Update 049
----------------------------
shaam ko karib 5 baje monu ke ghar ke darbaje par ring hui, jab renu ne door open kiya to saamne khade sakhs ko pehchanne ki kosis karne lagi kyun ki saamne ek sardaar ji khade the jinhe renu ne isse pehle kabhi nahi dekha tha.
renu- jee kahiye kisse milna he aap ko
sardar- oye chhutki mai tera diljeet pra, pehchana nahi kya
aakhri line sardar ji ne bilul apni asli awaj me boli thi jise sun kar renu ke hosh ud gaye, kyun ki saamne khada aadmi aur koi nahi ajju hi tha. renu ke muh se ajju bhai nikalte nikalte reh gaya. usne ek side hath kar ajju ko andar aane diya.
andar aate hi uski sabse pehli mulakat uncle se hui. ajju ne jhuk kar unke pair chuye. chunki maa ne apni saheli ke ladke aur bahu ke baare me uncle ko pehle hi bata diya tha is liye. uncle ne jyada sawal jabab nahi kiya. ajju ko is baat ki rahat mehsoos hui ki uncle ne unhe nahi pehchana tha.
thodi der uncle se baat karne ke baad renu ajju ko andar le gai. abhi tak ajju uncle se apni awaaj badal kar hi baat kar raha tha. par jaise hi wo andar pahuncha wo maa se apni asli awaaj me baat karne laga. maa aur nisha ko ajju ko naye look me dekhkar bada ascharya hua. kyun ki ajju bilkul bhi pehchan me nahi aa raha tha.
usne blue color ki ek pug baandh rakkhi thi. chehare ka rang thoda dark ho chuka tha, aankhe neele se kaali ho gai thi aur chehre par halki halki daari muchhe thi jo ek sardaar ki pehchan hoti he. ajju ke chehare ki banawat me bhi thoda sa antar mehsoos ho raha tha.
maa- tu to bilkul hi badal gaya he
ajju- ab maa ke pass rehna he to kuchh to karna hi padega, bese meri sardarni bhi badli badli si lag rahi he
ajju ne ye baat nisha ko dekh kar boli thi jo is samay red and blue color ke panjabi salwar kamij me khadi hui thi, usne dupatte ko apne sir par is prakar lapet rakkha tha ki jarurat padne par turant ghunghat od sake, ajju ki baat sunkar wo buri tarah se sarma gai thi
maa- oye chup kar besaram, mera kuchh to lihaj kar le
ajju ne haste huye apne kaan pakad liye, fir wo sabhi bahi beth kar baate karne lage.
lagbhag ek ghante baad monu ghar par bapis aaya. use ajju aur nisha ke baare me kuchh bhi nahi pata tha. ghar par aate hi sardar ko apne ghar par apne pita se baat karte dekh kar use ascharya hua. ajju ki to jaise jaan me jaan aa gai kyunki monu ne bhi use nahi pehchana tha.
monu- maaf karna sardar ji maine aap ko pehchana nahi
ab ajju ki asli parikchha thi is liye usne apni awaaj badal kar kaha
ajju- oye manoj pra ji mai diljeet, aapka chhota bhai
monu- mera bhai?????
isse pehle ajju apna jabab deta uncle ne monu ko uske baare me bata diya. daljeet se milkar monu ko bada achchha laga. khas kar uska hanshmukh swabhav. bese bhi pichhle 1 saal se ghar ka mahol tanav bhara hi tha. is liye thoda bahut khushi ka mahol hone se monu ne rahat ki sansh li. raat hote hote ghar ka mahol aur bhi khusnuma ho gaya tha.
jaha ek taraf ajju aur nisha ke aane se maa khush thi bahi renu pehle ki tarah ghar me chehkti fir rahi thi. wo to ek pal ke liye bhi nisha aur ajju ko apne se door nahi hone dena chati thi.
----------------------------
2 din me hi ghar ka mahol kaafi badal gaya tha. monu aur daljeet(ajju) ki achhi dosti ho chuki thi. maa aur uncle ki bhi pehle ki tarah baat hone lagi thi wo ek dushre ko samay dene lage the. par bechara monu usse maa aur renu baat to karte the par pehle jaise baat ab nahi thi. fir bhi monu itne se hi khus tha. kam se kam wo log usse baat to karne lage he. monu thoda bahut nisha se bhi baat karne ki kosis karta rehta tha. par nisha use haa hun me hi jabab deti thi. aur kai baar kehne par bhi nisha ne apna ghooghat nahi hataya tha.
raat ka khana nisha ne hi banaya tha. aur ajju ke kehne par sabhi log saath me beth kar khana kha rahe the. tabhi achanak khana khate khate monu ki aankho me aanshu aa gaye. jo ajju ki najro se chhipe nahi reh sake
ajju- oye pra ji kee hoya
monu- are kuchh nahi diljeet bas yese hi
nisha- kyun jeth ji khana achchha nahi bana kya
monu- nahi khana bahut achchh bana he, wo to mujhe khana khate khate kisi ki yaad aa gai
ajju- lagta he koi khas hoga pra ji ka
monu- haan khas hi tha
tabhi renu ne comments kar diya
renu- magar machchh ke aanshu hunnnn
ajju- oye chhutki ki bachchi tu chup kar, apne pra ji se koi yese baat karta he kya
renu- ye pehle apna bhai hone ka farj to nibha le uske baad mujhse koi ummeed kare
ajju- oye tu samjhti kyun nahi, wo tumse bada he tumhe uski ijjat karni chahiye
renu- diljeet bhai mujhse ijjat paane ke liye monu bhai ko apne aap ko sabit karna hoga.
monu- renu, maa agar aap logo ko lagta he ki me kisi kaam ke layak nahi hun, mai is vardi ke layak nahi hun to me resign kar deta hun is job se. par mai apne ghar ko yun bikharte nahi dekh sakta
maa- resign dene ki baat keh kar tune apne kamjor hone ka saboot pehale hi de diya he. monu, tum ye job karo ya resign de do mujh par koi fark nahi padne bala
ajju- oh ho maasi ji ab aap bhi suru ho gai
maa- nahi me suru nahi hui hun bus use yaad dila rahi hun ki aakhir kyun isne ye vardi pehni thi, kyun IIM pune me apni study bich me chhod kar IPS ki taiyari ki thi. isne apne aap se kya vada kiya tha is vardi ko pehante wakt,
monu maa ki baat sir jhukaye sunta jaa raha tha. use apni galti ka yehsash ho raha tha. par wo kya kare apni saari kosiso ke babjood wo kuchh nahi kar paya tha ab tak. ajju samajh sakta tha ki is samay monu ke man me kya chal raha hoga, usne tay kar liya tha ki wo monu ki madad kar ke hi rahega. par filhaal mahoul ko thik karna jaroori tha
ajju- oye bhaad me gai kasam aur bhaad me gaya vada, kyun pra ji ke picche pare ho, dekh lena ek din pra ji apne aap ko jaroor sabit kar ke dikhayenge.
