Update 113
---------------------
raat ke kareeb 10 baj rahe the. vikash is wakt ek beer baar me betha sarab pee raha tha. jab se renu apne ghar rehane chali gai thi. us din se vikash yaha regular aane laga tha. wo tab tak baha beth kar peeta rehata, jab tak ki wo nashe me dhutt nahi ho jata. chunki ye beer baar uske ghar ke pass hi tha, isliye wo yaha paidal hi aata tha. aaj bhi wo kaafi der se piye ja raha tha. aur ab tak use kaafi nasha ho chuka tha. isliye wo baha se ladkhadate kadmo se bahar ki taraf chal diya.
par aaj shayad usne kuchh jyada hi sarab pee lee thi. isliye wo theek se khada bhi nahi ho paa raha tha. par jese tese wo beer baar se bahar nikal hi aaya. par ab ghar tak jaana uske bus ki baat nahi thi. lekin fir bhi use ghar to jana hi tha. isliye wo jese hi ghar ki taraf jaane laga, uske pair ladkhadaye, par tabhi kisi ne aakar use sahara diya. nasha adhik hone ki bajah se vikash ko sab kuchh dhundla dikhai de raha tha. badi muskil se wo bola
vikash- thank you boss....
vikash ko thamne baale sakhs ne vikash se kaha
"lagta he tumne kuchh jyada hi pee li hai, chalo mai tumhe ghar par chhod deta hun"
vikash- no no i am fine... mai chala jaunga....
par us shakhs ne vikash ki baat par koi dhyaan yaan nahi diya, aur use apni gaadi ki taraf le jaane laga. vikash ki sochne samajhne ki sakti lagbhag samapt ho chuki thi. isliye usne us inshan ka koi virodh nahi kiya. aur chup chap uski car me jakar beth gaya. vikash ko car ki pichhli seet par baitha kar, us inshan ne driving seet samhaal li. aur car ko aage bada diya. par usne car ko vikash ke ghar ki taraf le jaane ke sthan par dushri tara mod diya. vikash is halat me tha hi nahi ki wo kuchh keh sake. kyun ki nashe ki adhikta ki bajah se ab vikash behaoshi baali haalat me pahunch gaya tha. use sunai to sab de raha tha. aur dhundla dhundla dikhai bhi de raha tha. par samajh me kuchh bhi nahi aa raha tha. aur na hi wo kuchh bol paa raha tha.
------------------------------------------------------------
subhay jab vikash ki aankh khuli, to usne aapne aap ko apne bistar par paya. par jese hi usne bistar se uthne ki kosis ki, uske poore saree me tej dard ki ek lehar dod gai. jiski bajah se uski need ki khumaari turant gayab ho gai. use samajh me hi nahi aa raha tha. ki aakhir yesha kyun hua. par jab usen dobara bistar se uthne ki kosis ki to dobara bhi uska bahi haal hua. ek baar fir dard ki tej lehar vikash ke poore badan me dod gai. jese tese himmat kar ke vikash bathroom me pahuncha. bathroom me jaate hi usne apne saare kapde utaar fenke. aur jese hi apne aap ko bathroom me lage mirror me dekha, to uski cheek nikal gai.
vikash ke poore sareer me chhote chhote laal nishan bane guye the. aur unme se halka halka khoon rista hua mehsoos ho raha tha. vikash ko kuchh bhi samjh me nahi aa raha tha, ki aakhir ye uske saath ho kya raha he. badi muskil se usne sover chalu kiya. thande thande paani se vikash ko kaafi rahat mil rahi thi.
vikash kaafi der tak yun hi saver ke neeche khada raha. jab uske sareer me dard ka yehsash thoda kam ho gaya, to wo ye sochne ki kosis karne laga ki aakhir uske saath hua kya he. kyun ki kal raat tak to wo ek dum theek thak tha. aakhir kaar kaafi sochne ke baad use beer baar baali ghatna thodi bahut yaad aa hi gai. use yaad aaya ki jab bo beer baar se bahar nikla tha. to kisi ne ghar par aane me uski help ki thi. par car me bethne ke baad ka use kuchh bhi yaad nahi aa raha tha.
lagbhag 2 ghante ke baad jab vikash baathroom se bahar nikla, to wo kaafi had tak achchha feel kar raha tha. halanki uske poore sareer me abhi bhi dard tha. par ab wo dard bardast karne layak seema me tha. isliye vikash ne ek pain killer khai, aur kichin me apne liye khana banne ke liye chala gaya.
