• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Maut ka Aatank...!!!

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
135,943
112,744
354
Hello, Ladies :kiss: & Gentleman, :hi:
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 17th, Nov 2019, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur
Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur
Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.


:thanks:
On Behalf of Admin Team
Regards :-
Siraj Patel


 

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
aryan case suljhalega Shayad ya fir mar jayega

aur wo sarpanch ki ghar m ladki kyu ro rahi h

twists h bro bahut is story m bahut sare details missing hai
:thanks: sam bhai :dost:
haa bhai, koshish karunga ki har ek chiz ko sort out kar pau
 
  • Like
Reactions: Rahul

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Update : 9 (Rewind)

Aryan “haa toh..?? hume yeh uniform ese hi nahi di gayi, jaakar puchtach karo, ghar ghar jao, muje har ek information chahiye, voh bhi written me, har ek shaks ka bayaan likhkar unse sign karwao, aur sign naa kare to angutha lagwao..par muje har ek details chahiye, fir chahe voh choti si choti kyu naa ho, sunil..tu patil ke saath jayega..Is that clear”

Patil aur Sunil “yes sir”

Aryan “good, mai uss doctor se jaakar baat karta hu” aur fir voh gaanv ke hospital ki aur nikal jaata hai, aur vahi dusri aur Sunil aur Patil bhi vanha se chale jaate hai

Ab aage…


Aaj Aryan ka mood bahut hi jyada kharab tha, aur Aryan ka gussa dekh Sunil aur Patil dono hi chintit dikh rahe the, khair Aryan toh inn dono ko order dete hi turant vanha se nikal gaya tha, par inn dono ko hi kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh shuru kaha se kare

Patil “yeh aaj saab ko kya ho gaya hai..??”

Sunil “pata nahi, par Aryan ko dekhkar yahi lag raha hai ki aaj hamari khair nahi hai”

Patil “haa sahab, muje toh aisa lag raha hai ki aaj agar hume koi surag nahi mila toh hamari naukari khatre me pad sakti hai”

Sunil ghurkar Patil ki aur dekhta hai “toh fir chalte hai gaanv me”

Fir patil aur Sunil bhi police station se nikal jaate hai, Jeep chalate hue Patil puchta hai “sahab, hum nikal toh aaye hai, par aakhir hum karenge kya..??”

Sunil bhi khud pareshan tha ki akhir voh kaahe se shuru kare aur kya shuru kare, fir kuch sochte hue voh kehta hai “Patil, mere hisab se hume pehle yeh puchtach karni chahiye ki vakahi me kitne logo ki maut hui hai, kyunki yeh ek chota sa gaanv hai aur muje nahi lagta ki hamare pass har ek ki details hogi”

Patil “haa sahab, voh toh hai, toh fir kya socha hai aapne”

Sunil “hum har ek ghar jaana hoga aur har logo se puchtach karni hogi, unke ghar mese kisi maut hui hai aur kab aur kis karan hui hai”

Dusri taraf, Aryan jeep ko bahut teji se uss hospital ki aur bhaga raha tha, uska gussa uske chehre par saaf dikhayi de raha tha, voh khud se hi baat karte hue drive kare jaa raha tha “kuch toh gadbad ho rahi hai, aisi toh kya vajah hai ki yeh sab ho raha hai, aur sabse bada sawal ki yeh kaun aur kyu kar raha hai..??”

Voh yahi sab sochte hue hospital pahuch gaya, lekin doctor Verma abhi tak hospital nahi aaya tha toh Aryan use man hi man gaaliyan dene laga “yeh sala chodu doc, kabhi time par aata bhi hai ya nahi..??”

Vese Doctor Verma ki galti nahi thi, iss waqt subah ke 8:42 ho rahe the, aur gaanv ka chota sarkari hospital hone ki vajah se vaha jyada koi aata jaata bhi nahi tha, Hospital ka gate bandh dekhkar Aryan ka gussa satve asmaan me pahuch gaya, usne jeep se utarkar sidhe hospital ke entrance darwaze par laat mari aur voh arwaza dhaadaaamm ki awaaz ke saath tutkar gir pada

Darwaze ke girni ki awaaz se asmaan me sare pakshiyo ke kilkarane aur fadfadane ki awaze ek saath sunai dene lagi, toh vahi dusri aur main hall me charo taraf dhul fail gayi

Achanak se dhul felne ki vajah se Aryan ko saans lene me thodi si dikkat hone lagi aur voh khasne laga, kuch der baad khud ko sambhalkar voh bolta hai “yeh sala mai kaha aakar fans gaya, aisa lag raha maano sadiyo se yaanha koi aaya hi nahi” aur voh sidhe doctor Verma ke cabin ki aur chala gaya

