• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 73


Raj Riya ki sawaal ka jawaab diye bina bas usse hi dekhe jaa raha tha aur soch raha tha ki ye yaha kya kar rahi hai.....Raj ko kuch na bolta dekh Riya fir se kehti hai....

Riya:- Mujhe aise kyu dekh rahe ho aur bataya nahi tumne tum yaha kya kar rahe ho???

Raj ki ektak Riya ko dekhne se Riya ko thoda ajeeb lagta hai....

Raj:- Thodi der ke liye baahar nikla tha....Aur bus miss ho gayi....Aur tum kya kar rahi ho???

Raj ki aawaj me hamesha ki tarah iss baar bhi rookhapan tha Riya ke liye....

Riya:- Same problem....Lunch ke baad socha thoda chal kar dekhti hu iss jagah ko....Jab waapas lauti to thoda der ho gaya aur bus chali gayi aur dekha tum bhi yaha maujood ho....

Raj Riya ki iss baat ko sunne ke baad khud me hi badbadata hai...

Raj:- (badbadate hue) Stupid Girl.....

Riya:- Kuch kaha kya tumne....

Riya ko Raj ki baat acche se sunaai nahi deti....

Raj naa me sar hilaata hai....

Riya:- Abb ham kya karenge.....Kaise bus ko pakdenge aur tour par jaayenge....

Riya pareshaan hokar boli....Lekin Raj iss baar bhi Riya ki baaton ka koi jawaab nahi deta....Kuch der dimaag ghumaane ke baad wo apna mobile nikaalta hai aur Suresh ko call karta hai....Lekin Suresh koi reply nahi deta....

Raj fir bhi Suresh ko baar baar call lagata hai lekin Suresh ki taraf se koi responce nahi milta....Raj ko iss baat se bahut gussa aata hai aur apna mobile niche fenkne hi waala tha ki kuch kehkar mobile ko apne pocket me daalta hai...

Raj:- (Badbadate hue) Nahi 15000 ka mobile hai.....Toot jaayega to mushkil ho jaayega...

Riya iss baar Raj ki baat sun leti hai aur hanste hue kehti hai.....

Riya:- Just 15000.....Tum to aise keh rahe jo jaise ye mobile 50000 se jyaada ki ho....15000 se jyaada ka to mai ek month me recharge karti hu....

Riya ne Raj ka majaak udaate hue kaha.....Raj ko pehle hi Suresh par gussa aa raha tha aur upar se Riya ki iss baat se uska khoon khaulne lagta hai.....Wo gusse me chilla kar kehta hai....

Raj:- To kisse sunaa rahi hai ye sab.....Pehle hi mera dimaag kharab hai Suresh ki vajah se aur tu mujhe aur gussa dilaa rahi hai.....Abb aur boli na to mujh se buraa koi nahi hoga....

Iske baad dono me kuch der tak koi baat nahi hota.....Raj ka gussa dekh Riya ka bhi himmat nahi ho raha tha kuch bolne ka....

Kuch der baad Riya fir se himmat jutaa kar kehtin hai.....

Riya:- Please kuch karo na...Ham kab tak aise hi yaha khada rahenge....

Riya ne darte huye ye baat kaha....Usko dar tha ki kahi Raj gusse me kuch bol na de....

Raj:- Kya karu mai....Suresh phone nahi uthaa raha aur mere pass na driver ka number hai aur naa kisi aur ka....Abb mai kya kar sakta hu....

Raj ki iss baat ka Riya koi jawaab nahi deti.....Raj bas idhar udhar chal raha tha kuch sochte hue aur wo thoda gusse me bhi tha....Tabhi usko ek idea aata hai aur wo kehta hai.....

Raj:- (Riya se) To tu kyu phone nahi kar rahi....Jaldi se apne dosto ko phone kar aur gaadi rokne ke liye bol...

Raj ne ye baat iss tarah se kaha jaise usko iss problem ka solution mil gaya ho lekin Riya ki jawaab se usko fir gussa aa gaya...

Riya:- Mera mobile purse me hi bus me choot gaya....Paise aur mobile kuch nahi hai mere pass....

Riya abb dheere se bol rahi thi....Lekin Raj ko to iss baat se aur gussa aa gaya ....

