UPDETE __ 24
kiran police station se kisi ko bhi apne sath lekar nahi jati hai q ke kiran ko apne police wale pe zara bhi yekin nahi hota hai
our kiran ko ek do par yekin bhi tha to kiran ye kaam khud karna chahti thi kiran jab market main jati hai to Oto wala samne hi dikh jata hai our apni dusri tarf ishara karta hai
jab kiran dusri tarf dekhti hai to ek ladka ko sarab ke dookan par dikhti hai kiran phir se Oto wale se puchhti hai kya yehi ladka hai to Oto wala sar hila kar isara kar deta hai haa yehi hai
phir kiran Oto main baith jati hai our us ladke ko Oto main baith kar dekhti hai kuch hi der main ladka bhi dookan se sarab lekar gadi main nikal jata hai to kiran Oto wale se uske pichhe jane ko bolti hai
wahi wah ladka gadi apne dhun main chalate hua jata hai sahar se kaphi dur chalne ke baad wah ladka apni gadi dusri tarf modhe deta hai uske pichhe hi Oto wala bhi gadi uske pichhe chalata hi rahta hai magar Oto wala kuch duri par rahta hai kuch aage our jane ke baad ek building dikhai deta hai jo charon tarf se lambi lambi diware khadi hui hoti hai our andar jane ke liye ek bada sa get hota hai kiran Oto wale se bolti hai yehi par rokne ke liye our Oto wale ko jane ko bolti hai magar Oto wala bolta hai main bhi aap ke sath chalunga our kiran se bol deta hai
agar aap ko Rahmaan bhai didi bolte hai to phir aap mere bhi didi hui our main apne dost ki bahan ko akela nahi chhod sakta ye jante hua bhi ke waha khatra hai Oto wala bolta hai
to kiran use sath chalne ko bolti hai our kiran gun nikal kar aage aage chhipte hua jane lagti hai jab get ke pass dono jate hai to dekhte hai get andar se band hai
kiran phir Oto wale ko sahara lekar diwar ke andar dekhti hai to us get ke pass do aadmi hote hai to kiran niche utar kar Oto wale ko batati hai
ab ham andar kaise jayege Oto wala kiran se kahta hai
ham pichhe se jayenge kiran kahti hai our dono get se hokar dusri tarh chale jate hai pichhe jane ke baad kiran phir se diwar se dekhti hai to waha koi nahi hota hai to kiran diwar par chhad jati hai our Oto wale ko bhi uper khich leti hai phir dono aage badhne lagte hai dono jaise hi bilding ke get ke pass jate hai to dekhte hai 2 aadmi bilding ke bahar bhi khade hokar baate kar rahe hote hai kiran chhipte hua jakar ek aadmi ko gun se maar deti hai our dusre par gun taan deti hai our use chhup rahne ka isara karti hai wah aadmi bhi kiran ke hanth main gun dekh kar dar jata hai our apna dono hanth utha deta hai kiran aadmi ko pakad kar ek pede ke pass lati hai our ladke ki photo dikha kar puchhti hai kaha par hai to wah aadmi batata hai andar hai phir kiran uske sar par bhi gun se mar deti hai jo aadmi behosh ho jata hai
phir Oto wala dono aadmi ko ek jagah rakh kar upar se kapde se dhak deta hai kiran phir apne gun par silencer laga kar dhire dhire andar jane lagti hai our ek ek ko marte hua aage badhti jati hai wahi Oto wala pichhe se laso ko waha se hata kar chhipata jata hai kiran ek room ke pass jati hai ki kiran ko kuch ladkiyo ki rone siskne ki aawaz aati hai kiran us room ki chitkali khol kar dekhti hai to us room main 10 se 12 ladkiya hoti hai
wahi kiran ko get par dekh kar sabhi ladkiya kiran ko dekhne lagati hai our kiran ke haanth main gun dekh kar darne bhi lag jati hai to kiran un ladkiyo ko chhup rahne ki ishara karti hai our un ladki ke pass jakar kahti hai main police wali huin to ladkiya khush ho jati hai kiran abhi un ladkiyon ko room se niklne ke liye bolti hai ke 3 ladke waha aa jate hai
To tu yeha tak pahunch gayi hai our in ladkiyon ko bacha kar le jana chahati hai magar tujhe kaun bachayega mujhse ek ladka kahta hai
