UPDETE __ 13
Rahmaan ghar sham ko pahunchta hai apni Rabia baaji ke sath ghar par jate hi Rahmaan ki Ammi bahut hi khush hoti hai our apni natin ko god main le leti hai Rahmaan apne room main chala jata hai our Rabia baaji apne room main chali jati hai
q ke yeha Rabia ka bhi ek alag room hai jab bhi Rabia Rahmaan ke ghar aati hai to usi room main rahti hai Rahman ki Ammi bhi us room main bahut kam hi jati thi jab kuch rakhna ho to magr jab pata chal ki Rabia bhi sath aa rahi hai to Rahman ki Ammi subah main hi Rabia ka room saff karwa diya tha
Safar karne ke baad Rahman our Rabia thaki hui hote hai to raat main bas khana kha kar hi sone chale jate hai
Next Morning
Rahman uth kar pahle bathroom jata hai our phir fresh hokar holl main akar baith jata hai
to collage kab se jana hai babu sahab tujhe bahut din ho gaya hai tujhe collage chhode hua aaj jayega na Rabia Rahmaan ko Coffee dete hua bolti hai
baaji aaj to aaye hi hai ham main kal se collage jaunga aap to mere pichhe hi pad jati hai bhadakta hua Rahmaan kahta hai
thik hai baba tu kal hi collage jana .... tu ise lekar chhat par chal main thodi mami jaan ki Kichen main madd kar ke aati huin "" our ise rolana nahi samjha nahi to main tujhe hi marungi rabia baaji rani ko dete hua Rahmaan se kahati hai
rani mere pass nahi roti hai jitna aap ke pass roti hai rani teri maa ek billi hai jo har waqt meow meow karti rahti hai Rahmaan kahta hai our rani ko lekar chhat par bhag jata hai
kya main billi ki tarh bolti huin ye bhi bata de billi kaise katti hai ruk main hi kaat kar batati huin Rabia baaji Rahmaan ke pichhe chhat ki tarf jati hai ki samne apne mamu ko dekh kar ruk jati hai our apne mamu ke chehre ko dekhti hai to bahut ajib lagta hai Rabia baaji ko wahi Rabia ke mamu jakar kursi par baith jate hai
mamu kya hua aap udaas lag rahe hai aap ka tabiyat to thik hai na ya koi our baat hai Rabia puchhti hai
rabia beti koi baat nahi hai bas thoda sar dard kar raha hai tum mujhe coffee lakar do pahle Rahmaan ke abbu kahte hai
Rabia phir kuch nahi kahati hai our Kichen main chali jati hai Rabia jab Kichen main jati hai to dekhti hai uski mami kisi yaadon main khoi hai our sabji kat rahi hoti hai
mami jaan kaha khoi hai dekhiye aap sabhi bina chile hi sabji kat rahi hai Rabia kahti hai
Rahmaan ki ammi hosh main aati hai our dekhti hai to wah sach main sabji bina chile hi kat rahi hoti hai
mami koi baat to nahi hai jo aap mujhe batana chahti hai main dekh rahi huin mamu bhi thode pareshan lag rahe the our aap bhi pareshan lag rahi hai kya baat hai Rabia coffee banate hua bolti hai
Rabia beti abhi tujhe mana kiya tha Rahman ko lekar yeha mat aa phir bhi lekar aa gayi tu bhi ab meri baat nahi sunti hai Rahman ki ammi kahati hai
mami jaan chhote ki padhai bhi khatam ho rahi thi jaisa aap ne kaha tha mujhse .. main chhote ko boli ke yehi tera admission karwa deti huin tu yehi par rah magar wah nahi mana our phir kahne laga mujhe ghar jana hai our bina mujhe bataye hi chhote ne tikat bhi nikal diya to main kya karti hai "" magar mami jaan aap Rahmaan ko yeha aane ke liye mana q kar rahi thi Rabia kahti hai
dekh tere mamu coffee mang rahe hai jaa pahle coffee de Rahman ki ammi kahati hai
kya baat hai mami jaan our mamu dono pareshan lag rahe hai koi to badi bat hai warna itna kabhi pareshan nahi dekhi main mami jaan our mamu ko mujhe pata karna hi hogi kaise baat ko ghuma kar coffee dene ke liye boli mami jaan Rabia baaji man main sochti hai our coffee jakar apne mamu ko dekar phir se Kichen main aa jati hai
