- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 69
Rahul apna flat me pahunch gaya....Wo jaldi se fresh hokar aur naashta karke upar Nisha ke floor me chala jaata hai....Jab Nisha ki gate ko halka sa push kiya to gate khul gaya....Wo Nisha ke room dekhkar hairaan reh gaya aur sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Sunaa tha ki ladkiyaan hamesha apna room ko manage karke rakhti hai aur aaj to dekh bhi liya....Kitna saaf suthra room hai aur har ek cheej apni jagah pe rakhi hui hai.....Bahut hi sndar room hai Nisha ka bilkul ussi ki tarah....Aur ek mera room hai bahut hi unmanaged aur dirty....Abb kya karu majboori hai room ko kabbhi kabhi saaf karna padta hai warna mai to wo bhi nahi karta....Nisha to ek do baar mere room me bhi aa gayi hai pata nahi kya socha hoga mere baare me mera room dekh kar....Uss time to koi fark nahi padta tha ki log mere baare me kya sochte hai lekin abb to khud par hi gussa aa raha hai....Bahut galat impression pad gaya hoga Nisha ko.....
Rahul abhi tak to Nisha ke room ke baare me hi soch raha tha....Uska dhyaan ber par soo rahi Nisha ki taraf gaya hi nahi tha....Jab uski najar Nisha pe padi to fir se wo wo sochne laga....
Rahul:- (In his mind) Mai yaha isse milne ko bechain ho gaya hu lekin ye to ghode bech kar soo rahi hai.....(Rahul Nisha ko gaur se dekhta hai) Aaj Nisha mujhe pehle se jyaada hi khoobsurat lag rahi hai.....Aur sote hue to bahut hi pyaari si lag rahi hai.....Aisa lagta hai ki vakt yahi tham jaaye aur mai apni Nisha ko dekhta hi rahu.....Aaj bahut hi sukoon mil raha hai apni Nisha ko dekh kar....
Rahul Nisha me kho sa gaya tha....Aaj bahut dino baad uske dil ko sukoon milaa tha....Wo apna aur Nisha ke baare me bahut kuch soch raha tha tabhi uske dil me ek aur khayaal aa gaya....
Rahul:- (In his mind) Agar Nisha utth gayi aur mujhe aise dekh liya to pata nahi kya sochegi....Kahi chor samajh liyaa to.....Nahi nahi ek aur galat impression nahi padne de sakta....Jab Nisha jaag jaayegi tab aakar baat kar lunga.....Abhi mujhe jaana hoga....
Ye khayaal aate hi Rahul gate ko waapas pull karke apne room me aa jaata hai.....Wo apne room me bechain ho raha tha....Uska dil kar raha tha jaakar Nisha se baat karne ko....Lekin uske man me baar baar ek hi sawaal aa raha tha ki kya Nisha abhi tak so rahi hai yaa fir jaag gayi hai.....Agar jaag gayi hai to kya baat karega Nisha se.....Pehli baar Rahul ko Nisha se baat karne me nervous feel ho raha tha.....Agar Nisha ne ye poonch diya ki tum yaha kyu aaye ho?? To kya jawaab dunga bas yahi soch kar Rahul pareshaan ho gaya tha.....Kuch der aise hi sochne ke baad uske dimaag me ek idea aaya.....
Wo apne room se nikal kar Garden me chala gaya.....Agar Nisha utth jaayegi tab Rahul ko khidki se dekh kar neeche aa jaayegi aur ghanton tak wo dono baat kar sakenge ye Rahul ka soch tha.....Hua bhi aisa hi.....
Nisha kuch der baad soo kar uthh jaati hai aur Rahul ke intejaar me time pass kar rahi thi lekin usko ye pata nahi tha ki wahi Rahul besabri se uska hi intejaar niche garden me baith kar kar raha hai.....Laghbhag aadha ghanta baad aise hi chalte hue wo khidki tak chali jaati hai aur waaha baitha Rahul ko dekh bahut khush ho jaati hai.....Rahul ko sahi salaamat dekh aur garden me dekh kar wo bahut khush ho jaati hai.....Usse laga ki kahi ye sapna to nahi aur wo khud ko pinch kar ke confirm kar leti hai ki ye koi sapna nahi hakikat hai......Wo apna emotions control nahi kar paati aur daud kar Rahul se milne jaati hai.....3 din ka intejaar ke baad Nisha ke dil ko bhi bahut sukoon milaa thaa.....Jab wo Rahul ki floor ki gate se baahar nikalti hai to achaanak uske dimaag me Rahul ko maja chakhaane ki baat yaad aa jaata hai....Wo wahi par ruk jaati hai aur chehre me ek muskaan lekar Rahul ki taraf chali jaati hai....
