devilking18
New Member
- 2
- 7
- 18
Abhi toh ajju aur monu bhi raw ko join karnay walay hai ...
Behad hi shandar or jabardastupdate bhai.Update 034
----------------------------
dopehar lagbhag 12 baje ka samay tha. lunch ki taiyari ho chuki thi. sab dining table par ajju ka wait kar rahe the jo ki subhay se apne room me hi tha. kisi ki bhi himmat use bulane ki nahi ho rahi thi. jese tese mangal kaka himmat kar ke ajju ko bulane gaye par ajju ne unse khana apne hi room me mangba liya. baki logo ne bhi majboori me khana suru kar diya. abhi sab log lunch le hi rahe the tabhi poonam ghar par aai. pro. narayan ke alawa poonam ko koi nahi janta tha.
pro. narayan- aao poonam, betho hamare saath lunch kar lo
poonam- thanks sir but mai lunch kar ke aai hu.
pro. narayan- kesa chal raha he sab??? koi kaam tha kya???
poonam- ek dum perfect, actually me ajay sir ne mujhe bulaya tha. wo dikhai nahi de rahe
pro. narayan- ajju ne??? par kyu???
poonam- unhone flights ki kuchh tickets book karai thi
pro. narayan- lao mujhe de do. aur haan agar ajju se milna ho to upar first flore par uska room he baha chali jao. wo bahi he
poonam- nahi uski koi jarurat nahi he. ye lijiye tickets
itna bolkar poonam ne ek envolope pro. narayan ko de diya aur baha se chali gai. lunch karne ke baad pro. narayan ne envolope ko open kar ke dekha to usme delhi se indore ki 6 tickets thi. aur ek ticket delhi se guwaahati ki thi jo ki indore bali flight ke 3 ghante baad ki thi. guwahati ki tickets dekh kar sabhi ko kaafi ascharya hua. kisi ko kuchh samajh me nahi aaya ki akhir ajju ne ye ticket kyu mangwaya he. achanak renu ne mangal kaka ko bulaya
renu- kaka jab aap ajju bhai ke room me gaye to wo kya kar rahe the
mangal- beta chhote malik to apni packing kar rahe the yesha lag raha tha jese lambe samay ke liye kahi bahar jaane wale he
renu- unhone kuchh bataya aap ko kaha ja rahe he wo
mangal- nahi mene unse poochha hi nahi.
pro. narayan- thik he mangal tum apna kaam dekho
ab sabhi ke saamne baat saaf thi ajju hi assam ja raha tha. par kyu aur yu achanak baha jaane ki kya jarurat pad gai. wo bhi nisha ki saadi bale din. halaki renu aur maa saari baat samajh gai thi par unhone baha kuchh bhi kehna uchit nahi samjha. lunch kar ke sabhi log aaram karne chale gaye jabki pro. narayan, ravi aur manju indore jane ke liye apni apni packing karne lage. wo log bhi indore nisha ki saadi me jaane bale the. baaki logo ka saman to pehle se hi pack tha.
aaj subhay ki ghatan se aur fir ajju ke assam jane ki baat se maa aur renu ka man aaram karne ka nahi kar raha tha. wo ajju se baat karna chahti thi is liye lagbhag ek saath hi dono ajju ke room ki taraf bad gai.
--------------------------------------------------------
ajju ne abhi tak lunch nahi kiya tha khana abhi bhi besa ka besa table par rakkha hua tha. jabki ajju khamoshi se apni packing me bussy tha.
maa- ajju kya he ye sab, tum assam kyu ja rahe ho packing dekh kar to lag raha he ki tum lambe samay tak baha rukne baale ho
ajju- haa maa, actually me mai kuchh samay ekant me kisi prakirtik jagah par bitana cahata hu. nature ko ek dum kareeb se dekhna chahata hu.
maa- pay yu achanak abhi to tumhara kaam bhi poora nahi hua he
ajju- bhool jao maa sab kuchh. ab mai thak gaya hu ye jung sayad mai aur nahi lad paunga.
maa- par kyu??? akhir yesha kya ho gaya jo tune ye faishla liya
ajju- maa mujhe lagta he ki mai bahut selfish hota ja raha hu. mai apni jung ke liye apne badle ke liye sab ko khatre me nahi daal sakta. ye jung tab tak nahi ruk sakti jab tak ya to mai ya fir chief me se koi ek khatam nahi ho jata. mujhe apni chinta nahi he par apno ki chinta he. mai aap sab ko khatre me nahi daal sakta. aaj aap sabko meri bajah se apne ghar ko apne gao ko chhod kar aana pada. meri bajah se us gurjar ne uncle ke saat yesha vartav kiya, meri hi bajah se us kameene ne renu par gandi najar daali. meri hi bajah se jiya ki jaan gai. meri hi bajah se mama ji ki jaan jate jate bachi mere hi karan nisha ki jaan khatre me he. ye jo kuchh bhi ho raha he sab mere karan hi ho raha he. jab mai hi nahi rahunga to ye sab ruk jayega. is liye mai aap sab se doore hamesha ke liye ja raha hu. kuchh samay assam ke jungalo me bitaunga fir dekhta hu jingi mujhe kaha lekar jaati he. par ab mai lotkar bapis kabhi nahi aaunga. ya to apne aap ko kanoon ke hawale kar dunga ya fir hamesha ke liye bahut door chala jaunga
maa- na beta na yesha nahi bolte jo kuchh bhi hua usme tumhari koi galti nahi he
ajju- nahi maa meri hi galti he. uncle thik keh rahe he aap log monu ke saath jyada safe he. aur bese bhi jab mai hi nahi rahunga to chief ko bhi aap logo se koi matlab nahi rahega.
maa kuchh kehne hi baali thi ki achanak ajju ke mobile par raghu ka call aaya
ajju- haan raghu bolo
raghu- bhai hame yadav ka thikana pata chal gaya he aap kaho to use bhi uthaba lu
ajju- thik he, aur haa uski achhe se khatir daari karte rehana. sayad kuch samay mera tumse contect na ho pay to fir ravi bhai se baat kar lena. wo jesa kahe besa karna.
raghu- jee bhai
fir ajju ne phone cut kar ke table par rakh diya
renu- bhai aap hamare sath indore nisha di ki saadi me chalo fir baha se aap jaha chaho chale jana
ajju- nahi mai ab baha nahi ja sakta
renu- par abhi unpar se khatra tala nahi he
ajju- jab tak me yaha hu sab par khatra bana hi rahega. bese bhi mene monu se bol diya he, usne unki sadi tak ke liye security ka intjam kar diya he. aur fir kal to wo apne pati ke saath hamesha ke liye mumby chali hi jayegi bahi par wo sab sattel ho rahe he.
renu- mujhe laga sayad aap baha jaoge
ajju- renu mai koi patthar ka nahi bana hu mai bhi insaan hu. mai janta hu ki mere kehane par hi nisha di ye saadi kar rahi he, par agar mai baha gaya to sayad wo saadi se inkar kar de, ya fir ho sakta he mai hi apni saari maryadao ko aur ushoolo ko bhool kar samaj ki parwah kiye bina wo kar bethu jo ek bhai behan ke riste me kabhi nahi hona chahiye. bese bhi mere andar ab unka samna karne ki himmat nahi bachi he. mene unhe pal pal rote dekha he andar se tootte dekha he. ab aur nahi dekh sakta
mahol ek dum bhari ho gaya tha is samay teeno ki ankho me anshu the ya sayad charo ki ankho me pata nahi kab monu ke pitaji aa gaye the aur gate par khade khade unlogo ki bate sun rahe the. halaki unhe nisha ka matter samajh me nahi aaya par ajju ko in sab mamlo me khud ko dosh dena unhe chuv raha tha. ajju kuchh kehne hi bala tha ki tabhi uski najar uncle par padi aur fir bo khamosh hi reh gaya aur sir jhukay apna kaam karne laga. uncle andar aaye aur ajju ke kandhe par haat rakh kar bole
uncle- subhay ki baat ko lekar apne uncle se ab tak naraj he
ajju- nahi to, mai aap logo se naraj kese reh sakta hu
uncle- fir kya he ye sab???
ajju- uncle sayad aap thik keh rahe the, aap log monu ke paas jyada safe he. bese bhi ye sab meri bajah se hi to hua he. haa mujhe subhay aap ki baat par guss aaya tha par jab mene is baare me socha to mujhe aap ki baat sahi lagi. aur ye yehsash hua ki mujhe vastav me aap sab de door chale jana chahiye. bese bhi mai bahut kuchh kho chuka hu ab aap logo ko nahi kho sakta. is jung se mujhe ab tak kuchh bhi hasil nahi hua. balki mene khoya hi h. aur jyada khone ki himmat mujh me nahi he
uncle- par mujhe yesha kyu lag raha he jese tum ye sab is liye kar rahe ho kyu ki tumhe meri baat buri lagi
ajju- apno se door jane par bura to sabko hi lagta he. mene to apni sagi maa ko kabhi dekha hi nahi tha, maa ne hi mujhe ye yehsash karaya ki maa kya hoti he. papa ne bhi bachpan se mujh par koi khash dhyan nahi diya tha, par aap ne kabhi mujhe baap ki kami mehsoos nahi hone di. mujhe koi bhi jarurat hoti thi to mai hak se aap se mang leta tha. renu ne kabhi mujhe ye yehsash nahi hone diya ki mai uska saga bahi nahi hu. fir bahala mai aap sab se naraj kese ho sakta hu. aap umra me aur anubhav me mujhse kaafi bade he, aap jo bhi faishla karenge bo kaafi soch samaj kar karenge. par jo kuchh bhi ab tak hua he uske liye kahi na kahi mai apne aap ko doshi manta hu, aur manta rahunga. bas isliye mene ye faishla kiya he ki mujhe aap sab se door chale jana chahiye. isi me sab ki bhalai he.
maa- thik he ajju agar tumhara yahi faishla he to ham tmhe nahi rokege. tum jaha jana chaho ja sakte ho par yaad rakhna teri ye maa hamesh tere bapis aane ka intjaar karti rahegi
ajju- maa mera ek kaam karogi
maa- kya?????
ajju ne apne bag se ek choti si dibbi nikali jis me thik besa hi ek locket tha jesa usne jiya ko diya tha.
ajju- maa plz ise nisha di do meri taraf se de dena
maa ne bo locket apne hand bag me rakha liya
maa- thik he mai de dungi
ajju- aur haa abhi nisha di ko mere baare me kuchh mat batana, aur monu se kehna ki aaj bale hi wo police officer ho aur uski najar me mai ek crimenal par mere liye bo aaj bhi mera bahi dost monu he, aur hamesha rahega. usse kehna ki agar uske andar ka police office hamari bachpan ki dosti par hawi hone ki kosis kare aur use lage ki dosti ki bajah se ek crimenal uske haath se nikal gaya ya maine ab tak jo bhi kiya galat kiya to mama ji ke paas soochana bhijba dena mai apne aap ko kanoon ke hawale kar dunga. mai aap sab se door bhale hi ja raha hu par kabhi bhi mere kisi bhi apne par musibat aye to ek baar mujhe dil se yaad kar lena bhale hi mai duniya ke kisi bhi kone me rahu mai doda chala aunga ye mera vada he.
maa- thik hai mai usse bol dungi. chal teri packing baad me kar lena pehle khana kha le
ajju- maa aaj apne hato se khila do na jese bachpan me mujhe, monu aur renu ko khilati thi. pata nahi fir kabhi moka mile na mile.
maa ne koi jabab nahi diya aur table par rakkhi khane ki plate ko utha liya aur ajju ko khana khilane lagi
-----------------------------------------------------
sabi logo ko 3:00PM ki flight se indore jana tha. ajju khud hi sabhi ko airport chodne gaya hua tha. ajju ki flight saam 6:30PM ki thi, is liye ajju airport se sidhe office chala gaya aur baha varun aur poonam ko bula kar unhe apne bahar jaane ke baare me bata diya. kaafi der discus karne par yah tay hua ki poonam aur varun conpany ko tab tak yese hi manage karte rahege jab tak ki ajju bapis aakar charge nahi le leta. ya jab tak koi naya MD niyukt nahi kar deta, tab tak compony ke sabhi chhote mote faishle ye dono milkar hi lenge.
aur saari detail online ajju ko per day bhejte rahege. halaki ye bahut badi jimmedari ajju ne dono ko de di thi par ajju ko yakeen tha ki ye dono poori imandari aur mehanat se compony ko samhal lenge.
ab ajju lagbhag apne sabhi kamo se free ho gaya tha. ek akhri kaam bacha tha simmi aur yadav ka faishla karna jise usne ravi aur manju ke upar chhod diya tha, kyu ki ye log jitne ajju ke doshi the usse kahi jyada ravi aur manju ke bhi doshi the. ajju unse ye hak nahi chhinna chahata tha.
ajju baha se sidha ghar pahucha, uski flight ka samay bhi hone bala tha. is liye usne apna sara saman ek baar fir se cheak kiya. tabhi uski najar us packet par padi jo ki inspector gurjar ne use diya tha. ye bahi packet tha jo uske pita ne akhri baar use courior kiya tha ajju ne use utha liya aur fir ek baar ghadi me time dekha.
ajju ke paas filhaal paryapt samay bacha hua tha is liye ajju ne use kholkar check karne ke baar me socha tabhi uske man me vichar aaya ki kyu na ek baar mama ji ya maa ko call kar ke poochh le ki wo log pahuche ya nahi. is liye ajju ne us packet ko bapis apne bag me rakh diya aur maa ko call karne laga.
kuchh hi der me maa ne call recive kiya
ajju- maa aap log pahuch gaye
maa- haa bas abhi kuchh der pehale hi ham yaha pahuche he. tu abhi tak nikla ya nahi
ajju- bas nikal hi raha tha socha ek baar aap logo se confirm kar lu. aap log monu aur nisha se mile ya nahi
maa- nahi abhi unse nahi mil paye he. monu se phone par baat hui thi nisha taiyaar hone ke liye beauty parlar gai he, monu bhi uske saath hi he.
ajju- thik he maa, jab wo aa jaye to nisha ki ek pic khinch kar mujhe msg kar dena plz
maa- tu khud hi kyun nahi aa jata??? khud hi apni anko se dekh le use ek baar
ajju- nahi ma mai nahi aa sakta bese bhi mai aap logo ki ankho se hi use dekh lunga.
ajju ne jyada baat nahi ki aur phone cut kar diya. kuchh der tak ajju yun hi apne khyalo me gum betha raha fir usne wo pakcet dobara apne bag se nikal liya aur jese hi use kholne ki kosis ki ajju ka phone baj utha. ajju ne screen par check kiya manish bhai ki call thi. ajju ne bina der kiye call recive ki
ajju- haa bhai
manish- kaha ho tum
ajju- delhi
manish- kyaa???? kab gaye???
ajju- kal hi indore se nikla hu
manish- mujhe bataya bhi nahi
ajju- bhai sab kuchh ek dum achanak se ho gaya tha, aap bataiye aap ne kese call kiya
manish- tumne jis ladki par najar rakhne ke liye kaha tha uske baare me kuchh jaankari mili he
ajju ka dil achanak se jor jor se dhadakne laga ek ajeeb si bechaini use mehsoos hui
ajju- kya????????
manish- apne ek aadmi ne mujhe bataya he ki kuchh ladke kal se us ladki par najar rakh rahe he. usne un logo ki baate bhi suni he, bata raha tha ki sayad aaj saam ko kisi beauty parlar se us ladki ko uthane ka program he
manisha ki baat sun kar ajju ke pero tale jameen nikal gai, wo lagbhag chikhta hua bola
ajju- kyaaaaaa??? par ye kese ho sakta he. mene to indore me chief ke sabhi aadmiyo ko apne hato se maar diya he. fir ye naye kon aa gaye
manish- pata nahi sayad college students he aur wo local indore ke bhi nahi he. apne aadmi ne bataya ki baat chit se lag raha tha ki nashik side ke he
ajju- abhi kaha he wo
manish- mene use un admiyo ke pichhe lage rehne ke liye boldiya he. socha ek baar tumhe bhi informe kar du. ab tum batao kya karna he unka.
ajju- bhai usse bol do ki unpar najar rakkhe mai aap ko kuchh der me call karta hu.
ajju ke chehare par ghabrahat badti ja rahi thi, jis baat ka use dar tha bahi ho raha tha. ab uske samne baat ek dum clear ho gai thi. monu ki family ko pareshan karna ek bahana tha, taki wo indore se bahar ja sake aur chief apana game khel sake kyu ki uske rehte nisha par haath dalna chief ke liye namumkin ho gaya tha.
ajju ne turant monu ko call kya
ajju- kaha he tu
monu- nisha di ke saath beauty parlar aaya hu
ajju- wo bahi tumhare samne hi he na
monu- kesi baat kar rahe ho wo andar cabin me he. bese bhi ladies parlar me mera kya kaam mai t bahar unka wait kar raha hu. is samay paas hi ek restorent par cofee pee rha tha. kyu koi kaam tha kya
ajju- tum turant unke paas jao aur ek pal ke liye bhi unhe apni najro se door mat karna
monu- akhir baat kya he
ajju- mujhe khabar mili he ki koi unhe beauty parlar se uthane bala he
monu ne isse jyada aajju ki baat nahi suni aur beauty parlar ki taraf dod laga di, kyu ki wo janta tha ki in sab mamlo me ajju ka network kaafi achchha he. agar use ye khabar mili he to kahi na kahi sachchai hogi hi.
lagbhag 10 minute ke baad ajju ke paas monu ka phone aaya
ajju- haa bol kya hua
monu- bhai mujhe maaf kar de mujhse bahut badi galti ho gai
ajju ko monu ki awaj me ghabrahat saaf mehsoos ho rahi thi. jabki ajju pehale se hi kaafi jyada tanav me tha is liye wo paglo ki tarah chillaya
ajju- akhir hua kya he????
monu- abhi abhi kuchh hi der pehale kuchh log nisha di ko beauty parlar se jabardasti utha kaar le gaye. sabhi ne apne chehare ko dhak rakkha tha, is liye kisi ne unhe nahi pehchana. aur unke paas gun bhi he.
ajju- kitne der pehle ki baat he
monu- yahi koi 10-15 minute pehle ki
ajju- kuchh idea he kis taraf gaye he aur kis gadi se
monu- nahi yaar kuchh bhi pata nahi chala.
ajju- abhi ye baat nisha ke ghar par kisi se mat kehana,
monu- thik he par plz mujhe maaf kar de
halaki ajju ko is samy kaafi guss aa raha tha par usne jese tese apne gusse ko controll me rakkha hua tha.
ajju- ab samajh me aaya na ki mai kyu tumhare kanoon par jyada bharosha nahi karta. tujhse ek kaam ke liye kaha tha wo bhi nahi kar paya. kitni badi badi baate kar raha tha mujhse. yaad rakhna agar nisha ko kuchh hua to mai tujhe kabhi maaf nahi karunga. aur haa mai aa raha hu bapis indore. ek ek ko chun kar marunga tu bacha sakta he to bacha lena unko mere kehar se.
ajju ne turant phone disconnect kiya aur poonam ko call kiya
poonam- haan sir
ajju- poonam mere assam jane bala ticket cancle kara do aur mujhe abhi indore jane bali flight ki ticket chahiye
poonam- but sir ab to 9 baje se pehale koi flight nahi he
ajju- mere paas itna samay nahi hai. mujhe abhi indor ke liye nikalna he. chahe iske liye private jet hi book kyu na karna pade "do what ever you can" kya karna he kese karna tum jano mai sidha airport ke liye nikal rah hu, tab tak mera indore jane ka intjam ho jana chahiye.
itna bolkar ajju ne phone disconnect kar diya aur manish ko call kar diya
ajju- bhai abhi abhi pata chala he un logo ne use utha liya he. apana banda baha pahucha ya nahi???
manish- tumhe kese pata chala
ajju- ASP manoj dube mera dost he wo is samay bahi par he. par unhe kuchh bhi pata nahi chal paya he ki kon log the, kab, kese aur kaha le gaye he
manish- mai abhi pata karta hu????
ajju- bhai kese bhi kar ke unhe dhundna he. jitna pesa kharch ho mai karne ke liye taiyaar hu bas mujhe wo surakshit chahiye. mai yaha se nikal raha hu. 2 ghante ke andar andar indore me hounga.
manish- tum chinta mat karo use kuchh nahi hoga mai tumhe airport par hi milunga aur indor me apne sabhi aadmiyo ko isi kaam par laga deta hu. aur haan agli baar hamare bich me peso ko lekar mat aana
ajju- thanks bhai bas aap hi meri akhri umeed ho
itna bolkar ajju ne phone cut kiya aur bina der kiye gadi me beth gaya aur airport ki taraf gaadi toofani gati se bahaga di. airport ke bahar hi use varun aur poonam uska wait karte huye mil gaye
poonam- sir kya baat he itni urgent indore
ajju- kisi ki jaan khatre me he
poonam- kis ki ???
ajju- mera apna hi he jo mujhe apni jaan se bhi jyada pyara he, tum ye batao kya hua???
poonam- sir flight to is samay koi nahi he is liye majboori me private jet book karaya he. 10 minute me yaha se take off karega. jet airways ko chota plane he jo 1-1:30 ghante me aap ko indore pahucha dega.
itna bolkar poonam ne uske tickets ajju ko diya. ajju ne turant ticket collect kiya aur airport ke andar jane laga. fir achanak ruk kar
ajju- good poonam tumne achchha kaam kiya is mahine apni salary me salary ke barabar insentive bhi jod lena.
fir bina poonam ki koi baat sune teji se andar chala gaya.