maa- mujhe us din ka intjaar rahega
ajju- maasi ji ab band bhi karo ye sab baate. oye sardarni jara apne jeth ji ko sabji to de do bechare saram ki bajah se tum se maang bhi nahi paa rahe he
monu bhi yese hi kisi mouke ki talash me tha taaki wo baato ke rukh ko change kar sake
monu- diljeet ye kya baat hui, hum dono ek hi umar ke he fir mai jeth kaise ho gaya
ajju- naa ji na maasi ji ne bataya he aap mujhse poore 2 din bade ho is naate aap mere pra ji huye
monu- had karte ho tum bhi jabardasti bada bana diya, itne din huye mene bhabhi ji ka chehara tak nahi dekha
ajju- maine kab mana kiya dekh lo, oye sardarni hata lo ye ghunghat
nisha- naa ji naa mai nahi hata sakti, mosaji bhi to baithe he yaha, aur fir jaith ji ke samne ghunghat thode hi hata sakti hun
nisha ki baat sun kar monu ne apna sir pakad liya, jabki baaki logo ki hansi chhut gai
nisha- bese ek baat kahungi jaith ji bura na manna, ab aap ki bhi umar ho hi gai he, jaldi se ek jetahni le hi aao, ab maasi ji ki umar nahi rahi kaam karne ki
monu- oh shit, ye to bahi baat hui ki mere pair mere hi gale me daal diye, maaf karo diljeet mai tum dono se nahi jeet sakta.
monu ki baat sunkar ek baar fir sab log hase bina nahi reh sake.
------------------------------------
khana khane ke baad nisha maa aur renu ghar ke baaki kaam me lag gaye jabki uncle apne room me jakar TV par news dekhne lage. aur monu ghar ke bahar baramde me baitha maa aur renu ki baato ke baare me sochne me laga hua tha. halaki ajju aur nisha ne us samay mahol khushnuma bana diya tha. par usse pehle jo baate hui thi wo monu ko bechain kiye huye thi. ajju abhi bhi andar maa aur renu ke saath hi tha.
ajju- lo ji monu pra ji pata nahi kaha chale gaye
maa- are kahi nahi gaya wo bahar baramde me betha hamri baate soch raha hoga. aur fir kal subhay local gundo ka pakad kar unpar third degree aajma kar apna gussa un par utarega. par haath me kuchh nahi aayege. uska hamesha ka yahi kaam he.
ajju- par monu pra ji achchhe police officer he, imandar he, nek inshan he bus unhe sahi direction ki jarurat he
renu- ab wo koi bachchhe to hai nahi jo koi unhe haath pakadkar sikhaye
ajju- par us par itna davav dalna thik nahi he,
ajju ki baat par koi kuchh nahi bola is liye ajju hi bola
ajju- lagta he mujhe hi monu pra ji ki help karni hogi
itna bolkar ajju bhi bahar monu ke pass chala gaya
ajju- oye pra ji itne senty senty kyun bethe ho
monu- kuchh nahi diljeet bas yun hi
ajju- lagta he chhutki aur maasi ki baat dil ko chuv gai he
ajju ki baat sun kar monu kuchh nahi bola
ajju- oye wo aapki maa aur behan he koi bhala apno ki baat ka bura manta he bhala
monu- nahi yaar diljeet unki baat ka mujhe bura nahi lagta, bus apne aap par gussa aata he, kabhi kabhi lagta he ki maine sabko nirash kiya he
ajju- oh ho pra ji yesi baat nahi he, ye sab log aap ko bahut pyaar karte he, ye to sab is liye karte he taaki aap ko aur majboot bana sake
ajju ki baat sunkar monu ke chehare par ek pal ke liye muskaan aai aur fir chali gai
monu- diljeet mere do bahut achchhe dost the jinki mout 1 saal pehle ek accident me ho gai. asal me wo ek murder tha. aur mai aaj tak ye pata nahi kar paya ki ye kiya kisne he.
ajju- mujhe yakeen he aap pata kar loge kisi din
monu- koi kaam agar samay par na ho to uska koi fayda nahi hota, mera dost ajju jo us accident me mara gaya wo ek aam inshan hi tha, par fir bhi koi bhi kaam chutkiyon me kar deta tha, pata he ek baar meri dost nisha jo ajju ki wife thi ka kidnepe ho gaya. mene ajju se vada kiya tha ki mai uska khyaal rakhunga. par kuchh nahi kar paya. mere saamne hi uska kidnep ho gaya tha. mai apni poori force ke saath use dhoondta raha par kuchh pata nahi chala. jabki ajju jo us samay yaha tha bhi nahi, yaha aaya aur samay rehte nisha ko dhoond liya, isi prakar jab meri maa, behan aur piataji par musibat aai to mere pata lagne se pehle hi wo unhe sahi salamat us musibat se bacha laya. yese kai saare kaam wo ek aam inshan reh kar kar leta tha aur mai itna bada police officer hokar itni badi police force ke bawjood nahi kar pata. wo crimenal tha par usse sab pyaar karte the. usne galat kaam kiye par achchhe ke liye, kabhi kabhi to lagta he ki uska rasta hi sahi tha aur is liye sochta hun ki resign de dun aur usi ke raste par chal padu.
ajju- oye chhodo dosto ko aur apne bhai ki gal suno, apni power aur soch ko sahi direction me use karo, yun andha dhund har kisi crimnal ko pakad kar unhe torchar karna band karo, apna kaam ka tarika change karo fir dekho kamal
monu- mai kuchh samjha nahi
ajju- oye pra ji aap achche insaan ho, par achchha kaam karne ke liye keval achchha hona ya achchhi soch rakhna kaafi nahi he. agar apne aap ko sabit karna he to kuchh alag tarah se kaam karna hoga, jaise agar kichad ko saaf karna he to usme utarna padta he, par yaad rakhna keval utna hi kichhad me utarna jitna bapsi ke liye sambhav ho,
monu- mujhe teri baat bilkul samajh me nahi aa rahi
ajju- oye pra ji bus itna samajh lo ki har crimenal bura inshan nahi hota he, unki kuchh majbooriyan hoti he jiski bajah se wo galat rasta chun lete he, aap ko bus yese logo ko pehchanna he, unki madad karni he unhe is daldal se bahar laane me, ya keval apni jaroorate poori karne me, bas aur fir dekho chamatkaar
monu- bas itna hi
ajju- bas itna hi
monu- chalo isko bhi aajma lete he, bese bhi mujhe jarori kaam se bahar jana tha, to aaj isko bhi aajma lunga.
