- 340
- 1,995
- 123
Update 101
-------------------------
un logo se kuchh door jhadiyon ke peeche nisha aur ikraam moujood the. par is wakt nisha ke chehare par koi nakab nahi tha. ajju ko yun rota dekh kar nisha ki aankho me bhi aanshu the. jise dekh kar ikram dhire se bola
ikram- appi jab aap par jija ji ka ye kast bardast nahi ho raha hai, to fir baha jakar ek baar unse mil kyun nahi leti????
nisha ne apne aanshu poonche aur boli
nisha- nahi ja sakti bhai.... nahi baat kar sakti unse.... kyun ki agar mai baha chai gai. ya mene unse baat kar li. to fir mai unse door nahi reh paungi. jabki mene unse vada kiya he ki mai unki zindgi se door chali jaungi
ikram- bhaad me jaaye yesha vada.... jo vada sab ke dukh ka karan ho... yese vade ko nibhane ka kya matlab?????
nisha ne ikram ki baat ka koi jabab nahi diya. aur khamosh hi rahi. ikram ne bhi aage kuchh nahi kaha. ye pehali baar to tha nahi. pichhle 3 saalo me uske aur nisah ke bich me is matter par kai baar baat ho chuki thi. kuchh der khamosh rehane ke baad, ikram ne vikash ki taraf ishara kar ke poochha
ikram- ye to vikash he na. wo news reportar!!!! jsise pehale RAW me samil kiya jana tha. par iske drug addict hone ki bajah se nahi liya gaya????
nisha- haan... ye bahi he
ikram- par ye yaha kya kar raha he????
nisha- ye renu ka husband he.
ikram- oh teri.... tabhi aap iski itni inquary kar rahi thi...
nisha- haan.....
ikram- inme se kuchh logo ko to mai janta hun. par baaki log kon kon he.
ikram ki baat sunkar nisha ek ek kar ke sabhi ke baare me batane lagi. aur jab usne mama ji ke bare me bataya to ikram bhadak gaya
ikram- oh to yehi he wo khabish ki aulad, jiski bajah se ye sab hua he???? aaj to mai iska khel hi khatam kar deta hun
itna bolkar ikram ne mama ji par jese hi nisha sadha, nisha ne use rok diya. aur boli
nisha- tum pagal ho gaye ho kya ikram????? mene unhe maaf kar diya he. ab tum bhi unhe maaf kar do. aur apna gussa thook do
ikram- par appi aap yese dogale inshan ko kese maaf kar sakti ho?????
ikram ki baat par nisha kuchh nahi boli aur kuchh der khamosh hi rahi. par fir jab use laga ki ikram bina uske jabab ko sune manne bala nahi he. to wo boli
nisha- thik he mere bhai... mai batati hun, par pehale meri ek baat ka jabab do... agar aaj aur abhi mai tumse kahu, ki tumhare jija ji ki zindgi me keval ek hi ladki reh sakti he. ya to mai, ya fir jiya. to fir tum kya karoge. poori imandari se jabab dena ikram...
ikram kuchh der khamosh raha aur bola
ikram- mai abhi aur isi wakt jiya didi ko goli maar dunga. taaki ye kissa yahi khatam ho jaye.
ikram ki baat sun kar nisha boli
nisha- kyun?????? jiya ko kyun goli maaroge???? usen kya kiya he???? kiya to mene he. mene usse uska pati chhina he. jiya to mujhse pehale tumhare jija ji ki zindgi me aai thi.
ikram- mujhe nahi pata ye sab..... mai bus itna janta hun, ki aap meri behan ho, aur jo bhi inshan meri behan ki khushiyon me badha banega mai use khatam kar dunaga.
ikram ki baat sunkar nisah muskurai aur boli
nisha- fir tumme aur mama ji me kya antar raha ikram???? tum bhi bahi karna chahate ho, jo ki mama ji ne kiya tha. tum apni behan ki khushiyon ki khatir kisi inshan ko maar dena chahate ho. jabki mama ji ne apni beti ki khushiyon ke liye kisi dushre inshan ko maarne ki kosis ki thi. agar is point of view se dekha jaaye, to maam ji kaha galat he. aur agar wo galat he, to fir tum bhi galat ho.