------------------------------------------------
lagbahag 7:30 ke aaspass ajju ka plane indore land kiya. ajju turnat airport se bahar aaya jaha use manish aur ravi ke saath kuchh aur ladke khade dikhai diye. ajju unki taraf bad gaya
ajju- ravi bhai aap????
ravi- haan manish ne mujhe call kar ke sab bata diya tha is liye mai bhi aa gaya.
ajju- kuchh pata chala
manish- haan pata chal gaya he wo log nisha ko nasik haighway ki taraf le gaye he.
ajju- kitna time hua
manish- lagbhag 45 minute pehle un logo ko nasik highway par dekha gaya tha
ajju- yaha se kitni door he nasik haighway
manish- mai road se jaye to lagbahg 45 minute ka rasta he par agar shortcut pakde to 15 minute me nasik highway par ja sakte he par shortcut par four wheelar se nahi ja sakte.
ajju- koi baat nahi mujhe ek bike ka intjam kara do aur shortcut samjaha do mai shortcut se baha jata hu tab tak aap main road se aa jaiye.
manish- thik he abhi 5 minute me bike ka intjam kara deta hua. bese hamare kuchh aadmi pehle se hi highway ki taraf gaye he. aur ab tak wo highway par pahuch bhi gaye hoge
itna bolkar manish kisi ko call karne laga jabki ajju ne monu ko call kar diya
ajju- kuchh pata chala kya????
monu- nahi bese mene poore indore ki nakebandi kara di he. wo log indore se bahar nahi ja sakte.
ajju ko monu ki baat par bahut jyada gussa aaya par is baar usne apne gusse ko roka nahi
ajju- tum indore ki nakebandi hi karte rehna aur wo log nisha ko lekar nasik highway par pahuch bhi gaye he
manu- kya nashik highway par kese??? mene to turant hi poore indore ko seel kara diya tha. bese tumhe ye sab pata kese chal raha he
ajju- bas ek crimenal aur ek police adhikari me yahi to antar hota he. agar jis tarah se mere paas information aati he aur mai kaam kar leta hu agar police bhi bese kaam kare to is desh me kabhi koi crime hoga hi nahi.
ajju ne monu ke jabab ka intjar nahi kiya aur phone disconnect kar diya. tab tak manish bhi free ho chuka tha. fir manish ajju ko highway ka shortcut rasta samjhane laga. kuch hi der me ek ladka baha aaya jo ki "KTM duke 390" sport bike se tha. usne aate hi bike ki key ajju ke hato me thama di. ajju ne bina deri kiye bike ko full speed me shortcut raste ki taraf doda diya.
lagbhag 10 se 15 minute me wo nashik highway par tha. ab wo full speed me nashik ki taraf jaane baale road par apni bike bhaga raha tha. is samay uski ankho ke samne kebal nisha ka chehara hi ghoom raha tha.
lagbhag 20 minute isi speed me bike bhagane par use aage chalkar road ke ek side 2 four wheelar khadi hui dikhai di unke paas kuchh ladke khade huye the. unme se 1 ladke ko ajju janta tha uska naam rohit tha. ajju rohit ko kai baar manish ke sath dekh cuka tha. ajju ne bhi apni bike uske paas rok di. rohit turant ajju ko pehchan gaya
ajju- kya hua????
rohit- bhai yaha se 2km aage toll naka he. ham ne baha jakar pata kiya he. us gaadi ne toll naka cross nahi kiya he abhi tak
ajju- tum logo ko pakka pata he na ki wo isi highway par aaye he
rohit- bhai ek dum pakki khabar he
ajju- konsi gadi se he wo log
rohit- silver color ki SUV he
ajju- is highy par aur koi rasta he kya. matalab koi single cross road, ya kisi gao bagerah jaane ka rasta
rohit- nahi yesha to koi rasta nahi he par haan. yaha se 1 km aage toll nake se pehle left side me ek road gaya he. jo ki lagbah 4-5 km lamba he
ajju- kha jata he wo road???
rohit- us side purana khandahar he. jyadatar toota foota he, koi bhi us taraf nahi jata log kehte he baha bhoot rehte he.
ajju- wo pakka bahi gaye hoge. mai bahi ja raha hu. tum log yahi ruko pichhe manish aur ravi bhai aa rahe he. tum log unhe lekar bahi aa jana
rohit- mai 1 ladke ko yaha chod jata hu aur ham sab aapke saath chalte he. aap ka baha yun akele jana thik nahi he
ajju- kuchh nahi hoga mujhe tum bas mujhe ek gun de do. bese mai baha tum log ke aane ka wait karunga. dushri baat ye ki ho sakta he mera anuman galat ho. ho sakat he ki wo log pichhe kahi ruk gaye ho aur hamne unpar dhayan nahi diya ho. hamare jate hi agar wo log yaha se nikal gaye to gadbad ho skati he. is liye tum log yahi ruko
rohit- thik he bhai jesa aap kahe
fir rohit ne ajju ko ek gun di jo ki poori bahri hui thi. fir ajju baha nahi ruka aur aage bad gaya.
----------------------------------------------
lagbhag 15 minute baad ajju khandhar ke ek dum paas pahuch gaya usne apni bike ki head light band kar di aur jhadiyon ke paas apni bike rok di. fir baha se ajju pedal hi khandhar ki taraf bad gaya.
thoda aage jane par use ek SUV khadi dikhai di. jiska engin abhi tak garam tha. iska matlab saaf tha ki wo kuchh der pehle hi baha aai he raat ki bajah se ajju ko uska color samajh me nahi aaya. SUV ke paas hi ek loading gaadi bhi khadi hui thi. ajju ko uska matlab samaj me nahi aaya. wo apne aap ko chipata hua khandhar ki taraf chal diya. halanki charo taraf andhera tha par khanhar ke aas paas roshni thi aur khandhar ke aandar se bhi kaafi tej roshni bahar aa rahi thi.
yesha lag raha tha jese andar koi viseha kaam chal rha he. ajju ko khandar ke main gate par do ladke khade dikhi diye jinke haat me gun thi. halanki ajju ke paas bhi gun thi aur wo asani se unpar nishana laga sakta tha par kuchh soch kar wo ruk gaya aur andhere ka fayda uthate hue khandhar ke pichhe pahuch gaya.
ajju is samy ek tooti hui dewar ke paas khada hua tha. ajju bina der kiye us diwar ke paar pahuch gaya. khanhar khash bada nahi tha. is liye nisha ko dhundne me ajju ko koi khash mehnat nahi karni padi
khandhar ke bicho bich angan me ek bada sa bistar dala hua tha jis par white color ki chadar bichhi hui thi. us bistar ke bicho bich is samy nisha bethi hui thi jo ki dulhan ke livash me thi aur ro rahi thi. uske hath aur pair bandhe huye the. taki wo baha se bhag na sake.
bistar ko focus karti hui kai saari light lagi hui thi uske charo taraf 4 ladke khade huye the jinki umar ajju ke barabr hi hogi. ek ladka baha camera set kar raha tha jabki 2 ladke unse thodi door gun liye khade huye the.
ajju ko ye samajhte der nahi lagi ki ye lag yaha par nisha ki blue film banane baale he. ye dekh kar ajju ka khoon khoul utha. ajju kuch karta isse pehle ek ladko jiske hath me gun thi bol utha
"aur kitna time lagega, mujhse ab raha nahi jata, itne mast maal ko dekh dekh kar mera kab se khada ho rakkha he"
uski baat sukar wo ladka jo ki is samay camera set kar raha tha bol utha
"bas ho gaya dost, ab suru karte he apana khel bese bhi meri halat tum se alag nahi he. ye bechari to mar hi jayegi ham sab to is samay bhooke ser ki tarah he, bada maja aayega ki kali ko masalne me"
achanak nisha ne rona band kar diya aur un logo ki taraf nafrat se dekhte huye boli
nisha- tum bahut badi galti kar rahe ho ye tumhari jindgi ki akhri galti sabit hogi
nisha ki baat sunkar camera set karne bala ladka bola
"rassi jal gai par bal nahi gaya, dekho dekho bhai logo hamare chungul me fansi hui he fir bhi kitni akad se baat kar rahi he"
aur log kaha pichhe rehne baale the unhi me se ek ladka bola
"abhi kuchh hi der me iski saari akad dheeli kar dunga. chahe jitni baate kar le akhir me mere niche hi aayegi. yaha koi nahi aane bala tujhe bachane bala"
itna bol kar wo jor jor se hanshne laga. aur baaki log bhi uska saath dene lage. nisha kuchh pal khamosh rahi par fir wo ghayal serni ki tarah gurrai
nisha- galat fehami he tum logo ki. ab tak use sab pata chal gaya hoga aur kuchh hi der me wo tum sabki mout bankar yaha khada hoga
bahi ladka- kis ki baat kar rahi he tu
nisha- kuchh hi der me tumhe khud ba khud pata chal jayega, agar tumne mujhe chhua bhi to bo tumhe itni buri mout dega ki bhagwan bhi tumhe agla janam dene se pehle 10 baar sochege. jin gandi najro se tum mujhe dekh rahe ho wo tumhari inhi ankho ko noch lega
camera bala ladka- jab kisi ko pata chalega ki ham yaha he tab to wo yaha aayega na. bese bhi ek aadmi ham sab ka kya bigad lega
abhi uski baat bhi khatam nahi hui thi ki ek aur ladka bol pada
"kyu faltu bato me time kharab kar rahe ho mera to kab se khada hua he ab to usme dard bhi hone laga he"
itna bolkar wo ladka nisha ki taraf bad gaya. nisha ke chehare par dar is samay saaf dikhai de raha tha wo chikh uthi
nisha- nahiiiiii mai kehti hu door raho tum log mujhse barna achchha nahi hoga
nisha ki baat sun kar sabhi jor jor se hasne lage. ye sab ab ajju ke bardast ke bahar ho chuka tha, usne apne hath me gun ko majbooti se tham liye aur diwar ke pichhe se bahar nikal aaya aur unlogo ke saamne khada ho gaya. isse pehle wo ladke kuchh samajh pate ajju ne un dono ladko par fire kar diya jinke hath me is samay gun thi
agle hi pal do logo ki lashe baha bichhi hui thi. kisi ko kuch bhi samajh me nahi aaya ye hua kya he. jab tak wo log apne aap ko samhalte ajju ne ek aur fire camere par kiya aur camra toot gaya. fir ajju ne un sab ko ek saath khade hone ka ishara kiya aur nisha ke pass jaka uske haath pair kholne laga. wo abhi bhi ek hath se gun un sab ki taraf kiye huye tha, jabki dushre haath se nisha ke hath kholne ki kosis kar raha tha.
abhi poori tarah se ajju nisha ke hath khol bhi nahi paya tha ki achanak ek goli uske gun bale hath par padi aur uski gun uske hath se door ja giri. pata nahi kaha se 2 aur ladke baha aa gaye the. sayad wo bahi chipkar najar rakh rahe the, ajju ke asabdhan hone par unlogo ne apna kaam kar diya tha. goliyo ki awaj sun kar bahar khade dono ladke bhi andar aa gaye. ab baha kul 9 ladke the, jinme se 4 ke pass gun thi baki 5 logo ne chaku nikal liye the. aur is samay unka nishana ajju tha.
isse pehle ki wo log fir se ajju par nishana sadhe ajju ne furti se nisha ko apni baho me uthaya aur diwar ke pichhe chala gaya. nisha ke hath pair abhi bhi bandhe huye the par ab hatho par bandi rassi itni loose ho chuki thi ki nisha use khud hi khol sakti thi.
halaki ajju ka irada baha se bhagne ka bilkul nahi tha, par wo nahi chahta tha ki jara si laparbahi se nisha ko koi nuksan ho. uske liye nisha ki safty sabse pehle thi.
nisha ko diwaal ke pichhe chhipane ke baad ajju bapis unke samne aakar khada ho gaya. ajju ye janta tha ki ye log kaafi jyada he, aur wo akele unka mukabla nahi kar sakta. par use apni chinta thi bhi nahi. khandhar me andar aane se pehale hi usne manish ko call kar ke bata diya tha. kuchh hi der me bo log bhi baha aa jate, fir sab kuchh ajju ke controll me hota. ajju ko bas kuchh der tak un sabko uljha kar rakhna tha. is liye wo unke saamne aakar khada ho gaya tha. aur unse baat karne ki kosis karne laga.
ajju- kon ho tum log aur ye sab kis ke kehne par kar rahe ho????
camera bala ladka- tumhe isse kya matlab, bese bhi jaan kar kya karoge kuchh hi der me tum to marne baale ho, tumhare paas yaha se bhagne ka moka tha par tumne fir se hamare saamne aakar galti kar di
ajju- galat fehmi he tum sab ki, mai to tum logo ke saamne is liye aaya hu ki tum logo ko jinda rehne ka ek moka de saku.
camera bala ladka- hamari chhod aur apni khair mana
ab tak ajju unhe bato me uljha kar dhire dhire paas me hi dali hui apni gun ke ek dum paas pahuch gaya tha. ab uske pass moka tha, par thodi si galti use nuksaan bhi pahucha sakti thi. par ajju ko apne nuksaan ki koi parwah nahi thi. usne apni gun ki taraf chhlang laga di. aur fir fire ki awaj aur chikho ki awaj baha gunjne lagi. kuch der baad jab khamoshi hui thi. to baha un 4 ladko ki lase bhi dali hui thi jinke paas gun thi par marte mare unlogo me se kisi ne ajju par bhi nishana sadh liya tha kyu ki ajju ke sarir se bhi khoon nikal raha tha sayad ajju ko bi goliya lag gai thi. kitni ye khud ajju ko bhi nahi pata tha.
ajju ne ek baar fir se apni gun par apni pakad majboot ki aur unlogo par nishana sadh kar fire kar diya. ek ke baad ek 4 fire aur huye aur 4 aadmi aur baha dher ho gaye. par panchbi baar jab ajju ne fire kiya to gun se "click" ki awaj aai. matlab ki gun khali ho chuki thi. aur abhi bhi ek ladka jinda tha. ajju ne gun ko ek taraf fenk diya aur us ladke par chhalang laga di. jo ki dar ki bajah se kamp raha tha.
aur kyun na kampe ek ke baad ek uske sabhi dost maare ja chuke the. use to ajju is samay sakchhat yamdoot najar aa raha tha. khali gun ki awaj bhi use rahat nahi pahucha pai thi, balki uske dar ko aur bhi jyada badane ka kaam kiya tha. wo yaha se bhagna chata tha par uske pair uska sath nahi de rahe the.
ajju ne use daboch liya aur ek jhatke me use jameen par patak kar uske ek pair ko apne pero se dabaya aur dushre pair ko hato se pakadkar khinchne laga. us khandhar me us ladke ki dardnak chikh goonj rahi thi.
"aaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhh"
ajju- abhi bhi smay he tum chaho to mai tumhe jinda chhod sakta hu. bas mere sabalon ke sahi sahi jabab do
ladka- kkkkyaaaaaaa janna chahate ho???
ajju- chief kon he kaha rehta he
ladka- kkkkon chief mai kisi chief ko nahi janta
ajju ne fir se uski tanga ko khinchna suru kiya
ladka- aaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh mai kasam kha kar kehta hu mene kabhi ye naam suna bhi nahi
ajju- to fir ye sab kiske kehne par kiya tha
ladka- ye to ham ...............
ajju- jaldi bolo kon he woooo aaaaaaaaaahhhhhhhhhh
ladka- aaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh..................
isse pehle wo ladka kuchh aur kuchh keh pata pichhe se ek ladke ne ajju ki pith me chaku ghomp diya jo ki jad tak andar ja chuka tha.
ab tak nisha bhi apni rassiya khol kar bahar aa chuki thi ajju ki halat dekh kar uske muh se chikh nikal gai
nisha- aaaaaajjjjjjjjjjjjjjuuuuuuuuuuuuuuuu nahi ye kya ho gaya oh god
ajju ke hatho ki pakad majboot ho chuki thi dard aur gusse ki bajah se wo bhool gaya ki use aur bi bahut kuchh janna he aur dekhte hi dekhte jo ladka use sab kuchh bata raha tha ajju ne uske dono pero ko cheer diya. aur jab palt kar dekha to camere bala ladka ajju ke piche khada hua tha jise kandhe par goli lagi thi. sayad isi liye wo jinda bach gaya tha
ajju ne us lake ki gardan ko apne hatho me tham liya aur davav banane laga aur agle hi pal "chattt" ki awaj ke sath us ladke ki gardan ki haddi toot gai. aur sab kuchh sant ho gaya. par ajju yahi nahi ruka aur baha dali lasho par ek ek kar ke late marne laga.
jab kisi lash se koi harkat nahi hui to ajju bha bicho bich dale huye bistar par jakar beth gaya. jo ki khoon ki chhito se san gaya tha. jabki nisha bahi ghutno kal beth kar sisak rahi thi.
kuchh der baad ajju ko dard ka yehsas hua aur usne hath pichhe kar ke apni pith par dhanse huye chaku ko nikal liya. chaku nikalte hi ajju ke muh se ek krah nikal gai.
ajju- aaaaaaaahhhhhhh
ajju ki awaj se jese nisha ko hosh aaya aur wo dod kar ajju ke paas aa gai.
nisha- ohhh god ye kya ho gaya, ye sab meri bajah se hua he
ajju- kuchh nahi hua he mujhe mai thik hu. chalo ghar chalte he sab wait kar rahe hoge
nisha- mujhe parwah nahi he. is samay to tumhe sidha hospital chalna chahiye
ajju- mai thik ho jaunga. kuchh hi der me ye sare jakham bhar jayege. tum to janti ho sab
nisha- par itna khoon kyu nikal rha he
ajju- sayad kuchh goliya bhi lagi hui he. unhe nikalna padega. jab tak wo nahi niklegi ye jakhm nahi bharege
nisha- kyaaaaaaa???
nisha ne turant ajju ke hath se chaku chhin liya aur uske paas me hi bistar par rakh diya. tab tak ajju apni shirt bhi utar chuka tha. nisha ne achhe se cheak kiya ajju ko kull 5 goliya lagi hui thi aur ek chaku ka cut bhi tha.
halanki ki nisha is samy kaafi dukhi thi aur sadme hi haalat me thi, par sayad wo janti thi ki use kya karna he. uski aankho se lagatar anshu nikal rahe the. par usne bapis chaku apne hato me tham liya aur ajju ke sarir se goliya nikalne ki kosis karne lagi.
nisha ek baar pehle bhi jungle trip par ye kar chuki thi is liye use jyada problam nahi hui. kuchh hi der me baha manish aur ravi ke saath baaki log bhi aa gaye. baha ka najara dekh kar unke pero tale jameen nikal gai. baha par kull 11 ladko ki lashe bichhi hui thi. jinme se ek lade ko to ajju ne dono tango se bich me se cheer diya tha.
bahut bhyanak manjar tha. charo taraf khoon hi khoon bikhra hua tha. ajju bahi bistar par betha hua tha jabki nisha uske sarir se bulets nikal rahi thi thi. aur lagatar apni ankho se anshu bahaye ja rahi thi. matlab ki ajju ko bhi goliya lagi hui thi par un dono ke bich ke pyaar ko dekh kar baaki logo ki ankho me aanshu aa gaye the.
wo log turnt ajju ke paas pahuche. ravi nisha ko pehchan gaya tha halaki nisha aur ravi ki mulakat to kabhi nahi hui par ravi ne manju ke paas nisha ka photo dekha hua, tha jabki nisha bhi ravi ko hospital me mil chuki thi
ravi- nisha tum thik to ho na????
nisha- mai thik hu ravi bhai par sayad ajju ko is samay hospital le jaane ki jarurat he
ajju- nahi mai thik hu. bas aap mera bag le aaiye usse first aid box rakkha he. bas thodi dreasing kar do. aur mai apne kapde bhi change kar lunga. khoon se gande ho gaye he.
ajju ki baat sunkar ek ladka bahar ki taraf chala gaya aur ajju ka bag le aaye. tab tak nisha ajju ki saari goliya nikal chuki thi. fir nisha ne first box se ajju ke sabhi jakhmo ko achchhe se saaf kiya aur dreasing kar di.
