• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Alok

Well-Known Member
11,022
27,552
258
Ab to lagta hai ais kahani ke poore update padne ke liya hume phir se janam lena padega........


Bhai koi to is story ko poora karo........
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,047
143
Update 109
-------------------


kaafi der tak un dono ke beech khamoshi chhai rahi. aakhir kaar uncle ne hi is khamoshi ko bhang kiya, par unhone zoya ke sawal ka jo jabab diya, wo kisi bum bisphot se kam nahi tha. uncle bole

uncle- "nisha"...... asal problam nisha he....

uncle ki baat sunkar zoya hairaan hote huye boli

zoya- nisha??????

uncle- haan nisha... meri sabse badi beti nisha.... ajay ki wife nisha..... hum sab ki chaheti nisha.... 3 saal pehale kisi baat ko lekar nisha aur ajay me jhagda ho gaya. jiski bajah se nisha hum sab se door chali gai. nisha ke jaate hi sara parivaar bikharne laga. kyun ki ek bahi to thi, jisne saare parivaar ko ek dore se baandh kar rakkha hua tha. uske bina sab ko ek saath lana lagbhag na mumkin he. isliye sabhi log kese bhi nisha ko bapis lana chahate he. par nisha kaha he???? ye koi bhi nahi janta....

uncle ki baat sun kar zoya ek baar fir hairan hote huye boli

zoya- aap bol rahe the ki aapke pass is samashya ka samadhaan bhi hai

zoya ki baat sunkar ek baar fir uncle muskura uthe... aur bole...

uncle- haan... mere pass is samashya ko solution he... kyu ki mai janta hun ki is wakt nisha kaha he.

zoya ab bhi hairani se uncle ki taraf hi dekh rahi thi. wo kuchh der tak khamosh hi rahi aur fir apni agli chaal chalte huye boli

zoya- uncle jab aap nisha ke baare me jante he... to fir sab logo ko bata kyun nahi dete???

uncle zoya ki chaal dekh kar hairaan reh gaye. kyun ki zoya ne apna raja khula chhod diya tha. uncle is mouke ko khona nahi chahate the. isliye zoya ke raja ko gherne ke liye unhone apna bazeer aage bada diya. aur fir laparwahi se bole

uncle- nahi bata sakta.... kyun ki is duniya me mai sabse jyada nisha par hi yakeen karta hun. agar usne hum sab se door jaane ka faishla kiya he. to kuchh soch samajh kar hi kiya hoga. hame uske faishle ka samman karna chahiye. agar door jaane ka faishal uska hai. to bapis aane ka faishla bhi uska hi hona chahiye.

uncle ki baat sunkar zoya boli

zoya- sayad aap sahi keh rahe he uncle....

aur fir apni agli chaal chalkar zoya muskurate huye boli

zoya- uncle "check and mate"... lo aap aaj fir mujhse haar gaye....

zoya ki baat sunkar uncle hairani se kabhi chess bord ko dekhte, aur kabhi zoya ke chehare ko. unhe to yakeen hi nahi ho raha tha ki wo haar chuke he. kyun ki kuchh der pehale to unhe sab kuchh apne controll me hi dikhai de raha tha.

hua asal me ye tha, ki zoya ne uncle ko lalach dete huye apna raja khula chhod diya tha. uncle ne use gherne ke liye apna bazeer aage bada diya. mouke ka fayda uthate huye. zoya ne uncle ke raja ke ek dum paas me lejakar apna bazeer rakh diya, jise peechhe se uska ghoda support kar raha tha. chunki ghoda dhai kadam chalta he. isliye uncle ne ghode ki chaal par dhyaan hi nahi diya. par ab kya ho sakta tha. unka raja fansh chuka tha. uncle ko yun hairan dekh kar zoya muskurate huye boli

zoya- achchha uncle ab mai chalti hu, kal fir ek naya game suru karenge. tab tak aap ye samajhne ki kosi kijiye ki aapse aakhir kaha galti ho gai.

itna bolkar zoya baha se uth kar jaane lagi. tabhi uncle ne use peeche se toka

uncle- nisha......

apne liye "nisha" naam sunte hi zoya bahi ke bahi ruk gai. aur bina uncle ki taraf dekhe wo boli

zoya- "nisha!!!!" ye aap kya keh rahe he uncle???? mai zoya hun.... sayad aapko koi galat fehami hui he...

