• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,685
29,069
218
Update 061
-----------------------------

shaam ko nisha jab office se ghar ki taraf aa rahi thi tabhi uske pass mr. prabhu ki call aai. jise dekh kar nisha ne apni car road ke ek side park ki aur fir turant call recive kar liya

mr. prabhu- kesi ho nisha

nisha- achchhi hun sir

mr. prabhu- to aakhir kaar tum ne apna badla le hi liya

nisha- jee sir

mr. prabhu- manoj dubey ne achchha kaam kiya tha, par mujhe IG ki sahayta se poore mamle me tum logo ka naam hatwana pada

nisha- matlab ki aapne hi IG sahab se yesha karne ke liye kaha tha

mr. prabhu- ab itna to hum apne logo ke liye kar hi sakte he

nisha- thankyou sir

mr. prabhu- uski jaroorat nahi he, par ab tum free ho, hai na

nisha- jee sir

mr. prabhu- to fir lag jao apne kaam par

nisha- sir adesh de kya kaam he mere liye

mr. prabhu- ek kaam karo office aa jao, yahi par baat karte he

nisha- jee sir mai abhi nikalti hun

itna bolkar nisha ne call cut kar diya aur apni gaadi dushri taraf mod li.

-------------------------------

lagbhag 1 ghante baad RAW ke secreate head office ke bahar hi nisha ko mr. prabhu mil gaye the, unhone nisha ko ek batch diya. jise nisha ne gour se dekha wo ek plastic aur mattel se milkar bana hua batch tha jiski ek side ashok ka chinh bana hua tha aur niche likha hua tha bharat sarkaar, jabki dushri taraf RAW ka logo aur naam likha hua tha saath hi likha hua tha "agent zero". jise dekh kar nisha ne prashan bhari nigah se mr. prabhu ko dekha, aur isse pehle wo kuchh poochh paati mr. prabhu bole

mr. prabhu- ye batch tumhara he. ek tarah se tumhara ID card. RAW office me tum iske bina kadam bhi nahi rakh sakti. isliye ise samhaal kar rakhna. aaj se RAW me yahi tumhari pehchan he. RAW me koi tumhe nisha sharma ke naam se nahi janega balki tumhara batch number hi tumhari pehchaan he. hum RAW me sabhi ki pehchaan ek dushre se chhipa kar rakhte he. taaki agar hum me se koi dushmano ke haath lag jaye to baaki RAW agent ki pehchaan na ho sake.

itna bolkar mr. prabhu ne apni jeb se apna batch nikaal kar apne gale me daal liya jis par RAW chief likha hua tha. nisha ne bhi mr. prabhu ki tarah apna batch gale me daal liya. aur unke pichhe pichhe chal padi. andar jaate hi mr. prabhu ne ek haal ki taraf ishar karte huye nisha se kaha

mr. prabhu- ye hamara emergency meeting haal he isme hum emergency ke samay meeting karte he. is meeting me mere alab teeno sena ki pramukh aur NSA(national security advisor) jo ki hamre aur geverment ke bich ek matra sutra he hissa lete he. hum rastrapati ke alawa direct kisi mantri ke contect me nahi rehte. kuchh hi der me aaj yaha meeting hone baali he jisme tum bhi mere saath rahogi

nisha- par sir ye meetig kis liye ho rahi he

mr. prabhu- ek bahut badi problam aa gai he, aur isi liye aaj tumhe yaha laya gaya he. iske alaba tumhara aaj test bhi ho jayega

nisha- sir mai yaha kis post par kaam karne baali hun

mr. prabhu- filhaal to tum apne aap ko ek sadharan agent hi samjho, par jab tum apne aap ko sabit kar dogi to tumhe jald hi technical head bana diya jayega. bese to kisi bhi agent ko RAW me samil karne ke baad use kuchh training poori karni hoti he par tumhara mamla alag he. mujhe nahi lagta ki tumhe kisi bhi prakar ki training ki jaroorat he. par fir bhi process to poori karni hi hogi is liye tumhe ek short terms training period se gujarna hoga. aur us training ke final test me safal bhi hona hoga