nisha ko kuchh bhi nahi hua tha. uske hato aur kapdo par khoon laga hua tha. jo ki sayad ajju ke sarir se bulets nikalte samay lag gaya tha. kuchh hi der me aaju bhi ek dum taiyaar tha. aur nisha bhi apne hato aur kapdo se khoon saaf kar chuki thi. ajju ke chehare par fir se bahi masoomiyat aa gai thi jo hamesha rehti thi. is samay koi keh hi nahi sakta tha ki ye bahi ajju he jo kuchh der pehle ek janbar ki tarah sab ka sikar kar raha tha. nisha bhi ab kaafi had tak samany ho chuki thi. aur uske chehre par jo kuchh der pehle dar aur chintao ki rekhaye thi ab wo fir se udashi me badal gai thi. kyu ki ab samay aa gaya tha jab use gahr jakar hamesha ke liye kisi aur ki hona tha. uski jise wo pasand bhi nahi karti thi.
ajju nisha ki udashi ko samajh gaya tha par wo uske liye kuchh nahi kar sakta tha. yesha nahi he ki ajju patthar ka ban gaya tha, ya bhavnaye aur pyaar jese jajbat uske mar gaye the, balki uski maryada abhi bhi use rok rahi thi. ek pal ke liye to uske mana me ye vichar aaya ki tod de ye saari maryadao aur samaj ke bandhano ko, par agle hi pal use fir ye yehsash hua ki agar usne ye kadam aage badaya to kai jindgiya tabah ho sakti he. uske chacha-chachi, uske chote bhai-beshan, uske dost ka parivar aur sabse jayada nisha. kyuki jab is samaj ko is duniya ko ye pata chalega ki dono bhai behan he, to logo ke tane ye sab bardast nahi kar payege. is liye ajju ne apne vicharo ko bahi rok liya.
manish- ajju tum, nisha, ravi ke sath kuchh aur logo ko le jao. tab tak mai aur baaki ke log in lasho ko thikane lagate he.
ajju- nahi uski jarurat nahi he. yaha kabhi bhi police aa sakti he. mujhe lagta he ham sab ko yaha se chalna chahiye. jyada der yaha rukna khatarnak ho sakta he.
manish- par agar yaha koi saboot chhut gaya to tum fansh sakte ho.
ajju- bas bhai bahut ho gaya ab mai aur nahi bhagna chahata. thak gaya hu is jung ko ladte ladte. ab aur jung nahi ladna chahata. mere hato me kai logo ka khoon laga hua he, kai parivaro ko ujad diya he mene. bas apna badla lene ke liye. ye jo log aaj mere hato mare gaye he. bo kisi ke bete kisi ke bhai bhi honge. swarthi ho gaya tha me bese bhi apne aap ko bachane ki koi bajah bhi nahi he mere paas.
ravi- yese kyu bol rahe ho. akhir ho kya gaya he tumhe. pehle sab kuch chhod kar asham jane ka program aur ab ye bebkoofi
ajju- bhai mene bahut soch samajh kar hi feshla liya he sayad yahi ham sab ke liye thik hoga. khaskar un ke liye jo kisi na kisi tarah mujhse jude huye he. mai har samay is dar ke saye me nahi jeena chahta ki pata nahi kab bo chief mere kisi apne ko nuksaan pahuch de. sayad mere jail jane se ye sab ruk jaye.
manish- tumhe yakeen he ye kaam chief ka hi he
ajju- nahi yekeen to nahi he par shak to hai hi. bese jitna mai ab tak chief ko samajh paya hu wo kabhi bhi yese kamo ke liye itne kam umar ke ladko ka istemaal nahi karta he. dushri baat jab se maine usse sidhi jung suru ki he wo kuchh karne se pehle mujhe phone jarur karta he. par is baar usne yesha kuchh nahi kiya tishri baat wo mujhse dushmani nikal raha he kyu ki mene uske lagbhag sabhi aadmiyo ko maar diya to fir use nisha ko pehle hi maar dena chahiye tha ye sab notanki karne ki use koi jarurat nahi thi.
ravi- tumhara matlab he ki ye kaam kisi aur ka bhi ho sakta he
ajju- sayad par chief ke alaba meri kisi se koi dushmani nahi he. to fir ye kaam kon karega
ravi- ho sakta he nisha ya uski family me se kisi ki dushmani ho
ajju- is bare me mai thik se kuchh keh nahi sakta mujhe lagta he hame iske baare me bhi pata karna chahiye. bese manish bhai kya aapne in ladko ki talasi li jis se in logo ke baare me kuchh pata chal sake.
manish- haa ek mobile mila he par bo toota hua he aur kuchh ladko ke paas unke ID card bhi mile he jin par inke ghar ke address likhe huye he.
ajju- kaha se he ye log
manish- indore ke ass pass ke gao ke rehne baale he.
ajju- kya inki aur detail aap niklwa sakte he
manish- thik he mai pata kar lunga
ajju- haa aur us mobile ko ya to mujhe de dijiye ya aap use sahi kara kar ye bata dijiye ki us phone se last call kis number par ki gai thi.
manish- thik he mai ye bhi pata kar ke bata dunga.
fir ajju ne rohit se kaha
ajju- rohit baha tumhari gun padi hui he use utha lo
itna bolkar ajju ne us taraf ishara kiya jaha usne apni gun fenki thi
uske baad ajju ne bike ki chavi manish ko bapis kar di thi. jo ki manish ne us ladke ko lotoa di, uske baad ajju ne baha toote huye camre se memory card nikala aur use apni jeb me rakh liya fir camere par se apni ungliyo ke nishan saaf kar ke use bapis bahi fenk diya fir sabhi log baha se chale gaye.
---------------------------------------------------------
ghadi me raat ke lagbhag 10.30 baj rahe the. ajju ne nisha ko bapis usi beauty parlar ke bahar utar diya jaha wo taiyaar hone aai thi. kyu ki rone ki bajah se nisha ka makeup poora kharab ho gaya tha. chuki us din kai sadiya thi is liye beauty parlar abhi tak khula hua tha. uske baad ajju gaadi lekar kahi chala gaya jab wo bapis aaya to uske haath me thik besa hi lehanga tha jesa nisha ne pehan rakkha tha. jise usne nisha ke pass bhijba diya. kyu ki nisha ke lehange par kai jagah khoon ke nishan lage huye the. halaki nisha ne unhe saaf kar liya tha par fir bhi halke halke daag dikhai de rahe the.
lagbhag 1 ghante baad nisha bahar aai. ajju to use dekhta hi reh gaya. ajju ko yu dekhte pakar nisha sarma gai aur usne apni najre jhuka li. sayad ajju ko bhi is baat ka yehsash ho gaya tha is liye ajju ne bhi apna chehara ghuma liya. aur gadi me jakar beth gaya. uske baad ajju, nisha aur ravi nisha ke ghar ki taraf chal pade. manish nahi aaya tha saath me. bese bhi uska kaam khatam ho chuka tha.
kuchh door jane ke baad ajju ke paas monu ka phone aaya. ajju ne call recive ki
monu- kaha ho tum???
ajju- nisha ko beauty parlar se uske gahr par le kar ja raha hu
monu- kya????? bo surakshit to he na????
ajju- haa bo thik he kuchh nahi hua unhe
monu- kaha mili wo tumhe????
ajju- indore nasik highway par. unlogoki gaadi panchar ho gai thi. mere jaate hi sab bhag gaye
monu- par hame to yesi koi gaadi baha nahi mili. sach batao tum kuchh chhipa to nahi rahe mujh se
ajju- yaar tum sawal bahut poochhte ho, pakke police bale ban gaye ho. bese hi kaafi late ho chuke he. upar se tum sawal kar kar ke mujhe paka rahe ho, jo bhi poochhna he kal poochh lena, aur haa jaldi se aaja. barna nisha naraj ho jayegi
monu- tum sach bol rahe ho na????
ajju- ha baba sach bol raha hu. par tum ye kyu poochh rahe ho
monu- kyu ki indore se bahr nasik highway par ek purane khandhar me mujhe 11 ladko ki lashe mili he. aur ek toota hua camera bhi sayad baha wo log kisi ka MMS banane ki kosis kar rahe the. par us camere ka memory card nahi mila. aur un ladko ko berehami se mara gaya he. ek ladke ko to bich me se chir diya gaya he. jesa ki aksar tum karte ho
ajju- to fir acchhe se talasi le lo sayad is baar mere khilaf koi saboot bhi mil jaye tumhe . jo tumhe thik lage wo karo. par haa samay par saadi me pahuch jana
itna bolkar ajju ne phone cut kar diya. uske baad raste me khamoshi chhai rahi kisi ne bhi kisi se baat karne ki kosis bhi nahi ki, sayad ye aane bale toofan ki khamoshi thi jo sayad nisha ke ghaar par unka intjaar kar rahi thi
raat karib 12 baje ajju nisha aur ravi ke saath nisha ke ghar par pahucha. baha saadi ka mandap saja hua tha par bahut kam mehmaan the. jab ye log baha par pahuche to sabhi log ghoor ghoor kar ajju aur nisha ko dekhne lage. is samay chacha ji ki ankhe gusse me angare varsha rahi thi. bahi paas hi dulha aur uske mammy-papa khade huye the. dulhe ke paas hi ek ladka aur khada hua tha jo ki ajju ko jana pehchana lag raha tha.
pass me hi mama ji, manju, maa, renu uncle aur baaki log khade huye the. ravi ko mahol kuchh ajeeb laga aur wo sidha manju ke pass pahuch gaya aur use ek side le jakr usse baat karne laga. isse pehle chacha ji kuchh bolte dulhe ki maa bol padi
"lo aa gai medam apne ashik ke saath gulchhrre uda kar. ham to inhe ek sarif family samajhte the, par ye to bahut gire huye log nikle"
unki baat sun kar nisha ne apna sir jhuka liya. par ajju ki ankho me gussa badne laga
ajju- ye aap kesi gandi gandi baate kar rahi he. saram nahi aati aap ko ye sab bolte huye. wo bhi apni hone baali bahu ke liye
dulhe ki maa- lo bhai ek to chori upar se seena jori, pehle to khud galat kaam karte ho, aur fir hame nasihat dete ho. aur kon si bahu kesi bahu. abhi saadi hui to nahi he. bese bhi is badchalan se kon apne bete ki saadi karega
ajju- agar aap ne ek sawd bhi aur galat nikala to mujhse bura koi nahi hoga
dulhe ki maa- tum hote kon ho mujhse ye bolne baale, kya rista he tumhara isse jo ye bol rahe ho. kon he teri ye bibi ya rakhail
nisha aur bardast nahi kar paai aur rote huye andar bhag gai, jabki ajju ne apni mutthiya kas li. bo kuchh karta ya kehta tabhi use apne kandhe par kisi ke hath ka yehsash hua. ajju ne pichhe mud kar dekha to maa khadi hui thi
maa- beta gusse me koi galat kadam nahi utha lena. aaj nisha ki saadi he
maa ki baat sunkar ajju ka gussa ekdum se sant ho gaya jese kuchh hua hi nahi
ajju- unty aap galat samajh rahi he jesa aap soch rahi he besa kuchh bhi nahi he ham ..........
"chataaaaakkkkkkkkkkk"
ajju ki baat abhi poori bhi nahi hui thi ki tabhi uske gaal par ek jor dar chanta pada. ye chanta uske apne chacha ji ne use maara tha
chacha ji- band karo apni bakwash aur ye batao kaha le gaye the meri bachhi ko
ajju- chacha ji wo wo aaj bheed jyada thi to parlar me time lag gaya.......
"chataaakkkkkkkkk"
ek aur chanta ajju ke gal par pada.
chacha ji- jhoot mat bolo mujhse mai pehle hi beauty parla ke do baar chakkr laga chuka hu koi nahi tha baha
ajju vastivkta sabke samne nahi batana chahta tha. use dar tha ki koi bhi uski baat par yakeen nahi karega aur nisha par hi ungli uthayega
ajju- chacha ji aap andar chaliye mai aap ko poori baat batata hu
chacha ji ajju ki baat par koi react karte dulhe ke bagal me khada ladka bol pada jo sayad dulhe ka dost tha
"kya bataoge andar jaakar, ab yahin sab khul kar baat ho jani chahiye, bese bhi jungle trip par badi charchaye thi tum dono ki aur abhi bhi college me chatkare lekar sabhi log baat karte he tum dono ki"
us ladke ki baat sun kar ajju ko yaad aaya ye ladka bhi jungle trip par uske saath hi gaya tha. sayad isne hi kuchh ulta sidha kehkar sabko bhadkaya he
ajju- band karo apni bakwash tum jante bhi ho tum kya keh rahe ho wo meri behan he
ladka- are wah behan ke saath bhi koi ishk ladata he. college me sabhi log jante he ki tum dono dost ho. apne kukarm chipane ke liye bhai behan ka rista bich me laane ki jarurat nahi he. ham sab achchhi tarah se jante he ki nisha ke kebal 1 bhai aur 1 behan he. jo ki hostal me reh kar padai karte he. tum achanak se kaha se bhai ban kar paida ho gaye.
ajju unki bato ka koi jabab deta usse pehle ki dulhe ki maa fir se bol padi
"beta rhane de in chhote logo ke muh kyu lagte ho akhir in logo ki hesiyat hi kya he hamare saamne. sharma ji ham ye rista todte he apni beti ke liye koi aur ghar dekh lena. chalo ji yaha se ab khade kyu ho"
itna bolkar dulhe ki maa jane lagi unke saath saath baki ke lag bhi jane lage. ajju ko kuchh bhi samajh me nahi aaya to wo dod kar dulhe ki maa ke kadmo me gir gaya aur rote huye bola
ajju- plz yesa anarth mato karo nisha ki jindgi kharab ho jayegi, mai sach bol rah hu jesa aap soch rahe he besa kuchh nahi he. wo ganga ki tarah pavitra he. agar ye baaraat yaha se chali gai to mere chacha ji ki bahut badnami hogi, koi bhi nisha ko apne gahr ki bahu nahi banayega
dulhe ki maa- itni hi chinta he uski aur itni hi pavitra he wo to tum khud kyu saadi nahi kar lete usse, bese bhi aaj kal to sage bhai behan apas me saadi kar lete he tu to pata nahi kaha se bahi ban kar peda ho gaya.
itna bolkar unhone ajju ko thokar maar kar alag kar diya aur aage bad gai. abki baar ajju dulhe ke pairo me jakar gir gaya aur use rokne ki kosis karne laga
ajju- ye bhai suno yese mat jao, tum to samajhdaar ho khud apne man se socho agar yesa kuchh hota to ham yaha lot kar bapis hi kyu aate. tum to nisha ko pehle se pasand karte the, saadi karna chate the. kya bas itna hi pyaar kiya use ki chand galat fehmiyo me bikhar jaye.
dulhe ne ajju ki baat par koi dhyaan nahi diya aur ajju ko thokar maar kar alag karne ki kosis karne laga.
dulha- badjat chhod mujhe, mujhe teri koi baat nahi sunni, agar itne hi sharif ho to bata kyun nahi dete ab tak kaha the tum dono. akhir bataoge bhi kese kahi gullchhrre uda rahe hoge.
ajju- nahi mai nahi chodunga jab tak tum is saadi ke liye haan nahi kar dete. mai aap logo se nisha ki jindgi ki bhikh mangta hu. wo ye badnami sehan nahi kar payegi.
poora mahol ek dum gumgeen ho chuka tha. ajju ke chacha bhi apne gussa ko bhool kar khamoshi se baha khade huye the sayad kuchh soch rahe the, un ke man me is samay kya chal rah tha ye koi nahi janta tha. ab unhe ajju aur nisha ki koi galti nahi dikhai de rahi thi. jyada tar logo ki ankho me anshu the. monu bhi aa chuka tha aur saari baat samajhne ki kosis kar raha tha
achanak ajju ko kisine uthane ki kosis ki. ajju ne jab pichhe mudkar dekha to ye nisha thi jo use uthne ka ishara kar rahi thi
nisha- nahi ajju bas bahut ho gaya ab aur nahi, tum pehle se hi mere liye bahut kuchh kar chuke ho. ye sab jaanna chahte he ki kaha thi mai abhi tak to suno. mujhe aaj kuchh logo ne kidnap kar liya tha. aur mere saath rape karke uska MMS banane bale the. kon the kaha ke the aur kyu kar rahe the kuchh bhi nahi pata. par agar ajju samay par baha nahi aata to sayad aaj meri jagah meri lash yaha aati. aap sab indore me reh kar mujhe nahi dhund paye, aur ye delhi se kebal mujhe bachane ke liye aa gaya, na kebal yaha aa gaya balki mujhe unse surakshit bacha kar le bhi aaya. ye dekho indore ASP manoj dubey bhi yahi he inse hi poochh lo, ye to sab jante he akahir inki ankho ke samne hi to meri kidnaping hui thi. ye to mujhe suraksha de rahe the baha. hai na ASP sir.
nisha ne akhri sabd itni kathorta se kaha ki monu ko apne aap par saram aane lagi aur usne apni najre jhuka li
nisha- mai ab tak is liye khamosh thi kyu ki aap mujhe galiya de rahe the, mujhe bura bhala keh rahe the. par ajju ki beijjati mai bardast nahi kar sakti samjhe aap log. ye janab khade hokar hamare pavitra riste ko galiya de rahe he. jara inse poochho ki jab jungal trip me iski apni sagi behan riya ke samne ser aa gaya tha, aur use maar kar khane bala tha tab ye kya kar rahe the. baki logo ki tarah apni jaan bacha kar bhag raha tha, are ser ka naam sunkar to usne apni pent gili kar di thi. tab ajju hi gaya tha na use bachane . kyu gaya tha kya lagti thi wo iski. ye kyu nahi poochha tumne us samay. tab to bada gungaan kar rahe the iska. jo kaam tumhe apni behan ke liye karna chahiye tha wo ajju ne kiya tha. are jo khud hi risto ko na nibha paye use dushro ke riste par ungli uthane ka koi hak nahi he
ab kehne ke liye us ladke ke paas kuchh bhi nahi tha is liye usne bhi saram se sir jhuka liya par nisha nahi ruki
nisha- haa to aunti ji aap bahut bad chad kar baat kar rahi thi, aapi heshiyat ki baat kar rahi thi na. aap janti bhi he iski heshiyat kya he. aap jese 50 logo ko apne ghar par nokar bana ke rakha sakta he ye. ye heshiyat he iski. ye aap ke pass me jo sakhs khade huye he ye hamare desh ki nami girami hastio me se ek he pro. narayan. naam to suna hi hoga aap sab ne. inhi ka bhanja he ye. ajay pharmacy ka iklota malik. jitna aap log saalo me kama pate ho utna to hafto me kama leta he. ye he iski heshiyat.
aur haan mr. dulhe raja mere chal chalan se jyaada apne chal chalan par dhyaan do. mujhe tumhari history sab malloom he. kitni ladkiyo ki jindgi kharab kar chuke ho, sab jaanti hun mai. mai ab tak khamosh thi kyu ki ajju chahata tha ki ye shaadi ho, mai khamosh thi kyu ki papa chahate the saadi ho. par ab khamosh nahi rahungi. are tum log kya shaadi se inkaar karoge mai khud hi is saadi se mana karti hu. jao aur dafa ho jao meri najro ke samne se. agar ek pal ki bhi deri ki to dhakke maar kar bahar ka rasta bhi dikha dungi.
iske baad nisha mudi aur apne papa ke samne jakar khadi ho gai.
nisha- ajju ko kyu mara marna he to mujhe maro, kyu ki saari galti meri hi he. uski to keval itni galti he ki bo mujhe bachane ki kosis kar raha tha. wah re insaaf jo aapki beti ki jaan bachata he uski ijjat bachata he use thappad aur uski beijjati, aur jo apki beti ki beijjati karta he usnka samman. mujhe bachane ke liye ajju ne apne upar goliyan khai he chakuon ke waar jhele he. dekhna chahate ho aap to dekho
itna bolkar nisha ne ajju ki shirt ko joron se khinch diya. ajju ki shirt ke button tootate chale gaye aur uski shirt nisha ke hatho me aa gai. sabhi ke saamne ajju ka ghayal sarir aa gaya. ajju ke badan par jagah jagah pattiyan bandhi hui thi jo ki nisha ne hi bandhi thi.
nisha fir kuchh nahi boli aur bhag kar fir se ghar ke andar chali gai. jabki chacha ji bahi chakkar kha kar gir gaye. jab baaki logo ki najar un par padi to turant unhe uthakar ghar ke andar le gaye. chachi ne turant apne family doctor ko phone kar diya.
