• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
gussa.........aksar log gusse mein jo kuchh bhi kahte ya karte hain..........ye sochkar ki dusre ka nuksan hoga
............hota isse ulta hi hai...........sirf aur sirf apna nuksan

rahul ne gusse mein jitne faisle liye...........hamesha uski nakamiyon aur mushkilon ki wajah bane.......... priya, vijay ya kisi aur ka kuchh nahin bigda

nisha ne jo gusse mein rahul ko pareshan karna shuru kiya.... aj usi ki wajah se wo ek anjan khatre mein ghirti ja rahi hai......... aditya aur raju ko jaanti hai wo........ lekin unke iradon ko nahin............ aur apne ghar (jahan ham rahte hain wohi ghar hota hai) mein ekmatr sathi, padosi rahul se sambandh banane ki bajay bigaade huye hai............

mujhe ajtak ye samajh nahin aya ki so called moderate new generation jo pyar se sex tak har topic par bina mahaul aur waqt dekhe batein kar leti hai................apni galti manne aur maafi maangne ke liye waqt aur mahaul ka intzar kyon karti hai............
"shubhasya sheeghram" arthat shubh karya ....achchhe kaam mein deri nahin karni chahiye...turant karo................................. ye hamare purvajon ne kaha hai.......kyonki deri karne se achcha hone ki bajay kuchh bura bhi ho sakta hai

lekin medical/engineering mein padhnewale students ne shayad hi apne purvajon ko padha, samjha ya jana hoga.... wo to videshon se import kiye gaye so called genious ko hi rat lete hain..... knowledge without logic............. to ye sab kahan seekhne ko milega

dekhte hain abhi........aur kya samne aata hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Rahul ke baare mein aapne jo bhi kaha usse mai sehmat hun puri tarah se...Lekin yaha par bhi baaki ki kuch baayon par asehmat hun.

Nisha ke case mein...Aapne kaha ki jitna jaldi ho sake shubh kaam ko utna hi jaldi karna chahiye...Ye baat bilkul sahi hai...Lekin kabhi kabhi condition ko bhi dekhna padta hai...Example ke liye maan lijiye kuch friends ke ek group tour ka plan karte hai...Ussi bich ek friend ka kisi close relative ki death ho jaata hai...Uss vakt mein baaki ka dost ka uss dost ko tour ke liye puchna bahut impractical hoga...Tour jaana to bahit sahi hai aur subh baat bhi hai...Lekin vakt galat hai...Aur bhi kuch examples hai.

Story ki baat kare to Nisha ka Rahul se maafi maang lena...Iss vakt thoda dhairya ki jarurat hai Nisha ko...Kyuki Rahul ka mood aaj kal waise bhi accha nahi rehta...Achanak se jaa kar agar Nisha Rahul se baat karegi to Rahul ko uss par waise bhi yakin nahi hoga baat sunna samajhna to dur baat hi nahi karega...Ulta yahi sochega ki itna jaldi Nisha kaise badal gayi aur kahi ye bhi koi plan to nahi kar rahi hai...Aur abhi Rahul ka gussa...Aise mein Rahul ka gussa yaa fir ego iski vajah se Rahul maaf nahi kar paayega...Kuch aesi baat soch kar Nisha mauka dekh kar Rahul se baat karna chaahti hai...Agar kabhi mood accha hoga Rahul ka to baat sunne ki chances bhi hai.

Aur haalaath sahi hai aise mein bhi subh kaarya ke liye deri karna ye bahut hi galat hai...Iss baat mein aapse sehmat hun.


Aur abb aakhiri baat...Engineering yaa Medical students ka apne purvaj ko naa padhna...Ye student se bhi jyada as a person baat karunga pehle...Koi bhi insaan ho medical aur engineer wale yaa fir koi aur...Wo uske interest mein depend karta hai...History aur Nature ke baare mein padhe yaa naa padhe...Engineer aur Medical field mein kuch log hote hai jinko inn baaton par interest hota hai aur kuch ko nahi...Dusre fields ke students mein bhi same case hai.

Personally mujhe history mein thoda interest to hai lekin jyada nature par...Especially Rivers... Mountainous rivers...Unn nadi ka origin aur history ke baare mein padhta rehta hun aur aage bhi padhta rehna chaahta hun...Religious fact ko river ke origin ke saath jod kar padhne ki majaa hi kuch aur hai.


Aur abb aate hai aapke main sawaal par...Medicine aur engineering ko hamare purvaj ke saath link kar ke padhne ki...Ye baat accha to hai...Agar kar paaye to faaidaa bhi hai lekin nahi kar paaye to utna nukshaan bhi nahi hai.

Har cheej ka ek vakt hota hai...Iss mein Chanakya ka reference de kar kehta hun. Unhone bataya tha bachpan (0-7) kis umar tak hota hai...Kis umar tak bramhacharya (8-24) ko paalan karna chahiye...Kis umar mein grihasthi (25-49) basana chahiye aur kis umar mein sanyas (75-100) lena chahiye...Ye wala baat bahut sahi laga...Especially uss time ke liye to bahut hi sahi tha.