zoya ki baat sunkar uncle bole

uncle- apni awaaz aur apna chehara badlne se, ya fir apna naam badalne se inshan ki vastvikta nahi badalti he nisha. tum chahe jitne chehare badal lo... par apni adate nahi badal sakti. apno ke liye tumhare liye jo pyaar he, use nahi badal sakti. bese bhi ek baap apne bachcho ko unke chehare aur awaj se nahi, balki uske hone ke yehsash se hi pehchan leta he.

uncle ki baat sunkar zoya uncle ki taraf palat gai. par is wakt uska chehara us ladki ka nahi tha. jo kuchh der pehale uncle ke saath beth kar chess khel rahi thi. balki wo chehara nisha ka tha. nisha ko dekh kar ek baar fir uncle ki aankh me aanshu aa gaye. aur yahi haal is wakt nisha ka bhi tha. uncle ne apne dono haath nisha ki taraf faila diye. jise dekh kar nisha dod kar uncle ke gale lag kar rone lagi. aur rote huye boli

nisha- i am sorry uncle..... mai bahut buri hun... dekho mene sab ko kitna dukh diya he.... meri bajahs se sab kuchh bikhar gaya.... please uncle mujhe maaf kar do.... plese uncle..

nisha kaafi der tak uncle ke gale lag kar yun hi badbadaye ja rahi thi. jabki uncle pyaar se nisha ke sir par haat ferte ja rahe the. jab nisha ki poori bhadash nikal gai to uncle usse bole

uncle- na beta na.... yesa nahi kehate... tum to meri sabse pyari beti ho... tumhari bajah se koi kese dukhi ho sakta he. ye dukh to keval tumhare door jane ki bajah se he. ab jab tum bapis aa gai ho, to fir se sab theek ho jayega.

uncle ki baat sunkar nisha boli

nisha- nahi uncle... mai bapis nahi aa sakti.... mai bahut buri hun... aap nahi jante ki mene kitna bada paap kiya he. mai to bahut badi abhagan hun, mai jaha jati hun baha har kisi ko keval dukh hi deti hun. manhoosh hun mai. aur mai apni is manhoosiyat ka asar apno par nahi hone de sakti.

nisha ki baat sunkar uncle ne ek jhatke me nisha ko apne se alag kar diya aur gusse me bole

uncle- khabdar jo aaj ke baad apne aap ko manhoos kahat to... tum meri beti ho... aur meri beti na to abhagan he, aur na hi manhoos.... samjhi tum.....

uncle ke dantne par nisha ne kuchh bhi nahi kaha, bus haan me sir hila diya. kuchh der un dono ke beech khamoshi rahi. fir is khamoshi ko uncle ne hi bhang kiya. wo nisha se bole

uncle- chal theek he. agar tum abhi sabke saamne nahi aana chahati, to koi baat nahi. mai tumhare baare me kisi se kuchh bhi nahi kahunga. par kuchh der mere saath nisha ban kar betho. 3 saal se bhi jyada samay ho gaya tujhe dekhe huye.

uncle ki baat sun kar nisha fir se uncle ke saath bahi beth gai. par is baar bhi nisha ne kuchh nahi kaha. kuchh der ki khamoshi ke baad uncle fir se bole

uncle- aaj mai tere liye teri maa ke haath ke bane aaloo ke parathe aur dahi laya hun... tujhe bahut pashand hai na...

uncle ki baat sun kar nisha ka chehara khill utha. usne turant apne aanshu poonche. aur uncle ke haath se turant tifin le liya, aur jaldi se use khol kar aalo ke parathe khane lagi. maa ke haath ke bane aalo ke parathe khakar nisha ke chehare par ek alag hi sukoon dikhai de raha tha. jabki uncle nisha ko yun khata dekh muskuraye ja rahe the. aaj unhe nisha ek chhoti bachchi ki tarah dikhai de rahi thi. jab nisha ka pet bhar gaya, to usne bache huye paratho ko ek paper me roll banakar apne bag me rakhte huye kaha

nisha- sorry uncle... mene aap se nahi poochha... mera pet to bhar gaya, par man nahi bhara he. ye bache huye parthe me baad me khaungi. aaj aap bina naste ke hi kaam chala lo please.

nisha ki baat sunkar uncle hanshte huye bole

uncle- are pagal..... ye saare parathe mai keval tere liye hi to laya tha. tum meri fikar mat karo. mai ghar jakar kha lunga.

uncle ki baat sunkar nisha kuchh der shant rahi, aur fir thoda serious hote huye boli

nisha- par uncle aapne mujhe pehchana kaise????

nisha ki baat sunkar uncle muskurate huye bole...

