james_kr
Member
- 235
- 284
- 78
Chaahat ya mohabbat ?
Chaahat ya Mohabbat ?
“Yaha kya kar rahe ho Abhi ? Kab se dhundh rahi thi tumhe? ” Disha ne Abhi ki taraf jate hue kaha.
“Kuch nahi yaar bas 1st year ke students ke doubt's clear kar raha tha. Tum sunao kya kaam tha ?” Abhi ne notes aur copies bag me bharate huye bina Disha ki taraf dekhe kaha.
“Kya me tumse sirf kaam ke waqt he bate karti hu ya milti hu? Kya tum muze bhi bakiyo ki tarah khudgarj samzte ho? ” Disha ne gusse me kaha.
“Arey nahi yaar, sorry bura laga ho to actually me abhi library jane wala tha, kuch notes nikalne he apne next project ke liye isliye jaldi-2 me bol gaya. Again sorry !” Abhi ne kaan pakdte hue kaha.
Ye dekhke disha ke chehare pe muskurahat ayi , aur boli,
“Rehne do ye drama, Chalo canteen me coffee peete hai.”
“Coffee-shoffee baad me, abhi bas library jake notes nikalunga fir ghar bhi jana he .” Abhi bag uthate hue bola.
“Mr. Abhi ,mene puccha nahi he tumse bataya hai, to ab Chalo !” Disha ne ek ek word par zor dete hue kaha.
“Tum to aise hukum de rahi ho jaise abhi tumhara best friend nahi boyfriend hai !” pichhe se disha ki dost Swati ne kaha.
Aur Abhi aur disha dono uski taraf ghurti najaro se dekhane lage to swati bio jhepp gai aur disha ke gussa hone se pehle nikal li.
“Chalo ”. Disha ne kaha.
Aur dono canteen ki taraf nikal pade.
Par aaj canteen pura bhara hua tha, sare table bhare hue the top dono ne ek dusre ki taraf dekha, disha ne kaha ,“Bahar kisi hotel me chalte hai.”
“Na .me kuch na kuch jugaad kar leta hu .” Abhi ne kaha aur jakar 1 plate Samose aur 2 cup coffee paper cup me leke aya.
“Chalo garden me baithate hai.”Abhi
“Hmm. Chalo.”
Aur dono garden me jake baith gaye .
Samose aur coffee ki chuskiya le he rahe the ke Disha ne ek bomb foda,
“Me kaisi lag rahi hu ?”
“Kya ?” Abhi ne chonkate hue bola,
“Acting mat karo ,tumne vahi suna Jo mene kaha , ab batao me kaisi lag rahi hu ?” Disha ne last question bade pyar se kaha .
“Vaisi hi jaisi har roz lagti ho..” Abhi ne kaha.
“Yaar Abhi please pakaugiri mat karo,bahot marungi tumhe ,ab batao bhi !”Disha
“Gussa kyu hoti ho, kaha na har roz ki tarah khili-khili , mast, khush lag rahi ho.” Abhi
“Ha to itna bolne ke liye itna bhav kyu khate ho ?” Disha jhuta gusaa dikhakar boli.
“ Swati ne sahi kaha tha, tum sach me gf jesa behave karti ho !”Abhi ne muskurate hue kaha.
“Us swati ki to...” Disha ne gussa dekhate kaha
“Aur ha ab sidha sidha pucch rahi hu , Kya yum muze pasand karte ho ?”Disha
“Ha. As a best friend ” Abhi.
“ Chappal se marungi , ab mazak nahi !”is baar gusse me kaha disha ne.
“Arey sach me yaar me tumhe as best friend pasand karta hu. Ab isme kya galat hai?”Abhi
“Meri taraf dekho aur batao me kaisi dikh rahi hu? Aur ab sidha jawab do.” Disha
Abhi ne disha ki taraf dekha , sach me khubsurat he kehna kaafi nahi hoga uske liye , kale lambe baal aur unme ek ek akarshak hair pins, gol sundar sa mukhda, medium gora chehare ka rang, maathe pe ek chhoti se bindi, Aankho me halka sa kaajal. Sharir se na motapa na patlapan, sab acche se maintain kiya hua tha. Aur sabse khaas baat Jo roz jeans aur T-shirt me aati thi wo ladki aaj salwar-kamij me thi aur sach khubsurat se kai guna jyada lag rahi thi !
“ He Vishkanya aaj kiske katl karne ko yu itna saj-savar ke ayi ho ?” Abhi ke muh se apne aap ye nikal gaya !
“Tumhare !” Disha ne man he man me kaha .
“ Mohtarma irade kya he apke ? ”Abhi to ab tak use dekhakar samaz he gaya tha mamla gadbad hai !
“Huh. Tumse to hoga nahi, agar der ho gai to firse koi aur swati tapak padegi, isliye me he keh deti hu...
Abhi I love you !
Na jane kab, kaha , kaise hua pata nahi par ho gaya.
Aajtak kabhi nahi laga ke me bhi jis pyar ko jhut samazti thi, wahi pyar muze bhi hoga aur wo bhi aise !
Bas aur kuch nahi. ” Disha ne bahot pyar se izhar-e-isshq kar diya tha aur ab Abhi ki bari thi.
Abhi ektak Disha ki aankho me zaak raha tha aur use un aankho me siwaye beshumar pyar ke aur kuch nahi dikha.