---------------------------------------------------------
dopehar kareeb 2 baje ka samay tha. renu apne office me bethi hui kaam me bussy thi. aaj vikash office nahi aaya tha. isliye vikash ke hisse ka kaam bhi renu ko hi karna pad raha tha. renu ko vikash par bahut gussa aa raha tha, kyun ki vikash ne use aaj office na aane ke baare me informe bhi nahi kiya tha. aur subhay se uska phone bhi switch off aa raha tha. pehale to renu ko laga ki vikash ki ye koi nai notanki he. par pata nahi kyun uska man aaj kuchh jyada hi baichain ho raha tha. isliye wo baar baar vikash ka phone try kar rahi thi.
jab kaafi der tak vikash ka phone chalu nahi hua, to renu ne vikash ke pita ko hi call kar diya. par yaha bhi use nirasha hi haath lagi. kyun ki vikash ke pita kuchh dino ke liye out of city gaye huye the. akhir kaar jab wo kaam se thoda free hui, to usne socha ki kyun na ek baar ghar jakar vikash se mil hi lun. isliye wo office se sidhe vikash ke ghar ki taraf chal padi.
renu jab vikash ke ghar pahunci, to wo ye dekh kar hairan reh gai ki ghar andar se lock nahi tha. isliye wo gate open kar ke direct andar chali gai. aur sidhe bedroom me ja pahunchi. par bedroom me vikash nahi tha. nisha ne ek ek kar ke saara ghar chhan mara. aakhir kaar wo kichin ki taraf chal padi. baha ka najara dekh kar renu ki cheekh nikal gai. kyun ki kichin ka saara saman bikhra hua tha, aur vikash neeche jameen par behosh pada hua tha.
renu ko kuchh bhi samajh me nahi aaya ki wo kaya kare. isliye usne freze me se paani ki botal nikali, aur vikash ke chehare par thande thande paani ke chhinte maarne lagi. kuchh hi der me vikash ko hosh aa gaya. usne jese hi aankhe kholi to use apne saamne renu dikhai di. renu ko dekh kar vikash ke chehare par ek muskaan aa gai. usne jese hi uthne ki kosis ki to uske poore sareer me ek baar fir dard ki ek tej lehar dod gai. jiski bajah se uski cheekh nikal gai.
vikash- aaaaaahhhhhhhhhhh.......
vikash ke yun cheekhne se renu buri tarah se dar gai. aur wo vikash se pooch bethi..
renu- kya hua????? aakhir hua kya he tumko????? tum behosh kese ho gaye????
badi muskil se vikash bol paya
vikash- ppppata nahiiiii.... aaaaajjj subhay se hiiiii ppppoore badan me ttttej dard ho rahaaaaa he.
renu- par kyun????
renu ke sawal ke jabab me vikash ne apni shirt ke button khod diye. vikash ne shirt ke andar kuchh bhi nahi pehana hua tha. isliye vikash ke saare ka upri hissa renu ko dikhai diya. jise dekh kar ek baar fir renu ki cheekh nikal gai. aur uski aanko se aanshu behane lagi.
renu- oh ohhhh god..... ye ye ye sab kya he vikash???? kese hua ye?????
vikash- pppppata nahiiiii.... kal rrrraaaattt tak to sab ttttheek thaaaa.... aaaaahhhhh....