nisha- kis prakar ki training sir

mr. prabhu- yahi koi self defance ki training, hathiyaar chalane ki training, apna besh badalne ki training bagerah bagerah

nisha- kab karna hoga mujhe ye sab

mr. prabhu- just chill yaar kara denge kabhi bhi, bese bhi filhaal to tumhe kahi field par jana nahi he. ayr ye saari trainings field agent ke liye jyada jaroori he

nisha- mera matlab final test se tha sir

itna bolkar nisha muskura di jiske jabab me mr. prabhu bhi muskura diye aur bole

mr. prabhu- mai janta hun ki tumhe in sab ki koi jaroorat nahi he, par kya kare process he na. kabhi free time hoga tab dekh lenge, par haan besh badalne ke kkuchh tips jaroor sikh lena bahut kaam me aayenge tumhare

nisha- jee sir

fir kuchh soch kar nisha ne mr. prabhu se ek aur sawal daaga

nisha- sir aap mujhe itna jyada free hand kyun de rahe ho, ab tak mene yesha kuchh bhi nahi kiya he jo aap mujh par itna yakeen kar rahe ho. sach poochho to mai ek criminal hun.

mr. prabhu- tumne kabhi cards ka game khela he

nisha- haan

mr. prabhu- to fir itna samajh lo ki tum mera turup ka ikka ho. rahi baat yakeen ki to inshano ki itni parakh to mujhe bhi he

iske baad un dono ke bich koi baat nahi hui. thodi der baad mr. prabhu ek hall ke pass jakar ruk gaye aur bole

mr. prabhu- ye hamra meeting haal he jaha hum apne staff ke saath meeting karte he. aao me tumhe tumhari team se milbata hun. jinke saath milkar filhaal tumhe kaam karna he.

nisha ne kuchh bhi nahi kaha aur mr. prabhu ke saath hall ke andar pravesh kar gai. andar jakar nisha ne baha 4 anya logo ko bethe dekha jinme se 2 ladke aur 2 ladkiya thi. aur maje ki baat to ye thi ki nisha un charo ko pehle se hi janti thi par wo log nisha ko nahi jante the

mr. prabhu ne unki taraf ishara kiya aur isse pehle wo uske baare me kuchh bata paate nisha bol padi

nisha- in logo ko kon nahi janta sir ye he mr. gagan narang hardware aur network ki field me inka koi mukabla nahi kar sakta, inke bagal me khadi he miss priya chopda duniya ki najro me ek software engeneer par hakikat me red rose naam ki mashur hacker, jisne pichhli saal US ke traffic signal ko jaam kar diya tha. inke dai taraf khade he mr. kapil mehra jo IT specilist maane jaate he inke naam alag alag prakar ki device banane ke kai recards he. mere khyaal se electro magnet field baali device inhi ne banai he

kapil- kamal he, aap to jadugar nikli

nisha- aur sabse aakhir me khadi hui he hamre desh ki sabse honhaar neno technology expert miss sonal vyash,

gagan- aap ne hamara parichay to apne muh se de hi diya he, ab aap apna parichay bhi de dijiye

nisha- me hu agent zero

nisha se is prakar ke uttar ki kisi ne asha nahi ki thi. sabhi ko ummeed thi ki nisha apna poora parichay degi par nisha ne keval apna code name hi bataya tha. isse pehle koi kuchh keh pata mr. prabhu bole

mr. prabhu- tum log agent zero ko aaj ki meeating ke baare me batao. tab tak mai baaki arangement karta hun. kuchh hi der me baaki log bhi aa jayenge.

