- 8,204
- 18,251
- 174
Sorry ........ Is Thread Ko Main Kuch Waqt K Liye Close Kar Raha Hon.....

Last edited:
thanks valentine bhai.. dekhte han arjun jahan pohncha hua hai wo ladki kaun haiNice update asadjee bhai maja aa gaya.
Apna hero ek bahut hi nek dil insan hai to wo dinesh ki madad kyu nahi karta aur manorma ne bhi bilkul sahi kaha ek dam se thik kr denge to sb piche pad jayenge. Ki kuch to jarur hai arjun ke paas. Aur 1month me karenge to utna jyada shak nahi jayega. Ab to Kanwal ke bhi dil me arjun utar gaya hoga. Dekhna hoga uska bada bhai. Kaisa nikalta hai sath me wo kaisa reaction deta hai dinesh ke thik hone aur arjun se milne par.
Ab is ladki se jarur apne hero ka past me koi na koi naya jarur hai. Dekhte hai Aage aur kya kya such samne aat hai.
Nice mast updateUpdate....No:18
****************
dheeraj ki look badal gai thi.. dheeraj fir se pehle jaisa ho gaya.. uski jo fitness kam ho gai thi, use lautne me to kuch samay lagna hi tha.. anita ke gham me rehne ki waja se wo khud par se dhayan khatam kar baitha tha.. ab firse use aas dikhi thi to wo firse khud ko pehle jaisa banane me lag gaya tha
dheeraj ek achha talwar baz bhi tha.. pehlwani bhi kar liya karta tha. uske jod ka uske ilake me koi nahi tha. khubsurat naujawan tha, anita ke chakkar me pada to bohut aage nikal gaya.. anita usse door hui to khud ko uski yadon me gum kar baitha..
main use aur uski family ko yahan le aaya tha to use ek nayi zindagi dene k liye ;.. usne bhi apni puri koshish kar daali thi.. apne pariwar ke bad anita hi uske liye sab kuch thi.. pariwar se badh kar kuch nahi hota.. par anita uske liye aisi thi k dheeraj anita ki yadon me pad kar apne pariwar walun ko bhi bhul chuka tha
abb dheeraj firse purana dheeraj ban kar laut aaya tha..
yahan anita ki rajdhani me aate hi usne khud ko firse wapis pehle wala dheeraj banana
shuru kar dia tha.. achha khane ko mil raha tha.. pehnne ko bhi sab bohut badhiya tha
george ke sath wo kasrat karne laga.. do din aise hi beet gaye.. dheeraj bohut speed se achha ho raha tha.. uske chehre par jo hamesha gham ki lakeeren raha karti thi wo abb nahi rahi thi.. uske ghar wale sab bohut khush the.. un sab ko bhi maine bata dia tha k main kya karwana chahta hon dheeraj se..
wo to dheeraj ko wapis zindagi ki taraf laut'te dekh kar hi bohut khush the..
kuch din dheeraj aur uske ghar wale yahi rehte, dheeraj geroge ke sath kasrat aur practice karta.. uska baba bhi talvar chala leta tha. wo bhi talvarbazi karne laga..
radha mere liye apni ankhon ke rang badalne lagi thi, uski zuban par to bhai bhai hota, par uske dil me kuch aur hi chalne laga tha..
dheeraj ka jald se jald puri tarha se fit hona zaruri tha.. fir mehal me aage ki karwayi shuru ki jaati..
george ko sabke sath chhod kar main maharaja ki riyasat ki jaane laga.. is baar main george ko sath lekar nahi jaa raha tha.. george ko puri izzat na mile to mujhe achha nahi lagta tha.. par dusre sab bhi kya karen, jab wo mujhe bula rahe the, to geroge to unke hisab se ek extra insan tha.. rajaon, maharaon ki mehfil me mian kisi ko bhi to nahi le ja sakta tha..
aur fir abhi dheeraj ko ek achhe talvar baaz ki bhi zarurat thi.. use khud ko puri tarha se fitt bhi to karna tha
normal speed se bahadaur ko daudata hua ek ghante me main rajkumari kanwal ki rajdhani ja pohnchaa.. mann me surur ki lehren si uthne lagi thee..
arjun:- saali tune mujhe kis raah par laga dia hai
manorma jo mere chehre se sab bhaanp rahi thi
manorma:- hehehehe to isme galat hi kya hai mere raja.. puri dunya me yahi sab to ho raha hai.. prem hi to hai jiske karan is dunya ka balance bana hua ha
arjun:- manorma to badi kameeni hai, apne matlab ki baaten bohut daleelen dekar karti rehti hai..
manorma;- hehehe to isme galat bhi kya hai..
