Update 204
‘ Ab uth bhi jao , kab tak sote rahoge? Roz to jaldi uth jate ho aaj main aayi hun to aise abhi tak ghode bech kar so rahe ho . ‘ mujhe jhanjhodte hue kisi ne uthaya to maine ankhen kholi. Ankhen khulte hi mujhe samne nidhi didi nazar aayi to main khush ho gya aur aise hi unhe apne gale se laga liya .
Amit : good morning didi , aap Itni subah subah ??
( Nidhi ka to dil ek dam se tez dhadakne laga tha jab Amit ne use ankhen khulte hi apne gale se laga liya . Chahe Amit abhi poori tarah se utha nahi tha apar jis tarah usne bedhyani me nidhi ko aise gale se laga liya tha ye sab nidhi ko bahut acha laga tha. Use to bilkul aise hi lag raha tha k jaise koi patni apne pati ko uthane aaye aur wo use aise hi bahon me bhar kar pyar karne lage. Nidhi k hath Amit ki peeth par apne aap ka gye aur ankhen band kiye wo bas in haseen palon ko jee lena chahti thi. Nidhi ko to ye kisi sapne sa hi lag raha tha. Use to jaise kuch sunai hi nahi de raha tha k Amit kya keh raha hai . )
Amit : bataiye na didi , aaj itni subah subah kaise ? Aap akeli aayi hain ? Kaun kaun aya hai sath ? Didi ??? Didi ????
Nidhi didi meri kisi bat ka jawab nahi de rahi thi to maine unhe khud se thoda alag kiya. Unki ankhen band thi aur chehre par ek muskan. Maine fir se unhe hilaya to unhone ankhen kholi aur meri ankhon me dekhne lagi. Mujhe samajh nahi aa raha tha k wo kya kar rahi hain.
Amit : didi kya hua ? Aap jawab kyu nahi de rahi ?
Nidhi : hosh me aate hue ) hmmm
Amit : kya hmmmm
Nidhi : main theek hun balki ab to aur bhi achi hun. Tum batao tum abhi tak so kyun rahe the ?
Amit : pata nahi , aaj aankh hi nahi khuli . Par aap yahan achanak kaise ?
Nidhi : kyun ? Main nahi aa sakti kya ? Tumse milne ka dil kiya to chali aayi . Tum to khud aane se rahe . Kabhi yad bhi nahi karte mujhe .
Amit : aisa kyun k h rahi hain aap ? Mana k main waqt mil nahi pata par aap ko yad karne ki bat agar aap kar rahi hain to sun lijiye , yad unhe kiya jata hai jinhe bhoola diya jaye. Aur aap ko to main kabhi bhool sakta hi nahi. Akhir aap hi to hain to mujhe sab se jyada pyar karti hain .
Meri bat sunte hi nidhi didi ki muskan gehri ho gyi .
Nidhi : chalo ab uth jao , aaj sara din tum mere sath rahoge samjhe ? Aur subah main tumhe apne sath hi lekar jaungi. Aur han , ma bhi aayi hai sath me . Ab jaldi se neeche aa jao sath me nashta karte hain.
Didi ne uthne se pehle mere galon ko choom liya aur muskurati hui kamre se bahar nikal gyi. Nidhi didi ko dekh kar hamesha hi main khush ho jata tha aur aaj bhi aisa hi tha. Magar unka mere gaal par aise choomna ye thoda alag tha. Khair mere din ki shuruat itni achi ho rahi thi to main bhi bed se utha aur Rima radha ko good morning ma message karne k bad bathroom me ghus gya nahane k liye . Taiyar ho kar jab main neeche aya to sab sath me hi baithe the . Mujhe dekhte hi rajani mausi khauh ho gyi. Main unke paon chhune laga to unhone mujhe apne sath laga liya. Mera muh sidha mausi k bade bade stano par ja laga. Maine piche hatne ki koshish ki par mausi ne kuch der aise hi mujhe apni chhati se lagaye rakha .