Cabin me pahuchte hi Aryan ne thodi saans li “ab jaakar thodi rahat mili, yeh pura ka pura kabaad khaana hai” aur fir vaha tables par rakhi hui files ko dekhne laga, lekin voh normal files thi ussme use kuch nahi mila toh usne unn files ko joro se patak diya aur voh khud verma ke chair par baith gaya

Voh baar-baar apne phone me time dekh raha tha, lekin shayad aaj waqt ne bhi Aryan ko pareshan karna than liya tha, Aryan ko aaye abhi sirf 7 minutes hue the aur dheere dheere uska gussa badhta hi jaa raha tha

Voh chair se khade hokar cabin me idhar udhar chakkar kaatne laga, par uska gussa kam hone ka naam nahi le raha tha

Darasal Aryan gussa hone se jyada pareshan tha, jabse uski posting yanha hui hai ab tak 2 khun ho chuke hai..aur iss tarah ke khoon usne apne puri zindagi me naa kabhi dekhe the aur naa hi kabhi sune the, upar se DG aur gaanv ke sarpanch ki baate aur bhi jyada use pareshan kar rahi thi”

Voh thak haar kar firse chair par baitha jaata hai aur khud se hi sawaal karte hue “aisa kese ho sakta hai, jab bhi koi khoon hota hai toh uske piche koi na koi vajah jarur rahti hai, par yaanha ke haalat kuch aur hai, yaanha sab jaante hai ki khoon toh ho rahe hai, par khoon kyu ho rahe hai unke piche ka kaaran kisiko nahi pata, yaa fir koi batana nahi chahta..??”

Aryan ese hi badbadate hue kehta hai “sala, dimag ka toh korma ban gaya hai, voh dono laashe, muje abhi tak ghin aa rahi hai, koi kisiko itni behrahmi se kese maar sakta hai..?? voh laashe itni vichatra haalat me ki pucho mat” voh saans lete hue kehta hai “uske baad yeh pata chalta hai ki yaha jitney bhi khoon hue uske baare me desh me kisiko bhanak tak nahi hai, aur jab maine yeh baate DG se puchi toh ulta DG yeh kehta hai ki use upar se orders hai ki voh yeh saari baate public nahi kar sakta” fir voh ek-ek karke unn saari vardato ko jodne lagta hai

Aryan ne kuch sochte hue pass hi me padi hui pen uthayi aur ek paper me sab kuch likhne laga “mere yaanha aate hi 2 logo ki maut hui, unki laashe puri tarah se sadi hui thi, jise laash se jyada kankaal keh sakte hai, uske baad jab mai police station pahucha toh pata chala ki iss tarah ke khoon yanha par akshar hote rehte hai, lekin inn sab ka koi evidence nahi hai, naa kisine kuch dekha hai aur naa hi koi iss baare me baat karta hai, fir voh doctor…voh kehta hai ki har baar issi tarah ki laashe aati hai jo laashe naa hokar sirf kankaal hi hote hai” fir kuch sochte hue “aur khuuni kis hathiyaar ka upyog karta hai uski bhi koi jaankari nahi hai” kuch sochte hue likhta hai “aur fir unn laasho ka itni buri tarah se ek hi din me sad jaana, yeh baat kuch hajam nahi ho rahi” fir thoda rukkar voh firse likhna shuru karta hai “Sunil ke hisab se yanha aane vale har ek inspector ki maut ki report HeadQuarters ko di gayi hai, lekin headquarters me iss baat ka koi jikar tak nahi hai, infact vaha par kisika bhi namonishan nahi hai, aur sabse badi baat mere aane ke thik 10 din pehle Sharma ki maut hui thi..iss baat ko bhi mujse chupaya gaya tha” fir voh rukkar likhta hai “fir hum tino jungle me jaate hai, vanha par yeh pata chalta hai ki jab hum pichle bar aaye the tab laash par khoon laga hua tha, aur voh lash paid par latki hui thi..jabki uss paid par kahi par bhi khoon ke nishan nahi the, aur agar koi kisiko mar kar vanha fainkta hai tab bhi kahi par khoon ke nishan hone chahiye, jo vaha par nahi the..it’s almost impossible” aur fir “aur fir voh hadsa jo mere saath hua, muje sahi se yaad hai ki meri jeep paid se takrayi thi, par voh paid naa hokar electric pole kese ho sakta hai..?? aur meri jeep, mai aage ka seehsa todkar gira tha, jabki subah ko jeep ekdum sahi salamat thi aur headlights bhi kaam kar rahi thi” “aur fir DG ki voh baate, unhe inn maut ke baar ae mai sabkuch pata hai, par naa toh unhone muje kuch bataya aur upar se yeh keh rahe hai ki iss baat ko bahar nahi aane dena hai..?? aur DG ki mutabik, inn khoon me shayad Sarpanch ka haath ho sakta hai, par voh Sarpanch DG ka dost hai, aur voh kehta hai ki unhe inn sab ke baare me kuch bhi nahi pata, isi bich jungle me ek aur khoon hota hai, aur jungle ka voh hissa puri tarah se sukha tha, jabki pehle vali laashe janha mili voh pura hara-bhara tha, aur voh Sarpanch ki badi ladki..uski toh ek alag hi guthi hai” voh saans lete hue kehta hai “aise toh mai pagal ho jaunga”