itna bolkar monu uth kar andar chala gaya aur kuchh der baad apni vardi pehan kar bahar aa gaya, jise dekh kar ajju ki hanshi chhut gai
monu- oye diljeet kya hua, mai koi jokar thode hi lag raha hun
ajju- oye pra ji kaam to jokaro baale hi kar rahe ho na
monu- matlab?????
ajju- matlab apni vardi me aur sarkari gaadi me jaoge to crimnal log 2 km door se aap ki gaadi ki awaj sun kar bhag jayenge, bache huye aap ki vardi dekh kar, aur aap ke haat me lagega dhak ke teen paat, aap ko sada kapde pehan kar jana chahiye, aur police jeep ki jagah bike se jao to jyada behtar hoga
monu- lekin wo tab bhi mujhe pehchan lenge
ajju- pehli najar me to nahi, kyun ki har aadmi apne kaam me mast rehta he, aur jab aap unke ek dum kareeb jaoge tab sayad wo pehchane, lekin tab tak der ho jaegi
monu- oye diljeet tu keh to sahi raha he, mai abhi aaya
itna bolkar monu fir ghar ke andar ghus gaya aur is baar jense aur t-shirt me bahar aaya
ajju- oye pra ji mai bhi saath chalun kya, agar problam na ho to
monu- chal bhai aaj sara operation tere kehne par hi poora karta hun
ajju- par pehale ye to batao ki operation hai kya
monu- bhai secrate he
ajju- fir mai help kaise karunga, vishwas karo baat keval hum dono ke bich rahegi
kuchh sochne ke baad monu ne bataya
monu- aaj raat ko indore me drug ka ek bahut bada consitement aane bala he, par kab aur kaha ye hame nahi pata, 2 din se kai local gundo ko utha chuka hun par kuchh pata nahi chal pa raha
ajju- koi baat nahi, hum pata laga lenge, ab kisi beer baar ya yesi jagah chalo jaha 2-4 crimenal aate jaate rete hon
monu ne kuchh nahi kaha aur chup chap apni bike par jakar beth gaya
ajju aur monu is samay ek beer baar me bethe huye the, monu ke haat me is samay ek beer ka cane tha jabki ajju soda ka cane liye huye tha
monu- diljeet sach me tu beer nahi peeta ya mere samne sareef banne ka natak kar raha he
ajju- bhai me beer, sarab sab peeta tha, par jab se shaadi hui he sab chhod diya apni sardarni ke kehne par, usme hi inta nasha he ki dusri kisi chij ki jarurat hi mehshoos nahi hoti
monu- baht bade ashik maloom hote ho, mera dost bhi yesha hi tha
ajju- oye chhado dosto ki baate mujhe to aap bhi kisi ashik se kam nahi lagte, menu langda he ki aap ke dil me bhi koi ladki raaj karti he
monu par beer ka ashar hone laga tha, is liye wo diljeet(ajju) se ek dum khul gaya
monu- diljeet tu na 1 number ka chhupa rustam he, mere dil ki baat jaan li
ajju- pra ji me ashiko ko unki aankho se pehchan leta hun, mai to ye bhi bata sakta hun ki aap meri bhabhi ko baut pehle se jante ho, purana ishk he aapka
monu- oye tu to chamatkaar par chamatkaar kiye ja raha he
ajju- abhi tak prapose kiya ki nahi
monu- nahi, pata nahi wo kya soche mere baare me, agar mana kar diya to abhi tak jo dosti thi wo bhi toot jayegi
ajju- oye pra ji mard bano mard, koi ladki jo aap ko pehle se janti he wo aap se baar baar milti he to iska matlab ye hua ki uske dil me aapke liye kuchh he, isse pehle der ho jaye i love you bol hi do use
monu- par agar mana kar diya to
ajju- nahi karegi,
monu- agar kar diya to
ajju- to ek kaam karo mujhe number do mai aapke dil ki baat bata deta hun
monu- oye tu rehne de, mai hi bol dunga kisi din
ajju- nahi abhi phone lagao aur abhi bolo
monu- tu na pagal ho gaya he jo bachcho jaisi jid kar raha he
ajju- matlab pra ji aap mujhe bhai mante hi nahi ho
monu- oye diljeet imotional black mail na kar, chal thik he lagata hun use phone
itna bolkar monu ne apna mobile nikala aur divya ko call karne laga
divya- hello
monu- kaisi ho divya
divya- aap ki awaj nahi aa rahi kaafi sor ho raha he, kaha ho aap
monu- ek minute
itna bolkar monu bahar ki taraf chal diya, ajju bhi uske pichhe ho liya
monu- haan to ab aa rahi he na awaaj
divya- haan, par itni raat ko call kyun kiya
monu- bus yse hi dil kar raha tha baat karne ka
monu ki awaj thodi ladkhada rahi thi jisse divya ko monu par sak hua
divya- aap ne drink ki hui he
monu- are nahi wo to is diljeet ne jabardasti beer pila di
divya- diljeet
monu- are bataya tha na meri mousi ka ladka
divya- are haan, to fir aap dono mil kar beer pee rahe ho
monu- are nahi wo to soda pee raha he
divya- matlab keval aap drink kar rahe ho
monu- are yaar kitna confuse kar rahi ho
divya- mai aap se subhay baat karti hun, abhi aap hosh me nahi he
monu- are suno to mujhe tumhe kuchh kehna he
divya- hum kal mil rahe he na tab baat karte he
monu- are nahi, mujhe jo kehna he wo abhi bol sakta hun fir pata nahi hosh me aane ke baad kuchh bol paun ya nahi
divya ka dil jor jor se dhadhakne laga tha, wo suru se hi monu ko pasand karti thi, aur wo ye bhi janti thi ki monu bhi use pasand karta he, par abhi tak dono ne apne dil ki baat ek dushre se nahi ki thi. bas ek achchhe dost ki tarah hi rahte the. halanki divya khud bhi kaafi frank thi par wo chahati thi ki monu hi use pehle se prapose kare, is liye un dono ki baat jyada aage nahi bad pa rahi thi
divya- yesha kya kehna he aap ko
monu- divya i love you, mai tumhe hamesh se hi pyaar karta aaya hun, par keh nahi pata tha, sochta tha ki kahi tum bura to nahi maan jaogi. please divya mana mat karna, mai tumhare bina jee nahi paunga, i love you divya i love you
divya- monu hum kal baat karenge abhi aap hosh me nahi ho
itna bolkar divya ne phone cut kar diya, monu ko laga ki divya usse naraj ho gai he, ye sochte hi uska nasha ud gaya aur wo ajju par barah pada.