Rajani : kaisa hai mera bacha ? Dekh khud hi tujhe lene aa gyi hun . Tera kya bharosa apni badi mausi ko bhool kar Rita k ghar chala jaye .
Amit : aisa bhala ho sakta hai mausi? Aao to sab se pehle hain. Aap kahen to main kisi aur k pass jaunga hi nahi .
Rajani : main to aise keh rahi thi , mujhe pta hai tu mujhe kitna pyar karta hai. Main bhala tujhe kyu mana karungi ? Wo bhi to meri tarah tumhe pyar karti hain. Chal baith yahan mere pas hi . Apni behan se mil liya na ? Din chadne se pehle hi ye to yahan aane wali thi. Wo to tere mausa ji ne rok liya . Ab Karle bat tu bhi .
Nidhi : kya ma , aap bhi ? Dekho na mami , ek to kal se khud hi kahe ja rahi thi k pata nahi Amit ayega ya nahi . Is liye maine inki chinta door karne k liye khud hi inhe yahan le aayi taki yahan se hum Amit ko sath lete hue jayen. Aur ab dekho sari bat mujh par hi daal rahi hain .
Vijay : are bhai koi kuch nahi kahega meri beti ko . Ye jab chahe yahan aaye usme kya ? Iska apna ghar hai .
Gauri : aur nahi to kya ? Waise bhi ye jati kahan hai? Nidhi jaisa samajhdar hai koi ? Main to bhagwan k aage hath jodti hun k iske liye koi rajkumar dhoond kar bheje.
Nidhi : kya mami aap bhi , mujhe abhi job karni hai aur bahut kuch karna hai . Kam se kam 3 saal to main shadi nahi karne wali . ( meri traf dekhte hue )
Rajani : dekha ?? Meri to sunti hi nahi hai ye. Aur iske papa ko bhi koi fikar nahi hai . Aap log hi ise samjhaiye. Umar nikal gyi to fir acha rishta bhi nahi milega. Abhi to bahut rishte aa rahe hain. 3 saal bad to rishta dhoondhna bhi mushkil ho jayega .
Nidhi : aap uski chinta mat karo. Amit hai na , mujhe koi chinta nahi hai .
Rajani : wo bechara kya karega isme ? Wo abhi chhota hai tu to badi hai. Fir kyun bachon jaisi bat kar rahi hai ?
Deepika : theek hi to keh rahi hai nidhi . Amit apni didi k liye acha sa rishta dhoondh kar le aayega . Aap chinta mat karo. Bhai hone k sare farz nibhayega ye .
Deepika mami ki bat par jahan sab me meri taraf garv se dekha wahin nidhi didi k chehre par ek pal k liye bhaw kuch badle se nazar aaye aur wo deepika mami ko ek nazar dekhne k bad mujhe dekhne lagi .
Vijay : are bhaagwaan ab khana laga bhi do. Ya bhookha rakhne ja irada hai ?
Gauri : han han , pehle to jaise main bhookha hi rakhti hun aapko . Aaj meri beti aayi hai mere pas to uske liye special aaloo k paronthe banane wali hun makhan k sath .
Ajay : wah bhabhi sunte hi muh me pani aa gya.
Nidhi : chaliye mami ji . Aaj main bhi aapke sath paranthe banati hun .
Gauri : nahi nahi , Tum baitho . Main kar lungi sab . Waise bhi sasural me to sari zindagi kam karna hai.
Nidhi : main aaj apne hathon se sabko nashta khilaungi . Aur Amit k to ye favorite hain na
Ma ne fir se mana karne ki koshish ki par didi nahi mani aur ma k sath kitchen me chali gyi nashta taiyar karne . Deepika mami bhi unki madad k liye chali gyi . Rajani mausi aarav ko goad me khilate hue mujhse baten karne lagi. Kuch hi der me didi ne nashta taiyar kar diya. Wakai me didi k hathon me jadoo tha. Rajani mausi ki tarah wo bhi khana banane me expert thi .
