate hi sab bari bari se mile.

Kalpana : aaj to pakka fod deti us minal ki bachi ko. Kuch jyada hi bolti hai .

Sheena : are are itna gussa ? Chill yar aaj dekho kitna acha din hai . Aaj to enjoy karna chahiye padai to aaj hogi nahi.

Shivani : aur kya , bas wahi sajawat aur fir canteen ki gapshap . Teacher bhi yahi kuch karne wale hain aaj . Tum log ye books kyun lekar aaye ho ? Tumko pata nahi tha ?

Maine Mohit ne aur Kalpana ne na me gardan hilai.

Sheena : hamari hi galati hai , tum log to first year me ho tumhe Kya pata hoga . Anyway aaj padai nahi hogi bas apni class aur block ko sajayenge kuch interested students aur baki sab bas aish karenge .

Shalu : chalo hum log bhi canteen hi chalte hain aur to kuch hone se raha.

Amit : par radha neha didi minal to class lagane gye hain.

Rima : unhe main bula kar le ati hun warna wo wahin kam me fas jayengi

Sheena : ab tak to fas bhi gyi hongi . Tum rehne do main hi le k ati hun unhe. Wo sab yahan nayi hain to kahin unhe hi kam par na laga den .

Itna keh sheena shiavni aur Shalu ko sath lekar Unsab ko lene chali gyi aur hum sab canteen ki taraf chal diye .

Mohit : yar tu kal bhi nahi aya . Maine kaha tha na ma tumhe yad kar rahi hai . Wo kal bhi tumhara rasta dekhti rahi .

Amit : wo yar kal time hi nahi mila tujhe pata hi hai ab practice par bhi dhyan dena hai

Mohit : par ghar aane me kitna time lagega? Chal aaj hi chalte hain waise bhi yahan to aaj chhutti hi hai.

Mujhe samajh nahi aa raha tha Mohit ko kaise mana karun tabhi mujhe Rima ki bat yad aa gyi.

Amit : yar aaj to Rima ki mom se milna tha maine. Kyun Rima ? Ab aunty ki tabiyat kaisi hai ?

Rima : ab theek hain . Wo kal bhi tumhaare bare me puch rahi thi.

Amit : chalo pehle aunty se milte hain fir main tere ( Mohit ) ghar ata hun. Uncle yahin hain na?.

Mohit : han papa yahin hain par shayad office me honge aaj . Kal diwali hai na to busy honge wo to.

Amit : hmm chal koi bat nahi .

Hum canteen pahunche to udhar sheena sabko sath le aayi. Sab canteen me jane lage to maine neha didi ko rok liya.

Amit : didi mujhe aapse bat karni hai.

Neha didi : kaho.

Amit : didi aap mujhse naraz hain ?

Neha didi :..........

Amit : kam se kam se itna to bata dijiye k kis bat se naraz hain aap ?

Neha didi : tujhe kya farak padta hai mere naraz hone se?

Amit : ye aap kya keh rahi hain didi ? Aap meri didi ho aap mujhse naraz hongi to kya mujhe acha lagega?

Neha didi : to tujhe yad hai main teri behan hun .

Amit : ye aap kaisi bat kar rahi hain ? Please bataiye aap kis bat se naraz hain ? Maine kya kiya hi aisa ?

Neha didi : khud tension lekar baitha rehta hai tab tujhe yad nahi aati k main teri behan hun. Kam se kam mujhse bat to kar sakta hai na. Tumne kaha tha na k tu mera bhai hai aur mujhe koi bhi bat karni ho to main tumse karun. To kya tu mujhse bat nahi kar sakta? Tujhe ek bar bhi khyal nahi aya k main bhi yahan hun isi college me ? Tum radha se bat kar lete ho rajani didi se mil lete ho par main nahi dikhti tujhe ? Mere liye tu hi to ho mera bhai mera dost bhi. Fir tu hi bata jab tujhe aise halat me dekhungi to kya mujhe acha lagega? Tu puchle dino pata nahi kahan kahan kin uljhano me raha . Jab teri khabar nahi mil rahi rahi thi tab mujh par kya beet rahi thi iski parwah bhi hai tujhe ? Behan bolta hai par samjhta nahi hai , hai na ?

Neha didi ki bat sun kar mujhe ehsas hua k maine unki taraf to dhun diya hi nahi tha. Ye meri galti thi , wo sach me mujhe dil se pyar karti thi behan ki tarah . Aur meri vajah se wo bhi tension me rahi hongi. Didi k chehre par unki vedna nazar aa rahi thi.