arjun:- tum janti ho manorma k is samay mere dil ki halat kya hai
manorma:- bohuttt achhe se merrrre raaajjjjaa...... manorma nasheeli ankhon se mujhe dekhti hui boli
ek lambi saans chhodte hue maine saamne dekha . kuch fasle par wo ilaka shuru ho raha tha, jisme is riyasat aur aas pass ki riyaston ki sabse sunder aur shusheel rajkumari rehti thi.. thandi khushbudar hawayen si chalti hui mujhe mehsus hone lagi thee
arjun:- kapde yahi sahi han ya badalne padenge
manorma:- aisa kaise ho sakta hai, mera raja inhi kapdo me mehal me jaaye.. main to apne raja ko sabse khubsurat dekhne chahti hon
arjun:- khubsurat wo sabse badhkar
manorma:- aur nahi to kya.. jo bhi tumhe dekhe, bass dekhta hi reh jaaye
manorma mujhse nisar hote hue boli......... fir manorma ne mere pakde badal diye.. use to bass ek ishare ki zarurat rehti thi, sab kuch foran hi ho jata tha..
bahadur parse bhi safar ki dhool utar chuki thi, wo bhi halka phulka khud ko mehsus karne laga, aur mood me aa kar jhoomne laga
mai aur manorma hasne lage.. fir bahadur ki lagaam khenchi aur mehal ki aur badhne laga.
din k 4 baje ka time tha, dinner to rat ko hota... par mai yahan par kuch time bhi guzarna chahta tha.. maharaja se aur rajkumari se baten karna chahta tha..
mehal k teen gate the, aur teeno gate hi andar dakhil hone k liye istemal bhi hote the. main bhi bahadur ke sath aur gate ke paas ja pohnchaa..
raste me kai logon ne ruk mujhe salam bhi bola tha.. aksar mujhe jaanne lage the.. race jeetne ki waja se, aur surinder ko pichhadne ki waja se bohut se log mujhe jaanne lage the........... mujhe foran hi gate khol kar andar jaane dia gaya..
do darban bhagte hue mere paas aaye
darban:- sir aap his highness se milne aaye han kya.?
darban maharaja ko his highness bola to maine manorma ko dekha
manorma:- maharaja ko his highness aur maharani ko her highness bhi kaha jata hai.. ye unhe azmat dene ka andaz hai
arjun:- (darban se) hana hum unse hi milne aaye han, unho ne hi mujhe aane ki sawat di thi.......
darbano dono sides ghode ki lagaam thaam li aur mujhe bhi respect dete hue ek side me bane hue ghodon ke astabal me lejaane lage..
manorma:- dekha mere raja, kaise izzat de rahe han ye sab tumhe, ek to tum mashahoor ho chuke ho, aur dusra dumhare kapde kisi bhi raja maharaja se kamm nahi han
ghodon ke astabal ke paas pohnch kar main ghode se utar aaya... ghode ko ek dardan andar le gaya.. dusra mujhe liye sath bane ek garage me pohnchaa
manorma:- ye khas mehmano k liye hai, jab bhi koi khaas aata ha, to use garage me maujud gaadi pad bitha kar mehal ke darwaze tak lejaaya jata hai
bada achha intezam kiya tha maharaja ne
dardan ko dekh kar wahi kahi maujud ek driver bhi foran hi aa gaya.. darban ne pichhla darwaza khola to main gadi me back seat par ja baitha.. gaadi chal padi aur mehal ke asal darwaze ki pr badhne lagi
ye mehal raja k mehal se bhi bada mehal tha.. andar beshumar log the.. ek chota sa baagh bhi tha.. baghiche to har kuch faasle par maujud the.. rang barange phool lage hue the.. andar se mehal bohut hi zabardast kisam ka tha.. raja ka mehal raaj mehak k aage kuch bhi nahi tha.. jitne ke naukar the sabke sab ek jaiso kapdon me the. sabse sab sath suthre the...
rajkumari kanwal ne apne mehal ko bhi khud ki tarha se haseen o jameel bana chhoda tha..
gadi raj mehal ke bade darwaze par aa kar thehar gai.. darban foran hi utra, jo gadi me frotn seat par baith gaya tha..
utarte se bade adab se usne mere liye gadi ka darwaza khola aur main fir gadi se bahar nikal pada.. gate par maujud koi bhi shayad mujhe nahi janta tha, dardan ne unhe mere baare me bataya "jo mujhe dekh kar pehle hi seedhe aur ba adab kakhe ho gaye the" mere baare me jaan kar wo mujhe salute karne lage.. ye apne mann se di jaane wali respect thi.wo bhi khush ho gaye the, k unke saamne is saal ka race champion aur surinder singh ko pichhadne wala khada hai
main bhi sabko izzat dete hue sabse hath milaya, wo aur bhi khush ho gaye, mai bhi to unhi k hi jaisa tha. kapde bhale hi khaas the, par main khud to ek aam insan tha, agar khaas tha to manorma ki waja se.. warna in gareebo ke jaisa main bhi tha..
