Update 123
mai apni didi aur tani ke sath ghar aa gaya...
maa-kidhar tha tu...
didi-aapko nahi pata ma ye na dilli me aapke liye bahu dhundh raha hai..
mai-chup kar kuch bhi mat bolo...
mai-maa tani se pucho...
maa-kya hua tani beti...
tani-kuch nahi mami wo bas bhaiya niche garden me baithe the...aur ek ladki se baat kar rahe the...wo ladki iske college ki hi thi...yahan mil gayi to bas baat chit kar rahe the...
bua-kya hua kya baate chal rahi hai...
riti di-kuch nahi apne bhatije ko sambhaliye nahi to ye bahu le aayega ek-do dino me...
mai-didi ab bas bhi karo...
didi-kyon bas karoon mujhe abhi tak tune shopping nahi karaya...
mai-kal kara dunga...pakka...
didi-kal to karaoge hi saath me dilli ghumana bhi padega...
mai-hargij nahi....baat khali shopping ka hua tha...
didi-thik hai dekho abhi mai kya karti hoon...
didi-maa bua aapko pata hai ye na gardene me baitha hua tha aur iske god me ek ladki sar rakhkar leti hui thi...
tani-lekin di...
riti di-tu chup kar...
riti di-aapko pata hai maa aur ye dono kya kar rahe the...
maa-bata bata...
mai-arey maa ye jhooth bol rahi hai...
idhar didi mujhse ishara me puchi haa ya naa....
mai socha isko haan bol hi deta hoon nahi to pata nahi kya kya jhooth faila de...aur iske jhooth ke chakkar me kahi wo sach bahar na jaye jo mai chupana chahta hoon...isliye mai ishare se didi ko haan bol diya...
riti di-arey maa mai majak kar rahi thi...tani ne jo bola wahi sach hai...
maa-sharam nahi aati aisa majak karte hue...ek baar ghar chal fir khabar leti hoon tumhari...
aur fir tabhi bell baja ting tong...aur darwaja tani ne khola...samne neha aur aarti khade the... aarti ko dekhte hi bua boli-aarey aarti tum yahan ...bahut dino baad dikhi tum..aao baitho..sab thik to hai na...
aarti-haan...
bua-aao aao baitho sahi samay pe aai ho aab aai ho to raat ka khana hum sabke saath khakar hi jana...
is baat par tani boli-aaj jana hi kyon raat me bhi yahi ruk jaiye...mujhe bhi neha di se baat karna hai ..aur aap bhi to bahut din baad aarti chachi se mil rahi ho...
bua-haan haan beti tumne to bahut achhhi baat ki hai...chalo chalo khana banane me meri madad kar aa jaa..aur fir bua aur tani khana banane chali gayi...maa bhi aarti se jaan pahchan kar li...jab maa ko pata chala aarti humlogon ke gaav ke pass ki hai tab to maa aur khush ho gayi aur fir dono ki baate chal padi...
idhar ek sofe par ek side neha baithi thi to dusre side riti didi aur bich me mai...
aur fir suru hua riti didi ka jasoosi suru...
riti di-tumhara naam neha hai na...
neha-ji...
riti -tum college me suman ke saath thi...
neha-haan...
riti-abhi kya kar rahi ho...
neha-ji abhi mera graduation hua hai...
riti-lekin suman to ek saal pahle hi pass kar gaya...tum fail kar gayi thi kya...
neha-nahi mai wahan college chod kar bich me hi dilli aa gayi thi...
riti-koi jaruri karan raha hoga...khair chodo un baaton ko mera bhai tumko kaisa lagta hai...
neha-achha ladka hai...
riti-tum us se pyaar karti ho...
neha-nahi..
riti-mera bhai to itna bewkoof hai garib hai aur dikhne me itna badsurat hai isliye tum isse pyaar nahi karti...
mai man me socha ye didi na aaj lagta hai mujhe duba kar hi manegi..
neha-aisi baat nahi hai...
riti di thoda kadak awaj me-aisi baat nahi to kaisi baat hai...mai janti hoon ye badsurat hai...tumhe ye bolne me sharm kaisa...
neha-aap sachme suman ki didi ho
riti-haan hoon to tujhe kya mai jo pucha himmat hai to uska jawab de...
ab jab do ladkia aapas me bhid jaye to bhala mai kya karoon...
mai-didi aap ye kya bole jaa rahi hai...
didi-tu chup kar tu badsurat nahi hai kya...poore gaav me sabse badsurat hai upar se panouti bhi...tu mere ghar me na hota to kab ka meri shaadi ho jati...
is baat par neha ko gussa aa gaya..aur maine apna sar pakad liya...