Ajay : wah bhai wah , didi nidhi to aap ko bhi piche chhod gyi hai. Sach me bahut swadisht bane hain paronthe.
Vijay : sahi kaha , nidhi beti jis ghar me bhi jayegi swarg bana degi .
Rajani mausi nidhi didi ki tareef sun kar khush ho rahi thi . Nidhi didi khud parontha liye meri plate me rakhne aa gyi. Main pehle hi 4 paronthe swad swad me kha chuka tha . Upar se didi ne ek aur rakh diya . Main mana kar raha tha
Nidhi : kya hua ache nahi lage ?
Amit : ache ? Ye to bahut hi ache hain. Main to 3 khata hun ab dekho che kha chuka hun aur aap ek aur rakh rahi hain . Mera to pet fat jayega
Nidhi : kuch nahi hota , abhi to ek aur khana padega tumhe .
Amit : are nahi didi aur khaya to fir mujhse utha bhi nahi jayega .
Nidhi : tumhe ache to lage na ?
Amit : ache to itne lage hain k dil kar raha hai aapke hath choom lun .
Nidhi : khush hote hue ) sach ??
Vijay : aur nahi to kya . Hum sab teri hi to bat kar rahe the abhi . Shabash beta aise hi sabko apne pyar se bhar dena jahan bhi jana .
Nidhi : main kahin nahi jane wali mama ji . Main yahin aapke pas rahungi hamesha . Aur ise ( mujhe ) aise hi pyar se khilati rahungi .
Aise hi baton baton me hun sab ne nashta kar liya. Sabke khane k bad didi mere pas aa kar baith gyi.
Nidhi : lao ab mera inam .
Amit : inam ?
Nidhi : hmmm , paranthe ache lage ho to mujhe inam to de hi sakte ho na .
Amit : didi , agar aap ko mujhse kuch bhi chahiye ho to sidha hukam kiya karo. Iske liye kuch karne ki zarurat thodi hai aapko . Kahiye kya chahiye .
Nidhi : tum
Amit : main ???
Nidhi : mera matlab hai aaj sara din tum mere sath rahoge. Mujhe aaj gaon aur khet ghumao aur jo jo bhi tum chaho. Bas aaj ka din mere sath rehna hoga .
Amit : acha theek hai, to kahiye kahan chalna hai ?
Nidhi : chalo pehle kheton me chalte hain fir nadi par
Amit : theek hai , aur bhi puch lijiye kisi ko
Nidhi : ma to yahin rahegi mama mami k pas , tum mere sath chalo .
Nidhi didi ne mausi aur ma ko bataya aur jaldi se taiyar ho gyi chalne k liye. Waise to main aaj Raju k sath waqt bitane wala tha par ab didi ki bat ko kaise tal sakta tha. So main bhi jaldi se taiyar ho gya. Aur fir apne rani ( Bullet ) ko nikal aur didi ko piche bitha kar pehle kheton ki taraf chal diya. Kheton me abhi gehun ki fasal ki bijayi hui thi to kahin kahin aaj pani lagaya tha . Ek jagah kinare par chalte hue didi ka paon fisal gya . Main aage aage chal raha tha to didi ki awaz sun kar ek dam se palta . To dekha didi giri hui thi aur unke suit me mitti lag gyi thi.
Amit : are ye Kya ? didi aap fir kaise gyi ?
Nidhi : pata nahi kaise paon fisal gya. Ab to mere kapde bhi gande ho gye .
Amit : chaliye uthiye , ghar chalte hain .
Nidhi : nahi , ghar nahi . Thodi si mitti lagi hai nadi k pani se saaf kar lenge. Chal mujhe utha . Is fislan me mujhse chala nahi jayega.
Maine aage barh kar didi ko goad me uthaya to didi ne apni dono bahen mere gale me dal li . Main unhe aise hi uthaye aram se nadi ki taraf chalne laga .
Nidhi ( man me ) kya kya nahi karna lad raha , pata nahi kab mere dil ki awaz tum tak pahunchegi.
