UPDATE 33
Recap -
ME:
Niti tera khene ka kya matlab tha ki "tum dono me pyaar bahut he"
(swaliya nazro se mene uski aur dekha)
NITI:
Are tu budhu ka budhu hi rahega, kya tune Aanchal ki nazro ko nahi padha, usme tere liye bas pyaar hi pyaar nzar aata he
(mujhe aankh mar kar wo dewar ke par chali gyi)
Niti to chali gyi aur chood gyi mere hotho par ek pyari si muskurahat, ha mujhe pyaar ho gya apni behen se, jo aaj se nahi bachpan se tha....
Ab aage -
Naste ke waqt me chat ke raste dusri aur chala gya, Nasta Mehreen lga rhi thi
ME:
Mehreen, tumne contract to sign nhi kiya abhi tak?
MEHREEN:
Nahi tumne mna kiya tha to abhi tak nahi kiya, lekin aaj last date he to shayad karna padega
(udasi bhare lehze me usne bola)
ME:
Koi zarurat nahi me abi thodi der me token money ka intzam karta hu, shaam ko wo unhe de dena aur is club se picha chudale
(gambhirts se mene bola)
Baki dono ladkiya bhi meri aur mehreen ki bato ko sunkar udher aa gai
AANCHAL:
Ye contract aur paiso ki kya baat ho rhi he raj
Mene Aanchal aur Niti ki aur dekha aur unhe dinning table par bethne ko kha, dono ladkiya beth gyi, aur mene unhe Mehreen aur mere beech hui bato ko btaya, meri bat ko sunkar Aanchal seat se khadi hui aur Mehreen ke bazu me jaker beth gyi
AANCHAL:
Raj sahi bol rha he Mehreen, tum contract sign mat kar, aur tujhe to ulta khush hona chahiye tujhe inte dino baad apne ghar jane ka moka mil rha he aur tu muh latkaye beethi, ja aur ek nai zindagi shuru kar
(uske balo ke haath firakar Aanchal ne bola)
NITI:
Aur nahi to kya yha tera kya future he kuch nhi, jaker apne aur family ko ek naya aur acha future de, tu jo aur jha bhi kaam karegi wo yha se to acha hi hoga
Mehreen ne Aanchal aur fir Niti aur akhir me meri aur dekha aur uski aankhe nam ho gyi, aur usne Aanchal ko pakadkar rona shuru kar diya, Niti apni seat se uthkar uske paas aai
NITI:
Are tu roti kyu he ye to khusi ki baat se
(Aanchal ke gale lgi Mehreen ke balo me usne haat firate hue bola)
Thodi der baad jab Mehreen shant hui, aur Aanchal ne rumal se uske ansu ponche
AANCHAL:
Bas ab aur mat rona, dekh tera sara makeup kharab ho gya
(mazakiya lehze me usne bola)
MEHREEN:
Me isliye nhi ro rhi ki mujhe jane ki khushi nahi he, isliye ro rhi hu, ki tum jaise dosto ko chood kar jana acha nhi lag rha
(dab-dabai awaz me boli)
NITI:
Are to janeman hum kya ja rhe he, yhi he na, roz phone par bate karti rehna, timing to tujhe malum hi he hmari...hihihi
Niti ki bat sunkar usne uske kandhe par ek ghusa mara
MEHREEN:
wo sab to theek se par ye(meri aur shara karke) itne paise layega kha se, isne nahi btaya
Uski baat par teeno ladkiyo ne meri aur dekha
ME:
Uski chinta tu na kar wo intzam karna mera kaam he, tu apni packing shuru kar de, kal ki hum teri rawangi kar denge, waise bhi ghar me teri wajah se kafi khane ka kharcha hota he...hahaha
Meri baat sunkar Mehreen phele muskurai aur fir jab use mere khene ka matlab smaj aaya aur mere peeche dodne lgi
MEHREEN:
Acha bachu tu khena chata he me bahut khati hu, ruk abhi btati hu tujhe
