Upload 269
‘ mr BALJEET rai kahan hain ? ‘
Subah hote hi police ki char gadiyan BALJEET rai k mehal numa aalishan ghar me ghus chuki thi. Gate par khade rehne wale bodyguard jo bandooken hath me rakhte the ab wo bhi hath upar kar k khade ho gye the police k dande k dar se . Police wale daudte hue ghar k andar ghuse aur laghbahg sabhi kamron me BALJEET rai ko khojte hue idhar udhar bhag rahe the . Is waqt ghar me Sheena uski ma Megha k ilawa ghar k naukar hi the. Sheena hall me hi thi , college Jane k liye wo ready hi hui thi k police wale ghar me aise aise ghus aaye jaise wo kisi apradhi ko pakadne k liye aye ho . Sheena to us waqt hairan hui jab uske samne Ritu singh uniform aa kar khadi ho gyi. Ritu k chehre par gussa aur sakhti k bhaw dekhte hi Sheena samajh gyi k wo uske papa ko lekar hi jayegi. Jis tarah Ritu ne bina kisi lag lapet k sidha sawal kiya tha Sheena samajh gyi k wo sirf ek officer ko haisiyat se yahan aayi hai
Sheena : papa ghar par nahi hain , par aap unhe kis mamale me khoj rahi hain? Wo ek businessman hain koi apradhi to nahin
Ritu : kisi par janalewa hamla karwaya hai unhone aur ye koi chhota apradh nahin. Hamare pas unke khilaf pukhta saboot aur gawah bhi hain. Is liye behtar hoga k humen unka pata do. Agar chhupane ki koshish ki to ye acha nahi hoga .
Halanki Ritu Sheena se bhi pyar karti thi par uske baap par gusse ki vajah se wo thoda rudely baat kar rahi thi ya fir duty par hone ki vajah se. Sheena bhi samajh gyi thi k zarur ye mamala Amit se juda hai magar use Ritu ka aise bat karna bhi bahut khalaa.
Sheena : main kyun chhupaungi bua ? Sorry ,,, madam , wo kal se hi ghar rahi aaye . Aur mujhe sach me nahi pata k wo kahan hain .
‘ how dare you enter in my house? Tum logon ki himmat kaise hui yahan aane ki? Kya tum nahi jante k ye kiska ghar hai? Tumhe andar aane kisne diya ? Guard !!!! Guard!!!! Bahar nikalo in sabko ‘
Ye Megha thi jo abhi abhi apne kamre se bahar nikli thi aur apne samne police walon ko kutton ki tarah talashi lete dekh aag babula ho gyi . Roz ki tarah kal rat bhi Megha night club se mauj masti kar k der rat wapis aayi thi. Is liye der se hi jagi aur kapde abhi bhi aise the k use khud hosh nahi tha apni halat ka. Jabki sab mardon ki nazar uske hi angon par thi. Bikhre baal aur aage se khuli hui nighty uske aadhe se jyada stano ko dikha rahe the aur janghon tak hi uska tan Dhaka tha neeche se nangi tange. Magar gusse me funkarti wo aise police walon par dahad rahi thi jaise ye ghar kisi bade neta ko ho jahan police wale ghusne ki soch bhi nahi sakte .
Ritu : mind your language madam , hum yahan duty kar rahe hain. Aur agar hamen duty karne se aapne roka to aapko bhi andar kar denge . Shayad aap khud ko kanoon se bhi upar samajti hain. Par aaj aapki sari galafehami door ho jayegi agar ek shabd bhi aur bola to. Main aapke husband ko arrest karne aayi hun aur ye raha arrest warrant .
Ritu ne sakht lehje me bat karte hue sath khade inspector ko ishara kiya jiske hath me warrant tha aur wo aage barha Megha ki taraf par Sheena ne uske hath se wo warrant lekar ek nazar dekha .
Megha : ohhh to tum ho ,,, badla lene aayi ho ,,,, han logi kyun nahi ,, itni badi officer ho to apni wardi ka roab to dikhaogi hi. Par tumne bahut badi galati kar di. Tumhari ye wardi ab main utarawa k rahungi. Us Manju ko aur tumhe , dono ko aisa maza chakhaungi …….
Sheena : maaaaa ,,,, chup ho jaiye . I am sorry officer please aap apna kam kijiye .