bolte bolte ek baar fir vikash ko tej dard ka yehsash hua, isliye wo apni baat adhuri chhod kar hi cheekh utha.... vikash ki yesi halat dekh kar, aur use dard me tadapta dekh kar, renu purani saari bate bhool gai. use to bus is wakt vikash hi dikhai de raha tha. renu ne vikash ko sahara dekar uthaya. aur boli....
renu- to fir mujhe call kyun nahi kiya tumne?????? aur aur hsopital kyun nahi gaye?????
vikash- mmmmouka hi nahi mila mujheeeeeeeee..... aaaaahhhhhhh......
ruk ruk kar vikash ko apne boore sareer me tej dard ka yehsash ho raha tha.... dard itna jyada tej tha ki vikash ki muh se na chahate huye bhi cheekh nikal jati... aakhir kaar renu sthity ki gambheerta samajh gai. aur boli...
renu- chalo pehale hospital chalte he....
itna bolkar renu vikash ko sahara dekhar bahar ki taraf le jaane lagi. jabki vikash dard se chikhta hua. renu ke saath bahar ki taraf chal diya. bahar aakar renu ne ghar ko achchhe se lock kiya, aur vikash ko apni car me bitha kar hospital ki taraf chal padi. raste me usne maa ko aur ajju ko saari baat bata di. aur fir manju ko bhi call karke vikash ki sthity bata di. taaki manju pehale se hi saara intjaam kar ke rakkhe.
--------------------------------------------------------
sham ke kareeb 7 baj rahe the. renu, ajju, jiya, monu, divya, maa, uncle aur mamaji. ye sabhi hospital me vikash ke pass hi moujood the. vikash ab pehale se kaafi behtar mehsoos kar raha tha. aur poori tarah se hoso-hawash me tha. par renu ab bhi roye ja rahi thi. halanki jiya aur divya ne use kaafi samjhane ki kosis ki thi. par fir bhi renu ka rona band nahi hua tha. tabhi baha manju aur ravi bhai bhi aa gaye. unhe dekh kar renu poochh bethi.
renu- manju di..... aakhir vikash ko hua kya he??????
renu ki baat sunkar manju thoda serious hote huye boli
manju- kuchh bhi samajh me nahi aa raha he renu, ki aakhir vikash ko hua kya he. kyun ki aaj tak ke itihas me yesi kisi bimaari ko dekha hi nahi gaya he. par fir bhi hum ise diagnose karne ki kosis kar rahe he. mene vikash ki bimari ke symptoms aur uske blood sample ko AIIMS aur baaki medical bords ke pass bheja he. aur foreign medical council se bhi contact kiya he. par filhaal baha se koi jababa nahi mila he.
manju ki baat sunkar ajju poochh beta
ajju- to fir isska ilaj kis aadhar par kiya ja raha he....
ajju ki baat ka jabab ravi ne diya
ravi- hum ise ek prakar ka side effect maan kar chal rahe he. aur filhaal vikash ko anti allergic daba aur pain killer hi diya ja raha he. jiska thoda bahut asar vikash par ho bhi raha he. par ye permanet ilaaj nahi he. daba ka asar khatam hote hi vikash ki fir se bahi halat hogi. isliye jab tak is bimari ki sahi sahi jankari nahi mil jati. aur iska koi ilaj nahi mil jata, tab tak vikash ko yahi rehana hoga.
ravi ki baat sunkar sabhi log hairan reh gaye. jabki renu jisne manju aur ravi ke aane ke baad rona band kar diya tha, wo ek baar fir se rone lagi. kuchh der tak baha par khamoshi rahi, aur is khamoshi ko manju ne bhang kiya
manju- vikash achchhe se soch kar batao. ki aakhir ye problam tumhe kab se ho rahi he????
vikash- aaj subhay se hi ye problam hui he. kyun ki kal raat tak to mai ek dum theek tha...
vikash ki baat sunkar manju hairaan reh gai... badi muskil se usne apne aap ko controll kiya aur fir boli
manju- whaaaaatttttt????? ye kese ho sakta he?????