ab ikram ke pass kehane ke liye koi sawd nahi bacha tha, isliye wo khamosh hi raha. nisha ikram ki sthity achchhi tarah se samajh rahi thi. isliye usne bhi baat aage nahi badai aur baat ko palatte huye boli.
nisha- chalo chhodo ye sab... aur ye batao baaki log kaha he?????
ikram- unhe to mene aapke aane se pehale hi head office ke liye rawana kar diya tha.
nisha- good!!!! ye kaam tumne thik kiya. varna unhe mere baare me pata chal hi jata...
nisha ki baat sunkar ikram hanshte huye bola
ikram- haan agar nahi bhi pata chalta, to jija ji jese bawlo ki tarah aapka naam lekar chilla rahe he. usse aapka naam to unhe pata hi chal jata. upar se ye agent 3 hina khan kuchh jyada hi hoshiyaar he. agar use jara bhi sak hota, to wo manoj bhai ko jaroor aapke bare me bata deti.
nisha- wo risk to abhi bhi he....
ikram- matlab????
nisha- matlab ye ki aaj nahi to kal hina ya fir koi aur, monu ko is poore operation ke baare me bata hi dekga. aur ye pata chalte hi, monu samajh jayega ki agent zero aur koi nahi balki mai hi hun.
nisha ki baat sunkar ikram apne sir par ek chapat lagata hua bola
ikram- oh teriii.... mene to ye socha hi nahi.... to ab kya hoga appi....
nisha- pata nahi... mene bhi filhaal is par kuchh socha nahi tha. par ab mujhe sthity thodi gambheer dikhai de rahi he. isliye mai soch rahi hun, kyun na apni powers ka use kar ke apne saare family members ke dimag me se mere yaha aane ki baat bhula dun.
nisha ki baat sunkar ikram kuchh socta hua bola
ikram- kya zoya appi.... jab ghee sidhi ungli se nikal raha he. to ungli tedi karne ki kya jaroorat he.
ab chonkne ki baari nisha ki thi. isi liye wo boli
nisha- matlab?????
ikram- matlab ye appi.... jab hamari raani sahiba he, to aap kyun kast kar rahi ho????
nisha- raani sahiba!!!!! kis ki baat kar rahe ho?
nisha ki baat sunkar ikram muskurata hua bola
ikram- mai queen ki baat kar raha hun appi. ab jab ye operation RAW ke liye un-official hai hi. to fir baaki logo ke liye bhi ise un-official kar hi dete he. hum queen ki sahayta se sabhi agents ke dimag se is operation ki detail mita denge. aur jab hamare kisi agents ko is operation ke baare me pata hi nahi hoga, to wo kisi ko batayega kya????? bese bhi jija ji ke baare me jitna aapne mujhe bataya he, uske hisab se unke dimag se aaj ki ye ghatna mitana aapke liye bhi ashan nahi hoga. ya to wo samajh jayege. ki aap unke dimag se chhed chaad kar rahi ho. ya fir kuchh dino baad unhe ye sab fir se yaad aa jayega. par queen ka prayog kar ke, baaki agents ke saath ye sab karne me koi risk nahi he.
ikram ki baat sunkar nisha kuchh palo thak khamosh rahi, aur fir ikram ki aankho me jhankte huye boli
nisha- kya sach me yahi baat he??? kya tumhe bakai me lagta he ki tumhare jija ji ke dimag se chhed chaad karne ka koi fayda nahi he?????
ikram- haan... yahi baat he... par ek baat aur bhi he, jiski bajah se mene ya kaha
nisha- kya?????
ikram- mai nahi chahata ki aap apni kisi bhi yaad ko jija ji ya fir kisi aur ke dimag se mitaye...