Raj:- Tujhse aur expect bhi kya kar sakta hu.....Tu kisi kaam ki nahi....Aur ye saala Suresh bus ko rukwa bhi nahi sakta tha.....Isko to baad me dekhunga.....Pehle kuch intezaam karna hoga....

Iske baad Raj kuch dur rakha hua bench ki taraf jaa kar baith jaata hai.....Riya bhi piche piche aa jaati hai...

Raj:- Tu yaha bhi aa gayi....Abb to mera piccha chhod de....

Riya:- Raj please kuch karo na....Ham kab tak yaha rahenge....Please kuch karo taaki ham fir se apne dosto ke pass pahunch sake...

Raj:- Tumhe meri help ki jarurat kab se padne lagi....Tumhaare pass to bahut paise hai na.....To kar lo khud ki help.... Paise se to tum kuch bhi kar sakti ho na..... Aur haa mera piccha chhod do.....

Itna keh kar Raj jaane laga.....Riya Raj ko jaate hue dekh thoda dar jaati hai aur fir darte huye kehti hai....

Riya:- Lekin iss vakt mere pass paisa nahi hai.....Please mera help karo...

Riya ne laghbhag rote huye kaha.....Wo pehli baar aisi situation me fansi thi aur usko umeed ki koi kiran najar nahi aa raha tha....Abb usko bas Raj se hi kuch umeed tha....

Lekin Raj uski baat ko ignore karte huye chala jaata hai.....Jab Raj Riya ki najaro se ojhal ho jaata hai tab Riya bench par baith kar jor se rone lagti hai.....Usko dar bahut lag raha tha aur soch rahi thi ki iss situation ka kaise saamna kare......Pata nahi akeli wo kya kya karegi....Kya wo tour par yaa fir apna ghar waapas laut paayegi ye sab soch kar wo aur rone lagti hai....Aaj usko pehli baar ye ehsaas hua tha ki har kaam paise se nahi hota......Wo kuch der bench par baith kar ro hi rahi thi ki aage se aata hua ek aawaj se wo chaunk jaati hai.....Aur jaldi se apni aansu se bhari aankh utha kar uss taraf dekhti hai......

Saamne Raj khada tha....

Raj:- Abb rona band karo aur chalo mere saath....

Raj ko dekh kar Riya ka thoda umeed jaagne lagti hai aur wo thoda khushi ke saath kehti hai....

Riya:- Tum to chale gaye the na fir kaise waapas aa gaye....

Raj:- Ha chala gaya tha......Lekin socha ek akeli ladki ko iss tarah chhodke jaana accha nahi hai.....bas issliye waapas laut aaya....

Riya:- Thanks Raj..

Raj:- Ye thanks kehna band kar aur jaldi chal mere saath warna fir yahi chhod dunga aur agli baar waapas nahi aaunga....

Riya ko Raj ki aisi baatein achha nahi lagta lekin iss situation me bhi Raj uska help kar raha tha yahi uske liye bahut tha......Wo kehti hai....

Riya:- Lekin kaha jaayenge ham....

Raj:- Hotel.

Riya Raj ki iss baat se chaunk jaati hai aur kehti hai.....

Riya:- Hotel??Lekin kyu???

Raj:- Yaha to din bhar nahi reh sakte na....Abhi to hotel me jaakar rest karenge aur aage kya karna hai wo baad me sochenge....Chalna hai to chal nahi to yahi baith kar roti rehna.....

Raj ki baat par thoda attitude tha.....Riya abhi jyaada nahi sochti hai aur kehti hai....

Riya:- Accha chalo.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 74


Uske baad dono chal padte hai ek hotel dhundne....Kuch der chalne ke baad dono market area me pahunch jaate hai.....Kuch hotels dhundne ke baad dono ek hotel choose kar lete hai....Raj or Riya alag alag room lete hai......Wo dono rooms attatched tha......Hotel manager se baat karne ke baad Raj Riya se kehta hai....

Raj:- Ye tumhaara room hai....Aaj din me shaayad hame yahi rukna pad sakta hai.....Suresh ke saath baat karne ke baad aage kya karna hai wo sochunga.....Filhaal hame yahi rehna hoga...(Apne rooms ki taraf ishaara karte hue) Ye mera room hai agar koi problem hoga to mujhe aakar bataana....

Raj ne ye baat ek formality ki tarah kaha.....Aur Riya ki baat sune bina hi apne room me chala gaya....Riya ko Raj ka ye harkat bilkul bhi accha nahi lagta.....Khud ko koi ignore kare ye kisko accha lagta hai.....Yahi haal iss vakt Riya ka tha.....Wo sochne lagti hai...