Amit : mujhe maaf kar do didi . Mujhse sach me galati ho gyi. I am sorry didi . Apne chhote bhai ko ek bar maaf kar do . Main dobara aisa nahi karunga .

Maine didi k samne hath jod diye to didi ne mere hath ko jhatka aur mujhe gale laga ki aya aur agle hi pal piche ho gyi. Unki ankhon me bhii nami thi jise unhone jaldi se saf kiya.

Neha didi : maafi mangne ki zarurat nahi hai tujhe bas apni is behan ko bhi yad rakha kar . Main tujhse kuch jyada to nahi mang rahi na.

Amit : aisi galti fir nahi hog didi . Chaliye ab andar sab hamara intazar kar rahe honge .

Hum dono andar aa gye jahan sab hansi mazak me lage the. Canteen khachakhach bhari hui thi.

Sheena : to aaj kya plan hai ? Lecture to free hi rahenge kyun na bahar chalen kahin?

Neha didi : main nahi ja paungi , ghar par bhi to kam karna hai . Diwali ki sajawat ka

Radha : han didi mujhe bhi ghar jaan padega ma ne kaha tha jaldi aana

Shalu : han yar mujhe bhi to khud hi karna hai sab . Aur hai hi kaun .

Amit : mere khyal se aaj rehne do . Aaj apne apne ghar par mehnat karte hain. Saal bad to ye tyohar ata hai .

Sheena : ab tumhe kya karna hai ghar par ? Tum bhi saf safai karoge kya ?

Shivani : bilkul , tumne kya karna hai? Chalo jise kam hai wo kam kar le aur jise kam nahi hai wo hamare sath chale .

Minal Mohit se bat karne lagi is bare me aur Kalpana meri taraf dekh rahi thi jaise puch rahi ho k kya karna hai .

Amit : sorry yar main to nahi chal sakta . Aunty ( Rima ki mom ) jab se bimar hain main ek bar bhi unse nahi mila. To main aaj unse milne ja raha hun

Kalpana : main bhi chalti hun , main bhi to nahi mili aunty se .

Minal : han yar main bhi nahi gyi ek bar bhi .

Minal Kalpana ki bat sun kar neha didi aur radha bhi taiyar ho gyi. Rima meri taraf dekhne lagi. Use to ummeed nahi thi k sab hi taiyar ho Jayenge. Khair uske bad sheena ne bhi program cancel kar diya . Shalu aur shivani to ghar chal gye magar hum sab mil kar Rima ki mom se milne k liye nikal gye. Radha abhi mere sath bike par hi thi. Jabki baki sab Kalpana sheena aur Mohit ki car me baith gye . Rima humen wahan le gyi jahan Rupali thi. Ye hospital k sath hi bane hue flat the jo shayad dr k liye hi the. Rima k sath hi hum is shandar flat me pahunche jahan is waqt Rupali aur Rina dono hi maujood the . Darwaza Rina ne hi khola . Rima ne shayad pehle hi bata diya tha is liye wo jyada chonki nahi . Par mujh dekh kar usne narazagi dikhate hue muh mod liya. Ye bat sirf hum dono k hi beech thi kyunki main Sabse piche tha. Sab ladkiyan bari bari se Rina se mili. Rina bhi unse mil k khush lag rahi thi. Rupali andar room me thi to Rima sabko wahin le gyi. Main bhi piche piche andar ja hi raha tha k Rina ne meri baju pakad kar rok liya.

Rina : aap kahan chale maharaj ? Kahin galati se to idhar nahi aa gye? Waise aap jante bhi hain main hun kaun ?

Amit : kaisi baten kar rahi hain aap ? Main aap se hi to milane aaya hun.

Rina : jhooth mat bolo , ek bar bhi itne dino me mujhse phone kar k halchal jana ? Main zinda hun bhi k nahi . Phone karna to door tumne to mera phone bhi nahi uthaya. Kitne phone kiye the maine tumhe .

Rina ki bat sahi thi usne kai bat phone kiya tha par karishma didi ki saas aur nanad k chakkar me maine unka phone uthaya hi nahi tha.

Amit : Rima ne aapko batay nahi k main bahar tha? Wahan bahut sari uljhan ho gyi thi isi liye main thoda disturb raha. Warna main bhala aisa kar sakta hun. Meri vajah se aapko agar bura laga to uske liye mafi mangta hun.

