• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,641
159
Update 201

‘ dekh kya rahe ho chalo meri help karo. Batao kaun sa color acha rahega ? ‘ Rina mujhe apne sath ek mall me le aayi thi jahan wo mujhe apne liye dress chose karne k liye puch rahi thi. Videsh me jana tha to us hisab se hi weerendr dress dekh rahi thi.

Amit : aap to koi bhi color pehno aap par sab janchta hai. Bhagwan ne aapko itna khubsurat banaya hai k har rang me aap achi lagti ho.

Rina : muskurate hue ) jyada baten mat banao , chalo batao kaun sa color lun.

Mujhe koi itna jyada pata to tha nahi par fir bhi maine apni pasand k teen char color k dress nikal diye. Rina to bas mujhe hi dekh rahi thi.

Amit : mere khyal se aap inhe try karo. Aap par ache lagenge .

Rina : tumhari pasand k hain ache to lagenge hi.

Rina ne wo sare dress aise hi pakad liye aur counter ki tarf chal padi.

Amit : kam se kam try to ke lijiye. Aur ye kya bat hui k maine select kiye to le liye kam se kam aaj ko bhi to pasand aane chahiye .

Rina : tum na jo bhi pasand karte ho wo sab mujhe pasand hai . I mean hun dono ki pasand kafi milti hai . Apne size k hi to liye hain fir bhi tum kehte ho to ek bar pehen kar dikha hi deti hun. Chalo mere sath .

Rina mujhe apne sath hath pakad kar khinchti hui trial room ki taraf le gyi. Maine mana bhi kiya par wo kahan manne wali thi. Khair mujhe sari dresses pakda kar wo ek ko lekar ande ghus gyi aur change kar k mere samne aa gyi. Rina ne pehle ek suit pehna hua tha par ab wo Jean aur top pehne mere samne khadi thi. Top ki fitting skin tight thi jisme se uske ubhar apni poori golai bata rahe the. Mera to gala hi khushk hone laga aur nazar ek pal ko wahin jam si gyi. Ek to Rina ka gora rang gulabi Abha bikherta tha upar se aise kapde pehen kar wo mujh par kehar dha rahi thi.

Amit ki nazron ko apni chhati par mehsus kar ek bar to Rina sharma gyi par uske andar is bat ki khushi bhi ho rahi thi k Amit use aise dekh raha hai. Wo yahi to chahti thi k Amit use pyar se dekhe ek premi ki tarah. Kuch pal Rina ne aise hi ruk kar Amit ki halat ko dekha aur fir khans kar use hosh me layi

Rina : akhun akhun , kaisi lag rahi hun ?

Amit : nazren churate hue ) bb bahut achi .

Rina : maza lete hue ) idhar dekh kar batao na , wahan kya dekh rahe ho ?

Maine fir se Rina ki taraf dekha to uske muskurate hue chehre par meri nazren jam gyi . Halke gulabi gal aur grey ankhon me khushi ki jhalak. Ek masumiyat aur kudarti sundarta jo kam hi nazar ati hai duniya me. Sach me Rima Rina dono behne me ek jaisi samantayen thi aur dono ko ye sab mila tha apni ma se.

Rina : aise kya dekh rahe ho ? Batao kaisi lag rahi hun ?

Amit : bahut hi khubsurat

Main Rina ko dekhte hue jaise kho sa gya tha aur ye shabd apne aap hi uski sundarta ki tareef me nikal gye. Par Rina ke chehre par lali aur bad gyi aur usne nazren jhuka li. Uske aise sharmate hi mujhe thoda hosh aya.

Amit : aap par ye kode bahut janch rahe hain. Lagta hai wahan aap ko wahan sambhal kar rehna padega .

Rina : chinkte hue ) kyun ?

Amit : ab aap itni sundar lagengi to log to piche aayenge hi na

Rina : to tum bhi chalo na mere sath . Tumhare sath mujhe kisi ka dar nahi .

Amit : main bhala kaise ja sakta hun ? Waise bhi ho sakta hai aapko wahan koi sapno ka rajkumar mil jaye .

Rina : mujhe koi videshi nahi chahiye aayi bat samajh me. Mujhe to apne hi des ki mitti ka sher chahiye jisme se gaon ki khushbu aati ho.

Ye bat Rina ne meri ankhon me dekhte hue kahi.

Amit : kamal hai , ek padi likhi dr hone k bad bhi aapko gaon dehat ka ladka chahiye ?