Rahul Nisha ko aata dekh bahut khush ho jaata hai.....Wo apne aap ko mentally prepare karne lagta hai Nisha se baat karne ka....Lekin uski khushi pal bhar me gaayab ho jaata hai jab Nisha garden ke saamne se Rahul ko dekh kar bhi andekha karte hue baahar chali jaati hai.....Rahul ko Nisha ki iss harkat par shock aur dukh lagta hai....Wo sochne lagta hai....
Rahul:- (In his mind) Nisha ne mujhe dekh kar bhi andekha kar diya.....Lekin kyu....Kya wo kisi jaruri kaam se baahar jaa rahi hai yaa fir mujh se naraaj hai.....Agar naraaj hai to mai usse mana lunga....
Rahul yahi sab soch raha tha.....Nisha bhi thoda aage pahunch kar ek jagah par chhip kar Rahul ko dekhti hai....Wo Rahul ki bechaini ko dekh kar muskuraati hai aur sochti hai.....
Nisha:- (In her mind) Rahul tumne mujhe 3 dino se intejaar karwaaya hai na......Abb dekho mai bhi kuch der ke liye tumhe pareshaan karti hu.....Itna to hak banta hai mera bhi......Aur tumhaari ye harkatein dekh abb mujhe lagne laga hai ki tum bhi mujhse pyaar karne lage ho.....Ye mujhe dekh kar tumhaara bechain ho jaana.....(Looking at Rahul) Abhi bhi tumhaari aankhien mujhe hi fhoond raha hai.....Ye sab dekh kar to mujhe lagne laga hai ki tum bhi mujhse pyaar karne lage ho......Shaayad 3 dino ki judaai se tumhaara akal bhi thikaane par aa gaya hai......Itni aasani se to tumhe nahi chhodungi.....Kuch dino tak pareshaan karungi aur baad me propose kar dungi.....
Nisha Rahul ko tadpa rahi thi lekin khud bhi usse abhi tak baat nahi kar paane ki vajah se tadap rahi thi....Lekin usko Rahul ko aisa tadapta hua dekh majaa bhi aa raha tha.....Aur har ek pal uska vishwaas badh raha tha ki Rahul bhi usko pyaar karne laga hai.....
Kuch der tadpaane ke baad Nisha se bhi raha nahi jaata.....Wo bhi abb waapas lautne lagti hai....Nisha ko waapas aate dekh Rahul ki chehre me fir se chamak aa jaati hai....
Iss baar bhi Rahul Nisha se baat karne ke liye mentally prepare ho raha tha lekin iss baar bhi Nisha Rahul ko andekha karne ki naatak karte hue apne room ki taraf jaane lagti hai.....Iss baar Rahul se rahaa nahi gaya.....Usne Nisha ko aawaaj diya....
Rahul:- Nisha..
Rahul ki aawaj se bechaini saaf jhalak raha tha....Nisha bhi Rahul ki baat sun leti hai lekin wo muskuraate hue nahi sunne ka naatak karte hue andar jaane lagti hai.....Nisha kuch kadam aage badh chuki thi iss liye Rahul usko muskuraata hua nahi dekh paata.....Iss baar usne thodi tej aawaj me Nisha ko bulaaya....
Rahul:- (Little loud) Nisha....
Iss baar aaawaj thoda tej tha jisse Nisha naatak nahi kar paati ki usne nahi sunaa....Wo picche mood kar Rahul ki taraf jaati hai.....
Nisha:- Hi Rahul.....Kab aaye aur mujhe kyu bulaaya....
Nisha ki aawaj se aisa lag raha tha ki wo Rahul se naraaj hai aur usse baat nahi karna chahti.....Rahul ko bhi Nisha ki iss tarah baat karne se uska sab himmat gaayab ho jaata hai aur wo kuch nahi bol paata....
Nisha:- Rahul tumne bataya nahi ki mujhe kyu bulaaya....
Nisha ki aawaj ki rookhapan ko dekh kar Rahul bhi uncomfortable mehsoos karta hai....Usse samajh me nahi aata ki kya jawaab de....Lekin fir bhi wo Nisha se poonch hi leta hai....
Rahul:- Kya tum mujhse naraaj ho???
Rahul ne ye baat thoda dheemi aawaj me puccha....
Nisha:- Nahi ....Nahi to.....Mai kyu tumse naraaj rahungi.....Aur tumhe aisa kyu laga ki mai tumse naraaj hu.....
Nisha ne ye to keh diya ki wo naraaj nahi hai.....Lekin uski aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitni naraaj hai...