Rina : rehne do maafi mangna , mujhe acha nahi lagta tum mujhse mafi mango. Par tumhe meri zara si bhi parwah nahi hai kya ??

Rina ne ye sawal meri ankhon me dekhte hue pucha . Mujhe samajh me nahi aya k main kya jawab dun. Kyunki unka ye sawal na gusse se tha na mazak se.

Amit : aapko kya lagta hai ? Kya main aapki parwah nahi karta ?

Maine sawal k badle me sawal hi kar diya to wo khamoshi se meri ankhon me dekhne lagi jaise meri nazron me jawab dhoondh rahi ho.

‘ are tum abhi tak yahin khade ho, humen yahan lakar khud piche ho. Aunty bula rahe hain tumhe ‘ Kalpana ne room se bahar aate hue pucha to hum dono hi thoda hadbada gye.

Amit : wo main Rina ji se bat kar raha tha.

Kalpana: to andar aa kar lo na bat. Hum bhi didi se baten kar lenge.

Rina : han kyun nahi chalo .

Hum andar aaye to Rupali bed par hi tel laga kar baithi thi baki sab uske aaspas . Mujhe dekhte hi Rupali k chehre par raunak aa gyi .

Rupali : tum aa gye , kab se Rima se puch rahi thi k Amit kahan hai aya nahi ek bar bhi itne din se .

Amit : sorry aunty wo main bahar tha kisi kam se .

Rupali : janti hun isi liye sorry ki zarurat nahi hai. Tum aa gye itna hi bahut hai . Are Rina sabke liye khane peene ko kuch mangawao.

Rina : abhi ata hi hoga mom maine pehle hi order kar diya tha .

Sheena : chalo didi main aapke sath chalti hun.

Rina : are rehne de na tujhe kya padi hai . Main kar lungi na sab.

Neha didi : aap akeli kya kya karengi ? Hum sab mil kar karte hain .

Rupali : tum sab log hall me baitho wahin baith kar aram se khana pina ho jayega aur baten bhi. Main bhi ati hun wahin. Amit zara meri bat sunna.

Rupali ne sabko jane ka kaha aur mujhe apne pass bula liya. Baki sab kamre se bahar nikal gye to Rupali ne mujhe apne pass bitha liya .

Amit : ji kahiye kya bat hai ? Aap shayad kisi bat se pareshan hain .

Rupali : tumhe kaise pata ?

Amit : aapke chehare se hi lag raha hai. Bataiye kya bat hai ?

Rupali : han main thoda sa pareshan hun . Dekho tumhari bat man kar maine bimari ka bahana to bana liya par aisa kab tak chalega. Wo abhi dusre shehar gya hai to main ab ghar jane ka soch rahi hun par wo fir wapis aayega tab ? Mujhe apne se jyada apni bachiyon ki chinta hai . Maine us kameene ki ankhon me hawas dekhi hai jab wo Rina ki taraf dekhta hai . Main nahi chahti k meri tarah wo Rina ki zindagi bhi barbad kare. Please kuch karo .

Amit : kya wo sach me itna gira hua hai jo apni beti jaisi bhateeji ko hi aisi nazar se dekhta hai ?

Rupali : han , tum nahi jante wo kitna ghatiya hai . Main chahti hun k Rina ki jald se jald shadi kardun aur fir uske bad Rima k liye bhi koi na koi rasta dhoondh lungi par Rina meri bat hi nahi sun rahi. Tum hi usse bat karo na.

Amit : main unse kya kahun ? Main bhala kya kar sakta hun?

Rupali : tum use samjhao k wo shadi kar le. Aur agar wo abhi shadi nahi karna chahti to London chali jaye.

Amit : London ??

Rupali : han London , use hospital wale course karne k liye London bhejna chahte hain. Agar wo bahar chali jayegi to saal chhe mahine to kam se kam wo is narak se door rahegi na. Yahan to mujhe dar hi lagta rehta hai kahin kisi roz wo shaitan meri bachi ko kahin .....

Amit : khud ko sambhaliye aisa nahi hoga . Par aap Rina ko bahar ho kyun bhejna chahti hain ? Matlab k wahan paraye desh me akeli ??

Rupali : wo samajhdar hai aur dr hai . Use wahan mushkil nahi hogi. Aur wahan iski ek friend bhi hai. Tum Rina ko please mana lo to mera adha bhar utar jayega.

Amit : theek hai main bat karta hun par wo mane ya na ye nahi keh sakta .