-----------------------------------------------
kuchh hi der me doctor ne aakar unka checkup kiya. jab docor unke room se bahar aaya to usne bataya
doctor- ghabrane ki koi baat nahi he sayad jyada stresh ya kisi sadme ki bajah se chakkar aaya he. i hope aap log dhyaan rakkhege aur haan unse koi yesi baat mat karna jisse unko dukh pahuche ya unke dil par thesh pahuche.
ajju- jee doctor ham log dhyaan rakkhege.
doctor- aap me se ajju kon he
ajju- mai hi hu
doctor- mr. sharma aap se aur nisha se milna chate he. bese agar baaki log bhi chahe to mil sakte he par jyada log andar mat jaana aur dhyaan rakhna ki koi yeshi baat na ho jis se unhe dukh pahuche.
ajju- ji doctor
uske baad doctor baha se chala gaya. dulha aur unki family pehle hi baha se ja chuki thi ab bas chacha ji ke kuchh karivi dost aur kuchh mehman hi bache the. jo bahar besabri se intjar kar rahe the ki ab kya hone bala he. jabki ajju se sambandhit log ghar ke andar ajju aur nisha ke sath moujood the.
kuchh hi der me ajju, nisha, chachi, maa, monu, renu, pro. narayan aur monu ke pitaji chacha ji ke room me moujood the. nisha to dod kar chacha ji ke seene se lag kar rone lagi
nisha- i am sorry papa ye sab meri bajah se hua he
chacha ji- na beta rote nahi he isme tumhari koi galti nahi he, sayad honi ko yahi manjoor tha. par mujhe ek baat samajh me nahi aati aakhir kyu koi tumhe nuksaan pahuchana chahega
chacha ji ki baat sun kar nisha ne ek najar ajju par daali aur najre jhuka kar khamosh ho gai. ajju bhi kuchh der tak khamosh raha. aur fir usne chacha ji ko chief ke baare me sab bata diya. aur pehli baar indore aane se lekar ab tak ki saari baate bata di. aur fir khamosh ho gaya. wo soch raha tha ki ab chacha ji usse naraj hoge kyu ki vastav me nisha par jo bhi musibat aai he uske pichhe kahi na kahi ajju hi he.
ajju sir jhukay chacha ji ke kuchh bolne ka intjar kar raha tha jo ki kaafi der se ajju ko ghure ja rahe the, aur kuchh soch rahe the. fir unhone bade pyar se kaha
chacha ji- mai janta hu tum soch rahe hoge ki is sab ke liye mai tumhe dosh dunga aur ye sahi bhi he kyu ki duniya ka har baap yahi karega. par jitna mai nisha ko pyaar karta hu utna tumhe bhi karta hu. tumhare mummy papa mere bhi kuchh lagte the. jo hua wo sahi nahi hua. mai manta hu ki tumhare saamne halat thik nahi the par fir bhi tumhe ye sab mujh se chipana nahi chahiye tha. agar tum ye sab pehle hi mujhe bata dete to ye sab sayad nahi hota. kam se kam nisha ke saath to nahi hota. khair chhodo jo ho gaya so ho gaya use badla nahi ja sakta par ab aage ka kya socha he tumne.
ajju- mai soch raha hu ki mai yaha se bahut door chala jauga. in sab se door jaha mujhe jaanne bala koi na ho. ye sab meri bajah se ho raha he jab mai hi nahi rahunga to fir wo chief kisi ko koi nuksaan nahi pahuchayega ya fir apne aap ko kanoon ke hawale kar dunga
monu- par mai tumhe giraftaar nahi kar sakta mere pass tumhare khilaf koi saboot nahi he.
ajju- mere dwara apna apradh swikaar karne ke baad kisi gawah aur saboot ki jarurat nahi he mere bhai
monu- nahi mai yesha nahi kar sakta aur na hi tumhe karne dunga. ye mera aakhri faishla he
chacha ji- monu sahi bol raha he apne aap ko kanoon ke hawale karna is problam ka hal nahi he. haa yaha se door jaane ke faishle par mai tumhare saath hu, par nisha ke baare me kya socha he tumne
ajju- matlab
chacha ji- dekho ajju bura mat manna par nisha ka ab yaha rehna na to uske liye thik he, aur na hi meri baki family ke liye. wo nisha par 2-3 baar hamla kra chuka he. aur har baar tumne use bacha liya, par ab to tum yaha se ja rahe ho kon use bachayega. aur fir wo nisha ki bajah se hame bhi nuksaan pahucha sakta he. dekho ajju ye baat to clear he use mujhse, tumhari chachi se, ya neha aur sourav se koi lena dena nahi he, warna wo pehle bhi try karta. bese to use nisha se bhi lenea dena nahi hona chahiye tha par nisha tumhare kuchh jyada hi kareeb he is liye sayad wo nisha ke pichhe pada he. par mai nahi chahta ki ek beti ke liye mai apne baki do baccho ki jindgi khatre me dalu. is liye mai chahta hu ki tum nisha ko yaha se le jao. na tum log yaha hoge na ham logo par koi musibat aayegi
chacha ji ki baat sun kar sab sann reh gaye. kisi ko bhi unse is baat ki ummeed nahi thi. khash kar nisha ko to bilkul nahi.
ajju- chacha ji par mai yese nisha ko kese. log kya kahega. bese hi kaafi ulta sidha bol chuke he
chacha ji- isi liye bol raha hu. bese bhi ab tak hamari bahut badnami ho chuki he. khas kar nisha ki.
ajju ne apne hathiyaar daal diye aur chacha ji ki baat accept kar li
ajju- thik he jesa aap kahe. bese bhi ab mai yaha aur nahi rukna chata. nisha ko lekar mai abhi nikal jata hu. bahi delhi me ye apni degree bhi poori kar legi fir koi achha sa ghar dekh kar iski saadi kar dege
chacha ji- ajju lagta he tum meri baat thik se samjhe nahi, mai chata hu ki tum yaha se nisha ko saadi kar ke le jao
chacha ji ki baat ajju ko apne kaano me pighle seese ki tarah mehsoos hui, wo hairaan hokar bola
ajju- kyaaaaaaaaaaaaaaa????? ye aap kya keh rahe he chacha ji. nahi ye nahi ho sakta. kam se kam aap to ye achchhi tarah se jante he ki wo meri behan he. ab tak hamara rista ek dum pavitra raha he. aur aage bhi rahega
chacha ji- ajju mai tum par ya nisha par kisi parakar ka sak nahi kar raha hu par ye tum dono ke liye hi thik hoaga.
ajju- chacha ji jab mai aap ki baat ko maankar nisha ko apne saath le jaane ke liye taiyaar hu to fir ye saadi kyu. kyu aap hamare riste ko kalankit karna chahte he. bese bhi ye duniya kya kahegi ye samaj kya kahega.
chacha ji- tabhi mai ye baat keh raha hu. ye jo bahar mehman khade huye he inme se kisi ko nahi pata ki tum nisha ke kon lagte ho. ye ab bhi yahi soch rahe he ki tum dono dost ho. ye kuchh hi dino me poore indore me mujhe badnam kar denge. nisha ka to ghar se bahar nikalna muskil ho jayega. kya tum ye chahate ho. agar tum yese hi ise yaha se le gaye to yaha indore me ye log mera aur neha-sourav ka jeena muskil kar denge. ye log saadi me aaye he aur aaj agar saadi nahi hui to mai jindgi bhar kisi ko muh nahi dikha paunga. haan ye baat alag he yaha is kamre me jitne log moujood he wo sabhi ye baat jante he par sayad wo bhi meri baat se sehmat hoge.
ajju ke dimaga me is samay toofaan macha hua tha use kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha ki aaj akhir chacha ji ko kya ho gaya. usne ek kosis karne ki aur sochi
ajju- mama ji aap hi samjhaiye ye chacha ji kya bol rahe he,
mamaji- ajju mere khayal se tumhare chacha ji sahi bol rahe he. isme koi harj bhi nahi he. kebal ham jante he ki tum log bhai behan ho baaki kisi ko nahi pata aur aage bhi kisi ko nahi pata chalega.
ajju- maa kam se kam aap to samjhaiye chacha ji ko ye sab galat he.
maa- ajju agar tumne ab sahi faishla nahi liya to sayad aur bhi jyada galat ho jayega. smamjhne ki jarurat ab tumhe he.
chacha ji- itna sochne ki jarurat nahi he ajju bese bhi nisha tumhari sagi behan to he nahi jo itna soch rahe ho. socho tumhare haan karne se kitni jindgiya barwad hone se bach jayegi
ajju ki bhi himmat ab jabab de gai aur usne hathiyar dal diye
ajju- thik he jesa aap sab log uchit samjhe. par mere khyaal se ek baar nisha se bhi aap log poochh le. mai nahi chata kisi davav me aakar nisha haan kare.
itna bolkar ajju kamre se bahar nikal gaya.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.Update 035
------------------------------
ajju ke haan karte hi sab ke chehare khill uthe. nisha ke chehare par bhi ek pal ke liye muskurahat aai aur aati bhi kyu na akhir uski muh mangi murad jo poori hone ja rahi thi, par agle hi pal ye khushi fir se udasi me badal gai. kisi aur ne sayad dhyaan diya ho ya na diya ho par reenu aur maa ki najro se ye na chhip saka.
maa- kya baat hi nisha kya tumhe koi etraj he
nisha kuchh der khamosh rahi aur fir boli
nisha- mai ye saadi nahi krna chahati
nisha ne jese dhamaka kiya ho sabhi ke chehare ki muskurahat fir se gayab ho chuki thi.
pro. narayan- kya baat he beta. kya tumhe ajju pasand nahi he, ya tum bhi uski ki tarah abhi tak maryadao ko pakad kar bethi ho
nisha- nahi ye baat nahi he par mujhe kahi na kahi ye lag raha he ki ajju ye nahi chahta. usne aap sab ke davav me haan ki he. mai kisi par bojh nahi banna chahti. maine papa ki aur aap sab ki baten suni li he. papa apni jagah sahi he aur ajju apni jagah. par yakeen maniye meri bajah se kisi ko koi problam nahi hogi. agar ajju nahi chahta to aap log plz us par davav na daale. aur na hi mai uske saath jaane baali hu. par papa aap bhi nischint rahiye ab me yahan ruk kar neha aur sourav ke liye problam create nahi karungi, wo mere bhi bhai behan he. mai bhi yaha se chali jaungi aur kahi apne liye job dekh lungi. bese bhi mere final exam hi reh gaye he. aur is saal campus selection me kai jagah se mujhe offer bhi mile he. mai unme se hi koi job select kar lungi.
sabhi log nisha ko hairani se dekh rahe the jese usne koi anhoni baat keh di ho. par wo ye bhi jante the ki nisha apni jagah par sahi bol rahi he, nisha ki baat sunkar jyadatar logo ka muh sookh chuka tha. bajah sidhi si thi kyu ki nisha bahut jiddi thi aur wo agar ek baar koi faishla kar le to fir koi bhi use badal nahi sakta tha.
mamla hathon se jata dekh maa aur renu ne morcha samhal liya.
maa- nisha ek minute ke liye mere saath bahar aao. mujhe tum se akele me kuchh baat karni he
renu- maa mai bhi sath aa rahi hu
maa ne koi jabab nahi diya aur chup chap bahar chali gai unke pichhe nisha aur renu bhi bahar nikal gai. maa unhe ek corner ki taraf le gai jahan koi nahi tha.
maa- mai janti hun is samay tumhare dimag me kya chal raha he. par mera yakeen mano jo ho raha he wo tum dono ke liye sayad sahi he
nisha- par aunty jab ajju khud hi ye nahi chahta
maa- wo kya chahta he kya nahi isse koi farak nahi padta tum kya chahati ho isse padta he
nisha- par mere liye isse farak padta he ki ajju kya chahata he
maa- kya tum nahi janti wo kya chahta he. kya tumne kabhi bhi uski aankho me nahi jhanka. mujhe to laga tha tum dono ek dushre ke man ki baat jaan jate ho. wo tumse bahut pyaar karta he. sayad usse bhi jyada jitnaq wo jiya se pyaar karta tha. uski aankho me tumhare liye pyaar saaf saaf najar aata he.
maa ki baat sunkar nisha kaafi hairaan hui use umeed nahi thi ji aunty ko un dono ke relation ke baare me pata hoga. fir bhi nisha ne baat ko samhalte huye kaha
nisha- aunty kabhi kabhi aankhe bhi dhoka de deti he. mene uski aankho me kebal ek baar mehsoos kiya tha par sayad mujhe lagta he ki wo mera beham tha
renu- di mujhe lagta he aap ne ajju bhai ko kabhi samjha hi nahi. mai to sochti thi ki aap se jyada unhe koi samajh nahi sakta. par ab lagta he ki aap to unhe bilkul hi nahi janti. kuchh bhi ho jaye par wo kabhi bhi apne dil ki baat kisi se share nahi karte he. ye aap janti he. jiya di ko wo bhi pasand karte the par kabhi apne muh se nahi kaha. aur jab jiya di ne pehal ki to bhi wo unhe samjhate rahe the. jabki wo khud jiya di ko pasand karte the. unki maryadao ki diwar itni unchi he ki wo ashani se nahi toot sakti. aur jab unhe laga sab thik he ye rista aage bad sakta he to fir aap ne khud apni ankho se dekha he. jiya di ke liye unki tadap unki bechaini unse bichhdne ka gum unka pyaar. aap to us sab ki gawah he.
nisha- jiya ki baat alag thi renu
renu- bahi to mai kehna chah rahi hu. jiya di bahle ki unke mama ki ladki sahi par jab un dono ka rista aage bada tab un logo ko ye nahi pata taha. jara socho jise wo bachpan se apni behan ke roop me dekhte aa rahe he, usko apni hi patni ke ya pyaar ke roop me dekhna unke liye kitna kathin hoga. par mai janti hu wo aap ko dil se pyaar karne lage he. wo aap se ek pal bhi juda nahi hona chahte par unki maryadaye unhe rok rahi he.
nisha- mere liye bhi itna ashan nahi he ye sab. ye maryada ye riste nibhana sab mene usse hi to sikha he. pata nahi wo kon sa kamjor pal meri jindgi me aaya jab me bhai behan ke riste se aage bad kar use apna sab maan bethi, aur ab mai itna aage nikal gai hu ki pichhe lotna mere liye sambhav nahi he, par me use dukhi kar ke use nahi pana chahti
maa- kon kehta he ki tum use dukh de rahi ho. kehne ko to uske paas aaj kai riste he. par fir bhi uske andar khalipan he. aadat si pad gai he use us khalipan ki. kebal tum ho jo use use khalipan se nikal sakti ho. tum janti bhi ho wo kya karne ja raha tha
fir maa nisha ko ajju ke assam jane aur fir baha se hamesha ke liye kahi aur jane ke baare me batati he.
renu- di aap khud socho bhai ye sab kyu kar rahe the. bahana bahle hi wo ye bana rahe ho ki ye sab unki bajah se ho raha he aur unke jaane ke baad ye sab ruk jayega, par sachchai ye nahi he. ye sab to suru se hi chala aa raha he. kai raaj hamare saamne khule he kai aur khulne baaki he. sach poocho to bhai is khel me bahut baad me samail huye he. aur ye baat wo bhi achhi tarah se jante he ki ab ye sab nahi rukega. kam se kam tab tak nahi jab tak chief jinda he. wo keval is liye yaha se door jana chahte he kyu ki yaha har jagah aap ki aur jiya didi ki yaden judi hui he. jab tak wo yaha ham sab ke aas pass rahege unhe aap dono ki yaad aati rahegi. wo aap logo ki yado se apne dil ki awaj se bhagne ki kosis kar rahe he. wo is liye bagna chahate he kyu ki wo aap ko kisi aur ke saath nahi dekh sakte. kya ye pyaar nahi he. socho pehli baar jab unhe pata chala ki aap par musibat aane baali he to kese dilhi se aap kie liye yaha bhage chale aaye the.
renu kuchh pal ruk kar nisha ke chehare ke reaction ko dekhti rahi aur fir boli
renu- saye ki tarah aap ke hi sath rahe. sab ko ye bataya ki wo bapis delhi ja chuke he par aap ke ass pass rahe. wo sayad yaha se tab tak nahi jaate jab tak unhe ye yakeen nahi ho jata ki ab aap surakshit he. par haalat ne unka saath nahi diya chief aap tak nahi pahuch paa raha tha is liye ham tak pahuch gaya. kon lagte he ham unke hamara to koi khoon ka rista hi nahi he, par dil ka rista to he na. hamare liye bhage chale aaye gao me, par usse pehle monu bhaiya se aap ki security ka vada liya uske baad. unhe laga sayad ab sab thik ho jayega par fir aap par musiwat aai, socho yaha indore rehne baale aapko nahi dhund paaye, par wo delhi se yaha aa gaye aur aap ko surakshit bacha bhi liya. kyu kiya ye sab unhone????? keval is liye na ki aap se wo bahut jyada pyaar karte he.
nisha- pata nahi tum kya keh rahi ho mujhe to kuchh bhi samajh me nahi aa raha.
renu- di aap sab samajh rahi ho par aap bhi ajju bhai ki tarah jiddi ho, is liye anjaan banne ki kosis nahi kar rahi ho. yesha na ho aap ki jidd ki bajah se baad me na kebal aap ko balki ham sab ko pachhtana pade. aage aap khud hi samajhdaar he. aap ko jo thik lage wo kijiye.
nisha- renu tu samajh nahi rahi he ham dono bhai behan he. samaj kabhi bhi hamare riste ko nahi manega
renu- maaf karna nisha di, aap bhale hi umar me mujhse badi he par aap bachho jesi bate kar rahi ho. bhai behan ka rista to aap kab ka pichhe chod chuke ho. ajju bhai ne hame sab bata diya he. trip se lekar ab tak ki saari baaten wo hame bata chuke he, ye bhi ki aap unse kitna pyaar karti ho aur wo aap se kitna. rahi baat samaj ki jab aapke parivaar baale khud yahi chahate he to samaj kon hota he kuchh kehne bala. bese bhi aap kab se in sab baato ki parwah karne lagi. aur yahan kon janta he ki aap dono bhai behan ho, aur kon sa dilhi me aap ko janne bale rehte he. log aur samaj to aap ke baare me bahi samjhenge aur sochenge jo aap log unhe batayenge. di ajju bhai aap se baakai me bahut pyaar karte he ye sach he, par mujhe lagta he ki aap unse bilkul pyaar nahi karti. sayad unse hi koi galti hui he aap ko samajhne me.
itna bolkar reenu aur maa baha se bapis room me aa gai jabki nisha kaafi der tak bahi khadi khadi sochti rahi. fir achanak se wo us room ki taraf bad gai jaha uske papa aur baki log the.
nisha- mai taiyaar hu
bas itna hi kaha usne aur baha se apne room ki taraf chali gai. ek baar fir se sabhi ke chehare par muskaan aa gai thi.
pro. narayan- ek baat kahu prakash agar bura na mano to????
chacha ji- are professor sahab kesi baate kar rahe he aap. aap to hamare apne he aap ki baat ka kese bura man sakta hu.
pro. narayan- mai chahta hu ki nisha ka kanyadan me khud apne hatho se karu. jiya ka kanyadan to mai kar nahi paya. pehli baar jab in bachho ne saadi ki to kisi ko pata hi nahi chala aur jab jiya ki wo nakli saadi hui tab mahol hi kuchh yesha ban gaya tha ki mai bhi baha jyada der tak nahi ruk paya. kash mai baha ruk jata to aaj jiya hamare saath hoti mujhe uski nakli saadi ke baare me tabhi pata chal jata. par jo kismat me likha hota he hota bahi he, hamare chahne se kuchh nahi hota. agar aap ijajajat de to. mai yahi sochuga ki meri bachhi mere paas bapis aa gai he. ek baap ko uski beti bapis mil jayegi
chach ji- ye aap kesi baten kar rahe ho nisha aap ki hi bachchi he mai bahala kon hota hu aap ko mana karne bala. bese bhi meri ek aur beti he neha mai uska kanyadan kar lunga. aaj se nisha aapki hi beti he.
pro. narayan ne itna sunte hi chacha ji ko gale se laga liya
is baat se sabse jyada agar koi khush tha to wo renu aur maa thi. nisha ke baha se jate hi dono room se bahar nikli aur nisha ke room ki taraf bad gai.
jese hi wo dono room me pahuchi nisha ne jhuk kar maa ke pair chhu liye aur sir jhuka kar khadi ho gai
maa- beta tum nahi janti ki tumne aaj mujhe kitni badi khushi di he. ajju ne bhale hi meri kokh se janam nahi liya he par mene use hamesha apna sga beta hi mana he. sach kahu to wo mujhe monu se bhi jyada pyara he. bechare ne bachpan se bahut kast jhele hen. par jab jiya uski jindgi me aai to mujhe laga ki ab bahut ho gaya bhagwan ko uska jitna dukh dena tha de diya, ab uski khushiyon ke din aa gaye he. par kise pata tha ki ek baar fir wo gum ke saye me chala jayega. tum us samay yahi thi jab wo jiya ki shadi ke liye gao aaya tha. mene dekha he use tootte huye. apne aap ko barwad karte huye. jiya ke jaane ke baad bahut samay laga use samhalne me. aur fir tum aai uski jindgi me wo fir se hanshne laga. ek umeed si jagi thi uski aankho me par uski maryadaon aur samaj ki chinta ne use bhi tumhari tarah jakad ke rakka tha. beta keval tum hi ho jo use sada khush rak sakti ho. uska akelapan door kar sakti ho. bolo beta rakkhogi na mere ajju ka khyaal. kabhi bhi use akela to nahi chhodogi na. bolo nisha jabab do.
