• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,645
103,263
304

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,645
103,263
304
Waiting Redhat bhai .
Koi reply to dijiye ki problem kya hai ?
 
Last edited:

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,050
218
Update 120
------------------


vikash ke theek hone ke agle hi din, vikash ki hospital se chhutti kar di gai thi. chunki vikash aur renu ke beech sab kuchh theek ho chuka tha, isliye vikash ke saath renu bhi uske ghar par hi chali gai thi. aur fir agle kuchh dino me sabhi logo ka bandhavgd jaane ka program set ho gaya. saari taiyari kar li gai thi. bus unke jaane bhar ki der thi. isi silsile me monu ajju se baat karne uske office gaya hua tha, par baha jakar pata chala ki ajju baha aaya hi nahi, jabki ajju monu ke hi sath office ke liye ghar se nikla tha.

monu ne ajju ko kai baar call karne ki kosis ki, par uska phone unreacheable aa raha tha. monu ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha, ki yun achanak ajju kaha gayab ho gaya. kaafi der tak is baare me sochne par monu ko yaad aaya, ki indore se bapis aane ke baad achanak ajju ke vartav me antar aa gaya tha. kyun ki jab bhi unki ek dushre se koi baat hoti to unke bich me nisha ke baare me baat karte karte achanak agent zero aa jati, pata nahi kyun par ajju ko ye yehsash ho raha tha, ki unki bajah se agent zero khatre me pad gai he. kai baar to ajju apne muh se ye bol bhi chuka tha.

ye sab yaad aate hi monu ko yakeen ho gaya, ki RAw operation se pichhe hatkar ajju ke man me guilty ki bhavna janam le chuki he, aur ho na ho ajju is guilty ko door karne RAW office gaya hoga. isliye wo bhi chal diya RAw office ki taraf. jaha par aakhir kaar monu ki mulakaat ajju se ho hi gai, jo ki bahut jyada dukhi dikhai de raha tha. use dekh kar monu se raha nahi gaya, aur wo poochh betha

monu- abe tujhe kya ho gaya???? jo is tarah devdash ki tarah muh latkaaye huye he, aur tu yaha aakhir kar kya raha he???? tujhe pata he na kal hame bandhavgad ke liye nikalna he???

monu ki baat sun kar ajju ne monu ki taraf dekha, aur isse pehle wo kuchh kehta ajju ki aankho ne monu ko jabab de diya. ajju ki aankho se aanshun ki bunde ludak kar uske chehare par aa gai. jinhe dekh monu ke sabra ka bandh toot gaya. use kisi anhoni ki asanka hone lagi thi.

monu- ajjjjjuuuuuu!!!!!!! kya baat he?????

ajju monu ki baat ka koi jabab deta usse pehale hi monu ke pichhe se mr. prabhu ki awaj aai

mr. prabhu- me batata hu mr. manoj kya hua he ajay ko.....

mr. prabhu ki aawaj sunte hi monu unki taraf mud gaya. jabki mr. prabhu ne bolna jaari rakkha.

mr. prabhu- tum ye to jante hi ho, ki jis operation par tum log jaane baale the, tumhare na jaane ki bajah se agent zero us operation par chali gai thi. ye jante huye bhi ki ye specially uske liye ek trap he. bese to mujhe ye ummeed thi ki ye operation thoda lamba chalega, tab tak tum log bhi apni manjil par pahunch hi jaoge. isliye mene tumhari help karne ki kosis bhi ki thi. tum logo ko bandhavgad jaane ki link mene hi avilable karwai thi.

mr. prabhu ki baat sunkar monu hairan hote huye bola

monu- matlab aap jante he ki nisha di kaha he??? to fir aap sidhe sidhe hame kyun nahi bata dete?????

mr. prabhu- sorry manoj mujhe jitni jaankaari thi utni mai tum logo ki help kar chuka hun. haan ye baat sahi he ki nisha ke baarte me RAw ke pass kuchh jankariyan he, par ye saara record agent zero ke pass hi he, RAw apne agents ke sabhi family members ka record rakhti he. par chunki tum log agent zero ki special team ke members ho, isliye tumhari family ka saara data agent zero ke pass hi he.

monu- samajh gaya, par mujhe ajju ki is halat ki bajah ab tak pata nahi chali he.