fir main darban ke sath andar jaane laga.. andar bhi bohtu se naukar aur dasiyan maujud theee.. raja ho ya maharaja, shareef ho ya badmash. aurton ko izzat ki nazar se dekhne wala ho ya hawas bhari nazron se
raja, maharaja ki shaan hamesha dasiyon se hi badha karti thi.. hahaha
dasiyon ke bina shayad koi raja, maharaja nahi ban sakta tha.
sab mujhe dekhne lage, jo mujhe jaante the, wo mujhe parnaam karne lage.. aur jo nahi jaante the, wo bhi ankhon me hairat liye mujhe dekhte hue sar ko halka sa jhuka kar dono hath jodkar parnam karne lage, aur main bhi sabhi ko smile deta hua, sar ke ishare se parnam karta hua aage badhe lage..
drawing room me ek sofe par mujhe bitha kar wo darban andar chala gaya.. kuch der me wo wapis aaya aur mujhe le kar andar jaane laga
kuch der me main ek bade kamre me tha.. aur kamre me koi nahi tha
darban:- his highness kuch der me padhar rahe han, kirpya aap baith jaayen..
main ek single soga par baith gaya, saamne hi ek table bhi pada tha, ek dasi aayi, uske hathon me ek tray thi, jis par ek glass dhara tha, shayad usme mere liye kuch tha.. wo mere paas pohnchi aur kisi kadar jhuk kar tray mere saamne kar di.. maine use smile ke sath dhanyavad bolte hue glass tray parse utha liya, aur saamne rakhe table par rakh dia. meri smile ke badle wo bhi mujhe smile dete hue chali gayi..
glass me sharbat tha, main baitha maharaj ka intezar karne lag. kuch der me 4 naukar aur 3 dasiyan aayi aur kamre ke kono me hath bandh kar khade ho gaye.. main unhe dekhne laga, par wo sab nazren jhukaye khade rahe..
kuch der me aahat hui to darwaze ki or dekhne par paya k maharaja apne teen guards ke sath andar padhar rahe the.. main unhe aate dekh kar khada ho gaya
mujhpar nazar padte hi wo mujhe smile dene lage..
wo paas pohnche to main sarr ko halka sa khar karke dono hath jodkar unhe parnam karne laga.. maharaja ke honto ki muskan aur bhi gehri ho gai.. wo mujhe muskurati nazron se dekhne lage
mujhe salam ka jawab de kar wo apni badi shahi kursi par baith gaye.. aur mujhe bhi baithne ka ishara kar dia
main bhi baith gaya
maharaja:- arjun beta tum jitne achhe insan ho, utne hi ajeeb bhi ho
arjun:- wo kaise your highness
hahahahahaha. maharaja hans pade
maharaja:- pehli mulaqat me tumne mujhe aise mukhtab nahi kiya tha.. abb kyun aise takhatab se nawaz rahe ho..
mere honto par bhi smile aa gai. maharaja firse bole
maharaja:- main samjh sakta hai arjun beta, tum airon se hatt kar ho. maine kaha tha k tum jaisa hi ek maine barson pehle bhi ek baar dekha tha, uske andaz aur rakh rakhao me aur tumhare rakh rakhao aur andaz me sar mo fark nahi ha..
arjun:- banane wale ne bohut si cheezen ek samman bhi banayi hai your highness
maharaja ne ek nazar kamre me maujud sabko dekha aur fir mujhe muskurate hue dekhne ke baad wo bole
maharaja:- arjun beta mere sath tum apne bade bazurg ke jaise baat kar sakte ho.. ye highness viness dusron ki zuban se hi achha lagta hai, tumhari zuban se nahi..
arjun :- shukriya, to fir main aapse baat karte hue kaunse rishte ka chunaao karo.. mere honto par bhi smile aa gai thi
maharja is baar firse hass pade.. maharaja aam rajaon aur maharon se alag kisam k insan the.. bohut naam tha maharaja ka yahan bhi aur aas paas ki riyaston me bhi..
maharaja:- baat to ye bhi sochne wali hai arjun beta.. angrezo ka zamana hai, unhi ke daure hakumat me hum ji rahe han, to unke jaisa hi banna bhi chahiye
arjun:- matlab aap mere liye maharaja nahi ek uncle han
maharaja:- haan ye tumne sahi kaha, iski bhi ek waja hai arjun beta, maine bataya tha k tumhare jaisa hi ke mujhe barson pehle mila tha, usi ki waja se main aaj yahan zinda salamat hon, wo na hota to aaj ye mehak, aur singhasan kisi aur ka hota.... uski mere dil me badi izzat hai, usko sab bhi sochta hon to dil me usse firse milne ki hasrat panpne lagti hai.. par wo kaun tha kahan se aaya tha, main nahi jaanta, baad me bhi bohut dhundne ki koshish kari, par wo nahi mila
abb mujhe tum mile ho, hu bahu uske jaise, sher jawan.. isliye main tumhe usi se related samjhte hue apna beta hi tasawwur karne laga hon..
