• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Babu bhaiya2

New Member
1
7
3
Bhai raja bhai ne kuch interesting soch rakha hoga yahi sochte sochte yaha tak aa gaye he par hero ko dekh kar aaj tak hero wali feeling nahi aa pa rahi. Amit sirf chudayi kar k hi mahan bana he. bhai mene bhi raja bhai ko request kayi baar kari he ki kahani ko badhao aur hero ko thoda samajhdar batao par kahani me har female ke sath sex ko pramukhata di jati he. Jis ladke me khud ki power pahalwan se jyada he jiski achchhi pahchan industrialist Raghaw, dusre shahar k nami gangster, SP Ritu Aur DM Rathor sahab se ho fir bhi usko esa bataya jata he ki wo kisi ko nahi janta. Bhai real life me aap ek normal police wale ko bhi jante ho to uski dhons aur uske fayde se kayi baar bacha nahi pate. Ab raja bhai ko usko thoda sa to change karna padega nahi to kahani me sirf sex seen hi chalta rahega jisse wo aur mahan hota jayega kyoki abhi nidhi divya mosi, karishma, kalpana, neha, radha, rima aur na jane kitano ki chudayi baki jo he.
Pahle hi bolta hu main aapke against nhi bol raha bas mera point rakh raha hu.... Mere hisab se amit ko seher aye ak saal bhi nhi huye or aap dhyaan se dekhoge to is bich uska character pahle se bohot smart bana hai. Or rahi baat apne pehchan or power ki dhons jamane ki or fayda uthane ki to aise bohot log hote hai jo khud IPS officer hoke bhi apni power ka dhons nhi jamate ,unka character hi aisa hota hai humble type... Jinta main Amit ke character ko jana hu wo agar town ka sabse bada business man bhi ban jaye ta bhi wo itna hi humble rahega.... Gao se seher ane se kisi ka character nhi badalta, koi sidha ladka Saher ate hi aggressive nhi ban jata.... Or rahi baat Amit ke mahan hone ki to wo chudai se nahi apne dil ke bajhe se hai jaise wo sab ko dil se pyar or respect karta hai is wajah se...... Or last point ye story bohot lambi story hai to characters me improvement bhi dheere dheere hoga to patience rakhiye hero sab se badla lega😅😅 but ak din me nhi.... Accha hai na itni acchi story hai jitna din chalti rahe utna accha😂😂... Agar aap ko kuch bura laga ho to sorry main bas apna point rakh raha tha
 

Vik1006

Well-Known Member
3,322
12,956
158
Update 249



Subah meri ankh aadatan jaldi khul gyi . Main jaise hi thoda hila to mujhe mehsus hua rita mere sath poori chipki hui thi. Kambal k andar hum dono hi nange the . Rita mausi karwat liye lagbhag mere upar hi thi. Dayan bazu aur dayi tang poori tarah mere upar thi. Mera land bhi shayad garmi mehsus karta mujhse pehle hi jag chuka tha . Mausi ki mansal jaangh k neeche land poori tarah akda hua tha . Maine hum dono k upar se kambal hataya to mausi ka gora badan dekh kar ek bar to man hua k ek aur round ho jaye . Par ye samay sahi nahi tha . Maine mausi ki bahar ko nikali bhari gaand ek bar ache se masli to mausi neend me hi kunmunai.

Rita : kya kar rahe ho , sone do na .

Amit : mausi darling subah ho gyi hai. Isse pehle koi yahan aaye aap apne kapde pehen lo. Main bhi ja raha hun bahar .

Mausi ne neend se jagte hue ankhe halke se kholi aur mujhe dekha . Maine unke honthon ko choom kar unhe pyar se sehlaya to unhone bhi mujhe kiss kiya .

Amit : ab to garmi nahi lag rahi hai na ?

Hum dono kapdon k bina the aur kambal bhi Maine hata diya tha to mausi ko sardi ka ehsas hua .

Rita : mere kapde ?? Aur ye kambal tumne hataya na ? Sharam nahi aati . Chalo utho jaldi mujhe bhi utne do .

Mausi ki harkat dekh kar mujhe hansi aa gyi aur maine ek bar fir se mausi k chutad sehla kar ek thappad unke chutado par jad diya .

Rita : ccccc pagal ho gye ho kya ?? Itni zor se mar rahe ho .

Amit : rat ko ye bach gye the , agli bar yahin se shuru karunga .

Itna keh kar main utha aur bathroom me chala gya . Kuch der me hi main taiyar ho kar akhade k liye nikal gya . Idhar mausi fir se kapde pehan kar thodi der aram karne ka soch kar fir se late gyi . Akhade me paseena bahane k bad main wapis ghar lauta to tab tak sab uth chuke the . Deepika mami mere piche hi garm doodh lekar aa gyi.

Deepika : aa gye akhade se ? Aaj kal kushti jyada hi khelne lage ho . Din kya rat kya .

Deepika mami k hath se Maine doodh ka gilas pakda aur pine laga . Doodh me aaj badam k sath mami ne ghee bhi dala tha .

Amit : aaj ghee bhi dala hai ?

Deepika : ab itni mehanat din rat jo kar rahe ho . Takat ki zarurat to padegi na . Waise rat me badi aawazen aa rahi thi tumhare kamre se .

Deepika mami ki bat sun kar mujhse thaska laga aur main unhe dekhne laga .

Deepika : aise kya dekh rahe ho ? Rat ko aayi thi main bat karne magar tum to yahan khat kabaddi me lage the . Waise didi kuch jyada hi joshili lagti hain jo itni awaz kar rahi thi. Rat kafi rangeen rahi fir ?

Amit : han wo kal kuch jyada hi josh me thi. Aaj wapis ja rahi hain na to maine bhi mana nahi kiya . aapko jalan ho rahi hai kya ?

Deepika : wapis ja rahi hain ? Mujhe to bataya nahi . Aur mujhe jalan kyun hone lagi ? Pehla hal to mera hi hai hisab se . Jab chahun le sakti hu.

Amit : to le lijiye na , waise bhi bahut samay ho gya hai .

Maine Deepika mami ko apne sath laga kar unhe kiss karne ki koshish ki to unhone mujhe piche dhakel diya .

Deepika : bas bas , pehle mehmano ko sambhalo . Main to yahin hun . Rat didi ko khush kiya hai to ab wo shaitan ki nani bhi aayegi. Uske liye thoda bacha k rakho .