Riya:- (In her mind) Kitna attitude hai issme.....Kabhi bhi acche se baat nahi karta mujh se......Lekin dil ka bahut hi accha hai......Aaj jab mujhe kisi ka sabse jyaada jarurat tha tab isne mera saath diya....Insaaniyat aaj bhi iss duniya me maujud hai tabhi to mujhe pasand nahi karte hue bhi mera itna saath de raha hai....

Yahi sab sochte hue Riya apne room ke bed par lait kar rest karti hai aur dusri taraf Raj gusse me Suresh ko phone laga raha tha.....Luckily iss baar Suresh phone uthaa leta hai.....Phone utthne ke baad Raj Suresh par baras padta hai....

Suresh:- Hello....

Raj:- Hello ke bacche....Kaha mar gaya tha tu jo tera call nahi lag raha tha....Aur ye bata ki tune bus kyu nahi rukwaya....

Raj ko apni life me pehli baar aisa gussa aa raha tha.....Uska gussa dekh Suresh bhi ek pal ke liye dar jaata hai aur Raj ki baat sun kar shocked bhi ho jaata hai....Aur wo jawaab deta hai....

Suresh:- Ye tu kya keh raha hai tu kab bus se choot gaya aur itna gussa kyu ho raha hai....

Suresh ko sach me bahut hairaani ho raha tha aur jis andaaz me usne Raj se puccha usse Raj aur bhi jyaada gussa ho jaata hai....

Raj:- Abe andhe....Tujhe dikhaayi nahi deta kya.....Jab lunch ke time bus rooka tha tab mai choot gaya tha aur tu to mere hi seat ki bagal me tha fir bhi tujhe dikhaayi nahi diya....

Raj ki iss baat se Suresh bhi saara baat samajh jaata hai aur wo Raj ko samjhaate hue kehta hai.....

Suresh:- Matlab tu bhi bas se choot gaya tha....Yaar mai bhi bus se choot gaya....Tera chakkar me lunch karne late se gaya aur pata hi nahi chala ki bus kab nikal gayi.....

Raj bhi ye baat sun kar chaunk jaata hai aur kehta hai.....

Raj:- Kya.....Tu bhi choot gaya tha....(Kuch der chup rehne ke baad) Lekin ek baat samajh me nahi aaya tune mera call kyu nahi uthaaya???

Raj ki iss baat se Suresh thoda darte hue jawab deta hai...

Suresh:- Jab tune call kiya tab mera mobile silent me tha.....Jab tera missed calls dekhato phone karne ka socha.....Tab balance nahi tha....Mujhe laga abb mai choot gaya hu to waapas hostel jaana thik rahega.....Jab bus stand pahuncha to pata chala ki 10 minute mai last bus hai uske baad kewal ek night bus hi hai.....Abb raat tak kaun intejaar karta iss liye bus me chaddh gaya ..... Bus me chaddhne ke baad socha ki tujhe bataa du ki mera bus choot gaya hai.....Lekin phone me balance nahi hone ki vajah se kar nahi paaya aur socha ki raat me hostel pahunchne ke baad aaram se baat karta hu....

Suresh ki baat sunne ke baad Raj ka gussa thoda kam hua lekin khatam nahi hua tha....Usne thoda gussa ke saath Suresh se kaha....

Raj:- Tera koi girl friend bhi nahi hai to fir kisse baat karke tune apna balance khattam kiya????

Suresh:- Tu ye kya majaak kar raha hai....

Suresh ne baat ko taalne ki koshish kiya....

Raj:- Mai majaak nahi kar raha....Aur ye bata ki night bus ka time kya hai???

Suresh:- 7:00 pm.

Raj:- Accha thik hai....Abb phone rakh.....Mai wo bus se aa raha hu aaj hostel.....Hostel me inform kar dena...

Itna keh kar Raj phone rakh deta hai aur Riya ke romm ka door knock karta hai....Riya bhi jaldi se door kholti hai aur kehti hai....

Riya:- Kya hua Raj...Tum yaha koi kaam tha kya...

Raj:- Ha tumse ek baat karna tha....

Riya:- Please abhi nahi.....Baad me baat karenge.....Abhi mai thoda rest karna chahti hu...