maharaja ne kitni badi baat bol di thi.. ek to us admi ko itna zayada samman de rahe the. dusra usi ki waja se, uski dil me respect aur mohabbat ki waja se wo mujhe bhi apne dil me samaa chuke the
arjun:- main is inayat k liye dil se mashkoor hon uncle
maharaja:- mashkoor hone ki zarurat nahi hai arjun beta.. haan tumhare mohn se uncle sunna mujhe bohut achha lag raha hai.. are tumne abhi tak glass khali nahi kiya kyaa.?
arjun:- bass aapka hi intezar kar raha tha...
maharaja:- pehle sharbat piyo, baaki ki baaten baad me sahi
maine bhi glass uthaya aur kuch hi der me khali kar ke firse table par rakh dia
maharaja ne fir kamre se sab ko jaane ko bol dia.. sab sarr jhuka kar chale gaye
fir mere aur maharaja k beech me baaten hone lagi.. wo mujhse yaaddasht se related bhi baaten kar rahe the, kaise hua ye sab....... parr main kaise unhe batata, mujhe to kuch yaad hi nahi tha..
aisi hi baton me shaam ho gai.. maharaja ko aaj milne wala koi nahi aaya tha to shaam tak ka jitna bhi time tha, unho ne mere sath spend kiya..
fir maharaja mujhe liye hue mehal ke andar wale hisse me lajaane lage.. wahan sirf 2-4 naukar hi the.. baaki naukraniyan ya fir dasiyan thee..
mahajara se ya manorma se maine abhi raniyon ya maharaja ki aur bhi koi santan hai, aisa kuch nahi poochha tha.
maharaja ke sath main ek kamre ke paas pohnchaa... hum andar dakhil hue.. to kamre ki chaka chond dekh kar mujhe apna ghar yaad aa gaya, jo manorma ne mere liye banaya tha..
ye kamra bhi manorma ke banaye hue ghar ke kamron jaisa decorated tha..
maharaja:- arjun beta tum kuch der yahi araam karo.. aaj rajkumari kanwal ki friends bhi aayi hui han to tumse milne nahi aa saki.. dinner par sab milte han.. tab tak tum fresh hokar kuch rest kar lo
fir maharaja chale gaye.... aur mai masehri par daraz ho gaya.. chhat ko takte hue main manorma se bola
arjun:- ufff zindagi kaise kaise rang mujhe dikhayegi manorma..
manorma:- ye to abhi kuch bhi nahi hai arjun, ye to abhi shuruaat hai tumhari adventurous life ki.. abhi to bohut kuch tumhare saamne aane wala hai.. kya kya dekh kar tum hairat me padte rahoge..
arjun;- haan mujhe bhi andaza hone laga hai manorma k meri life bohut hatt ke hone wali hai.. jaaane main pehle kaisa tha. aisa hi ya alag kisam ka insan tha main pehle
manorma:- tum shuru se hi aise the arjun
arjun:- manorma tumne mujhe maharaja ke baare me nahi bataya.. iski kitni patniyan aur kitni dasiyan han..
manorma :- maharaja achha insan hai arjun... ek hi shadi ki thi maharaja ne, wo bhi mohabbat ki shadi.. usi se do bete aur ek beti kanwal paida hui
arjun;- to fir dono bate han kahan, abhi tak mujhe dikhe kyun nahi
manorma:- ek apahij hai aur dusra england padhne gaya hua tha, kuch dino me wo lautne wala hai..
arjun:- dono bade han kya kanwal se
manorma:- jo padhne gaya hai, wo bada hai, aur jo apahij hai wo kanwal se chhodta ha
arjun:- manorma tum uske liye kuch kar nahi sakti kya.. zarur tum use theek bhi kar sakti ho....... main manorma ko dekhne laga.. manorma mujhe muskurati ankhon se dekhne lagi
arjun:- achhi baat hai, wo bechara bhi theek hokar apni zindagi ke bache hue rang dekh sakega
manorma:- yahi to wo ek kadi hai arjun mere pritam, jo rajkumari kanwal ko tumse kareeb kardegi.. apne chhote bhai dinesh se wo bohut pyaar karti hai.. itna k apne bade bhai se bhi nahi karti
manorma ki baat sunkar main lambi saans chhodne laga.. kanwal ek mehakta hua phool thi..
use sochte hi mann mehakne lagta tha.. masehri par lete main kanwal ki khushbu mehsus krne laga.. jaane yahan se kitne kamre chhod kar uska kamra tha..
mai kanwal ke baare me sochne laga aur manorma mujhe dekh khilkhilane lagi.... kanwal ki khushbu aur manorma ki hansi ne samaa baandh dia tha..