Tabhi mujhe baba ki awaz sunai di jo mujhe aangan se hi awaz de rahe the . Main unki awaz sun kar jaldi se neeche aa gya.

Amit : ji baba

Vijay : tumhe aaj koi zaruri kam to nahi hai na ?

Amit : nahi baba aap kahiye .

Vijay : kuch khas to nahi hai bas aaj panchayat me kuch mehman aane wale hain . Sarpanch sahab keh rahe the k main tumhe leta aaun udhar . Akhir hamare gaon ka nam roshan karne wale ko to mehmano se milawana banta hai k nahi . Tum jao aur naha dho kar pehle nashta kar lo . Fir chalte hain chaupal me .

Amit : ji baba.

Baba k chehre par fakhr aur khushi saaf nazar aa rahi thi . Unko dekh kar mujhe bhi acha lag raha tha . Main jaldi se kamre me gya aur naha dho kar taiyar ho gya . Neeche aaya to baba nashte k liye mera intzaar kar rahe the . Ye bat wo shayad sab ko bata chuke the is liye sab ke chehre par khushi thi. Main abhi baitha hi tha k ma mere pas aayi aur mujhe ghuma kar apni taraf karte hue ek hath me lal mirchi pakde mere sar se paon tak clock wise ghumane lagi . Ab humen to pata hi tha k ma kya kar rahi hai . Par Kalpana bade gaur se dekh rahi thi . Ma kuch nahi boli aur na hi main. Meri nazar utarne k bad ma wo mirchi hath me pakde chulhe ki taraf gyi aur use wahi jala diya . Fir wo sidha wapis mere pas aayi aur apni ankh se kajal ungali par laga kar mere kan k piche lagane lagi .

Gauri : bhagwan kare kisi ki nazar na lage tumhe. Suniye ji keh deti hun aapko , ise kisi k sath mat bhejna aur na hi jyada iski barhai karna. Pata nahi kaun log aa rahe hain. Kahin nazar hi na laga den.

Vijay : ha ha ha , tum bhi na , pta nahi kya kya sochti rehti ho . Are pas k hi gaon k log hain aur unke kuch sathi. Sarpanch sahab bas apne gaon ka roab dikhana chahte hain aur kya . Thodi der ka hi kam hai aur kahin nahi jana humne .

Gauri : pata hai ji mujhe apka bhi aur aapki panchayat ka bhi . Chal Deepika jaldi khana se ise warna kahin khana beech me hi chhod kar na chale jayen ye dono .

Ma k aage baba ki bolti bhi band thi. Par ma k is tarah bat karne se dabe chhipe sab hans rahe the . Siwaye Kalpana k .

Gauri : kya hua beti , tum aise kya dekh rahi ho ?

Kalpna : wo Aunty wo sab kya tha jo apne abhi kiya .

Gauri : tumhe nazar utarne ka nahi pata ? Laal mirchi se nazar utar kar fir us nazar ko aag me jala diya jata hai taki usse koi buri ghatna na ho. Lagta hai tumne kabhi dekha nahi pehle .

Kalpana : kaise dekhti ? Ma to bachpan me hi chali gyi thi humen chhod kar . Aur papa ye sab mante nahi .

Kalpana ki bat sun kar ma uske pas gyi aur use apne gale laga liya .

Gauri : main kya teri ma nahi hun ? Aaj k bad kabhi aise mat sochna k tumhari ma nahi hai. Jab dil kare aa k mil liya kar apni is ma se . Idhar aa pehli teri nazar utarun kahin meri hi nazar na lag jaye .

Kalpana ki ankhon me nami aa gyi thi aur usne ma ko kas k gale se laga liya . Fir ma ne use bhi bithaya aur uski waise hi nazar utari jaise meri utari thi . Idhar maine aur baba ne nashta kar liya tha aur fir hum dono ghar se paidal hi nikal liye . Ghar se nikalne se pehle baba ne sir par pagadi bandh li . Aisa wo kabhi kabhar hi karte the kisi khas mauke . Par aaj shayad meri vajah se aisa kiya tha . Mujhe baba ko khush dekh khushi ho rahi thi. Ghar se lekar chaupal tak jo bhi raste me mila sabne baba ko izzat se bulaya . Yahi to kamai thi baba ki k har koi unhe poori izzat deta tha . Chaupal me ummeed k mutabik pehle se hi gaon k kuch bade baithe hue the . Fir unse milne k bad hum sab sath me panchayat wale daftar me gye . Yahi ek jagah thi jahan panchayat k sab kam hote the . Warna chote mote masle to wahin peepal k neeche bani chaupal me hi suljha liye jate .

Sarpanch : wah bhai wah , aaj to hamara sher bhi aya hai panchayat me . Shabash beta , aise hi gaon ka nam roshan karte rehna . Suna hai agle mahine bahar kahin ja rahe ho khelne k liye. Kisi bhi tarah ki koi bhi zarurat ho to nissankoch mujhe batana . Tumhare liye hum kuch bhi karenge . Kyun bhai pancho.

Sarpanch sahab ki bat me sab logon ne han han me han milayi .

Amit : shukriya sarpanch sahab , aapke ashirwad se sab ache se chal raha hai. Rahi bat zaruraton ki to baba mere bina kahe hi khud se sab kar lete hain fir bhi koi zarurat kabhi padi to main zarur kahunga .

Mere jawab se baba ki khushi aur barh gyi aur sarpanch sahab bhi khush ho gye . Tabhi bahar 2-3 gadiyan aa kar ruki jinme se kuch log utar kar aaye aur sarpanch sahab k sath baba aur baki sab mil kar unka swagat karne lage .

Sarpanch : aao bhai aao , tumhara hi intzar kar rahe the . Aao baitho , inhe to aap jante hi hoge hamare vijay bhai sahab aur ye hai inka suputr hamare gaon ki shan , Amit . Aur aap hain hamare sham sundar ji. Xxxx gaon k mukhiya .

Sham sundar : to tum ho wo naujwan jisne mela hi loot liya tha kushti jeet kar . Dekhne me to Umar se kache lagte ho par kam bada kar diya . Kismat k dhani malum hote ho . Warna hamare bete ka samna nahi kar pate agar wo udhar ata to .