Mehreen mere peeche dod rhi thi aur me use bachne ke liye drawing room ke chakar kaat rha tha, baki dono ladkiya hame dekh kar has rhi thi, kitni vichitra baat thi kamre me mojood char logo ke jeevan me itni samasyo ke baad bhi khusi choti-choti bato ko celebrate karna, thodi der bad me khud hi ruk gya, aur Mehreen ne mujhe pakad liya, phele to usne meri kamar me do ghuse mare, aur fir mere gale lag gyi
MEHREEN:
Thank you Raj mere liye itna sabkuch karne ke liye, ye ahsaan me kabhi nhi bhulungi
(uski aankho me ek bar fir se paani aa gya)
Mene uski aankho se pani pucha
ME:
Chup mene koi ahsaan nhi kiya sirf dosti ka farz nhibhaya he
(aur mene uske mathe par ek chota sa chumban de diye)
Usne apni aankhe uthakar meri aur ek pyari si smile di, mene samne dekha to baki dono ladjkiya bhi meri aur mehreen ki aur dekhakar muskura rhi thi, kher fir hum logo ne nashta kiya aur naste ke baad mene Niti ke room me computer se pta karne lga, ki akhir kon he jo cryptocurrency ko physical currency me tabdil kar denga, kafi dhundne par bhi mujhe kuch nhi mila, to mene socha shyad is mamle me Smile meri madad kar sakta he, to me bike lekar Smile ki kholi ki aur chal pda
SMILE:
Kya miya kha gayab the teen dino se
(darwaza kholte hi usne swal dag diya)
Us waqt mujhe yaad aaya me jane se phele Smile ko btana hi bhul gya
ME:
Chacha kisi kaam se bhara gya tha, kl raat hi aaya hu
SMILE:
Chalo koi baat nahi par aage se niyam mat todna nhi to sza dunga...hahaha...kho is waqt kaise aana hua
(mujhe pani dete hue usne bola)
ME:
Mujhe ye jana he kya aapki jankari me koi aesa aadmi he yha jo crypto-currency to physical currency me transfer kar sake
Meri baat sunkar Smile ne meri aur dekha aankhe thodi si band karke
SMILE:
He to par tumhe iski kya zarurat aan padi
ME:
asal me chacha mere ek dost ko piise chahiye to isliye, mujhe paise convert krane he
Meri baat sunkar Smile kuch sochne lga
SMILE:
Ek admi he to par he sala pura chalu, use deal aankh kholke karni hogi
ME:
Koi baat nahi chacha me kar lunga, aap uska pta btao
SMILE:
Are uska ada kafi khufiya he aur wha sirf uski jaan-phechan ke log ja sakte he, agar tujhe zada zarurat he to me chalta hu tere saath
Me Smile ko apne saat nhi le jana chata tha, par ab koi rasta bhi nahi tha to me razi ho gya, karib 40 minute ke baad hum ek thekhane ke gate ke samne khade the, Smile ne gate par knock kiya, jo gate ke uper lgi slit ko ek admi ne slide kiya, aur hmare aane ka karan pucha, Smile ne use apna introduction diya, to us admi ne gate khole diya.
Ander ek lambe se gliyare ko parr karte hue jiske dono aur log computer par bethe kuch kar rhe the, sara ilaka red and green light s jagmgarha rha, galiyare ke ant me do table thi jisper, do log paise to machino se gin rhe tha, us admi ne hame udher rukne ko bola, aur ek cabin me chala gya, thodi der ke bad ek blue suit phene ladka aaya
LADKA:
Oh ho Smile miya aaj chand kis aur se nikal aaya, ki aapke darshan hue
(usne Smile ko gle lgakar bola)
SMILE:
Bas Rahim aaj kuch kaam aan pda to aana pda
RAHIM:
Btaye bhai kya kar sakta hu
(hame cabin me lejate hue wo bola)
SMILE:
Asal me is bache ko crypto-currency ko bdalwana he, to socha tumse bheter kon so sakta he aese kamo he...hahaha
RAHIM:
Ye to sahi socha aapne
(meri aur dekhakar)
Dekho Mr.
