Meri Aashiqui Tumse hi.....
Update 172.....
Ek behad hi aalishaan Bunglow ke bahar ek car aa ke rukti hai.... Darwaza khulta hai aur ek behad hi haseen aur khoobsurat ladki car se utar ke behad hi gusse me Bunglow ke under daakhil hoti hai.... Under jaate hi wo zor zor se chillane lagti hai....
Di.... Di.... Di....
Uski tez awaaz sun ke sab daud ke hall me aate hain.... Ladki ki Maa....
Maa : kya hua Jaanu....? Is tarha se kyun chilla rahi hai....
Jaanu : Maa di kahan hai....? Unhone mujhse waada kiya tha ki wo aaj mere sath Shopping karengi.... Main Pichle 3 ghante se Mall me unka intezaar karti rahi na to Di aayi na hi unka Phone.... Mere call karne pe bhi wo call nahi utha rahi hain.... Aap hi bataiye apni pyari choti behen ke sath aisa bhi koi karta hai kya.....?
Maa : Beta wo kisi kaam me phas gayi hogi.... Warna wo aisa kabhi nahi karti.... Tu to jaanti hai ki teri di tujhse kitna Pyar karti hai.....
Jaanu : Pyar karti hai nahi maa balki Pyar karti thi.... Ek waqt tha jab di bhi mujhse behad pyar karti thi.... Magar ab nahi ab di mujhse nahi balki apne kaam se zyada pyar karti hai.... Ab unke liye kaam mujhse badh ke ho gaya hai....
Maa : Aisa nahi hai mera bachha.... Tu galat soch rahi hai.... Sath hi apni di ko galat samajh rahi hai....
Jaanu : Nahi maa main bilkul theek samajh rahi hoon.... Di ab mujhse bilkul bhi pyar nahi karti.... Unko meri parwah nahi hai to ab main bhi unki parwah nahi karungi.... Ab main Di se kabhi baat nahi karungi.... Kabhi bhi nahi....
Ye keh ke wo gusse me apne room ki taraf jaane lagti hai.... Uski maa use rokne ki behad koshish karti hai magar wo sun hi nahi rahi.... Wo gusse me apne room ka Darwaza khol ke under jaa hi rahi hoti hai ki tabhi kisi ki cheekh sun ke uske pair wahin ruk jaate hain....
Mannnnnnat....
Ye cheekh kisi aur ki nahi balki uski badi behen Jannat ki hai.... Jo apni judwa behen Mannat ka naam le ke cheekh rahi hai....
Sab foran dard ke uske paas aate hain...
Maa (Nadira) : kya hua Jannat tu itni dari hui kyun hai....? Aur ye tu is tarha se ro kyun rahi hai....? Tu Mannat ka naam le ke kyun cheekhi....? Bata mujhe aakhir baat kya hai....?
Jannat rote hue : M.... Maa.... Wo Man...nat ki car ka Accident ho gaya hai.... Is waqt wo behad takleef me hai behad takleef me....
Jannat ki baat sun ke sab shock ho jaate hain....
Jaanu shocked : Ye aap kya keh rahi hain di.... Mannat di ki car ka Accident....!!!!
Jannat : Haan maine abhi abhi dekha ki Mannat Dada ji ke sath ghar aa rahi thi ki tabhi raste me unki Car ka Accident ho gaya.... Accident Gajraj Thakur ne apne gundon ke zariye karwaya hai.... Is se bhi jab uska dil na bhara to usne apne gundon ke sath mil ke Dada ji aur Mannat ko Jaan se maarne ki koshish ki....
Sab : Kyaaaaaaaaaa....?
Jannat : Ek shaks ne Farishte ki tarha se beech me aa ke un gundon se Dadaji aur Mannat ki jaan bacha ke un dono ko Hospital me admit karwa diya hai.... Is waqt Dadaji aur Mannat Hospital me admit hain.... Wahan unka ilaaj chal raha hai...
Jahan Jannat ki baat sun ke sab shock ho jaate hain wahin ghar ki do naukarani aapas me baat kar rahi hain....
Naukarani 2 : Ye to aise sab bata rahi hai jaise ki Accident ke waqt ye wahin thi....
Naukarani 1 : Jannat beti bhale hi wahan nahi thi magar unhone abhi jo bhi kuch kaha uska ek ek lafz sach hai....
Naukrani 2 : kyun wahan koi Camera laga tha jiske zariye wahan jo ho raha tha ye uska live telecast dekh rahi thi....?
Naukrani 1 : Aisa hi kuch samajh lo....
Naukrani 2 : Matlab....???