Ye kuch ghamandi aadmi lag raha tha baton se. Main bhala ab kya bolta badon me. Agar baba wahan na hote ya mamala gaon ka na hota to koi jawab de bhi deta

Vijay : mehnat se pake fal kismat ki barish k mohtaj nahi hote bhai sahab. Aapka beta bhi khoob mehnat kar k bana hoga . Wo bhi nam kama lega. Rahi bat mere bete ki to aapne sahi kaha Umar se kacha hai par iradon se nahi .

Baba ki bat par jahan sab prashansa bhari nazron se unhe dekh rahe the wahin is sham sundar k ghamand ko jaise thes pahunch gyi

Shamsundar : to jaye kisi din ek mukabla dono k beech . Pata chal jayega kaun kitne pani me hai . Waise ye koi zaruri nahi , chahe to ye nam wapis bhi le sakta hai. Jitne wale ko 5 hazar inam meri taraf se .

Sarpanch: chhodo bhai kya bat lekar baith gye tum bhi. Hum yahan kis liye ikattha hue hain aur aap kya bat lekar baith gye .

Shamsundar : are isme harj hi kya hai , hum kaun sa koi galat bat kar rahe hain. Balki isse to iska fayda hi hoga . School kalej ka kharcha hi nikal jayega agar jit gya to.

Vijay : shukriya bhai , bhagwan ki daya se itne Samarth to hum hain k iska kharcha utha sakte hain. Rahi bat jeet har ki to usme yahan kisi ko koi shak nahi hoga k jeet isi ki hogi

Is bat se to shamsundar jaise aag babula ho utha .

Shamsundar : lagta hai tumhe apne is chuze par jyada hi ghamand hai . Ab to mukabla ho kar rahega . Suno sarpanch ji jald se jald aap mukabla rakhiye . Baki sab kam bad me dekhe jayenge .

Sarpanch : are bhai aap dono kya lekar baith gye . Hum yahan is liye ikattha hue the k apne ilake k vikas k ruke hue kam karwane k liye prashasan se bat karen aur aap aapas me hi yahan bhidne baith gye .

Shamsundar : wo sab kam hum karwa lenge sarpanch sahab uski chinta mat karo . MLA ka sachiv hamari jan pehchan ka hai . Aur wahan collector k daftar me bhi meri mausi ka beta laga hua hai . Hum to yahan aapke kehne par milne chale aaye . Par aapke log kuch jyada hi hawa kar rahe hain. Gaon se lekar MLA k daftar tak sundar pehelwan ko sab salam thokte hain. Aur mera beta mere se bhi 2 hath aage hai. Ab ya to aap mukabla karwaiye ya fir sab kam bhool jaiye . Kyun ki jab tak mukabla nahi hoga tab tak main koi kam hone bhi nahi dunga .

Shamsundar ki bat sun kar sab ek dusre muh dekhne lage . Bat kahan se kahan chali gyi thi. Ye aadmi to kuch jyada hi pahunchi hoyi cheez malum pad raha tha . Shayad ranneeti se jud aadmi hoga .

Vijay : dekho bhai mera beta koi numaish ki cheez nahi jise har jagah dikhaya jaye . Main to use yahan is liye lekar aya tha k sarpanch sahab aisa chahte the . Rahi bat mukable ki to ise abhi bahut sare bade bade mukable khelne hain. Aise gaon nukkad me ise main nahi khilaane wala . Vikas k kam hum khud dekh lenge k kaise karwane hain

Shamsundar : sidhe sidhe kaho na k dar gye . Waise bhi ise dekh kar lag hi raha hai k jyada der thehar na payega .

Sarpanch : shamsundar ji aap ek pehelwan reh chuke hain. Isi liye maine inhe yahan bulaaya tha k aap mil kar khush honge par aap to bat ko kisi aur hi rang me le rahe hain .

Shamsundar: pehelwan hun isi liye ye bat kahi hai. Jab tak chunautiyan samapt na ho jayen koi khud ko bada pehelwan nahi kehelawa sakta . Aur aap sab ne iski itni barhai kar rakhi hai k har taraf iski charcha ho rahi hai . Mujhe ye manzoor nahi . Mera beta isse kahin jyada majboot pehelwan hai . Ya to ye sabit kare k ye wali kabil hai ya fir bhool jao k koi kam yahan kabhi ho payega . MLA is ilake me mere pooche bagair kahin paon na rakhta aur kam to koi karega bhi nahi jab tak main na chahun .

Dil to mera kar raha tha k main abhi iski chunauti utha kar iska muh band kar dun par baba ne mara hath daba rakha tha . Is liye main khamosh khada raha .

Vijay : sarpanch sahab mere khyal se humen ab chalna chahiye . Aye the kis bat k liye aur ho kuch aur hi raha hai . Agar mere jimne koi sewa ho to Sandesh bhej dena .

Abhi baba ne apni bat kahi hi thi police ki gadiyan Siren bajati hui gaon me parwesh kar gyi. Aise kabhi nahi hota tha hamare gaon me. Sab ki nazaren usi taraf ghoom gyi . Ek nahi do nahi balki ek k bad ek gadiyan thi . 2 gadiyan aage police ki siren aur Laal nili batti k sath thi uske piche 2 badi gadiyan lal batti lagi hui thi aur last me bhi 2 gadiyan police ki . Siren bajati gadiyan chaupal k pas aa kar ruki aur police wale ne ek aadmi ko bulakar pata pucha aur gadiyan aage barh gyi. Yahan sab hairan the k majra Kya hai . Jis aadmi se police walon ne pata poocha tha wo bhagta hua idhar hi aa gya .

Aadmi : han gya hua ) vijay bhaiya koi masla hua hai kya aapka ?

Vijay : nahi to , tum kyun puch rahe ho .

Sarpanch : wo log tumse kya puch rahe the ? Kaun aya hai ?

Aadmi : sarpanch sahab wo vijay bhaiya ka pata hi pooch rahe the . Maine poocha kaun hai to kuch nahi bole . Gadiyon me sab bade afsar log hi baithe hain police k . Kauno panga to nahi hua bhaiya aapka ya kisi aur ka ghar pariwar se. Agar hai to bata dijiye hum sab aapke sath hain.

Ab ye bat sun kar to baba k chehre par pareshani nazar aane lagi. Main bhi samajhne ki koshish kar raha tha . Aur jaise hi mujhe andaza hua mere chehre par muskan aa gyi

Sarpanch : bat kya hai bhaiya ? Humen batao hum aapke sath hain

Vijay : mujhe to khud nahi pata k kya bat hai aur ye log hain kaun .