Rahul:- Mai tumhe bina bataye chala gaya tha na 3 dino ke liye......Iss liye laga ki tum kahi mujhse naraaj to nahi ho gayi....
Nisha:- Ye tumhaari life hai Rahul....Aur tumhe kya karna hai kya nahi karna iska decision tumhe khud hi lena hai....Abb tumhe kahi jaana tha to chale gaye aur nahi bataane ka dil kiya to nahi bataya.....Issme mujhe buraa kyu lagega.....Waise bhi mai tumhaari kaun hu jo mujhe tumhaare harkato se buraa lagega....
Nisha ki baaton se saaf jhalak raha tha ki usko Rahul ki aise achanak chale jaane se kitna buraa laga hai....Wo jaise taise naraaj hone ka acting kar rahi thi lekin kar nahi paa rahi thi.....Wo to chahti thi ki Rahul se pyaar bhari baatein kare lekin itni jaldi wo Rahul ko maaf nahi karna chahti thi....Issliye na chahte hue bhi naatak kar rahi thi.....Lekin Rahul ko ye saari baatein samajh me nahi aa raha tha....Pyaar ke maamlon me usko ye saari baaton ka experience nahi tha.....Roothna Manana to bas filmon me hi dekha tha real life me mehsoos kiya hi nahi tha....
Rahul:- Ye kya keh rahi ho tum......Tum meri kya lagti ho.....Tum mera dost ho.....Sabse accha dost....
Rahul ne Nisha se ye to keh diya lekin uske man me kuch alag hi chal raha tha....
Rahul:- (In his mind) Ye tumne kya poonch liya Nisha.....Tum mera kya lagti ho.....Are tum to mera sab kucch ho.....Mera pyaar meri jindagi...Sab tumhi to ho.....Tumse milne ke baad hi to mujhe pyaar ka ehsaas fir se hua hai.....Tumhaari vajah se hi to iss boring life me thoda accha feel kar raha hu.....Bas tumhe bata nahi paa raha hu.....Lekin bahut jald bataa dunga ki mai tumhe kitna pyaar karta hu....
Nisha:- Dost....Tumhe dosti ka matlab bhi pata hai.....Dost wo hote hai jo dusre doston ke saath apna problems aur apni baatein bhi share karte hai.....Lekin tumne to mujhe apna dost maana bhi nahi....Mujhe bataakar jaana bhi jaruri nahi samjaha....Tumhe kya pata ki mujhe tumhaara kitna fikar ho raha tha.....Kitna intejaar kiya hai maine tumhaara.....
Abb Nisha ka sabra toot chuka tha......Usne ye baat rote hue kaha....Uski aawaj se uska 3 dino tak ki dard, aur tadap ka pata chal raha tha....Rahul ko bilkul bhi accha nahi laga Nisha ko rote hue.....Uske dil ko Nisha ke rone se bahut chhot pahunch raha tha aur khud par gussa bhi aa raha tha.....Wo aage badhta hai aur Nisha ke shoulder ko pakadte hue kehta hai.....
Rahul:- Sorry Nisha.....Mai bahut galat hu aur maine tumhe na bataa kar bahut bada galti kiya hai....Please tum rona mat....Tumhaari aankhon me aansu acche nahi lagte.....Mera tumhe hurt karne ka iraada nahi tha....Lekin kya karta jaldbaazi me doston ke gaaw jaana hi pada.....Socha tha ki tumhe phone karke bataa dunga lekin tumhaara number hi nahi tha mere pass....
Iske baad Rahul Nisha ko apni problems bata deta hai.....Nisha bhi Rahul ki baat samajh jaati hai aur kuch der baad wo ronaa bhi band kar deti hai.....Nisha ke chup hone ke kuch der baad Rahul thoda serious aur thoda majaak me ek baat Nisha ko poonch hi leta hai....
Rahul:- Nisha mujhe ek baat samajh me nahi aaya....Mere jaane se tumhe itna dukh kyu hua ki tum rone lagi....Ye baat mujhe samajh me nahi aaya....Aaj tak kisi bhi dost ko nahi dekha ki wo itni si baat par roo de....
Rahul ko Nisha ki rone ki vajah se sach me hairaani ho raha tha aur usse Nisha ki dil ka haal abhi bhi samajh me nahi aa raha tha lekin Nisha ko to abb samajh me nahi aa raha tha ki Rahul ki iss sawaal ka kya jawaab de.....Wo itni jaldi ye bhi nahi bataa sakti thi ki wo Rahul se pyaar karti hai.....Nisha abb iss musibat se nikalne ke baare me soch rahi thi.