Megha ko beech me hi sheena ne khamosh karwa diya . Ek to wo galat bol rahi thi dusra Ritu k khinchte jabde dekh kar wo samajh gyi thi k wo uski ma ko bhi nahi chhodegi. Halanki Sheena ko ab Megha se ma beti wala lagaav to reh nahi gya tha par fir bhi wo nahi chahti thi k uski ma k sath police koi sakhti kare . Ritu ne bhi apna gussa kisi tarah kabu kiya .
Ritu : ye Khakhi wardi kisi k baap ki jagir nahi aur na hi kisi k talwe chat kar ya beimani se mili hai . Iski keemat tum jaise logon ko kya pata hogi jo khud dusron ki mehnat ki kamai par aish kar rahe ho. Wo Manju hi thi jo tum logon k julm chupchap sehti rahi. Ab main tum logon ko dikhaungi k kisi masoom k sath galat karne ka anjam kya hota hai. Inspector ,,, apne kuch aadmi yahin chhod do . Aur baki sab chalo , dekhen zara kis bil me chhipa baitha hai BALJEET rai.
Ritu ne BALJEET rai ka nam daant peeste hue liya . Megha uski ankhon me gussa dekh kar aur uski baten sun kar andar se dar bhi rahi thi par chehre par gusse k bhaw hi dikha rahi thi . Ritu fauran apni team k sath nikal gyi . Wo sidha ab D.P. International k main office main gyi. BALJEET rai isi jagah tha. Ye imarat char manzila thi jahan kai sare office the jo alag alag kaam aur branch dekhte the . Police walon ne jab reception se BALJEET rai k office k bare me poocha to un logon ne teesri manzil par bataya. Par sath hi BALJEET rai ko bhi khabar kar di. Waise to use pehle hi khabar mil chuki thi k police aa rahi hai aur wo taiyar tha .
Police jab teesri manzil par pahunchi to BALJEET rai wahan nahi tha . Ritu ka gussa sataven aasman par pahunch gya. Kuch police wale neeche gate par hi khade the aur kuch uske sath the. Ritu me sabko BALJEET rai ko dhoondhne ko kaha . Ek ek office me Che k karte karte akhir ek ghanta aise hi nikal gya . Last me jab Ritu BALJEET rai tak pahunchi to wo aram se apni ghumne wali chair baitha hath me peg pakde ghoom raha tha aur muskura raha tha .
Ritu : to yahan chhipe baithe ho tum . Maine kaha tha na apni harkaton se baaz aa jao aur amit ya uski family ki taraf aankh utha kar bhi mat dekhna par tum nahi maane . Ab main tumhe batati hun k police kya kar sakti hai.
Ritu gusse me BALJEET rai ko dekhti hui inspector ko ishara karti hai k wo use hathakadi lagaye . Aur wo inspector aage badta hai
BALJEET rai : itni jaldi bhi kya hai Ritu ji , aaj pehli bar mere office me aayi ho to kuch thanda le Lo . Garam to tum pehle hi bahut ho
Ye bat BALJEET rai ne Ritu ki body ko dekhte hue bade hi ghatiya tareeke se kahi aur kameene hansi hasne laga .
Ritu : lagta hai abhi tak tumhare dimag se nasha utara nahi. Jab tumhe yahan se ghaseet kar police station leke jayenge tab dekhungi k ye hansi aise hi rehti baink nahi. Aur han ,,, hamari mehman nawazi me kuch thanda nahin milne wala .
BALJEET rai : hum bhi garam k hi shaukeen hain aur tumse garam aur kya hoga .
Ritu BALJEET rai ki baton ka matlab samajh rahi thi aur uska gussa aasman chhu raha tha . Inspector ne jab BALJEET rai ko hathakadi lagane ki koshish ki to piche se ek awaz aayi .
‘ thehriye inspector,,,, aap unhe girfatar nahi kar sakte . Ye lijiye inki jamanat k kagazat. ‘
Ritu k piche se 5 aadmi kala coat pehne wakeelon wali weshbusha me office me aa gye . Unke hath me kagzat the jo unhone inspector k hath me pakda diye . Inspector bhi wo kagaz check karne laga aur fir Ritu ko wo kagaz dikhane laga . Ye wakeel koi aur nahi suraj Bajaj tha jo pehle pawan k sath kam karta tha aur fir BALJEET rai k sath shamil ho gya . Uske sath hi shehar k 2 aur bade wakeel bhi the .
