Update-6
Party kabki khatam ho gayi thi aur abhi 12 bajne me kuch hi der thi…Maine radhika ko message kiya aur bahar bulaya….
Abhi kuch hi der hui thi ki radhika ek simple si night dress me ghar ke darwaje par aa khadi hui…..
Abb aage :
Radhika : hi Avinash….kaise aana hua itni raat yaha…
Mujhe samjh aa gaya ki ye gussa hai ab kar bhi kya sakte the……mai siya ko lekar pehle hi bahut pareshan tha to yaha party me aakar kya hi karta…..or mujhe aaj jo taiyari karni thi surprise ke liye vo bhi nahi hui thi….
Mai : please suno to…vo…
Radhika : ha ha batao na kya hua……kya kaam tha….
Mai : yaar please pehle puri baat to sun lo….mai din bhar tumhare sath tha to party me na aane ka to soch bhi nahi sakta tha na…
Radhika: to aye kyu nahi….
Mai : are maine tumhe bataya tha na ki mai part time job karta hu apna kharcha chalane ke liye….to bas ab urgently unhone bula liya….or bas abhi choda hai….
Radhika : tum sach keh rahe ho na….ya sirf….
Mai : are yaar mai ek dum sach keh raha hu…. dekhlo abhi tak dinner bhi nahi kiya hai….vo bhi ab karna hai…..
Mere itna kehte hi uske expression badal gaye…
Radhika: acha matlab abhi tum dinner karoge fir ghar jaoge….
Mai : ha yaar…ab to maaf kar do..
Radhika : aise nahi….meri ek shart hai….
Mai : acha to batao kya chahiye tumhe…
Radhika: bas thoda sa sath….mera matlab hai ki abhi mai bhi tumhare sath chalungi….isi bahane mera night out bhi ho jaega….
Mai: acha theek hai….vaise night dress me to jaane se rahi….to jaldi aao yaar bahut bhook lagi hai…
Mere itna kehte hi vo andar chali gayi…. mujhe ye samajh nahi aa raha tha ki isko handle kaise karu….. mujhe laga nahi tha ki ye itni aasani se dost ban payegi…par yaha to dosti bhi ho gayi thi or isne mujhe hi pagal kar diya tha….
Thodi hi der me vo aa gayi aur hum uski car me baith kar waha se nikal gaye…. thodi hi door jaane par mujhe itna to samjh aa gaya tha ki hum kaha Jaa rahe hai….
Mai: idhar kaha Jaa rahe hai hum…yaha to bahut mehenge restaurante hai na….
Radhika to shayad sunne ke mood me hi nahi thi….vo bas meri taraf dekh kar muskurai or driving karne lagi….
Or ab meri kismat hi dekh lo…..ye wahi hotel tha jaha mai or karan milte the matlab ye jagah bhi hamari hotel ka hi tha….
Jab tak hum parking me pahuche tab tak me karan ko message kar chuka tha ki koi gadbad na ho jaye……
Radhika: kya soch rahe ho yaar….ab tum party me nahi aaye the na…or birthday girl bhi mai hu to treat bhi meri or se…
Mai: lekin…..
Radhika: ab chalo andar chup chap….
Raat jyada nahi hui thi….or is samay humare hi jaise or bhi log yaha maujood the….par ek farak tha….hum dono to dost hi the lekin mujhe yaha sirf couples hi dikhai de rahe the…
Hum andar gaye or ek table le kar baith gaye…. waiter aya to radhika ne hi khane ka order diya or apne liye kuch snacks or coffee mangva Li…
Mai : yaar itna kharcha kyu kar rahi ho…hum kahi normal si jagah par bhi jaa sakte the na….
Radhika: are aise kaise….mera birthday roj to aata nahi na…to ab chup chap treat enjoy karo bas…
Maine bhi soch liya ki ab thoda sambhalna padega…. to bas me bhi chup ho gaya…. kuch der baad mai apna dinner kar chuka tha or bill bhi radhika ne hi pay kiya tha….
Phir bas yu hi baate karte hue hum uske ghar pahuche jaha se maine apni bike uthai or ghar pahuch kar so gaya…..
…………………………………………………………………………
Wahi jab se Suman mere room se gayi thi…vo kuch bechain hi ho gayi thi…. shayad use ummid nahi thi ki mai ye karunga ya fir umra ke is padav par bhi koi uske sath is tarah ki harkat kar sakta hai…
Wahi jab raat ko sone ka samay hua to vo apna sab kaam karke apne room me lage ek mirror ke samne khadi ho gayi….
Or ye sochne lagi ki Avinash uske bete ki umar ka hai….vo kaise ye sab soch sakta hai…
Is waqt usne ek normal si saree pehni hui thi jo Suman sote samay pehana karti thi…
Usne aaine me khud ko ek nazar upar se neeche tak dekha or fir sone chali gayi….