Naukarani 1 : Matlab ye ki Jannat Beti apni aankhon se nahi balki Mannat beti ki aankhon ke zariye sab dekh rahi thi....
Naukrani 2 : Jannat Manaat ki aankhon se dekh rahi thi matlab....? Ye kaise mumkin hai ki ek behen ki aankhon ke saamne jo ho raha hai use dusri behen dekh sake... Koi Jaadu hai kya....?
Naukrani 1 : Jaadu hi samajh lo.... Baat aisi hai ki Jannat aur Mannat dono Judwa behne hain.... Ye dono naam ki hi nahi balki wakayi me ye ek dusre se judi hui hai.... Ek ke sath agar kuch hota hai to wo dusre ko foran pata chal jaata hai.... Chahe wo kuch bhi ho.... Khushi ho ya gum... Ya phir koi ehsaas.... In dono ka bas jism alag sa nazar aata hai magar asal me ye dono ek hi jism ke do hisse hain.... Ek ko jo ehsaas hota hai theek waisa hi ehsaas dusri ko bhi hota hai... Ek jo mehsus karti hai dusri bhi waisa hi mehsus karti hai.... Ek ko jo nazar aata hai dusri ko bhi wo hi nazar aata hai.... Bas itna samajh lo ki dono ke under ek jaan basti hai....
Naukarani 2 : Achha agar aisi baat hai to kya ye dono ek se hi pyar aur shadi bhi ek se hi karengi... Kyun ki jaisa aapne abhi bataya us hisaab se to dono ko Pyar bhi ek hi Shaks se hoga aur jab pyar ek se hua hai to Shadi bhi ek hi shaks se hogi.... Matlab dono behne ek dusre ki Sautan ban ke rahengi.... Ye keh ke wo hans deti hai....
Naukrani 1 : Ye baat tu ne mere saamne to kar di..... So kar di... Un dono ke khilaaf kabhi bhi galti se bhi kuch Jaanu Bitiya ke saamne na kehna warna wo usi waqt teri jaan le legi.... Jaanu bitiya ke liye wo dono sab se badh ke hai.... Jis tarha wo dono kabhi bhi Jaanu bitiya ke khilaaf kabhi kuch nahi sun sakti theek usi tarha Jaanu bitiya bhi kabhi bhi un dono ke khilaaf kuch nahi sun sakti.... Teeno 3 jism ek jaan hain.... Ek baar galti se School ki teacher ne Mannat beti ko Homework na karke laane ki wajah se daant diya tha... Jab ye baat jaanu bitiya to pata chali thi tab unhone us Teacher ki aise jam ke dhulayi ki ki agle 1 mahine tak wo Teacher School me aane ke laayak na rahi.... Poora ek mahina use Hospital me apna ilaaj karwate hue guzaarna pata.... Tu bhi agar Hospital nahi jaana chahti to galti se bhi kuch bhi galat baay un teene ke khilaaf apni zubaan se na nikaal na.... Agar tu ne galti se bhi galti ki to phir to tere uper waala hi maalik hai....
Naukrani 2 : Na baba na mujhe apni haddiyan tudwake Hospital jaane ka koi shock nahi hai.... Meri Tauba mere Baap ki tauba.... Main sapne me bhi aisa karne ke baare me nahi sochungi...
Jannat ki baat sun ke Jaanu aur uski maa aur baaki ghar waale bhi shock ho jaate hain....
Jaanu : Ye aap kya keh rahi ho Jannat di...?
Jannat : Maine wo bhi kaha wo sach hai....
J Dadi : Jaanu dekh kya rahi hai.... Jaldi se gaadi nikaal hum abhi ke abhi Hospital jaayegne.... Nadira (Jannat ki Maa) tu aur Jannat jaldi se mere sath Hospital chal.... Aur Rania ( Majhli bahu) jaldi se Aziz Nafees aur Amin ko call kar ke Hospital aane ko bol....
New Characters :
Aziz : Mannat ke Dad
Nadira : Mannat ki Maa
Mannat : Ye aur Jannat Judwa hain...
Jannat : Ye Mannat se 5 Minutes choti hai
Jaanu : Ye Dono se 1 saal choti hai....
Nafees : Majhla beta
Rania : Majhli Bahu
Nida badi beti
Nadia choti beti
Amin : Chota Beta
Naushad : Choti bahu
Sab foran car me baithte hain aur Jaanu car ko Hospital ki taraf dauda deti hai....
Idhar Hospital me ilaaj ke kareeb 3 ghante ke baad us ladki ko hosh aa jaata hai.... Wo Dadu keh ke cheekh uthti hai sath hi poore room me unhe dhoondhne lagti hai.... Us ladki ki cheekh sun ke foran Dr Nurse ke sath sath Police waale jo uski Security ke liye rakhe gaye the room me aa jaate hain....