Kuch der ke liye voh thoda shant ho jaata hai, aur voh kamre se khidki ke bahar subah ka hasin najara dekhne laga, par uske mann me umad rahe sawaal uspar itne jyada haavi ho gaye thi ki voh jyada der kudrat ki khubsurati ko nihaar nahi paaya, voh firse inn case ke baare me sochne laga “yeh toh had hai, muje toh kuch bhi samaj me nahi aa raha hai, itne sare khoon ho chuke hai, par kisi bhi khoon ke bich me koi taluqq nahi hai, agar ek bhi link mil jaaye toh kuch toh pata chala” fir voh thoda sa chillate hue kehta hai “yeh sala doctor kaha mar gaya”

“kya sahab, aap itni jaldi muje marna chahte hai, vese bhi yanha mere alawa aur koi nahi aata” yeh awaaz Doctor Verma ki thi jo apne cabin ke darwaaze ke pass khada tha

Verma ki awaaz sunkar Aryan turant mud jaata hai aur uspar baraste hue kehta hai “yeh toh koi aane time hai aapka..?? mai kabse aapka intezaar raha hu”

Verma “are shant hojaiye, yahi waqt hai mere aane ka”

Aryan firse apni ghadi dekhta hai toh usme karb 9:16 min hue the, voh thoda shant hote hue kehta hai “haa, shayad mai kuch jyada jaldi aagaya hu”

Verma table ke pass jaate hue kehta hai “voh sab toh thik hai, par aap kuch pareshan lag rahe hai, kya baat hai..?? kahi koi firse..”

Verma kuch bolta uske pehle hi Aryan uski baat ko bich me kaat te hue kehta hai “nahi nahi, doc, iss baar aisa kuch nahi hua hai, muje aapse kuch aur kaam tha”

Verma “haa boliye”

Aryan “aise nahi, baithkar baat karte hai”

Verma aur Aryan dono hi baith jaate hai, Verma thoda narmi se puchta hai “Aryan, baat kya hai..?? tum bahut jyada hi pareshan lag rahe ho”

Aryan “baat hi kuch aisi hai doc, dekhiye mai nahi janta ki yanha par yeh jo murder ho rahe hai voh kaun kar raha hai aur kyu kar raha hai, aur mere se pehle jo bhi officers yanha aaye the unke saath kya hua hai mai yeh bhi nahi jaanta”

Verma thodi gehri saanse lete hue kehta hai “Aryan, mai samaj sakta hu ki aap kya soch rahe hai, par yakin maaniye, yaanha aane se pehle muje bhi kuch pata nahi tha, lekin yanha jiss tarah se khoon hue hai, uss tarah ke haalat maine aajse pehle kabhi nahi dekhe”

Aryan “isiliye toh mai aapke pass aaya hu, muje aapki madad chahiye”

Verma “thik hai Aryan, mujse jo ho payega voh mai karunga”

Aryan “thank you doc, aapne jitney PM kiye hai, unki details toh aapke pass hogi hi, muje uski har details chahiye..har ek ki”

Verma “hmm, thik hai, par usme thoda waqt lagega, kyunki kuch details files me hai aur kuch soft copies me, mai dupher tak aapko pahucha dunga”

Aryan “thank you doc, mai patil ko lene ke liye bhej dunga”

Verma “itni si baat ke liye aap yanha chale aaye”

Aryan “nahi doc, muje kuch aur bhi kaam hai, mai aapse baad me milta hu” aur uske baad Aryan vanha se bina kuch kahe siddha nikal jaata hai, uss jungle ki aur

To be continued…
 

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Very nice update milu
Akhir ye kya paheli jo sulajhne ke bajaye or ulajhte ja rhi hai.aryan puri koshish mein laga hua hai ki koi toh surag mile ab dekhna ye hai ki uski koshish kb rang lati hai
 
  • Like
Reactions: Milan2010 and Rahul
Top