Ritu to jamanat k kagaz dekh kar hi aagbabula ho gyi . Kyunki aaj Saturday tha , aaj adalat band thi isi liye to usne aaj ka din chuna tha BALJEET rai ko arrest karne k liye k use jannat na mile Monday se pehle aur wo uski ache se khatiradari kar sake . Par zamanat k kagzat dekh kar uska dimag kharab ho raha tha. Akhir bhrasht system ne paison k aage matha tek diya tha .
Ritu : how !!!!!! Tumhe aaj zamanat kaise mil gyi???
Suraj : kagaz zara dhyan se dekhiye madam , khud judge sahab ne ye order diye hain. Saturday ko court band hote hain judge nahi .
BALJEET rai : ab to khatiradari ka mauka dogi mujhe ??? Mere ghar se bhi tum aise hi chali aayi . Suna hai bahut tevar dikha rahi thi. Ab samajh aa gya k kiski kya aukat hai?? Maine tumhe samjhaya tha k mere mamalon me mat pado par lagta hai tum kuch jyada hi ziddi ho. Tumne apni chal chal li ab dekh main kya karta hun. Tune kya samjha tha k tu kya kar rahi hai mujhe kuch khabar nahi? Teri har ek bat tere hi department k log mujhe pehle hi bata dete hain. Aur tu mujhe giraftar karne aayi thi , kis binah par ??? Jao jakar pehle apne gawah dekh lo. BALJEET rai k khilaf uthti awaz khamosh kar di jati hai.
BALJEET rai ki baton me poori sachai thi aur uski paise ki takat ka ab jalwa khud usne dekh hi liya tha k aaj chhutti hote hue bhi jamanat mil gyi thi use. Par akhir me jo usne kaha wo sun kar Ritu pareshan ho gyi. Ye sidhi sidhi chetawni thi k Ritu k pas jo gawah hain unhe wo khamosh kar dega .
Ritu : bahut ghamand hai na tumhe, ek na ek din tumhara ye ghamand zarur tutegA. Us din dekhungi tumhari halat kya hoti hai.
Ritu itna keh kar gusse se wahan nikal gyi . Idhar BALJEET rai ne un wakeelon ko check dekar Rawana kiya aur ab sirf suraj Bajaj hi uske sath baitha tha
BALJEET rai : shukar hai tu time par pahunch gya warna thodi der aur hoti to wo mujhe arrest kar hi leti.
Suraj : are , to kya ho jata. Jamanat to mil hi gyi thi.
BALJEET rai : bat arrest hone ki nahi , meri jo insult hoti wo ?? Uska kya?? . Jaan se mar deta us saali SP ko.
Suraj : shant bhai shant ,, tu fir se shuru ho gya . Ab pehle wala balli nahi hai , BALJEET rai hai. Tere paas paise ki takat hai , ab usse upar kuch hai kya ? Thande dimag se socha kar. Waise ye mamala hai kya ? Tune to sab kam chhod diye the ab fir shuru ho gya . Un gawahon ka kuch kiya ya nahi ?
BALJEET rai : us sale ko to hamesha k liye chup karwa diya hai. Mere khilaf gawahi dene chala tha . Janta nahi tha kya mere bare me ,, khair chhod . Ye mamala zara personal hai. Tu chhod us bat ko.
Suraj : achi bat hai , waise main yahi kahunga k sidha sidha koi galat kam mat karo. Uske tewar dekh kar lag raha hai k ye is mamale ko personal le rahi hai
BALJEET rai : personal to legi hi , Manju ki khas dost hai ye. Aur us ladke k sath bhi kuch connection hai iska. ND ki maut k piche bhi iska hi hath hai. Ise to main chhodunga nahi.
Suraj : kyaaaa ??? ND k piche ye hai ?? Aur Manju ki saheli ??? Iska matlab tujhe Manju ka pata chal gya ???
BALJEET rai : han to , yahin hai wo
Suraj : aur ye kis ladke ki bat kar rahe ho tum ?
