UPDATE 32
Recap -
ME:
Par...par...Ok aur ye RAKA kon he jiske bare me aap jikr kar rhe the
RANDHIR AHLAWAT:
RAKA ek insan rupi raksas he, par uske yha aane ka kya karan he ye ham nahi jante, par jo bhi ho RAKA ke aane ka matlab he tabhai.
(thodi dhemi aur sehmi awaz me usne bola)
Isliye Raz ham chate he tum hmare kan bano club ke ander, aur jaise hum direct kare waise karte jana, yehi rasta he i jang ko jeetne ka
Mene hame me apni gardan hila di kyuki ab mere pas koi option nahi tha, kyuki meri kismat ab us club ke saat jud chuki thi Aanchal ke madhyam se. Kya hame ise zada aage badhna chahiye ya nahi par meri samaj me kuch nhi aa rha
Ab aage -
Airport se ghar ki aur jati hui cab me apne apne haath bar bani us stylish watch ko dekh rha tha jo Randhir ne mujhe di thi contact me rehne ke liye. Uske anusar Raka ke idher aane se phele-phele hame mission ko complete karna tha nahi to iska idea unhe bhi he ki fir situation kaisi hogi.
Raat kareen 1:30 bje me apne room par poncha, phele socha apne aane ki suchna Aanchal ya Niti ko de deta hu par fir socha wo dono club me hongi is waqt to subha hi mulakat karunga unse, in sab ghatnakarm ke beech kuch dino se theek se neend bhi nahi aai thi to me bistar par padte hi chit ho gya, subha meri aankh apne pairo par hoti hulchul se khuli, aalsi aankho se mene dekha to Aanchal mere jute nikal rhi he
ME:
Are Aanchu ye kya kar rhi he me kar lunga ye sab
(apne pair use dur kheechte hue mene bola)
Par usne apne hotho par ungli rakhkar chup rehne ka ishara kiya aur mere pair fir se aage ko khhech kar jute utarne lagi, me uski is harkat par bas halka ka muskura diya, kyuki mujhe us waqt wo din yaad aa gye jab me school se aata tha aur jute samet dopher ko so jata tha, tab Aanchal chup-chap room me aati aur mere jute utar deti.
AANCHAL:
Tune apne aane ka message kyu nahi diya?
(uske swal ne meri yado ki shrankhla todi)
ME:
Mene socha tu club me hongi isliye disturb nhi karna chata tha
AANCHAL:
Acha chal abhi tu aaram kar subha baat karte he
Mene bhar dekha to abhi bhi andhera tha, isliye mene uski baat mante hue hami me gardan hila di, usne muskura kar meri aur dekha aur wapas mudkar jane lgi, me use jate hue dekh rha tha aur soch rha tha ki bechari Aanchu bina kisi galti ke aese janjal me fas gyi he, jiska use ilm bhi nahi, me bistar par leta apni is yatra ke baare ke bare me soch rha tha ki mujhe kitna kuch nya pta lga he, shesa mujhe Randhir duara dikhaye gye us map ki yaad aai, jise mene Goa aane se phele ache se yaad karliya tha, mene ghadi me time dekha to 3 :30 ka waqt tha, Aanchal ka chera dekh lene se jis thakan ne mere jism par kabza kra hua tha wo shesa ud gyi aur me vichar ko confirm karne ke liye, bike lekar bhar chal pda Raat ko sunsaniyat ne ghera hua tha aur me apni bike khali sadko par dodata hua, us gahah ki aur ja rha tha jise mene map me dekha tha, mene apni bike us sadak ki aur modi jo club ki aur jati thi, par me usper aage na badhta hua, bike ko rokar jhadiyo me chupa diya aur nokili jhadiyo se hota hua us jungle numa ilake ko par karne lga, kareen 20 minute chalne ke baad mere samne ek gufa numa dhacha tha jise aahe badi-badi jhadiya khadi thi, me dhyan purvak jhadiya hatayi aur torch se ander jhaka to wo wkai me ek gufa thi, jisme gup andhera tha aur keet-pataonge ki aawazw aa rhi thi, jo us vatavaran ko bhayanak bna rhi thi, par is waqt mere liye darna mna tha kyuki meri sabse keemti cheez daav par thi, to me aage badh chala, gufa ki diwaro se paani ris rha tha jise unpar kai ug gai thi, me himat sadhe aage badhta rha, thoda aage chalne ke baad, gufa band maul pdi, par thodi khooz been par pta chala, ki wo prakratik roop se nahi balki maanvi kriyao se band ki gyi he, mene paas