fir kuchh soch kar wo boli
manju- kya tumne kisi prakar ki daba, ya koi drug bagerah liya he kya?????
manju ki baat sunkar ek pal ke liye so sabhi log chonk gaye. kyun ki wo log jante the ki vikash pehale drug adict tha. par pichhle kaai saalo se usne drug nahi liya tha. aur ab to usne us drug ka antidose bhi le liya tha. isliye unhe is baat ki ummeed nahi thi. par fir bhi sabhi log vikash ka jabab sunna chahate the.
vikash- nahi manju didi.... mene kal kisi bhi prakar ki koi daba nahi li. aur haan mai pehale drug leta tha. par ab mai use poori tarah se chhod chuka hun. uska anti dose bhi le chuka hun.
manju- to fir tum kya kisi yese vyakti ke sampark me aaye ho, jise yesi koi bimari thi????
vikash- nahi manju didi yesha bhi nahi hua he.
vikash ki baat sunkar manju thodi pareshan dikhne lagi. kyun ki use is bimari ki bajah samajh me nahi aa rahi thi. aakhir kaar manju ne ek kosis aur ki
manju- kal shaam ko kya hua tha??? mujhe sab kuchh detail me batao... kyn ki tumhe jo bhi hua he wo kal raat ko hi hua he....
manju ki baat sunkar vikash kuchh der shant raha, aur fir sochte huye bola
vikash- kal office se aakar mai apne ghar ke pass bane beer baar me chala gaya tha. baha mai sabse door akela hi betah hua tha. raat karreb 10 baje tak mai bahi raha. kal shayad kuchh jyada hi ho gai thi mujhe. isliye mai thik se chal bhi nahi paa raha tha. tab ek aadmi ne meri help ki thi. aur apni car me bitha kar mujhe ghar drop kiya tha.
vikash ki baat sunkar monu ne usse poochha
monu- tum us aadmi ko jante ho kya????
monu ki baat sunkar vikash ek baar fir kuchh der shant raha. aur fir sochte huye bola
vikash- nahi....
manu- what????? fir use tumhare ghar ka address kese maloom hua???? aur tumne yese aadmi se lift hi kyun li?????
monu ke reaction se vikash thoda dar gaya, par jald hi samhal kar bola
vikash- wo wo... wo asal me nasha jyada hone ki bajah se, mujhe sab dhundhla dhundhala dikhai de raha tha. isliye mai use pehchan hi nahi paya.
kuchh der khamoshi ke baad monu ek baar fir bola
monu- achchhe se yaad kar ke batao, ki kahi usne tumhe kisi prakar ki khane peene ki koi cheej to nahi di thi. ya fir tumhe koi drug bagerah inject to nahi kiya tha...
vikash sochte huye bola
vikash- pata nahi.... kyun ki car me bethne ke baad kya hua???? mujhe yaad nahi aa raha he. mujhe to ye bhi yaad nahi aa raha he, ki mai ghar me apne bistar tak kese pahuncha....
monu- kon si car thi uski... uska numbar bagerah kuchh to yaad hoga????
vikash- us car ka numbar to nahi dekha tha... par shayad black color ki Audi thi.
monu- pakka black color ki audi thi....
vikash- shayad... mujhe theek se yaad nahi he... raat ka samay tha, upar se nasha bhi jyada tha, isliye color samajh me naahi aaya. dark blue bhi ho sakti he. par itna confirm he ki audi thi.....
vikash ki baat sunkar divya aur uncle chonk gaye... par jald hi unhone apne aap ko control kar liya. jabki baaki log hairani se vikash ki taraf dekh rahe the. kuchh der tak kisi ne kuchh bhi nahi kaha. aakir kaar jiya gusse me boli
jiya- aakir tumhe beer baar jakar drink karne ki kya jaroorat thi.... tum pehale to kabhi is prakar beer baar nahi gaye..... aur naa hi aaj tak tumne itni jyada sarab kabhi pee hai... fir aakhir kal yesha kya ho gaya......