uncle- sak to mujhe kai dino se tha ki tum hi nisha ho. aur uske kai karan bhi hai. jese tumhari hight. tumhara baat karne ka tareeka, tumhara chalne ka style. tumhare kapdo ki choice, yesi bahut saari adate tumhari ab bhi bahi hai. iske alawa tumhara mujhse isharo hi isharo me ghar ke sabhi sadashyo ke baare me jaankari lena, par apne baare me kuchh bhi na batana. mere sak ko aur bhi jyada majboot karene ke liye kaafi tha. fir ek din tumse galti ho gai. tum us din zoya ke roop me to mere saamne aai. par us din tum apni aankho ka rang change karna bhool gai. jab bhi tum zoya ke roop me mere saamne aati ho, to us wakt tumhari aankho ka rang kala hota he. par us din tumhari aankho ka rang neela tha. bilkul nisha ki tarah. itna mere liye kaafi tha, tumhe pehchanne ke liye. par mai ab tak tumhe na pehchanne ka natak keval is liye karta raha kyun ki mujhe dar tha. ki jis din mene tumhe tumhare asli naam se bula liya, us din ke baad tum mujhse milne nahi aaogi. tum zoya ke roop me hi sahi. par kam se kam mujhse milne to aa jati ho. aur mai tumhe dekhkar is baat se tasalli kar leta hun ki tum theek ho.

uncle ki baat sunkar nisha boli

nisha- uncle kya aapne maa ko mere baare me....

nisha apni baat poori bhi nahi kar paai thi, ki uncle ne use beech mai hi tok diya

uncle- nahi.... mene tere baare me kisi ko kuchh bhi nahi bataya he. aur naa hi mai aage kisi ko batane bala hun. aur kyun bataun mai????? wo bhi to kai baate mujhse chhipa leti he... tum fikar mat karo tera raaz keval mere saath hi rahega.... par please beta mujhse milne aati rehana....

uncle ki baat sunkar nisha muskura kar boli

nisha- pakka uncle.... mai aap se yese hi milne aati rahungi. par nisha ke roop me nahi balki zoya ke roop me.

uncle- koi baat nahi... zoya ke roop me hi sahi, kam se kam tum mujhse milne aaogi to sahi. par ek baat meri samajh me nahi aai. ki tumne mere saamne na to koi mash apne chehare se hataya... aur naa hi apne chehare ka makeup kisi cheej se saaf kiya to. fir tum yun achank zoya se nisha kese ban gai......

uncle ki baat sunkar nisha kuchh der khamosh rahi. aur fir ek lambi sansh lekar boli

nisha- yese.....

nisha ka itna bolna tha. ki nisha ka chehara zoya ke roop me dhire dhire bapis aane laga. aur dekhte hi dekhte kuchh hi seconds me nisha fir se joya ban gai. ye sab dekh kar uncle hairaan reh gaye. unhe to apni aankho par yakeen hi nahi ho raha tha. koi inshan bhala palak jahpke apna chehara bina kisi mask ke, aur bina koi makeup kiye natural tareeke se kese badal sakta he. badi muskil se uncle ne apne aap ko controll kiya aur nisha se bole

uncle- kkkkeseeeee... aakhir tumne ye kiya kese nisha???

uncle ki baat sunkar nisha ek baar fir se apne vastvik roop me aa gai. aur fir usne ek baar fir ek gehari sansh li, aur uncle ko us formule aur guru ji ke dwara kundaliny sakti jagrit karne baali baat bata di. jise sunkar uncle hairaan reh gaye. aur bole

uncle- badi ajeeb baat hai.... matlab ki tum science aur adhyatm dono ki hi powers ka use kar sakti ho???

uncle ki baat sunkar nisha boli

nisha- uncle adhyatm kya he???? ek science hi to he. paracheen bhartiya scince. jise ab tak ke so calld scientest samajh hi nahi paaye he. hamara shareer kya he??? ek prakar ki machine hi to he. jisme petrol ya diesel ke sthan par, hum khane ka use karte he. jo hamare sareer ko kaam karne ke liye energy deta hai. hamari kundaliny sakti hame is sanshar mai charo taraf moujood energy ko direct use karne ki powers deti he. bus itna hi to antar he. khane se hame limited energy milti he. jabki adhyatm se hame unlimited energy prapt ho sakti he.