BALJEET rai : wo pawan ka sala tha na bada , vijay ,, usi ka beta hai . Mujhe laga tha k Manju fir se un logon k sath milne lagi hai to socha tha unhe zara akal de dun. Par sala sab ulta ho gya aur ab ye yahan tak aa gyi hai . Khai ab to main us mamale se piche hat raha hun. Meri beti use dost manti hai aur uski vajah se mujhe chhodne ko taiyar ho gyi thi. Isse pehle k bat bigade Maine bat ko khatam karna hi theek samjha. Manju to waise hi kuch lene se rahi aur ise main dekh lunga.
Suraj : vijay itne salon bad kaise samne aa gya ? Aur Manju bhi usse mil rahi hai. Khun ye log milkar koi adachan na khadi kar den. Tum jante ho na k Manju is company ki 50 % ki malik hai .
BALJEET rai : aaj ye bat zuban par aayi hai dubara na aye . Us vasiyat ko dekha hi kisne hai? Jo cheez hai hi nahi uski bat kyun karna. Chhodo sab , lo peg lagao.
Suraj ne BALJEET rai k badalte tevar dekh chup chap peg thaam liya . Waise bhi wo janta tha k uski bat ko katna uske hit me nahi hai is liye khamoshi hi achi hai.
Office se Ritu tezi se wapis headquarter ki taraf nikali , raste me hi usne phone par jankari lene ki koshish ki to pata chala billa par sath band hawalatiyon ne hamla kar diya hai jisse wo gambhir roop se zakhmi ho gya hai aur use hospital le jaya ja raha hai . Ye sunte hi Ritu gusse me galiyan dene lagi us police wale ko sari jankari de raha tha . Headquarter jane ki bajaye ab wo sidha hospital ki taraf chal di jahan billa ko le jaya gya tha . Ritu k pahunchne se pehle hi Dr ne use mrit ghoshit kar diya . Ye sunte hi Ritu ne zor se deewar me mukka mar diya . Use dard to bahut hua par jo dard uske dil me ho raha tha uske samne to ye kuch nahi tha .
Ritu : akhir ye hua kaise ? Kya kar rahe the tum log? Kisne kiya ye ??
‘ madam wo ,, wo billa k sath jo 3 log band the wo sab apas me jhagad rahe the aur isi me billa ko bhi chot lag gyi ‘ ek police wale ne darte darte bat batayi .
Ritu : gadhe ho tum log ???? Kisne kaha tha billa ko kisi k sath band karne ko ?? Maine saaf kaha tha k use sab se alag rakha jaye . Fir uske sath un baki badmashon ko kyun band kiya gya tha ??? Ye koi jhagda nahi , it’s a planned murder . Kaun tha wo ?? Kiske order par billa k sath un logon ko band kiya gya ??
‘ madam wo ,, shh ,, shh ,, Shukla ji ne band kiye the . Wo munna aur uske sathi jo 6 mahine se bhagode the lootpaat aur hatya k jurm k mamalon me . Kal rat hathe charh gye the unke . To sidha lockup me Lakar band kar diya . Baki lockup bhare hue the is liye billa k sath band karna pada ‘
Ritu : to Shukla hai wo kaali bhed ,,, jab apne hi log gaddar ho to insaf kisi ko kya khaak milega . Khan hai Shukla ? Use abhi k abhi mere office me bhejo .
Ritu gusse se pair patakti hui wahan se nikal gyi . Uske sare mansoobon par pani fir chuka tha . Billa hi wo kadi thi jo BALJEET rai ko pakadne me eham thi aur usi ko khatam kar diya gya . Uske sath pakde baki baki sathiyon ko court me uske wakeel halt sabit kar hi dete aise me department ki badnami alag se hoti. Filhal BALJEET rai is mamale se bach nikla tha aur Ritu nirash thi.
‘ lagta hai abhi bhi sab new year celebrate karne me busy hain. Any way , happy new year to all of you . Aaj main aap ko aap logon ko answesheets dikhane wali hun. Taki aapko bhi pata chale aapne exams kaise diye the. Aur apni galatiyon ko dekh kar unke sudhar karo. ‘ Manju bua ne class me aate hi apne sath lati answersheets khol kar apne table par rakh di aur sabko apne chor parichit andaz me bat batane lagi . Isse pehle , class room me aate hue unki nazar meri nazar se mili to maine unhe ankhon se hi namaste ka ishara kiya . Aaj do din bad bua ko dekh raha tha aur bua bhi mujhe dekh kar khush ho gyi jo unki muskan k failne se pata chal raha tha . Manju bua aaj pili saadi me thi jisme unka ujala rang aur bhi damak raha tha . Khair students to kam hi the aur yahan hamare Mohit maharaj bhi nahi aaye the. Bua ne sabko answersheets di aur unhe check karne ko kaha . Kalpana aur main sath me hi baith kar apni apni answersheets dekh rahe the . Kalpana ko 100 me se 92 mile the aur mujhe 97 .
