• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Mera bhi shayiri thread

U like this

  • must thin

    Votes: 0 0.0%
  • may be

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    16
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Bana Bana Ke Tamanna Mitaai Jaati Hai
Tarah Tarah Se Wafa Aazmaai Jaati Hai

Jab Un Ko Meri Mohabbat Ka Aitbaar Nahin
To Jhuka Jhuka Ke Nazar Kyon Milaai Jaati Hai

Hamare Dil Ka Pata Vo Hamain Nahin Dete
Hamari Cheez Hami Se Chupaai Jaati Hai

‘Shakeel’ Duuri-E-Manzil Se Naummeed Na Ho
Manzil Ab Aa Hi Jaati Hai Ab Aa Hi Jaati Hai
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Bas Ik Nigaah-E-Karam Hai Kaafi Agar Unhen Pesh-O-Pas Nahin Hai
Zaahe Tamanna Ki Meri Fitrat Asir-E-Hirs-O-Havas Nahin Hai

Nazar Se Sayyad Dur Ho Jaa Yahan Tera Mujh Pe Bas Nahin Hai
Chaman Ko Barbaad Karane Waale Ye Aashiyaan Hai Qafas Nahin Hai

Kisi Ke Jalwe Tadap Rahe Hain Hudood-E-Hosh-O-Khirad Ke Aage
Hudood-E-Hosh-O-Khirad Ke Aage Nigaah Ke Dastaras Nahin Hai

Jahan Ki Nayarangiyon Se Yaksar Badal Gai Aashiyaan Ki Surat
Qafas Samajhti Hain Jin Ko Nazarain Vo Dar-Haqiiqat Qafas Nahin Hai

Kahan Ke Naale Kahan Ki Aahen Jami Hain Un Ki Taraf Nigahain
Kuch Is Qadar Mahv-E-Yaad Hoon Main Ki Fursat-E-Yak-Nafas Nahin Hai

Tasavvur-E-Ishrat-E-Guzishta Ka Husn-E-Taasir Allah Allah
Vahi Fazaayain Vahi Hawaain Chaman Se Kuch Kam Qafas Nahin Hai

Kisi Ke Be’etanaaiyon Ne Badal Hi Daala Nizaam-E-Gulshan
Jo Baat Pahle Bahaar Main Thi Wo Baat Ab Ke Baras Nahin Hai

Ye Buu-E-Sumbul, Ye Khaanda Gul Aur Aah! Ye Dard Bhari Sadain
Qafas Ke Andar Chaman Ho Shaayad Chaman Ke Andar Qafas Nahin Hai

Na Hosh-E-Khilvat Na Fikr-E-Mehafil Ayaan Ho Ab Kis Pe Haalat-E-Dil
Main Aap Hi Apnaa Ham-Nafas Hoon Mera Koi Ham-Nafas Nahin Hai

Karain Bhi Kya Shikawa-E-Zamana Kahain Bhi Kya Dard Ka Fasana
Jahaan Main Hain Laakh Dushman-E-Jaan Koi Masiha Nafas Nahin Hai

Suni Hai Ahal-E-Junoon Ne Aksar Khamoshi-E-Marg Ki Sadaain
Suna Ye Tha Kaarvan-E-Hasti Rahin-E-Baang-E-Jaras Nahin Hai

Chaman Ki Aazadiyaan Muakhkhar Tasavvur-E-Aashiyan Muqaddam
Gam-E-Asirihai Na-Mukammal Agar Gam-E-Khaar-O-Khas Nahin Hai

Na Kar Mujhe Sharmsaar Naaseh Main Dil Se Majaboor Hoon Ki Jis Ka
Hai Yoon To Kaun-O-Makaan Pe Qaabu Magar Mohabbat Pe Bas Nahin Hai

Kahaan Wo Ummeed Aamad Aamad Kahan Ye Ifaae Ahad-E-Farda
Jab Aitbaar-E-Nazar Na Tha Kuch Ab Aitbaar-E-Nafas Nahin Hai

Vahin Hain Naghmain Vahi Hai Naale Sun Ai Mujhe Bhool Jaane Waale
Teri Samaat Se Door Hoon Main Jabhi To Naalon Main Ras Nahin Hai

“Shakeel” Duniya Main Jis Ko Dekha Kuch Us Ki Duniya Hi Aur Dekhi
Hazaar Naqqaad-E-Zindegi Hain Magar Koi Nuktaaras Nahin H
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe
Mash-Hoor Thi Apani Zindadili Daanista Shararat Kar Baithe