Ek pal to wo bhi us pyar ko dekh sakpaka gaya ke agar sacchai pata chalegi to is najuk si kali pe kya bitegi.
Par khud ko majbut kar ke usne bhi bolna shuru kiya ,
“Disha bahot khubsurat ya khubsurati se bhi jyada ho tum,aur bholi bhi . Bahot jaldi kisi par bhi bharosa kar leti ho Jo ki galat hai !
Me kon hu shayad tumhare papa ke alawa aur koi nahi janta ! Me tumhare papa Jo ek bade businessman he , jinki sabse badi daulat tum ho unka tumhari hifajat ke choose kiya hua wafadar bodyguard hu ! Mera kaam tumhari har kadam par hifajat karna hai na ki pyar karna ! Tumse dosti isliye ki thi take tumhare pas reh kar tumhare hifajat kar saku na ki pyar ! Janta hu bahot jiddi ho tum, Jo chahe wo paa sakti ho par jo abhi abhi tumne kaha wo pyar nahi he sirf aakarshan hai ! Mene kai baar tumhari jaan bachai, har waqt tum pe najar rakhi isliye taki tumhari hifajat kar saku na ki pyar ya kuch aur ...” Abhi ne use bahot shanti se samzana shuru he kiya tha ke Disha ne bich me use tok diya,
“ Pehli baat ke tum mere bodyguard ho ye baat bhale he muze papa ne na batai ho par me jaan gayi thi, ke tum muze har kisi se bacha lete ho, kahi muskhil me fasu to sabse pehle tum he pohonchte ho par ab muze ye batao ke jab swati ya baki 1-2 ladkiyo ne jab tumhe propose kiya tab tumne mana kyu kiya ? Jabki wo bhi to khubsurat he na !”
“Swati bhi meri acchi dost he par pyar nahi ! Aur agar kisi se isshq lagaye baitha to tumhari hifajat kaise karta ! Aur pyar kisi ki khubsurati dekhakar nahi hota ! Tum Jo keh rahi ho wo tumhari chaahat hai jo ye sab tum bol rahi ho !” Abhi ne shanti se muskurate hue kaha .
“Chaahat kaho ya pyar Jo bhi kaho tum sirf mere se samze ! Tumhare liye khud ko badal sakti hu to tumhe kyu nahi ! Aur ha me jiddi hu par tumhare samne sab chhod deti hu par tum firse muze pehle jesa mat banao !” Disha ne gusse se kaha aur aage bhi boli ,
“Tum sirf mere ho Abhi! Sirf mere !”
Abhi talkh se muskuraya aur bola, “Tumhe to mohabbat aur chaahat me fark he nahi samzta ! tum kaise chaahat ko mohabbat ka naam de sakti ho !
Kuch log kehte he chahat aur Mohabbat ek he hai
Par me kehta hu dono me zameen aasmaan ka fark hai
Chahat tab tak hoti he jab tak wo cheej aap pa nahi lete ,par ek baar us cheej ko pa liya to us cheej ki ahmiyat dheere dheere kam hone lagti hai.
Par mohabbat,
Mohabbat to mohabbat hoti hai jisme pana he sabkuch nahi hota
Bas apki mohabbat khush rahe aur mehfus rahe
Agar pana he mohabbat hati to Laila-Majnu ,Romio -Juliet kaha ek hue fir bhi jab jab naam mohabbat ka ata he to pehle unhi ki yaad aati hai !”
Abhi ne disha ko samzaya aur aage bhi bolta gaya ,
“Agar tumhari mohabbat tumse dur jana chahti ho to jane do use , kyonki mohabbat kabhi shakl-o-surat nahi dekhti, mohabbat ucch-nich nahi dekhti ,mohabbat ameer-garib nahi dekhti, mohabbat umar nahi dekhti ! Kyonki mohabbat to dil se hoti se dimag se nahi ! Kyonki ye daulat, ye shohrat, ye khubsurati bhi chand dino ki mehmaan hai ! Par mohabbat to amar hai jo is sharir se bhi pare he !
Tumne meri ye jhuti shakl, lohe jesa sharir, baate karne ka tarika dekhke he chaaha hoga par ise mohabbat nahi kehte !
Agar tumhara pyar tumse dur jana chahta he to jane do use ,
Agar wo sachha pyar hai to ek na ek din use wapis jarur ana hoga ! Par agar wo laut ke na aye to samz lena wo kabhi tumhara pyar tha he nahi !
Bas itna he kahunga ke khush raho !
Janta tha aaj nahi to kal aisa ho sakta he isliye mene tumhare papa ko pehle he bata diya tha ! Aur meri jagah aaj se swati tumhari bodyguard hogi !
Ha wo bhi ek bodyguard he hai ! Me har jagah tumhare sath nahi reh sakta tha isliye wo tumhare sath har pal hoti thi ! ”
Abhi ne apna bag lekar uthte hue kaha !
“Jate hue bas itna kahunga khush raho !
Good bye !”
Aur Abhi aage chal pada,
Pichhe se Disha ne awaj di,
“ Me intjaar karungi !”
Abhi ne muskhil se khud ko control kiya aur aage badh gaya !
Auto se station Jake jab railway me uski seat pe baith gaya tab aankho ne uska sath chhod diya !
The end
shandar story hai bhai
sach m chaahat or mohabbat
m zameen aur asmaan k
farkh hai
mohabbat woh hai jisi m
apna sab kuch loota kar bhi
apne samne wale kush chahiye
bus