Mard ka bachcha. Update 69.
Dhire dhire Gayatri ka dard itna badh gya ki wo use sah nahi pai or behosh ho gai.
Na jane kitni der wo us ped k sath lag kr behos rahi.
Jab behoshi tuti to suraj ab dhalne laga tha.
Waise bhi abhi wo jangal mai thi or waha ujala kam hi tha.
Wo waha ped pakad kr uth khadi hui or apna saman le kr aage jane ko taiyar thi.
Tabhi Gayatri ko apne kangan ki yaad aai.
Usne apne kalai ko dekha to ab waha koi kangan nahi tha lekin us jagah ab ek kangan k jaisa hi tattoo ban gya tha.
Gayatri surprise hoti hui use dekhne lagi. Us tattoo ko khurach kr apne kalai se nikalne ki kosis ki to wo bhi nahi ho paya uske badle kalai hi chhil gya jaha se halka khoon bhi aa gya tha.
Gayatri tak har kr waha se aage kahi surakshit sthan ki talash karna hi sahi samjhi.
Waha se aage badhte hue wo jangal mai or undar ko chal di.
Thodi der chalne k baad use pyash lag gya.
Yaha kahi na to koi pani ka sadhan tha na hi khane ko.
Bhukh to abhi nahi laga tha lekin pyash k karan uska ab gala sukh raha tha.
Jab pyash lagta hai or pas mai kahi pani nahi dikhta hai to pani ki talab kuch jyada hi padeshan karti hai.
Yahi haal abhi Gayatri ka bhi ho raha tha.
Wo pani ki khoj mai jaldi jaldi aage badh rahi thi charo or dekhte hue.
Jangal ab ghana hota ja raha tha jis mai bade bade per to the hi sath hi un pero k niche choti choti ghani jhadiya bhi thi jin mai jyadatar katili jhadiya thi.
Gayati un jhadiyo ko apne trishul se hatati kisi tarah aage badh rahi thi. Kai jagah uska sarir chil gya tha. Jaha se halka halka khoon nikal raha tha. Us Chile hue jagah mai jalan bhi de raha tha lekin Gayatri ko abhi pyash jyada hi lagi thi to use abhi in chilne or us mai se uthate jalan ka ehsas nahi tha.
Kafi der chalti hui wo jangal mai idhar udhar bhatakti rahi pani ki khoj mai. Ab jangal mai andhera bhi hone laga tha or abhi tak na to kahi khane pine ko khuch dikha or na hi raat bitane k liye koi surakshit thikana.
Pura badan pasine se bhing gya tha.
Gayati mathe se bah kr aankho mai jate pasino ko apne dupatta se saaf karti aage badh rahi thi tabhi use ek khargosh dikha jo uske aage aage daudta kudta bhaga ja raha tha.
Gayatri ko wo khargosh bahut pyara laga. Wo khargosh ko dekh kr apna bhukh pyash bhul kr uske piche khargosh pakadne k liye bhagne lagi.
Wo khargosh Gayatri ko chakma deta kabhi chup jata to kabhi nikal kr uske aage daudta hua dur Nikal jata.
Gayatri dur tak us khargosh ka picha karti hui jangal k bich mai pahuch gai thi.
Tabhi khargosh ek jhadiyo k bich ghus gya.
Gayatri k liye aage ab rasta hi nahi tha. Waha ki jhadi kafi ghani or uchi thi.
Wo apne trishul se jhadiyo ko hata kr us khargosh ko dekhne k liye jhuk kr baith gai.
Baithte hi gayati chauk gai.
Un jhadiyo k piche ek rasta jaisa bana tha. Wo ek tarah se ghadiyo mai gufa jaisa tha jiska muhana un jahdiyo ne band kr rakha tha.
Gayatri kautuhal wash us khoh mai ghus gai jhuk kr.