Amit : didi aap kuch khati nahi ho kya ? Kitni dubli patli ho aap .
Nidhi : tumhe main aise achi nahi lagti?
Amit : maine aisa kab kaha? Wo to main is liye keh raha hun kyunki aap ka to bilkul bhi bhar nahi hai.
Nidhi : to acha hai na , hamesha aise hi mujhe apni bahon me uthaye rakhna.
Amit : main kaise uthaye rakhunga ? Shadi m bad to jija uthayenge aapko
Nidhi ( mujhe halke se marte hue ) main tumhari bat kar rahi hun. Kya utha nahi sakte mujhe aise ?
Nidhi ( man me ) main to ab sirf tumhari bahon me rehna chahti hun.
Amit : kya didi ,,, aap bhi pata nahi kaisi baten kar rahi hain. Lo aa gye hum nadi par . Ab apne kapdon se mitti hata lo
Maine didi ko nadi k kinare par utar diya to wo wahin ek pathar par baith kar ghutno tak salwar upar kar k apne paon dhone PGI aur kapdon par lagi mitti hatane lagi . Nidhi didi k gore paon dekh kar ek bar to meri nazar wahin jam gyi. Maine apni nazara wahan se hatane k liye didi ki taraf dekha to wo mujhe dekh kar muskura rahi thi .
Amit : didi main udhar jata hun aap aa jana
Maine apni nazren churate hue didi se kaha . Mujhe laga didi ne mujhe aise unhe ghurta hua dekha hai to unhe bura laga hoga is liye main wahan se nikalna chahta tha.
Nidhi : tum yahin ruko , agar main fir se fisal kar badi me fir gyi to ? Ruko aur ye pakdo
Nidhi didi ne apna dupatta utar kar mujhe pakda diya . Marta kya na karta , didi ki bat to manni hi thi par didi ne jis tarah apna dupatta mujhe utar kar pakda diya tha usse ek bar fir se meri nazren gustakhi kar gyi aur didi k uthe hue seene par chali gyi jahan se halki se unki cleavage dikh rahi thi. Maine khud ko koste hue apni nazren dusri taraf kar li .
Nidhi : budhu
Amit : dusri taraf muh kiye hue ) didi aap ne kuch kaha ?
Nidhi : us taraf kya dekh rahe ho ? Idhar dekh kar bat karo na .
Amit : aap pehle apni safai kar lijiye aram se.
Nidhi : isme udhar muh karne wali kya bat hai? Idhar dekh ke bat karo .
Maine fir se didi ki taraf dekha to didi bhi mujhe hi dekh rahi thi.
Amit : ji
Nidhi : tum aise nazren kyun chura rahe ho ? Main kya itni buri hun ?
Amit : ye kya keh rahi hain aap ? Aap se acha to koi ho hi nahi sakta.
Nidhi : acha ek bat to batao , tumhe main kaisi lagti hun ?
Amit : abhi to bataya , bahut achi
Nidhi : mera matlab hai , ek ladke ki nazar se kaisi lagti hun tumhe ?
Amit : aap meri badi behan hain. Main bhala kaise us nazar se dekh sakta hun aapko?
Nidhi : batao na, mujhe janna hai main kaisi lagti hun.
Amit : par ....
Nidhi : batao na please
Amit : aap bahut achi hain didi. Koi kismat wala hi hoga aap jise milogi.
Nidhi : kya tum meri jaisi ladki se shadi karna pasand karoge ?
Amit : ye aap kya puch rahi hain?
Nidhi : batao na? Kya mere jaisi ladki se tum shadi karna pasand karoge ?
Amit : maine abhi kaha na k koi kismat wala hi hoga jise aap jaisi ladki milegi.
Nidhi : matlab tumhe manzoor hai ?
Amit : kya ?
Nidhi : mere sath shadi mm mera matlab hai mere jaisi ladki k sath shadi.