Udhar shamsundar apne Mobile par kise se bat kar raha tha . Bat karne k bad wo bhi bola

Shamsundar : jao jao dekh lo jakar kaun aya hai. MLA k sachiv se bat hui hai meri wo idhar nahi aaye hain. Ab agar koi masla hua to bata dena main unse bat kar k hal karwa dunga . Par shart ye hai k tumhare bete ko fir mere bete ka loha manna hoga .

Shamsundar ki is bat par baba ko gussa to aya par wo shant rahe . Jabki mujhe hansi aa rahi thi . Baba sabko sath liye wahan se ghar ki taraf chalne lage to Maine shamsundar se kaha.

Amit : uncle please aap hamare sath chaliye na . Aap ki pehchan to MLA tak hai aur apka bhai collector office me bhi hai. Aap sath chalenge to hamari badi madad ho jayegi . Fir aap jo kahenge main man lunga .

Vijay : ye tum kya keh rahe ho Amit .

Amit : main theek keh raha hun baba , aap chaliye na uncle .

Shamsundar: lagta hai apne baap se jyada samajhdar ho tum. Chalo dekhte hain kaun hai. Abhi ek phone kar k wapis bhaga dunga use .

Shamsundar to ghamand me foola nahi sama raha tha . Use laga k Maine ghutne tek diye . Par use kya pata tha k wahan kya hone wala hai . Meri bat sun kar shamsundar bhi ghamand se gardan unchi kiye apne aadamiyon k sath liye hamare sath chal pada . Hum jab hamare ghar k pas pahunche to dekha sab gadiyan line me ghar k bahar khadi thi aur police wale sab bahar pehra de rahe the . Itne sare logon ko dekh kar wo sab mustaid ho gye aur jo gadiyon me baithe the wo bhi bahar nikal aaye . Sarpanch baba k sath aage the aur shamsundar bhi apni hekadi dikhata aage aa gya . Main khamoshi se baba k piche hi tha . Tabhi ek policewala hath me hun pakde hamari taraf barha aur hath ka ishara kar k rok diya .

Policewala : ruk jaiye , kaun hain aap log aur idhar kya karne aaye hain ?

Shamsundar: namaskar bhai mera nam shamsundar hai , log mujhe sundar pehelwan k nam se jante hain. MLA ka khas aadmi hun. Aur ye sab isi gaon k log hain. Yahan kaun aya hai aur kya bat hui hai ? Koi lafda to nahi hai ?

Baba k bolne se pehle hi sundar pahalwan apni pardhanagi dikhane laga . Par main bas mand mand muskura raha tha .

Police wala : nahi koi masla nahi hai aap log ja sakte ho yahan se .

Shamsundar: dekho bhai ye inka ghar hai, agar koi masla hai to humen batao . Warna hum MLA sahab ko yahin bula lenge aur fir tum sab ko dikkat hogi .

Police wala : baba se ) ye aapka ghar hai sir ? Theek hai aap aa jaiye baki sab yahin rukiye .

Ab baba ko itni ijjat dete dekh shamsundar ko aur gussa aa gya . Kyunki uski bat to ansuni kar di thi police wale ne .

Shamsundar: dekho ye theek bat nahi hai , tum aise humen nahi hai rok sakte . Tumhe abhi pata nahi main kaun hun . Ek phone kar k tumhari wardi utarawa dunga . Mera bhai collector daftar me kam karta hai .

Shamsundar kuch jyada hi taish me aa gya tha . Udhar piche se ek inspector mamala bigadta dekh hamari taraf hi aa gya .

Inspector : kya bat hai constable kya keh rahe hain ye log ?

Police wala : sir ye sab andar jana chahte hain. Bol rahe hain k ye MLA k khas hain aur inka bhai collector office me kam karta hai . Meri vardi utarawane ki bat kar rahe hain .

Inspector: oh acha , to lagao phone apne us bhai ko ya MLA ko . Par unhe pehle ye bata dena k yahan Ritu singh aur Rathore sahab dono apne niji kam se aaye hain aur tum zabardasti unse milne ki koshish kar rahe ho . Fir dekhte hain wo kya kehta hai.

Ritu singh aur Rathore sir ka nam sun kar sab k kaan khade ho gye . Baba k chehre par ab muskan aa gyi thi. Unhone meri taraf dekha to mujhe muskurata dekh kar wo sab samajh gye k main pehle hi janta tha .

Shamsundar: kyaaa ? SP madam aur Rathore sahab dono yahan aaye hain ? Par wo to kisi k yahan jate nahi fir wo yahan kyun aaye hain .

Inspector: ye bat to unhe hi pata hogi , tum apni chonch bich me mat adao warna Rathore sahab to fir bhi baksh denge magar ye jo vardi utarawane ki bat tumne kahi hai na. Agar ye bat madam ko pata chali to yahan se ghar tak nange hi jaoge wo bhi police ki khatiradari k bad . Jao yahan se , jab tak bulaya na jaye yahan mat ana .

Shamsundar ki to ab bolti hi band ho gyi thi aur wo nazren churata muh chhupane laga . Ritu singh ka khauf uske chehre pe saf nazar aa raha tha . Maine baba ko khamosh rehne ka ishara kiya aur Uske maze lene k liye main usse bola .

Amit : uncle please kuch kijiye na , kahin ye log hamen andar na karwa de .

Shamsundar: are ku kuch nahi hoga . Main keh raha hun na .

Sarpanch : sundar bhai MLA to apko bahut mante hain na . Aap unse hi ek bar bat kar k dekho . Unki to ye log man hi lenge . Vijay bhai bahut hi sajjan vyakti hain . Inke sath kuch galat nahi hona chahiye .

Shamsundar: main karta hun kuch .

Shamsundar apni jeb se mobile nikal kar koi no. Milane laga . Samne wale ne phone uthaya to shamsundar bat karne laga . Phone ki volume itni unchi thi k pas khada main asani se sun sakta tha .

Shamsundar: bhai sahab kya hal hain aapke aur MLA sahab kaise hain . Main sundar pehalwan bol raha hun xxxx gaon se .

Samne wala : han han , kahiye kya kam tha . MLA sahab zara abhi khana kha rahe hain .