************************************************************************************
rudra aur shaanta kumari kolkata me the.. dono ek hi kamre me the.. shanta kumari naha kar aai to rudra uska ye roop aur sundarta dekh kar kuch der k liye khud ko bhul gaya tha.. shaanta kumari rudra ko khud ko ghoorte dekh kar sharmane lagi thi..
dono ke andar ki feeling khud se badalne lagi thi.. lekin dono is baat se anjaan the.. koi agar dono k dil me hone wali hulchal ko achhe se samjh raha tha to wo thi manorma
jo dono ko dekh kar jal bhun rahi thi
rudra ne kolkata nahi dekha tah, to uska mann hone laga k wo do chaar din wahi reh kar kolkatta dekhe fir aage apni manzil ki aur badh jaaye
shanta ko sath liye wo ek taxi me baitha aur kolkatta shehar dekhne laga.. manorma bhi sath me thi.. use dono ka paas rehna pasand nahi aa raha tha.. lekin wo kuch kar nahi sakti thi.. ya karna nahi chahti thi.. uske liye kuch bhi kar guzarna mushkil bhi to nahi tha... ek ishara aur saamne wale ka kaam tamaam..
shanta:- kitna khubsurat shehar ha na rudra
rudra:- tumhe sab achha lag raha hai shanta
shanta:- haan rudra mujhe sab bohut achha lag raha hai.. shanta khush hote hue boli aur rudra shanta kumari ke chehre ki masoomiyat, sundarta aur chamak ko dekhne laga.. kitni jaldi wo apni maa ka dukh bhul gai thi.. apna sabb kuchh chhod chhaad kar uske sath ho li thi.. rudra shanta ko dekhne laga, shanta ne bhi mehsus kar liya k rudra bahar na dekhte hue use dekh raha hai, to pal bhar me hi shanta ke chehre ka rang badalne laga..
manorma ke dil me bhi rudra ke liye kuch aisi hi feelings aane wali thi.. maonrma k liye to rudra ki hasiyat bohut badh kar thi, use rudra ne azaad karwaya tha.. manorma ko bhi shayad rudra jaisa pehle kabhi nahi mila tha, wo bhi rudra ko leke hatt ke sochne lagi thi... shanta kumari ke aane se pehle manorma ko kuch bhi aisa mehsus nahi hua tha
parr abb rudra ki zindagi me kisi aur ko shamil hote dekh kar manorma ko jalan hone lagi thi, uske dil me bhi kuch kuch hone laga tha.. wo khud par heran to bhi, par ye sabb sochna chhod kar wo kaise bhi karke shanta ko rudra ki zindagi se kaise nikalna hai, ye sochne lagi.. azeem shaktiyon ki malik thi, kuch bhi kar sakti thi.. par rudra ka bhi use khayal rakhna tha, kahi rudra usse naraz na ho jaaye... use khud se door na hone ko bol de..
aise hi vichar monarma ke mann me chal rahe the.. jabse shanta kumari rudra ki zindagi me aayi thi, manorma se rudra ki baat bohut kamm bhi ho gayi thi..
************************************************************************************
surinder singh apne mehal me pohnchaa to bohut ghuse me tha.. uske sath uski behen aur chachera bhai bhi tha..
surinder singh ko ghusse me dekh kar sab usse poochhne lage "kya baat hai surinder tum itne ghusse me kyun ho, aur ye choten kahan se lagwa kar aaye ho"
surinder kisi ko bhi jawab diye bina apne kamre me ja ghusa.. surinder ki behen ne jo bhi hua tha sab bata dia.........
surinder ki behen ka naam janki tha.....
janki ki baat sunkar sab bhi ghusse me aa gaye.. uska baap jo raja tha wo ghusse se uth khada hua
raja:- uski ye majaal mere bete ke saamne khada ho gaya.... deeeeeeeeeeeeeeeennnoooooo
raja puri taqat se, ghusse ki inteha se chilla uthaaaa
ek 6.5 feet ka hatta katta banda saamne aa gaya.... raja ke saamne sar jhuka kar khada ho gaya
raja:- abhi k abhi 100 admiyon ko sath lekar jaao aur us haramzade ko lekar aao.. naa aaye to ghaseette hue laao.. parr jald se jald mujhe wo yahan chahiye
deeno:- ji maharaaj .... deeno sarr jhuka kar peeche palatne laga to surinder bhi aata hua dikha.... wo wahi se bola
surinder:- koi kahi nahi jaayega.. sab main apne hisab se dekhonga.. plan bana kar use kabu me karna padega, wo koi aam insan nahi tha.. bohut tez hai wo..
raja:- to tab tak kya hum aise hi tilmilate rahenge...
surinder:- nahi pita shree... sab ho jaayega.. aur fir sab ek hi din me to hone se raha.. wahn jaane me bhi to 2 din lagne wale han.. to sab soch smajh kar plan banayenge
raja ka ghussa to kamm nahi hua.. par wo shant ho gaya.. surinder ko wo bhi achhe se jaanta tha
surinder ke khandan ke sabhi uske jaise hi the.. sab ke sab ghuse me aa gaye the.. sab arjun ko apne saamne pana chahte the.. sab ke sab apne saamne arjun ko sisak sisak kar marta hua dekhna chahte the
nahi jaante the k unka saamna kiss se hone jaa raha hai.. arjun kisi k liye bhi koi asaan shikar nahi tha.. wo to khud bohut bada shikari tha.... chahe to pal bhar me hi kaiyon ko ek sath phaans le.
