Update 306
Mai aram se bus chalte hi so gaya tha. jab sham ke 6 baje tab nind khula wo bhi bas ke rukne se. log mere aage piche wale seat se utar rahe the. mai bhi apna bag liya aur bus se utar gaya. bahut din baad fir se gaav ki mitti me mai wapas aa gaya. mai apna bag tanga aur chal diya gaav ki ore. mai bhi ghumte firte ghar pahuch gaya. ghar mera ab sajne laga tha. thode bahut tent lage hue the. tent ki style design dekh kar hi lag raha tha kaafi kharcha hone wala hai. fir mai socha lagta hai bhai ka promotion hua hoga isliye bhai jada khush hai isliye itne kharch kar raha hai. waise bhi 2 din me mere dono bhaiyon ka tilak hone wala tha.
mai jaise hi ghar me ghusa to dekha kuch mehmaan aa gaye the. jaise door ki bua chachi maami . mai sabko pranam karte hue andar ghusa. mai khush tha ki maa aur didi se milunga aur ghar me aur andar jaate hi sabse pahle mere dono bhai mujhe dikh gaye. mai dono ko pranam kiya.
dono bole khush raho.
aur fir dono ek saath bole-raja tum bag rakhkar aao hume tumse baat karna hai urgent.
mai socha koi baat hoga shaadi ko lekar isliye mai bag andar rakh diya lekin andar maa didi nahi dikhi.
mai bola-maa aur didi nahi dikh rahi.
dono bhai ek saath bole-maa didi bajar gayi hai kuch saman lena tha.
ye sunte hi mujhe ajib laga.
mai bola-aap dono me se koi unke saath nahi gaya.
meri baat sunkar ajay bhai thoda ukhad kar bola-arey sab log bajar jakar khali shopping karenge to yahan ka kaam koun karega. parso shaam ko tilak hai aur duniya bhar ka kaam pada hai. tu bhi to itna late aaya hai kal se kaam me lag jana.
mai bola-thik hai.
fir vijay bhai bola-raja aao baith kar baat karte hai.
aur hum tino ek room me baith gaye. us room me sirf humtino hi the.
ajay ek baar vijay ki taraf dekha aur fir vijay ajay ki taraf jaise isharo me kuch bol raha ho fir mera bada bhai ajay bola-dekho hume gaav walo se pata chala hai ki humare papa ki jamin pe ek factory khula hai. kya ye sach hai ?
mai bola-haan sach baat hai.
fir vijay bola - gaav wale bol rahe the us factory se har mahine lakho ki kamai hoti hai.
mai aram se bola-haa factory hai to kamai to hoga hi.
fir ajay bola-maine suna hai meena didi ek coaching center chala rahi hai. usme bhi tumne madad kiya hai.
mai bola-jada nahi bas thoda sa madad kiya hai.
fir vijay bola - dekho hum tumhare bhai hai hai ki nahi.
mai bola-bilkul ho. ye bhi koi puchne wali baat hai.
ajay bola-hum tumse bade bhi hai.
mai bola-bilkul
vijay bola-to fir dekho tum har mahine jo lakhon rupaye kama rahe ho usme hamara bhi hak hai aur hum tumse bade hai to jada hak humara hona chahiye lekin hum achhe bhai hai. hum tumhe apna maante hai isliye tumhe bhi hum barabar ka hissa denge. ab dekho factory 7-8 mahine se chal raha hai. coaching center bhi 7-8 mahine se chal raha hai. dono ko mila de to in 7-8 mahino me tumne 25-30 lakh to kamaya hi hai. usme humara bhi to hissa hai. chalo us 30 lakh ko tino log baat lete hai. 10 tumhara 10 ajay ka aur 10 mera. dekho shaadi me bhi bahut kharcha ho raha hai. jitna hume dahej me mila hai us se 3-4 lakh jada hi kharch ho raha hai. to tum hume humara paisa de do.
mai man me bola-saala ye gaav wale hai na inko kisi ki tarakki nahi dekhi jaati. ek rupya kisi ki kamai honi suru hoti hai ki use badha chadha ke lakhon me bata dete hai. aur us se bhi jada mahan hai mere ye do bhai jise aaj tak to apne gaav ki yaad bhi nahi aati thi. aur jab shaadi me aaya hai to mujhse 20 lakh rupya maang raha hai.
mujhe gussa to aaya dono par lekin shaadi ka mahol tha aur agar maine in dono se jhagda kar liya to sabse jada maa ko dukh hoga. akhir koun si maa chahegi ki uske bete ke shaadi ke samay uske bete aapas me paise ke liye lade. ye baat bahut jada sensitive tha.
mai man me socha-mai jitna inlogon ko paise ke baare me bataunga utna inki lalach badhegi. waise bhi laalach in dono ke chehre se tapak raha tha abhi. mai ye bhi janta tha ki abhi in dono ko kuch bhi maine nahi diya to pakka ye dono maa ke pass jakar humgama karenge.
mai bahut soch kar bola-dekho bhai pahli baat to ye hai ki jo bhi paise factory se humne kamaye hai uske tin nahi panch bhag honge.
