- 1,416
- 3,957
- 159
Bhoore lal samet wahan maujud sabhi logon ki cheekh nikal padi us laash ko dekhkar,
Ye jimipal tha, jiske sharir par anginat ghav the, aisa lagta tha mano kisi bhagte huye jangali suar ko pechha karte hue talwaron se mara ho.
Ye body kahan mili tumhen, thanedar ne ek sipahi se puchha jo use lene gaya tha,
Ye cable se 1km dur railway track par padi thi saab, shayad isse maarkar track par dala ho, socha hoga, koi train aake kaat jayegi, log sochenge accident ho gaya hoga,
Lekin train ke aane se pahle isse RPF walon ne dekh liya, aur yahan khabar kardi,
Hmmm….. kisne kiya hoga ye katl…thanedar budbudaya…..
Saab inhone… bhoorelal ramsingh chacha ki or ishara karke rote hue chillakar bola….
Kya bakwas kar rahe ho, ye to ulta tumhare khilaf report likhane aaye hain, inke thodi (chin) mein tuhari talwar ka ghav hai,
Nahi saab ye sab inka drama hai, apne hath se apne upar ghav lagake ye sabit karna chahte hain, ki ye talwar ka ghav hai jo jimipal ne maari, to fir ye yahan mara kaise pada hai, sochiye…..
Thanedar soch mein pad gaya, use bhi lagne laga ki ho na ho ye ramsingh vagairah ki hi sajish ho,
Ab mamla ulta pad gaya, kahaan to wo log apne upar hue attack ki report likhane gaye they, aur yahan jimipal ki maut ka unhen hi jimmedar thahraya jaa raha hai,
Chacha ke alawa aur kisi ne use dekha bhi nahi tha attack karte hue, to unhen hi mujrim thahrakar, case bana diya unke khilaf,
jismein chacha, unke dono bete aur sath mein Janki lal ko bhi sath dene ke jurm mein arrest karke hawalat mein band kar diya,..
Wo lakh chillate rahe ki hamne ye katl nahi kiya, hum nirdos hain, lekin police ko to baithe bithaye hi mujarim mil gaye, to kon chhan been kare.
Pure ghar mein matam chha gaya, jimipal ki sasural se bhi log aagaye uski patni ko leke, wo bhi unhen hi dosi manane lage.
Jimipal ki patni dahaden mar-marke ro rahi thi, uski to abhi jindagi shuru bhi nahi hui thi ki khatam bhi ho gayi,
ghar mein keval ek jethani thi, waki ko to wo gunehgar man rahe they..
Matam dono hi taraf tha, idhar bhi ghar ke sabhi purushon ko to hawalat mein band kar rakha tha, baaki teen bahar they, aur unhen khabar bhi karwa di, ki wo yahan aayen bhi na,
Kya pata bhure unhen bhi arrest karwa de, ab to aisa lagta tha jaise police usi ka kaam kar rahi ho.
Idhar to kisi ki bhi baat bhi sun-ne ko tayar nahi tha wo daroga.
Iss taraf baaki bache sadsyon mein ghar ki 4 aurten, 3 bachche, jinmein chacha ramsingh ki sabse chhoti beti neenu 9-10 saal ki, Janki lal ka tisra beta shyam Bihari 8-9 saal ka aur Arun 5 saal ka.
4-5 din hawalat mein rakhne ke baad un sabhi ko jail bhej diya gaya, jo ki bade shahar mein tha,
Usi shahar mein Brij Bihari padhai karte they, iss samay BSc Ag kar rahe they,
wahin unhone apne pita, chacha aur chachere bhaiyon se jail mein mulakat ki, aur unke direction mein vakil bagairah karke bail karane ki koshish ki,