ye sab bolte bolte maa ki aankhe num ho gai thi. nisha abhi bhi sir jhukaye khadi thi par maa ki baat sun kar uski aankhe num ho gai. uske muh se to awaj bhi nahi nikal rahi thi par badi himmat kar ke usne keval itna kaha
nisha- haan maa me hamesh unka khyaal rakhungi, kabhi bhi unhe akela nahi chhodungi cahe jo ho jaye. mai saye ki tarah unke saath rahungi. unpar aane baali har musibat har gum ko pehle mujh se gujar kar jana hoga.
nisha ki baat sun kar maa ne nisha ko gale se laga liya. par renu jo bahi khadi khadi un dono ki baate sun rahi thi uske chehare par ek sararati muskan aa gai. sayad bhavnaon me ya fir galti se nisha ne use ek moka de diya tha jisse wo nisha ki tang khinch sake. bese bhi ab use iska poora hak tha nanad jo banne bali thi nisha ki
renu- kya baat hi bhabhi ji abhi to kuchh der pehle aunty aunty bol rahi thin aap, aur fir achanak se maa par aa gai. aur ye unka kinka khyaal rakhne baali he aap. mujhe to kuchh bhi samajh me nahi aaya.
renu ki baat sun kar pehle to nisha sarmai par fir himmat kar ke boli
nisha- aunty unki maa he to is naate ab ye meri bhi maa hui na
renu- haan haan kyun nahi par ye unka unki kya he kis ki baat kar rahe ho aap
renu ki baat sun kar nisha ko bahut jyada saram aa rahi thi usne maa ke aqnchal me apna chera chhipa liaya aur boli
nisha- maa dekho na renu kitna pareshan kar rahi he
renu- bhabhi mene kab paresha kiya aap ko, mai to bas ye poochh rahi hun ki ye unka unki se aap ka kya matlab he.
maa- bas chup kar bahut hua kab se paresaan kar rahi he meri bahu ko.
renu- mai abhi pareshan hi kaha kiya he. pareshan to ab karungi apni pyari pyari bhabhi ji ko, aakhir nanad hun itna hak to banta he. bese bhi bhabhi ji achanka se apne naye kirdar me aa gai to mujh par hajam nahi hua.
maa- tu bhi to apne nanad bale roop me aa gai he na. pehle to nisha di nisha di karti rehti thi ab achanak se bhabhi
renu- wo kya he na bachhe hamesha se badon se sikhte he. bhabhi apne kirdar me aa gai to mai bhi aa gai.
maa- bas bas rehne de ab. baad me kar lena jitni baten karni he. abhi to chal chal kar saadi ki taiyari karni he. monu ko bhej mere pass ajju ko dulhe ki dress bhi to mangani he. in kapdon me thode hi saadi karega mera beta.
maa ki baat sun kar renu jaane lagi to nisha ne use roka
nisha- renu ruko
renu bahi ruk gai aur nisha ko dekhne lagi. nisha ne apni coverd se serwani, sehra aur baaki ka saman nikal kar use de diya. maa aur renu hairani se use dekhne lage.
maa- nisha ye kab liya tumne aur kiske liye
nisha ko badi saram aa rahi thi. is liye sir jhukaye huye usne ahista se kaha
nisha- wo maa ye dress unke liye hi li thi mene, jab mai apne liye shoping karne gai thi tab inhone bina samne aaye keval msg bhej kar mere liye saari shoping karai thi. tab mera bhi man hua ki ek baar unhe dulhe ke roop me dekhun. halanki mai ye baat janti thi wo ise nahi pehnne baale, balki ye kahun ki mujhe ye yakeen ho gaya tha ki ab wo kabhi mere saamne nahi ayege. par fir bhi dil me ek umeed ki kiran to thi hi. ki sayad kuchh yesha ho aur wo ise ek baar pehn le. aur dekho bhagwan ne meri sun li.
nisha ne jese tese apni baat keh to di par ek bar fir se usne renu ko apni tang khinchne ka moka de diya
renu- oye hoye bhabhi ji kya baat he. matlab ki pehle hi poori taiyari ki hui thi. bada gehra yarana lagta he dono ke bich. ek ajju bhai he jo chhip chhip kar aap ko dekhe ja rahe the aur aap ki shoping kara rahe the aur ek aap he jo pehle hi unhe dulha banane ki taiyari kar ke bethi hui thi.
nisha- maa dekho na renu fir se tang kar rahi he
maa- renu kyun tang kar rahi ho bechari ko dekho kitna sarma rahi he. bese kaha to tune bhi sahi he
sayad maa bhi nisha ke maje lene ke mood me aa chukhin thi
nisha- maa ab aap bhi
itna bolkar nisha ne fir se maa ke aanchal me khud ko chhipa liya. fir ek saath sabhi ki hanshi chhut gai. fir renu baha se sara saman lekar chali gai. jabki maa bahi nisha ke pass ruk gai
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
kuchh der baad hi saadi ki rashme nibhai jaane lagi aur usi raat ajju aur nisha ki poori vidhi vidhan se saadi kar di gai. sabhi log kaafi khush the. bas ek baat sab ko khatak rahi thi siway nisha aur uske mummy-papa ke aur wo ye thi ki nisha ke bhai behan(sourav aur neha) kaha he wo apni hi behan ki saadi me dikhai kyu nahi de rahe he. aur akhir me jab dhaan bubai ki rasham ka samay aaya jo ki kebal ladki ka bhai hi karta he to ye sawal pro. narayan ne poochh hi liya.
pro. naraya- are prakash ye sourav kaha he wo aur neha dikhaai nahi de rahe. rasham bhi poori karni he
chacha ji- wo actually me neha aur sourav dono hi bording me padte he. pichhle mahine hi ye log school ki taraf se ek tour par gaye he. tab nisha ki saadi ka koi program fix nahi tha. aur fir achanak se sab ho gaya. aur wo bapis bhi nahi aa paye. bese unse hamri baat hui thi, aaj unhe bapis aana tha. mene unke principal se baat bhi ki thi, par un logo ki train miss ho gai. sayad kal ya parso wo bapis aa jaye. fir mai khud hi un logo ko nisha se milbane le jaunga. un logo ka to bahut man tha shaadi ka par sab achanak se hua.
pro. narayan- koi baat nahi par ab ye rashm kon poori karega.
monu- agar bura na mano to mai ye rashm poori kar du. bese bhi mere aur nisha ke bich dosti se bad kar ek bahi behan ka rista raha he.
chacha ji- mujhe koi problam nahi he par ek baar nisha se poochh lo
nisha ne muh se to koi jabab nahi diya bas sir hila kar haan kar di. bolti bhi kya akhir ye sayad uski jindgi ki sabse anokhi raat thi. is raat bahut kuchh badalne bala tha uski jindgi me. jise usne kabhi pasand nahi kiya tha use apana pati banae bali thi. aur saadi ke kuchh der pehle wo bhayank ghatana jab kuchh logo ne use kidnap kiya aur uski ijjat ko taar taar kane ki kosis ki. fir ek farishte ki tarah ajju ka aana. fir use laga jese ab sab thik he to ghar par aate hi dulhe aur uski family ke dwara uska apman sadi se inkar karna. pita ki tabiyat bigadna. kya nahi jhela usne aaj raat.
aur fir wo pal bhi aaya jo sayad use kuchh rahat pahuchata ya fir use risto ke bhanwar me fashata. jise bchpan se bhai mana tha aaj ke baad wo uska pati hoga. jise apna dost maana wo aaj se uska bhai hoga. jo uske apne the wo kisi bhi rashm me samail hi nahi the. kanyadan kisi aur ne kiya tha. usne jo uske pati ke mama he. aur ab nisha ki life me saari jindgi ek pita ki bhumika nibhane bale he. uske apne bhai behan saadi me samil hi nahi huye. na uski koi friends baha he. kesi anokhi raat thi ye. aur kesi anokhi shaadi.....
sayad ye baat sabhi ke man me chal rahi thi. par sabhi khush the. aur sabhi ke khush hone ki apni apni bajah thi.
kuchh der baad pandit ne ajju se nisha ki mang bharne ko aur mangalsutra pehnane ke liye kaha. par ajju ke paas koi mangal sutra tha hi nahi. tab maa ne ajju ko wo locket diya jo ajju ne maa ko nisha ko dene ke liye diya tha. ajju ne bahi locket mangalsutra ke roop me nisha ko pehna diya. aur fir nisha ki mang bhar di. jese hi ajju ne nisha ki mang me sindoor lagaya nisha ki aankho se do anshu ludak kar uske galo par aa gaye. ajju janta tha ki ye ansu khusi aur gum dono ke mile jule roop ke he. dukh is baat ki aaj ek rista hamesha ke liye khatam ho chuka he aur khusi is baat ki ek naya rista janam le chuka he.
subhay tak saadi ki rashme chalti rahi. aur fir wo pal bhi aaya jab ladki ki vida ka samay tha. nisha aur chacha-chachi is samay kaafi bhabuk the. par baaki log bahut khus the. ajju baha se sidha delhi jana chahta tha par maa nahi mani wo chahti thi ki bahu ki sasural me jo rashme hoti he unhe wo poori kare. bese bhi delhi me yesha koi nahi tha jo un rashmon ko poora karta. ajju maa se mana nahi kar paya aur baha se vida hokar monu ke ghar par aa gaya. jaha maa aur ghar ke baaki logo ne rashme nibhai. is sab ko poora karte karte dopehar ho gai thi. sab kaafi thake huye the. sabko jagte jagte 30 ghante se jayada samay ho gaya tha. is liye sabhi log aaram karne ke liye chale gaye. aaj monu bhi duty par nahi gaya aur sab ke saath hi ghar par ruk gaya tha.
par pro. narayan baha nahi ruke unhone pehle hi bol diya tha rashme poori hote hi wo delhi nikal jayege, wo ajju aur nisha ke liye baha kuchh surprise plane karne baale the. jabki manju aur ravi rashme poori hone ke baad manish ke ghar chale gaye the. sayad apne bacche ko lene ya fir usse milne, bajah jo bhi ho. wo baha se sidhe airport pahuch kar ajju aur nisha ke saath hi delhi jaane bale the. baki bache log aram karne lage. ajju ka plane raat me delhi nikalne ka tha. bese wo bhi kaafi thaka hua tha is liye jald hi so gaya tha.
monu ko department ki taraf se jo ghar mila tha wo paryapt bada tha. ashani se sabhi log adjust ho gaye the. us ghar me kul 4 room the. ek room me monu aur ajju so gaye the dushre room me uncle aur vinod uncle so gaye the. tishre room me sadhna aur bua ji jabki chothe room me maa, renu aur nisha.
--------------------------------------------------
dushri taraf jab ravi aur manju manish ke ghar par pahuche to manish aur uski biwi sabaana jise ravi apni behan bhi manta he bahut khuss huye. aaj kai dino ke baad wo charo ek saath ikatthe huye the.
nasta paani karne ke baad wo log beth kar baate karte rahe. achanak bacche ke rone ki awaj aai aur sabaana dod kar andar chali gai. kuchh der baaj jab wo bapis aai to uske paas lagbah ded ya do saal ka ek baccha tha. jo ki sabana se buri tarah chipka hua tha.
us bacche ko dekh kar ravi aur manju kaafi bhabuk ho gaye. manju par to sehan hi nahi hua aur usne turant wo bachcha sabaana se le liya. aur use pyaar karne lagi. ye baccha koi aur nahi balki manju aur ravi ka hi bachcha tha, jise manju ne sabaana ko diya tha, taki wo ise surakshit rakh sake. 1 saal baad apne bachche ko seene se lagane par manju ko bahut rahat mili thi wo bahut jyada bhabhuk ho gai thi aur kuchh yahi haal ravi ka tha. wo to pehli baar apne bachche ko dekh raha tha. kuchh der baad ravi ne manju se bachche ko le liya. par wo jyada der tak unke paas nahi ruka aur rone laga.
ye sab dekh kar manish aur sabaana thode udash ho gaye the. par unhone apni udashi jahir nahi hone di thi. par ravi aur manju ki najro se unki udasi bach nahi pai. jab bachcha jyada pareshan karne laga to manju ne use sabaana ko de diya. sabaana ke paas jate hi bachcha sant ho gaya tha.
manish aur sabaana ne bhag kar saadi ki thi kyu ki dono alag alag dharmo se nata rakhte the, is liye un dono ke ghar baale is riste ke liye taiyar nahi the. pehle wo dono bhi delhi hi rehte the. ravi ne hi un dono ki saadi karbai thi. saadi ke baad wo log yaha indore shift ho gaye the. jab manju ki delevery hui thi usse kuchh din pehale hi sabaana ki bhi delevery hui thi, par kisi problam ki bajah se ya dactors ki laparwahi ki bajah se uska bachcha mara hua peda hua tha. usse bhi bura ye hua ki doctors ne saaf saaf bol diya ki ab sabana kabhi ma nahi ban payegi.
manish ne to jese tese khud ko sambhal liya tha, par sabaana to bilkul toot hi gai thi. par use fir se nai jindgi mil gai thi manju ke bachche ke roop me. manish aur sabaana ne manju aur ravi ke bachche ko apne bachche ki tarah hi pala tha. par ab sayad unhe lag raha tha ki ye log apne bachche ko bapis le jane bale he. manju aur ravi sabaana ke baare me sab jante the. bahi sabaana bhi bachche se door hone ke gum ko janti thi. wo chahati thi ki ye bachcha sada uske paas rahe par wo kuchh nahi kar sakti thi.
ravi- kya baat he sabaana tumhare chehare par ye udasi kyu he
sabaana- nahi to wo to bas thodi si thakan ho gai he. aap ke ye sahab jaade bahut paresan kar ke rakhte he. ab aap aa gaye he ise apne saath lene to thoda aaram milega.
sabaana ne kehne ko to apne dil ki baat sabdo ke jaal me ghuma fira kar keh di, par wo ravi aur manju ke chehare ki muskurahat ko nahi dekh pai jo uski baat sun kar unke chehare par aa gai thi.
manju- sabaana tumhe sayad aram milne bala nahi he
sabaana- matlab????
ravi- matlab ham ise kahi nahi le ja rahe he. ye hamesh tumhare paas hi rahega.
itna sunna tha ki manish aur sabaana ki ankho se anshu behane lage. wo ek dushre ke gale lag kar kaafi der tak rote rahe unke rone se bachcha jo ki abhi abhi sabaana ki god me soya tha fir se jag gaya aur rone laga. dono jaldi se alag huye aur sabaana us bachche ko chup karane lagi.
manju- halaki ye hamare liye bhi ashan nahi he. par mai janti hu ki bachche se door hona kesa lagta he. tumne ise apne bete ki tarah pala he. ab to ye mujhe pehchanta bhi nahi he. ye to tumhare bina mere saath ek pal bhi nahi reh payega. aur sach poochho to tum dono ke chehare ki udasi ne hame bata diya tha ki tum dono bhi iske bina nahi reh paoge. mene to ise keval janam diya he par tumne ise jindgi di he, ise pala he. agar ye tumhare saath nahi hota to sayad aaj jinda bhi nahi hota. ham ise tum se door karne ka paap nahi kar sakte.
manish- aap log nahi jante aap ne ham par ek baar fir se kitna bada yehsan kiya he.
ravi- ye baat aaj bol di to bol di agli baar bhool kar bi nahi bolna, barna hamara rista usi pal khatam ho jayega. bhala koi apno par bhi yehsan karta he. haa par kabhi kabhi ise ham se milane le aaya karo. ya kabhi hamara dil kare to...... agar tum logo ko bura na lage
sabaana- ab aap dil dukhane bali baat kar rahe he bhai. aap jab chahe yaha aa sakte he. bese bhi aap log jitna bhi apne aap ko majboot sabit karo par ho to aap bhi inshan hi. mai samajhti hu ki aap logo ke dil ki baat. hame koi etraj nahi he.
manish- bas bahut ho gai baate chalo chal kar aaram kar lo aap logo ke chehare par raat bhar jagne baali thakan saaf saaf dikhai de rahi he.
sayad ravi aur mnju bhi yahi chahate the. is liye wo guest room me jakar so gaye. aur manish aur sabaana bahi bethe bethe bachche ko khilane lage. jo rone ki bajah apni totli awaj me unse baat kar raha tha.
Bahut khoobsurt or behad shandar update bhai.Update 036
------------------------------
ajju ki jab ankh khuli to usne apne aap ko hospital me paya. uske poore sarir par pattiya bandhi hui thi. aur use kaafi dard aur jalan mehsoos ho rahi thi. paas me hi manish aur ravi bhai bethe huye the. jo sayad apas me kuchh baat kar rahe the. ajju ke muh se achanak nikla
ajju- nishaaaaaa aaahhhhhh
ajju ki awaj sunkar dono chonk gaye aur turant ajju ke paas aa gaye. dono ke chehare par is samay muskan thi
ravi- bhagwan ka bahut bahut dhanyawad tumhe hosh aa gaya. mai abhi docter ko bulata hu
ravi jese hi jaane ko hua ajju ne uska hath pakad liya
ajju- nnnniiiisssshhhhhhhaaaaaaaaaa?????????
ravi- wo dushre ward me he use abhi hosh nahi aaya he manju aur manish ki waife sabaana uske saath hi he.
itna bolkar ravi bahar nikal gaya. thodi der me wo doctor aur ek nurse ke saath bapis aaya. doctor ne manish aur ravi ko kuchh der ke liye bahar bhej diya. aur fir ajju ka checkup karne laga. karib adhe ghante baad doctor bahar aaya
doctor- ye to ek chamatkar he. mujhe yakeen hi nahi ho raha. tum jis condition me ise laye the mujhe to laga tha ye jinda hi nahi he. par sach kahu to mujhe in dono ke ab tak jinda rehne ki koi umeed nahi thi. par ye bahaut jaldi recover kar raha he.
ravi- ye sab aap ka kamal he
doctor- kya ravi mujhe aap mat kaho, its ok ham sab ne ek saath hi to medical ki degree ki thi. dost ho mere mera naam lekar pukaro. aur haa ye mera kamaal nahi he. medical science me ye sambhav hi nahi he. 24 gahnte me adhe se jyada gav bhar gaye he. ye baat tum bhi achhi tarah se jante ho
ravi- aur nisha kesi he
doctor- kuchh der pehale mene uska bhi checkup kiya tha, par uski haalat me koi sudhar nahi he. mere khyaal se bo ab jyada samay tak jinda nahi bach payegi.
ravi- kuchh bhi karo mere dost, nisha ka bachna bahut jaroori he. agar nisha ko kuchh ho gaya to kayamat aa jayegi. ajju yaha indore me khoon ki nadiya baha dega. tum nahi jante wo uske liye kitni khash he. nisha ajju ke jeene ki akhri ummeed he.
doctor- mai apni taraf se poori kosis kar raha hu ravi. par ek baat mujhe samajh me nahi aai, tum in dono ke family balo ko inform kyu nahi kar rahe ho. aur tumne inka naam bhi galat likhbaya he.
ravi- inki halat dekh kar to tum khud bhi samajh sakte ho ki inki jaan ko khatra he. aur mai filhal koi risk nahi lena chahta. bas tum se yahi ummeed karunga ki tum bhi ye raaj keval apne paas tak hi rakhoge.
doctor- tum nischint raho. kisi ko ye pata hi nahi chalega ki ye log yaha par admit he ya kabhi bhi inka koi bhi ilaj yaha hua he.
ravi- kya ham ab ajju se mil sakte he
doctor- haa kyu nahi. bese ham use icu se private ward me shift karne bale he. tum chaho to usse private room me mil sakte ho
kuchh der me ajju ko private ward me shift kar diya gaya. uske sarir par se jyadatar pattiya nikal di gai thi. par uske sir par abhi bhi kaafi pattiya bandhi thi, sayad use sir me kaafi gehri chot aai thi. iske alaba uske baye hath aur baye pair me palaster bhi bandha hua tha. baaki sarir par halki fulki choto ke nishan hi bache the.
manish aur ravi abhi abhi room me aaye the. aur ajju ke paas chair par jakar beth gaye the.
ajju- aap logo ke alaba koi nahi aaya????
ravi- mene abhi tak kisi ko nahi bataya iske baare me
ravi ki baat sunkar ajju hairan reh gaya
ajju- kyuuuunnnnnnnn????