Nice behtarin mast awesome update broUpdate....No:19
****************
mai bed par leta hua tha k darwaza knock hone ki awaz aai
manorma:- lo ji aaye haye dinner k liye bulane wale..
arjun:- achha time ho bhi gaya dinner ka, pata hi nahi chala
manorma:- hahahaha. mere sath rahoge to kaise time ka pata chalega tumhe mere sayyan ji
manorma ki baat sunkar use smile deta hua maine door knock karne wale ko andar aane ka keh dia.. ek bavardi naukar andar aaya aur kar mujhe dinner ka paigham dene laga.. main pehle se hi tayyar tha, chal dia fir us naukar ke sath
kuch der me main dining haal me tha.... haan ye haal hi tha, mehlon me dining kahan se honge.. mehal inta bada tha to dining haal fir hota..
ek bohut badi table par maharaja baithe hue the... maharaja k naam jo mujhe manorma se pata chala tha, wo tha maharaja thakur mahaveer singh..
bada naam tha, to sanskaar bhi bohut bade the maharaja ke.. mujhe apna beta maan rahe the... main chalta hua unke paas ja pohnchaa.. meri chair unki chair ke paas hi thi.. abhi aur koi nahi aaya tha..
maharaja:- arjun beta betho.. aaj tum mere sath hi baith kar khana khaaoge..
arjun:- shukirya uncle ji... main chair par baith gaya aur khali kursiyon ko dekhne laga
maharaja:- baaki sab bhi aa rahe han.. aaj main pehle hi aa gaya hon, warna to main sabse late hi aaya karta hon.. maharaja hasste hue bole
arjun:-(maskhari karte hue) aaj aapko bhuk bhi zayada hi lagi hogi.. jo aap aaj sabse pehle aa gaye han
hahahaha maharaja hassne lage..
maharaja:- ye tumne sach kaha arjun beta.. aaj mujhe sach me hi bohut bhuk lagi hai.. aaj tumhare sath ko khane wala hon.. beta yahan hai nahi to tumhe apna beta maante hue tumhare sath khane wala hon.. to bhuk to lagegi hi
kuch der aise hi hum baaten karte rahe.. fir kisi k aane ka ehsas hua to
maharaja:- lo baaki sab bhi aa gaye.. kuch der me maharani, rajkumari kanwal uski friends aati hui dikhi.. rajkumari mujhpar nazar padte hi thithak si gai thi.. par ruki nahi.. honto par smile laate hue wo apni friends ke sath aage badhi aur apni makhsus chairs par aa kar baith gai.. uski nazar baar baar mujhpar aa kar thehar rahi thi..
maharani bhi abhi tak mujhse nahi mili thee.. rajkumari kanwal se to mulaqat ho hi chuki thi..
maharaja:- roopati isse milo ye hai hamara teesra beta arjun... rajkumari kanwal to jhatka hi khaa gai thi apne pita ki baat sunkar, wo mujhe dekhne lagi..
maharani jo apni chair par baith gai thi.. wo apni jaga se uthi aur chal kar mere paas aane lagi.. wo dusri side me maharaja k saht baithi hui thee
mere paas wo aaye to main khada ho gaya
maharani mujhe dekh kar maharaja se boli
maharaji:- swami ji, arjun wahi hai naa jiska zikar aapne kiya tha..
maharaja:-(muskurate hue) haan wahi hai maharnai sahiba
maharani maharaja ko smile dete hue meri or ghoomi aur fir wo mujhse boli
maharani:-arjun beta mere swami ne aapko apna beta maan liya hai to mere liye bhi aap bete samman hi han..
maharani ki baat sunkar maine fir unke paaon chhue to maharani khush ho gai aur ashirvad
dene lagi.. main khada hua to maharani ne mere mathe ko choom liya..
maharani:- mujhe ek aur beta paa kar bohut khushi hui arjun beta
arjun:- aur main ek maa paa kar behad khush hua hon..
maharani ne maharaja ko dekha
maharani:- swami ji aapne to mere liye bohut shusheel beta dhunda hai.
