Update : 5 (Rahashyamay Ghatna)
“khaaattt khaatt khaatt khaatt” lagatar bina ruke koi sunil ke ghar ke darwaje ko khata-khata raha tha
Neeta sunil ko ghusa marte hue neend me hi kehti hai “suniye, darwaja kholna, dudh vala hoga” aur voh vapas so jaati hai
Vahi sunil nind me hi kehta hai “kya hai yaar subah subah” aur fir voh so jata hai
Lekin bahar jo tha voh bina kuch bole aur bina ruke ektak darwaja khata-khataye jaata hai
Sunil pareshan hokar ardh khuli aankho se chalte hue darwaje ke pass jaata hai, aur gaaliya dete hue darwaja kholta hai “kya hai be bhutnike, kyu subah subah dimaag ka korma bana raha hai, ek kaam kar dudh sham ko de jaana” lekin usne abhi tak bahar khade patil ko nahi dekha tha
Voh bechara ajeeb sa muh banate hue kehta hai “sahab, mai dudh vala nahi hu, mai Patil hu”
Patil ki awaaz sunkar sunil apni aankho ko malte hue use dekhta hai aur kehta hai “kya hai be tuje, subah subah bc tune dimaag ka bhobda kar diya” aur voh ubasi lete hue bolta hai “ab yaha kya meri maiyaat me aaya hai jo ese khada hai, bol kya hua, bhokna chalu kar”
Vahi bichara patil, uska toh aaj ka din hi pura kharab tha, abhi abhi jo hadse uske saath hue voh usspar sochne laga ki aakhir yeh sab ho kya raha hai “sahab, voh Aryan sir ka accident hua hai”
Itna sunna tha ki sunil ki saari nind jese ek hi pal me gayab ho gayi, voh aankhe faade kabhi patil ko dekhta toh kabhi sochta ki yeh usne kya sunn liya “kya bola tu..??”
Patil “haa…sahab, voh hamare gaanv ka jo dudh vala hai usne muje bataya ki kisi ka accident hua hai, aur jab mai dekhna gaya toh dekha ki Aryan sir ka accident hua hai”
Itna sunte hi sunil jor se chillata hai “neeta, mai jaa raha hu, Aryan ka accident hua hai” aur voh fauran patil ke saath chala jaata hai
Aryan iss waqt apne ghar me hi tha, aur gaanv ka ek local doctor bhi vahi par maujud tha jisne Aryan ka check up almost kar hi liya tha
Sunil vaha pahuchte hi puchta hai “arun, aryan thik toh haina..??”
Arun “haa, Aryan thik hai, bas sar par halki si chot lagne se voh behos ho gaya tha”
Sunil Aryan ki aur dekhte hue kehta hai “Aryan, yeh hua kese..??”
Aryan khud iss soch me duba hua tha ki aakhir yeh hua kese, use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, voh apne mann me sochta hai “kya muje yeh sab batana chahiye..?? par batau toh bhi kya batau, kese batau ki mera accident kese hua tha”
Sunil Aryan ko hilate hue firse puchta hai “bhai, tu thik toh haina..??”