Riya ne bina baat samjhe jawaab diya jisse Raj ko aur bhi gussa aa gaya....

Raj:- Tumhe ye majaak lag raha hai kya.....Mai tumse koi faaltu baat karne nahi aaya hu ....Kaam ki baat karna hai warna mujhe tumhaara shakal dekhna bhi pasand nahi baat karna to dur ki baat hai....

Raj ka gussa aaj har pal badh hi raha tha......Raj ka gussa dekh abb Riya ko bhi thoda dar lagne lagta hai.....Aur wo kehti hai....

Riya:- Iss baat me itna gussa hone ki kya jarurat hai....Khair chhodo aur bataao ki kya baat karne aaye ho??

Riya ne thoda darte huye ye baat kaha.....Usko dar lag raha tha ki Raj uski iss baat par fir se gussa na ho jaaye....Aaj Raj Riya ki har baat par gussa ho raha tha....

Raj:- Abhi 7:00 pm me ek bus hai waapas jaane ki....Mai to aaj waapas jaa raha hu....Abb tum decide karo ki tumhe tour me jaana hai yaa fir mere saath waapas chalogi...

Riya Raj ki baat sunne ke baad kuch der tak sochti hai aur kehti hai....

Riya:- Tum tour par nahi jaaoge???

Raj:- Nahi...

Riya:- Kyu?

Raj:- ye kaisa sawaal hai....Mujhe tour pasand nahi ....Wo to iss liye jaa raha tha kyuki Suresh force kar raha tha...Lekin tum fikar mat karo Suresh se phone karke pata laga lunga ki tour bus aaj raat kaha rukne waali hai....Waha ka bus me tumhe chaddha dunga....

Raj ki baat par Riya dir kuch sochte hue kehti hai....

Riya:- Nahi mai bhi tumhaare saath hi waapas jaaungi...

Raj Riya ki iss baat se thoda hairaan ho jaata hai aur kehta hai....

Raj:- Abb kya hua???Tabhi to tour par jaane ki baat kar rahi thi??

Riya:- Ha lekin akela jaane me dar lag raha hai.....Kabhi akeli kahi gayi nahi hu....

Raj Riya ka iss baat sunne ke baad kuch der tak kuch nahi kehta lekin thodi der hasne lagta hai.....Raj ka aise achaanak se hasne ke vajah se Riya hairaan ho jaati hai aur Raj se pucchti hai.....

Riya:- Kya hua????Kyu muskuraa rahe ho kuch der pehle tak to bahut gussa the....Abb achanak kya ho gaya...

Raj:- Tumhaari baaton par hass raha hu...

Itna keh kar Raj aur hasne lagta hai aur saath hi Riya ki hairaani bhi....Wo sochne lagti hai ki usne aisa kya keh diya jisse Raj hass raha hai....

Riya:- Meri baato par....

Riya bas itna hi kehti hai.....Raj abb hasna band kar Riya se kehta hai....

Raj:- College me to tum har kisi se panga leti rehti ho....Ha mujhe tumhaari behaviors kabhi pasand nahi aaya lekin lagta tha ki tumhaare pass aur ladkiyon se jyaada himmat hogi....Lekin tumhaare baare me jo socha tha usse to tum bahut hi jyaada darpok nikli....

Raj itna keh kar hasne lagta hai ......Riya ko Raj ki baato par gussa to aata hai lekin wo kuch nahi kehti....WO abhi ladaayi ke mood me nahi thi.....Kuch der baad Raj ghadi me time dekhta hai aur kehta hai....

Raj:- Abhi 3:00 pm baj rahe hai.....7:00 pm me bus hai.....6:00 pm me yaha se nikalna hai.....Tab tak rest karlo....

Itna keh kar Raj Riya ke room se nikal kar apna room me chala jaata hai.....Issi tarah se shaam ka 5:30 pm baj jaata hai.....Raj Hotel manager se baat karke saari formalities pura karne ke baad nikalne ki taiyaari karta hai....

6:00 pm ke kareeb Raj aur Riya dono bus stand ki taraf nikal jaate hai.....Aur ticket lekar bus me baith jaati hai.....Riya jaldi se jaakar window waali seat par baith jaati hai.....Riya ka aisa karne se Raj ki thoda hassi choot jaati hai aur wo bhi jaake Riya ka bagal me baith jaata hai....