maharaja:-(hasste hue) humne nahi dhoonda maharani sahiba, ye to khud se hi humen mil gaya hai.. warna humme kahan itni taqat jo aise nagino ko dhund saken
maharani bhi hass padi.. rajkumari kanwal aur uski friends mohn hairat se dekh rahi thee... rajkumari kanwal ki ankhon me chamak zarur badh gai thi..
maharani fir apni chair par baith gai. ek ek karke fir mera aru sabka intro hua.. jo pehle nahi jaante the mujhe wo jaanne lage.. maharaja, aur rajkumari kanwal to pehle se jaanti thi.. rajkumari kanwal ki friends pehli baar mujhe dekh rahi thee.. naam to wo bhi mera bohut sun chuki thee.. akhir main ek famous person tha.. rajkumari kanwal ne bhi to mera zikr zarur unse kiya hoga..
wo sab bhi riyasat ki badi families se thee.. koi jagirdar ki beti thi to koi kisi bade sahukaar ki.. ek ladki unme ek nawab ki beti thi.. aur uska naam tha rabia sheikh.. wo bhi rajkumari kanwal k jaisi hi manmohni thi.. bohut cute si thi.. figure me bhi bohut mast thi.. sabki sab sharmo haya wali thee.. rajkumari kanwal ki friends thee to uske jaisi hi hoti..
baaton ka silsila bhi chalta raha aur khana bhi khaya jaata raha.. mahol bohut zabardast ban gaya tha.. sabke sab mann k ujle log the.. baaton me bohut maza aa raha tha.. rajkumari kanwal bhi kabhi kabhi baaton me shamil hone lagti.. lekin wo zayada khul nahi paa rahi thi..
khane k baad
maharaja:- kanwal beti
kanwal:- ji pita ji
maharaja:- arjun beta ko mehal dikhao, usse baat karo, arjun beta abb humme se ek hai..
maharani:- sahi kaha aapne swami ji aapne, jaao kanwal beti, arjun beta tum bhi jaao mehal me ghomo firo, fir hum sath mil baithenge
arjun:- maaf kijiyega maa ji, pehle main apne chhote bhai se milna chahunga.... meri baat par sabko jhatka laga.. kisi ne abhi mujse uska zikr nahi kiya tha, par ek baat riyasat me aam thi k chhota rajkumar apahij hai.. isliye mujhe wo bata nahi paaye the.. abhi sirf yahan maujud logon ka hi intro hua tha.. mere mohn se chhote rajkumar baare sunkar sab ek dusre ko dekhne lage
maharani:- maaf karna beta hum apne beto ke baare me batana bhul gaye.
main utha aur ja kar maharani ke paas pohncha
arjun;- ek maa ko apne bete se maafi nahi mangni chahiye.. aur fir ye to ek aam si baat hai, abhi hum mile hi kitna hai maa ji.. abhi to main yahi hon, sukun se baaten karte rahenge, aur jo hum ek dusre ko nahi bata sake, wo bata denge..
maharaja:- shukriya arjun beta tumne achhe se maharani sahiba se baat ki hai.. warna to main bhi sharmindgi si mehsus karne laga tha. par abb mujhe koi sharmindgi nahi hai..
arjun:- honi bhi nahi chahiye uncle
maharani:- chalo sab rajkumar dinesh ke kamre me chalte han...... rajkumari kanwal jo abtak shocked thi, wo ekdumm se jaise hosh me aa gai.. wo mujhe ghoor kar dekhne lagi.. uske chehre par kai kisam k bhav the.. herangi bhare, apne bhai ke liye pyaar bhare, mere liye jo abb unka apna ban chuka tha.. isliye bhi ye k jaane main kyun uske bhai se milna chahta hon..
wo apni friends ke sath thi to fir sab milkar rajkumar dinesh k kamre me ja pohnche..
andar do dasiyan jo rajkumar dinesh ki seva k liye thee.. hum kamre me dakhil hue to rajkumari kanwal ne unhe bahar khade rehne ka ishara kar diya.. shayad aksar aisa hi hota ho
ek badi masehri par rajkumar kanwal ka chaheta bhai, rajkumar dinesh leta hua tha...
manorma se baaton baaton se dinesh baare sahi se jaan nahi paya tha, baat koi aur rukh akhtiyar kar gai thi.. abb dekha to mujhe rajkumar dinesh par bohut taras aane laga.. wo fir apahij i nahi tha, sehat ke maamle me bhi wo haddiyon ka dhancha tha.. uski surat dekh kar lagta tha k uski brain working bhi puri nahi hai... bachhon jaise expression the uske chehre par..
main use dekhne laga. rajkumari foran hi aage badh kar apne bhai ke paas ja pohnchi thi.wo bhi rajkumari kanwal ko aate dekh kar usse lipar gaya tha. bilkul ek bachhe ke jaise.. wo rajkumari kanwal k gaal par apna ek hath rakh kar sehlane laga, rajkumari kanwal to ye bhi bhul gai thi k uske saamne ek ajnabi bhi maujud hai.. bhale hi abb mian is pariwar me shamil ho gaya tha.. par tha to abhi rajkumari kanwal k liye ek ajnabi hi.. abhi hamari baten hi itni kahan hui thee.. wo apne bhai se lipat kar use choomne lagi..