Aryan hosh me aate hue kehta hai “haa yaar, mai thik hu..bas voh jeep ki headlight achanak se band ho gayi thi, toh aage paid dikhayi nahi diya”
Tabhi patil turant bolta hai “lekin sahab, aapka jaha par accident hua vaha toh koi paid nahi tha”
Aryan ajeeb si najro se dekhte hue kehta hai “ho sakta hai, andhera jyada tha aur light nahi thi toh kuch dikha nahi hoga”
Sunil “chalo acha hai ki tu sahi salamat hai, ek kaam kar tu aaja aram kar, mai aaj police station sambhal lunga”
Aryan “are nahi nahi sunil, maine kaha na mai thik hu, bas kuch der me mai aajaunga” fir voh sunil ko dhoti aur baniyan m dekh uske maje lete hue kehta hai “aur sale, naahkar toh aata”
Sunil apni halat dekh firse patil par baraste hue kehta hai “are yeh sab iss dhakkan ki vajah se ho raha hai, sala bolta hai tera accident hua hai, mai samja ki tu toh gaya, pehle bol deta ki halki chot hai”
Patil “par sahab, aapne muje bolne ka mauka hi kaha diya, aap toh siddha mujpar baras pade”
Sunil “haa haa thik hai thik hai chal, aajaiyo tu bhi kuch der me”
Uske baad sab Aryan ke ghar se chale jaate hai, aur vahi Aryan bhi fresh hokar ready ho jaata hai, par uske dimaag me bahut saaare sawaal ek saath ghum rahe the
“yeh sab ho kya raha hai mere saath, muje pakka yaad hai meri jeep paid se hi takrayi thi, kuch samaj me nahi aa raha” aise hi soch me tha ki vaha par sunil aajata hai
Voh dono hi fir police station ki aur chal padte hai, toh Aryan kehta hai “are bhai, yaha koi mechanic hoga..?? jeep ko kaafi nuksaan pahucha hai”
Sunil “yaar gaanv me vese toh koi bada mechanic nahi hai, lekin shayad apna raju yeh kaam kar lega, mai patil ko keh dunga ki voh mechanic ko bula le”
Vo dono police station pahuch jaate hai, vahi patil raju ko bulane chala jaata hai aur sunil mast aaram se cabin me baithe hue chayi ki chuskiya le raha tha
Vahi Aryan ka subah subah me hi head-office se phone aagayi tha, to Aryan DG se baat karne lagta hai
DG “toh Aryan, kesa raha tumhara naya posting”
Aryan “sir, vese toh thik hi hai, par ek baat mere samaj me nahi aa rahi”
DG “haa bolo, kya samaj me nahi aa raha”
Aryan “sir..yaha par kam se kam 200 se jyada log maare jaa chuke hai, aur usme bhi kahi police vale bhi maujud hai..toh yeh baate mujse kyu chupayi gayi hai..?? aur yaha tak ki aesi khabare toh media pure gaanv me dhindhora peet peet kar batati hai..lekin inn sab khoon ke baare me kahi par jikar kyu nahi hua..??”
Aryan ke itne saare sawaal ek saath puchne par ek pal ke liye DG bhi thoda tension me aajata hai, par fir voh gehri saans lete hue kehta hai “dekho beta, meri tujse koi aapsi dushmani nahi hai, jitne sawaal tu kar raha hai, voh saare sawal mere mann me bhi kahi baar aaye hai, par kya karu..muje upar se order diya gaya hai ki iss baare me kisi ko bhi kuch bhi banak nahi lagni chahiye” thoda rukkar “tere se pehle bhi kahi police vaale vaha gaye hai, aur unn mese sirf ek zinda lautkar aaya tha..lekin aaj voh kaha hai hum nahi jante”
Aryan “kya matlab ki hum nahi jaante..?? sir please, dekhiye aap jo bhi jaante hai muje bataiye, usse hume bahut fayda ho sakta hai..yaanha tak ki Mussoorie ki yeh gutthi sulaj jayegi”
DG “sorry Aryan, but mere pass tumhare iss sawal ka koi jawab nahi hai”
Aryan “sir, muje aisa kyu lag raha hai ki aap kuch chupa raha hai”
DG “dekh Aryan, mai officially tumahari koi madad nahi kar sakta, lekin haa..muje shaq hai ki inn sab ke piche gaanv ke sarpanch ka kuch haath hai, tumhe usse baat karni chahiye, par dhyaan rahe ki hamari yeh baate kisi aur ko naa pata chale, tumhare khaas dost sunil ko bhi nahi”