Koshish To Bahut Ki Humne Magar Paya Na Gam-E-Hasti Ka Mafar
Viraani-E-Dil Jab Had Se Badi Ghabra Ke Mohabbat Kar Baithe

Nazron Se Na Karte Pursish-E-Gham Khaamosh Hi Rehna Behtar Tha
Diwano Ko Tumne Chhed Diya Wallaah Qayamat Kar Baithe

Har Cheez Nahin Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ik Roz Udhar
Nafrat Se Na Dekho Dushman Ko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Kaise Kah Doon Ki Mulaqaat Nahin Hoti Hai
Roz Milte Hain Magar Baat Nahin Hoti Hai

Aap Lillaah Na Dekha Karain Aaina Kabhi
Dil Ka Aa Jana Badi Baat Nahin Hoti Hai

Chhup Ke Rota Hoon Teri Yaad Main Duniya Bhar Se
Kab Meri Aankh Se Barsaat Nahin Hoti Hai

Haal-E-Dil Puuchne Waale Teri Duniya Main Kabhi
Din To Hota Hai Magar Raat Nahin Hoti Hai

Jab Bhi Milte Hain To Kehte Hain Kaise Ho “Shakeel”
Is Se Aage To Koi Baat Nahin Hoti Hai
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Khush Hoon Ki Mera Husn-E-Talab Kaam To Aaya
Khaali Hi Sahi Meri Taraf Jaam To Aaya

Kaafi Hai Mere Dil Ki Tasalli Ko Yahi Baat
Aap Aa Na Sake Aap Ka Paighaam To Aaya

Apano Ne Nazar Pheri To Dil Ne To Diya Saath
Duniya Main Koi Dost Mere Kaam To Aaya

Wo Subah Ka Ehsaas Ho Ya Meri Kashish Ho
Dooba Hua Khursheed Sar-E-Baam To Aaya

Log Un Se Ye Kehte Hain Ki Kitne Hain “Shakeel” Aap
Is Husn Ke Sadqe Main Mera Naam To Aaya
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Mere Ham-Nafas, Mere Hamnawa, Mujhe Dost Banake Daga Na De
Main Hoon Dard-E-Ishq Se Jaanvalab, Mujhe Zindegi Ki Dua Na De

Mere Daag-E-Dil Se Hai Roshni, Usi Roshni Se Hai Zindegi
Mujhe Dar Hai Aye Mere Charagar, Ye Charaag Tu Hi Bujha Na De

Mujhe Chod De Mere Haal Par, Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Ye Teri Nawaazish-E-Mukhtasar, Mera Dard Aur Bada Na De

Mera Azm Itna Buland Hai Ke Paraaye Sholon Ka Dar Nahin
Mujhe Khauf Aatish-E-Gul Se Hai, Ye Kahin Chaman Ko Jala Na De

Wo Uthe Hain Leke Hom-O-Subu, Arey O ‘Shakeel’ Kahaan Hai Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Main Koi Aur Haath Bada Na De
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Meri Zindegi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkara
Tera Gam Hai Dar-Haqeeqat Mujhe Zindegi Se Pyaara

Wo Agar Bura Na Maane To Jahaan-E-Rang-O-Bu Main
Main Sukun-E-Dil Ki Khaatir Koi Dhoondh Loon Sahara

Ye Fulak Fulak Hawaain Ye Jhuki Jhuki Ghataain
Wo Nazar Bhi Kya Nazar Hai Jo Samajh Na Le Ishaara

Mujhe Aa Gaya Yaqin Sa Yahi Hai Meri Manzil
Sar-E-Rah Jab Kisi Ne Mujhe Daffatan Pukaara

Main Bataaon Farq Naasih, Jo Hai Mujh Main Aur Tujh Main
Meri Zindegi Talaatum, Teri Zindegi Kinaara

Mujhe Guftagu Se Badkar Gam-E-Izn-E-Guftagu Hai
Wahi Baat Poochte Hain Jo Na Kah Sakun Dobara

Koi Aye ‘Shakeel’ Dekhe, Ye Junoon Nahin To Kya Hai
Ke Usi Ke Ho Gaye Ham Jo Na Ho Saka Hamaara
 
Status
Not open for further replies.
Top