Sahi umar mein sahi kaam karna chahiye...Abhi jo padhaayi ka umar hai ussmein padhaayi ki taraf dhyan dena chahiye...Jitne kam umar se padhenge utna avcha hai...Kam umar kaccha mitti ki tarah hai jis roop mein daalenge waisa hi aakar banega...Koi bachpan mein hi bigad gaya to bura kaam ki aur badhta hai...Aur bachpan se hi acchaa sanskaar ke saath padhaai mein laga to educational field mein apna naam kamayega.

Khud maine notice kiya hai bachpan mein har cheej yaad rehta tha lekin abb utna nahi hota...Issi liye abb concepts ki jarurat hai.

Iss umar mein jitna padhenge utna accha hai...Baaki to pura umar baaki hai jindagi se sikhne ke liye aur apne purvaj ka gyan se link karne ke liye...As a doctor jitna hum kitaab se sikhtw hai utna hi patient bhi sikhayega unka complicated case se...Aage ka treatment option aur bold decision ke liye.

Abhi mera maanna hai ki sahi umar mein sahi kaam karo...Apna syllabus par focus karo aur vakt milne par baaki ke gyaan bhi lena chahiye...Gyaan lene ke maamle mein kabhi piche nahi rehna chahiye.

Medical field aur Purvaj...Humaara past kaafi anmol tha...Even in field of Medicine and Surgery...Aayurveda...Jitna taarif kiya jaaye utna kam hai...Abhi bhi bahut se cases mein helpful hai...Jab Leprosy (kusth rog) ke medicine ke baare mein padh raha tha waha pata chala ki vedic kaal se hi jadibuti ka istemaal hota tha iss rog ko theek karne ke liye...Haan abhi kuch better drugs available hai.

Aayurveda was a miracle...And we had great past to feel proud...Bahut accha initiative tha...Lekin kahi jaa kar humne kho diya...Bich ke kuch generations thhe wo iss gyaan ko aage badha nahi sake...Issi loye abb pehle ki tarah wo gyaan nahi raha aayurveda ke baare mein.

We had great past...But that is not enough...Humaara future bhi bahut accha hona chahiye tha...Jo hamne kho diya.

Allopathy mein bhi do tarah ke dawaai hote hai...Ek jo plant, herbs se extract karte hai jisse hum alkaloid kehte hai aur baaki jo chemical se banaate hai usse synthetic...Allopathy ke baare mein mujhe ye pasand hai ki aaj bhi naye innovation mein lage hai naye bimaari ke liye naye dawaai banaane ke liye...Utna accha past na hone ki baawjud mehnat ki vajah se future bahut accha hai.

Aayurveda ka past bahut accha tha lekin durbhagya se uska continuity nahi raha...Aur abhi iss field mein utna teji se research bhi nahi ho raha hai jaise hona chaahiye.

Mai naa hi allopathy aur aayurveda ka blind follower hun naa hi critic...As a doctor jo patient ke liye sahi hai wo choose karunga.

Medicine aur Purvaj ko link karke padhna bahut accha hota...Kuch jaruri gyaan bhi milta agar aayurveda ka prabhaaw kayi yug pehle jitna hi rehta...Agar iss baat ko revive karna hai to education system ka bhi badalna jaruri hai ki traditional knowledge ko bhi accha khaasa respect de kar syllabus change kare.

Warna student par hi dependent hai...Agar wo chahe to iss par research kar sakte hai warna nahi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Nisha bat ko samne naa lakar aur adhuri bat batakar ek nayi bhool hone ki adharshila rakh rahi hai.....
Idhar raj aur riya ke beech bhi na sirf darar paida ho gayi balki riya ka attitude use khai ka roop deta ja raha hai..... Jismein dushmani ke ped ug rahe hain

Keep it up
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
ye gussa................rahul ko abhi aur neeche girayega....................
kuchh bhi soch samajhkar nahi karta..............hamesha gusse me faisle keta hai...............aur kuchh bhi bigaad nahin pata kisi ka

chalo itna to achchha hua nisha se baat saaf ho gayi......................
lekin agar ismein dimag hota to nisha se raj aur riya ki problem bhi share karke unka solution kara deta

dekhte hain abhi kya hota hai...............aage
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Rahul ka Raj aur Riya ke baare mein problem solve karaane ki to abhi Rahul ka iss baat mein koi interest nahi hai...Usko Raj par bharosha hai ki wo sambhaal lega...Rahul ne Raj ko hamesha hi samajhdaar maana hai...Rahul ko Riya se bhi koi matlab nahi hai aur naa hi uske baare mein jaanna chaahta hai...Priya se breakup ke baad Rahul ko kisi ladki se koi matlab nahi raha...Issi liye khud bhi dur rehta hai aur dusro ke maamla se bhi dur hi rehta hai...Kuch yahi vajah hai.

Keep supporting bhai.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008
Top