Aryan “thik hai sir, mai iss baat ka dhyaan rakhunga”
DG “dekho beta, mai janta hu ki vaha par kya hua hai..lekin Aryan, iss case ko tuje solva karna hi hoga, tu meri aakhri ummid hai”
Aryan “aap fikar naa kare sir, mai puri koshish karunga”
DG “mai janta hu Aryan, par beta sambhal kar” aur fir voh phone rakh deta hai, Aryan jo iss waqt police station ke bahar jaakar baat kar raha tha, voh ab andar aajata hai aur vaha par raju ko dekhta hai
Raju “raam raam sahab”
Sunil “raam-raam raju, ke haal hai thaare” voh Aryan ke cabin me aate hue kehta hai
Raju “mai thik hu sahab, kahiye kya kaam hai”
Aryan “dekh bhai, jeep ki headlight kaam nahi kar rahi, aur aage ka sheesha tut gaya hai, toh use banwana hai”
Lekin shayad aaj ka din Aryan ke liye achcha nahi tha, patil kehta hai “yeh kya keh rahe ho sahab, aapki jeep ka toh koi bhi seesha nahi tuta hai”
Aryan yeh sunte hi patil ko ajeeb se najro se dekhne lagta hai, voh kehta hai “patil, maana ki mera accident hua tha, par muje pakka yaad hai ki mai aage vaala kaanch toadkar bahar geera tha”
Patil “nahi sahab, mai sach keh raha hu, mai hi toh aaj subah aapo ghar lekar aaya tha, aur aap jeep ke aage nahi, balki side me gire the, aur aage ka sheesa toh sahi tha”
Sunil haste hue kahta hai “kya bhai, yeh kya locha hai..?? kahi tu kal sharab peekar toh gaadi nahi chala raha tha”
Aryan gusse se kehta hai “toh tuje kya lagta hai ki mai juth bol raha hu..??”
Sunil “are bhai shant hoja, mai toh bas masti kar raha tha, ek kaam karte hai, hum sab khud chalkar dekh lete hai”
Aryan ko bhi yeh sahi lagta hai, aur voh charo log uss jagah pahuchte hai jaha par Aryan ka accident hua tha, aur vaha pahuchte hi sabse pehle Aryan ko jatka lagta hai, kyunki yeh toh voh jagah thi hi nahi jaha par uska accident hua tha, balki yeh toh koi aur hi jagah thi
Aryan ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, voh apne jeep ke charo aur ghumkar dekhta hai toh uska sar aur bhi jyada chakrane lagta hai, kyunki Patil sahi keh raha tha..uski jeep ka sheesa bilkul sahi salamat tha aur yaha tak ki uski jeep bhi sahi salamat thi
Sunil jeep ke pass jaata hai aur headlight chalu karta hai toh voh chalu ho jaati hai “Aryan, headlights ko toh kuch bhi nahi hua, yeh toh kaam kar rahi hai”
Aaj sach me Aryan ka din bahut hi jyada kharab tha, usne bhi dekha ki uske jeep ki headlight sahi se kaam kar rahi hai, aur vahi samne paid naa hokar bijli ke light ka khambha tha
Aryan ke mann me bahut se sawaal ek saath umad rahe the, lekin kisi bhi sawaal ka jawaab uske pass nahi tha, voh bas kabhi sunil ko dekhta toh kabhi apni jeep ko dekhta
Raju jo vaha aaya tha voh jeep ko dekhta hai aur kehta hai “are sahab, aap, headlight toh thik hai..lekin yeh steering wheel jaam ho gaya hai”
Sunil kehta hai “thik hai raju, ise thik karke police station pahucha dena”
Raju “sahab, aaj ravivar hai, ab isspar kaam toh kal hi ho payega”
Aryan “thik hai raju, kal kar dena, tu jaa sakta hai”
Raju ke jaane ke baad Sunil Aryan ke pass aakar puchta hai “Aryan, sach bata, kya hua tha kal”
Aryan kuch kehta usse pehle ek aur hawaldar vaha daudte hue aata hai, aur joro se hanfte hue kehta hai “saab ji, saabji…jungle me ek aur khoon hua hai”
Aryan “baad me baat karte hai, abhi work first”
Sunil iss par kuch nahi kehta, aur voh sab uss jungle me chale jaate hai aur aaj fir ek baar Aryan ko kuch aisa dikhta hai jo voh dekh nahi paata aur firse vomiting chalu kar deta hai
To be continued…