pdi lakdi se un pathro ko hatane ki kosis ki jisne gifa ko band kiya hua tha, thoda sangarsh karne par me kuch pathro ko hatane me kamyam ho gya jise usme itni jagah ban gyi ki me reng kar use par kar saku, me jyo-tyo us cheed ko par kiya ab, gufa thodi aur bhayanak ho chali thi, diwar par kai ki aur moti parat dikh rhi thi, keedo ki awaaz mere kadmo ki awaaz ki tuk-bandi bandhe hue thi, me thoda aur aage badha aur mujhe apne samne jang khai seedhiya dikhai di, jise ye confirm ho gya ki ye gufa prakartik nhi balki bnai hui he, shayad protugals ne, kher me us jang khai seedhiyo par chadne lga, kar kadam ke saat seedhiya chu-chu ka rhi thi, seedhiyo ke akhir me ek lohe ka darwaza tha, jo seedhiyo se ek dum viprit nya malum hota tha, jo azeeb bat thi, mene handle ghuma kar dekha to use locked paya, abhi me in prayatan me lga hi hua tha ki mujhe halki-halki awaaz aai, jaise koi gana ga rha ho, me dum sadhe darwaze se kaam lgakar dhyanse sune lga, to wakai me koi gana ga rha tha, jo azeeb aur drawana dono tha, bhala, ise sunsan jagah, koi gana kyu gayega, me in vicharo me khoya hua hi tha ki, ander se chal-kadmi ki aawaze aane lgi, me aur dhyan se kaan lgakar sune ki kosis karne lga, itna me mera pair ek chote pather se takraya aur aur pather, lohe ki seedhiyo par aawaz karte hue neche ja gira, aur achanak chalne ki aawaz aana band ho gyi, jo koi bhi ander tha wo ruk gya, shesa mujhe aaesa malum hua mano koi bhanak cheez mere bilkul paas khadi ho, darwaze ke bilkul pas, ek anzane se bhe ne mujhe gher liya, mathe se paseene ki bunde tapakne lgi, samne dekha to darwaze ki size me bhi diwaro par lgi kai, peenghelne lgi, mene waha se bhagna chaha par kamyab na hua, kyuki mera haat darwaze ke handle par jam gya tha, pura jor lgane par bhi wo nahi htha, mano kisi ne usa pakad liya ho, mera dar se bura haal tha, "hihi" kisi se hane ki awaaz aai, darwaze ke us par se aur shesa mera haat aazad ho gya, mene aao dekha na taav wha se sar par pair rakhkar bhagna shuru kiya, aur tabhi thama jab me apni bike ke paas ponch gya, sanse aesi chadhi hui thi mano hazaro meel bhaga hua, me jaldi se bike par betha aur use wha se doda diya, aur samundr kinare jaker roka aur neeche ret par beth gya, mere haal abhi tak acha nhi tha, mujhe dar phele bhi lga tha, par jo mene aaj mehsus kiy use btane ke liye mere pas shabd nhi the, mene apni nazar us haat ki aur kiya jo darwaze par tha aur meri halat kharab ho gyi, kyuki meri klaiyo par kisi shakhsh ki giraft ke neeshan the, mera dimag chakra gya, ki akhir darwaze ke peeche aesi konsi bla he jo aesi takat rakhti he bina pakde hi hato par neeshan dal diye, aaj me Randhir ki btai hui bato par yakeen ho gya ki club me wakia me koi khatarnak cheez chupai gyi he, balki wo ceez nhi koi insan se jiske paas behisab takat he, ho no ho Raka ise cheez ke liye aa rha he, mujhe ab jald-se-jald Aanchal ko yha se le jna hoga kisi bhi halat me kyuki ab yha rehna na uske liye aacha he na mere liye, kyuki insano se ladna alag baat he par ab cheeze manvi takto se uper uthti dikh rhi thi.
Kher jab me thoda theek hua to me wapas ghar ki aur chal diya, me kamre me ander dakhil hua ji tha ki, Niti wha aa gi
NITI:
Aur darling kaisa he, aane ki info bhi hi di
ME:
Bas yar socha tum log club me honge, kyu khamakha disturb kru
(mazakya lehze mene bola)
Thodi der hame yu hi baate hoti rhi, fir Niti chair par beth gyi aur uske chere par gambhirta thi
ME:
Kya hua tu itna serious kyu ho gyi?
NITI:
Raj tere jane ke baad yha ek issue ho gya?
ME:
Kya?
(chintit hoke mene pucha)
NITI:
Wo he na harami jonny, kal uske do chele ko mene bat karte suna, wo..wo log Aanchal ke saat..jonny ki madad se...kuch karna chate he
(jhijak se usne bola)
ME:
Kya matlab?