ye sunte hi ajay bola-5 koun koun . hum tin hi hai na.
mai bola-do log aap miss kar gaye. maa aur didi.
ye sunte hi vijay bola-didi ki shaadi ho gayi hai. unka hak ab nahi hai. waise bhi unki shaadi me bahut kharch kiya hai humne.
mai jab ye baat suna man kiya apne bhai ka jabda tod doon.
kis garibi me meri didi ki shaadi hui thi ye mai achhe se janta hoon aur in dono bhaiyon ne kitne mahan kaam kiye the unke shaadi me mai ye bhi janta hoon. salon ne muskil se 2-4 rupaye kharch kiye the aur aaj apne aap ko itna badha chadha kar bol rahe hai. waise mujhe andaja bhi tha ki aisa hi kuch bolenge ye dono.
mai bola-thik hai. didi ka hissa nahi denge lekin maa ko to dena padega.
vijay bola-maa ko paise ki kya jarurat. hum hai na unki jarurat puri karne ke liye. itne jada paiso ka maa kya karegi.
mai bola-dekho jamin papa ki thi. maa ko hissa to dena hi padega. agar aapko lage to maa se paise maang lena. waise bhi maa de hi degi lekin hissa to char hi hoga.
ye sunkar vijay aur ajay maan gaye kyunki unhe bhi pata tha wo maa se paise mangenge to maa mana nahi karegi.
mai fir bola-dekho bhai jo coaching center hai wo didi aur unke sasuraal walo ka hai. maine sirf didi ki madad ki thi unka coaching center khulwane me to udhar se to koi paisa nahi aata.
ye sunte hi vijay bola-kyun nahi aata meena didi ka coaching center hai aur wo humari bahan hai to humara bhi hak hai.
mai bola-waahhh aap apne ghar me se hissa na do aur uske coaching center se hissa mango jisme uske sasuraal walo ka paisa laga hai. aisa kabhi bhi hota hai kya.
baaki aap dono ko paisa mangana hai to didi se maang sakte ho lekin fir wo bhi factory ke paiso me hissa mangegi aur aap mana nahi kar paoge.
ye sunte hi dono sochne lage.
mai unhe lalach dene ke liye bola-waise bhi coaching center se muskil se mahine ka 10-12 hajar profit hota hoga. jo factory ke profit se to kam hi hai.
meri baat sunte hi dono soche ki didi se paisa mangenge to jitna wo hume degi us se jada to wo le legi isliye dono bole-thik hai.
chalo kam se kam factory ke paise ka to batwara karo.
mai bola-dekho bhai humari sirf jamin lagi hai us factory me wo bhi adhi. baaki sara kharcha ek dusre company ki hai. aur wo company abhi jada kama nahi rahi to wo har mahine muskil se 30 hazar de pati hai wo bhi mai company me hi laga deta hoon.
meri baat sunte hi dono bhai ka chehra bilkul chota sa hogaya.
kahan dono dus dus lakh ka sapna liye baithe the aur yahan unke haath kuch nahi aa raha tha.
ajay gusse me bola-kisne bola tumhe paise wapas company me lagane ko. khud hi bada banta rahta hai. humlogon se puchna chahiye tha na kya karna hai kya nahi karna hai. tere aisa gadha aaj tak nahi dekha maine. nalayak. gadha bewkoof. ab paise ki jarurat hai to kahan se aayenge paise.
bhai ki baat sunkar gussa to aaya lekin fir bhi mai shant hokar bola - dekho bhai itne paise kharch karne ki kya jarurat hai shaadi me. kuch jada hi kharch ho raha hai.
ye sunte hi ajay aag babula ho gaya.
ajay bola-tu sikhayega hume kya karna hai kya nahi. ek achhe college me kya pahuch gaya apne aap ko mahan samjhne laga tu. apne ko humse jada samajhdaar samjhne laga hai. bhool mat papa ke jaane ke baad tumhari padhayi, maa ki dekhbhal didi ki shaadi sab humne karayai hai.
ye sunkar to mera gusse se tan badan me aag lag gaya. sala paise ke naam pe muskil se 1-2 hazar bhejta tha usme bhi duniya bhar ka natak. maa aur didi ka ghanta hi khyal rakha. wo dono roti ranhti thi dukh me sale ko to andaja bhi nahi hai maa aur didi ke dukh ka. aaj sab chije sambhal raha hai achhe condition me hai to sab chij ka credit apne ko de raha hai. kuch jada hi hoshiyar ban raha hai kuch upay to karna hi padega. agar abhi se dono bhaiyon ko control nahi kiya to baad me fir se ye dono maa didi ko taklif denge. sala socha tha is janm me achhe paise kamaunga sab log khush rahenge lekin aaj ye paisa hi khsuhiya door kar raha hai. inke dil dimag me laalach bhar raha hai.
mai bola-dekhiye mai company me bolkar sare paise nikal sakta hoon aur aap sab me barabar me baat bhi sakta hoon lekin uske liye company me ek letter dena padega aur paisa hum cahro me barabar bata hai us letter pe sign karna padega saath hi company kuch paisa kategi to uspe bhi agree karna padega. agar aap haan bologe to lagbhag 2.8 lakh rupaye hum company se nikal payenge. sabko 70 hazar milega.