Abb dono befikar hokar bus se waapas laut rahe the.....Lekin dono hi iss baat se anjaan the ki kuch hi der me dono fir ek nayi musibat me fasne waale hai....Jaha se unki life me kuch badlaaw aane waala hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 75


Raj aur Riya dono bus par baith gaye aur waapsi ke safar par chal pade....

Shaam ka 7:00 pm baj raha tha.....Sooraj dub raha tha aur andhera chaa raha tha.....Kuch hi palo me bus ke lights bhi on ho gaya....

Bus ki lights me Raj aur Riya dono ka face kuch alag tarah se chamak raha tha.....Raj jab se seat par baitha tha tab se usne ek baar bhi Riya ki taraf nahi dekha tha.....Riya ko ye baat thoda ajeeb bhi lagta hai aur thoda buraa bhi....Usne Raj ko jab dekha to wo Raj ko dekhti hi reh gayi....Lights ka effect ki vajah se yaa fir Raj ka chehra ka attitude aur khaamoshi kis vajah se wo Raj ko ektak dekhe jaa rahi thi ye baat to Riya ko bhi pata nahi lag raha tha.....Aaj pehli baar wo Raj ko itna gaur se dekh rahi thi.....Aur uske chehre me ek muskaan bhi aa gaya tha......Raj ne uske liye jo kiya tha wo hi bas uske dimaag me chal raha tha....

Wo to Raj aur uske khayaalon me iss tarah se kho gayi thi ki usse pata hi nahi chala ki Raj bhi usko hairaan hokar dekh raha tha....Raj ko Riya ki ye harkat bahut hi ajeeb lag raha tha....Wo Riya ko hilaa kar kehta hai....

Raj:- Riya.....Kya hua tumhe....Aise kyu dekh rahi ho mujhe???

Raj ki aawaj se wo hosh me aati hai lekin usko samajh me nahi aata ki abb wo Raj ko kya jawaab de....Wo chup rehti hai....

Raj:- Riya....Kya hua???Tum thik to ho????

Raj ko abb thoda dar bhi lag raha tha ki kahi Riya ko kuch ho to nahi gaya....Wo bechara Riya ki haalat samajh nahi paa raha tha....Pyaar ki khel me wo abhi kaccha khilaadi tha....

Riya abb Raj ka sawaalo se bachne ke liye ek bahaana bana leti hai aur kehti hai....

Riya:- Tumhaara chehra dekh rahi thi.....Kitna attitude hai tumhaare andar.....Mai pass baithi hu tumhaare saath aur tum mujhse baat karne ki jagah attitude dikha rahe ho aur ek dam shaant baithe ho.....Agar aisa hi chalta raha to ye safar bahut boring ho jaayega....

Raj:- Ha attitude to thoda bahut hai.....Aur wo attitude ussi ke liye hota hai jo mujhe pasand nahi jaise tum....Aur tum mujhse koi bhi expectation mat rakhna ki mai tumse baat karunga.....Mujhe tumhaare saath baat karne me koi interest nahi....Majboori me mai tumhaare saath travel kar raha hu....

Riya ko Raj ka ye baat bahut buraa lagta hai....Wo apna face dusri taraf ghuma leti hai aur sochti hai....

Riya:- (In her mind) Iske saath baat kar rahi hu to bhaaw khaa raha hai.....Kabhi mujhse acche se baat nahi karta....Jab bhi dekho baato me aur harkat me attitude hamesha rehta hai.....(Kuch der baad) Jaisa bhi ho lekin dil ka bahut accha hai.....Baahar se sakht aur andar se naram....Aaj Raj ne mera bahut help kiya.....Agar wo nahi hota to pata nahi mai kya karti.....Anjaan jagah , na kisi se jaan pehchaan akeli idhar udhar bhatakti rehti koi help karta bhi ya nahi.....Raj mujhe pasand nahi karne ke baawjood bhi insaaniyat ke naate mera help karne ko taiyaar hua......Wo chahta to mera madad nahi bhi kar sakta tha yaa fir meri majboori ka faaidaa bhi uthaa sakta tha......Sach me Raj bahut accha hai.....Maine hi Raj ke baare me galat socha tha ki ye buraa ladka hai....(Ye sochte hi Riya ke face me ek muskaan aa jaata hai...)