ME:
Raj
RAHIM:
Dekho Mr. Raj ham convert to kar denge, par uske kuch charges lagte he, hum minimum 50 lakh covert karte he, aur conversion charges 5% hote he, kyuki tum Smile bhai ke saath ho to tumhe 2% is concession de deta hu, OK
ME:
Ji OK
RAHIM:
To bolo kitne convert krane he
ME:
Ji 10 crore
meri baat sunkar Smile ko dhaska lag gya aur pani uske kapdo par gir gya
SMILE:
Are yaar ye kya ho gya, lagta he pani sans ki nali ke chala gya, bathroom kidhar he
(nervous muskurahat ke saath usne bola)
RAHIM:
Idher he bhai
Aur Smile mujhe teerchi nazar se dekhta hua bathroom me chala gya
RAHIM:
Ok to acha...
(use smaj nahi aa rha tha kya bole)
Theek he
(usne ek ladke ko bulaya)
Ye Mr. Raj he ye 10 crore rupees convert krana chate he, inse paise le lo dekh ke aur inhe apna commission kat kar paise de dena
Me us ladke ke saat bhar chal gya, usne mujhe mere username aur password manga, jab wo sure ho gya ki sab kuch authentic he, to usne mujhe lagbhag 9 crore 90 lakh rupe de diye suitcase me, paise lekar me wapas cabin me aa gya aur fir mene aur Smile ne Rahim se alvida li aur hum log bhar aa gye, kyuki hum log meri bike se aaye theaur paise bhi zada the to mene Smile ko bike chalane ko bola, aur paise lekar peeche beth gya, Smile ne bina koi sal kiye bike chalna shuru kiya, mene use bola tha ki mujhe ghar chod de aur baki lekar chala jaye me shaam me bike le lunga use, par ghar ki jagah wo mujhe apni kholi ki aue le jane lga
ME:
Are Smile chacha mene to ghar ka bola tha aap kholi ki aur kyo ja rhe ho
Usne mere swal ka koi jwab na diya, aur bike chalata rha, thodi der bad hum log uski kholi ke ander the, usne darwaja band karliya, jo azeeb tha kyuki Smile kabhi bhi kholi ka darwaza band nhi karta tha
ME:
Kya baat he chacha, aap to kabhi bhi darwaza nhi band karte
(serious hoker mene pucha)
SMILE:
bache agar tune kabhi bhi meri thodi si bhi izzar ki he to jo me puchu sach sach btana
(gambhir lehze me bole)
Me smaj to gya tha ki wo kya puchne wala he aur Smile ke jo bhi thode bahur din mene bitaye the ise me itna to smaj gya tha ki, wo admi bura nhi he
ME:
Kya puchne chate ho aap
Smile ne apni kursi khiskai, aur mere pass kar li
SMILE:
Tere pass itne paise kha se aaye
Mene unse paise ka raz sach-sach bta diya, kyuki usmi koi chupane wali baat nhi thi
SMILE:
Aur ye kon dost he jise paise ki zrurat he wo bhi itne?
Unke is swal se me thoda jhizka kyuki me Mehreen ka khusala nahi karna chata tha, meri jhizak ko shatay usne bhi mehsus kar liya tha, Smile ne apna haath mere hath par rakha, mene uski aur dekha to uski aankhe meri ankho me hi gadi thi, jisme mujhe ek bharosa uar viswas nazar aaya, aur mene use Mehreen ki baat bta di, ki wo ek ladki he club me jise dhoke aur uski mazboori se club me kaam karna pad rha he, aur use chudane ke liye hi mujhe paise chahiye the.