ikram ki baat sunkar nisha ek baar fir khamosh hi rahi. kyun ki ikram jo keh raha tha, wo nisha ikram ki aankho ke jariye jaan chuki thi. nisha kuchh der sochti rahi aur fir boli
nisha- thik he bhai.... mai head office pahunchkar queen ko sabhi agents ke dimag se is operation ko mitane ka aadesh de dungi.
itna bolkar nisha kuchh der khamosh rahi, aur fir baat ko badalte huye boli
nisha- baaki ka saara intjaam ka kya hua????
ikram- yaha bahar jitni bhi laashe bichhi hui he, un sabhi par bomb fit kar diye he. aur form house ke charo taraf bhi bomb fit kar diye he. ek baar ye log yaha se nikal jaaye. to fir hum remote se ek saat sare bomb fod denge. uske baad kisi ko yaha kuchh bhi nahi milega.
ikram ki baat sunkar nisha muskura uthi. par kaha kuchh bhi nahi. par ikram ek baar fir bola
ikram- appi kab tak?????
ikram ki baat sunkar nisha thodi chonk gai aur boli
nisha- matlab???
ikram- matlab ye ki aap kab tak yun hi jija ji se chhipti firogi.... ek na ek din to wo aapko dhund hi lenge...
nisha- tab ki tab dekha jayega...
ikram- kya aap jija ji ko kabhi maaf nahi karogi??????
nisha- are pagal.... mai unse naraj hi kab hui????? aur jab naraj hi nahi hui to maaf karne ka sawal hi nahi uthta.....
ikram- to fir ye duriyan kyun?????
nisha- ye hum sabhi ke liye jaroori he....
ikram- nahi he.... jija ji ki halat dekhi he aapne.... unhone apne aap ko poori tarah se nashe me dubo liye he.... tawah kar liya he khud ko....
nisha- tum sahi kehate ho bhai.... mujhe lagta he he ki ab wakt aa gaya he ki unhe apni galti ka yehsash ho.
nisha ki baat sunkar ikram ke chehare par muskaan aa gai, aur wo bola
ikram- aapka matlab he ki aap unse milne baali he???????
ikram ki is khushi ko nisha ne bina dekhe ki khatam karte huye kaha
nisha- nahi.....
nisha ki baat sunkar ikram hairaan reh gaya, aur bola
ikram- to fir....
nisha- mene kuchh socha he unke liye...
ikram- kya??????
nisha- unka mind meri taraf se kisi dushri taraf divert karna hoga....
ikram- ye asambhav he....
nisha- shayad nahi he... mai ye kar sakti hun...
ikram- aur bhala zoya appi aap ye kaam kese karne baali ho?????
ikram ki bnaat sunkar nisha kuchh pal khamosh rahi, aur fir ikram ki aankho me dekhte huye boli
nisha- operation chakraview!!!! mai unhe operation chakraview par bhejne baali hun.
nisha ki baat sunkar ikram hairaan reh gaya aur bola
ikram- par operation chakraview to......
ikram ki baat poori bhi nahi hui thi, ki tabhi nisha ne use bich me hi rok diya. aur boli
nisha- mene faishla kar liya he.... ab iske alawa aur koi rasta nahi he. unhe ye samjhane ka samay aa gaya he, ki unhe RAW me kyun samil kiya gaya tha. aur is duniya me apne gum ko sarab ke nashe se bhulane ke alawa aur bhi kai raste he....
nisha ki baat sun kar ek baar fir ikram ke pass kehane ke liye kuchh bhi nahi tha. isliye usne is baar bhi khamosh rehana hi theek samjha. ikram ke yun khamosh hote hi nisha bhi samne ki taraf dekhne lagi, jaha maa ajju se kuchh keha rahi thi
maa- beta chal ghar chal.... ab yaha kuchh bhi nahi he.....