mr. prabhu- bahi bata raha hun, jab mene tumhe nisha se related jankari avilabe karwai, to ye baat agent zero ko pata chal gai. use laga ki mai tumhari help kar ke, tum logo ko kisi bhi tarah is operation me uski help ke liye bhejna chahata hun, tum logo ke is operation par aane se inkaar karne ke baad, ab wo bilkul nahi chahati ki tum log kisi bhi tarah uski help karo, ya is operation ka part bano. sach kahun to tum dono ne jo bhi kiya kahi na kahi isme uski hi marzi samil thi. wo suru se hi khud hi is operation par jana chahati thi, kyun ki wo apne kisi bhi agent ki jaan khatre me nahi daalna chahati thi, mout se khelna to jaise usk souk ban gaya he. mene hi use is operation par kisi aur ko bhejne ke liye force kiya tha. par mujhe ye nahi pata tha ki wo tum dono ko operation chakraview par bhej rahi he. mai to is galat fehami me tha ki wo tumhe kisi dushre operation par bhej rahi he. warna sayad mai tumhe 3 mahine ki mohalat nahi deta.

mr. prabhu ne kuchh der ruk kar lambbi lambbi sanshe li, aur dobara bolna suru kiya

mr. prabhu- khair jo bhi hua so hua. par jab agent zero ko laga, ki mai tumhari help kar ke uski help karne ki kosis kar raha hun, to usne bina kisi khash planning ke, is operation chakraview ko suru kar diya. halanki wo hamare neuclear scientest ko dusamano se chhudane me kamyab rahi he, parantu wo khud bhi bahut jyada gambheer roop se ghayal ho chuki he, dushamano ne uspar acid bomb se attack kiya he, wo to usi wakt dusamano ke haath lag jati, ya maari jaati, lekin agent 10 kisi bhi tarah use baha se nikalne me kaamyab raha. par khatra abhi tala nahi he, wo log ab bhi dushamano ke ilake me hi kahi chhipe huye he. aur filhaal hamara unse koi contact nahi ho paa raha he. agent 10 bhi buri tarah se ghayal he, pata nahi ki kab tak wo log apne aap ko bacha payege.

mr. prabhu ka ek ek sawd monu ke kaano me pighale huye sishe ki tarah andar gaya tha, jisne monu ke wajood ko hi hila kar rakh diya tha. usne acid bomb ke baare me sun rakkha tha, aaj tak usse koi nahi bacha tha. india ke bade bade scientistt acid bomb ka tod nikaalne me na kaamyab rahe the. yahan tak ki 3 saal pehale jab ajju aur monu ne RAW join ki thi, tab ek baar ajju ne acid bum ka experiment apne liye kiya tha. wo janna chah raha tha, ki agar dushmano ne uspar acid bom se hamla kiya to iska us par kya asar hoga, aur us samay na keval monu balki ajju ke bhi hosh usd gaye the, ye jaankar ki acid bomb ke saamne ajju ki powers lagbhag bekaar he.

kyun ki acid bomb apne area me moujood har bastu, har jivit prani ko gala kar liquid me convert kar deta he, aur fir bah liquid steam ban kar hawa me gayab ho jata he. chand minto me hi sab khuchh khatam. jis jagah us bomb ka prayog kiya jata he, wo jagah ek dum banjar ho jati he. yesha lagta he jese kuchh hua hi nahi. koi nishan nahi bachta he. yesha lagta he jese wo jagah varson se yun hi banjar padi hui he.

filhaal monu ki haalat bhi ajju ki tarah hi ho chuki thi. uske dimag ne kaam karna ekdum band kar diya tha. uski aankho ke saamne to keval aur keval us din ki saari ghatnaye revise ho rahi thi, jis din un dono ne operation chakraview par jaane se inkaar kar diya tha. jabki ajju ko is samay keval agent zero ke latter ke ant me likhe sawd yaad aa rahe the.