kiran dekhti hai ki Oto wala bhi unke sath hai our uske chehre se khun nikal raha hota hai jo kiran samjh jati hai
Oto wale ko bhi in kameeno ne bahut mara hai Oto wala dard main chikh bhi raha hota hai upar se uske sar par gun bhi taane hua hote hai to kiran apna gun niche gira deti hai
wah ladka aage badhta hai magar pichhe se apne sathi ki chikh sunai deti hai use our dekhta hai ek ladka uske dono sathi ko mar diya hai our gun bhi uspar taan diya hai
ab tujhe kaun bachayega ye soch tu kamina ek ladka kahta hai
wahi ladke ko dekh kar rubi ke chehre par thodi khushi aa jati hai
************
rahmaan ghar se nikal kar nadi ke kinare se dekhte hua chalte hi jata hai magar rahmaan ko aamir ka kuch nahi pata chal raha hota hai upar se dhup bhi bahut tezz lag rahi hoti hai Rahmaan phir bhi nadi ke kinare chalte hi jata hai rahmaan chalte hua ek jagah nadi ke kinare baith jata hai our apnr phone main lagi hui rubi ki photo ko dekhne lagata hai rubi ki hasti hui photo dekh kar kuch der ke liye rahmaan ke honthon pe muskan aa jati hai magar rubi use chhod kar chali gayi hai soch kar dukhi bhi ho jata hai kuch der baithne ke bad rahmaan phir nadi ke kinare chalne lagta hai tabhi rahmaan ko ek basti dikhai deti hai rahman nadi ko chhode kar us basti ki tarf chal padta hai taki waha ke logon se pata kar sake aamir ke bare main
************
wahi neha apne ghar ke aangan main kapde dho rahi hoti hai our neha ke dada ji wahi baith kar hukka pi rahe hote hai our khas rahe bhi hote hai magar hukka main fuk marte hi jate hai jab neha se dekha nahi jata hai to gusse main apne dada ji ke pass aa jati hai
dada ji aap itna q ye hukka pite rahte hai our din bhar khaste hi rahte hai aap ko kuch ho gaya to phir mera kya hoga aap ne kuch sochna hai main is duniya main akeli kaise rahungi neha thodi dukhi hokar kahti hai our apne dada ke hanth se hukka chhin leti hai
neha beti is liye to kahta huin tu shadi karle magar tu meri baat sunti hi nahi hai main waise bhi jayada din nahi jine wala ... pata nahi kab main is duniya ko chhode kar chala jaunga bas ek hi ichha hai kass main teri bachho ke sath bhi khel pata neha ke dada ji kahte hai
main abhi shadi nahi karne wali samjhe mere jane ke baad aap ka khayal kaun rakhega our aap itane jaldi marne ki baat mat kijiye aap ko abhi bahut jina hai neha dukhi hokar apne dada ji se kahti hai
haa tum sahi kah rahi hai main abhi nahi marne wala abhi to mujhe apne natiyon ke sath khelna hai bas jaldi se tu shadi karle meri ye bhi murad puri ho jayegi beti .. apni natin ko dukhi dekh kar neha ke dada ji phir se kahte hai
apne dada ji ki baat sun kar neha thodi khush bhi ho jati hai our apne ghar ke andar ki taraf dekhti hai to neha sharma bhi jati hai our uth kar jaldi se bhagti hai
q ke aamir ghar ke bahar hi aa gaya hota hai our kewadi pakad kar khada hokar dono ki bate sun raha hota hai jo neha dekh kar sharma jati hai phir bhag kar aamir ko sahara dene lagti hai taki aamir gir na jaye
tumeh abhi uthne ki kya zarurat thi abhi tum bahut kamzoor ho abhi tum nahi chal sakte neha aamir se kahti hai our shahara dete hua apne dada ji ke pass baitha deti hai aamir bhi neha ke dada ji ke pass baith jata hai tabhi aamir ki nazar neha par padti hai neha jo aamir ko dekh kar sharma rahi hoti hai aamir neha ko dekhta hai
mujhe ayese lag raha hai neha ke man main zarur kuch chal raha hai kya neha mujhe pasand karne lagi hai aamir man main sochta hai phir dusri tarf dekhne lagta hai
wahi neha bhi munh bana kar apne kapde ek balti main rakhne lagti hai ye buddhu samjhta q nahi hai main usse pyar karne lagi huin main kab se ise samjha rahi huin phir bhi nahi samjh raha hai neha man main kahti hai
