didi....... ab bata, tu kaise thode se samay me itna charming ho gaya ha raja.
mai....... bataya to tha aap ko
didi....... nahi tu mujhe wo bata, jo ab tak tuney nahi bataya ha
mai....... kya nahi bataya ha
didi naughty smile se dekh boli....... tu sab samjh raha ha lalla.. chal bata kon ha woh ladki.
mai hairan ho gaya....... ladki?. kon ladki?.
didi....... wahi jisne tujhe pura ka pura badal kar rakh dia. video call me tujhde badla hua dekhti rahi hon. par mujhe laga camera me hi tu aisa dikh raha ha. par tujhe saamne se dekh kar mai to hairan hi rah gai thi. sach me tu bada charming ho gaya ha raja
mera nam ajay tha. par har koi mujhe kai namo se pukarne lag jaya karta tha. kabhi ajay, kabhi lalla, kabhi raja, kabhi kuch.
mai....... sach me didi ye sab aap sabhi ke pyar ka parinam ha.
didi....... mujhe mujhe chakkar mat de raja. sach sach bata. ye to mai jaan hi gai hon, koi to ladki teri life me aa gai ha. kon ha, jab jab tu nahi batayega. mujhe pata nahi chalega. aur tu kyaa apni arpana didi se bhi apne dil ki baat chhupayega
mai....... mai kyu koi baat ap se chhupaunga didi.. waise to meri gav me school me college me kai ladkiyan dost han. par jis hisab se aap poochh rahi ho. mai khub samjh raha ha. aur sach bol raha ha. meri koi gf nahi ha didi.
arpana didi ne mera hath pakad kar apne sir par rakh dia. vamika apni maa ko dekhne lagi
didi....... ab bata. tu jhut nahi bol sakta ha lalla
maa door bethi dekh rahi thi....... arpana beti ye tuney raja ka hath kyu apne sir par rakhwa lia. baat kya ha?.
didi loudly boli....... kuch nahi maa. bass apne bhai ka pyaar jaanne lagi hon.
maa smile karti chup kar gai.
didi....... ab bol bhi de. ya mere sir ki jhuti kasam khaayega tu lalla
mai....... didi aapko kyu aisa lagta ha. meri life me koi ladki aa gai ha
didi....... tere chahre ki chamak, teri ye confident walk, tera baat karne ka andaz, girls ko dekhne ka style, maine raat didi ke ghr me tujhe bade dhayan se notice kia ha lalla. itna change bila waja nahi aaya karta ha. mai bhi is daur se guzar chuki hon lalla. chal ab bol bhi de. kon ha wo ladki.
mai....... didi maine sach kaha ha. meri life me meri girls dost to bohut si han. par koi bhi abhi tak meri gf nahi bani ha. mai aap sabse pyaar karta hon. pahle se adhik pyar karne laga hon. pahle mai thoda zayada sharmeela hua karta tha. ab change aa gaya ha mujhme.
didi dheel padne lagi....... to sach me teri koi gf nahi ha
mai....... haan nahi ha. sach me koi nahi ha. agar koi bani to aap ko kyu mai chhupaunga.
didi....... fir bhi dil nahi maan raha ha. itna zayada change gf ke life me aa jane se siva nahi aya karta
mai....... aa jata ha didi. ab mai aap ko sari baat batata hon
didi....... sari baat?. means?
mai....... asal me maa ne mere sharir ki zaitoon ke tel se malish karni shuru kar di h. sharir khulne laga ha. mai halka hone laga hon. fir radha didi ab har samay ghra par hoti han. mujhe bohut zayada samay deti han. samjhati rahti han. mere change hone me radha didi aur maa ki malish ke sath sath aap sabhi ke pyaar ka bada hath ha didi. aur fir is umar me thoughts me bhi to bohut sa change aata ha na. bass mai bhi isi prakar se badal raha hon. sab ko lagta ha, ghar me mai radha didi ke pass sabse badhkar banunga. aur mera bhi aisa hi kuch mann ban gaya ha. sharir se aur rakh rakhao baatcheet se mai radha didi ke jaisa banne me lag gaya hon. ab archana didi ki khushi ke chalte bhi mera dil khushi se bhar gaya ha. bass mera dil me koi gham nahi, koi bojh nahi ha. mai totally ab ek relaxed person ban gaya hon didi.. isi ka parinam aap ko mere chahre par dikhai de raha ha.