Amit : mere khyal se humen ab chalna chahiye pata nahi aap kya kya sawal puche ja rahi hain. Pakdie ise
Maine didi ko unka dupatta pakdate hue kaha. Didi ne pani k kuch cheente mere upar uchale to main uchal kar door hat gya.
Amit : kya didi ,, aap bhi bachon k jaise kar rahi hain aaj. Aapko hua kya hai? Tabiyat to theek hai na?
Nidhi : bilkul theek hun main. Bas tumhare sath ye sab karne ka man kar raha hai.
Amit : acha !!! Aur kya man kar raha hai?
Nidhi : bahut kuch , chalo ab kahin aur chalte hain.
Amit: chaliye
Uske bad didi mera hath pakde mere sath chalne lagi . Kheton aur nadi tak humen ek dedh ghanta lag gya tha. Uske bad main didi ko bike par baitha kar mandir lekar gya aur unhe bazar se tikki aur jalebi bhi khilai . Jyada kuch to yahan milta nahi tha. Didi bahut khush nazar aa rahi thi. Aaj unka ek alag hi roop dekh raha tha main. Uske bad hum ghar aa gye aur fir hum ghar me sabke sath baten karne baith gye .
Udhar shehar me Narayan das k aadmi Ritu singh lar nazar rakhne lage the. Magar Ritu k aaspas har waqt police wale rehte hi the chahe wo Jain bhi jaye. Jabki Ritu singh k man me kal se nyi umang uthne lagi thi. Apne andar ki ladki ko wo kab se daba chuki thi wardi k piche magar ab wo ladki wardi ka bojh utar fenkne ko machal rahi thi. Har waqt sakht lehja rakhne wali Ritu singh ka ye badla roop dekh kar uske angarakshak bhi hairan the. Jo chehra hamesha sakht aur sapat rehta tha ab wahan kal se muskan bar bar ubhar rahi thi aur wo bhi bina kisi bat k.
‘ madam ,kal girls college k pas restaurant me kuch ladke ladkiyon ko bithane ki vajah se humne us restaurant ko band karwa diya tha. Uska owner aap se milna chahta hai . Uska kya karna hai ? ‘ Ritu singh apni soch me doo hi mand mand muskura rahi thi k uski tandra ko todte hue ek inspector ne uske pas aa kar ye bat kahi.
Ritu singh : wahan college k hi ladke ladkiyan aate hain ya awara badmash ?
‘ madam wahan to sab college k hi students hote hain ‘
Ritu singh : to use jane do aur keh do k apna restaurant aram se chalaye. Aur wahan kisi ko tang na kare .
Ritu ne muskurate hue itna kaha to inspector hairani se inspector ki ankhen bahar aa gyi . Ritu singh hamesha hi gusse me rehti thi aur ye restaurant ko khud usi ne seal karwane ko kaha tha jab use shikayat mili thi k wahan ladke ladkiyan baithe rehte hain college se classes bunk kar k.
‘ madam aap ne khud hi to band karwane ko kaha tha to ab .....’ inspector ko jaise abhi bhi yakeen nahi tha jo bhi Ritu singh ne kaha. Isliye usne confirm karna chaha.
Ritu singh : han maine kaha tha aur ab bhi main hi keh rahi hun. Ab un becharon ko bhi to kahin baith kar milne ki jagah chahiye k nahi. Waise bhi wo kaun sa koi jurm kar rahe hain ? Jawan hain , itna to mauka milna hi chahiye na bat karne ka ? Hum koi pyar k dushman thoda hain. Jao use keh do k apna restaurant chalaye ja kar. Aur tum log bhi us taraf jakar un logon ko tang na karna. Agar koi apni marji se milna chahta hai to mile. Ye sabka hak hai.
Inspector bechara apna sa muh bana kar bahar nikal gya . Jabki Ritu fir se kuch yad karti hui muskurane lagi aur apne mobile ko utha kar kisi ko call karne ka sochti fir ruk jati. Kuch to halchal ho rahi thi uske man me jo use aram se baithne nahi de rahi thi.