Rina : kyun ? Gaon dehat wale kya kisi se km hain ? Main to kehti hun k gaon wale ladkon ka dil jyada acha hota hai shehar me to sab matlabi hi milte hain .

Amit : acha ! Log to har jagah ek jise hi hote hain kya gao kya shehar. Waise aap itne yakeen se kaise keh sakti hain k gaon wale ladke jyada ache hote hain ?

Rina : personal experience hai .

Amit : acha ? To kitne gaon k ladkon ko janti hain aap ?

Rina : kam se kam ek ko to janti hun. Aur usse behtar maine na kabhi koi dekha hai na hi koi dikhega.

Amit : kaun hai wo mujhe bhi bataiye , waise aapne ye kyun kaha k usse behtar koi nahi milega?

Rina : meri ankhon me dekhte hue ) kyunki meri nazar me wo ek perfect partner hai. Aur waqt aane par sabse pehle tumhe hi bataungi .

Uske bad Rina ne fir se change kiya aur apna pehle wala suit pehen liya. Fir wo mujhe apne sath dusre store me le ayi . Yahan gents k liye kapde the . Yahan se usne mere liye ek jacket li . Main mana karta raha fir bhi usne mere liye wo le li aur pehen kar dikhane ko kaha. Maine wahin uske samne wo pehen li.

Rina : bahut janch rahi hai tum par , ise hi pehen kar ana jab mujhe chhodne aaoge .

Amit : iski kya zarurat thi waise ? Aap aise hi paise kharab kar rahi hain.

Rina : chup , tumhare sath kuch kharab nahi hota mera aur ye main dil se dena chahti thi. Bahut handsome lag rahe ho.

Jacket lene k bad wo mere liye aur bhi kuch lena chahti thi par maine mana kar diya. Fir uske bad wo mujhe sath liye ek hotel me aa gyi .

Amit : ab yahan kya karna hai ?

Rina : maine kaha na k aaj main tumhare sath waqt bitana chahti hun iske bad time nahi milega aur fir mujhe bahar chale jana hai . Ab chup chap meri bat mano . Aaj hum sath me dinner karenge.

Rina ki bat sun k mujhe Divya mausi ka khyal aa gya . Aaj wo fir se mere upar gussa karengi. Khair ab Rina ko mana nahi kar sakta tha to maine Rina ko bitha kar side me ja kar radha ko phone kar k bata diya k main dinner kar k aane wala hun. Wo naraz hone lagi. Maine use Divya mausi ko samjhane ko keh diya aur wapis Rina k pas aa gya jahan usne order de diya tha . Maine uske samne baitha to wo lagatar mujhe hi dekhe ja rahi thi. Uski chehre par ek khas tarah ki smile aur khushi thi.

Amit : aise kya dekh rahi hain ?

Rina : kuch nahi , bas soch rahi hun aaj pehli bar tumhare sath aise bahar dinner karne aayi hun. Kitna acha lag raha hai. Iske bad pata nahi kab hum sath honge. Kaise main itna waqt door rahungi tumse.

Amit : mujh akele se thoda door rahengi aapki mom aur Rima bhi to hai .

Rina : han wo to hai , ek bat manoge ?

Amit : aap kahiye zarur manunga

Rina : mere jane k bad ma aur Rima ka khyal rakhna , unhe tumhare bharose chhod kar ja rahi hun main.

Amit : aap chinta na karo, mere hote unhe koi dikkat nahi hogi.

Rina : tumhare hi to bharose ja rahi hun. Mujhe pata hai tum hamesha mera aur mere pariwar ka khyal rakhoge . Tum mere liye ab meri family ka hi to hissa ho.

Maine man me socha bat to sahi hai. Rima se shadi k bad to waise bhi main apki family ka hissa ban hi jaunga. Fir waiter khana le aya aur hum khana khane lage . Khana khate hue bhi Rina mujhe hi dekh rahi thi jaise aaj wo akhiri bar mujhse mil rahi ho. Main unse puchta to bas muskura deti . Dinner k bad hum wahan se nikle . Rina mujhe sath le kar manju m k ghar wapis aa gyi aur yahan se main bike le kar wapis ghar aa gya .

Udhar SP Ritu singh apne ghar bane office me baithi apni bheji hui police party k message ka wait kar rahi thi k kam bana ya nahi tabhi ek police wala daudta hua uske pas aya.