itna bolkar mr. prabhu bahar nikal gaye. jabki sonal vyash jo ki nisha ke nature ko filhaal samajh nahi paai thi is liye rukhe andaaj me boli

sonal- to tum ho agent zero, kuchh samay se hamari poori technical team tumhari hi charcha sun rahi he. chief ko kuchh jyada hi bharosha he tum par. par mujhe to tumme koi khash baat najar nahi aati

nisha- jee miss sonal ji mai ek aam ladki hi hun, i hope aap sabhi ke saath mujhe bahut kuchh sikhne ko milega

sonal- yaha seekhne sikhane ka koi kaam nahi he, jo best hota he bahi sab kuchh hota he. pata nahi kaise tumhe agent zero ka batch mil gaya. i hope tum agent zero ke naam par batta na lagao

itna bolkar sonal us haal ke ek kone me jakar baith gai. jabki nisha aschary se use dekhti rahi. sonal ki is harkat par kapil bola

kapil- uski baato ka bura mat manna, wo bahut jyada sencetive he, tumne apna poora parichay nahi diya is liye sayad use bura lag gaya. bese wo dil ki kaafi achchhi he

nisha- are nahi mujhe uski baat ka bura nahi laga, bese bhi wo mujhse kaafi senior he. aur apne kaam me best bhi, aur mene ab tak kuchh yesha kiya hi kaha he jisse me unki kisi baat ka bura maan saku. mai to agent zero baali unki baat samajhne ki kosis kar rahi thi

priya- are wo kuchh khash baat nahi he, asal me agent zero code isse pehle hamare chief ka tha, aur usse pehle unke chief ka, asal me RAW me agent zero code keval unko diya jata he jo best hota he.

gagan- yaha humse bhi senior kai log he, par unhe agent zero code nahi diya gaya aur tumhe RAW join karte hi mil gaya. is liye usne yesha kaha tha. bese bhi agent zero code hamesh field agent ko hi milta he pehli baar kisi technical agent ko ye code diya gaya he.

priya- agar tumhe agent zero code diya gaya he to jaroor tumme koi khash baat hogi, chief kabhi galat nahi ho sakte. bese apne baare me kuchh batao.

nisha- sorry priya filhaal me apne baare me nahi bata sakti. i hope aap log bura nahi manege. aaj mera pehla hi din he. mujhe yaha ka mahol samajhne do, aap logo ka nature samajhne do. fir mai aap sab ko apne baare me bata dungi. its not a big deal

kapil- oh sorry, agent zero se milne ki khushi me hum log bakai me bhul gaye ki aaj tumhara pehla hi din he. hum log bhi jab yah aaye the to kai dino tak ek dushre ke code name se hi jante the. par dhire dhire hum ek dushre ke baare me jaan gaye. tumne aate hi hamare baare me sab kuchh bata diya to hame laga ki...

nisha- koi nahi kapil ji, to kya filhaal hum sab ek dosti ki suruaat kar sakte he

nisha ki baat par sabhi log ek saath bole

"haan haan kyun nahi"

aur tabhi sonal baha bapis aa gai aur rukhi awaaj me boli

sonal- mai bhi

sonal ki is harkat se kuchh palo ki khamoshi chha gai aur fir ek saath sabhi ki hanshi chhut gai

iske baad sabhi log nisha ko aaj ki meeting ke baare me batane lage

takreeban 2 ghante baad emergency meeting hall me meeting chal rahi thi, is samay baha par teeno senao ke sena pramukh, hamare NSA aur RAW chief apne technical staff ke saath bethe huye the.

mahol kaafi tension bala tha aur sabhi log kaafi pareshan dikhai de rahe the. siway nisha ke, jo ki
meeting suru hote hi laptop me ulajh gai thi aur jaise ye bhool hi gai thi ki yaha par koi highly secreate meeting chal rahi he. pata nahi kyun par hamare army chief ko nisha ki ye harkat kaafi der se theek nahi lag rahi thi. itne sencetive mudde par bhi nisha ne ab tak koi reaction nahi diya tha aur wo sab ko ignore kar rahi thi. iske alawa nisha un sab ke liye abhi bhi anjaan thi,