(mera lehza ek dum sard ho gya)
NITI:
Kal me kisi kaam se club ke peeche wali side jha jonny ka room he udher gyi, to wo log jonny se Aanchal ke bare me kuch baat ka rhe the, mene dhyan se suna to pta lga wo uske saat kuch glat karna chate he, mujhe bahut sar lag rha he Raj, isliye kal se mene use ek pal ke liye bhi akela nhi chooda
(chintit hote hue usne bola)
Mene uske kandhe par haat rakhkar use taseeli di
ME:
Tu chinta na kar, me aa gya hu na me dekh lunga un logo ko, wo log mere rehte kuch nhi kar payenge
NITI:
Raj ab mahool bahut bigad gya he, isliye tu jald se jald Aanchal ko le ja yha se, agar Aanchal se saat kuch ulta-seedha ho gya to me wo sadme sehan nhi kar paungi
(ye bolte hue uski aankhi dab-dba gyi)
Kitni sachi ladki thi Niti, dusro ki kushiyo me apni kushiyo ko talashti thi aur dukh me dukh ko, usne bas ek baat ki zid lga rakhi thi, Aanchal ko leza, Aanchal ko leza, ek bar bhi ye nahi bola mujhe bhi le chal
ME:
Niti Aanchal ko to me le jaunga par tera kya?
(gambhir hoker mene pucha)
NITI:
Mera kya, mera to jeevan wahi katna he, to isliye me zada sochti nhi is bare me...hihi
(ek jhuti hasi usne hasi)
Mene uski thodi pakadkar use chere ko apni aur kiya aur uski aankho me jhaka
ME:
Niti ek baat sach sach bataegi?
NITI:
Hmm
ME:
Tu akhir yha se kyu nahi jana chati?, kya karan he tujhe bahar ki duniya se itni nafrat he
Niti kuch waqt meri aankho me dekhti rhi aur fir chup-chap khadi ho gyi aur baha chat par chali gyi, suraj ne dur shitij par ugna shuru kiya tha, uski dhemi-dhemi roshi ne kesari rang aasman me bekhera hua tha, me bhi Niti ke side me aaker khada ho gya
NITI:
Raj mujhe nhi pta mere maa-baap kon he, jab hosh sambhala, to apne aap ko ek anath ashram me paya, ashram ki un galiyaro me me bhi hui, mera bhavishye kya hoga uska mujhe kuch idea nahi tha, aesa hi ek din wha ek nya ladka aaya, lagbhag meri hi age ka, us waqt me koi 11 class me thi, na jane kaise par hum dono ko ek dusre se pyaar ho gya, aese hi ek rat jab hum dono sab ke so jane ke baad, chupkar chat par milte the, usne mujhe baher ki duniya ke sunhere sapne dikhane shuru kiya, jisme me aur wo aur hmara ek khushal snsar, mene bhi uski bato me aaker sapne dekhna shuru kiya, aur fir ek roz hum dono ashram se bhagg gye, aur yha Goa me aa gye, usne bola yha uska ek dost rehta he jo hmari madad karega settle hone me, hum uske dost ke paas aaye, aur usne hmari khani apne dost ko btai, shuruwat se hi uske dost ki nazar mujpar sahi nhi thi, kher Sahil ko ek factory me kam mil gya, kyuki abhi hum balig nahi hue the to ham shadi nahi kar sakte the, par fir bhi hamne apne sansar ko sawarna shuru kiya, is umeed me ki ki hum jald balig honge, aur is khushal jeevan vyatit karenge, sab kuch acha tha fir na jane hmare haste khelte sansar par ksiki nazar lag gyi, ek roz mujhe Sahil ke dost k phone aaya, bolo ki Sahil ko pollice uthakar le gyi he, me dodti hui thane ponchi, wha jaker malum pda ki usper ek maijdoor ki hatya ka ilzam lga he aur fansi paki he, ye sunkar mere sar par mano phaad tut pda ho, mene Sahil se baat ki to uspe bola usne kisi ka khoon nahi kiya ye sab log milker use jhuta fsa rhe he, mene inspector ke pair pakde hi unlogo ko kuch glat fehmi hui he par usne meri ek na suni, mene Sahil ke dost ke saath factory ke malik se bhi mili aur unse haath jod kar guzaris ki, unhe kuch glat fehmi hui he mere Sahil ne kisi ka khoon nahi kiya, par meri madad karne ke badle usne mujhe apne saath ek raat guzarne ka prastav diya aur bola iske baad wo Sahil ko reha kar denge, me samj gyi unka ye sara shadyantra mera jism pana he, par mene unka wo prastav