Ab log samajhdaar hai ki normal baat do insaano main kab tak hogi..
Kabhi na kabhi baat limit cross jarur karengi jo ek nikah ho chuki khatoon aur ek paraye majahab ke ladke ke bich galat hai.
Par jab ek khatoon apne sohar se khush na ho to usse tinke ka sahar bhi jahaj ke barabar lagta hai.
Wahi vijay ne kiya wo bhi dhire dhire mere personal life main enter karta chala gya aur main pehle na phir haan phir na aur phir haan main uska sath dene lagi.
Pehle to wo mere nikah se pehle ki kahani sunta phir apni batata aur phir nikah ke baad aur phir kabhi nikah se pehle mere boyfriend ki baat karta to main usse batati jis tarah uske uncle purane khayalo ke hai ussi tarah mere abbu bhi purane khayalo ke the is liye ye sub meri life main possible nahi tha
Aur nikah ke baad uncle aise Mile hai ki paraye mard se baat kya uski parchai bhi nahi pad sakti mujh par.
Unse dekha he hoga ki main burqa main he market jati hu.
Wo to wo sath nahi hota is liye hijaab hata leti hu.
To is topic par wo baat nahi karta par mere sohar ki baat karta aur pata nahi usne kaise pata laga liya ki main apne sohar ke sath khush nahi hu.
Shayad meri bataon main usse dard ka ehsaas ho gya.
Tabhi wo mujhe apne ghar zid karke bulane laga aur mera bada acche se khyal rakhta care karta aur itna karta to main usse mana karti par wo nahi manta aur pata nahi usme kya jadu tha ki main uske bina bulaye bhi uske ghar chali jati.
Uski ammi bhi itni acchi thi ki wo kabhi kuch nahi kehti.
Ulta wo khud mujhe daily bulati par main kaam ka bahana bana kar unhe mana kar deti par vijay ke bulane par usse mana nahi kar pati.
Aur uske ghar chali jati aur kai baar uske room main hum akele hote aur uski ammi kitchen main hamare liye kabhi nasta ya kabhi lunch bana rahin hoti.