mr. prabhu ne abhi tak uska parichay bhi nahi diya tha. sach baat to ye he ki mr. prabhu ko iska mouka hi nahi mila NSA ne aate hi mudde ki baat suru kar di thi. aur fir sabhi log behash me itna bussy ho gaye ki nisha ki taraf dhyaan hi nahi diya. par ab jabki mahol kaafi tension baala ho gaya tha, aur lekin kuchh bhi kehne ke liye sawad kisi ke pass nahi bache the, to sabhi log ek dushre ka chehra dekhe ja rahe the, tabhi army chief ki najar nisha par padi aur wo chhid kar bol hi pade

army chief- ye ladki, yaha koi majak chal raha he kya, jo tum computer ke vedio game me uljhi hui ho, mr. prabhu aakhir ye hai kon aur is meeting me kya kar rahi he. aapne to is meeting ko majaak hi bana rakkha he, itni sencetive meeting me bachcho ko le aaye.

ye bolte bolte unhone mr. prabhu ke saath bethe baaki logo(priya, gagan, kapil, sonal) ko bhi ghura

army chief ki baat sun kar mr. prabhu ko jaise yaad aaya aur bole

mr. prabhu- sorry mai to bhool hi gaya mere saath bethe ye log...

NSA- hum in charo ko jante he. mere khyaal se army chief ka ishara is "bachchi" ki taraf he jo laptop me bussy he

NSA ne bachchi sawd kuchh is tarah se kaha tha ki baaki logo ki hanshi chhut gai sibay mr. prabhu aur nisha ke

mr. prabhu- sir ye agent zero he

army chief- oh ho to ye agent zero he, jiski charcha pichhle kuchh samay se hum sun rahe he, par isme to hame koi khash baat najar nahi aati, ye to bas ek bachchi hi he

ek baar fir meeting hall me thahake gunj uthe. jabki mr. prabhu ke chehare par is samy apni insult saaf dikhaai de rahi thi. unhone ek najar nisha par daali jisne abhi abhi laptop se apna dhyaan baaki logo par dala tha aur uske chehre par yese bhav the jaise kuchh hua hi nahi. isse pehle koi kuchh aur bol pata nisha ne bolna suru kiya

nisha- sorry sir agar meri bajah se aap ki highly secure meeting me koi problam aai ho to, aap log sahi he mai abhi ek chhoti si bachchi hi hun, isi liye aap sab ki badi badi bato se filhaal mene apne aap ko door kiya hua tha.

kisi ko bhi nisha se yesi ummeed nahi thi. baha bethe sabhi log nisha se kaafi senior the aur kisi se kuchh bhi kehne ke babjood dushro se respect paane ke adhikaari bhi the, iski bajah unki post nahi thi balki un logo ne ye respect earn ki thi. par nisha ke bolne ka tareeka yesha tha ki sabhi ko ye unka apmaan laga par isse pehle koi kuchh bolta nisha fir se bol padi

nisha- sorry sir mai apne baare me batana bhool gai jesha ki sir ne bataya mai agent zero hun, kuchh mahino pehle hi RAW join kiya aur aaj kuchh ghanto pehle hi mene duety join ki, isse pehle mai apne kaam ko poori tarah se samjhu mai yaha aapke saath ek highly secure aur inportent meeting me bethi hun, jaha desh ki surakchha se related baato par charcha chal rahi he. halanki aap logo ko laga hoga ki mai laptop me bussy hun. par mene yaha hui saari baato ka ek ek sawd suna he. aur is natije par pahunchi hun ki pichhle kuchh dino se hamaare RAW agents jo ki alag alag country me apne mission par the maare gaye.

hamare respected army chief ki jhun jhulahat ye baat sabit karti he ki jyadatar agent army ke x officers the. am i right sir????

nisha ki baat sunte hi army chief ne sehmati me sir hila diya.