‘ madam bahut buri khabar hai ‘ us police wale k chehre se hi zahir tha k khabar buri hai. Uske alfaz sun kar Ritu chonk gyi.

Ritu singh : kya hua ? Kaun si buri khabar hai ? Kya wo hath nahi aya ?

‘ madam use to hamari team ne utha liya tha. Jaisa apne kaha tha uski security me kuch log honge to waisa hi hua. Par hamari team ne un lagon ko encounter me mar dala aur use utha kar la hi rahe the k raste me ‘ itna bol kar wo policewala chup ho gya

Ritu singh : raste me kya ? Kya hua ?

‘ rate me ek bekabu truck ne hamari dono gadiyon ko uda diya. Wo sab hospital me hai aur kuch ki halat jyada kharab hai ‘ ye sunte hi Ritu singh gusse se aag babula ho gyi aur apni seat se khadi ho gyi .

Ritu singh : kya ????? Truck ne dono gadiyon ko uda diya ?? Bastard,, ye koi accident nahi zarur ye sab jan bujh kar kiya gya hai. Kahan hain wo log ?

‘ madam unhe hospital le Jaya gya hai , filhal unki condition ki poori detail nahi hai . Par ek aur samasya hai ‘

Ritu singh : bolo

‘ madam aapne jaise kaha tha humne wahan par kisi ko inform nahi kiya tha aur ab wahan ki police bhi is bat par naraz hai aur is par action lene ka keh rahe hain ‘

Ritu singh : wo main dekh lungi, tum log abhi ek aur team lekar hospital jao . Wo log zarur use marwane ki koshish karenge. Mujhe wo zinda chahiye. Aur dekhna apne logon ka sahi se ilaj ho raha hai ya nahi. Aur us truck ka pata lagao , jisne bhi ye kiya hai main use chhodungi nahi . Police par hath dala hai na un logon ne ab unhe dikhati hun police ki takat .

Ritu ki bat sunte hi wo police wala fauran wapis chala gya . Ritu singh k mathe par bal pad gye the. Apne risk par ek to usne gupt tareeke se ye action karwaya tha upar se ab wo log ab hospital pahunch gye the. Unki chinta hone lagi thi Ritu ko akhir wo uska hukam hi to man rahe the. Dusra use ye bhi tension thi k itna risk lene k bad bhi pata nahi wo manager zinda uske hath aayega bhi ya nahi .

Jab main ghar pahuncha to 10 baj chuke the. Bike ki awaz sun kar darwaza radha ne hi khola. Main andar aya to Divya mausi mujhe kahin nazar nahi aayi .

Amit : dheemi awaz me) mausi kahan hain ? Kahin wo naraz to nahi ho gyi mujhse ?

Radha : narazagi dikhate hue ) itni fikar hai to aisa karte hi kyun ho ? Aise kaun se kam hain jo sham ko gayab ho jate ho ? Kisse milne jate ho ?

Radha bechari man se bhari hui thi . Waise to use pata tha k Amit ka kisi k sath koi chakkar nahi par is tarah roz roz sham k waqt gayab hona uske komal man me tees paida kar raha tha .

Amit : are yar bataya tha na dost k sath tha. Tumne mausi ko samjha diya tha na ? Kahin ye na ho wo fir se naraz ho jayen. Agar aisa hua to sari zimmedari tumhari hogi

Radha : kaun sa dost hai jiske sath har bar gayab ho jate ho? Sab doston ko main janti hun to ye kaun hai ? Kahin ye dost koi ladki to nahi ?

Amit : tum bhi na , aisa kuch nahi hai .

Radha : to kaun hai wo ? Mujhe sach sach batao .

Amit : acha theek hai batata hun par pehle mujhe fresh to hone do. Aur awaz dheemi rakho kahin mausi ne sun liya to meri band baj jayegi .

Radha : kuch nahi kahegi ma maine bat kar ki thi , wo so rahi hai . sir me dard tha to jaldi so gyi hain dawa kha kar. Tum ja kar fresh ho lo main doodh lati hun.

Main apne kamre me chala gya aur radha kitchen me.