Shamsundar: oh acha acha , ji kam to kuch khas nahi tha . Main is waqt xxxx gaon me hun . Yahan meeting k liye aya tha MLA sahab k hi kam se . Yahan thodi dikkat ho gyi hai. Police wale humen apna roab dikha rahe hain. Maine unhe kaha bhi k main MLA sahab ka khas aadmi hun . Par wo to ulta roab jhaad rahe hain. Aap zara in logon se bat kijiye .

Shamsundar ne jan bujh kar MLA k kam ka hawal dekar us aadmi ko apni taraf se sifarish karne ko kaha jo shayad MLA ka hi sachiv tha jiski ye pehle hi deenge hank raha tha . Shamsundar ne mobile inspector ki taraf barhaya to usne pakad liya aur bat karne laga .

Inspector: main inspector karan rane bol raha hun .

Samne wale ne kuch kaha jo main sun nahi paya .

Inspector: dekhiye main sp Ritu singh ji ki suraksha me tainat hun aur yahan wo apne niji kam se aayi hain. Aur wo akeli nahi ayi Rathore sahab bhi unke sath aaye hain. Ye log zabardasti unse milne ki koshish kar rahe hain.

Samne wale ne fir kuch kaha aur inspector ne ok keh kar mobile wapis shamsundar ko de diya aur bat karne ko kaha .

Shamsundar: hello

Samne wala : tumhara dimag kharab ho gya hai kya ? Jis Ritu singh k samne MLA sahab kuch nahi bolte tum usi se panga lene ki bat kar rahe ho . Pehle mujhe bata dete to main inspector se bhi bat na karta . Apni khairiyat chahte ho to chupchap nikal lo . Agar Ritu singh k hathe charh gye to main kya MLA sahab bhi kuch nahi kar payenge . Ab phone rakho aur aainda aise phone mat karna .

Shamsundar ki to hawa hi tight ho gyi thi . Call par sachiv kuch jyada hi gusse me aur zor se bola tha jisse uski awaz aapas khade logon k kano me bhi pahunch gyi thi . Ab sarpanch sahab bhi usse door hone lage . Tab mere dimag me ek idea aya k baba ki izzat in sab k samne aur barhayi jaye . Maine jeb se mobile nikaala aur call laga di .

Vijay : kise phone kar rahe ho beta ?

Amit : ek dost ko , inse to kuch hua nahi par wo hamari madad zarur karega .

Shamsundar: khisiyate hue ) hunnn laga lo tum bhi phone . Abhi pata chal jayega kitne pani me ho . Jab MLA is mamale me nahi ghus raha to aur kaun aayega.

Shamsundar apni izzat bachane k liye aise bat kar raha tha . Par use kya pata tha k ab ek aur dhamaka hone wala hai kyunki Maine phone kisi aur ko nahi balki Ritu singh ko hi lagaya tha .

Amit : hello , kya aap bahar aa sakti hain ?

Ritu : lo karlo bat , main tumhare ghar tumhe surprise dene aayi hun aur tum khud hi bahar ho . Ab bahar kyun bula rahe ho mujhe ?

Amit : zaruri hai , yahan koi hai jo mera mazak uda raha hai .

Meri bat ka jawab diye bina hi Ritu singh ne phone kat diya main samajh gya k ab kya hone wala hai .

Shamsundar: kyun ho gyi bolti band ? Usne to nam bhi nahi pucha . Bat karta hai ,, huhhh

Shamsundar fir se apni akad dikhane laga . Baba ne ek bar use dekha aur fir mujhe andar chalne ko ishara kiya par maine unhe rukne ko kaha . Tabhi hamare ghar ka gate khula aur andar se Ritu singh bahar nikali . Use dekhte hi police wale jaldi se gadiyon k pas pahunch gye aur ek ne darwaza khola . Par unhe mana karti Ritu singh hamari taraf hi aa gyi . Sir par police ki topi aur chust fitting ki police wali vardi me Ritu singh is waqt kayamat hi lag rahi thi. Jaise kisi heroin ko uniform me khada kar diya ho . Kayamat to wo thi hi par is waqt use apni taraf ata dekh kaiyon k dil ghabra gye the . Khas kar k shamsundar ka .

Ritu : are aap log yahan bahar hi khade hain ? Main aur Rathore sir kab se aapka intzar kar rahe hain . Inspector aapne unhe bahar kyun khada kar k rakha hai ? Jante ho ye mere kitne khas hain. Aur Rathore sir specially inhe milne yahan aaye hain.

Ye bat sun kar to sabki bolti band ho gyi . Sab hath jode khade the . Shamsundar to fati aankhon se kabhi Ritu singh ko to kabhi mujhe dekh raha tha .

Inspector: sorry madam humen nahi pata tha ye log sab ek sath aa rahe the to humne rok diya .

Sarpanch: vijay bhaiya aapne bataya nahi k ye aapse milne aye hain .

Vijay : mujhe bhi kahan pata tha ye sab . Beta tum jante the .

Amit : pata to nahi tha par andaza ho gya tha . Kahiye shamsundar ji , ab kuch kehna chahenge aap .

Shamsundar ki to bolti band thi . Baki sab bhi ab use ghrina se dekh rahe the .

Ritu : dekhiye ek bat kaan khol kar sun lijiye . Ye mera pariwar hai , agar kisi ne inke sath koi bhi gustakhi ki to fir use main dekhungi aur main kaisi hun ye aap sab logon ko pata hi hoga .

Ritu ki is dhamki k bad to sab k chehron par dar k badal chha gye . Par baba ne unka dar door kiya .

Vijay : are nahi Ritu ji aisa kuch bhi nahi hai . Sab apne hi hain .

Ritu ne meri taraf dekh kar ishare se poocha hi maine shamsundar ki taraf ishara kar diya

Ritu : tum ( shamsundar) idhar aao . Tum kahan rehte ho ?

Shamsundar: hath jod kar ) ji main yahin pas hi xxx gaon ka rehne wala hun. MLA sahab ka khas aadmi hun .

Inspector: madam ye sahab constable ko vardi utarwane ki dhamki bhi de rahe the .

Ritu : gusse me ) kya kaha ?? Tu vardi utarawayega . Vardi ko baap ki jagir samjha hai kya ? Ya kisi MLA ki khairat jo tu utarawayega ? Inspector utarawao iske kapde aur bhejo yahan se nanga . Jakar pooch lena apna MLA se k Ritu singh kaun hai .