nisha- ab ye kya hua, kese hua aur kyun hua is baat par aap log kaafi der se charcha kar rahe the. par ek baat aap bhool gaye ki ab aage kya karna he. chunki aap log mujh se jyada aur behtar jante he aur aage decision lene ka hak bhi aap logo ko hi he, par agar ijajat ho to mai aap ke kuchh sabalon ke jabab dena chahungi

chunki jab se nisha ne bolna suru kiya tha wo kaafi confident dikhai de rahi thi is liye sabhi log bina koi reaction ke nisha ki baat gour se sun rahe the. bese bhi filhaal kisi ke pass koi sawd nahi tha kehne ke liye

NSA- tumhe ijajat he agent zero

nisha- gagan mera lapy projecter se connect karne me meri help karoge

nisha ke itna bolte hi gagan nisha ke laptop ko projecter se connect karne laga, aur jab ye kaam ho gaya to usne haal ki saari lights off kar di. uske baad nisha ne screen par ek slide chala di, jis par sabse pehle kai saari IP address likhe huye the. nisha ne wo slide bahi par push kar di aur uth kar screen ke pass ja pahunchi

nisha- pichhle 2 mahine se in IP address se hamre server ko hack kiya gaya he. dushre sabdo me aap keh sakte he ki in IP address ka use kar ke hamara secreate data access kiya gaya he. par chunki ye kuchh seconds ke liye hi hua he is liye hamare experts ise ab tak pakad nahi paye he.

nisha ka ye khullasha sabhi ke liye ek bomb bishphot ki tarah tha

NSA- tum itne yakeen se kaise keh sakti ho, aur tumhe kaise pata chala

nisha- sir pichhle 2-3 ghanto se mai isi me bussy thi, chunki hamare pass ek top level ki hacker pehle se hi moujood he to aap chahe to usse confirmation kara sakte he, mai ek baar fir kahungi ki ye hacking kuchh hi seconds ke liye hui he, isliye ye ab tak hamare experts ki pakad me nahi aai he. mere is laptop par un IP address ke access ki date aur time di gai he usse aap confirm kara sakte he

NSA ne priya ki taraf ishara kiya aur wo apne kaam me lag gai. lagbhag aadhe ghante ke baad wo boli

priya- sir agent zero sahi keh rahi he in IP address se hamare data ko access kiya gaya he

NSA- par tumne ise kyun nahi pakda, tum to expert ho is kaam me

priya- sorry sir par jo technique use ki gai he wo kaafi latest he, jiski bajah se ise pakda nahi ja saka.

NSA- fir agent zero ne kaise ye pata laga liya

priya- sir is level ki tracking ke liye machine language par pakad honi jaroori he aur mujhe jitna pata he is saari duniya me yesha koi nahi he jo machine level ki tracking kar sake, agent zero ne ye kaise kiya mai nahi janti

NSA- kya tum ye bataogi agent zero

nisha- sir mene server ka root crack kiya aur machine level coding ko decode kar ke ye pata lagaya he. par ye baat manyne nahi rakti ki mene kaise pata lagaya mayne ye baat rakhti he ki aakhir wo log hacking karne me safal kese rahe

army chief- tumhari kya ray he iske baare me agent zero

nisha ke is khullase se sabhi logo ka najariya nisha ke prati change ho chuka tha aur ab wo kaafi respect se nisha se baat kar rahe the

nisha- meri ray jankar sir sayad aap sabhi logo ko thoda bura lage

NSA- befikar ho kar kaho

nisha- sir actually me hum jo technology use kar rahe he wo dushre desho se khareedi gai he. hamari khud ki nahi he, hum software USA ka use karte he hardware japan ya china ka, communication ke liye USA ya russia ki taraf dekhte he, hathiyaro ke liye french ya russia se sahayta mangte he. aap dekhiye hamare pass jo bhi technology he wo lagbhag videshi he. hamara khud ka kuchh bhi nahi. jo hame technology bechte he wo hame iski good things to bata dete he par bad things koi nahi batata actually me wo log jaan bujhkar koi na koi kami chhod dete he taaki samay aane par us kami ka fayda uthaya ja sake.