monu- dekha kara diya na panga, wo naraaj ho gai na, phone cut kar diya mera, ab wo mujh se kabhi baat nahi karegi, mujhe to tumhari baato me aana hi nahi chahiye tha
ajju- aye pra ji sant, meri gal to sun lo
monu- ab kya bacha he kehne sunne ko
ajju- are pra ji agar aap ka pyaar sachcha he to wo abhi aap ko i love you likh kar message karegi,
monu- aur agar nahi kiya to
ajju- to jab bhi mulakat ho sara iljaam mere upar daal dena aur bol dena nashe me ulta pulta bol gaya, kam se kam aap dono ki dosti to bachi hi rahegi
monu- ye bhi sahi he
ajju- par mujhe yakeen he wo aap ko abhi messge karegi
itne me hi monu ke mobile par message ki ring baji
monu- oye diljeet message aaya message, oh teri ye to divya ka hi message he
ajju- kya likha he
monu ne padna suru kiya
message- "mai kab se aapke muh se ye sunna chahati thi, koi ladki jisse pyaar karti he uske muh se pyaar ka ijhaar sunna to uska sapna hota he. par yese nahi, jaise aap ne kiya, mai chahti hun ye baat aap mere saamne meri aankho me aankhe daal kar kaho, aur ek baat I love you too"
monu- oh teri mamla to set ho gaya
ajju- mene kaha ta na pra ji agar pyar sachcha hoga to jabab jaroor aayega.
monu- diljeet yaar tu sach me kaam ka aadmi he, mera dost ajju agar aaj jinda hota to sayad wo bhi yahi karta
ajju- oye pra ji chhado doto ko bhai ko yaad rakkho
tabhi achanak ek 20-22 saal ka ladka dodte huye aaya aur monu se takra gaya aur fir samhal kar sorry bolkar jaane laga to monu ne uska haath pakad liya
monu- hum se syanpatti haan, abe chuje tu janta bhi he tune kis ke parsh par hath saaf kiya he
us ladke ke to hosh hi ud gaye
ladka- nahi sahab
monu ne uski pent ki jeb se apna parsh nikalte huye kaha
monu- to ye kya he
ab us ladke ke hosh poori tarah se ud chuke the
monu- janta he mai kon hun, ASP Manoj dubey
monu ka naam sunte hi wo ladka buri tarah kamp gaya, kyun ki usne ASP manoj dubey ki third degree ke kisse dushre logo se sun rakkhe the
ladka- sahab galti ho gai, sahab jane do, aaj ke baad ye sab nahi karunga, aaj se hi chhod dunga, jaane do sahab
monu- jayega to tu par ghar nahi sidha hawalat me
ladka- sahab meri maa bahut bimaar he, sahab jaane do na, sach kehta hun aaj ke baad kabhi bhi ye kaam nahi karunga
monu- maa ka naam lekar jhoot bolta he be
ladka- nahi sahab sach bol raha hun chaho to mere ghar par chalkar dekh lo
isse pehle monu kuchh aur kehta ajju bol pada
ajju- pra ji ek baar iske ghar par jakar dekhne me koi burai nahi he. agar ye jhoot bol raha he to pata chal hi jayega.
monu ke pass kehne ke liye kuchh nahi bacha is liye usne apni bike start ki, ajju ne pehle us ladke ko bike par bithaya aur fir pichhe se khud beth gaya taaki wo chalti hui bike par se bhag na sake.
----------------------------------
us ladke ke ghar par pahunch kar unhe pata chala ki wo ladka bakai me sach bol raha he uski maa bahut dino se bimaar thi, uske paas ilaj ke paise nahi the is liye wo choti moti choriya karne laga tha. ajju ko us ladke par daya aa gai. is liye apne parsh me se nikal ke use 500-500 ke kuchh note de diye aur kaha
ajju- lo inhe rakh lo aur apni maa ka ilaj karao, aur haa ye galat kaam chhod do koi achchhi se noukri dekh lo, agar madad ki awasyakta ho to behichak ASP sahab se mil lena
loadka- jee sahab
ajju- bese tumhara naam kya he
ladka- sooraj
ajju- to sooraj mera ek kaam karoge
sooraj- bolo sahab
ajju- ye bata sakte ho ki yaha safed powder ka kaam kon karta he
sooraj- pata nahi sahab
ajju- koi baat nahi agar pata chale to ASP sahab ko phone kar ke bata dena, agar kaam ki jankari lakar doge to aur bhi pese milenge. aur tumhara naam bhi kisi ko pata nahi chalega
sooraj- jee sahab
monu ne use apna card diya aur fir baha se ajju ke saath nikal gaya. cunki raat kaafi ho gai thi is liye wo ghar ki tarf chal diye
monu- diljeet tu bhi bada ajeeb aadmi he, yun hi use itne saare paise de diye
ajju- mene aap se kaha th na pra ji ki har aadmi janbujhkar crimenal nahi banta, kuchh majbooriyan use bana deti he. aaj agar aap use hawalat me daal dete to fir wo is daldal me aur bhi jyada andar dhansh jata, par ab uske pass isse bachne ka ek mouka he.
monu- wo to thik he par hamara kaam to hua hi nahi
ajju- ho jayega, ye sooraj hi hame batayega
monu- mujhe to nahi lagta,
ajju- pra ji wo bhale hi ye na janta ho ki drug kab aur kaha aane baali he par wo drug ka dhanda karne baale logo ko jaroor janta he, jab mene usse poochha tha to uska chehara saaf saaf bata raha tha ki wo jhoot bol raha he. sayad wo us samay kaafi dara hua tha. par jaise hi wo normal hoga wo jaroor aapko call karega,
monu- kamaal he tu bhi chehra dekh kar logo ke man ki baat pehchan jata he aur mera dost ajju bhi yesha hi kar leta tha
ajju- oye pra ji kitni baar kaha he ke mere saamne dosto ki baate mat kiya karo, ab chhado bhi jo hona tha wo ho gaya kab tak use apni yadan se lagaye bethe rahoge
isse pehle monu ajju ki baat ka jabab deta monu ke mobile ki ring bajne lagi. mono ne gaadi ek side me jakar roki, aur mobile ke screen par dekha to ek anjaan number se call aa raha tha. monu ne call pic kiya
suraj- sahab me suraj,
monu- suraj????