Divya in dono ki baten darwaze k piche se sun rahi thi. Asal me na usne koi dawa ki thi na hi use neend aa rahi thi . Wo to bechari akele baithi apni hi halat par aansoo baha rahi thi. Jab se wo Amit k kamre se nikli thi tab se uska man itna dukhi tha jaise uski zindagi me jo khushi ki nayi kiran nazar aayi thi wo bujh si gyi ho. Amit k aane ki ahat se hi wo apne bistar se uth gyi thi par apne kamre k darwaze se bahar aane tak hi himmat na juta payi. Kaisi vidambna thi k ek taraf use uska dil Amit k pas la raha tha jaisa pyasa kuen k pas ata hai aur dusri taraf uske dimag ne jaise dil ki is khushi ko hi sharminda kar diya tha hawas ka nam dekar. Apni adhuri shadishuda zindagi aur apne adhure naritva ki vedna jo wo itne salo se dabaye hue thi use Amit k pas aane se hi mano hawa mil gyi thi jaise bujhti hui shamma fadfadaane lagti hai. Magar aaj us ek shabd ne use sapno k aasman se hakikat ki dhara par la patka tha. Ek taraf man aur ek taraf samaj k kayde jisne hamesha k liye use bandini hi bana diya tha apne hi jism k andar. Ab bhi bechari apni dasha par ro rahi thi apne kamre jo andhere me duboye.

‘ to batao mujhe kiske sath the ? Kaun hai wo ladki ? ‘ radha ne kamre me aate hi table par doodh ka gilas rakha aur apni kamar par hath rakh kar mujhse ye sawal kiya. Radha k face expression dekh kar mera dil kiya k usse mazak kiya jaye .

Amit : chonkte hue ) tumhe kaise pata chala wo ladki thi? Tum meri jasusi to nahi karwa rahi thi?

Radha ka to man hi bhar gya ye sunte ki Amit kisi ladki se mil kar aa raha hai. Par uske man me abhi bhi ummeed thi k shayad wo koi college ki hi dost ho.

Radha : kaun thi ?

Bas itna hi sawal puch payi radha khud ko kabu karte hue.

Amit : main kyun bataun? Tum mausi ko bata dogi. Waise apne college ki nahi thi wo. Meri bahut achi dost hai . Wo kya hai na usko shopping karni thi aur main use shopping karwane le kar gya tha . Ye dekho ye jacket bhi usi ne diya hai mujhe . Uske bad hum ne sath me dinner kiya aur fir main wapis aa gya .

Maine apni bat khatam kar k jaise ho radha ki taraf dekha to uski ankhen bheeg gyi thi. Maine jaise hi usse bat karni chahi wo tez kadmo se kamre se nikal gyi . Radha ka aisa reaction dekh mujhe jhatka laga. Maine to bas usse mazak karne ki koshish ki thi magar wo to naraz ho kar bhag gyi. Mujhe bhi ek pal me hi bura lagne laga. Radha ki ankhon aansoo aa gye the mere ek chhote se mazak ki vajah se. Main fauran uske piche bhaga. Main jab radha k kamre me gya to bed par ulti lati thi takiye me muh chhupaye.

Amit : radha !!! Radha ,,,,,

Maine Radha ko awaz di par usne koi jawab na diya. Main uske kareeb ja kar baith gya aur uske kandhe par hath rakh kar use awaz di par radha ne koi jawab na diya to maine usko palat diya. Radha ka chehra aansuon se bheega dekh kar mera dil bechain hone laga.

Amit : radha tum ro rahi ho ? Aisa maine kya keh diya jo tum aise rone lagi ? Are pagal main to mazak kar raha tha . Tum aise hi rone lagi .

Maine Radha k aansoo ponchte hue use kaha to ek pal me Radha ki ankhen badi ho gyi aur aansoo ruk gye .

Radha : tum sach keh rahe ho ? Wo mazak tha ?

Amit : han bhi aur nahi bhi. Tum pehle chup karo aur apni halat theek karo. Dekho kaisi shakal bana li hai ek minute me.

Radha : pehle mujhe sach sach batao , tum sach bol rahe the ya mazak kar rahe the?

Amit : acha batata hun , maine jo kaha wo sach tha par jo tumne samjha waisa nahi hai .

Radha : kya matlab ?

Amit : matlab k main sach me ladki se mil kar aa raha hun aur wo college ki bhi nahi hai . Magar tum use janti ho achi tarah se aur mil bhi chuki ho

Radha : saf saf batao na kaun hai wo

Amit : are yar wo apni dr Rina . Rima ki badi behan , wo London ja rahi hain na. To unhone kaha tha k jane se pehle wo ek bar mujhse milna chahti hain. Next week me to time milne wala nahi tha unhe is liye aaj hi chale gye. Aur fir unke kehne par dinner bhi kar liya aur kuch nahi. Yakeen na ho to lo unse bat kar lo

Maine apna mobile radha k hath me pakda diya. Jise radha ne side me rakh diya .