Aaj Suman jab subah uthi to use ek dar sa lag raha tha…. ki ab vo Avinash ka saamna kaise karegi…. kyuki kal jo kuch hua tha uske baad Suman ye faisla nahi kar pa rahi thi ki use kya karna chahiye…..
Bas isi wajah se usne ye tay kiya ki abse nashta or khana vo Nikita ke haath hi bhijwa diya karegi….
…………………………………………………………………………
Mai agle utha or taiyar hone laga…thodi der me nashta bhi aa gaya tha…mai nashta kar ke niche pahucha to dekha siya bhi shayad nikal hi rahi thi….
Maine jaldi se bike start ki or uske saamne pahuch gaya….
Lekin aaj vo baithi nahi….
Mai: are jaldi baitho na…college nahi jana kya…
Siya: tum jao me pahuch jaungi….
Mai: are ab baitho bhi yaar…kal achanak se office Jana pada….bas isliye bata bhi nahi paya or samay se pahuch bhi nahi paya….
Siya fir bina kuch kahe hi baith gayi or hum college pahuch gaye…..
Fir bas din yuhi guzarne lage….or ek hafta hu hi beet gaya tha…..
Is beech jyada kuch khaas nahi hua par siya ka mujhse baat karna ab badh chuka tha….ab saath aate the to laazmi hai ki kuch time rehta tha….
To ab mai or siya kuch had tak dost ban chuke the….siya abhi haal filhaal mujhse jyada open nahi thi….
Wahi dusri or na jaane kyu radhika hi mere piche pad gayi thi…..waise mai bhi chahta to yahi tha lekin uske birthday par jo chance tha vo miss ho chuka tha……or sabse badi baat uske man me shayad feelings aane lagi thi….
Ab pyaar ka kya hi kehna…. kyunki in sab ke bich bas Suman hi thi jo abhi bhi kuch kuch pareshan hi rehti thi….
Agar kabhi Avinash saamne aa jaya karta to vo ab apne aap ko ek kishori ki tarah samajh kar idhar udhar ho jaya karti thi….
Kahi na kahi vo chahti thi ki Avinash usse aakar fir se baat kare par ab uske man me Avinash ke prati alag bhavnaye bhi jag chuki thi…..
Wahi apna hero Avinash jise is haalat ka kuch pata hi nahi tha….ki usne kya hi kar liya hai….
Ab jab Avinash or siya baat karne lage the….. to Avinash bas yehi socha karta ki kab siya us baare me baat karegi…..akhir kabhi na kabhi to sochegi hi mere baare me….
Par….par sabse badi baat to ye thi na ki kisi or ka paigam kisi or ko pahunch chuka tha…..
…………………………………………………………………………
Bas isi tarah ek din shaam ko siya chat par aayi thi tehlne ke liye….aur sanyog se Avinash bhi chat par pahunch gaya tha…..mausam abhi karwat badal raha tha to thandi hawayein chal rahi thi….
Jab usne siya ko aankhe band kiye hue chat par dekha…to usne man hi man soch liya ki ek baar or apni kismat ajma hi li jaye…..
Aur bas uske bagal me jaa kar khada ho gaya….usne mujhe dekha or fir aasman ki aur dekhne lagi….mere dil me bechaini badh rahi thi ….
Mai: siya…..
Vo : hmm…( bina meri or dekhe)
Mai : t..t..tumne….kuch socha…
Vo : kis bare me…(or meri or dekhne lagi)
Ab meri fatne lagi…. kuch samjh hi nahi aa raha tha kya bolu….
Mai : vo…mai tumhe pasand karta hu bataya tha na….
Maine jaise hi ye bola usne meri or dekha jaise vo meri aankhon me kuch dekhna chahti ho aur fir…..
Vo: hahahahahaa……kya kaha tum…tum mujhe…. hahaha…
Mai : ha to…ab isme hasne ki kya baat hai…
Ye kehte hue meri aankhon mein paani aane laga….. uski hasi mere dil par chubhne si lagi thi….
Vo : ye tumne socha bhi kaise….or agar tumhari jagah koi or hota to shayad ek baar ko soch bhi leti….
Mai bas uske chehre ko dekhe jaa raha tha….uske chehre ki masoomiyat mujhe abhi bhi bahut pyaari lag rahi thi….
Jab usne ye kaha or dusri taraf muh karke muskurane lagi to mujhse or raha nahi gaya….
Or me apne room me chala aya…..me bas ab akele rehna chahta tha….kahi dur…yaha se bas mujhe kahin door jana tha…
Mene apna bag uthaya or usme apna saman rakhna or waha se nikal kar sidha hotel pahuch gaya….karan ko bol kar flight ki tickets book karwai or pahuch gaya haridwar…..