didi ka moh hairat aur khushi se khul gaya tha
didi....... ajay tu to baaten bhi pyari pyari karne laga ha.
didi mere gaal par kiss kar gai. mai smile karne laga. lunch baaton ke dauran hi finish ho chuka tha.
vamika ke hath me roti ka ek tukda tha. aur wo usay chuse ja rahi thi. chabaye ja rahi thi.
sham se kuch pahle jab maa meri peeth par malish karne lagi tab arpana didi bhi mere kamre me aa gai. mai maa aur didi smile karne lage
arpana....... kya raja ko kisi se kushti ladwani ha aap ne. jo ise is kadar shaktishali banaye ja rahi han
bhabhi arpana didi ko dekh peeche peeche kamre me parvesh karti hui didi ki baat
sunkar boli........ nahi ladkon ke beauty contest ke liye raja ko ready kia ja raha ha.
hahaha..... sab has pade
vamika sab ko haste dekh hasti hui clapping karne lagi.
didi arpana vamika ke gaal ko chum boli........ ye bhi sab samjhne lagi ha..
bhabhi karib aai vamika se boli....... bata vami tere mamu ko first prize milega k 2nd.
vami ne aise hi hath utha dia
bhabhi vami ke hath ki panchu khuli ungliyan dekh boli....... panchwaaaaann
bhabhi hasti hui mera mazak udati hui boli...... maa ji, fir to aap rahne hi do. kyaa fayda itni mahnat ka. paanchvi ka koi fayda nahi ha. mai to samjhi thi, ajay 1st aayega. kam se kam 2nd hi aa jaaye.. par vami ne to panchvaaan number declare kar dia ha
haste haste meri malish hone lagi. bhabhi 5 minat me chali gai.. maa lagi rahi meri malish karti rahi. fir didi arpana ne vami ko dadi ki god me dia.. aur maa se boli
arpana....... maa aap peeche hat jaao.. mujhe bhi mere bhai ki malish karne den
maa......... mai kar rahi hon na. tu kyu apne hathu kharab karegi
arpana...... hath kharab kahan honge maa... mai to raja par apna pyaar lutana chahti hon... bohut door chali gai hon na ab to mai.... kabhi kabhi hi chakkar lagta ha ab to mera.
didi kuch sad si ho gai thi
maa aur dadi ne bhi didi ki awaz me dard jaan lia tha.
mai......... door rah kar vami mili aap ko. dharmesh jiju jaisa life partner mila aap ko. aap ki life to door ho jane se happy ho gai ha didi
didi........ tum sab ki baat alag ha raja. kash hum sab ek sath rah sakte. bohut miss karti hon mai beete samay ko
maa......... ab rulayegi kyaaaaaaaa. mai maa hon, pata nahi kaise apne jigar ke tukdon ko khud se door kia ha. betiyon ka nasib unke patiyo ke saath na hota to mai kabhi bhi apni betiyon ko khud se door na karti.
dadi........ yahi reet bhi ha aur jeevan ki zarurat bhi.
didi meri malish malish karne. maa se adhik shakti thi didi ke hathu me.. didi malish davara apna pyaar jatane lagi.
arpana........ dekh le vami..... tu bhi badi hokar aise hi meri seva karna.
maa........ tuney kabhi kari ha maa ki seva. ye vamika karegi. khabardar vamika jo tuney apni maa ki seva kari to
maa vamika ko chumti hui hasti hui boli. aur nanhi vamika apni maa ko aaj ek anokha kam karte dekhne lagi.