Radha : to tum jan bujh kar mujhe bewakoof bana rahe the ?

Amit : main kahan bana raha tha , wo to tum khud hi pata nahi kya kya sochne lagi. Maine to sach hi bataya tha .

Radha : adha sach ,, pehle nahi bata sakte the k Rina didi k sath the ? Wo London ja rahi hain ye to mujhe bhi pata hai. Aur tum aise bata rahe the jaise .....

Amit : jaise kya ? Kya socha tha tumne ? Aur rone kyun lagi thi ?

Radha : kyunki ...... tum bahut gande ho . Jan bujh kar mujhe sataate ho . Sab ko satane ka theka le rakha hai tumne. Pehle ma ko pareshan kar rahe the ab mere piche pad gye ho. Dekhna is bar mami ji se tumhari shikayat karungi fir wo hi sidha karengi tumhe .

Radha ne apne dil ki bat ko apne honthon tak aane se rok liya tha . Bechari chah kar bhi apne jazbat bayan nahi kar pati thi. Kaise kahe k wo kitna chahti hai Amit ko. Bachapan se lekar ab tak uski ankhon ne Amit k siwa aur koi khwab dekha hi nahi tha jiski vajah wo khud bhi nahi janti thi. Uski dhadkan par jaise Amit ka hi nam likha tha. Par kabhi wo keh hi nahi payi. Sharmila swabhaw jo use apni ma se hi mila tha ek badi zanjeer tha jo uske jazbaton ko kabhi zuban tak aane hi nahi deta tha. Andar hi andar wo ye hi dua karti thi k kash Amit khud mehsus kare uske pyar ko aur waisa hi pyar Amit k dil me bhi uske liye ho. Amit jis tarah uski parwah karta tha wo to itne se hi khush ho jati thi.

Amit : ek to khud hi pata nahi kya kya soch leti ho aur upar se mujh par ilzam lagati ho k main tang karta hun . Dekho zara kaisi bandar jaisi shakal bana li hai .

Radha : kya kaha ? bandar ? Tum hog bandar , bail kahin k .

Amit : acha to main bail hun ?

Radha : bail nahi saand ho

Amit : saand ?? Koi na kal hi chala jaunga yahan se fir dekhti rehna . Tang karta hun na tumhe ? Ab aaunga hi nahi .

Itna keh kar main kamre se jane laga to radha ne mera hath pakad liya .

Radha : chale jaoge ?? Mujhe chhod kar chale jaoge ? Bas itni hi parwah hai meri ??

Radha ek pal me hi bifar gyi thi Amit k akhiri shabd sun kar . Wo to bechari Amit se shikwa kar rahi thi apna gussa dikha rahi thi par yahan to Amit ne jane ki bat kar k upar se na aane ki bat kar k radha ko jaise tod hi diya . Radha k muh se ab apni ma k liye nahi balki apne liye shabd nikle the. Wo shabd jo indirectly uske pyar se labrez the

Amit : radha !!!

Radha ki ankhon me fir se aansoo dekh kar mujhse control nahi hua. Usne jo kaha tha wo sidha mere dil par ja laga aur pata nahi mujhe kya hua maine radha ko apne sine se laga liya . Radha ne mere seene me apna chehra chhupa liya aur meri peeth par apne hath kas liye

Amit : ro mat radha , kya tum bat bat par rone lag jati ho . Main kahin nahi ja raha . Aisa bhala ho sakta hai k main tumhe chhod kar kahin chala jaun ? Main kahin nahi jaunga. Wo to kal main gaon ja raha hun na is liye kaha tha. Kya tum bhi bachon jaise rom lagti ho. Mujhe tumhari ankhon me aansoo bilkul bhi ache nahi lagte . Agar aise hi roti rahogi na to dekh lena ek din sach me door chala jaunga fir roti rehna .

Radha ne turant apne chehra upar kiya aur meri ankhon me dekhne lagi .

Radha : agar tum sath dene ka wada karo to main kabhi nahi roungi. Wada karo kabhi mujhse door nahi jaoge . Wada karo hameesha mere sath rahoge. Wada karo mujhe apni banaoge . Wada karo meri akhiri sans tak tum mujhe apne sath rakhoge. Main chahti hun meri akhiri saans bhi tumhari bahon me nikle .