nahi mana aur malik ke muh par thook kar wapas aaya gyi, agli roz jab me hwalat ponchi to sahil ki halat behad nazuk thi, u logo ne use itna mara tha ki use theek se bola bhi nhi ja rha tha, me use jise mene pehli or shayad akiri mohebat ki thi kaise aesi halat me dekh leti, isliye mene apne pyaar ke liye un darindo se apne jsim ka soda kar liya, us raat joro ki barish ho rhi thi, mere hami bharte hi us kamine inspector ne factory ke malik ko phone kar diya aur wo harami, Sahil ke dost ke saat wha aa gya, use udher dekhkar me chook gyi, to kamina bola "bhabhi ji aese choko mat ye sara kara dhara mera hi he", mujhe usper itna gusa aaya mano abhi us haramzade ko kacha chaba jau, par me mazboor thi, kher un darindo ne us raat mere jism ko lutkar meri rooh ko chalni kar diya, aur agli roz unhone Sahil ko reha kar diya, Sahil ne mujse kuch na pucha shayad use aabas ho gya tha ki uski rehai ke liye mene kya keemat chukai he, wo din bhar chup-chup rehta, mere kuch bolne par hi jwab deta nahi to chup-chap betha rehta, kyuki Sahil ab kaam par nahi ja sakta tha to mene, gharo me jhadu-ponche ka kaam thaam liya, ek din jab me kaam se wapas aai, to Sahil ko fade se latke, pankhe par jhulta paya, ek pal meri duniya ujad gyi thi, Sahil ke maut ki zimedar khani na khaki me khud ko manti hu, shayad use ye bilkul gwara nahi tha ki uski mehbooba uske lliye apna jism duso ko sonpe, kher Sahil ke chale jane ke bad mere liye kuch nahi bacha tha, to ek roz mujhe kisi ke jariye is club ka pta lga aur tab se me idger hi hu. Tune sahi kha mujhe mujhe ab bahar ki duniya me koi ruchi nahi he, isliye me es club se nahi jana chati, par me ye zarur chati hu tu Aanchal ko yha se le ga, taki jo kuch mere saath hua wo tum dono ke saath na ho
(thodi dabai awaaz me usne bola)
Mene uske kandhe par haath rakhkar use hosla diya, par fir mujhe kuch yaad aaya
ME:
Tere kehne ka kya matlab he jo kuch tere saath hua wo hmare saath na ho
(uski is baat par me thoda chonka)
NITI:
(meri aur halka muskurai)
Tu kya smajta mujhe kuch nahi dikhta, jis trah tu Aanchal ko dekhta he wo aesa bilkul nahi he jaise ek bhai apni behen ko dekhta he
Niti ki is baat se me bilkul chonk gya, aur me smaj gya uske kehna ka kya matlab he
ME:
Nhi nhi Niti tujhe kuch glat..
Mere bolne se phele hi usne apna hath mere hotho par rakh diya
NITI:
Shh...mujhe safai pesh karne ki koi zarurat nhi, mujhe tum dono ke is rishte se koi aetraz nhi he, me tum dono ke liye khush hu, kyuki kisi bhi rishte me jo sabse zaruri cheez he wo he pyaar, jo tum dono ke beech bahut he, isliye tu tension na le, aur use jald se jald safely yha se nikalne ki soch
(ye bolker wo jane ke liye mud gyi)
Me Niti ke is khulase he stabd tha aut ander hi ander thoda khush bhi kyuki jo feeling me smaj nahi pa rha tha, use aaj Niti ne shadb dekar meri duvidha dur kar di, ha mere yu Aanchal ke paas aane par roohani sukun milna Pyaar hi to tha uske liye, ye vichar aate hi mere hotho par ek halki smile aa gyi, par fir mujhe Niti ki dusri baat ne thoda jhinjhora
ME:
Niti tera khene ka kya matlab tha ki "tum dono me pyaar bahut he"
(swaliya nazro se mene uski aur dekha)
NITI:
Are tu budhu ka budhu hi rahega, kya tune Aanchal ki nazro ko nahi padha, usme tere liye bas pyaar hi pyaar nzar aata he
(aur mujhe aankh mar kar wo dewar ke par chali gyi)
Niti to chali gyi aur chood gyi mere hotho par ek pyari si muskurahat, ha mujhe pyaar ho gya apni behen se, jo aaj se nahi bachpan se tha....
To be contiued....
PS: XF ke nye interface ki wjah se purani color coding ab possible nhi he, to agar kisi ko ise issue he to un logo se me muafi chaunga.