• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Mera bhi shayiri thread

U like this

  • must thin

    Votes: 0 0.0%
  • may be

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    16
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Tum Se Door Rahoon Magar Kaise,
Haal-E-Dil Bhi Kahoon Magar Kaise,

Bahut Samjhaya Is Pagal Dil Ko Eh Sanam,
Dil Ko Mazboor Karoon Magar Kaise,

Kuchh Toh Kahti Hai Aankho Se Woh Bhi,
Woh Baat Kagaz Par Likoon Magar Kaise,

Waqt Ki Lahron Se Main Waakif Toh Hoon,
Waqt Ke Safar Ko Samjhun Magar Kaise,

Har Gham Uttha Lenge Saath Jo Tum Ho,
Tum Bin Khud Ko Sochun Magar Kaise,

Tum Se Door Rahoon Magar Kaise,
Haal-E-Dil Bhi Kahoon Magar Kaise…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Raat Gujri Unke Intezaar Mein,
Aur Aansu Bahte Rahe Pyar Mein,

Tanhai Ki Chadar Tan Se Lapete,
Bahta Raha Sanso Ki Manjhdar Mein,

Tha Khamosh Manzar Badla-Badla,
Dil Bhi Na Tha Ab Ikhtiyar Mein,

Woh Aayenge Sochta Raha Main,
Khilengi Kaliyan Phir Se Bahaar Mein,

Bewajah Nikal Pada Tha Ek Din Eh Sanam,
Pyar Dhundne Ke Liye Is Zahaan Mein…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Pyar Ne Chhoda Asar Dheere-Dheere,
Kya Hua Jo Mudi Nazar Dheere-Dheere,

Chahat Se Bhra Hua Hai Machalta Dil,
Kaafir Hui Mastani Nazar Dheere-Dheere,

Alhad Ada Thi Unki Pahle Is Traha,
Ab Diwangi Chadti Umar Dheere-Dheere,

Umadta Gaya Masti Ka Sama Fiza Mein,
Uthha Ab Jawaani Ka Bhanwar Dheere-Dheere,

Surkh Lab Utre Maidan Mein Ek Saath,
Puri Hui Uski Har Kasm Dheere-Dheere,

Sarka Jo Aanchal Fir Sanwrne Na Diya,
Madhosh Ho Gaya Pyar Mein Dheere-Dheere,

Saanso Ki Sabnam Yeh Aahon Ke Shole,
Hote Gaye Sab Be-Asar Dheere-Dheere,

Talab Rahti Hai Kho Jaaun Tujh Mein,
Hoti Rahe Shab Mein Shahr Dheere-Dheere…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Sirf Nazar Se Jalaate Ho Aag Chahat Ki,
Jalakar Kyun Bujhate Ho Aag Chahat Ki,

Sard Raaton Mein Bhi Tapan Ka Ehsaas Rahe,
Hawa Dekar Badhate Ho Aag Chahat Ki,

Aapki Nazron Mein Mere Pyar Ka Thhikana,
Hum Se Kyun Chhipate Ho Aag Chahat Ki,

Naazuk Jism Par Ungaliyan Jo Rakh Doon,
Badi Khusi Se Chhupate Ho Aag Chahat Ki,

Phoolon Se Lipatkar Bikhar Jaao Mujh Par,
Armaano Se Lutate Ho Aag Chahat Ki…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Yeh Mausm Bhi Hai Deewana Aapka,
Eh Sanam Inayat Aapki Bahana Aapka,

Kuchh Raah-Geer Aaye Wahaan Se,
Shayad Laye Hon Afsana Aapka,

Eh Hawa Kushboo Lekar Aana Unki,
Nahi Chalega Ab Koi Bahana Aapka,

Maloom Hai Aapko Aadat Hai Mujhe Aapki,
Kyonki Main Hoon Jaana Pahchana Aapka,

Haan Bhigo De Use Mere Pyar Ke Rang Se,
Sukha Pada Hai Jo Aashiyana Aapka,

Yeh Mausm Bhi Hai Deewana Aapka,
Eh Sanam Inayat Aapki Bahana Aapka…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Chain Yahan Hai, Ab Wahan Nahi,
Dil Kyun Betaab Hai, Eh Khuda Pata Nahi,

Jis Talash Mein Hai Tu Shayad,
Woh Aapko Kabhi Mila Nahi,

Shyad Ye Mausam Bana Rahe,
Yahan Toh Kisi Ko Rahna Nahi,

Shikwe Duniya Se Hazaaron Hain,
Eh Sanam Mujhe Aapse Koi Gila Nahi,

Dil Se Mere Milna Jaroor Eh Husan Walon,
Kya Aapke Dil Mein Kabhi Koi Raha Nahi…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Jo Aati Thi Kabi Mere Naam Chitthhiyan,
Hum Aaj Bhi Padhte Hai Woh Gumnaam Chitthhiyan,

Sarhadon Ke Paar Gaye, Dil Ke Woh Tukde Eh Sanam,
Bas Reh Gayi Ab Toh Ban Ke Salaam Chitthhyan,

Dhime-Dhime Kadamon Se Aati Thi Woh,
Roz Nahi Aayi Magar Be-imaan Chitthhiyan,

Mere Sath Rahi Hamesha Khamoshiyan,
Shirf Likhta Gaya Haal-E-Tamaam Chitthhiyan,

Jab Bhi Meri Pyaas Baaki Reh Jaati Hai,
Peeta Hun Ab Main Banaakar Zaam Chitthhiyan,

Katra-Katra Bikhra Hua Hai Zameen Par,
Samet Loo Eh Sanam Tera Yeh Pyar Chitthhiyan…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Pyar Ka Souda Jazbaat Se Hota Hai,
Dil Ka Souda Ek Mulakaat Se Hota Hai,

Yun Toh Keemat Hoti Hai Har Soude Ki,
Haseeno Ka Souda Aaishq Ki Jaan Se Hota Hai,

Nazrein Milte Hi Nazara Badal Jata Hai,
Saaz Par Aate Hi Tarana Badal Jata Hai,

Paigam E Wafa Toh Sabhi Bhejte Hain,
Aajmaish Ke Waqt Par Jamana Badal Jata Hai,

Fijaon Mein Bhi Baharon Ka Naam Aata Hai,
Aaj Har Jubaan Par Mera Naam Aata Hai,

Jab Bhi Koi Padhta Hai Kalam Mera,
Har Jubaan Par Sanam Tera Naam Aata Hai…
 
Status
Not open for further replies.
Top