wahi Rabia ke Kichen main jate hi Rahman ki ammi nikal jati hai Kichen se
jo Rabia baaji ko ab sak hone lagta hai koi to baat yekinn hai
mami jaan ye achhe se janti hai ki main phir se Puchhongi is liye chali gayi yeha se Rabia baaji man hi man main sochti hui pareshan ho jati hai
idhar Rahmaan chhat par rani ke sath khelte hua bar bar Rubi ke ghar ke chhat par dekhta hai Rubi chhat par aati hai ki nahi magar kaphi waqt tak Rubi chhat par nahi aati hai jo Rahmaan thoda dukhi ho jata hai
Rahmaan chhat par to dekh raha hota hai magar Rahmaan ki nazar Rubi ki darwaze ki tarf nahi padta hai jo Rubi ke darwaze par ek tala latak raha hota hai abhi
tabhi Rahmaan ko gali main ek ladka nazer aata hai to Rahmaan use aawaz dekar rukne ko bolta hai to wah ladka wahi ruk jata hai Rahmaan niche utar kar rani ko apni ammi ko dekar bahar chala jata hai jo ladka abhi bhi wahi khada hota hai
samim tera bhaiya aamir kaha hai main use kai Din se phone kar raha huin lag hi nahi raha hai Rahmaan kahta hai us ladka Se jo wah ladka aamir ka chhota bhai hota hai
samim kuch jawab nahi deta hai our jane lagata hai
jo Rahmaan ko thoda ajib lagta hai to Rahmaan samim ko phir se pakad kar puchhta hai
Rahmaan bhai mujhe bhaiya ke bare main koi baat nahi karna hai bhaiya ghar chhod kar chale gaye hai uneh zara bhi ammi abbu ka chinta nahi hai ammi kitni roti hai magar itne din ke baad bhi bhaiya ghar nahi aaye hai samim kahte hua rone lagata hai
samim kya matlab hai tera aamir ghar chhod kar chala gaya hai q ghat chhod kar chala gaya hai aamir kuch hua tha kya ghar par Rahmaan kahata hai
Rahmaan bhai ek din aamir bhai sarab pikar ghar aaye the our jab ammi uneh khana de rahai thi to uneh pata chal gaya aamir bhaiya sarab pikar aaye hai our ammi ne abbu ko bata diya jo abbu ne aamir bhaiya ko bahut bolne lagae phir ammi ne abbu ko bolne se mana kar di magar usi raat aamir bhaiya ghar se chale gaye jo ab tak ghar nahi aaye hai ... ammi abbu bhi din main kai bar uneh phone karte hai jab se gaye hai magar unka phone nahi lagata hai ... jis din aamir bhaiya ghar se gaye the us din phone laga tha magar aamir bhai ne phone nahi uthaya jo ammi bahut dukhi thi ... subah main maine ammi ko rote hua dekha to bhaiya ko phone laga diya jo bhaiya ne phone uthaya maine uneh bataya ammi kitni dukhi hai to bhaiya ne kaha do pahar tak ghar aa jaunga to main khush hokar ammi ko bataya to ammi bhi khush ho gayi magr us din aamir bhai ghar nahi aaye shaam ko maine phir aamir bhai ko phone kiya magar unka phone band batane laga our abhi tak band hi bata raha hai .... main uneh kabhi Manf nahi karunga unke wajah se ammi bahut dukhi rahti hai samim rote hua kahata hai
samim ki baat sun kar Rahman ko bahut dukh hua our aamir par gussa bhi aane laga
samim tum jaao main pata karta huin Aamir kaha hai Rahmaan kahata hai to samim jane lagta hai tabhi Rahmaan ko kuch yaad aata hai
samim aamir ko ghar se gaye hua kitne din ho gaya hai Rahmaan samim se puchhta hai
mujhe achhe se yaad nahi Rahman bhai magar us din maine bhaiya ko aap se baat karte hua suna tha usi din gaye the ghar se samim kahta hai
uske agle din to Rabia baaji ne mujhe phone kar ke boli thi ammi se baat karne ke liye our jo ammi ka phone nahi laga tha phir subah main maine ammi se baat ki to wah pareshan lag rahi thi kahi ammi aamir ko wajah se pareshan to nahi thi nahi uneh aamir ke bare main pata nahi hoga nahi to mujhse aamir ke bare main puchhti Rubi ke bare main nahi Rahman sochta hai
thik hai samim tum jaao main pata karta huin Aamir ke bare main Rahman kahta hai our ghar main aa jata hai