suraj- are sahab abhi abhi to aap mere ghar se gaye ho
monu- oh suraj tum, haan kaho kya baat he
suraj- sahab baat ye he ki jab me beer baar me andar kisi ka parsh maarne ki jugaad se gaya tha, tab mene ratan seth ko apne driver se baat karte suna tha ki aaj raat ko ujjain road baale form house par bahut saari safed machhliyan aane baali he, mujhe laga sayad ye aap ke kaam ki baat ho, ek baat aur ratan seth ke saath kaam karne baale kuchh log safed powder ka kaam bhi karte he.
monu- tumhe pakka yakeen he ujjain road baale form house ke baare me hi baat kar raha tha
suraj- jee sahab pakkaa
monu- thik he suraj, agar khabar pakki nikli to tumhe bahut saara inaam milega
suraj- thankyou sahab
monu ke phone cut karte hi ajju ne sawaliya najro se monu ko dekha
monu- teer nishane par laga he
ajju- to fir
monu- chalte he davish dene
ajju- mera kya kaam baha,
monu- ye bhi sahi he. ek kaam karta hun pehle tujhe ghar chhod deta hun uske baad apna operation suru karunga.
aur fir dono nikal pade ghar ki taraf
---------------------------------------------------------------------
agle din news chanel aur news paper sabhi jagah ASP monoj dubey chhaye huye the. unhone bahut badi matra me drug aur uske dealar ko poori gang ke saath giraftaar kiya tha, subhay se hi monu ke paas uske saathi adhikariyon aur seniors ke phone aa rahe the. sabhi use uski safalta par badhai de rahe the. jabki news reporter ke call ko wo ignore kar de raha tha. kuchh news reporter ghar par interview lene aaye to monu ne unhe ye keh kar mana kar diya. ki shaam ko press conferance me saari baat clear kar dunga. filhaal use akela chhod do. ghar par sabhi log khus the. par renu ko ek mouka mil gaya tha
renu- mujhe ek baar reporter banne do fir dekhti hun ASP sahab ko, galti se ek teer nishane par kya lag gaya apne aap ko bahut bada teerandaj samajhne lage he. bhav to dekho janab ke ashamaan se niche hi nahi utar rahe
ajju- chhutki tu fir suru ho gai
monu- nahi diljeet bolne de ise, kam se kam is bahane baat to kar rahi he nahi to pichhle 1 saal se taras gaya tha iski awaaj sunne ko
monu ki baat ka asar renu par turant hua, yesha nahi he ki wo apne bhai se pyaar nahi karti thi, baat asal ye thi ki renu aur monu ki nok jhonk hamesh se hoti hi rahi thi. par is nok jhonk me ajju hamesh se renu ka saath deta tha. par ajju ke jaane ke baad renu ko uski kami khal rahi thi. monu ke saath hone baali nok jhonk dhire dhire itni bad gai ki bolna bhi band ho gaya tha. renu ko pata nahi kya hua wo dod kar monu ke pass gai aur us se lipat kar rone lagi, aur badi muskil se boli
renu- sorry bhai
monu ne pyaar se uske sir ko sehlaya aur kaha
monu- tu pagal he kya, tu rote huye achchhi nahi lagti, tu to ladte huye hi achchhi lagti he natkhat
is baat-cheet me nisha bhi bich me kood padi
nisha- jeth ji ka kehne ka matlab ye hi ke hamari choti si nanad sabse ladti firti he
monu ne turant nisha ki taraf haath jodte huye kaha
monu- chhama chhama chhama deviyon me in batao me kisi se nahi jeet sakta.
sabhi log monu ko dekhte huye hashne lage.
renu- bese bhai itne saj dhaj kar kaha jaa rahe ho
nisha- mujhe to lagta he ki jeth ji meri jethani ji se milne ja rahe he
monu ne socha isse pehle aur uska faluda nikle use nikal jana chahiye is liye wo baha se jaane laga. par jaate jaate nisha ne ek aur teer chhod diya
nisha- jeth ji kam se kam ek baar mujhe meri hone baali jetahani ji se milba hi do, kya pata fir kabhi yaha aana ho na ho
monu bina kuchh kahe baha se khishak gaya. monu ke jaate hi ajju maa se bola
ajju- maa ab hame chale jana chahiye
maa- kyun??? yaha kya problam hai tujhe
ajju- asal me maa manju pragnenet he aur jaldi hi delavary hone baali he. is liye baha ke saare kaam ravi bhai ke jimme hi he. itne saare kaam akele handle karen me unhe problam ho rahi hogi. bese bhi is samay unhe jyada se jyada samay manju ke saath hona chahiye, hai na maa
maa- haa baat to teri thik he. par aaj tu ruk ja tere uncle ko aane de fir mai market se apni nisha beti ko kuchh le aaun uske baad chale jana
ajju- par maa iski koi jarurat nahi he, hame bus aapka ashirwad chahiye
maa- tu chup kar ye sagun hota he tu nahi samjhega
ajju- thik he maa jaisi aapki marji
fir achanak ajju ko pata nahi kya sujha aur wo renu ke pass jaa pahuncha
ajju- renu tujhe apni nai bhabhi se milna he kya
renu- kya??? kon???
ajju- are monu ki girlfriend
renu- par kaise
ajju- are wo aaj milne baale he, chal chalte he kabab me haddi banne
renu- sachchi me!!!! fir to maja aa jayega
ajju- ab chal bhi
renu- bhabhi ko bhi le chalo na
ajju- are use taiyaar hone me time lagega
renu- nahi lagega aap bus ham dono ko 10 minute do fir chalte he
ajju- thik he
--------------------------------------------------
kuchh hi der me ajju, nisha aur renu ek restorent me bethe huye the jaha wo monu aur divya ke aane ka wait kar rahe the. tabhi achanak saamne se vikash aata hua dikhai diya jise dekh kar renu ka khoon khol gaya
renu- ye reporter ka bachcha mera pichha karte huye yaha bhi aa gaya aaj to mai iska muh noch kar rahungi
isse pehle ajju aur nisha kuchh samajh paate renu sidhi vikash ke saamne ja pahunchi
renu- ye mister yaha kya kar rahe ho
vikash- public place he koi bhi aa ja sakta he. bese bhi mujhe yaha koi kaam he
renu- kya kaam he
vikash- sorry mai aap ko nahi bata sakta
renu- mai sab samajhti hun pichha kar rahe ho mera, aaj to mai tera muh noch kar hi rahungi
isse pehle renu apni kahi hui baat sach me poori kar paati ajju aur nisha baha jaa pahunche aur renu ko pakad liya.