nisha ki baat sunkar uncle kuchh der tak nisha ki baato ko sochte rahe, aur fir muskura kar bole

uncle- shayad tum sahi keh rahi ho... par ek baat batao ki kya tum isi prakar kisi ka bhi roop le sakti ho

nisha- haan uncle... par iski kuchh limitations hai.... jese mai keval usi ka roop le sakti hun, jika chehara mene dekha ho. mai bina kisi ke chehare ko dekhe uska roop nahi le sakti. dushri kami ye he ki mene jiska bhi roop liya he. agar wo us wakt mere saamne aa jaye. to mai turant apne vastvik roop me aa jati hun. matlab ki meri powers us wakt fail ho jati he. aur sabse badi kami ye he ki agar mai apna chehara aur roop badlati hun, to meri baaki ki powers kaam karna band kar deti he. matlab ki meri baaki ki powers keval mere vastvik roop me hi mere saath hoti he.

nisha ki baat sunkar uncle bole

uncle- to fir ye zoya kon he... aur ye chehara kis ka hai....

uncle ki baat sunkar nisha ne door khade ikram ki taraf ishar karte huye kaha

nisha- uncle wo white shirt aur blue jense me jo ladka khada hua he, wo ikram he. pichhle 3-4 saal se wo mere saath kaam karta he. wo mere chhote bhai ki tarah he. aur mere liye apni jaan tak de sakta he. zoya usi ki badi behan ka naam he. jise kuchh saal pehale kuchh atankwadiyon ne kashmeer me maar dala tha. aur ye chehara bhi zoya ka hi hai. mujhe sabse pehale zoya naam se usi ne bulaya tha. uska kehana he ki mai use uki behan ki yaad dilati hun. is liye mene bhi ek badi behan ka farz nibhaya he ab tak. mujhe ek bhai mil gaya aur use uski zoya appi.

nisha ki baat sunkar uncle hairan hote huye bole

uncle- matlab ki wo tumhari powers ke baare me janta he?????

nisha- haan uncle....

uncle- aur kon kon janta he ye sab????

nisha- meri kuchh powers ke baare me ajju, maa, renu, mama ji, monu aur divya jante hai. aur shayad thoda bahut ravi bhai aur manju di bhi janti he. par mere roop badalne baali power jo ki mujhe lagbhag 2 saal pehale hi mili he, uske baare me ikram aur aapke alawa keval ek inshan aur janta hai.

nisha ki baat sunkar uncle khamoshi se ab tak hui baato ke baare me sochne lage. wo har ek kadi ko apas me jod kar, saare halato ko samajhne ka prayash kar rahe the.
bhai pata nahin yeh jo bhi main kehne jaa raha hoon aap tak pahunchegi bhi ya nahin, kyunki aap is forum pe nahin ho, lekin main is kahani se kehne jaa raha hoon kee. aapne ajju ke character ko bilkul depreciate karna shuru kar diya hain.

aapne isme sabhi ko samajhdar dikhaya renu wo bhi bahut samajhdar hain matlab wo bhi mahan hain, maata jee bhi kuchh kam nahin hain, aree jaan rahi hain kee wo kitna dukh mein hain, are kyun shab nisha ke hi faisle ka samman kar rahe hain, ajju ka kya wo jab khud dard mein nisha bhi khud dard mein hain.
toh phir kyun yeh dooriya ka kya fayda hua, jab uske door jaane se shab bikhar hi gaya, jis ke liye usne yeh shab kiya jab wo hi na hua toh phir, aur aapne dikhaya hain kee ajju matlab kamjor ho raha matlab uska character kamjor ho raha hain

are usme bhi powers hain lekin nisha ke samne wo kuchh bhi nahin hain, wo jab chahe usse bhi control kar leti hain, aur yeh itne saalo se bebas hain.
kabhi bhi usse dhundh nahin paa raha hain, waise iss story mein merry go round chal raha hain, ek aati hain toh doosri jaati hain pehli jiya gayee toh nisha aaye , lekin jab jiya waps aaye toh nisha gayee.

pata hain apko drama achha lagta hain lekin aapne toh dharma production ko bhi fail kar diya hain.

Itna jyada.

wasie aisa treatment dekh ke gussa bhi aata hain lekin pata nahin aapki story ko padhne se kyun nahin rok paa rahe hain, shayad yahee aas liye hain kee kabhi toh nisha phir se uske pass waps aayegi, wo dono phir se ek honge ,,
aur aap drama ke shaukeen toh socha kee kaheen is story mein HAPPY ENDING bhi mil jaye.
par lagta nahin aisa hoga kyunki aapne toh hum log ko beech mein hi chhor ke chale gaye hain.
 
  • Like
Reactions: Lover_boy143
Top