"ho sakta he aap kamyaab bhi ho jaye, ya ho sakta he ki aap ki talash kabhi bhi na ruke, jo bhi ho par itna tay he, ki jab aapne apne liye 3 mahine ki jo mohalat maangi he, to ab aapko uska pura sammaan karna chahiye. i hope aapke safal hone ya asafal hone ki dono hi condition me aap apni jid chhod denge, aur is desh ke liye apna farz poora karenge, aapke saath kaam karke mujhe khushi hoti, par filhaal ab iski ummeed bahut kam he, kyun ki ho sakta he ki jab tak aap bapis aayen, tab tak tak agent zero ki position aapka intjaar kar rahi ho."

ajju jitna jyad agent zero ke baare me janta ja raha tha, utna hi wo uske prati akarshit hota ja raha tha, pata nahi kyun???? par is wakt wo nisha ya fir apni baaki saari personal problams ko poori tarah se bhool chuka tha, use kuchh yaad tha to wo tha to wo tha keval kuchh din pehale RAW office me hua ghatna kram, aur agent zero ka wo letter. aakhir kaar ajju ne faishla kar hi liya, ki wo ab aur apni personal problam ki bajah se apne farz se nahi bhagega.

us hall me kaafi der tak khamoshi chhai rahi, jese agent zero ki special team ke baaki members ne aakar thoda. kyun ki unhe bhi agaent zero aur agent 10 ke gambheer roop se ghayal hone ki jaankari lag chuki thi.

gagan- sir kya ye sach he ki agent zero aur ikram operation chakraview ke douran gambheer roop se ghayal ho gaye he????

mr. prabhu- haan ye sach he, par tum logo ko is baat ki jankari kese lagi?????

gagan- sir queen ne hame bataya.

mr. prabhu- par kyun???? aakhir queen ne tumhe ye sab kyun bataya?????

gagan- sir aap to jante hi he, ki jab agent zero field operation par hoti he to mai, kapil, priya aur sonal milkar is team ko lead karte he. bese to agent zero apni specil team ke sabhi members se queen ke madhyam se hamesha connect rehati he. par pichhle kuchh dino se agent zero ne hum me se kisi se bhi contect nahi kiya he. hame keval queen se hi regular instractions mil rahe the. humne aaj jab usse agent zero ke baare me janna chaha to queen ne bataya ki use agent zero ke regular signal prapt nahi ho rahe he. kyun ki operation chakraview ke douran agent zero aur agent 10 acid bomb se gambheer roop se ghayal ho chuke he.

gagan ki baat sun kar ajju aur monu bhi hosh me aa chuke the. aur gagan se ho rahi bato ko sabse pehale monu ne hi aage badaya. kyun ki monu gagan ke saath pehale bhi RAW ke liye kaam kar chuka tha, isliye wo gagan ko achchhi tarah se janta bhi tha

monu- ab iska kya matlab he ki queen ko agent zero ke regular signal nahi mil rahe he?????

monu ki awaj sunte hi special team ke sabhi members satark ho gaye. kyun ki un sab ki nazar ajju par pad chuki thi. jo ki filhaal unke liye ajnabi hi tha. halanki 3 saal pehale sonal ajju ke andar chipe inject karte samay usse mili thi. par 3 saal ka wakt lamba hota he, isliye sonal ko filhaal ajju ke baare me kuchh bhi yaad nahi tha.

parantu wo sabhi monu ko achchhi tarah se jante the. monu kai baar operations me unke saath reh chuka tha. suruaat me to wo sabhi ek dushre ko unke code name se hi bulate the, par dhire dhire wo log ek dushre ko vyaktigat roop se bhi janne lage the. isliye wo ab ek dushre ko unke vastvik naam se hi bulate the. par ajju unke liye ajnavi tha, isliye gagan ko apni galti ka yehsash ho gaya, aur wo monu ke sawalon par khamosh hi raha. gagan ko khamosh dekh kar monu ke sabalo ka jabab monika ne diya, jo ek docter bhi thi

monika- iska matlab to bahut sidha sa he manoj, ki agent zero apni aakhri sanse gin rahi he.

monu pehale se hi kuchh din pehale ke apne vartav se sarminda tha, upar se monika ka ye sab bolna use bilkul bhi achchha nahi laga, isliye wo thoda bhadkte huye bola

monu- monika ye tum kya bakwash kar rahi ho???

is baar monu ke reaction par monika ke sthan par mr. prabhu bole

mr. prabhu- monika sahi keh rahi he manoj

monu- par sir yesha bhi to ho sakta he ki filhaal jaha ye log chhipe huye he, baha hamari setelight ke signal nahi pahunch rahe ho

monu ki baat sunkar kapil bola

kapil- yesha nahi ho sakta, kyun ki ikram ke signal queen ke pass regular aa rahe he. par wo behosh hone ki bajah se koi responce nahi de paa raha he.