ajju- ruka ja renu ruka ja ise mene hi bulaya tha
ajju ki baat sun kar renu kuchh sant hui,
reny- bhai aap jante nahi ye ....
ajju- mai sab janta hu. pehle tu sant ho ja aur fir aaram se baith kar baat karte he. yun khade hokar tamasha karne se sab dekhenge
renu ne fir kuchh nahi kaha. wo charo bapis se apni chair par baith gaye
nisha- renu ye vikash he hamare news chanel ke chief editor, ye yaha par hamare hi kehne par ruke huye he. aur hamare kehne par hi ye tuhari jankari ikatthi kar rahe the. par ab uski koi jarurat nahi rahi is liye tum befikar raho. ye tumhe bebajah tang nahi karega
renu ne kuchh nahi kaha bus vikash ko gusse se ghurti rahi
ajju- vikash kya report he
vikash- sir ASP sir apne office se nikle chuke he
ajju- matlab wo yaha aane bala hoga
vikash- wo kisi bhi samay yaha aa sakte he
ajju- thik he ab tum jao yaha se, aur haan kal hum yaha se nikal jayenge, is liye jaldi se apna kaam khatam kar ke delhi bapis aa jao. aur kisi chij ki jarurat ho to manish bhai se mil lena,
vikash- jee sir
itna bolkar vikash baha se nikal gaya. vikash ke jaane ke thodi hi der baad renu normal ho gai. nisha jo ki salwar suit me thi aur apni chunni ko is prakar sir par ode huye thi ki turant hi ghunght daal sake. jabki ajju aur renu apne casual roop me hi the. wo log restorent ke us kone me bethe the jaha se wo to sabhi ko aate jaate dekh sake par un par kisi ki direct najar na pade.
-------------------------------------------------------------
kuchh der bad us restrorent me monu aur divya ne pravesh kiya, monu is samay formal dress me tha jabki divya ne westarn dress pehan rakkhi thi jisme bo abhut jyada khoobsoorat lag rahi thi. ek pal ke liye to ajju bhi hairan reh gaya ki ye bahi divya he jo uske saath padti thi.
monu aur divya un logo se thodi door bethe the. aur abhi tak uski najar ajju aur baaki logo par nahi padi thi. divya ke haatho me ek red rose dikhai de raha tha aur uske chehare ki chamak saaf saaf jahir kar rahi thi ki monu use prapose kar chuka he. restorent me dono hatho me haath liye ek dushre se baate kar rahe the. aur baar baar ek dushre ki aankho me kho jaate.
nisha divya ko pehle se hi janti thi use divya ko pehchanne me bilkul bhi problam nahi hui, par renu abhi tak divya ko pehchan nahi paai thi, wo to bus aankhe faade divya ko dekhe hi ja rahi thi. ajju ne use toka
ajju- ab tu najar mat laga diyo bhabhi ko
renu- bhabhi to bahut khoobsoorat he par mujhe yesha kyun lag raha he ki mene inhe dekha hua he
ajju- ye divya he. mere aur monu ke saath padti thi
renu- divya didi bahi na jo hamre pass bale gao me me rehti thi
ajju- haan bahi
renu- par pehle to ye kitni sidhi sadhi aur sarmili type ki dikhti thi, aur ab to inka poora huliya hi badla badla lag raha he
nisha- lagta he monu ke pyaar ka ashar kuchh jyada hi chad gaya he
ajju ne monu aur divya ko kuchh aur samay diya taaki wo ek dushre se kuchh aur khul jaye aur fir achanak wo monu aur divya ki table par tapak pada uske saath nisha ghunghat ode khadi hui thi jabki renu hairan pareshan divya ko hi dekhe ja rahi thi
ajju- oye monu pra ji tussi yaha kya kar rahe ho
ajju aur baaki logo ko dekh kar monu buri tarah se chonk gaya
monu- diljeet tum yaha????
ajju- oye mai to apni sardarni ko yun hi gumaane chala aaya aur chhutki bhi hamare saath hi ho li par tussi yaha kaise. aur ye kon he
monu- ye meri dost he hum log IIM pune me saath hi the
ajju- par pra ji dost ka koi nam bhi to hota he ki nai
isse pehle ki koi kuchh aur bhi kehta monu ajju ko khinch kar ek side le gaya
monu- oye diljeet kyun kabab me haddi ban raha he
ajju- par ye hai kon
monu- divya
ajju- oye meri hone bali bhabhi, oye balle balle maja aa gaya. mai abhi sab ko batata hun
monu- are marbayega kya???
ajju- wo kyun pra ji
monu- are aaj hi to prapose kiya he aur aaj hi tu akhbaar me chhapwa dega khabar
ajju- par pra ji prapose to kal kiya tha na
monu- are ek hi baat he. abhi kuchh din chalne do love sove fir dhire dhire bata denge sab ko
ajju- oh achchha ji to ye baat he, koi nai ji, aap enjoye karo me un dono ko lekar kahi aur chala jata hun
bapis aakar ajju bola
ajju- chal sardarni aur chhutki tu bhi chal hum kahi aur chalte he, pra ji kisi jaruri case ki investigation kar rahe he.
nisha- investigation!! par abhi to jaith ji ne kaha ki college friend he
ajju- are sardarni friend se bhi to investigation ho sakti he
nisha- mai na, mane to daal me kuchh kalo laage hai
ajju- matlab???