Meri baat sunkar Smile ne svikrati me apni gardan hila di, aur fir samne pde glass se pani peene lga
SMILE:
Chal ye to me smaj gya, par ek baat mujhe bilkul sach-sach btana, tujhe meri kasam he
ME:
chacha jo mene abtak aapko btaya wo sach he, to aesi konsi baat puchna chate ho jiske liye apko kasam deni pad rhi he
(thoda mzakiya lehze me bola)
Smile ne mere swal ka koi jwab na diya, aur ek tak meri ankho me dekhta rha
SMILE:
"Raj" mene bahut duniya dekhi he, aadmi ke irade uski harkat se bta deta hu, "tu yha kyu aaya he"?
Smile ne mujse wohi swal puch liye jise me dar rha tha, aur uske jwab ke liye wo kitna atur tha uska andaza uska mujhe "Raj" pukarne se ho gya tha, me thodi der uski ankho me dekhta rha aur fir khada hoker, kholi me bani khidki se bahar dekhne lga, kholi me 5 minute bilkul sanata pasra rha, sirf ghadi ki tik-tik ki awazz a rhi thi
SMILE:
agar koi aesi baat he jise tu apne chacha ko btane me jhizak rha he to jane de, e tujper koi dwab nahi dalna chata
(gambhir hoker bole)
ME:
Chacha us club me meri behen kaam karti he, me use chudane ke liye hi yha aaya hu
(himat samet ka mene bol hi diya)
Mere jwab ke baad Smile ne kuch na pucha aur uske baad mene bhi kuch na bola, fir se ek khamoshi pasar gyi thi wha
SMILE:
Hmm...jabhi me sochu, ki ek aam sa ladka jo dikhne me aur harkato me shareef malum hota he, aesi jagah kaam karne ke liye itna aatur kyu tha
(thodi der baad Smile bola)
Mene uski baat ka koi uter nhi diya, kyuki mujhe ab bhi apne uper yakin nahi aa rha tha ki akhir kaise mene Smile ke samne apna sach kabul liya, kya pta ye club me ya peter kisi se is baare me bol de aur mere pura plan chopat ho jaye
ME:
Chacha kya me aapse ek wada le sakta hu
SMILE:
Ha
ME:
Please aap ye baat kisi se kabhi nahi bologe, nhi to me apni behen ko yha se kabhi nahi le ja sakta
(meri awaz bhari ho gyi thi)
Smile ne meri isthiti ka andaza lga liya wo khada hoker mere paas aaya, aur meri bazu pakadkar, sofe par betha diya
SMILE:
me janta hu tere man me ye bhav honge khi me kisis se teri mukhbiri na kar du, par Tune mujhe chacha kha he, tu me bhi chacha ka farz pura karunga, agar tu itni choti si umer me apni behen ke liye itna khatra mol le sakta he, to me bhi tere chacha hone ke naate teri is ladai me tera saath zarur dunga
(mere sar ko puchkarte hue unhone bola)
Me ye nhi janta me kitna saath de paunga, par jab tab mere is jism me jaan he, tere chacha tere saath khada rahega
Me Smile ki baat sunker uski aur dekha, uski aankho me drada thi, unhone ye baat sirf mera man rakhne ke liye nahi, apni zamir ko sametkar boli thi, mene unki aur dekhakr gardan hila kar unki bato me svikrati dikhlai
SMILE:
Chal ab tujhe ghar chood du, kafi time ho gya, aur tu chinta na kariyo, jo bhi madad chahiye, bejhizak mang liyo
(muskurate hue mere sar par haath fer kar khade ho gye)
Me bhi Smile ke roop me ek naye saathi ko paker dradta se oot-proot tha, na jane kyu ab mujhe visvas hone lga tha, ki Aanchal ko yha se le ja kar rahunga, phele mera viswas ek kalpna matr tha, lekin ab Sandhu, Randhi aur Smile ne us kalpna ko pank de diye the.
Smile ne mujhe ghar ke samne drop kiya aur mujhe apna wada yaad dilakar chala gya, aur me aane wali chutoni ke bare me sochte hue ander aa gya...
To be Continued...