maa ki baat sun kar ajju ne koi reaction to nahi diya, par wo khada ho gaya. iske baad baaki sabhi log baha khadi naydu aur baaki logo ki gadiyon se bapis ghar ki taraf chal diye. unhone kul do gaadiyo ka use kiya tha. pehali gaadi me ajju, jiya, renu vikash, monu, divya, ravi bhai aur manju the. jabki dushri gaadi me pro. narayan, maa, uncle, raghu, simmi, manish, sabana, manish bhai ka beta, radha aur lucky the
--------------------------------------------------
abhi wo log kuchh hi door gaye the ki achanak unhe ek ke baad ek, kai dhamako ki awaje sunai dene lagi. jinhe sunkar monu bol pada
monu- shit yaar..... aakhri saboot bhi khatam ho gaya naydu ke khilaaf...
monu ki baat par ajju ne to koi reaction nahi diya, par vikash bol pada
vikash- par nisha mem ne ye sara intjaam kiya kese hoga????
vikash ki baat sunkar renu boli
renu- matalb?????
vikash- matalab ye ki jab nisha mem apna sab kuchh jiya didi ke naam kar chuki he. to fir ye sab karne ke liye itne saare pese wo kaha se laai hongi. jabki aaj tak unhone na to NGO aur na hi news chanel ke account se ek bhi pesa nikala he. pichhle 3 saalo se wo apna kharcha kese chala rahi he.
vikash ki baat ka kisi ke pass koi jabab nahi tha, isliye sabhi log filhaal khamosh hi rahe. kuchh der ki khamoshi ke baad achanak se jiya bol padi
jiya- actually me vikash tum sahi keh rahe ho....
ab chonkne ki baari ajju aur monu ki thi, isliye monu bola
monu- matalb?????
jiya- matlab ye ki abhi tak hum nisha di ko galat tareeke se dhundte aaye he. ab hame unhe dhundne ka tareeka change karna hoga
monu- mujhe abhi bhi kuchh samajh me nahi aaya he jiya
jiya- are duffer!!!! sidhi si to baat he.... ab tak hum nisha di ko khojte aaye he. aur nisha di bhi ye janti he ki hum unhe dhund rahe he. isliye wo apne saare nishan hum se chhipa deti he. par ab hum indirect unhe dhundege....
jiya ki baat khatam hote hi monu ek baar fir bola
monu- mujhe ab bhi kuchh smajha me nahi aaya....
jiya- pata nahi tum IPS kese ban gaye???? are sidhi si to baat he... jesa vikash ne kaha jara socho ki nisha di pichhle 3 saalo se aakhir kar kya rahi thi....
monu- hum se chhipne ki kosis aur kya????
jiya- par is sab me bhi to unhe peso ki jaroorat padi hi hogi... aur fir vakai me wo pichhle 3 saalo se apna kharcha kese chala rahi hongi. wo bhi tab jab unhone na to ngo ke account se aur na hi news chanel ke account se koi transection kiya he.
monu- ho sakta he unhone koi job kar li ho, ya fir koi chhota mota busness suru kiya ho
jiya- to fir hame nisha di ko khojne ki jagah, unke busness ko, ya unki job location ko khojna chahiye... nisha di ko iske baare me pata bhi nahi chalega. aur jab pata chalega tab tak hum unke saamne hogne
monu- baat to sahi he..... par itna ashan nahi he ye sab... hame kese pata chalega unke baare me
jiya- are duffer....
aur fir achanak divya ko dekh kar jiya khamosh ho gai, aur baat ko palat kar boli
jiya- shri maan manoj sir ji... sidhi si baat he ki nish di financial problam ko door karne ke liye kuchh na kuchh to kar hi rahi hongi. aur iske liye unhone koi na koi bank account bhi khulwa rakkha hoga. unke aadhar card, PAN card ya fir dushri kisi ID ki sahayta se hum unke new bank account ke baare me pata kar sakte he. aur agar unke new bank account ka pata chal gaya, to fir nisha di tak bhi ashani se pahunch sakte he.....
jiya ki baat khatam hote hi monu bol pada
monu- are wah!!!! ye to ho sakta he... mene to is tarah se socha hi nahi....