Amit k sath pyar bhare lamhe bitane k bad us sangam se mile dard ko bhi Rima pyar se sahej rahi thi taki wo ise hamesha mehsus kar sake yadon me. Is liye usne dubara pain killer nahi li thi. Magar is vajah se Sheena k sath wo wahin ruk gyi thi rat ko. Aur subah tak usko kafi aram mil gya tha magar abhi bhi yoni par sujan thi. Sheena ne ek behan aur dost ki tarah Rima ka khyal rakha tha. Subah dono ghar wapis aa gyi jahan aaj wo apni ma k sath rina k liye shopping karne wali thi. 3 din bad rina ki flight book thi videsh jane k liye . Rina bhi sab taiyari kar rahi thi par jaise jaise waqt beet raha tha uske dil me ek dard sa basta ja raha tha aur wo tha Amit se door jane ka dard. Dard k sath hi dar bhi tha k kahin wo Amit se sach me hi door na ho jaye. Par waqt kya karwat lene wala tha ye to kisi ko pata tak nahi tha. Dono behno ko ek hi shakhs se muhabbat ho gyi thi aur unki ma bhi usi shakhs k pehlu me apne zakhmon par malham lagwa chuki thi. Wo zakham jo uski zindagi ka nasoor the. Zindagi me wo waqt ek din zarur aane wala tha jab sab ko is kadwi sachai ka samna karna tha .
‘ Rama , maine un logon ko notice bhijawaya tha ab unki taraf se ye kaha gya hai k hum divorce ka faisla badal den. Iske badle me wo karishma ko alag ghar le kar denge rehne ko agar wo sath nahi rehna chahti. Aur wo apni Sri jaydad bhi karishma aur uske bache k nam karne ko taiyar hain. Wo sab maafi mang rahe hain. Aur ek mauka chahte hain . Tum kya kehti ho ?’
Rama : Hume kya kami hai kisi cheez ki jo hum unki in baton par man jayen ? Hamare pas unse jyada hi hai kam nahi . Aap ne aisa socha bhi kaise k hum sab bhool kar unhe maf kar den?
Raghav : ek bar thande dimag se socho Rama. Ye karishma ki zindagi ka sawal hai. Main bhi uska pita hun. Kya main nahi chahta k wo khushi se rahe. Uska ghar bas jaye. Galti insan se ho Jati hai. Agar wo apni galati sudharna chahte hain to kya humen unhe ek mauka nahi dena chahiye ?
Rama : aap aisa is liye keh rahe hain hain kyunki aap poori sachai nahi jante. Agar jante to aisi bat kabhi nahi karte.
Raghav : tum kehna kya chahti ho ? Aur kaun si sachai hai jo mujhe nahi pata?
Rama : wo sachai jise bolne me bhi mujhe sharam aa rahi hai. Rukiye abhi aapko dikhati hun. Apni ankhon se dekh lena fir kehna jo bhi kehna hai.
Rama jaldi se apne cupboard me rakhi wo pan drive le aayi jisme karishma ne videos edit kar k save kar di thi. Rama ne wo pandrive laptop me laga kar jab Raghav ko dikhai to ek bar Raghav ka dimag bhi chakra gya.
Rama : ab boliye kya kehna hai aapko ? Kya ab bhi aap wahi kahenge jo pehle keh rahe the ?
Raghav : gusse me ) kitne ghatiya log hain ye . Mujhe to sharam aa rahi hai aise logon me maine apni fool si bachi ko bheja. Un logon ki to akal main thikane lagata hun. Sari duniya thukegi ab un par .
Rama : aap aisa kuch nahi karenge warna cheente hamari beti par bhi gir sakte hain. Aap bas unko saf keh do k humen divorce hi chahiye. Aur agar wo na manen to fir ye unko dikha dena.
Raghav ko Rama ki bat theek lagi. Par Rama to is liye Raghav ko rok rahi thi k kahin Amit ka nam beech me na aa jaye. Raghav ne usi waqt phone lagaya aur karishma k sasur ko jawab de diya dhamki bhare lehje me.