ajay bola-itne kam paise kyun.
mai is baar thoda serious hokar bola-gaav walon ko to lagta hai us jamin se crodo aate hai lekin aisa hai to nahi na. jo paise aate hai maine bata diya. agar chahiye to company ke bill bhi dikha dunga. aaplogon ko manjur hai to thik hai nahi to paise bhul jao. ye duniya ye company hawa me nahi chalti sabke apne rules hai. rules todoge to bekar ka company case bhi kar sakti hai fir case ladte rahna jindagi bhar ye 70 hazar ke liye.
dono bhai socha kuch nahi milne se to achha hi hai. maa ke paise mang lenge to ek lakh to ho hi jayega.
dono bole-manjoor hai.
mai bola-mai company me phone karta hoon kal tak sab kaam ho jayega. aur haan paiso ki baat maa se karne ki jarurat nahi hai. mai maa se baat karke tum dono ko unke hisse ke paise ke adhe adhe de dunga.
ye sunkar to dono bole-thik hai aur wahan se nikal gaye.
dono ke jaate hi mai jor ka saas liya. sala dono pagal ho gaye hai.
mai abhi bed se uthne hi wala tha ki ajay fir se mere pass aaya aur bola-dekho paise to jada humlog nahi kama rahe lekin gaav me naam aur ijjat to kama hi sakte hai.
mai bola-kaise.
ajay bola-wo mai akash se mila tha. uske pass koi noukari nahi hai na. agar uski noukari company me lag jati to achha hota.
mai to socha mooh pe mana kar doo fir bola-thik hai baat karke dekhta hoon wo maan gaye to bahut achhi baat hai.
ajay bhai chala gaya fir vijay bhai aaya.
vijay bhai bola-wo company me koi jagah khali hai kya.
mai pucha-kyun.
vijay bola-wo pinky bhabhi bol rahi thi ki gaav me baithe baithe man nahi lagta. noukari lag jati to achha hota.
mai bla-dekhta hoon baat karke.
fir vijay bhai bhi nikal gaya.
mai bas kuch der kuch kuch socha fir himani ji ko phone kiya aur fir punam ko message kiya. kyunki punam se abhi baat karne ka matlab tha kam se kam adhe ghante baat karna. kyunki wo company ka sara hisab kitab lekar baith jati isliye socha samay dekar us se baad me baat karunga.
jab idhar ka kaam ho gaya tab room se mai nikla aur room se nikalte hi mere chehre pe badi si smile aa gayi. kyunki samne maa didi aur lata chachi.
mai jakar tino ko pranam kiya. aas paas jo bhi ristedaar the wo ye dekhkar khush the ki isme kitne sanskaar hai wahi samne khadi tino sharma gayi.
maa boli-kab aaye beta.
mai bola-bas abhi adhe ghante pahle.
maa boli-tabiyat kaisa hai.
ye sunkar lata chachi boli-itna achha gabru jawan to lag raha hai. waise tabiyat kaisa hai.
mai haskar bola-achha hai.
agar yahan koi aur na hota to mai tino ko ek ek jordaar chummi deta lekin bahut log the to bas tino ko ek ek baar gale lagaya fir andar room me aa gaye.
maa didi kya kya kharid ke laayi thi khushi se mujhe dikhane lagi. mai bhi sab chije dekha. ab raat ho gaya tha to maa didi aur bhi 2-3 aurate khana banane chali gayi.
mujhe bhai ne bhi thoda kaam thama diya to mai usme busy ho gaya.. uske baad sablog khana khaye. ab baari thi sone ki. room kam tha log jada to ye tay hua ki jitni aurate hai wo ek room me soyengi. jo bade bujurg aadmi hai wo chat pe sonyenge aur baaki bache log dusre tisre room me.
ab aisa halat me mai maa didi ke saath nahi so paya to mai dusre room me sone chala gaya lekin wahan bhi garmi tha to chat pe chala gaya.
mai chat pe sone gaya hi tha ki fir se ajaya bhai mere pass aaya.
ajay bola-chalo bahar chalte hai kuch baat karni hai.
hum ghar se bahar khet aa gaye.
ajaya mujhe gusse me bola - tu college me padhai likhai karta hai ki sirf ladkibaji karta rahta hai.
mai bola-kya bol rahe ho aap. jo baat karna hai subah me karenge mujhe nind aa raha hai. ye bolkar mai wahan se wapas ghar aa gaya.
mai sochne laga mere bhai pagal wagal ho gaya hai kya. ye itni raat ise doura pad raha hai jo mujhse ye puchne aaya.
mai to apne room me aakar wapas let gaya tension me wahi ajay gusse me apne room chala gaya aur apna mobile dekhne laga.
ji haan ye mobile jo tha wahi ajay ko pareshan kiye hue tha kyunki ajay ke mobile me aise aise message aa rahe the jo ajay ka khoon jala de rahe the aur ye message aa raha tha yahan se bahut door humare college se.
ajay aur vijay ko pareshan karne ka kaam kar rahe the do log aur ye do log the jivan aur arvindaa...