nisha- matlab jeth ji ki sakal dekh kar mane lage he ki ye to meri hone baali jethani ji hai
monu ne apna sir pakad liya jabki divya ka saram ke maare bura haal tha, wo to samajh hi nahi paa rahi thi ki kya reaction de aur kis baat ka kya jabab de. baton hi baton me nisha aur renu bahi chair par jum ke baith gaye. majboori me ajju aur monu bhi baith gaye
renu- bhaiya mujhe lagta he ki mene aapki friend ko kahi dekha he par yaad nahi aa raha
divya renu ko achchhi tarah se janti thi par daljeet aur nisha filhaal uske liye ajnabi hi the. divya man hi man prarthana kar rahi thi ki renu use na pehchane par uski prathna kabool nahi hui aur renu bol padi
renu- wo mara, ye to divya didi he
monu ne ek baar fir apna sir pakad liya
nisha apni panjabi aur haryanbi mix bhasa chod kar boli, par awaaj thodi badli hui hi thi taaki monu na pehchan paaye
nisha- haath me red rose aur chehre par sharm ki laali to saaf saaf jahir kar rahi he ki ye to pakka meri jethani hi he. ab jeth ji maan bhi jao
akhir kaar monu aur divya ko ye accept karna hi pada. ajju nisha aur renu kuchh aur der baha bethe aur fir uth kar jaane lage taki monu aur divya ko akele me ek dushre ke saath time spend karne ka mouka mil sake. jab wo jaane lage to monu bola
monu- please tum log ghar par maa aur papa ko mat bata dena
ajju- are pra ji nischint raho ye baat to aapko hi ghar par batani hogi.
fir nisha ne apne gale se ek sone ki chain nikal kar divya ke gale me daal di
divya- are ye kya kar rahi ho
nisha- ye to sagun he, fir pata nahi kab mulakat ho
divya- par mai kaise....
ajju- are bhabhi ji rakh lo sardarni ne bade pyaar se diya he.
monu- par tum to chhoti ho na, tum se kaise le sakte he
nisha- filhaal ghar ki iklouti bahu hun, jab aap ki shaadi ho jayegi to jethani jee se may vyaaj ke saath bashool kar lungi.
monu aur divya ne fir kuchh nahi kaha chup chap nisha ki gift accept kar li, uske baad ajju nisha aur renu restorent se nikal gaye.
raat ko khana khate samay
monu- yaar diljeet maine suna tu kal jaa raha he.
ajju- haan pra ji mera yaha ka kaam khatam ho gaya he, aur delhi me bahut kaam pending he. is liye jana padega.
monu- yaar itne din ho gaye mujhe to ab tak ye bhi pata nahi tu kaam kya karta he
ajju- lo ji aapne poochha hi nahi, bus yun samajh lo aap se milta julta kaam karta hun.
monu- matlab?????
renu- matlab bhai delhi me kisi news chanel me kaam karte he, aur maje ki baat ye he ki bhabhi inki boss he
monu- what?????
ajju- haan ji, meri to kismat hi yesi he, ghar par bhi sardarni meri boss he aur office me bhi boss
ajju ki baat sun kar monu ko hanshi aa gai. jabki ajju thoda gambheer ho gaya tha. itne din apno ke bich rehte rehte use ab yaha se jaane par bahut bura lag raha tha.
ajju- maasi ji mai soch raha tha ki chhutki ko apne saath le jaun, agar aap logo ko koi problam na ho to
monu- par ye baha kya karegi???
nisha- lo ji jeth ji chhutki ka mass communication ka course to ho hi chuka he aur fir ye job bhi search kar rahi he, mene iska resume ane news chaneel ke liye bhej diya he, 1-2 din me joining letter bhi aa jayega. itne din saath rehne se mera man iske bina baha nahi lagega, chuutki rahegi to mera man bhi laga rahega, aur ye baha kaam bhi sikh jayegi
monu- par renu ke bina hum log
ajju- ab delhi koi videsh me to hai nahi, jab aap ka man hoga aa jana, ya chhutki ko bula lena, is bahane maasi aur aap log bhi aate jate rahoge hamre pass
maa- mujhe koi problam nahi he, par monu aur apne mosaji ko taiyaar kar lo
renu- papa please haan bol do na, please please please
chunki pehle to uncle ko ajju aur nisha ke baare me kuchh bhi nahi pata tha, lekin baad me ek din mouka dekh kar maa ne uncle ko ajju aur nisha ke baare me bata diya tha. is liye monu ko chhod kar baaki sab logo ko ajju aur nisha ki asliyat pata chal gai thi. uncle is baat se kaafi khush the aur apne aap ko kaafi halka mehshoos karne lage the. aur fir ajju unke liye monu ki hi tarah tha is liye unhe renu ko uske pass bhejne me koi problam nahi thi
uncle- thik he thik he chali ja par yaha aate jaate rehna
renu- thank you thank you thank you papa
nisha- ab jeth ji aap bhi haan bol hi do kyun ki bahumat hamre pass he
monu- par!!!!
ajju- kya pra ji aap ko hum par vishwash nahi he
monu- are nahi diljeet yesi baat nahi he, mai to bus ye bol raha hun bachpan se hum saath rahe he pata nahi iske bina hum kaise reh payenge
renu- bhai ab jyaada senty hone ki jarurat nahi he, please haan bol do na
monu- thik he jaisa sab logo ko thik lage, bese pehli baar yesha hua he ki ajju ke baad kisi dushre se hum logo ko itna lagaav hua ho
ajju- oye pra ji chhodo bhi dosto ko bhai ko dekho bhai ko, hamesha dost dost ki rat lagaye rehte ho
monu ne ajju ki baat ka koi jabab nahi diya aur chup chap khana khakar bahar chala gaya. khana khakar ajju bhi monu ke pass aakar baith gaya
ajju- oye pra ji kya hua, mujh se koi galat baat nikal gai kya, mai to yun hi kuchh bhi bolta rehta hun, sorry ji agar heart hua ho
monu- are nahi diljeet ye baat nahi he, koi aur hota to sayad mujhe bura lagta par pata nahi kyun teri baat mujhe buri nahi lagti, kal tak mai tujhe janta bhi nahi tha aur aaj tum mujhe apne sage bhai jaise lagne lage ho, pata nahi yesha kya he tum me
ajju- mujh me kuchh nahi he pra ji, ye aap ke dil ki achchhai he jo sab me achchhai dekh leti he
monu- yesh hi kuchh ajju kaha karta tha
ajju- aye pra ji chhodo..... nahi nahi ab nahi kahunga ye
monu ajju ki baat se hanshne laga aur fir ek dum se serious ho gaya
ajju- ab kya hua pra ji
monu- 1 saal ho gaye mere dosto ke accident ko aur mai aaj tak kuchh nahi kar paya, mamla ek tarah se ruka hua pada he, aage badne ka koi rasta hi nahi mil raha
ajju- pra ji ek baat kahun, jab lage ki aage badne ke saare raste band he to hame fir se suru se suru karna chahiye. koi na koi naya rasta jaroor mil jayega
monu- matlab
ajju- case fir se zero se suru karo aur dekho kaha kami reh gai he, ye mai apni zindgi ke experience se bata raha hun, meri life me kai problam yesi aai he jinki suru aat bahut pehle ho gai thi par maine un par us samay dhyaan nahi diya tha
monu- kaisi problams
ajju- unko abhi filhaal rehne do, fir kabhi jab hamari mulakat hogi tab ke liye bhi to kuchh hona chahiye
monu- tum bade ajeeb inshan he diljeet
ajju- ab jaisa hun aap ke saamne hun pra ji, bese divya bhabhi bahut sundar he
monu- haan wo to he
ajju- to kab milba rahe ho unhe maa se
monu- milba dunga, abhi mujhe koi jaldi nahi he, aur bese bhi mai pehle apne dosto ke case ko solve karna chahta hun uske baad shaadi ke baare me sochunga
ajju- par agar bhabhi ko jaldi hui to
monu- mai use pehle hi bata chuka hun, aur wo mere saath he
ajju- aur agar ye case solve hi nahi hua to
monu- to fir mai shaadi hi nahi karunga
ajju- bahut baadi baat keh di pra ji, ab mujhe lagta he ki mujhe hi kuchh help karni hogi
monu- tum kya help karoge
ajju- kuchh khash nahi, mere news channel ka ek banda he yaha, vikash naam he uska. mai usse bol dunga wo aap se mil lega. wo crime reporter reh chuka he is lie use yese case solve karne ka kaafi experience hai.