Kalpana : tuM padte kab ho? Waise to class me bhi nahi aate aur yahan itne marks. Lagta hai bua bhatije ka khas khayal rakhti hain.
Amit : aisa kuch nahi hai , wo bas mujhe ache se padari hain.
Kalapan : to maine kya kuch galat kaha , main bhi to wo hi keh rahi thi.
Mohit ki answersheets bhi maine le li thi jiske marks 84 the. Apni apni marksheets dekhne k bad sab ne wapis kar di. Fir madam ne sabse u ke Marks puche aur unki mistakes k bare me discuss kiya . Meri bari aane par unhone bas itna hi kaha k agli bar aur mehnat karna . Bua ka lecture hamesha aisa hi lagta tha k jaise ye chhota lecture hota hai baki sab k mukable. Pata hi nahi chalta k kab khatam . Khair bell bajne k bad sab students bahar nikal rahe the aur bua answersheets bandh rahi thi. Main aur Kalpana bhi jab bahar nikalne lage to bua ne mujhe awaz di.
Manju : Amit ,,, zara bat sunna .
Main bua ki bat sun kar ruk gya aur Kalpana ko bahar rukne ka ishara kar k wapis class room me aa gya .
Amit : ji bua ,
Manju : Chandarkanta madam k sath tumhari fir se kuch bat hui hai kya ??
Amit : nahi to bua , balki aaj to unhone lecture bhi nahi lagaya
Manju : acha !!!
Amit : kya bat hai bua ??
Manju : wo ,, tum rehne do main baat karti hun.
Amit : nahi bua ,, aap mujhe bataiye kya bat hai. Aapko meri kasam .
Mujhe shak tha k zarur Chandarkanta ne koi harkat ki hai. Bua shayad mujhse bat chhupana chah rahi thi . Is liye Maine unhe apni kasam de di.
Manju : tujhe kitni bar kaha hai apni kasam mat diya kar. ,,,,,, wo Chandarkanta madam shayad apna gussa tum par nikalne k liye tumhe fail karwana chah rahi hain. Unhone sab teachers ko bola hai k wo specially tumhari marking tight Karen. Aur ho sake to fail bhi. Pata nahi kya bhara pada hai unke dimag me. Tum chinta mat karo , main dekh lungi. Zarurat padi to principal sir se bhi bat kar lungi.
Manju bua k chehre par mere liye chinta ki lakeeren thi. Par unhe kya pta tha k Chandarkanta ki gardan ab mere hath me aa chuki thi. Pichle kuch dino me main itna busy raha tha k us mamale me kuch kar hi nahi paya par ab to pani sar se upar ja raha tha . Ab to zaruri ho gya tha k use ab apne tareeke se samjhaun.
Amit : bas itni si bat bua ?? Are ye to koi bat hi nahi hai. Main kisi ko janta hun wo Chandarkanta madam ko khud hi ache se samjha denge aur wo unki bat taalengi bhi nahi. Dekh lena aaj k bad wo mere khilaf kuch bhi nahi karengi . Aap bilkul bhi chinta mat karo. Aur aap kisi se is bare me bat bhi mat karna .
Manju : par wo ……
Amit : relax bua , aap zara bhi chinta mat karo. Waise bhi aapne meri itni taiyari karwai thi uske bad to koi chah kar bhi mujhe fail nahi kar sakta . To fir dar kaisa? Acha bua main chalta hun sab canteen me meri wait kar rahe hain .