Haridwar ek sadhuo ki bhumi hai….yaha me aksar aata rehta hu kyuki ghar se chale aane ke baad me yahi pala tha…inhi logo ke bich….
Mai wahi par bane ek aashram pahuch gaya or room le kar saman rakh kar nahane chala gaya…..jab laut kar dekha to phone par Suman aunty ke message the….
Maine unhe message kar diya ki ab me waha nahi rahunga….mai ab apne kisi dost ke sath rehne wala hu….or jo saman hai vo mai kuch time baad le jaunga….
Or bas phone switched off kar diya….
Raat ka samay tha or mausam bhi suhana tha….mai khana kha kar pahuch gaya wahi bane ek ghat par or apne pairo ko paani me karke wahi kinare let gaya……
Mujhe wahi lete hue kab neend aayi kuch pata hi nahi chala or me apni kuch purani yadon me fir se kahi gum ho gaya…..
Pata nahi aksar jab bhi me pareshan hota hu.. mujhe ye purani yadein gher leti hai…or mujhe bahut dard dekar chali jaati hai….
.
.
.
Ek sunsan raat me ek ladka jiski umar jyada nahi lag rahi thi vo ek sunsan raste par chala Jaa raha tha….
Use dekh kar lag raha tha shayad bahut waqt se bhuka tha vo…. Kuch der baad jaise jaise uske kadam aage ki aur badh rahe the uski aankho me andhera or gehrane laga….
Or thodi hi door jaa kar vo gir pada…..
Use jab hosh aya to vo ek choti si jagah par tha aas paas dekha to paya laga ye koi sunsan sadak ka footpath tha….par….par sawal ye tha ki use yaha laya kon….usne uth kar apne pass baithe do uski hi ham umar ladko ko dekha……
Ladka: kon ho tum…or me yaha…
Ladka 1: ham laye h tumhe yaha…tum sadak ke bicho bich pade the…
Ladka 2: rehte kaha ho…tum ananth to nahi lagte….
Ladka : ab shakal se kaha pata chalta hai bhai….ab kismat hai to bhogni to padegi…
Ladka 1 : mai Karan or ye Rishi hai…agar tum chaho to yaha reh sakte ho….
Ladka : shukriya dost….
Aur vo ladka bhi unke sath hi ghul mil gaya….or inme ek gehra rishta ban gaya jo shayad khun ke rishte se bhi majboot tha….
Ye tino rooj roj kisi na kisi kaam ki talash me nikalte or laut aate….inke khane ka intezam philhal ek mandir me tha jaha ek bade sant aaye hue the.…
Rishi or karan yaha ke nahi the inko kisi or jagah se kisi giroh ne agua kar liya tha or jab inhe yaha laya gaya….to badi hi chalaki se ye dono waha se bach nikle the….
Fir vo ladka inki jindagi me aya or teeno bhai ki tarah rehne lage the….par shayad abhi bhi inke sath bahut kuch hona baaki tha….or ek din….
Roj ki tarah kaam ki talash karke jab ye mandir me Prasad lene pahuche to ek aadmi ki nazar us ladke par pad gayi or usne uska picha kiya to dekha ki vo log Prasad lekar mandir ke piche Jaa rahe hai….
Us aadmi ki aankho me ye saaf jhalak raha tha ki us ladke ko vo jaanta hai….
Jab teeno piche pahuch kar Prasad kha rahe the to achanak se us ladke ki nazar kahi Jaa kar thahar jaati hai….or vo us aadmi ki or dekhne lagta hai….
Aadmi : to tu yaha hai…akhir kaha kaha nahi dhundha tujhe…
Vo ladka or Karan or Rishi bas chup the…. vo samjh nahi pa rahe the ki ye ho kya raha hai…ki tabhi..
Aadmi : chalo koi baat nahi adhura kaam ab ho jaega…..
Itna keh kar usne apne paas rakhi pistol nikal kar chala di….
Or bas do awaaz gunj gayi
Ladka : mamaa….
Karan : Rishi……
Ladke ne dekha ki uske dost ne bich me aakar uske liye chalai hui goli ko apne sine me le liya or lehrata hua niche gir pada….. awaaz inti jor ki thi ki log piche aa gaye …. lekin tab tak vo aadmi gayab ho chuka tha …
Rishi ki saase abhi tak chal rahi thi….to karan or vo ladka Rishi ko utha kar bahar ki or bhaagne lage….
Rishi : k…karan..tu apna or mere bhai ka dhyan rakhna yrr….
Karan: bhai kuch nahi hoga tujhe….bas kuch der ruk jaa…
Rishi : b..bhai …..ab shayad me or na hi pau…. agar tumhe kabhi mauka mile to meri maa ko mil aana…. bahut yaad karti ho…..