ravi ne ajju ki baat ka koi jabab to nahi diya par baha lagi TV ko on kar diya, aur us par ek local news chanel laga diya.
jis par is samay ek reporter kal raat airport ke paas highway par huye hadse ke baare me bata rahi thi. tv par is samay ek poori tarah se jali hui car thi. aur uske paas me hi do poori tarah se jali hui lashe thi jinke sayad ab kankaal hi bache huye the.
ajju us car ko turant pehchan gaya tha kyu ki ye to bahi car thi jisse wo aur nisha airport ke liye nikle the. ajju kuchh kehne hi bala tha ki tabhi ravi ne use sant rehne ka ishara kiya aur news par dhayaan laga diya. kuchh der baad news me ASP manoj dubey(monu) dikhai diya jiski ankho se saaf pata chal raha tha ki wo kaafi der se ro raha tha. fir baaki ke log bhi dikhai diye. chacha-chachi, maa- uncle, renu, sadhna,bua-vinod uncle, mamaji aur ek ladka aur ek ladki aur the. ajju unhe pehchan nahi paya, par wo chach aur chahi ke saath hi the. ajju ne andaja lagaya sayad ye neha aur sourav hoge. sabhi ke chehare se saaf pata chal raah tha ki wo kaafi der se ro rahe he.
screen par niche ki side baar baar marne baalo ke naam flash ho raha tha "ajay-nisha" kuchh der baad ravi ne tv off kar di. aur ajju ki taraf dekha
ravi- ab to tum sayad samajh hi gaye hoge ki kyun mene kisi ko kuchh nahi bataya. bese mai professor sahab ko ye batane bala tha. par mene socha ki unhe batane ka faisha tum hi karo. aur bese bhi bo filhal baha un dono ka antim sanskar karne me bussy he. agar mene unse contect kiya to baki logo ko bhi pata chalne ki sambhavna he.
ajju- par kyu chipaya aapne ye sab
manish- hame lagta he ki ye chief jo koi bhi he tumhare aas paas ka hi koi he. aur tum par poori najar rakhta he kuchh samay tak use tumhari mout ki khabar se khush hone diya jaye to hi thik he. kam se kam tab tak jab tak ki tum bilkul thik nahi ho jate.
ravi- par ye dono jinki lash gadi me mili he wo hai kon. aur ye sab kese hua
ravi ki baat sunkar ajju soch me pad gaya saari ghatna uske dimag me ek film ki tarah chalne lagi fir usne batana suru kiya.
ajju- kal aap logo ke jaane ke baad ham log so gaye the. raat bhar ki thakan se pata hi nahi chala kab raat ho gai. jab ankh khuli to saam ke 7 baj rahe the. fir mai aur nisha jaldi se taiyaar huye. tab tak maa ne khane ka intjam bhi kar diya tha. khana khakar raat karib 9 baje ham airport ke liye nikle. aur aap logo ko bhi call kar diya tha.
kuchh dur jane ke baad ek ladka aur ladki ne hamse lift mangi unki sayad gaadi kharab ho gai thi. aur be log bhi airport ja rahe the. jab ham highway par pahuche jo ki lagbha us samay sunsaan ho chuka tha, tabhi achanak ek dhamaka hua. aur hamri gaadi palat kar road se niche gir gai. aur usme aag lag gai. jab mujhe kuchh hosh aaya to mene nisha ko gaadi se bahar nikala aur fir un dono ko bahar nikalala par wo log tab tak mar chuke the. is liye mene bahi car ke paas hi unhe chhod diya.
nisha ki sanse abhi bhi chal rahi thi. par wo buri tarha se jal chuki thi. mujhe apna koi hosh nahi tha ki mai kis halat me hu. na hi us samay mujhe kisi prakar ke dard ka yehsash ho raha tha, mai jald se jald nisha ko hospital le jana chah raha tha. jese tese mai nisha ko lekar highway par aaya. aur kuchh door hi chala tha ki achanak se ek aur dhamaka hua, aur tabhi mai ek car se takra gaya. uske baad mujhe kuchh hosh nahi raha. tab se lekar ab kuchh der pehle meri ankh khuli thi jab aap log mere saath the.
ajju kuchh der khamosh raha aur fir bola
ajju- par mai yaha kese aaya aur aap log mujh tak kese pahuche???
ravi- manish mujhe aur manju ko airport chhodne aa raha tha tabhi tum hamari car se takra gaye. hamne bhi bishphot ki awaj suni thi. is jiye jab ham dod kar us taraf gaye to pata chala ki tumhari car ka petrol tank leak hone ki bajh se wo bisphot hua tha. agar tumhe kuchh aur der ho jati to sayad tum bhi unhi lasho ki tarah rakh ho gaye hote. pehle to hame laga ki ye kebal ek accident he. is liye mene socha ki tumhare ghar par khabar kar du. par us samay tumhari halat kaafi kharab thi, is liye mene socha ki pehle tumhe hospital me admit kara deta hu. fir baad me khabar kar dunga. manish hame is hospital me laya tha. yaha jo doctor he usne hamre saath hi medical ki degree ki thi. aur hamara achchha dost bhi tha. digree poori hone ki baad wo yaha sattel ho gaya tha.
ravi kuchh pal ruk kar fir se bola
ravi- hospital aakar me tumhare ghar baalo ko khabar karne hi bala tha ki news par tumhare accident ki khabar aane lagi. aur sabhi jagah tumhare marne ki khabar fail gai. mujhe us samay ye thoda ajeeb laga, par fir mene socha ki achchha hi he kam se kam tumhare thik hone tak chief koi aur harkat nahi karega. bese tumhe pata he wo pehli baar jo dhamaka hua tha jiski bajah se tumhari car palat kar niche gir gai thi wo kyu hua tha
ajju ne na me sir hila diya
ravi- tumhari car me ek chhota sa bum fit kiya gaya tha. tumhe maarne ki poori taiyari thi. aur ek baat jab ham log tumhe lekar hospital ja rahe the to 2-3 galdiyo me kuchh hathiyaar band log usi taraf ja rahe the jaha tumhari kaar me dhamaka hua tha. sayad chief ke aadmi the usne socha hoga ki agar tum kisi bhi tarah bach bhi gaye to ye log tumhe maar denge.
fir kuchh der tak baha khamoshi chhai rahi.
ajju- aap baha nahi gaye??? aap ke na jane se yesha na ho ki wo log aap par hi sak karne lage.
ravi- mai pehle hi baha hokar aa gaya hu. aur kuchh der baad fir ja raha hu.
ajju- thik he. mera ek kaam karege
ravi- kya????
ajju- mujhe nisha ke paas le chalo. mujhe use dekhna he
ravi- nahi ajju abhi tumhari halat thik nahi he
ajju- mai bilkul thik hu. aur nisha ko dekh kar aur bhi jaldi thik ho jaunga. mujhe use dekhna he. mera dil bahut ghabra raha he
ravi- plz ajju maan jao. tum use nahi dekh paoge
ajju- aap yesha kyu bol rahe he. kahi aap mujhse kuchh chhipa to nahi rahe ho, kahi use kuchh ho to nahi gaya batao mujhe
ajju ki baat sun kar ravi sir jhuka kar khada ho gaya. akhir wo kese ajju ko nisha ki halat ke baare me batata
manish- nahi filhal wo thik he, par keh nahi sakte ki kab tak. uski halat kaafi najuk he. tumhari tarah wo bhi coma ki halat me thi. par tum ne recover kar liya pata nahi kese, par tum 24 ghante se kam samay me kaafi had tak thik ho gaye ho, par wo abhi bhi besei hi he. agar kisi bhi tarah bach bhi gai to wo jindgi mout se bhi jyada buri hogi uske liye. nisha ka chehara poori tarah se jal chuka he. plastic surjary ka koi fayda nahi hoga. baaki body ke intarnal parts bhi jyadatar bekar ho gaye he. ek hath aur ek pair jalne ki bajah se galne lage he doctor ka kehna he katne padege.
ajju- mujhe uske paas le chao abhi
un logo ke paas ajju ki baat maanne ke alaba koi chara nahi tha majboori me wo log ajju ko sahara dekar nisha ke room ki taraf le gaye.
nisha ke poore sarire par patiiya chadi hui thi wo abhi bhi behosh thi. ajju uski halat ko dekh hi nahi paaya aur uske paas jakar uske haath ko apne hath me lekar rone laga.
ajju- nishu utho dekho mujhe.... utho nisho. he bhagwan ye kya ho gaya meri nishu ko. nishu mene kaha tha na par tum nahi maani bhagwan ko meri khushiyan bilkul bardast nahi hai. meri kismat me pyaar he hi nahi, mai janta tha ki jo bhi meri jindgi me aayega kismat use mujhse chhin legi, dekho kya ho gaya. pehle jiya aur ab tum bhi mujhe chhod kar ja rahi ho. nahi mai tumhe kahi nahi jane dunga. utho tumhe uthna hi hoga mere liye, apne ajju ke liye. mai vada karta hu ki tumhe itna pyaar dunga jitna kabhi kisi ne kisi aur ko nahi kiya hoga. meri khatir. mai kabhi bhi tumhari koi baat nahi talunga, jo kahogi wo karunga. bas mujhe yu bich raste me chhod kar mat jao. mai bilkul akela ho jaunga. thak gaya hun mai ladte ladte ab aur kisi apne ko khone ki himmat nahi he mujh me.
ajju nisha ke sine par sir rakhkar foot foot kar kaafi der tak rota raha. fir kuchh der baad ajju utha aur usne apne anshu ponchhe. uska chehara ek dum sakht ho chuka tha. aankhe ek dum lal thim jinhen dekhne se yesha lag raha tha jese ye rone ki bajah se nahi balki gusse se lal ho.
ajju- agar nishu tumhe kuchh hua to mai aag laga dunga saari duniya me. kisi ko bhi nahi chhodunga. ek ek ko chun ke maarunga itni bhayanka mot dunga ki saari duniya khouf ke saaye me rahegi. khoon ki nadiyan baha dunga mai.
fir ajju upar ki taraf dekhta hua bola
ajju- suna toone mai kya bol raha hun. teri banai duniya ka mai namo nishan mita dunga agar meri nishu ko kuchh bhi hua. sak to mujhe tere na hone ka bachpan se hi tha par aaj mujhe poora yakeen ho gaya ki too hai hi nahi. agar tu hai to ya to meri nishu mujhe bapis kar de ya fir taiyaar ho ja mere kehar se apni banai is duniya ko bachane ke liye.
itna bolte bolte ek baar fir ajju ki aankhon me anshu aa gaye aur wo fir se nisha ke seene par sir rakh kar rone laga. kisi se bhi ajju ke ye halat bardast nahi ho rahi thi, aur unhe ajju se dar bhi lag raha tha, ravi ne to keval ek do baar hi ajju ki haiwaniyat dekhi thi, ek baar tab jab usne kamal ko mara tha, aur dushri baar yahin indore me jab usne nisha ko bachane ke liye ek saath 11 logon ka maar diya tha. par manish to pichhle kai dino se ajju ki haiwaniyat ka gawah tha. use pata tha ki ajju jo bhi keh raha he wo kar bhi sakta he. jese tese himmat kar ke ravi ne ajju se kaha
ravi- ajju chalo ab tumhe aaram karna chahiye
ajju- nahi mai thik hu mai ab kahi nahi jaane bala. mai yahi rahunga. ek baar bas ek baar jiya ka saath kya chhoda wo mujh se bahut door chali gai. ab mai nisha ko nahi jaane dunga.
ravi samajh gaya ki ajju ab kisi ki bhi nahi sunega. sach poochho to ab un logo me bhi itni himmat nahi bachi thi ki wo ajju ko samjha paye.
ravi- thik he me doctor se bolkar tumhara bed yahi nisha ke paas lagba deta hu
itna bolkar ravi bahar chala gaya. jabki ajju bahi nisha ke ek hath ko apne hath me pakde betha hua tha.
kuchh der baad ajju ka bed bhi bahi nisha ke ek dum paas hi laga diya gaya, aur use jabardasti us par lita diya gaya tha. par wo abhi bhi nisha ka ek hath apne hath me liye huye tha. use dekh kar yesha lag raha tha jese ajju ne man hi man me koi bada faishla kar liya he. aur jese wo janta ho ki ab use kya karna he. kuchh der baad ravi ajju ke paas aaya
ravi- mai tumhare chacha ji ke ghar ja raha hu. tum batao ki professor sahab ko kuchh batana he ya nahi.
ajju- haa unhe aap bata dena par dhyaan rahe unke alaba kisi aur ko iske baare me pata nahi chalna chaiye. monu ko bhi nahi.
ravi- thik he
ajju- aur haan bhai mera ek kaam aur kar sakte ho kya
ravi- kya???
ajju- ham dono ko kisi bhi tarah delhi shift kara skate ho. jitni jaldi ho sake utni jaldi
ravi- kara to sakta hu. par yaha tumhara delhi se behtar ilaj ho sakta he.
ajju- haan sayad par delhi me mai nisha ko bacha sakta hu
ravi- kese????
ajju- bese hi jese mai thik ho raha hu. mujhe isi ke liye mama ji ki help chahiye
ravi- are you sure????
ajju- mai confirm to nahi hu par sayad mai ye kar sakta hu. kuchh na karne se to yahi behtar he ki kosis ki jaye.
ravi- thik he mai doctor se baat kar leta hu. ham tumhe gup-chup tarike se yaha se delhi le jayege
itna bolkar ravi baha se chala gaya. ajju abhi bi nisha ke ek hath ko apne hato me thame huye tha aur bole jaa raha tha
ajju- mai tumhe kuchh bhi nahi hone dunga. ye mera vada he. chahe mujhe ek baar fir se wo formula kyu na banana pade.
fir ajju upar dekhte huye bola
ajju- haan mai ek baar fir us formule ko banaunga papa, mujhe maaf kar dena mai apna vada tod raha hun, par mai nisha ko kuchh nahi hone de sakta. sayad meri jagah aap hote to aap bhi yahi karte. aur tu sun le jise sab bhagwan bolte he, mai tere banaye niyamon ko todne jaa raha hun, agar tu mujhe rokna chahata he to rok le. par yaad rakhna agar meri nishu ko kuchh bhi hua to fir tere pass bhi khone ke liye kuchh nahi bachega.
aur fir achanak hi ajju ka gussa sant ho gaya aur wo normal dikhne laga. uske dimag me jo bhi vicharon ki aandhiyan chal rahi thi wo ek dum se sant ho gai. ajju nisha ko kafi der tak dekhta raha, aur fir uski aankhe bhari hone lagi aur wo bese hi nisha ke haath ko thame so gaya.
usi raat ravi ne moka pakar pro. narayan se ajju ke baare me baat kar li. ajju ke baare me jaan kar wo kafi khush huye par jab nisha ke baare me pata laga to unka chehara fir udash ho gaya. wo turant ajju aur nisha ke paas jana chahte the, par ravi ne unhe samjhaya ki abhi unka ajju ke paas jana khatarnak ho sakta he. fir ravi ne unhe ajju ke delhi shift karne ke baare me bataya. pro narayan ne poonam se baat kar ke ek private jet ka intjaam kara diya. jisse manju, ravi, ajju aur nisha usi raat delhi chale gaye. chuki ajju jaha admit tha wo hospital ravi ke hi dost ka tha is liye unhe delhi reffer karne me koi dikkat nahi aai.
delhi pahuch kar ravi ne ajju aur nisha ko hospital me admit kara diya tha. agle din pro narayan bhi delhi bapis aa gaye the. bese bhi ab unka indore me koi kaam nahi bacha tha.
jab pro narayan ajju se mile tab tak ajju kaafi had tak thik ho chuka tha. jabki nisha ki halat abhi bhi besi hi thi, balki ye kaha jaye ki nisha ki haalat pehle se aur bhi jyada kharab thi to behatar hoga, doctors ne to hath hi khade kar diye the. balki unhone to nisha ka baya hath aur pair turant katwane ki salah tak de di thi. par ajju apni jid par ada hua tha. pro. narayan akhir kaar ajju se baat karne pahuche
mama ji- aakhir tum karna kya chahte ho
ajju- mujhe bas aap ki help chahiye aur fir mai nisha ko fir se pehle jesa bana dunga
mama ji- par kese
ajju- bese hi jese mere ghav apne aap bhar jate he.
mama ji- matlab ki tum............
ajju- haan mama ji mai ek baar fir us formula ko banane bala hu. bese to ye kaam mujhe bahut pehale hi kar lena chahiye tha jab mujhe jiya ki bimari ke baare me pata chala tha, par sayad us samay mai apne hosh me hi nahi tha. barna aaj jiya hamare bich hoti. par jo ho chuka he use ham badal to nahi sakte lekin ab mai nisha ko kahi nahi jaane dunga
mama ji- wo to thik he par hamare paas itna wakt nahi he. tumne wo formul ek mahine se jyada samay me banaya tha. nisha sayad utne sama tak.......
ajju- kuchh nai hoga use. bese bhi mai us samay use banane ki kosis kar raha tha. par ab mai janta hu wo kese banega. lagbhag 1 hafte me mai use bana sakta hu.
mama ji- tab tak to nisha ka hath aur pair kaafi had tak gal jayega aur fir use sayad tumhare formula se bhi thik na kiya ja sake.
ajju- to mai raat din kaam kar ke use 3 se 4 din me banane ki kosis karunga
mama ji tum pagal to nahi ho gaye ho
ajju- kya iske alawa aur koi rasta he????
ajju ke sawal ka pro. narayan ke paas koi jabab nahi tha vastav me ye un logo ki akhri umeed thi
mama ji- par tum abhi tak poori tarah se thik nahi ho. tum lagatar itna kaam nahi kar paoge
ajju- mai thik hu aur mai janta hu ki mai ye kar sakta hu.
mama ji- thik he jesa tum thik samjo. mujhse kya chahate ho
ajju- aap ki lab, wo bhi tab tak ke liye jab tak mai wo formula na bana lu. mere alaba baha koi bhi nahi aayega. aap bhi nahi.
mama ji- par.....
ajju- mama ji mujhe aap ke baha hone se koi aapatti nahi he, par mai chahata hu ki jab tak mai wo formula na bana lu aap nisha ke saath hi rahe. use tab tak kuchh bhi nahi hona chahiye. mai jab tak nahi aa jata uska ek nakhoon bhi nahi kata jayega.
mama ji- thik he jesa tum thik samjo mai abhi lab ko khali kara deta hu. aur mai khud tumhare saath jakar bahar se us lab ko lock kar dunga taki jab tak tum andar raho. koi bhi tumhe disturb na kare.
fir ajju sidha nisha ke paas pahucha jo ki abhi tak coma me thi ajju ne uske hath ko apne hath me liya.
ajju- mera intzaar karna nishu, jab tak mai nahi aau tab tak tum kahi nahi jaogi kahi bhi nahi, tumhe meri kasam he. agar tumne mujhe sachche dil se pyaar kia he to tum kahi bhi nahi jaogi. tumhe meri kasham he nishu tum mera intzaar karogi. mai jarur aaunga aur fir sab thik ho jayega. bas jab tak bapis nahi aata haar mat manna.
nisha ke hath me halki si harkat hui yesa laga jese wo ajju ki saari bate sun rahi hom aur use kehna chahti ho mai tumhara intzaar karungi. ajju ne pattiyo se dhake huye uske chehare par ek halka sa kiss kiya aur uth kar bahar aa gaya.
baha se ajju aur pro. narayan sidha lab pahuche. raste me pro. narayn ne kuchh khane peene ka saman bhi pack kara diya tha. jo ki sayad ajju ke liye hi tha. wo ajju ko lab me bahar se lock kar ke bapis hospital aa gaye. ab bas wo ajju ke call ka intjar kar rahe the.