Riya dusri taraf face ghuma kar ye baat soch rahi thi lekin iss baat se anjaan thi ki Raj bhi bahut der se usko hi dekhe jaa raha tha.....

Jab Riya dusri taraf ghoom gayi thi tab Raj ne bhi apna face dusri taraf ghumaa liya tha....Par achanak usko kya ho gaya ki wo naa chahte hue bhi Riya ki taraf dekhne laga.....Bus ki halki si light me Riya ki chamakta chehra usko apni aur kheenche jaa raha tha....Suruwaat me Riya ki chehre ka naraajgi aur baad me muskaan dekh Raj bhi muskuraane laga.....Usko bhi pata nahi chal raha tha ki kyu usko Riya ko dekhna aaj accha lag raha hai....Wo bhi Riya me khone laga tha....

Tabhi bus ki conductor ki aawaj se dono hosh me aate hai.....Conductor sabhi se ticket maang raha tha....Raj ko bhi ek majaak sujhta hai aur wo Riya se kehta hai...

Raj:- Tumhaare pass paise hai naa...

Riya:- Nahi... Purse me choot gaya .... Par tum ye kyu puch rahe ho....

Raj:- Conductor ticket maangte hue aa raha hai .....Abb tumhaare pass paise nahi hai to tumhe yahi bus se utaar dega....

Riya:- Matlab tumne mera ticket nahi liya...

Riya ne ye baat ghabraakar puccha jis se Raj man me muskuraata hai lekin show nahi karta....Aur kehta hai....

Raj:- Mai tumhaara ticket kyu lu???Bus me tum chaddho aur paisa mai pay karu....

Riya ko Raj ka ye baat bilkul bhi accha nahi lagta fir bhi wo dheemi aawaj se kehti hai....

Riya:- Please tum mera ticket ka paisa de do....Mai tumhe baad me de dungi......Please iss baar bhi help kardo..

Lekin Raj ko abhi majaak karne me bahut majaa aa raha tha....Wo apna majaak jaari rakhte hue kehta hai....

Raj:- Tumne mujhe help ki dukaan samajh rakha hai kya.....Mai baar baar kisi ka help bahi karta aur tumhaara to bilkul bhi nahi.....Mai tumhaare liye apna paisa kyu kharch karu....

Raj ne to ye baat majaak me kaha tha lekin Riya ko bahut buraa lagta hai aur usko gussa bhi aata hai aur gussa me wo kehti hai....

Riya:- Socha tha tum accha insaan ho.....Lekin tum bhi auro ki tarah hi nikle.....Agar paisa ka itna hi tension hai to ek baar mujhe mere ghar tak pahuncha do uske baad paise tumhaara moonh par maar dunga....Itna paisa jitna tumne apna puraa life me nahi dekha hoga....

Riya ki baato me gussa aur naarajgi dono hi tha Raj ke liye.....Raj ko apna majaak khud par hi bhaari pad gaya.....Pehle wo apne pocket se kuch nikaalta hai aur Riya ki taraf badhaa deta hai aur uske baad serious hokar kehta hai....

Raj:- Ye lo ticket....Maine pehle hi le liya hai ham dono ke liye.....Tumne kaha tha ki safar boring ho raha hai....To socha thoda majaak kar leta hu jisse safar acche se kat jaayega lekin abb ehsaas ho raha hai ki tumse majaak karna hi nahi chahiye tha......Aur ha mai paiso ke picche bilkul bhi nahi bhaagta....Bas majaak me keh diya tha....Aur haa mai tum se ek paisa bhi nahi lunga waapas pahunchne ke baad....Mai kisi ko help karne ka paisa nahi leta.....Maine tumhaara bas help kiya hai issme apna koi faaidaa nahi socha hai....

Raj ki iss baat se Riya ko ehsaas hota hai ki gusse me usne kya keh diya hai.....Usse khud par gussa aa raha tha....Wo Raj se maafi maangna chahti thi lekin kaise maange ye usse samajh nahi aa raha tha....

Kuch der baad bus dinner ke liye ek hotel par rukta hai.....Sabhi hotel me chale jaate hai......Raj bhi hotel me jaata hai....Riya bhi uske picche picche aa rahi thi....

Raj chair par baith jaata hai aur side me Riya ko jab dekhta hai tab thoda naaraj hokar kehta hai.....

Raj:- Baith jaao.....Bhukh lagi hogi tumhe....Aur paise ki tension mat lo mai pay kar dunga....