Rupali : bilkul manegi , wo tumhe bahut manti hai . Wo aksar tumhari hi baten karti hai . Itne dino me hum dono hi to hote the yahan din bhar. To aksar tumhari hi baten hoti thi. Wo tumhe mana nahi karegi . Mujhe to wo mana kar chuki hai ab tum hi meri ummeed ho .

Amit : acha theek hai main bat kar k dekhta hun .

Uske bad Rupali aur main bahar aa gye . Hall me to poori mehfil jami hui thi. Khane pine ka saman table par saja bua tha kuch pizzas cold drinks aur snacks . Sab maze se lage the . Kalpana minal to tang khinchne me lage the. Rupali bhi jakar Rima aur radha k beech baith gyi. Radha k sir par unhone pyar se hath fera aur baten karne lagi. Main apne liye baithne ki jagah dekh raha tha k Rupali fir se boli .

Rupali : Rina beta Amit k sath jakar zara mithai to lekar aao . Aaj sabka muh mitha karwate hain. Diwali to kal hai par aaj sab yahan hain to aaj hi khushiyan mana lo.

Minal : ye aap ne bilkul theek kaha Aunty ji . Aaj hi celebrate kar lete hain . Aur aap bhi na ab theek hain to ghar wapis chaliye kab tak yahan akele rahenge aap dono ?

Sheena : kal nahi aaj hi ghar le ke chalungi main dono ko. Aapke bina ghar me dil nahi lagta .

Sheena uth kar Rupali k gale lag gyi aur Rupali ne bhi use pyar se gale laga liya . Idhar Rina mujhe apne sath le kar flat se bahar aa gyi .

Rina : to kya keh rahi thi mom tumse ?

Amit : aap London kyun nahi ja rahi ? Jab aapko mauka mil raha hai aur aage badne ka to kyun khud ko yahan rok rahi hain ?

Rina : mujhe laga hi tha mom yahi kahengi tumse. Main nahi jane wali London . Kya karungi wahan jakar? Mera bilkul bhi man nahi hai .

Amit : zara sochiye to , aap wahan se naye tareeke seekh kar aayengi aur yahan logon ka aur acha ilaj kar sakengi . Aapka kitna nam hoga. Logon ko videshon jaisi service yahan milegi .

Rina : kya meri personal life matter nahi karti ?? Kya meri apni icha k koi mayne nahi hain?

Amit : aap aisa kyun soch rahi hain ? Zara ye bhi to sochiye k kitne logon ka isse bhala hoga. Akhir aapne logon ki sewa k liye hi to ye Rasta chuna tha na ?? To ab aap khud ko kyun rok rahi hain?

Rina : meri ankhon me dekhte hue) is liye k main bhi ek insan hun aur mujhe dard hota hai. Mujhe bhi pyar chahiye . Aur main darti hun k agar main London chali gyi to main wo Kho dungi jo meri zindagi ki sabse badi tamanna ban chuka hai .

Rima k shabd uske dil se nikal rahe the aur uski nazron me jo Kashish is waqt thi wo mujhe apni taraf khinch rahi thi.

Amit : kuch bhi nahi hoga aisa . Aap aise hi dar thi hain, aur aap kaun sa hamesha k liye ja rahi hain . Course kar k aapko wapis hi to ana hai na. Itne time me kya ho jayega?

Rina : zindagi to ek lamhe me hi badal jati hai . Jaise us din tum mujhe na bachate to shayad main zinda hi na hoti . Zindagi ka kuch bharosa nahi hai. Aur waise bhi umr bhar intzar kar k agar kuch hasil hua ho to use aise hi to nahi jane de sakte na ??

Amit : pata nahi aap kya kya soch rahi hain . Aisa kuch nahi hota hai. Aur waise bhi jo insan k bhagya me hota hai wo usse koi nahi chheen sakta .

Rina : bhagya se hi to dar lagta hai . Wo k hi mere hak me nahi raha

Amit : tauba , aap to philosopher hain . Mujhe aur koi bat nahi Sunni . Aunty chahti hain k aap London jayen to aapko jana chahiye

Rina : tum kya chahte ho ?

Amit : main bhi yahi chahta hun . Main chahta hun aapka nam ho aur aap ek bahut badi de bane.

Rina : iske badle me tum mujhe kya doge ?

Amit : main kya de sakta hun ?

Rina : tum hi de sakte ho isi liye tumse puch rahi hun . Bolo doge ?