jiya ki baat ka vikash ne koi jabab nahi diya. aur khamosh hi raha... jab vikash kuchh nahi bola to jiya ne fir poochha...
jiya- jabaab do vikash... ki aakhir tumhe ye sab karne ki kya jaroorat thi...
is baar vikash thoda hichkichate huye bola
vikash- wo wo wo jab se renu gai he.... mujhe ghar jaane ka man hi nahi karta.... kyun ki mujhe har wakt keval apni galtiyan hi dikhai deti he. wo galtiyan jinki bajah se renu aur mere beech dooriyan aai he. isliye mene socha ki jese ajay sir sarab peekar apna gum bhula lete he... kyun na mai bhi.....
"chaaatttaaakkkkkkk....."
vikash apni baat poori bol bhi nahi paya tha, ki tabhi ek thappad uske galo par pada. ye thappad jiya ne vikash ko mara taha. uska chehara saaf saaf bata raha tha, ki vikash ki ye harkat se use bahut dukh pahuncha he. par jiya ke thappad marne par bhi vikash ne koi reaction nahi diya. aur chup chap sir jhuka kar betha raha. aakhir kaar is poore mamle ko uncle apne haath me lete huye bole...
uncle- ab vikash ko thappad marne se kya hoga jiya????? jab vikash ne pehali baar galti ki thi.... agar tabhi use rok diya hota, to baat yaha tak kabhi nahi pahunchti.... aur bese usne kya galat kiya he sharab peekar????? ye to fashion hai aaj kal ke ladke ladkiyon ka... thodi bhi problam aai nahi, ki le liya nashe ka sahara... bese bhi chhote to bahi karte he jo unke bade karte he... ab agar ajju ne sharab peekar apna gum bhulane ka chalan nahi chalaya hota... to shayad vikash bhi ye nahi karta....
itna bolkar uncle ne ek nazar ajju par daali, jo ki unki baat sunkar sir jhukaye huye khada tha. aur fir bole
uncle- mubarak ho ajju... tumhare group me ek aur banda samil ho gaya.... ab tum dono jee bhar kar sarab peena...
itna bolkar uncle baha se bahar nikal gaye, uncle ke peeche peechhe maa bhi baha se bahar chali gai. kuchh der tak baha khamoshi chhai rahi, aur fir manju ne bolna suru kiya.
manju- mujhe lagta he ki ab tum logo ko bhi yaha se chale jana chahiye
manju ki baat sukar renu boli
renu- mai kahi nahi ja rahi hun manju didi... jab tak vikash theek nahi ho jata mai yahai rahungi...
renu ki baat sunkar manju boli
manju- mai tumhari bhavnao ko achchhi tarah se samajhti hun renu... par i am sorry mai tumhe iske liye allow nahi kar sakti.
renu- par kyun?????
manju- kyun ki hame ab tak ye pata nahi chal he, ki aakhir vikash ki ye halat kyun hui he????? agar ye kisi prakar ka viral infection hua, to iske failne ka bhi khatra hai. isliye mai nahi chahati ki iska asar aur kisi par bhi ho. isliye aaj ke baad yaha par vikash se milne koi nahi aayega. kam se kam tab tak jab tak ki hum vikash ki bimari ka pata nahi laga lete. par renu keval tumhare liye mai itna allow kar rahi hun, ki tum din me ek baar kuchh der ke liye vikash se mil sakti ho. aur agar chaho to ghar se khana bagerah bhi la sakti ho. varna mai to hun hi yaha. par yaad rakna vikash se milne ke baad tumhe sanitization ka poora dhyan rakhna hoga. aur haan na keval renu ko balki tum sabhi ko yaha se jaane ke baad achchhe se khud ko sanitize karna hoga.
itna bolkar manju aur ravi baha se bahar nikla gaye. manju aur ravi ke baad baaki log bhi ek ek kar ke baha se chale gaye. renu kuchh der tak bahi bethi rahi. aur fir vikash ke kehane par wo bhi baha se chali gai.