bhailog ye kahani ab 2/3 part lagbhag khatm hone wala hai. aur ab sirf college life aur uske kuch din baad ki story bachi hai lekin is story me kuch chije abhi tak nahi aayi hai jaise ki-
1) kya raja ki maa apni puri jindagi bita payegi ya fir is janm me bhi wo kisi na kisi karan se mar jayegi kyunki widhi ka vidhan kabhi badalta nahi hai.
2) kya sirf raja hi apni jindagi fir se jee raha hai ya kahani me koi aur bhi hai jor fir se apni jindagi jee raha hai . kya wo raja ka dost hai ya dusman kyunki dost hua to wo madad karega lekin dusman hua to wo aur jada khatarnaak ho jayega.
3)kya aisa ho sakta hai ki raja ke parivaar me sab bach jaye lekin kahi raja hi na mar jaye kyunki vidhi ke vidhan ke hisab se raja ke ghar me kisi ek to marna hai.
4) ye sabse majedaar hai. kya nilesh aur vina is kahani me ant me ek bade hero heroin ban kar ubhrenge ya bade villain kyunki dono ke man me lalch. nafrta aur apne sapno ke parti paglapan bharpoor hai.
bhai yeh kahani bahot achhi chal rahi hai usse itni jaldi khatam mat karo..!! aur raja ko jo dubara chance mila hai woh sirf apni maa aur behen ko bachane ke liye hi mila hai matlab vidhi ka vidhan badlne ke liye hi mila hai isliye raja aur uski maa aur uski behen ki maut ko dikhana bahot galat hoga..!! aur ab jo raja ne apni jo nayi family banayi hai unn sab logo ko bhi raja ko hi sambhalna hai aage chalkar..!! yeh sab karte huye raja ke zindagi me bahot dushman bhi aayengi toh unn sab ka samna raja ko karna hoga tab hi raja apni maa, behen aur apne pariwar ko khushiyaan de payega..!! aur ab bhi bahot kuchh hai kahani mai matlab shivani ke sath shaadi, poonam ka pyaar wala angle, himani ji ka angle matlab unke mann me kya hai, rani ka pyaar, archana ka pyaar, pratibha ji ka pyaar, nilesh aur sravan ki shaadi, lata chachi ki beti se abhi nahi mila raja kyunki uski bhi mang bhari thi raja ne..!! raja ke jo bhai hai unhone bhi apni maa ko taklif di hogi pichhle zindagi me toh unko bhi handle karna hai aur unke biwiyon ko bhi handle karna padega..aur jo chandni hai woh kaise raja ke bhai se shaadi karegi ya nahi karegi kyunki woh raja se pyaar jo karti hai aur veena aur nilesh ke lalach ko bhi handle karna hai..!! aur baki stories me college life dikhate hai iska matlab yeh nahi ki aap nahi likh sakte..aap bhi likh sakte ho apne tarike se kyunki aapka tarika alag hai..toh padhne me maja aayega..!! aur akhir me jo raja ki biwiya hongi jo raja se pyaar karti hai woh sab mil julkar rahenge toh bahot achha hoga..kyunki aapne kahani ke bich me bataya tha ki raja chahta hai ki uska sab pariwar ek sath rahe isliye woh business karega aur bada ghar banwayega jisme sab reh sake mil julkar..!!