Trishul ko hath mai pakad kr bilkul sajag wo us on hoh mai aage badh rahi thi. Kahi kahi us khoh mai larai ki tahniya idhar udhar faile hue the to unhe kabhi apne hath se to kabhi trishul se ek or karti Gayatri sab or najar firati aage badh rahi thi.
Tabhi use wo khargosh aage bich mai baitha dikha.
Gayatri ko dekhte hi wo fir se aage ko bhag nikla.
Gayati muskudati hui us khargosh k piche bhagi.
Tabhi aage ek or mur kr khadgosh gum ho gya.
Gayatri waha ja kr dekhi to waha se halka jyada ujala aa raha tha.
Jab Gayatri thodi si jhadiyo or latao ko apne hath se hata kr dekhi to uski aankhe chamak uthi.
Khushi se uska chehra chamakne laga.
Aage samne ek choti si jharna tha. Waha charo or kai tarah k chote chote paudhe uge hue the jin mai rang birangi ful khile hue the or sath hi kai falo k per bhi the jin mai bahut sare fal lage hue the.
Gayatri sab khusi se dekhti uski aankhe nam ho gai. Wo sar ghuma kar khadgosh ko dekhi to wo khargosh samne baitha Gayatri ko dekh raha tha.
Gayatri muskudati hui us khargosh ko dekh kr dono hath jod kr use pranam kr li.
Wo khadgosh kudata hua Gayatri k pas aa kr kabhi uske pairo ko kud kr chhu leta or fir bhag jata to kabhi Gayatri k charo or chakkar lagane lagta.
Gayatri baith kr apne dono hatho ko faila di.
Is bar jaise hi khargosh pas aaya Gayatri lapak kr use pakad li or pyar se uske pith ko sahlane lagi.
Gayatri us khargosh ko god mai le kr us khoh se bahar nikal aai.
Bahut jor pyash lagi thi Gayatri ko to wo ek per k dali se apne bag ko latka di or wahi per pr trishul rakh kr wo wahi pas k per se ek fal tor kr khargosh ko de di khane k liye or khud jharne ko or chal di fresh hone ko.
Muh hath dho kr Gayatri G bhar pani pi kr apni pyash bujhai.
Thandhe thandhe swaksh jal se fresh hone k baad or apni pyash bujha kr Gayatri ki aatma tript ho gai.
Gayatri pyash bujha kr wapas aa kr ek per k niche baith gai.
Khargosh wahi Gayatri k aas pas ghum ghum kr uchal kud karta fal kha raha tha.
Raat ho gya tha. Charo or andhera faila hua tha. Jangal mai jangli janwar or keero ki awaje aa rahi thi.
Gayatri par se pith lagaye aankhe band kiye hue so rahi thi.
Kal raat bhi sahi se nahi so pai thi. Abhi ise bade joro ki nind aa rahi thi.
Pta nahi kya samay ho raha tha. Kuch aahat hone se Gayatri ki nind khul gai.
Aankhe khol kr dekhi to subah nahi hua tha abhi lekin raat ka andhera ab chatne laga tha.
Gardan ghuma kr Gayatri jab apne aas pas dekhi to wo chauk kar baith gai.
Kuch aisa najara tha ki dekh kr Gayatri ki aankhe badi ho gai.
Abhi jaha leti thi us hisse ko chod kr ek gol gheda mai Gayatri k charo or rang birange ful se sajaya hua tha.
Waha charo or bhi kuch sajawat ki ja rahi thi. Lekin sab se vichitra drishya jise dekh kr Gayatri achambhit thi wo ye tha ki waha kai Baune the jo apne chote chote pairo pr daud daud kr sara sajawat waha ki kr rahe the.
Tabhi ek Baune ki najar Gayatri ki or gya.
Gayatri uth kr baith gai thi or un bichitra Bauno k kriya kalap ko dekh rahi.
Us Baune ne jaise hi dekha ki Gayatri jag gai hai or un logo ki or hi dekh rahi hai to wo bauna apne Baune sathiyo se apni language mai kuch kaha.