------------------------------------------------
ajju ko lab aaj tishra din poora hone ko tha wo din raat us formula ko banane me laga hua tha. na hi wo ek pal soya tha na hi usne kuchh khaya piya tha. uske andar to ek junoon sa sawar tha. use khud ki koi parwah nahi thi is wakt. pro. narayn jo khane peene ka saman yaha chhod gaye the wo besa hi baha pada hua tha. par in 3 dino me ajju khud poori tarah se thik ho chuka tha. uske sarir par chot ka koi nishan nahi tha. yesha lag rah tha jese kuchh hua hi nahi. koi agar use dekhta to yakeen hi nahi karta ki 5 din pehle uska ek bhyanak accident hua tha. jisme na kebal uska sarir poori tarah se jal gaya tha. balki kai gambheer chote bhi aai hui thi.
is samay aaju kanch ke ek capsule me koi liquid bhar kar burner par use garam kar raha tha. achanak us liquid ne apna rang badalna suru kar diya, wo green color se sky blue me badalne laga. jise dekh kar ajju ke chehare par ek muskan aa gai. akhir kar uski mehnat rang laai thi. formula taiyaar ho chuka tha.
ajju ne ghadi me time dekha raat ke 8 baj rahe the. usne turant hi pro. narayan ko call kiya aur pehli hi ring me call recive ho gaya ajju ko yesa laga jese mama ji usi ke phone ka hi wait kar rahe the.
mama ji- ajju kya wo taiyaar ho gaya
mama ji ki awaj is samy kaafi dard bhari mehsoos ho rahi thi
ajju- haan mama ji wo taiyaar he par aapko kya hua
mamaji- beta nisha ki halat bahut jyada kharab ho chuki he mujhse use is haal me aur nahi dekha jata. baar baar uski sanse ukhad jati he. par pata nahi achanak kaha se uske paas takat aa jaati he, aur fir normal ho jati he. yesha lag raha he jese wo apni mout se lad rahi he
ajju- ab use kuchh bhi nahi hoga meri nishu ko. aap usse kahiye ki mai aa raha hu uske pass. aur fil aap jaldi se yaha aa jaiye
mama ji- thik he mai aata hu
phone cut karne ke baad ajju ne us liquid ko kanch ki seesi me bhar liya aur unse achchhe se band kar ke apni jeb me rak liya aur us formule se related bacha hua sara saman jala diya. baha ki achchhe se safai karne ke baad ajju bahi ek chair par beth kar mama ji ka wait karne laga.
lagbhag aade ghante baad mama ji ne bahar se lab ka lock khola. ajju bina der kiye lab se bahar aa gaya. fir dobara lab ko lock kar ke wo log hospital ki taraf chal diye.
jab wo hospital pahuche ko ravi manju aur doctor unhi ka wait kar rahe the. ajju ko dekh kar manju aur ravi kaafi hairan huye. unhe to yakeen hi nahi ho raha tha ki ajju ka 5 din pehale accident hua tha. ajju unke man ki baat samajh gaya tha, par abhi uske paas unhe is sab ke baare me batane ka samay nahi tha. unke aate hi doctor ne pro. narayan se kaha
doctor- dekhiye professor sahab aap ki jid ki bajah se patient ki halat aur bhi jyada kharab ho chuki he. ab mai aur wait nahi kar sakta hun. hame turant operatin kar ke uska baya haath aur pair katna padega. barna kal tak uska baki ka sarir bhi galna suru ho jayega. burning cases me mamle ko jyada der tak talna khatarnak ho sakta he.
ajju- doctor sahab kya aap is baat ki garantee lete he ki uska ek haath aur ek pair kaatne se wo poori tarah se thik ho sakti he. kya aap uske jinda rehne ki garantee le sakte he.
doctor- dekhiye yese cases me mai kya duniya ka koi doctor garntee nahi le sakta.
ajju- to fir aap keval aaj raat ka samay aur hame de dijiye agar kal subahy tak aap ko uski halat me koi sudhar najar nahi aaya to fir aap jo chahe kar sakte he.
doctor- akhir 1 raat me yesa kya badal jayega
ajju- sayad hamari dua kaam aa jaye, sayad bhagwan ko mujh par daya aa jaye. aur wo meri wife ko thik kar de. sayad aaj raat kismat se mera pyaar jeet jaye. sayad koi chamatkaar ho jaye
doctor- kis duniya me jee rahe ho aap. science ke jamane me chamatkar ki umeed bilkul bachkaani lagti he
ajju- par sayad hame aaj usi ki jarurat he.
doctor- thik he lekin kebal aaj raat ke liye. par agar aap ki wife ko kuchh hota he to uski poori jimmedari aap ki hogi
ajju- thanks doctor
fir doctor baha nahi ruka, ajju bhi baha nahi ruka aur sidha nisha ke room me chala gaya. sabse pehle usne apni jeb se kanch ki sisi nikali jisme uske dwara banaya formula tha. fir ajju ne use nisha ko inject kar diya. aur bahi uske bagal me uska hath apne hatho me tham kar beth gaya.
jabki bahar pro narayan manju aur ravi se baat kar rahe the. ravi pro. narayan se jaanna chahta tha ki akhir ajju pichhle 3 dino se kaha tha aur aaj raat yesha kya hone bala he jisse nisha ke thik hone ki umeed he. aur sabse badi baat ajju keval 5 dino me ekdum swasth kese ho gaya.
halaki pro. narayn formula ke baare me kisi ko nahi batana chate the. par in logo ko kuchh na bata kar wo inka sak aur jyada nahi badana chahte the. is liye unhone un dono ko adhura sach bata diya. jo ki pehle hi ajju aur unke bich me tay ho gaya tha. kyu ki ajju janta tha ki aaj nahi to kal ravi aur manju ye sawal jarur karenge
pro. narayan- beta bese ye baat aaj tak mere, ajju aur sayad nisha ke alawa kisi ko nahi pata he par tum log bhi mere apne ho is liye mai tumhe bata raha hu. ajju ke mummy-papa meri hi tarah scinetist the. unhone ek yesha formula banaya tha jo na kebal bimariyo ko thik kar sake balki choto ko bhi jaldi bhar deta he. pata nahi us formula ke baare me crimnals ko kese pata chal gaya aur wo ajju ke parivaar ke pichhe pad gaye. ajju ke mata pita ko jab is baat ka yesash hua ki unhone anjane me ek bahut khatarnak formula bana diya he to unhone us formula se related saare records nast kar diye aur us daba ko ajju me inject kar diya. sayad chief unhi kuchh crimnals me se hi koi ek he. aur sayad yahi bajah he ki chief abhi tak ajju ke pichhe pada he.
bese to ajju par us daba ka koi khash asar nahi hua tha par haa ajju apni life me kabhi bimar bhi nahi hua tha aur uski chote bhi jaldi bhar jathi ye usi ka natija he. bese ajju in 3 dino se nisha ko thik karne ke liya koi daba bana raha tha. ab keh nahi sakte ki wo nisha par asar karegi bhi ya nahi. sayad use banae ki liye ajju ne apne blood ka use kiya ho. ek baar pehle bhi wo us drug ka antidots banane ke liye apne blood ka use kar chuka he. aur sayad ravi ke liye bhi usne ek baar koi daba banai thi jab ravi coma me tha. usi ki daba se ravi thik hua tha
ajju ke baare me ye sab jaankar unhe kaafi ascharya hua. par unke man me nisha ke thik hone ki ek umeed bad gai. sayad nisha thik ho jaye.
aaj ki raat un sab ke liye bahut keemti thi. sabhi log besabri se aane baale naye din ka intjar kar rahe the. jaha ek taraf doctor ajju ki baate soch soch kar hansh raha tha, bahi dushri taraf ajju ko yakeen tha ki nisha ko kuchh nahi hoga. bo bahi betha betha so gaya use pata bhi nahi chala ki kab nisha ne uske hath ko majbooti se pakad liya he.
subhay nisha ke muh se ek halki si karah nikli aur ajju ki ankh khul gai
nisha- ajjjjjjjuuuuuuu
ajju ne dekha ki nisha ne bhi uska hath thama hua he. aur uski palken halki halki hil rahi he. matlab nisha ko hosh aa raha he. ajju ki khusi ka thikana hi nahi raha. wo dod kar bahar aaya aur pro. narayan, manju aur ravi ko iske baare me bataya, jo ki bahar chair par bethe bethe so gaye the.
manju aur ravi ajju ke saath nsiha ke room me chale gaye jabki pro. narayn doctor ko bulane chale gaye. tab tak nisha apni aankhe poori tarah se khol chuki thi. uske sarir se kaafi paseena nikal raha tha. jiski bajahs uski pattiya poori tarah se bhig gai thi.
nisha- ajjuuuuuu mene tumhari kasam ko nahi tootne diya. bas tumhara intzaar karti rahi. mujhe yakken tha tum jaroor aaoge
ajju nisha ke sine se lag gaya aur foot foot kar rone laga
ajju- mujhe paata tha tum mujhe chhod kar kahi nahi jaogi.
ajju josh me akar kuchh jyada hi jor se nisha ki sine se lag gaya tha jiski bajah se nisha ke sarir me dard ki ek tej lehar dod gai
nisha- aaaaaaahhhh ajju mujhe dard ho raha he
ajju turant hi nisha se alag hua.
ajju- ohh sorry sorry sorry wo mai khusi ki bajah se bhool hi gaya
ajju ki baat sun kar nisha ke chehare par ek muskaan aa gai. abhi ye baate kar hi rahe the ki tabhi pro. narayn ke saath doctor aur nursh baha aa gai. jo ki nisha ko ajju se baat karta dekh hairan the. unhe to yakeen hi nahi ho raha tha. jese tese doctor ne apne aap ko samhala aur sab ko bahar jane ka ishara kiya. kuchh der doctor nisha ka checkup karta raha. uske baad nursh ko nisha ki dreasing change karne ki bolkar bahar aa gaya.
doctor- mujhe to yakeen hi nahi ho raha, wo vastav me recover kar rahi he. ek hi raat me itna jyada sudhar mujhe to yakeen hi nahi ho rha
ajju- doctor sahab aap bakai me ek achchhe doctor he, sab aap ki dabaiyo ka hi asar he
doctor- oh no no mr ajay, ye sayad bakai me ek chamatkar he. sach poocho to kal mai aap ki baat sun kar aap par hansh raha tha. par aaj mjhe yakeen ho gaya he ki ab bhi chamatkar hote he. tum vastav me use bahut pyaar karte ho ye tumhare pyaar aur vishwash ka hi natija he.
ajju- doctor sahab ab aap mujhe sarminda kar rahe he, wo sab to mene yese hi bol diya tha taki aap operation na kare. mujhe poora yakeen tha ki aap bina use koi nuksaan pahuchay thik kar sate he.
doctor- nahi mai seriousli bol raha hu. kam se kam aaj ki date me to ye sambhav hi nahi. uska ek hath aur ek pair jalne ki bajah se galne laga tha par ab wo thik he, kaafi had tak chote bhar chuki he, mujhe to ummeed thi ki sayad hi wo kabhi bol paye ya dekh paye. par wo sab kar pa rahi he. bade bade ghav chhod kar ab wo ek dum se thik he. mujhe lagta he use iCU se private ward me shift kar dena chahiye
pro. narayan- jesa aap thik samjhe doctor
fir doctor baha nahi ruka aur dushre marijo ko dekhne chala gaya. usi din nisha ko private ward me shift kar diya gaya. nisha us daba ki bajah se bahut jaldi recover kar rahi thi, par uske andar abhi bhi kaafi kajori thi. is liye uske gahv bharne ki speed ajju ki tarah fast nahi thi.
aaj nisha ko private ward me shift huye lagbhag 5 din ho gye the. nisha ab kaafi had tak thik thi kuchh gehari choton ko chhod kar sabhi choten thik ho gai thi, par unke nishan abhi bhi baaki the. ajju ne use bata diya tha ki usne uspar bhi bahi formula use kiya he jo usne apne upar kiya tha. manju sabhi ke liye khana le aai thi. aur sab log milkar khana kha rahe the. jab se nisha ko private ward me shift kiya gaya tha ajju ne manju, ravi aur pro. narayan ko raat me ghar jaane ke liye bol diya tha, par ajju bahi raha. khana khane ke doran ajju kisi gehri soch me tha jo ki pro. narayan aur nisha se chhipi na reh saki. khana khane ke baad jab manju aur ravi kuchh der ke liye bahr gaye to unhone ajju se poochh hi liya
mama ji- kya baat he ajju kis soch me doobe ho
ajju- mama ji mai soch raha tha kyu na nisha ko ab ghar le chale
mama ji- par abhi tak wo poori tarah se thik nahi hui he
ajju- mai janta hu par jara aap socho uske thik hone ki speed bhale hi filhal mere jesi nahi he. par samany se kai guna adhik he. abhi iski body par jo choton ke nishan dikh rahe he 1-2 din me wo ekdum saaf ho jayenge. ravi aur manju ko to aap ne jese tese samjha liya par doctor aur baaki staff ko ham kese batayege ki nisha 8-10 din me hi ek dam thik kese ho gai. bese bhi nisha ko yaha ki dabaiyo ki ab koi jarurat nahi he
mama ji- baat to thik he tumhari, kyu nisha tum kya kehti ho
nisha- ye sahi bol rahe he mama ji bese bhi ham us formula ke baare me kis aur ko nahi bata sakte. bhale hi bo hamara kitna hi khash kyu na ho. aur bese bhi ab mai kaafi thik ho gai hu aur yaha bore bhi ho rahi hu
mama ji- thik he to mai doctor se baat karke aata hu. ham aaj hi tumhe yaha se le jayenge
uske baad pro. narayan doctor se baat karne ke liye chale gaye. jabki ajju bahi nisha ke paas betha use dekhta raha. halaki jab se accident hua he ajju nisha ke saath hi raha. par unke bich koi khash batchit nai hui. jyadatar dono khamosh hi rahe. sach poocho to nisha ki sadi ki baat jis din chacha ji ne ki thi us din se in dono ke bich khamoshi aa gai thi. kebal ek baar inke bich baat hui thi jab ajju ne nisha ko camere ke baare me bataya tha. par ajju ne apni bahvnao ko bhi nahi roka tha. nisha uski ankho me uske dil ki baat saaf saaf pad pa rahi thi. aur jab baate aankho hi ankho me ho jaye to sabdo ki koi jarurat nahi rehti.
------------------------------------------
ushi din pro. narayan aur ajju nisha ko discharge kara kar ghar le gaye. ravi aur manju pehle se hi pro. narayan ke saath unke ghar par reh rahe the halanki nisha ke ghar me shift hote hi ravi ne moka dekh kar pro. narayan aur ajju se baat ki
ravi- mujhe aap se jaruri baat karni he
mama ji- haan kaho
ravi- ham soch rahe the ki kyu na ham bapis usi ghar me shift ho jaye jahan ham pehle reh rahe the
mama ji- kyu???? kya hua ????? beta kya tum logo ko yaha koi problam he????
ravi- nahi nahi yeshi koi baat nahi he, wo to bas yese hi mene socha
ajju- yese hi kese aap ne soch liya bhai
ravi- dekho ajju pehle tum indore the aur professor sahab yaha akele the, is liye ham yaha shift ho gaye par ab tum aa gaye ho to maine socha ki kyu na bapis.....
ravi ki baat sun kar mama ji ne ravi ko taana mara
mama ji- haan haan kyu nahi jesa tumhe thik lage. tum ne to ye bhi soch liya hoga ki kyu be bajah in logo par bojh bane. hai na?????
ravi- nahi professor sahab wo to bas yese hi........
mama ji- ye kya professor sahab laga rakkha he, tum log mujhe ajju aur nisha ki tarah mama ji nahi bol sakte ho kya????
ravi- par professor sahab........
mama ji- fir bahi professor
ravi- sorry mama ji par mera matlab wo nahi tha jo aap soch rahe he.
mama ji- mai sab samajh raha hu tum logo ka matlab. dekho agar tum log jana chahate ho to mai tum logo par yaha rukne ke liye davav nahi dalunga. par mai bakai me dil se chahata hu ki tum log yaha mere sath hi raho. hamesha se akela hi to raha hu itne bade makan me. tum logo ke aane se hi yaha ronak aai he. ye makan ki jagah ghar jesa lagne laga he. sayad tumhe mai swarthi lagu par bakai me tum log mujhe apne bachcho jese lagte ho mere liye jesa ajju he bese hi tum log bhi ho.
ajju- mama ji sahi keh rahe he. bese bhi hamara yaha aur hai hi kon. agar mai aur mama ji kisi kaam se bahar jayege to nisha yaha akeli hi rahegi, aur agar aap ko kahi jana pada to manju baha akeli rahegi. agar ham saath rahe to kam se kam ek dushre ka sahara milta rahega. aur ladkiya bahle hi apne patiyo ke kitne kareeb ho bhale hi kitna gehra pyaar kyu na ho, par kai baate yesi hoti he jo wo keval kisi ladki ke saath hi share karti he, ek ladki ko dushri ladki se ek bhavnatmak sahara milta he, jo ham log unhe kabhi nahi de sakte. halaki umar aur anubhav me mai aap se chhota hu, par ek baar meri baat par gour jarur kariyega.
ajju ki baat sunkar na keval ravi balki pro. narayan bhi achambhit the, kyun ki aaj usne ek bahut hi gehri baat keh di thi jis par aksar mard log dhyaan hi nahi dete. ajju ki is baat ne aaj ye sabit kar diya tha ki wo ab paripakkv ho chuka he.
ravi- thik he mama ji. jesa aap kahe.
ravi ke haan karne se pro. narayan aur ajju kaafi khush huye, kuchh der aur bahi beth kar baat karne ke baad ajju apne room me chala gaya. nisha ko ajju ke room me hi shift kiya gaya tha. halanki ajju ko ye kaafi ajib lag raha tha.pata nahi kyu par shaadi ho jaane ke baad bhi uske andar thodi bahut maryadaon ki diwar bachi hui thi. filhaal nisha aur manju dono hi baate kar rahi thi jab ajju baha pahuncha. ajju ke baha pahunchte hi dono khamosh ho gai. ajju ne bhi unhe nahi toka aur room me ek taraf pade sofe par jakar let gaya.
nisha ne ek pyaar bhari najar se ajju ko dekha aur fir uske chehare par halki halki lalima aa gai jo manju ki najron se na bach saki. par un dono ke bich ki khamoshi ko bhi manju taad gai thi. is liye usne us samay nisha ko chhedna thik nahi samjha. kuchh der aur bahi bethne ke baad manju baha se chali gai. jabki nisha bahi palag par aaram karne lagi.
---------------------------------------------------
nisha ko ghar par shift huye aaj poora 1 hafta ho gaya tha. nisha ab bilkul thik ho gai thi. use dekh kar yesha lag hi nahi raha tha ki kuchh din pehle uska ek bhyanak accident hua tha, jisme wo lagbhag mar hi chuki thi. uske chehare par bahi purana bala tej bapis lot aaya tha. bahi sokhi bahi chanchalta usme bapis aa gai thi. par ajju aur uske bich me abhi bhi khamoshi hi thi
ajju lagbhag har samay nisha ke sath hi rehta tha, uski har jaruraton ka dhyaan rakhta tha, par usne nisha par pati hone ka hak abhi tak nahi jataya tha. wo dono ek hi kamre me rehte the, par ek bistar par nahi sote the, jaha ek taraf nisha bistar par soti thi bahi ajju ne sofe ko hi apna bistar bana rakkha tha. ajju nisha ko koi kaam bhi nahi karne deta tha. is 1 hafte me kamre ki haalat kafi kharab ho gai thi, kyu ki na to ajju ne use thik karne ki kosis ki aur na hi nisha ko ya kisi aur ko karne di thi. ajju raat raat bhar jag kar bas nisha ko hi dekta rehta tha. nisha ki halki aahat par wo turant uth khada hota. kai dino se lagatar jagne ki bajah se ajju par bhi thakan ka ashar hawi hone laga tha. is liye aaj raat jab wo apne bistar yani sofe par leta to ek gehri need me chala gaya tha.
subhay sabse pehle nisha ki aankh kuli. halanki ye pehli baar hua tha, barna jab bhi nisha ki aankh khulti to use ajju apne pass betha hua dikhai deta tha. aaj jab nisha ko ajju apne ass pass najar nahi aaya to wo chonk gai kyu ki pichhle kuchh samay se use subhay subhay ajju ka chehara dekhne ki aadat si ho gai thi.
nisha turant bistar se uth khadi hui uski najar sofe par sote huye ajju par gai jo kaafi gehri need me so raha tha, aur bahut hi jyada mashoom dikh raha tha. ajju ko yu sota dekh nisha ko thodi chinta hui aur wo dod kar ajju ke pass pahuch gai, aur man hi man sochne lagi
"hai diya inko kya ho gaya aaj"
par jab nisha ne ajju ke maathe par haath rakh kar check kiya to use sab normal laga wo bahi khadi khadi sochne lagi
"kitne mashoom lagte he yu sote huye ek dam bachchho jese, mera kitna khyaal rakte he. pata nahi kab se yun hi raat raat bhar jaag kar mera khyaal rakh rahe he. buddhu kahi ke. kam se kam apna dhyaan to rakhna chahiye. ek kaam karti hu inhe aaj yu hi sone deti hu taaki apni neend poori kar le. lekin tab tak mai kya karu. ek kaam karti hu kamre ko hi thik kar ke aaj inhe apne haatho ki bani cofee pilati hu. bahut door door bhag liye mujhse ab dekhti hu bach kar kaha jaate he."
man me ye sab sochte sochte nisha ne ajju ke maate par halka sa kiss kar liya, aur fir kamre ki safai karne lagi dekhte hi dekhte nisha ne kamre ko vyabasthit kar diya tha. fir wo almari ke pass jakar kapde nikalne lagi par uske kapde to usme the hi nahi keval ajju ke hi kapde usme the.
saadi ke baad vidai ke samay ajju ne nisha ke saare gehne chacha ji ko bapis kar diye the. halaki cachi aur chacha ji is ke liye taiyaar nahi the. par ajju ki jid ke aage unki bilkul nahi chali thi. nisha ajju ki is baat se kaafi khush hui thi. nisha apne saath apne kuchh kapde hi saath lai thi jo ki accident me jal gaye the. jab wo delhi hospital me thi aur use kuchh hosh aaya tha tab manju 2-3 jodi kapde market se uske liye laai thi jo ki ab kaafi gande ho chuke the, aur nisha unhe to bilkul bhi pehanna nahi chahati thi, kyu ki wo baar baar use us haadse ki yaad dila rahe the.
ab samashya ye thi ki wo pehne kya. jhalla kar usne almari band karne ki sochi, tabhi uski najar almari ke niche rakkhe ek bag par gai. nisha ne us bag ko bahar nikal liya aur khol kar use dekhne lagi. us bag me kuchh purane desin ki sadiya aur kuchh cotton ki salwar kurti rakkhi huyi thi. iske alawa usme kuchh jwelary bhi rakkhi hui thi, jo ki 100% gold ki thi, aur kuchh kanch ki chudiyan bhi thi. par sab kuchh purane design ka tha. nisha ko bo bahut hi jyada achchha lag raha tha. par wo unhe use karne se jhijhak rahi thi. akhir me usne unme se ek saadi select ki jo dark green color ki thi. aur maching ki chudiya aur halki fulki jwelary nikal kar dressing table par rakh di. aur bag ko bapis band kar ke almari me rakh kar saadi lekar wo bathroom me chali gai.
lagbhag 1 ghante baad wo jab bathroom se bahar nikli to green saadi me wo bahut hi jyada khoobsoorat lag rahi thi. dreasing table ke saamne pahunch kar usne aapne baal dry kar ke unhe suljhaya aur fir jwelary pehan kar aur apne maathe par ek choti si bindi laga kar bina mackup ke hi room ke bahar chali gai.