Kuch der me khaana bhi aa jaata hai.....Riya khaa nahi rahi thi isse dekh Raj kehta hai.....

Raj:- Abb kya hua....Kyu nahi khaa rahi ho????

Raj ko hairaani bhi ho rahi thi aur saath me gussa bhi aa raha tha...

Riya:- Sorry Raj....Gusse me mai kucch jyaada hi bol gayi....Mujhe maaf kar do.....

Raj iss baat par kuch nahi kehta....Riya ne bhi soch liya ki wo Raj ko manaa kar hi rahegi.....Wo bhi nakhra karte hue kehti hai....

Riya:- Jab tak tum mujhe maaf nahi karoge tab tak mai kuch nahi khaaungi....

Raj:- Ye kya majaak hai.....Jaldi se khaana suru karo.....

Raj abb bhi Riya se naraaj tha.....

Riya:- Nahi khaaungi....Jab tak tum mujhe maaf nahi karoge tab tak nahi khaaungi....

Riya abhi bhi nakhre kar rahi thi.....Kuch vakt aise hi beet jaata hai lekin Riya nahi khaati aur Raj bhi khaa nahi paa raha tha......Last me thak kar Raj maaf kar dene ki baat Riya se kehta hai....Tab jaakar dono khaane lagte hai.....Dono ko bhukh bahut jor ki lag rahi thi.....Wo dono khaane me aise busy ho jaate hai ki unhe pata hi nahi chala bus kab ka nikal gaya hai....

Jab khaa kar Raj utthta hai tab bus ko gaayab dekh hotel manager se iss baare me pucchta hai.....Tab Manager bhi keh deta hai ki bus to 5 minute pehle hi nikal gaya hai....

Raj ko abb Riya par bahut gussa aata hai.....Fir bhi wo gussa ko control kar manager se next bus ke baare me pucchta hai.....Manager ko bhi iss baare me koi idea nahi tha iss liye wo Raj ko bus stand jaa kar information lene ka salaah deta hai.....

Jab Riya ko pata chalta hai uski nakhre ki kaaran ye bus choot gaya hai tab usko guilt feel ho raha tha aur shaath me dar bhi lag raha tha ki Raj kya kahega.....

Raj Riya ke pass aakar gusse se Riya ko dekhta hai.....Riya bahut dar jaati hai aur bhagwaan ko yaad karne lagti hai.....Lekin Raj usko kuch nahi kehta.....Raj ko abhi bus stand jaane ki jaldi tha aur wo fight me time waste nahi karna chahta tha....Bas itna hi kehta hai....

Raj:- Chalo mere saath....

Riya ko thoda raahat mila ki Raj ne kuch nahi kaha fir bhi Raj ki gussa ho kar baat karne se wo abhi bhi dar rahi thi...

Kuch der me dono bus stand pahunch jaate hai aur waha se pata chalta hai ki subah 6:00 am se pehle koi bus nahi hai......Raj ka gussa to abb saatwe aasman par pahunch gaya tha.....Wo kuch bole bina bus stand se baahar nikal jaata hai .....Riya bhi darte hue uske picche aati hai...

Bus stand ke baahar nikalne ke baad Raj street light aur mobile ka flash ke sahaare chalte hue ek ground pe chala jaata hai aur gusse ke saath ground par baith jaata hai....

Riya bhi uske picche picche daudti hui aa jaati hai aur darte hue kehti hai....

Riya:- Sorry Raj.....Mujhe pata nahi tha meri iss harkat se ye sab ho jaayega....

Riya ki baat sunne ke baad Raj bahut gusse se Riya ko dekhta hai aur gussa ke saath kehta hai....

Raj:- Abhi mera najar ke saamne se chali jaa warna gussa me mai kya kar baithunga mujhe hi nahi pata....

Riya Raj ka itna jyaada gussa dekh dar jaati hai.....Uska himmat nahi ho raha tha abb Raj se kuch kehne ki....Raj bhi gusse me khud se badbadaata hai....

Raj:- Kal raat se hi iski vajah se bad luck suru hua hai....Pata nahi iske saath aur rahunga to kya kya sehna padega....Din me bhi jab se ye picche padi hai tab se har kaam bigad raha hai.....Abb iski vajah se saari raat bina soye kaatna hoga.....Pata nahi abb aage kya kya dekhna baaki hai..
 
Top