phir neha balti ko lekar ghar se nikal jati hai apne dada se kahte hua ki nadi par kapde dhone jaa rahi our phir ek baar aamir ko dekhti hai jo neha ko hi dekh raha hota hai
wahi neha ke dada ji aamir se bat karne lagte hai tum kis jagah ke rahne ho to aamir bhi sab bata deta hai
wahi neha apni saheli champa ko sath lekar nadi ki tarf chal padti hai
neha aaj tu itani sharma q rahi hai kahi us ladke ne raat main tere champa itana bol kar ruk jati hai our hasne lagti hai
wahi apni saheli ki baat sun kar neha our bhi sharma jati hai our phir champa ko ghurne lagti hai
champa jayada na bola kar kuch bhi nahi kiya hai usne samjhi tu kuch bhi bolti rahti hai thodi gusse main neha bolti hai
ohh oh kuch nahi kiya hai agar kuch karta to kya karti tu q ki us ghar main tu our wah ladke hi the our aaj raat to ladka hosh main bhi tha teri jawani dekh kar uska man nahi dola kya uski jagah main hoti to champa bol kar phir hasne lagati hai
champa ki baat sun sun kar neha man hi man khush hoti rahti hai magar apne chehre ayese bana rahi hoti hai jaise neha ko apni saheli champa ki baat achhi nahi lag rahi hai
tabhi neha ko aamir ka apne kamar par rakhi hui lamhe yaad aati hai our neha apni kamar ko apne hanth se wahi chhu kar sharma jati hai
tu rahati to kya karti ab jayada na bol nahi to main hi tere sath karne lagungi phir na kahna neha champa ki tarf aage badhte hua kahati hai
neha ko apne karib aate dekh kar champa bhagne lagati hai ke ek ladke se takra jati hai
manf karna wah maine aap ko nahi dekhi champa kahti hai ladke se our phir neha ke pass aa jati hai
koi baat nahi kya aap bata sakti hai kuch din pahle nadi main kisi ne ek ladke ko dekha hai bahte hua ladka bolte hua apne phone main ek photo dikhata hai
to champa our neha dono dekhti hai our dono us photo ko dekh kar ek dusre ki munh dekhne lagati hai magar kuch bolti nahi hai
aap kaun hai our is ladke ko aap kaise jante hai neha bol padti hai
wahi ladke ko thodi khushi hoti hai our wah sochta hai sayad ladki ko pata hai tabhi ayese puchh rahi hai
mera naam rahmaan hai our is ladke ka naam aamir hai main aamir ka dost huin rahmaan kahta hai
ye rahman hi tha jo nadi se hote hua gaaon main aa gaya tha
wahi rahmaan ka naam sun kar neha bhi khush ho jati hai q ke aamir ke munh se rahmaan ka naam sun chuki thi
aap ka dost mere ghar hai achha hua aap aa gaye uski halat thik nahi hai our wah ghar jane ka bol raha tha neha kahti hai wahi rahmaan to itana khush hota hai ki neha ko pakad kar gale hi laga leta hai magar jab use ahsas hota hai ke usne anjan ladki ko uske hi gaaon main gale laga liya hai to jhat se chhod bhi deta hai
sorry bahan bura nahi manna tum meri bahan ki tarh ho mera dost zinda hai main sun kar rah na saka jo maine tumeh gale laga liya agar bura laga ho to tumeh mujhe thappar bhi maar sakti ho main phir se tumeh sorry bolta huin rahmaan hanth judte hua kahta hai
wahi rahmaan ki baat sun kar neha ke aankhe bhar aati hai ye soch kar ki ye apne dost se kitna pyar karta hai our neha ko is bat se our khushi hoti hai ke rahmaan ne usko bahan bola hai
koi baat nahi bhai mujhe bura nahi laga chaliye main aap ko ghar lekar chalti hui neha kahti hai our wahi se rahmaan ko sath lekar ghar ki tarf chal padti hai
rahmaan jaise hi neha ke ghar main jata hai aamir ko dekh kar jaldi se pass jakar pichhe se pakad leta hai
wahi aamir ko kuch pata hi nahi chalta hai magar jaise hi rahman aage aata hai aamir bhi apne dard ki parwah kiye uth kar rahmaan kr gale lag jata hai
mere bhai tujhe kuch nahi hua dekh kar main kitna khush huin bata bhi nahi sakta main khud se hu nirash tha tu mere liye itani badi musibat main fash gaya our tere sath kya hua yehi soch kar main dukhi tha bhai rahmaan gale lage hi kahta hai