monu ki baat sunkar jiya boli
jiya- tabhi to mai kehati hun... pata nahi tum kese IPS ban gaye...
nisha ki baat sunkar monu thoda serious hote huye bola
monu- IPS to mai apni mehanat aur kabiliyat se hi bana hu jiya... par ye mamla koi aam police case nahi he. baliki mera pesonal case he. is mamle ke saath meri feelings bhi judi hui he. mai kisi criminal ko nahi khoj raha, balki apni behan ko khoj raha hun.... aur jab mamla family ka ho, to bade se bada police officer bhi fail ho hi jata he...
monu ki baat ka kisi ne bhi koi jabab nahi diya. kyun ki sabhi log jante the ki monu sahi keh raha he. wo nisha ko keval didi kehata nahi tha. balki dil se manta bhi tha. par jiya ke sujhaye is upaye se sabhi ke chehare par aasha ki ek chamak jaroor dikhai dene lagi thi. jise ajju ne jyada der tak nahi rehane diya
ajju- plane to achchha he.... sahi socha he... par nisha hum sab ki soch se kahi aage he.... mujhe yakeen he usne is baare me pehale hi soch rakkha hoga. aur koi na koi intjaam kar rakkha hoga.
ajju ki bat sunkar ravi bol pada
ravi- are yaar.... tu to hamre har plane par yun hi paani fer deta he....
ajju- bhai mai sach keh raha hun... par fir bhi yakeen na ho to kosis kar ke dekh lo.... natija mujhe pata he...
ravi- tujhe to sab kuchh pata he... fir tu khud hi nisha ko kyun nahi khoj leta... aur jab hum koi kosis karte he, to us par bhi paani fer deta he.....
ravi ki baat sun kar ajju kuchh der khamosh raha. wo janta tha ki nisha ko pichhle 3-4 saal se na khoj paane ki bajah se, sabhi ke andar ek prakar se frustration paida ho gaya he. jise nisha ke milne ke baad hi door kiya ja sakta he. par filhaal nisha unse kaafi door he. par ajju baaki logo ko nirash bhi nahi karna chahata tha is liye wo bola
ajju- sorry bhai.... mera matlab wo nahi tha....
ravi- to fir kya matlab tha tera...
ajju- mai keval itna chahta hun ki kisi solution ko hum apana aakhiri hal na maan le. hame yesi kosise lagatar karni hogi. kai baar hame nirasha haath lagegi. par hame haar nahi manna he.
ajju ki baat sun kar ravi aur jyad abhadk gaya
ravi- abe... ab tu hame sikhayega..... jese ki hum jante hi nahi kuchh
ravi bhai ko itna bhadkata dekh ajju ne khamosh rehana hi thik samjha, aur sab se maafi maangte huye bola
ajju- sorry bhi.... galti ho gai.... aap logo ko jesa thik lage...
ajju ki bat sun kar ravi bhai saant hone ki jagah aur jyada bhadah gaye aur bole
ravi- lo ab janab naraj ho gaye....
ajju janta tha ki ravi bhai ka ye reaction nisha ke na milne ka frustrationmatra matra he. isliye ajju ne khamosh rehana hi uchit samjaha. par ravi bhai kaha khamosh rehane baale the. wo bole
ravi- kam se kam hame ek kosis karni to chahiye.... ho sakta he jiya ka idea successfull ho jaye.... bese bhi jiya aur vikash ne hi wo vedio serch ki thi jisse form house par nisha ke saath jo hua uske baare me hame pata chala tha. ho sakta he is baar bhi jiya ka upaay kaam kar jaaye.
ajju baat ko aur lamba nahi khinchna chata tha. aur kuchh had tak ravi ke tark se sehamat bhi tha. isliye bola
ajju- thik he bhai. jesa aap log kahe. mai taiyaar hun
ajju ke jabab ke baad kisi ke pas bhi kuchh kehane ke liye nahi tha. isliye sab khamosh hi rahe.