monu ko ye baat hajam hi nahi ho rahi thi, ki agent zero apni aakhri saanshe gin rahi he. isliye usne ek baar aur kosis ki,

monu- to fir agent zero ki chipe me koi kharabi aa gai hogi.

par monu ki is kosis ko sonal ne bekar kar diya

sonal- yesha bhi nahi ho sakta he manoj. kyun ki hamari chipe ko har condition me check kar ke hi agent me inject kiya jata he. use kharab karne ke liye hamare agent ki body me se pehale use nikalna padega. jab tak wo hamare agent ki body ke andar he wo kharab nahi ho sakti he.

monu- to fir agant zero ki chipe regular signal kyun nahi bhej rahi he.

monika- agent zero ka mind dhire dhire kaam karna band kar raha he. isliye chipe ko proper signal nahi mil rahe he.

ab tak khamosh ajju aakhir kaar bol hi pada

ajju- iska matlab to ye he ki.....

ajju apni baat poori bhi nahi kar paya tha ki mr. prabhu ne khud hi uski baat poori kar di

mr. prabhu- "sayad hind ki serni ki dahaad" ab hame kabhi bhi sunne ke liye na mile

mr. prabhu ki aankho me is wakt aanshu, par chehare par garv ke bhav the. jo ki sabko ye jatane ke liye kaafi the, ki unke chief ko agent ki is halat ka bahut jyada dukh he, par unhe agent zero par garv bhi he.

ajju- par sir hum yun nirash nahi ho sakte. yun haar maan kar haath par haar rakkhe agent zero ko marne nahi de sakte. koi to upay hoga?????

monika- bese to acid bomb se ghayal inshan ko aaj tak bachaya nahi ja saka he. par fir bhi me ek kosis karna chahungi.

monika ki baat sunkar monu bola

monu- tum bhi had karti ho monika.... jab aaj tak uska koi ilaj bana hi nahi he, to tum kya khak kosis karogi.

monika- mujhe 3 saal pehale ajay pharmecy ke head mr. ajay se acid bomb ke side effect ke kuchh sample mile the. jin par alkali arthat chhariy chemical ka use karne par mai acid bomb ke chemical structure ko break karne me kamyab ho gai thi. par uske baad mr. ajay se mera dobara contact......

monika bolte bolte achanak ruk gai, kyun ki usne ajju ko apni taraf ghoorte huye paya, aur fir achanak se monika ajju ko pehchan gai. jabki ajju bhi monika ko pehchan chuka tha. aur use 3 saal purani ghatna bhi yaad aa chuki thi.

monika- oh my god..... mr. ajay aap yaha???? what a surprise???? aaj to aap ki hame sabse jyada jaroorat thi, aur aap hame mil gaye.

monika ki baat sunkar baaki sabhi log hairan reh gaye. isse pehale koi kuchh reaction kar pata, mr. prabhu ne ajay ka parichay un sabko dena hi thik samjha.

mr. prabhu- tumne ek dum thik pehchana he monika, ye ajay sharma hi he, ajay pharmecy ke head aur RAW me agent zero ki special team ke member, inka code 1 hai. ab baaki ke formalty tum sab baad me poori karte rehana, pehale mujhe ye batao kya bakai me tumhe acid bomb ka tod mil gaya he?????

monika- sir mai poori tarah se sure to nahi hun. par mujhe yesha lagta he. i think agar mr. ajay help kare to hum log yesi daba bana sakte he, jo acid bomb ka 100% ilaj kar sake.

ajju- par isme kaafi samay lag jayega. aur filhaal hamaare pass usi ki kami he

gagan- to fir ham kya kare????

ajju- mere khyaal se filhaal hame monika ji ki theory par hi chalna chahiye. kam se kam ek ummeed to he.

monika- par mai poori tarah se sure nahi hun ki ye kaam karega.

ajju- par ummeed to hai na

monika- haan par alkali ki matra ka mujhe koi anumaan nahi he.

ajju is wakt monika se science par aur jyada discuss karne ke mood me nahi tha, isliye wo monika ki baat ko bahi khatam karte huye bola.

ajju- wo tum mujh par chhod do. use mai dekh lunga. i hope hum agent zero ko bacha le.

ajju aur monika ke beech huye discus se sabhi ke chehare par umeed ki ek kiran dikhai dene lagi thi. ab sabhi log mr. prabhu ka faishla sunne ke liye unki taraf dekh rahe the.
Yahi anzaam hona tha....
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,645
103,263
304
Top