nisha kuchh palo ke liye ruki aur fir usne bolna suru kiya

nisha- ek tarah se wo log hamare main side gate ko majboot karne ka dikhawa to karte he par back side ke gate ko kamjor kar rahe hote he. aur hum main side security dekh kar khush hote rehte he. aap logo ne billi aur ser ki kahani to suni hi hogi, billi ne ser ko sab kuchh sikhaya par ped par chadna nahi sikhaya, thik yahi tareeka wo desh hum par aajmate he. kya aap sabhi pakke yakeen se keh sakte he ki jin logo se humbne ye technology aur hathiyaar khareede he future me jab unse hamara aamna saamna hoga to wo technology aur hathiyaar usi tarah kaam karenge jaise abhi kar rahe he sabhi viksit desh hum jese vikash seel desh ki madad karne ka dikhava to karte he asal me wo hame apna gulaam bana rahe hote he.

nisha ki is baat ne sabko soch me daal diya aur sach poochho to sabhi log is baat se kaafi dar gaye the. kyun ki nisha ne jo kaha tha wo ek kadva sach tha

navy chief- agent zero tumhari najar me iska koi solution he kya

nisha- pata nahi filhaal me sure nahi hun is liye kuchh bhi nahi keh sakti is baare me, aap log behtar iske baare me vichar kar sakte he

army chief- aur hum sab ko lag raha tha ki keval tum hi hum sab me behtar tarike se soch sakti ho agent zero

is baar army chief bolte bolte muskura diye par is baar unki muskaan dostana thi

navy chief- are jo bhi man me ho bol do, ho sakta he tumhari baat sun kar hum sab ko hi koi idea mil jaye. aur tumhari soch sahi hui to hum us par amal karne ke baare me soch bhi sakte he. thodi bahut jo kami hogi use hum sab milkar door kar lenge

nisha- sir meri najar me to solution ek dum simple he. apni khud ki technology ka use karna. par filhaal ye possiable nahi he. hum apne saare equpement change nahi kar sakte aur na hi sabhi parakar ke equpement khud bana sakte he. par kam se kam wo kaam to kar hi sakte he jisme hum best he

NSA- jaise

nisha- sabse pehle hamare communication ke liye apna khud ka network banana hoga. jo ki hamara khud ka ho aur use hum kisi bhi other country ke network se ya internet se connect nahi karenge. haan other country se communication ke liye hum public network use kar sakte he par wo kisi bhi tarah hamare private network se connect nahi hoga, matlab ki hame ek saath do do network use karne hoge. private network par hamare saare secreate honge aur hamare internal communication ka medium bhi bahi hoga, jabki publice network keval hum other countries se communication ke liye use karenge aur us network par hum apni kisi bhi prakar ki secreate information share nahi karenge.

air force chief- kya ye possiable he

nisha- ji bilkul sir ye possiable he, uske liye hame apna khud ka highly advanced satelight launch karna hoga jo keval defance ke liye hi use kiya jayega. aur ye kaam hamari ISRO ashani se kar sakti he. kyu ki hum space technology me poori duniya me apna loha manba chuke he. par ye satelight launching srcreate honi chahiye.

NSA- iske alawa aur koi sujhav he kya tumhare pass

nisha- jee sir filhaal hum hardware to yahi use kar sakte he par software hame apne khud ke design karne hoge, khash kar operating system hamara khud ka hi hona chahiye. jo ki encripted data par kaam karega jiski bajah se hamaare data ko hack karna lagbhag namumkin ho jayega.

NSA- par software design karwane ke liye hame kisi badi software compony se contact karna hoga jo ki jyadatar vedeshi hi he

nisha- sir uski jaroorat nahi padegi mai khud hi software design kar sakti hun, agar mujhe iski ijajat ho to. par iske liye mujhe ek team ki jaroorat padegi

NSA- are you sure ki tum ye kar sakti ho

nisha- jee sir, bese bhi software designing me india poori duniya me top par he. sabhi videshi componyo me hum indians ka hi bol bala he.