Amit : par mere pas to aisa kuch hai nahi jo apke kam ka ho

Rina : wo mujhe pta hai k kya mere kam ka hai . Ghabrao mat tumse paisa jaydad nahi mang rahi . Bas wo hi mangungi jo tum de sakte ho . Bolo doge ?

Amit : acha theek hai agar aap London jane ko taiyar hain to main bhi aapko inkar nahi karunga .

Rina : khush hote hue ) sachhhhh !!!!! To wada ?

Rina ne khush ho kar apna hath aage kar diya to maine bhi usse hath mila liya .

Amit : pakka wada . Ab to koi aur bat nahi hai na ?

Rina : hai ek ,, ek nahi do

Amit : ab kya hai ?

Rina : ek to ye k tum mujhe chhodne aaoge jab main London jaungi. Aur dusra ye k mujhse phone par bat karte rehna hoga warna main wapis aa jaungi wahan se .

Amit : bas itni si bat ye to main kar sakta hun . Maine socha pata nahi kya mang lengi aap .

Rina : ye sirf mere bahar jane ki fees hai samjhe. Aur jo maine tumse wada liya hai wo main akar hi tumse loongi.

Amit : acha theek hai .

Baten karte karte hum mithai ki dukan par aa gye jo pas me hi thi aur hum bat karte karte hi wahan aa gye the. Rina k chehre par khushi saf jhalak rahi thi . Mithai lekar jab hum wapis aa rahe the ro Rina ne mera hath tham rakha tha . Wapis ate hi Rina ne khushi se chehekte hue sabka muh mitha karwaya. Uski badli hui rangat dekh kar Rupali Rima aur Sheena hairan the.

Sheena : kya bat hai didi badi chehak rahi hain aap ? Abhi to kuch der pehle aise nahi thi aap ? Aisa kya ho gya itni der me?

Rina : kuch nahi , bas diwali hai na khushiyon ka tyohar to is liye khush ho aur ab tu bhi khush ho ye le

Rina ne apne hath sheen k muh mithai bhar di. Rupali ki nazar mujh par thi aur wo ishare se puch rahi thi k kya bat hai . Maine ankhon se ishara kar diya k sab theek hai . Rina ab Rupali k pas pahunchi aur uske muh me mithai daalte hue boli .

Rina : nahi mani na aap ? Bhej k hi rahi na mujhe . Lo ab muh mitha karo aap bhi

Rupali ye bat sunte hi khush ho gyi aur rina ko gale se laga liya . Ab jakar kahin Rima aur Sheena ko kuch kuch samajh aya.

Rima : ma didi kya keh rahi hain ??

Rupali : kuch nahi beta teri didi London ja rahi hai . Yahi bata rahi hai .

Rupali k itna kehte hi Rina aur Rima dono ne meri taraf dekha. Rina ki ankhon me khushi thi aur Rima ki ankhon me sawal k Maine kya kiya hai isme . Khair baki sab ho halla karne lage aur sab bari bari se Rina ko badhai dene lage . Rupali uth kar mere pas aayi aur khud apne hathon se mere muh me mithai bhar di.

Rupali : nam ankhon se ) tumhara shukriya kaise karun ? Pata nahi itne ehsan kaise utarungi main .

Amit : aisa mat kahiye. Maine to kuch bhi nahi kiya . Ab aap khud ko sambhaliye aur diwali is bar double khushi se manaiye .

Ghar par divya mausi k sath kam karwana tha is liye maine jaldi hi chalne ka keh diya . Halanki Rina mujhe zor deti rahi lunch karne ko par Maine use samjha diya k main kyun ja raha hun. Aur fir Radha ko lekar main ghar k liye nikal gya. Baki sab bhi chal diye apne apne tareeke se . Sheena aur Rima to wahin ruk gyi . Rima mujhse bat karne ki koshish me thi par yahan possible nahi tha. Khair hum ghar pahunche to divya mausi ki halat dekh kar Radha ghabra gyi .

Radha : maaaaa!!!!! Ye kya hua hai aapko???
Jabardast update.
 
Vik1006

Well-Known Member
3,322
12,959
158

Jabardast update...
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,722
103,439
304

Behad hi shandar or jabardast update
Rina jab London se lautegi to pata chalega ki jise wah apna bnana chahti hai wah uski bahan ka ho chuka hai . Tab kya mangegi 2 wade me ?
Divya behosh ho gayi hai shayad kamjori se .
 
Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,643
159

Nyc update bhai ji
 
Lallu

Dil mai
1,231
3,244
158
Super

Super ❤️ update
 
Status
Not open for further replies.
Top