Mannat aur Dada ji ko theek dekhne ke baad Jab sab raahat ki Saans lete hain tab....
Aziz : Nafees jaa ke dekho ki Hospital ka bill kitna hua hai aur wo jitna kahen utna bhar dena....
Nafees : Ji bhai....
Ye keh ke Nafees jaa hi rahe hote hain ki Dr unhe rok ke jo kehte hain use sun ke sab shock ho jaate hain....
Dr : Ji uski koi zaroorat nahi hai.... Hospital ki poora Bill pehle hi bhara jaa chuka hai....
Dr ki baat sun ke sab shock ho jaate hain....
Aziz : Bill bhara jaa chuka hai.... Main kuch samjha nahi.... Bill kitna hua aur kisne bara....?
Dr : kya naam tha unka.... Mmm.....
Nurse : Sultaan....
Dr : Ji haan Sultaan.... Sultaan Sir ne bill bhara.... Bill to 5 Lakh ka hua tha magar unhone poore 20 Lakh jama kiye taaki inhe koi takeef na ho.... Aur to aur Sultaan Sir ne ye bhi kaha ki in dono ka achhe se achha khayaal rakha jaaye.... Is liye unke kehne pe hum ne in dono Patients ko yahan ke Sab se Special ward me admit kiya hai.... Unke kehne pe DIG Police khud yahan aa ye the aur Police ko yahan dono Patients ki hifazat ke liye chor gaye.... Itna hi nahi is Poore Floor me jo ye high tech Security Guards nazar aa rahe hain wo bhi Sultaan Sir ke hi hain.... Yahan bina ijazat ke koi nahi aa sakta....
Dr ki baat sun ke Sab shock ho jaate hain....
Aziz : kaun hai ye Sultaan....? Aur usne itna sab kyun kiya....?
Ab shock hone ki baari Dr ki thi...
Dr : Kya kaha aap ne aap Sultaan Sir ko nahi jaante....?
Aziz : Ji nahi.... Main kisi Sultaan ko nahi jaanta... Balki aaj pehli baar ye naam sun raha hoon....
Dr : Hairat hai.... Ek anjaan ho ke bhi Sultaan Sir ne wo kiya jo koi apna bhi na kare.... Yahan aane ke baad unhone poore Hospital ko sar pe utha liya tha.... Ye maar peet ka case tha... To pehle to maine mana kar diya.... Magar wo na maane wo baar baar mujhe in ka ilaaj karne ko kehne lage.... Aakhir tak jab main nahi maana to wo gusse se paagal ho gaye.... Unhone mujhe jaan se maarne tak ki dhamki de di.... Yahan tak ki gusse me unhone is Hospital tak ko udane ki baat tak keh di.... Unka gussa dekh ke dard ke maare meri haalat kharaab ho gayi.... Aur main dono ka ilaaj karne ko raazi ho gaya.... Police Inspector ko ittila karne ke bajaye unhone khud DIG of Police ko yahan bulwa liya taaki in dono ko aage chal ke koi pareshani na ho.... Yahan tak ki dono ke liye Special Security tak ka intezaam bhi kar diya... Itna hi nahi Security Aur Police ki Special team se ye tak keh diya ki agar koi khatra nazar aaye to foran bina soche samjhe Goli maar dena... Magar galti se bhi dono ko kuch nahi hone dena.... Sultaan ne ek gair ho ke jo kiya wo to aaj ke zamane me koi apna bhi na kare.... Wo kisi Farishte ki tarha yahan aaye aur in dono ka ilaaj karwa ke inki Security ke liye Top Security Guards aur Police ke Special Officer ki team yahan khada kar diya....
Sab hairat se bas Dr ki baat sune jaa rahe hain....
Aziz : Kya main Sultaan se mil sakta hoon.....
Dr : Wo to chale gaye.....
Nafees : Chale gaye....!!!! Kahan chale gaye...?
Dr : Pata nahi.... Jaane se pehle unhone ek baar Aap ke Pitaji ko dekha phir Us Ladki (Mannat) ko dekh ke muskurate hue kaha.... "Jab tak Sultaan jinda hai Mannat ko kuch nahi ho sakta" phir hum ko in dono ka khayaal rakhne ko keh ke wo yahan se chale gaye....
Nafees : Aakhir hai kaun ye Sultaan.... Wo achanak se aaya.... Usne itna sab kiya.... Aur bina hum se mile hi yahan se chala gaya.... Wo bhi bina kisi matlab ke.... Hairat hai.... Aaj tak maine aisa insaan nahi dekha jo bina kisi matlab ke kisi gair ke liye itna sab kare....