monu- wo yaha kya kar raha he, aur tum yesha kyun chahte ho
ajju- wo to yaha kisi achchhi story ke chakkar me he taaki apne crime show me dikha sake, rahi baat meri aap ki help karne ki uski do bajah he
monu- kya
ajju- ek to aap ko shaadi ke liye jyada wait nahi karna padega, aur dushri bahi busness, is bahane ek achhi news mil jayegi hame.
monu- to ye baat he
ajju- haan pra ji, par aap ko bhi ek vada karna hoga mujhse
monu- kya???
ajju- aap jab bhi koi case solve karoge to sabse pehle news hame dikhane ka mouka milega aur aap ke saare interview sabse pehle hum hi dikhayenge
monu- wah bete hum se hi shoude waaji
ajju- kya karu pra ji aadat se majboor hun, bese ye koi shoda nahi he, aap ise apne bhai ki taraf se ek request samajh sakte ho
monu- thik he mujhe manjoor hai, par news me keval bahi jaankari dikhai jayegi jiski manjoori mai dunga
ajju- thik he pra ji jaisha aap kahe.
monu- bese ek baat kahun tum ne kuchh der pehle jo baat kahi ki jab rasta na mile to fir se suruaat karni chahiye kuchh yahi baat mera dost ajju bhi mujhse kaha karta tha. par tab uski ye baate mere sir ke upar se nikal jaati thi. par ab samajh me aa rahs he ki wo kitni gehri baat mujhe batata tha. ab jao jakar aaram kar lo. mai abhi kuchh der aur yaha bethunga.
ajju ne fir koi jabab nahi diya aur chup chap baha se chala gaya jabki monu bahi apne khyalo me gum betha raha.
agle din sabhi log ajju, nisha aur renu ko chhodne airport gaye, chunki nisha ne us din divya se achchhi khasi dosti kar li thi aur uska number bhi le liya tha. is liye divya bhi use see off karne aai hui thi maa aur uncle ke jaane ke baad wo un logo se mili aur see off kar ke chali gai.
monu abhi bhi unke saath bahi tha. use ajju ne hi rok liya tha. kuchh hi der me airport par vikash aaya. ajju ne uska parichay monu ko diya aur vikash se kaha
ajju- vikash ASP sahab kisi mamle ki janch kar rahe he tumhe us mamle me inki help karni he.
vikash- jee sir
ajju- baaki ki detail tum ASP sahab ke office me jakar inse le lena
vikash- jee sir
monu- achchha diljeet ab mai bhi chalta hun tumhari flight ka time ho raha he. mai ummeed karunga ki hamari mulakat jald hi hogi
ajju- oye pra ji kabhi bhi yaad kar lena banda hajir ho jaega
monu- ek baat aur diljeet
ajju- kaho pra ji
monu- renu ka khyaal rakhna, ye kabhi kabhi kuchh jyada hi jiddi ho jati he
ajju- oye pra ji chhutki meri bhi to behan he, aap befikar raho
uske baad monu aur vikash baha se chale gaye. manish baha nahi aaya tha. ajju ne hi use aane se mana kar diya tha. kyun ki manish ko monu pehle se hi janta tha. manish ko dekhkar use sak ho sakta tha.
jab sabhi log chale gaye to nisha ne apna ghunghat hata liya. ab use kisi baat ki chinta nahi thi
renu- bhai ab aap bhi apna roop badal hi lo barna flight me problam hogi
ajju- are haan me to bhool hi gaya,
itna bolkar ajju ne apne bag se ek chhota sa packet nikala aur bahi airport par bane mens toilet ki taraf bhhaga, kuchh der baad jab wo bapis aaya to poori tarah se ajju ban chuka tha, uske ek haath me uski pug aur dushre haat me packet tha.
nisha- is packet me kya he
ajju- meri aankho ke lence aur chehre ka mask, aur baaki makeup ka saman.
nisha- mask????
ajju- are haan, ye vikash to kaafi kaam ka vanda nikla, makeup karne me ek dum master he. isne pata nahi kon kon se camical mila kar mere chehare par lagaye aur ek mask bana diya. ab iska prayog kabhi bhi kiya ja sakta he. hame baar baar makeup karne ki jarurat nahi he.
nisha- ye to ek dum perfect he
ajju- haan, bus ek chhoti si problam ko chhod kar
nisha- wo kya????
ajju- chehre par aane bala pashina mask ke andar hi reh jata he. wo mask se bahar nahi aata. is liye jyada garmi baali jagah par iska use nahi sakte.
renu- to kya hua bhai, bese bhi ab aap ko iski kya jarurat padni he, aap ka kaam to ho gaya na
ajju- are nahi abhi to iski bahut jarurat padne baali he. jab jab mujhe indore aana hoga iski jarurat padegi hi padegi, bese mene 2-3 mask aur bhi banba rakke he usse. par ye bala ek dum perfect he.
abhi ye log baat kar hi rahe the tabhi unki flight ka anoucement hone laga. aur fir wo log aage bad gaye.