Fir main bua ko nishchint kar k wapis Kalpana k sath canteen me aa gya. Mohit muh latkaye baitha tha . Minal ko Uma aur Radha teeno canteen me aa gyi. Mohit minal ko hi ek tak dekh raha tha . Minal ne ek nazar use dekha aur fir sab k sath baten karne lagi. Mohit ki halat par mujhe taras bhi aa raha tha aur hansi bhi . Majnu ban kar baitha hua tha aur minal thi k uski taraf dhyan hi nahi de rahi thi. Khair , baton me Samay acha guzara , sab k pas bahut sari baten thi par waqt kahan rukta hai. Pata hi nahi chala kab bell baji aur fir baki k lecture bhi attend kiye. Magar padai kuch nahi hui , Mohit to class me gya hi nahi. Aur humen bhi koi fayda nahi hua. Kyunki aur kisi ne humen answersheets nahi dikhai. Balki class me baith kar wo checking karte rahe aur list banate rahe . Chhutti hone k bad maine minal se bat karne k liye usko ek taraf bulaya. Mujhe Mohit par bada taras aa raha tha .
Minal : kya hai ?
Amit : yar ab to usse bat kar lo. Subah se muh latkaye baitha hai .
Minal : maine kaha tha na beech me koi mat pado. Use thoda tadapne to do. Itni asani se use maaf kar dun bhala ?
Amit : par tumne kaha tha k tum use maaf kar dogi.
Minal : han to maine ye bhi kaha tha k meri ek Sharat hai
Amit : to batao na kya hai tumhari Shart.
Minal : bad me bataungi . Abhi filhal use thoda tarasne do.
Amit : par use thoda honsala ho iske liye kuch to karo.
Minal : acha theek hai
Fir minal Mohit ki taraf gyi jo humen hi dekh raha tha . Main bhi jaldi se uske piche gya taki bat sun sakun.
Minal : ye bandar jaisi shakal kyun bana rakhi hai tumne ?
Mohit : wo ,, wo , main ,,, tum
Minal : ye kya wo wo main laga rakha hai . Ghar nahi jana kya ? Chalo mujhe ghar chhod kar aao.
Ye sunte hi Mohit k chehre par ek dam se smile aa gyi . Aur mere chehre par bhi. Halanki minal abhi bhi gussa dikha rahi thi. Mohit bhagta hhua gadi ki taraf gya aur car le aya . Minal ne sab se hath milaya aur mujhe ankhon se hi ishara kar diya k ‘ ab to khush ‘ . Mohit ne bhi khushi chipate hue ankhon se hi mujhe shukriya kaha aur minal ko lekar furr ho gya . Rima Manju bua ki wait kar rahi thi taki wo unke sath ja sake . Tabhi Kalpana ne Radha se pucha k wo use ghar chhod deti hai to Radha ne saaf bata diya wo mere sath jane wali hai. Fir Kalpana me Rima se pucha to usne bua k sath jane ka bataya . Bua ko abhi thoda time aur lagna tha to maine hi Rima ko Kalpana k sath jane ko keh diya aur use bua ko batane ko bhi . Fir wo dono chali gyi. Ab reh gye Radha aur main.
Amit : ab chalen hum bhi?
Radha : han chalo , main to kab se intzar kar rahi hun
Maine bike start ki to Radha jaldi se mere piche baith gyi . Piche baithte hi Radha ne meri chhati par hath rakha aur mere kandhe par muh tika liya .
Radha : aaj gaon wapis to nahi jaoge na ??
Radha ne badi masumiyat se mujhse sawal
Pucha .
Amit : aaj Saturday hai , aur tumhe to pata hi hai.
Radha : itne dino se ghar hi to the wahan
Amit : tum kya chahti ho ?
Radha : ( man me ) main to chahti hun tum hamesha mere sath raho
Amit : chup kyun ho gyi ?? Acha to tumhe ghar chhod kar chala jata hun main
Radha : nahi nahi , maine kab kaha ? Tum aaj hamare sath hi raho na . Ma ka bhi dil nahi lagega aaj ghar par. Itne dino se sab sath ho the aur aaj ek dam se akele .
Amit : to mausi ka man nahi lagega ,, to aaj tum dono mausi k yahan chale jao .
Radha : kyun ??? Tum nahi ruk sakte kya hamare sath ? Mujhe aur kisi ki zarurat nahi hai bas tum hi kafi ho .
Amit : sach me ?? Par itne dino se hum sath hi to the .
Radha : kya sath the ?? Jab dekho tab kisi na kisi k saath busy ya fir ghar se bahar. Usse to acha yahan par hai. Kam se kam ek hafta sath me to rehte ho aur bat bhi karte ho . Gaon me kitni bar bat hui hamari ???