SDadi : Farishta.... Wo koi aam insaan nahi balki ek nek dil Farishta hai.... Usne wo hi kiya jo farishte aksar karte hain.... Chup chaap aa te hain... Aur madat kar ke chup chaap chale jaate hain.... Waisa hi us Farishte ne kiya.... Jiska naam hai Sultaan....
Jaanu : Ab to is Farishte se milna hi padega.... Usne meri jaan se Pyari Di aur Dadu ki jaan jo bachayi hai.... Main bhi to dekhun ki aakhir kaun hai wo.... Kaisa dikhta hai wo nek dil farishta jiska naam hai "Sultaan"....
Hospital se nikal ke Sultaan apni Company me jaata hai.... Wo behad hi dheere se Ruhi ke Cabin ka darwaza khol ke under dekhta hai.... Ruhi saamne chair pe baithi files me busy hai.... Sultaan dheere se uske paas jaa ke baith jaata hai aur bade hi Pyar se ise nihaarne lagta hai....
Theek tabhi darwaza khulta hai aur Zara under aati hai.... Sultaan ko wahan se ke uski khushi ka thikana nahi rehta wo daur ke Sultaan ke paas jaati hai aur uchal ke uske jism se lipat jaati hai is se pehle ki Sultaan kuch soch samajh paata Zara Sultaan ke hothon ko apne muh me le ke behad wild tareeke se use choosne lagti hai.... Sultaan use apni god me liye kiss me uska sath dene lagta hai.... Is waqt room me aur bhi 2 log maujood hain jo in dono ko dekh rahe hain.... Ye dono aur koi nahi balki Ruhi aur Zoya hai.... Zoya Zara ke peeche peeche cabin me aayi hai.... Jahan Ruhi pyar se dono ko dekh rahi hai wahin Zoya ko pehle to behad hairaani si hoti hai phir wo behad gusse me unhe dekhne lagti hai....
Sultaan aur Zara ek dusre ko kiss karne me itna khoye hue hain.... Unhe hosh hi nahi ki is waqt is Cabin me wo akele nahi hain balki 2 log aur bhi hain jinme se ek unhe behad pyar se dekh rahi hai to dusri behad gusse me.... Kareeb 10 minutes tak ek dusre ke honthon ka ras choosne ke baad jab wo ek dusre se alag hote hain.... Tab unki nazar saamne khadi Ruhi aur Zoya pe padti hai.... Is se pehle ki koi kuch kehta Ruhi aage badh ke Sultaan ke honthon ko apne muh me le ke use badi shiddat ke sath choosne lagti hai.... Ye dekh Zoya ko bahut hi bada jhatka lagta hai.... Gusse se uska dimaag phatne lagta hai.... Wo Sultaan ko kya samajhti thi aur wo kya nikla.....
Sultaan ko kiss karne ke baad Jab Ruhi us se alag hoti hai.... Tab Zoya ko gusse me dekh ke use badi hairaani si hoti hai....
Ruhi : kya hua Zoya tum itni gusse me kyun ho....?
Zoya : Jab kisi Dhokebaaz ke chahre pe se Sharafat ka nakaab utar ke uska Ghinona chehra sab ke saamne aata hai to use dekh ne waale ko uspe gussa nahi to kya pyar aayega....
Ruhi : Dhokebaaz.... kaun hai Dhokebaaz....? kisne diya tumhe dhoka....? Tum kya keh rahi ho....? Kuch samajh nahi aaya.... Jo bhi kehna hai saaf saaf kaho....
Zoya : Sunna hi chahti ho to suno.... Main jis dhokebaaz ki baat kar rahi hoon wo aur koi nahi balki Sultaan hai....
Zoya ki baat sun ke sab ko uspe behad gussa aa jaata hai.... Zara to gusse se jaise paagal si ho jaati hai... Wo gusse me aage badh ke Zoya ko thappad maarne hi waali hoti hai ki tabhi Sultaan use beech me hi rok leta hai.... Tabhi Ruhi Zoya ko maarne ke liye uspe jhapat padti hai....
Is se pehle ki Ruhi Zoya ko thappad maarti Sultaan aage badh ke use bhi rok leta hai....
Sultaan : Zara Ruhi ye tum dono kya kar rahi ho paagal to nahi ho gayi....
Dono : Sultaan chor do mujhe... Is kameeni ki himmat kaise hui tujhe Dhokebaz kehne ki....