Shamsundar to gidagidane laga Ritu singh ki bat sun kar .

Shamsundar: maaf kar do madam galati ho gyi . Wo main to in logon ki madad hi kar rahe tha .

Vijay : Ritu ji rehne dijiye , hamari khatir jane dijiye. Aap hamare ghar pehli bar ayi hain. Humen sewa ka mauka dijiye .

Ritu : pehli bat k mujhe ji mat kahiye . Aapse chhoti hun main . Aap kehte hai to chhod deti hun warna vardi par ungali uthane wale ko main chhodti nahi fir chahe wo koi bhi ho . Chaliye ab andar , sab intzar kar rahe hain .

Shamsundar to ab hath jod kar baba ko dhanyawad kar raha tha aur mere aage to nazren hi jhuka li . Main baba aur Ritu teeno ghar k andar chal diye . Andar to alag hi mehfil lagi hui thi . Kalpana k papa chair par baithe hue the aur baki sab unhe gher kar khade the . Khas kar naina didi aur Kalpana didi . Kalpana has has k apne papa ko dono k kisse suna rahi thi aur wo bhi barabar lapet rahi thi Kalpana ko . Humen aya dekh kar Rathore sir apni chair se uth khade hue hath jod kar .

Vijay : are are Rathore sahab aap kyun khade ho rahe hain. Aap itne bade aadmi hamare gareeb khane par aaye hain . Mujhe to yakeen nahi ho raha .

Baba ne hath jod kar Kalpana k papa ka abhiwadan kiya aur wo bhi utni hi shaleenta se mile .

Rathore : are bhai sahab aise takalluf mat kijiye . Main yahan collector ban kar nahi Kalpana k bap ki haisiyat se aya hun . Shukraguzar to main aapka hun k aapne itne din meri bachi ko apne ghar me panah di. Bahut hi pyara pariwar hai apka . Dekh raha hun meri bachi yahan aa kar kitni khush hai . Itna khush to maine kabhi ise apne ghar bhi nahi dekha . Main kaise shukriya ada karun apka .

Gauri : ye ab hamare pariwar ka hi hissa hai bhai sahab . Aise shukriya keh kar paraya mat kijiye humen .

Rathore : maaf kijiye mere wo matlab nahi tha . Wo kya hai na , bina ma k Pali hai na to mujhe hamesha se lagta raha hai k main ise wo pyar nahi de paya jiski ise sabse jyada zarurat thi . Ma ka aur pariwar ka pyar . Aap logon ne wo kami bhi poori kar di hai .

Gauri : itne dino me hi Kalpana itna ghul mil gyi hai k ab to lagta hi nahi ye hum me se nahi . Ab se ye isi pariwar ka hissa hai . Jab chahe aaye jaye iske liye hamare darwaze hamesha khule rahenge .

Ma ki bat sun kar Kalpana ma k pas gyi aur unhe gale laga liya . Kalpana kuch jyada hi emotional ho gyi thi aur ye dekh kar uske papa ki ankhon me bhi nami aa gyi jise unhone jaldi se saaf kiya aur muskurane lage .

Rathore : aur bhai barkhurdar kaise ho tum ? Lo maine apna wada poora kar diya . Ab to koi aur shart nahi hai na ?

Amit : kaisi bat kar rahe hain uncle . Main to bas yahi chahta tha k ek bar aap sab se mil le . Isi liye yahan aane ki request ki thi .

Rathore : ye tumne sahi kam kiya tha warna main itne ache pariwar se mil hi na pata shayad . Wada nibhane aa gya warna waqt hi kahan milta hai .

Udhar kitchen se Manju bua hath me tray liye aa gyi. Aur aate hi pehle Rathore sir aur Ritu singh ko cup diye .

Vijay : gudiya tum ye sab kyun kar rahi ho ? Sab hain to yahan wo kar lenge kam .

Manju : aap nahi jante bhaiya ise ( Ritu ) mere hath ki coffee bahut pasand hai . Aaj pehli bar yahan aayi hai to kaise na pilati ise . Aap pehle to isse nahi mile honge ? Ye meri best friend hai behan ki tarah . Ritu singh .

Vijay : ohhhh to isi liye aap yahan itni door tak chali aayi . Chalo ye bhi acha hai humen ek aur behan mil gyi .

Baba ne bhi yar se Ritu singh k sir par hath rakha . Ritu singh is mauke par kuch jyada hi emotional ho gyi thi . Apni ankhon me aayi nami unhone jaldi se saaf ki par ye sab ne note kar liya tha .

Vijay : kya hua behan ? Maine kuch galat keh diya kya ?

Ritu : nahi bhaiya aap ne kuch galat nahi kaha . Bas aapko dekh kar mujhe apne bhai ki yad aa gyi . Kitna farak hai aap me aur mere bhai me . Sage na hote hue bhi aapne itna pyar diya Manju ko aur mujhe bhi usi barabar man rahe hain aur ek mera apna bhai tha jise sirf mera fayada hi uthana tha.

Vijay : bahut hi badkismat hai wo bhai jisne itni pyari behan ko Kho diya . Mujhe khushi hogi agar tum mujhe apne bhai ki jagah de sako to .

Ritu : khush kismati to meri hai bhaiya .

Gauri : ab bas bhi karo , kya rukate ho rahoge chhoti behan ko . Thanedarni ji tum mere sath chalo . Ye to hain hi aise, chal Manju tu bhi sath chal . Itni badi afsar ho kar bachon jaise ankhen bhar rahi hai .

Ma Manju bua aur Ritu ko sath lekar apne kamre me chali gyi . Idhar baba aur Rathore uncle baten karne lage . Kalpana k papa ne use apna saman pack karne ko keh diya tha . Kalpana beman se apna saman pack karne chali gyi . Naina didi karuna didi uske sath hi thi . Rathore uncle ko kuch zaruri kam tha is liye unhone lunch tak rukne me asmarthata jatai. Baba ne bhi jyada zor na diya . Udhar se Kalpana bhi apna bag pack kar k aa gyi . Uske chehre par udasi nazar aa rahi thi .

Rathore : kya hua Kalpana ?

Kalpana : kuch nahi papa .

Rathore : to aise udas kyun ho?

Kalpana : wo itne dino se yahan sab k sath thi na to .....

Rathore : samajh sakta hun beti par hun k na ek din to jana hi tha na . Waise agar tum chaho to apni behno ko apne ghar sath lekar chal sakti ho. Waise bhi itna bada ghar khali khali sa lagta hai .