Awesome update.Update 067
-------------------------
raat kareeb 11 baje nisha aur ikram army base ke pass jhadiyon me chhipe huye the. jabki khalid undono se kuchh doori par jahdiyon me apni gaadi ke saath chhipkar unka intjaar kar raha tha.
nisha aur ikram baha se andar jaane ka rasta talash rahe the. kyun ki main gate se to wo andar ja nahi sakte the. Par abhi unki sabse badi problam matra andar jana nahi thi. balki ye thi ki andar apne agents ko kaha talash kiya jaye. Unhe us army base ke baare me kuchh bhi nahi pata tha.
nisha bapis se apne roop me aa chuki thi. wo is samay balck jense aur white top ke saath black jacket pehne huye thi. usne apne baal pichhe ki taraf jude ke roop me kaskar bandh rakkhe the. par fir bhi uske balo ki ek moti si lat nikal aai thi, aur wo uske galo ko baar baar chhu rahi thi.
nisha is roop me bahut khoobsoort lag rahi thi. hathiyar ke naam par usne apna archar aur teer pith par latka liye the. aur ek mote fal bala lamba chaku apni kamar me lataka rakkha tha. iske alawa sara saman usne khalid ke pass hi gaadi me chhod diya tha.
jabki ikram ne balck pent aur black t-shirt pehan rakki thi. usne apni kamar me gun ke sath saath bulets ki ek belt bhi bandh rakkki thi iske alawa apne pent ki jeb me 2 hand granend bhi rakkhe huye the. jab ikram ko andar jaane ka koi rasta samajh nai aaya to aakhir kar wo nisha se bola ikram- mem yaha to aa gaye, par ab andar kaise jayenge
nisha- koi na koi rasta to hoga hi
aur tabhi andar se ek jeep bahar nikli jo thik unke pass aakar ruk gai. us jeep me se ek army officer bahar nikla, uske saath ek gunman bhi tha. wo log sayad kisi ka intjaar kar rahe the. us army officer ko dekh kar nisha ke dimag me usi samay andar jaane ka aur apne sathiyo ko dhundne ka plane janam le chuka tha.
nisha ne apne haath apne archar par majbooti se kash liye. isse pehle ikram kuchh samajh pata ek teer sidha jakar us gun man ke sir ke aar paar ho gaya. wo army officer kuchh samajh pata usse pehle hi nisha aur ikram jhadiyon se bahar aa gaye. ikram ne apni gun us officer ki taraf taan rakkhi thi jabki nisha ne fir se apna archar pichhe latka liya tha.
Isse pehale wo officer koi pratikriya kar pata nisha ne gurrate huye kaha
Nisha- agar ek sawd bhi muh se nikla ya koi hosiyari dikhane ki kosis ki to tumhara bhi bahi anjaam hoga jo tumhare sathi ka hua he.
Officer ke liye nisha ki itni chetawni kaafi thi. is liye wo apne hath upar kar ke khada ho gaya.
Nisha- ab apne hath pichhe karo aur ghutno ke bal beth jao.
Officer nisha ke bolne ke lahaje aur chehare ki banawat se samajh gaya tha ki ye Indian he. Use kisis ladki se order lena pasand nahi aaya. Is liye wo bol hi pada
Officer- tum ye thik nahi kar rahe ho. Tum yaha se bach kar ……. Aaaaammmmmm
Chataaaaaaaakkkkkkkkkk
Officer apni baat poori bi nahi kar paya tha ki ek jor daar chanata uske gallon par pada. Isse pehale wo chik pata uski chikh bhi uske muh me ghut kar reh gai. kyun ki nisha ka haat kukar ke dhakkan ki tarah uske muh me chipak chukka tha.
Nisha- ab ek aur galti ki to yaha tumhari lash padi hogi
Itna bolkar nisha ne apna hath uske muh se hata diya. Nisha ka haath hatte hi wo officer samajh gaya ki filhaal inki baat manne me hi bhalai he. Is liye wo chup chap apne hath piche kar ke apne ghutno ke bal beth gaya.
Nisha ne ikram ho ishara kiya. Ishara milte hi ikram ne us officer ke hath pichhe ki taraf achchhe se bandh diye. Aur uske muh me jabardasti kapda thunsh diya. Iske baad wo dowara gun lekar apni position par khada ho gaya.
Ab nisha ne apna chaku nikala aur eke k kar ke uske ek hath ki pancho ungaliyan bade aaram se kaat kea lag kar di. Wo bechara officer dard se buri tarah se tadap raha tha. Par muh me kapda hone ki bajah se chikh bhi nahi paya. Par dard ki adhikta ki bajah se uski aankho me se aanshu nikalne lage the.
Nisha ne use kuchh der tak un hi chhtpatane diya aur fir ek sard awaj me boli.
Nisha- abe oye bahut ho gaya natak. Ab meri baat dhyaan se sun. me ter muh se kapda nikaal rahi hun agar chikne chillane ki kosis ki to mai tera wo haal karungi jiski tone kalpna bhi nahi ki hogi. Ye dard to uske aage kuchh bhi nahi he.
Itna bolkar nisha ne officer ke muh se kapda nikaal liya. Badi muskil se wo kebal itna bol paya
Officer- kyunnnnnn….
Nisha- taaki ab mai tumne se poochhne baali hunt u uska sahi sahi jabab de
Officer- kkkyyyaaa jannna chahti ho
Nisha- kuchh din pehale jo Indian agent pakde gaye he wo kaha he
Nisha ki prashn ko sun kar us officer ne apne jabde kas liye. Nisha ke liye itna kaafi tha ki ye yese nahi manega. Nisha ne turant hi us officer ke muh me jabardasti fir se kapda par diya. Aur fir us par pil bethi. Ek ke baad ek kais are laat ghunso ki barsat us par kar di. Jab us officer ki halat kuchh jyada ki kharab hone lagi to nisha ruk gai, aur gurrate huye boli
Nisha- dekh teri is notanki ke liye mere pass jyada samay nahi he. Aakhri baar puchh rahi hun. Uske baad tera jo anjaam hoga uska jimme daar tu khud hoga, kyun ki tujhe aashan mout to nahi milegi. Tadpa tadpa kar marungi tujhe.
Itna bolkar nisha ne uske muh se ek baar fir kapda hata diya
Nisha- bata kaha he wo Indian agent
Officer samajh gaya ki wo jalladon ke bich fansh gaya he. Aur bachne ka koi rasta nahi he. Is liye wo bola.
Officer- sabhi Indian officer aur agents ko is army base ke pichhe bane safe house me rakkh jata he. Tumhare wo do agents bhi baaki Indians ke saath bahi he.
us officer ki baat sun kar ikram aur nisha hairan reh gaye. Wo to yaha apne do agents ko bachane aaye the. Par is officer ke anusar to aur bhi Indian yaha kaid the. Is liye nisha ne uski baat ki sachchai ka pata lagane ke liye uski aankho me jhanka aur fir agala prashn kar diya.
Nisha- kitne log kaid he yaha
Officer- lagbhag 10 se 12
Nisha- safe house jaane ka koi dushra rasta hai.
Officer- nahi. Safe house jaane ke liye main gate se hokar poore army base ko cross karna padta he.
Nisha- andar ki security ke bare me batao
Nisha ki baat sunkar us officer ki aankhe hairat me fail gai, wo badi muskil se bol paya.
Officer- kahi tum andar jakar unhe chhudane ke bare me to nahi soch rahi ho
Nisha- bilkul yahi plane he mera
Officer- tum pagal ho kya???? Andar chappe chappe par army ke gard khade he. Bina unki marji k ek parinda tak par nahi maar sakta. Aur safe house tak jana to lagbhag na mumkin he. Andar jane ka matlab apni mout se khelna he
ek baar fir nisha ne uski aankho me jhank kar uski sachchai ka pata laga liya aur fir boli
Nisha- mout se aankh micholi kehlana hum Indian ka pasandida khel he. Tu keval itna bata ki bina security ki najro me aaye safe house tak kese jaya ja sakta he.
Officer- nahi jaya ja sakta. Keval kuchh chunindida officer ko hi baha jaane ki ijajat he
Nisha- kyat tu baha ja sakta he
Is baar wo officer saant raha. Nisha ko uski ye harkat pasand nahi aai is liye usne apna chaku jese hi us officer ke dushre haato ki ungaliyo par rakkha wo lagbhak chikhta hua bola.
Officer- rukoooo me batata hun. Haan mujhe baha jaane ki ijajat he.
Nisha ke liye itna kaafi tha.
Nisha- to thik he ab tu hi hame baha tak lekar jayega. Aur yaad rakhna teri ek bhi hosiyaari teri dardnaak mout ka karan banegi.
Itna bolkar nisha ne ikram ko ishara kiya. Ikram ne us officer ke hath khol diye aur ek kapde se uske us haath ko thik se bandh diya jikis ungaliya nisha ne kaat di thi aur use uski gaadi ki driving sheat par betha diya. iske baad nisha us officer ki driving sheat ke bagal baali sheat par jakar baith gai jabki ikram pichhe baali sheat par beth gaya aur usne dowara se gun us officer par taan di. Par kuchh is prakar se ki bo bahar se najar na aaye.
Fir nisha ne us officer se andar chalne ko kaha
Nisha- chal aur gaadi sidhe safe house ke bahar hi rokna
Us officer ne bina kuchh kahe gaadi aage bada di. Chunki andar moujood gard door se hi us officer ki gaadi pehchan gaye the. Isliye kisi ne bhi uski gaadi ko rokne ki kosis nahi ki. Andar pahunte hi us officer ne gaadi safe house ki taraf bada di. Jese hi wo log safe house ke paass pahunche nisha ne gaadi me se hi bethe bethe dekha ki bahar kareeb 6 gaurd gun liye khade huye the. jinhe dekh kar nisha ne poochha
nisha- andar aur kitne log he
officer- kyun????? kya dar lag raha he??? bese tumhe jankari ke liye bata dun ki takreeban 30 gaurd honge andar
nisha- ikram iske haath pichhe ki taraf bandh do aur ise bhi saath andar le chalo
itna bolkar nisha gaadi se niche koodi. isse pehle nisha ko dekhkar koi bhi kuchh samajh pata nisha ne apna archar nikala aur ek ke baad ek 6 teer chala diye aur saare gaurd bina koi awaaj kiye bahi dher ho gaye.
tab tak ikram us officr ke saath niche utar chuka tha aur filhaal uske haath bandhne me vyast tha. par wo nisha ka karnama dekh kar kuchh palo ke liye hairan jaroor reh gaya.
officer- ye ye ye ye kaya kiya tumne badjaat ladki, tum inshan ho ya shaitan yese kaise tumne itne logo ko maar diya
nisha us officer ke muh se nikli gaali se tilmila uthi aur kisi serni ki manind gurra kar boli
nisha- apna muh band rakkho harami ke pille. agar ek shabd aur meri marji ke bina bahar nikala to juban khinch ke bahar nikaal lungi. aur ye tum achchhi tarah se ye jante ho ki mai jo keh rahi hun wo kar ke bhi dikha sakti hun.
officer- par tum bach nahi sakti andar security alarm he, koi bhi gadbad hone par use baja diya jayega aur fir yaha hajaro army baale ikatthe ho jayenge,
nisha- kisi ko alarm bajane ka mouka milega tab na
officer- fir bhi lagbhag 1 ghante baad yaha ki security change hogi, tab sab ko pata chal hi jayega
nisha- hame utna samay nahi lagega, aadhe ghante se pehle hi hum yaha se nikal jayenge
itna bolkar nisha andar ki taraf bad gai, jaha use jo bhi dikhai deta wo mara jata, takrreban 10-15 minute me nisha ne baha moujood sabhi security gaurds ko maar dala tha aur is samay us jagah khadi hui thi jaha indian kaid the.
nisha ne bahi ek gaurd ke pass se lock-up ki keys utha li aur ek ek kar ke saare darwaaje open kar diye, aur takriban 12 indian jo baha kaid the ko azaad kar dliya, is samay un sab ki haalat kaafi kharab thi
nisha- kya aap sabhi chalne firne ki condition me ho
nisha ki baat sunkar unme se ek aadmi bola jo takreeban 25 saal ki uamar ka handsome ladka tha
aadmi- haan sayad par tum kon ho
nisha- isse koi farak nahi padta bus itna samajh lo ki mai yaha se tum logo ko chhudane aai hun
aadmi- jab tak tum apna poora parichay nahi dogi hum log yaha se nahi jayenge, kya pata tum dushmano ke liye hi kaam karti ho, aur ye unki koi nai chaal ho
nisha kuchh der khamosh rahi aur fir boli
nisha- mai agent zero hun RAW se aur ye mere saath ....
nisha itna hi bol pai ki tabhi wo aadmi khushi ke maare lagbhag chikh hi pada
aadmi- ikram bhai jaan aap???? aap hame chhudane yaha tak aaye he
ikram- are vikram tum??? tum jinda ho???
vikram- haan bhai jaan
ikram- khuda ka lakh lakh sukriya jo tum sahi salamat ho
tabhi nisha bich me bol padi
nisha- ab agar bharat milaap ho gaya ho to chale, sayad tum sab bhool gaye ho ki hum abhi bhi dushmano ke adde par hi he,
itna sunte hi jaise sab ko yaad aaya aur fir wo bahar ki taraf chal pade, unke saath RAW ke wo 2 agent bhi the jinhe chhudane ke liye nisha aur ikram yaha tak aaye the, par un dono ki haalat kaafi jyada kharab thi is liye baaki ke log un dono ko sahaara dekar chal rahe the.
ikram ne abhi bhi china army ke us officer ko apni gun point par rakkha hua tha, bahar aate hi nisha fir se us officer ki jeep me driving sheat ke bagal me beth gai jabki officer ko ek baar fir se driving seat par bethna pada, ikram pehle ki tarah hi pichhe sheat par beth kar officer ko gun point par liye huye tha.
jabki baaki logo bahar khade army truck me beth gaye jo ki baha gaurd ko laane aur le jane ke liye use me aata tha. Uski driving sheat is samay vikram ne samhaal rakkhi thi. baha se jaane se pehle un sabhi logo ne apne kapde utar diye the aur baha dali china army ke gaurds ki lasho ke kapde utar kar pehan liye the. taaki sabhi log unhe china army ka hi samjhe, ye idea nisha ka hi tha, ab wo filhaal aur koi khoon kharawa karne ke mood me nahi thi.
bina kisi khash problam ke wo log head quater ke bahar nikal gaye, kyun ki andar kya hua he filhaal uski jankari kisi ko nahi thi. fir wo sabhi sidhe us jagah pahunche jaha khalid unka intjaar kar raha tha. chunki khalid apne saath sabjiyon bala ek mini truck laya tha isliye usne sabhi logo ko truck ke pichhe betha liya aur fir sabjiyon ki boriyon ko is prakr se rakh liya ki dekhne bale ko lage ki truck me sabjiya bhari hui he,
baha se jane se pehle nisha ne apni kamar se chaku nikala aur us army officer ka gala ek hi jhatke me kaat diya, aur uske hi kapdo se apna chaku saaf kar liya. iske baad nisha ne apni jacket aur apna archar, teer aur chaku khalid ki gaadi me rakkhe apne bag me rakh diye aur usme se baha ki ek local dresh nikal kar jhadiyon ke pichhe chali gai taaki apne kapde change kar sake,
jabki ikram ne bhi apne hathiyaar bag me rakh kar baha ke local kapde pehan liye the. fir wo dono us gaadi ke aage driving sheat ke bagal me jakar beth gaye, jabki khalid ne driving sheat par bethte hi gaadi aage bhaga di. us officer ki lash aur uski jeep ke saath saath army ka truck bahi chod diya gaya tha.
subhay kareeb 4-5 baje wo log khalid ke ghar pahunche, jo ki vastav me paryapt bada tha. chunki din jyaada nahi nikla tha is liye kisi ne bhi us gaadi me se itne saare logo ko utarte nahi dekha tha. din nikalte hi khalid ne un sabhi ke liye kapdo ka intjaam kiya jinme wo poori tarah tibety lag rahe the.
dopehar ka khana khane ke baad kareeb 2 baje khalid ne unhe india jaane baale truck me betha diya, jo ki bhutaan se sikkim ke raste india jaata tha. jis truck me is samay wo log bethe huye the uska driver indian agent hi tha, baha ke army base me raat me jo kuchh hua tha uska asar raste me hi unhe pata chalne lag gaya tha. kyun ki baha ke army base ki lagbhag poori army highway par india ki taraf jaane baali sabhi gadiyon ki checking kar rahi thi. is bajah se baha ek lamba jaam lag gaya tha.
truck ke andar ek khidki thi jo sidhe driving sheet ki taraf khulti thi. truck ke rukte hi nisha ne wo khidki kholi aur saamne ki taraf dekhte huye driver se boli
nisha- ab ye kya musibat he
driver- yesha lagta he ki aap ke karname ki gunj yaha tak aa pahunchi hai mem
ikram- to fir ab hum kya kare
driver- dekhte he kya ho sakta he, bese kuchh army officer mere parichay ke he, me unhe pese dekhar yaha se nikalne ki kosis karta hun
itna bolkar wo gaadi se niche utar gaya aur thodi door khade army officer se baat karne laga, kuchh der baad jab wo bapis aaya to bola meri baat ho gai he, un logo ne hame by pass se niklne ki permission de di he, mene unhe riswat dekar taiyaar kiya he, par ek chhoti si problam he
nisha- wo kya????
driver- by pass se nikal kar hum sidhe check point par hi pahunchege jaha par checking chal rahi he. hum is checking se bach nahi sakte.
ikram- ye chhoti problam nahi balki sabse badi musiwat he, aur koi rasta nahi he kya
driver- nahi, aur ab hun bapis bhi nahi ja sakte kyun ki agar hum bapis gaye to unhe hum par sak ho jayega
ikram- ye to bahi baat hui ki ashman se gire aur khajoor par atke, kuchh log hote to hum kaise bi unhe thikane laga kar nikal jate par ye to poori ki poori bataliyan he
nisha- ek rasta he
ikram- wo kya
nisha- is samay hum china belly ke ek dum kareeb he, hum pedo aur jhadiyon ka sahaara lete huye china belly ke raste check point ke aage highway par aa jayenge. aur fir baha se is truck me beth kar aage ka rasta tay karenge, tab tak ye by pass ke raste checking point par truck ko check kara kar baha aa jayega.
ikram- par baha par bhi army moujood ho sakti he
nisha- unse hum nipat lenge, aur bese bhi mujhe nahi lagta ki baha jyada log honge
driver- par medam????
nisha- ab isse achchha rasta tumhare pass ho to please abhi bata do. kam se kam is musibat se chhutkara to milega
iska jabab kisi ke pass nahi tha is liye unhe nisha ki baat manni hi padi, driver ne gaadi by pass ki taraf turn ki, aur thodi door par jaakar sabhi ko utar diya, wo log jhadiyon aur pedo ke sahare chhipte chhipaate china belly ki taraf bad gaye, aur baha se check point ke aage ki taraf ka rasta tay karne lage,