neha gusse me-aisi baat nahi hai aapko pata hai college me ek bahut hi khubsurat aur amir ladki suman se pyaar karti thi...wo to kismat kuch aisa ghuma ki suman ko uska pyaar nahi mil paya...suman to lakhon me ek hai...wo ladki suman se pyaar nahi bhi karti na to bhi suman itna achha hai ki use aram se koi dusri ladki mil jati...
didi-achha to kya naam tha us ladki ka...
neha-naina...
didi mere taraf dekhte hue-achha to naina naam tha uska...
neha-haan...
neha gusse me jawab dekar ye soch rahi thi ki wo meri ijjat bacha rahi hai...mera maan samman ki ladai lad rahi hai koi meri beijjati kaise kar sakta hai...use kya pata tha meri didi uske halak se mere baare me wo baat nikalwa rahi thi jo mere ghar me kisi ko nahi pata...
didi-thik hai mai maan gayi tum sahi bol rahi ho...ye bolkar wo sofe se uthi aur andar room me chali gayi...
neha-kaisi bahan hai tumhari...tumhara itna beijjati kar rahi hai...
mai-arey wo meri beijjati nahi mere bare me jan ne ki kosis kar rahi thi aur tune use naina ka naam bataa diya..ab wo mujhe uske naam pe blaickmail karegi...tum sayad bhul gayi maine ek baar bataya tha na mera ghar ajibo garib logon se bhara pada hai...usme se ek meri didi bhi hai...ab se jab bhi mere ghar ke kisi se bhi milna to gussa aur juban dono pe control rakhna nahi to juban fislegi tumhari lekin girunga mai...
neha-sorry mai use bol dungi ye sab jhooth tha...
mai-thik hai kosis karna lekin kam hi bharosa hai ki wo ab manegi ki tumne jhooth bola hai abhi...
neha-wo jhooth hai bhi to nahi...
mai bhi kuch nahi bola...fir kuch der me khana bhi ban gaya sab log kha liye..ab aayi sone ki baari...ab tin room tha aur 7 log...to tay hua maa aur didi saath soyegi...tani aur neha saath soyegi kyonki dono ko kuch baat karna tha...aur bua aarti saath soyegi kyonki un dono ko bhi baat karna tha..
mai bola-mai bhi maa ke pass so jata hoon...
bua-suman tum mere pass so jana mujhe kuch baat bhi karna hai...
maa-suman jara aana mujhe baat karni hai tumse...
mai-haan maa....
aur mai maa ke saath unke room me aa gaya..saath hi didi bhi thi...
maa-suman humlog kab jayenge gaav..teri noukari bhi to hai na beta...bhale wo log paise kam dete hai lekin facility sare dete hai...isliye ye noukari tab tak nahi chodna beta jabtak sarkari na lag jaye...
maa-haan maa aur mai ticket dekh raha hoon ummid hai 3-4 din ke andar ticket mil jayega...
mai-maa aapko ab kamjori to nahi hoti na...ya koi dard ya sujan...
maa-mai bilkul thik ho gayi hoon sachme bahut achha hospital tha...
didi-maa kal bhai mujhe dilli ghumayega...
maa-kyon re sirf riti ko ghumayega..hum log ko koun ghumayega...
mai-thi hai maa kal didi aur tani di ko ghuma dunga...fir aap aur bua ko agale din...
maa-mai to bas aise hi bol rahi thi..aise hi kya maa...jab aayi ho to ek baar ghum lo achhe se...
maa mujhe gale laga li...
maa-mera pyara babu...
fir humlog kuch kuch aur baat kiye fir maa aur didi sone lagi tab mai room se nikal kar dusre room me ayaa jahan aarti aur bua baithi kuch baat kar rahi thi...
mujhe pata nahi tha dono ne kya baat ki lekin ab mujhe hi sab sambhalna tha...
mai-bua kya batya aapko aarti ji ne...
bua-ye bata rahi thi ise bhi joginder ne fasa diya tha tune ise bacha ke bahut achha kiya beta..ye to tere hi gungaan gaye jaa rahi hai...kis tarah tune dono maa beti ko kidnaping se bacha liya...is baat par mai jab aarti ki taraf dekha to usne haan me sir hila diya...
mai-achha bua ab batao aage kya karna hai...
bua-kya karna hai matlab...
mai-rajendar ji aur joginder ji ka kya karna hai...
bua-itni ijjat dene ki jarurat nahi hai...aur tum jo karna chahte ho karo...wo jinda rahe mar jaye mujhe fark nahi padta...
aarti-mujhe bhi fark nahi padta...
mai-fir bhi...
dono ek saath-tumhe jo karna hai karo...
mai-thik hai...
uske baad hum tino bhi so gaye....