Kalpana : khush hote hue ) sach !!! Chalo na didi aap dono bhi hamare sath chalo . Abhi to chhuttiyan padi hain na . Kuch din aap hamare sath udhar reh lena .

Rathore : han han , use apna hi ghar samjho , waise hai to sarkari par jab tak yahan hun to adhikar hai mera . Ab agar apni is dost k papa ki thodi si izzat ho to kuch din hamare ghar chalo .

Naina : dost nahi uncle ye to hamari behan hi hai ab. Mujhe khushi hogi par ma se puchna padega .

Rita : jana chahti ho to tum dono ko main ijazat deti hun . Ek do din ki to bat hai. Par wada karo tum wahan ja kar koi shararat nahi karogi .

Rita mausi ne karuna aur naina didi k man ki bat samajh li thi aur ijazat de di shart k sath . Ye bat sun kar dono khush ho gyi aur sath hi Kalpana bhi

Karuna : bilkul bhi nahi mother india , hum dono achi bachi ban kar rahengi . Aur uncle ko bilkul bhi tang nahi karengi .

Rathore : behan ji aap inhe kuch mat kahiye . Beti bana kar le ja raha hun to beti ki tarah hi rakhunga . Ye jo chahe karen bas mere office aur files ko chhod kar sab inka hai.

Is bat se to dono aur khush ho gyi . Aur fir Kalpana dono k sath unka saman pack karwane chal di . Kuch der me teeno ka saman gadi me tha . Rathore sir ne jane k liye Ritu singh se pucha to unhone kuch der aur unke ki bat kahi . Kalpana sab se bari bari se mili . Ma baba ne use shagun k taur par kuch paise aur kapde diye .

Kalpana : aunty main ye nahi le sakti .

Gauri : kaise nahi le sakti ? Beti ki tarah rakha hai tumhe yahan to kya hum apni beti ko shagun bhi nahi se sakte . Agar nahi lena to hamen hamara pyar wapis kar do fir .

Kalpana ne ma ko gale se laga liya aur ma ne bhi use pyar diya . Last me Kalpana mere pas aayi . Use dekh kar lag raha tha k wo mujhe gale hi laga legi . Par sab k samne to aisa karna galat hota .

Kalpana : ab tumhe bhi udhar ana hoga . Kam se kam ek waqt khana khane to aa sakte ho na

Amit : zarur aaunga , aur tum bhi jab chahe yahan aa sakti ho .

Kalpna: wo to main ab aaungi hi. Tumse puchne ki zarurat nahi hai mujhe samjhe . Acha ab chalti hun .

Rathore sir k sath me teeno ladkiyan sawar ho gyi thi bari-bari sab se milne k bad . Ritu singh ki gadi aur 2 police ki gadiyan yahin ruk gyi jab ki Rathore sir ki gadi k sath 2 police ki gadiyan chal padi . Abhi gaadi chali hi thi k samne panchayat k log hath jod kar khade the jinhe dekh kar Rathore sir ne gadi rukawa li.

Rathore : aap log yahan kis liye khade hain ? Kuch kam tha kya ?

Sarpanch : collector sahab aap hamare chhote se gaon me padhare ye hamare liye fakhra ki bat hai . Vijay bhaiya hamare gaon k sabse ache aadmi hain. Hun sab aapke pas hi shehar aane wale the aur aap khud yahan aa gye. Darasal hamare ilake ki kuch samasyaen hain .......

Rathore : beech me bolte hue ) samajh gya , aapke jo bhi kam hain ya jo bhi apki mang hai aap wo ek kagaz par likh kar vijay bhai sahab tak pahuncha dijiye . Aapko shehar ane ki zarurat nahi hai . Aapka kam ho jayega . Aur aainda kisi bhi tarah ki pareshani ho to aap unse keh sakte hain. Acha ji ab main chalta hun mujhe zaruri kam hai kuch .

Itna keh kar Rathore sir ne gadi aage barhane ka kaha aur unka kafila gaon se nikal gya . Rathore sir ki baten sun kar sab log bahut khush hue aur unka dhanyawad karte hue hamare ghar ki taraf chale aye . Baba aur main bahar hi the . Aate hi sab logon ne baba ko kandhon par utha liya .

Vijay : are are ye aap log kya kar rahe ho .

Sarpanch: vijay bhai tum itne bade afsaron k sath uthte baithte ho aur fir bhi kabhi bataya nahi. Aise hi hum log us sundar k hath jod rahe the . Ab to sahab khud keh gye hain k sab kam ho jayenge . Aur jante ho kya kahe hain? Bol rahe the k koi bhi kam ho aapse kahen . Sab kam ho jayenge . Bolo vijay bhaiya

‘ Zindabad ‘ vijay bhaiya , zindabad ‘ ab sab mil kar baba k naare lagane lage . Baba unhe rok rahe the par wo sab kahan manne wale the . Baba ko kandhon par uthaye wo ab unhe chaupal ki taraf chal diye . Ab wahan kya kya hone wala tha mujhe pata tha . Main sath to jana chahta tha par fir khayal aya abhi ek mehman to ghar me hi hai . Unse bhi mil liya jaye . Main jaldi se wapis ghar me aa gya .
Awesome Update bro...
 

LordLuckyStrikeX

New Member
35
153
33
Pahle hi bolta hu main aapke against nhi bol raha bas mera point rakh raha hu.... Mere hisab se amit ko seher aye ak saal bhi nhi huye or aap dhyaan se dekhoge to is bich uska character pahle se bohot smart bana hai. Or rahi baat apne pehchan or power ki dhons jamane ki or fayda uthane ki to aise bohot log hote hai jo khud IPS officer hoke bhi apni power ka dhons nhi jamate ,unka character hi aisa hota hai humble type... Jinta main Amit ke character ko jana hu wo agar town ka sabse bada business man bhi ban jaye ta bhi wo itna hi humble rahega.... Gao se seher ane se kisi ka character nhi badalta, koi sidha ladka Saher ate hi aggressive nhi ban jata.... Or rahi baat Amit ke mahan hone ki to wo chudai se nahi apne dil ke bajhe se hai jaise wo sab ko dil se pyar or respect karta hai is wajah se...... Or last point ye story bohot lambi story hai to characters me improvement bhi dheere dheere hoga to patience rakhiye hero sab se badla lega😅😅 but ak din me nhi.... Accha hai na itni acchi story hai jitna din chalti rahe utna accha😂😂... Agar aap ko kuch bura laga ho to sorry main bas apna point rakh raha tha
Bahut hi achcha likha hai dost
 