Zoya : Maine wo hi kaha jo dekha.... Khud ko bada Shareef bata raha tha.... Ab jaa ke is kameene ki saari sachhai saamne aa gayi.... Ye kameena tum dono ko ek sath bewakoof bana raha hai.... Jaane tumhare jaisi iski aur kitni hi Girlfriend's hongi... Jaane aur kitni ladkiyon ko ye dhoka de raha hai....
Zoya ki baat sun ke Ruhi aur Zara gusse se paagal ho jaati hain.... Dono use maarne ke liye ek baar phir se aage badhti hain magar is baar bhi Sultaan unhe rok deta hai.....
Dono : Kameeni teri himmat kaise hui mere Sultaan ko Dhokebaz kehne ki.... Tu jaanti kya hai Sultaan ke baare me.... Jo ise Dhokebaz keh rahi hai.... Ye wo hai jo hatheli pe Suraj le ke dhoondhne se bhi na mile.... Is jaisa Nek insaan poori duniya me nahi....
Zoya : Tum dono baat ko samajh nahi rahi ho.... Is ne tum dono ko apne pyar ke jaal me is tarha phasa liya hai ki tumhe iske alawa aur kuch nazar hi nahi aa raha hai....
Ruhi : Sirf hum do hi nahi balki Sultaan ki aur bhi kayi diwaaniyan hain.... Jinse Sultaan dil ki gehraaiyon se Pyar karta hai.... Sultaan kisi ko dhoka de ye mumkin hi nahi.... Iski har diwani ko is ke har rishte ke baare me pata hai.... Sultaan ne aaj tak ek bhi jhooth nahi bola hai.... Uska kisi ko dhoka dena to bahut dur ki baat hai.... Sultaan jisko chahe us se kismat waali aur koi nahi.... Aur tum aise insaan pe Dhokebazi ka ilzaam laga rahi ho.... Mujhe bhi to batao Sultaan ne tujhe kab aur kya dhoka diya hai....
Ruhi ki baat sun ke Zoya khamosh si ho jaati hai.... Uske paas Ruhi ke sawaal ka koi jawaab nahi hai.... Ruhi ne galat bhi to nahi kaha.... Sultaan ne uske sath galat karna to dur galat nazar se bhi use ya uski Beheno ko nahi dekha.... Balki usne to hamesha unki madat hi ki hai.... Pehle Gundon se uski aur uski behen ki izzat bachayi phir unhe rehne ko aalishan ghar diya.... Bina kisi Certificates ke use Itni badi job aur Salary di... Uski behno ka bade College me admission karwaya.... Unki har khushi ka khayaal rakha.... Sath hi is baat ka bhi khaas khayaal rakha ki aage chal ke unhe koi takleef na ho.... Aur badle me use kya mila.... Zalalat.... Dhokebaz hone ka ilzaam.... Itna karne ke baad bhi Zoya ne kabhi bhi Sultaan pe bharosa nahi kiya.... Ek pal ke liye bhi nahi....
Jab poori baat Zoya ko samajh me aati hai to Sharm se uski aakhen jhuk jaati hain.... Udki aankhon se pachtave ke aansu behne lagte hain... Is se pehle ki wo Sultaan se maafi maangti Sultaan behad gusse me us se kehta hai....
Sultaan : Thak gaya hoon main tumhare is shakki pan se.... Bahut bardasht kar liya maine.... Ab aur nahi.... Ab se tum apne raste aur main apne raste.... Aaj se balki abhi se main tumhe nahi jaanta....
Ruhi Gusse me : Sultaan abhi ke abhi is kameeni ehsaan faramosh ko job se nikaal do....
Sultaan : Nahi.....
Ruhi : Nahi... Kyun nahi....?
Sultaan : Wo is liye kyun ki agar maine ise job se nikala to iski dono masoom aur nirdosh beheno pe bhi iska asar padega.... Is sab me un dono ki koi galti nahi hai.... Main nahi chahta ki iske kiye ki saza un masoomo ko bhugatni pade.... Ise yahin rehne do bas aaj ke baad se ye mere liye ajnabi hai....
Ab chalo shaam ho gayi hai hum ko ghar chalna chahiye....
Ye keh ke Sultaan Zoya ko wahin chor ke Zara aur Ruhi ko sath le ke ghar ki taraf chal deta hai....
Ghar pahunch ke wo apni har ek diwaani se milta hai sab ke sath pyar bhara kuch lamhe guzarne ke baad wo kitchen me jaa ke ek Plate me Khana le ke Sona ke room ki taraf chal deta hai.... Under ka nazara dekh ke uske hosh udd jaate hain....Wo foran khane ki Plate ko Table pe rakh ke Sona ki taraf daud jaata hai....