Sharab pite pite jay ki nazare ek shaksh pe ruk gai...... .......jay ne uska picha kiya use yakeen hote hi uska haat majbuti se se pakad liya.
Jay - aaj tuze nahi chorunga ! ......vo insaan palat gaya to raaj tha..... .....jaise hi Raj ki nazar jay pe gai to muskurake bola.
Raaj - jay aakhir mulaqaat ho hi gai, kaha he tumhari patni meera ! ......chaunkne ki bari jay ki thi matlab raaj pehle se janta tha me uska pati hu.
Jay - kaisi bhi ho, us raat meera ko akele le jake sone ka haar chinte waqt thodi bhi sharam nahi aai, ab kise fasane aaya yaha ! .....jay ki aankho ko padh raaj kuch kuch samajhne laga.
Raaj - chod usase bhi mehenga dila dunga !
Jay - abhi chahiye muze !
Raaj - yaha kon leke aata he ! .....jay uska haat chorne ko taiyar hi nahi tha.
Jay - muze abhi chahiye, tu janta nahi use pane ke liye meera ne kya kya kiya ! .....raaj ke chehre pe hasi fail gai...... .....jaise ki use sab pata ho.....
Raaj - theek he abhi lata hu haat chor ab !
Jay - tu bhag gaya to ! .....raaj ki nazare aas paas ghum ke usne ek aavaj di.
"Dipti yaha aana" ......kuch duri pe ladkiyo ki zhund me se ek ladki ne aavaj ki or dekha...... ......zhund se kuch bol kar vo raaj ke pass aai.... .....haseen chamak thi chehre pe sar se paav tak khubsurati zhalak rahi thi.....
"Kya hua bhaiya" ......raj ko bhaiya bulane se jay ne uska haat chor diya.
Raaj - apne gale ka necklace de muze ! ......dipti chaunk gai ek dafa jay ki or shaq ki nazare dal ke usne necklace utar diya....
Dipti - sab theek to he na !
Raaj - ye mera dost jay, paiso ki sakht jaroorat he abhi ! .....dipti ne sar se paav tak jay ko ghurte huye kaha.
Dipti - bhaiya kal de sakte the na paise !
Raaj - abhi jaroorat he jay ko utne to jeb me he nahi ! .....dipti chali gai.
Raaj - ye lo ab to khush he na jay !
Jay - ye bhi kisise chura kar apni behen ko diya hoga ! .....raj ke chehre pe sadgi si muskan fir fail gai.....
Raaj - aisa hi kuch samaz le ! ......jay man hi man gali deke raj ko jata dekhta raha..... .....sharab ka gilas khatam kar vo khushi khushi meera ke pass aaya.....
Meera - chale ab ! ....jay ne jeb se cham chamata har nikal kar meera ki aankho ke samne zhula kar kaha.
Jay - kaisa he meera ! ......meera ki aankho me saf saf chamak dikhi.
Meera - ye kab khareeda !
Jay - raaj se us raat ka badla liya ! ......meera ki nazare cheete se bhi tez har taraf use dhaud kar dhundhne lagi.....par kahi raaj dikhai nahi diya....
Meera - jaa use vapas kar !
Jay - kyu usne churaya na !
Meera - nahi raste se aate waqt gir gaya ja pehle use vapas kar ! ......jay hairani se meera ko dekhta kabhi necklace ko..... .....aakhirkar vapas use jana pada kai der tak jay ne dhundhne ki koshish ki..... .....tabhi uski nazar meera pe padi vo use hi ghur rahi thi..... .......usase nazare chura ke jay bheed me kho gaya..... .....10 minute baad meera ke pass aaya tab meera ki nazare use hi dhundh rahi thi.....
Jay - de diya chale ab ! ......dono ghar ki or nikal gaye.....
Jay ka dimag soch soch ke pareshan ho gaya..... .....necklace ab bhi uski jeb me tha..... ......raaj ne to apni behen ke gale se utar kar diya kya sach me usne nahi liya..... ......jay sharminda ho gaya.
"Kyu bura lag raga he tuze jay, usne teri patni se der raat tak havas mitai, tu bevkoof intzaar karta raha, or dono vaha maze kar rahe the"
Bistar pe lete lete jay ki soch or gehri hone lagi.
"par jism ki havas mitane ke alava bhi kuch hua he, tabse meera gumsum rehne lagi, uske chehre ka rang bhi ud gaya he, tabse pratap ji ko kareeb aane nahi diya usne"
Der raat ko jay ki aankh lag gai.
Meera 12