odin chacha

Banned
1,415
3,451
143
Bhai sach bolu toh jyada ho raha hai aur character development slowly hota hai aisa nahi ki amit jhat se sahar aaya kuch bade log se mila aur fir baljeet rai ke saath ladai shuru, bro aisa nahi hota thoda toh realistic socho jo bhi log itne bade mukam par pahunchte hai unka journey utna hi kathin raha hai fir baljeet rai jaisi shatir aadmi jiske saath bade bade industrialist aur politician hai aur jo khud sahar ka sabse bada business man hai usko takkar dene ke liye amit ko pahele taiyar toh hona padega na aur aise wajah bhi solid honi chahiye kyun ki ab tak aisa kuch nahi hua jisse direct baljeet rai ke saath amit ka encounter ho fir family issues bhi hain jis me kamlesh mama ki tharkipan ko sambhalne se leke divya ki nafrat tak fir apne college life se hoke apne bahno ki security tak aur fir jinko usne help kiya hai unke saath bhi toh time spend karega na woh aur bich mein usko pyar karne walo ke chahat bhi puri karega isme thoda bahut chalata hai (aur aadhe se jyada reader sex dekhna jyada pasand karte hain) ya phir isko darkinar karke amit pahele baljeet rai se ladta firega aur woh ladega tab na jab dono ek dusre se milenge ya phir ek dusre ka raste ka kaanta banege yahan toh woh dono thik se ek dusre ko jaante tak nahi jahan itne sab kaand baaki hai aap direct 20 update mein story ending karne wali baat kar rahe ho...kamal hai fir toh aapko iss tarah ki long story padhna hi nahi chaiye kyun ki is tarah ki story jiban ke har pahelu ko dikhati hai fir apne end tak jaati hai...(mein kisiko quote nahi kar raha kyunki 'buddhiman ko ishara hi kaafi hai')
 

gagan243001

Member
367
1,311
138
Bhai sach bolu toh jyada ho raha hai aur character development slowly hota hai aisa nahi ki amit jhat se sahar aaya kuch bade log se mila aur fir baljeet rai ke saath ladai shuru, bro aisa nahi hota thoda toh realistic socho jo bhi log itne bade mukam par pahunchte hai unka journey utna hi kathin raha hai fir baljeet rai jaisi shatir aadmi jiske saath bade bade industrialist aur politician hai aur jo khud sahar ka sabse bada business man hai usko takkar dene ke liye amit ko pahele taiyar toh hona padega na aur aise wajah bhi solid honi chahiye kyun ki ab tak aisa kuch nahi hua jisse direct baljeet rai ke saath amit ka encounter ho fir family issues bhi hain jis me kamlesh mama ki tharkipan ko sambhalne se leke divya ki nafrat tak fir apne college life se hoke apne bahno ki security tak aur fir jinko usne help kiya hai unke saath bhi toh time spend karega na woh aur bich mein usko pyar karne walo ke chahat bhi puri karega isme thoda bahut chalata hai (aur aadhe se jyada reader sex dekhna jyada pasand karte hain) ya phir isko darkinar karke amit pahele baljeet rai se ladta firega aur woh ladega tab na jab dono ek dusre se milenge ya phir ek dusre ka raste ka kaanta banege yahan toh woh dono thik se ek dusre ko jaante tak nahi jahan itne sab kaand baaki hai aap direct 20 update mein story ending karne wali baat kar rahe ho...kamal hai fir toh aapko iss tarah ki long story padhna hi nahi chaiye kyun ki is tarah ki story jiban ke har pahelu ko dikhati hai fir apne end tak jaati hai...(mein kisiko quote nahi kar raha kyunki 'buddhiman ko ishara hi kaafi hai')
sorry shaktimaan


i didn't want to offend anyone.
 

LordLuckyStrikeX

New Member
35
153
33
Bhai sach bolu toh jyada ho raha hai aur character development slowly hota hai aisa nahi ki amit jhat se sahar aaya kuch bade log se mila aur fir baljeet rai ke saath ladai shuru, bro aisa nahi hota thoda toh realistic socho jo bhi log itne bade mukam par pahunchte hai unka journey utna hi kathin raha hai fir baljeet rai jaisi shatir aadmi jiske saath bade bade industrialist aur politician hai aur jo khud sahar ka sabse bada business man hai usko takkar dene ke liye amit ko pahele taiyar toh hona padega na aur aise wajah bhi solid honi chahiye kyun ki ab tak aisa kuch nahi hua jisse direct baljeet rai ke saath amit ka encounter ho fir family issues bhi hain jis me kamlesh mama ki tharkipan ko sambhalne se leke divya ki nafrat tak fir apne college life se hoke apne bahno ki security tak aur fir jinko usne help kiya hai unke saath bhi toh time spend karega na woh aur bich mein usko pyar karne walo ke chahat bhi puri karega isme thoda bahut chalata hai (aur aadhe se jyada reader sex dekhna jyada pasand karte hain) ya phir isko darkinar karke amit pahele baljeet rai se ladta firega aur woh ladega tab na jab dono ek dusre se milenge ya phir ek dusre ka raste ka kaanta banege yahan toh woh dono thik se ek dusre ko jaante tak nahi jahan itne sab kaand baaki hai aap direct 20 update mein story ending karne wali baat kar rahe ho...kamal hai fir toh aapko iss tarah ki long story padhna hi nahi chaiye kyun ki is tarah ki story jiban ke har pahelu ko dikhati hai fir apne end tak jaati hai...(mein kisiko quote nahi kar raha kyunki 'buddhiman ko ishara hi kaafi hai')
Bilkul sahi odin bhai. Maine kaafi logon ko dekha jo kahani ki slow speed se naraaz hai. 210th update ke aaspaas Raja bhai ne btaya tha ki ye kahani lagbhag aadhi ho gai. Ap lag raha aur kaafi lambi chalegi.Agar hero aur baaki ke characters ke sabhi sides ko dhang se dikhaya naa jaaye to fir kya maza hai iss kahani me. Jitni story lambi utna hum readers ke liye achcha :p
 
Status
Not open for further replies.
Top