Radha ki bat par main bhi soch me pad gya , bat to theek thi uski. Par isme main bhi kya kar sakta tha . Jab sab ek sath ghar par aa gye the . Khair baton baton me hun ghar pahunch gye. Mujhe dekhte hi divya mausi k chehre par muskan aa gyi . Maine abhi kuch kaha bhi nahi tha k unhone mera hath pakad mujhe andar khinch liya .
Divya : chal andar chup chap, aaj main tujhe gaon nahi jane dene wali . Samjhe ?
Mausi ki bat par Radha khil khila k hans padi .
Divya : tujhe kya hua jo itna has rahi hai?
Radha : kuch nahi ma , raste me main bhi ise yahi kehte aa rahi thi k aaj tumhe hamare sath rehna hoga. Aur ghar aate hi aapne bhi wahi kaha.
Divya : han to , gaon me waqt hi kahan diya isne humen . Ab agle shanivar se pehle to main nahi jane dene wali tujhe kahin bhi . Koi naraz hota hai to ho jaye keh deti hun.
Itna keh kar mausi kitchen me chali gyi jabki Radha mujhse dekh kar khushi se hanse ja rahi thi .
Amit : ab to hansna band kar do , aur kitna hansogi mujh par .
Radha : tum par thode hi hans rahi hun main. Main tumhare in face expressions par hans rahi hun. Aise muh bana rahe ho jaise majburi me fans gye ho.
Amit : mausi ka pta hai na ? Kab gussa ho jayen. Bas unki isi bat se thoda dar lagta hai . Aur suna tumne kya kaha unhone ?
Radha : tum na aise hi darte rehte ho ma se. Ma tumhare sath ab bilkul bhi gussa nahi karti hai. Bhondu ram .
Amit : kya kaha ?
Radha : kuch nahi
Amit : nahi tumne abhi mujhe kuch kaha
Radha : Kya kaha ?
Amit : tumne abhi kaha bhondu ram
Radha : galat kaha kya ? He he he
Amit : mera mazak udati ho abhi tumhe batata hun.
Maine nakli gussa dikhate hue Radha ki taraf barha to wo mujhse bachne k liye tezi se bhag gyi. Main uske piche bhaga to wo apne kamre me ghus gyi . Isse pehle ki wo kamre me ghus kar darwaza band kar pati maine use piche se pakad liya aur kamre me ghus gya . Pata nahi mera paon kis cheez me atak gya aur main Radha ko pakde hue aise bed par ja gira. Radha bechari mere neeche hi dab gyi.
Radha : aaaahhhhhh mar gyi ccccc
Radha ki cheekh sun kar main jaldi se uske upar se uthane laga to mujhe dhyan aya mere hath Radha ki naram chhati par kas gye the . Shayad girte hue Maine galati se use wahan se pakad liya tha bedhyani me .
Amit : ohhh sorry Radha main wo ,, wo
Itne me divya mausi bhi jaldi se bhag kar aa gyi shayad unhone bhi Radha ki awaz sun li thi.
Divya : kya hua ??? Tum cheekhi kyun?
Mausi ko dekh kar to ek bar main andar se ghabra gya . Par Radha ne bat ko sambhal liya .
Radha : kuch nahi ma wo , main bhag rahi thi aur achanak se gir gyi.
Divya : uchal kood karne ko kisne kaha hai tujhe? Chalo jaldi se hath muh dho lo fir khana khate hain.
Divya mausi itna keh kar jaldi se nikal gyi . Maine Radha ki taraf dekha jo nazren jhukaye hue thi.
Amit : sorry Radha wo …
Radha : kis bat ki sorry ?? Kuch hua hai kya ??? Tum aise chhoti chhoti baton par sorry mat kaha karo. Ab chalo hath muh dho lo .
Itna keh kar Radha ne ek nazar mujhe dekha aur smile kar k chali gyi bathroom me. Jabki main wahan khada hairani se uski ko sochne laga . Radha ne ise chhoti moti bat kaha tha . Jabki maine uski chhati ko hi galati se daba diya tha. Shayad wo nahi chahti k main embarrass feel karun. Khair main bhi kamre se nikala aur hath dho kar khana khane k liye hazir ho gya .