Bas ye akhri shabd the Rishi ke…
"Rishiiiii….." mai cheekhte hue uth gaya tha…..
Ab aage kya hoga ye agle update me dekhne milega…
Aapke Bahut se sawalo ke jawab is update me hai to dhyan se padiyega
.
.
.
.
.
.
.
.
.
(Update kaisa laga ye zaroor batayega…or like or comment karna na bhule )
यार जीस बंदे ने हीरो को बचाने के लिए अपनी जान दे दी और मरते वक्त आखरी ख्वाइश में हीरो को बताया की उसकी मां को मिलना और उनका खयाल रखना
यहां आ कर तो हीरो उस बंदे की मां और बहन के साथ घटिया हरकते ही कर रहा है
और सुमन तो बावली हरकते कर रही है एक अनजान लड़का किरायेदार आया है तो उसे घर में ही घुसा ली और तो और उसकी चिकनी चुपड़ी बातो मे आ कर अपनी बेटी को ही लगभग उसके साथ ही आना जाना उसके कमरे में भेजना ये क्या कर रही हैं पहले तो अविनाश को एक बेटे के रूप में देख रही थी अब उसकी फीलिंग बदल कर एक लवर वाली हो गई है
अगर अविनाश थोड़ा बहला फुसला कर सुमन को बोल दे की आंटी रात को सोने में डर लग रहा है तो सुमन सिया को ही ना बोल दे की आज अविनाश के साथ सो जा या में ही चली जाती हूं सोने उसके साथ
ये कौन सा तरीका है भाई जिसने जान दे कर जान बचाई है उसका एहसान उतरने का???
उसकी बहन को पकड़ कर sexual seduce करना उसकी बहन को छेड़ना
सिया को भी अविनाश से प्यार हो गया किस वजह से भाई उसे अविनाश का बार बार छेड़ना पसंद आ गया अविनाश का खुद को उस के ऊपर थोपना पसंद आ गया अविनाश ने तो कोई भी ऐसी हरकत नही की जिससे वह एक अच्छा इंसान लगे उसकी सभी हरकते तो आखिर टपोरियों वाली ही रही है,,
सुमन तो एक अलग ही लेवल की निकली , पहले तो अविनाश में उसे अपना बेटा नजर आया फिर वोह उसके प्रति एक प्रेमी की भावनाए लेकर एक नवयोवनाओ की तरह हरकते करने लगी और बाद मे जब सुमन को पता चला की अविनाश सिया से प्यार करता है तो अपने कदम पीछे लेने की बजाए वोह अविनाश को ही फोर्स कर रही संबंध बनाने के लिए,
और खुद बाद में जब उसे अविनाश ने ऋषि के बारे में बताया तो दो बूंद आसू बहा के अविनाश के बाहों में सो कर उसका दुख खतम हो गया, उठने के बाद फिर से वोह अविनाश के साथ चुम्मा चाटी करने लगी बड़ी ही बेगैरत मां निकली सुमन तो उसको तो आज पता चला की उसका बेटा मर गया है तो उस हिसाब से उसके लिए ऋषि आज ही मरा है फिर भी सुमन अविनाश के साथ उसके अनुसार प्यार लड़ा रही है
हवस में इतनी अंधी हो गई है की अपनी उमर के आधे लड़के को पुछ रही हैं की हम सही तो कर रहे है ना खुद की अकल पर क्या हवस का पड़दा गिरा है कि अपनी बेटी के प्यार पर नजर रखे हुए भी अविनाश से पुछ रही है की क्या सही है और क्या गलत,,
और अविनाश एक तरफ बोलता है कि वोह अपनी बहन राधिका से बहुत प्यार करता है तो फिर उसके लड़का - लड़की वाले प्यार को बढ़ावा क्यों दे रहा है क्या जब राधिका अविनाश से प्यार का इजहार करेगी तब नखरे करेगा कि आप मेरी सगी बहन हो में आपका छोटा भाई हु ये नही हो सकता अभी बता दे ना जो सच है क्या उसको दिखाई नहीं दे रहा की राधिका का झुकाव किस तरह बढ़ता जा रहा है??
क्या पहले उसे अपने प्यार में पागल बना के फिर उसका दिल तोड़ना चाहता है
इस फोरम पर रिवेंज कहानिया बोहोत आई लेकिन "akash blood" की कहानियां ही अच्छी लगी थी दोनो कहानियां भी उसने पूरी की थी
उसके कहानी का मतलब ही था गलती, नफरत, फिर गलती की सजा माफी नहीं थी किधर भी
"" """ चुकीला माफी नाही"""""
आपका नाम भी आकाश है तो देखते हैं किस तरह का रिवेंज होगा आपकी कहानी में