Achank chalti hui machine jaise ruk jati hai sab waise hi ruk gye or Gayatri ko dekhne lage.
Jaise hi sab ki najar Gayatri pr gya. Sabhi wahi apne jagah pr hi hath jod kr let gaye.
Gayatri achambhit sabhi Bauno ko dekh rahi thi baithi hui.
Jab thodi der ho gya or wo Baune waise hi lete rahe to Gayatri uth kr khadi ho gai or chalti hui un Bauno k nikat ja pahuchi.
Gayatri- Ye aap sab kya kr rahe hai. Aise q let gye hai. Kaun hai aap sab.
Ek bauna jo sabhi ka sardar lagta tha bhesh bhusha mai wo uth khada hua or fir hath jod kr apne ghutne pr baith gya.
Bauna sardar- Hamari Mallika ki sada jai ho. Mallika, hamare Malik nahi hai aap k sath. Wo nahi aaye. Kaha hai hamare Aaka.
Wo bauna apna sar jhukaye Gayatri se bola.
Gayatri- Aap sab kaun hai. Mai to aap sab ko janti bhi nahi. Aap mujhe apna mallika q kah rahe hai. Mai to ek sadhar si ladki hu jo bhatakti hui is or aa gai.
Bauna sardar- Maaf kare mallika. Aap bhatakti hui yaha tak nahi aaye hai balki aap ko yaha laya gya hai. Aap kaun hai ye aap ko nahi yaad hai. Jaise hi sab aap ko yaad aa jaiga aap samajh jaingi.
Hum sabhi hamare jinn lok k bache hue log hai jo abhi aap k samne hai. Banki k pure rajya ko Fudan apne kabje mai kr rakha hai jiska sath koi or bhi de raha hai. Ab to bas hamare Aaka hi hai jo hume wapas hamare rajya mai le ja sakte hai. Abhi hum sabhi ka apne rajya mai jane ki pabandi hai. Agar hum gye to hamari sari sakti le kr, hume mar diya jaiga.
Gayatri- Mere to kuch bhi palle nahi pad raha. Aap kya kah rahe hai. Mai yaha jangal ki or se jaa raha tha ki kahi se chikhne ki awaj aai. …… Fir Gayatri abhi tak ki sari bate bata di.
Bauna sardar- Mallika, aap ne jo chikh ki awaj suni thi wo mai hi tha. Mai aaj aap ko mandir mai jate hue dekh liya tha. Jab mai gaun ka bharman kr raha tha to. Mai dekhte hi aap ko pahchan gya tha. Qki aap bilkul bhi nahi badli hai. Fir bhi mai aap ki pariksha k liye pujari ko hamare rajya ka pratik ek kangan diya tha aap ko dene k liye.
Us kangan ki vishesta hai ki yadi koi hamare rajya se bahar ka vyakti ya prani us kangan ko pahanane ki kosis karega to wo tabhi jal kr bhasham ho jaiga.
Yado wo hamare rajya ka hoga to kangan uske sarir mai sama kr ek tattoo ban kr uske sath jud jata hai.
Aap hamari Mallikka hai to thik waisa hi hua jaisa hum sab ne socha tha. Jangal mai jo khargosh aap ko mila jis k piche aap yaha tak aayi thi wo bhi mai hi tha.
Mandir se le kr yaha tak har pal aap hamare aankho k samne thi. Bas hum hi abhi aap k samne aaye hai qki abhi tak hamne aap k swagat ki koi taiyari jo nahi ki thi.
Abhi thodi si taiyari banki hai. Jab tak aap natural call se free hongi hum sabhi banki ki taiyari bhi kr lenge.
Gayatri k samajh mai abhi bhi kuch bhi nahi aa raha tha. Use lag raha tha jaise wo abhi bhi nind mai hai or koi sapna dekh rahi hai pariyo or Rajkumari ho wali.
Aisi baate to usne abhi tak bas kisse kahaniyo mai hi suni thi Gayatri ne.
Wo waha se fresh hone k liye jharne ki or chal di.