rahmaan bhai main bilkul thi huin mujhe pata tha agar aap ko mere bare main pata chalega to aap mujhe zarur talaash karenge aamir kahta hai phir dono alag ho jate hai
neha aangan main rahmaan ko baithne ke liye bolti hai rahman bhi aamir ke sath baith jata hai
magar rahmaan phir dukhi ho jata hai aamir ki halat ko dekh kar magar kuch kahta nahi hai
phir neha pani lakar rahmaan ko deti hai pine ke liye rahmaan bhi pani pine lagta hai
bahan tumhara ye ahsan rahega mujhe tumhari wajah se main apne dost se mil paya agar main tumhare koi kaam aa sakta huin to mujhe bas ek baar bata dena main bhag kar aa jaunga tumhare pass tumhari madd ke liye rahmaan neha se kahta hai
aap mujhe bahan bhi kah rahe hai our ahsan bhi maan rahe hai agar aap sach main mujhe bahan maan rahe to main bhi aap ko bhai maan rahi huin our bahan bhai main koi ahsan nahi hota hai neha muskurate hua kahati hai jo rahmaan bhi muskura deta hai
maine apni bahan ka naam bhi nahi puchha kya naam hai meri pyari bahan ka rahmaan kahta hai
mera naam neha hai neha baat to rahmaan se kar rahi thi magar dekh aamir ki tarf rahi thi
achha neha yeha se kitna dur hai jo hameh gadi mil sake q ke main ab nadi ke raste to aamir ko nahi lekar jaa sakta huin our aamir jayada chal bhi nahi sakta hai rahmaan kahta hai
rahmaan ki baat sun kar neha ki dil dhak dhak karne lagati hai ki aamir ab chala jayega neha aamir ko dekhne lagti hai magar aamir dusri tarf dekh raha hota hai jo neha ko our dukh hota hai our neha rahmaan ko koi jawab nahi de pati hai our aamir ko apni tarf dekhne ki minat karne lagti hai dil hi dil main magar aamir dusri tarf hi khayalon main khoya hota hai
neha kya hua batao na hameh gadi kaha se milegi sahar jane ke liye rahmaan phir se bolta hai
rahmaan ki baat sun neha aamir ke tarf se apna munh hata leti hai our rahmaan ko bata deti hai bas kuch hi duri par ek kacchi sadak hai our gaaon ke hi ek gadi hai jo subah main sahar ke liye jati hai nahi to phir hameh paidal hi pakki sadak tak jana padta hai jo yeha se kaphi dur hai neha kahti hai
rahmaan bhi time dekhta hai to sham hone wali hoti hai to sochta hai subah hi jana thik rahega to neha se kah deta hai subah main hi chala jaunga
neha bhi phika man se thik hai main sar hila deti hai
Raat ke 8:PM
neha rahmaan our aamir ko khana khila kar phir apne dada ji ke sath khana khati hai our phir apni saheli champa ke ghar sone ke liye chali jati hai q ke neha ka ghar main zameen to kaphi hoti hai magar ghar ek hi bana hota hai jo rahmaan ke aane ke baad ab koi jagah nahi bachti hai our ghar ke bahar ek jhopdi hota hai jisme neha ke dada ji so jate hai
neha kya tumne aamir se apni dil ki baat batai wah kal chala bhi jayega champa kahti hai
wahi neha kuch bole hi bas naa main sar hila deti hai neha ki aawaz bhi nahi niklti hai ke wah kuch bol sake
to kab btayegi use jab wah chala jayega tab tujhe subah main bata deni chahiye tha phir pata nahi aamir se tu dubara milegi ki nahi champa kahti hai
main kaise bataun agar aamir ne mana kar diya to our agar aamir ne ye soch kar mera pyar kabul kar liya ki maine uski jaan bachai hai to wah pyar nahi ahsan hoga main janna chahti huin jitna pyar main aamir se karti huin kya aamir ke dil main bhi mere liye utana pyar hai maine kai bar aamir ko jata bhi diya hai main use pasand karti huin agar mera pyar sachha hua to aamir zarur mere liye wapas aayega neha roti huin bolti hai
are pagal ladki main bhi to wahi bol rahi huin tu agar aamir ko nahi batayegi to use kaise pata chalega agar tu nahi bata sakti to main bata dungi use champa kahti hai
champa ki baat sun kar neha kuch nahi bolti hai our apni aankhe band kar leti hai