Amit : aise kya dekh rahi ho ? Bolo ab rowogi?

Radha bechari ne itna kuch keh to diya tha magar zuban ne fir se sath na diya bas ankhen hi thi jo bol rahi thi par shayad Amit ne wo samjha hi nahi. Radha k jazbat ek bar fir band zuban me hi dil ki dhadkan ne cheekh cheekh kar kahe the . Aur lab to jaise sil hi gye the.

Radha : nn nahi main nahi roungi . Par tum chhod kar to nahi jaoge na ?

Amit : main kahan ja raha hun ? Wo to kal Saturday hai to gaon ja raha hun. Ab khud ko sambhalo aur khud ko thoda strong bhi karo. Aise kaise zindagi bitaogi? Bat bat par rone lagti ho.

Radha : mujhe parwah nahi hai apni . Meri parwah karne k liye ho na tum.

Amit : main hamesha thodi rahunga

Radha : mere muh par hath rakhte hue) khabardar jo aisa kaha to. Tumse pehle bhagwan mujhe utha le. Tum ho to main hun warna is duniya ki samajh mujhe nahi hai aur na hi main samajhna chahti hun. Bas tumhe hi mera dhyan rakhna hoga aur sari zindagi. Samjhe ?

Amit : tum na kabhi kabhi bilkul bachon kaisi baten karti ho. Chalo ab so jao aram se .

Radha : unhunn , tum yahan mere pas baitho. Mujhe neend nahi aayegi.

Amit : mausi ne dekh liya to kya sochengi?

Radha : ma to so gyi hai . Aur tumhe kaun sa main sari rat yahin rukne ko keh rahi hun. Jab main so jaun to chale jana. Bas thodi der mere pas baith jao .

Amit : acha , to matlab ab main lori sunaun? Tumhe sulaun aur khud jagun ?

Radha : lori sunane ki zarurat nahi hai aur na jagne ki. Chaho to tum bhi yahin so jana.

Radha ne sharmate hue ye bat kahi to mujhe bhi uska chehra dekh kar hansi aa gyi. Main uski bat mante hue uske bed par hi baith gya. Radha mere hath ko dono hathon me thame aram se let gyi aur barn karte hue mujhe dekhti hui so gyi. Kuch hi der me radha neend me chali gyi. Uske chehre par ek Aseem Shanti aur muskan thi. Mujhe bahar hall me ek ahat sunai di to maine dhyan se radha k hathon se apna hath kheencha aur dabe paon kamre se bahar nikla . Mere aur Divya mausi k room k darwaze band the aur hall me andhera tha. Magar ek kamre k darwaze k neeche se roshni bahar aa rahi thi. Is waqt is kamre me light kaise jal rahi hai ? Main thoda alert hua aur us darwaze tak pahuncha . Darwaza lock nahi tha. Maine darwaze ko zara sa press kiya aur andar dekhne laga. Andar Divya mausi thi aur ma ki tasveer ko seene se lagaye ro rahi thi. Radha ne bataya tha k mausi dawa kha kar so gyi hain fir wo is waqt yahan kaise ? Aur wo ro kyun rahi hain? Mujhe laga shayad unke rone ki vajah main hun. Is liye main chupchap apne kamre me wapis chala gya . Mujhe neend to nahi aa rahi thi aur bar bar Divya mausi ka hi khyal aa rha tha . Sochte sochte Pata nahi kab meri ankh lag gyi.
Beautiful update bhai
 
188
1,237
123

Nice update
 
Lovingheart

Active Member
1,215
4,109
159
Bhai kafi waqt baad comment kar raha hu
Kyu ki mere comments khas kisi ko pasand nai ate aaj bhi main bs sabr chorh ke comment kar raha hu

Khair bhai kahani ka plot acha hai par yahan apne ab hero ko do mahine se sirf aurto mein fasa ke rakha hai ya fir rone dhone mein yahan tak ki amit bhi ab ladki hi lagne laga hai

Action name ki chiz bilkul khatam hi kar di apne thrill bhi gayab hai jis se bore hone laga hai issi vajha se last ke 6 update maine skip kar kar ke padhe hai😐

Meri baat ka bura mat manna ho sake to gaur karna meri baat pe bhai
 
Status
Not open for further replies.
Top