NSA- mai goverment se baat karta hun aur iske liye fund issu karane ki kosis karta hun. mr. prabhu tum agent zero ke liye team ka intjaam karo, aur mai tumhe fund ka intjam kar ke deta hun, aur personal satelight bala idea bhi mujhe pasand aaya he is liye mai jald se jald us kaam ko bhi poora karwane ki kosis karta hun

mr. prabhu ke mush se itni der se ho rahi charcha me pehli baar keval do sawd nikle

mr. prabhu- jee sir

NSA- aur haan mr. prabhu tumhari choice ek dum perfect he. agent zero hame pasand aai. mere khyaal se ye technical head ki post ke liye perfect he. chaho to aaj se hi ise technical head ki post assign kar sakte ho

iske baad NSA ne ek baar sabko dekha aur fir se bole

NSA- kisi ko aur kuchh kehna he kya ya meeting yahi samapt ki jaye

army chief- agent zero kya tum bata sakti ho ki hamare data ki hacking kaha se ki gai hai aur kis ke dwara ki gai he

nisha- jee sir bilkul bus 2 minute dijiye

itna bolkar nisha ek baar fir laptop me ulajh gai. aur thik 15 minute baad boli

nisha- sir chunki IP address alag alaga countries ke he jo ye sabit karte he ki koi apna IP jump kara raha hai. is parakar ke kaam me is baat ka dhyaan rakkha jata he ki IP ek nischit patern me jump karaye jaye. jaise agar me india se IP jump karaun to me india ke ass pass ki country me use jump karaungi,

army chief- par kyun???

nisha- kyun ki kai par network problam ki bajah se IP reset ho jata he aur hamara original IP show karne lagta he. ab agar me india ke ass pass ki country me IP jump karaungi aur galti se IP reset ho gaya to track karne baale ko yahi lagega ki india par bhi IP jump karaya gaya he. matlab ki wo vastav me IP track hi nahi kar payega. par is mamale me yesha nahi he

kuchh IP address india aur ass pass ki country ke he aur kuchh US ke. ab agar pattern ko dekha jaye to ye baat sabit hoti he hacking hamare ass pass ki kisi country se hi ki gai he. aur hame gumrah karne ke liye US par bhi IP jump ki gai he. aur hamare ass pass ki country me china me hi ek matra vanda he jo IP jump karana janta he aur wo ye he.

itna bolkar nisha ne ek image open kar di jo projecter ki sahayta se sabhi log dekh rahe the. aur use dekh kar sabhi ke chehre ka rang uda hua tha

mr. prabhu- agent zero kya tum is bande ko janti ho

pehli baar mr. prabhu charcha me samil huye the

nisha- sir me iske baare me keval itna janti hun ki hacking ki duniya me ye "dragon" ke naam se jana jata he

mr. prabhu- iska asli naam "wang chi lung" he aur ye MSS yani china ki secreate service ka sabse kabil banda he. aur iska code name bhi "dragon" hi he

iske baad hall me ek sannata chha gaya.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
 
Arti0110sai

New Member
8
3
3
Bhai kidhar ho
 
Sly

Member
365
910
93
Tumhara kahani ki dusre ki dusre ki churai lag rahi hai kyunki xosspi main story 20 tarikh ko regular mein padhta tha
 
Nadan Dill

Well-Known Member
3,429
7,546
158
bhaii kidar chala gaa ho wating new update
 
  • Like
Reactions: redhat.ag

Alok

Well-Known Member
11,340
27,991
258
What happened ????????

No updates?????????????

No messages???????????

Is everything allright????????????????
 
  • Like
Reactions: redhat.ag

parkas

Well-Known Member
28,229
62,435
303
Waiting for the next update...
 
Sly

Member
365
910
93
Kidhar chale gaye ho update kab aayega wait kar rahe bhai
 
  • Like
Reactions: redhat.ag
Top