rajkumari kanwal ke rang hi badle hue mujhe dikhne lage.. wo rajkumari ke padh se hatt kar sirf ek behen ban chuki thi.. ek aisi behen jo kisi gareeb ke ghar me bhi ho to apne bhai ke sath lipte hue mitti me mitti hone se bhi na katraye.. rajkumar dinesh baaki sab parse dhayan hata kar rajkumari kanwal me khoya hua tha.. aur rajkumari kanwal bhi apne bhai me
fir maine maharaja aur maharani ko dekha to mujhe dono ki ankhon me nami mehsus hui.
main aage badha aur maharani aur maharaja dono ka ek ek hath thaam liya.. dono mujhe dekhne lage.. dono ki ankhon me apne chhote bete k liye pyaar tha, uski apahiji ko leke dard tha..
arjun:- main nahi jaanta k khud ko bhulne se pehle mai kya tha.. parr mere andar se awaz aa rahi hai k mai kuch aisa bhi jaanta hon jo rogiyon ko bhi theek kar sakta.. shayad junglon me main kuch ais dhund sakun jo mere bhai ko hamesha k liye puri tarha se theek karde..
meri baat sunkar dono ne apne dusre khali hathon se mere hath ko thaam liya aur sakhti se pakad liya.... dono meri baat par josh me aa gaye the
rajkumari kanwal bhi meri baat sun gai thi.. unki friends bhi meri or dekhne lagi thi..
sab herat me the meri baat sunkar.. sab josh me aa gaye the meri baat ka matlab jaan kar
rajkumari kanwal bhi wahi nahi bethi rahi, wo apne bhai ko bed par lita kar nange pair hi mere saamne aa gayi.. aur meri ankhon me dekhne lagi.. shayad meri ankhon me dekh kar meri baat ki mazbuti ko jaanch rahi thi..
maharaja aur maharani nahi bole.. rajkumari kanwal bol padi
kanwal:- main nahi jaanti aap mere bhai ko sahi kar paayenge ya nahi.. parr mujhe aapki ankhon me dekh kar ek aas si dikhne lagi.. (dono hath mere aage jod diye) apne bhai k liye maine maa ji, pita ji ne bohut kuch kiya hai.. pure desh me.. bahar se doctors bulwa kar bhi jo bhi ban pada humne kiya, parr kuch bhi nahi ho paaya.. aap koshish karke mere bhai ko theek karden.. saari dunya hamare aage hath jodti hai, ye dekho main aapke aage hath jodti hon mere bhai ko theek kar do..
rajkumari kanwal apni pehnchan tak ko bhul gai thi, wo ek rajkumari thi, sabki dulari thi, jiske ishare par kai gardnen ek sath utar jaayen.. jiske liye pure desh ke rajkumar mar mitne k liye tayyar the.. wo mere saamne apne bhai ke liye hath jod rahi thi...
bohut dard hone laga mujhe.. kaise sehn kar pata main .. mai bhi to ek insan hi tha.. ek pariwar ne mujhe apna maan liya tha, wahi pariwar apne ek bete k liye itna tadap raha tha.. dekha jaaye to sab apne matlab ke liye jeete han.. kisi ko kya fark padta hai, koi jiye ya mare..
rajkumari kanwal ka bada beta thakur mahesh singh aur uske jaise mehlon me rehne wale, future me raja, maharaja banne wale wo to apne raah me aane wale apnu ko bhi kaat dia karte the.. aur yahan parr
yahan par apne family member ke liye sab aise tadap rahe the.. jaise uske bina ji nahi sakte the.. unki khushiyan rajkumar dinesh k bina adhuri theee..
rajkumari kanwal ke jude hue hath dekh kar main maharani aur mahraja ko dekhne laga.. wo bhi abb aansu baha rahe the.. itne bade rutbe wale ho kar bhi wo aansu baha rahe the.. aise log aansu kahan baha karte the.. aise to gardnen kaata karte the.. agar ye sab aise the to iska ek hi matlab tha k inke jaisa shayad aur koi ho hi naa..
maine manorma ko dekha to wo bhi dukhi ho gai thi.. azeem shaktiyon ki maalik thi.. par jabzat se aari nahi thi ..
firse rajkumari kanwal ko dekha to aas bhari nazron se mujhe dekh rahi thi.. fir maine rajkumar dinesh ko dekha . to use dekh kar main shocked ho gaya
rajkumar dinesh rajkumari kanwal ko dekh kar ro raha tha.. rajkumari ka dard wo bhi sehn nahi kar paaya tha.. uski jaan, uski behen dard me thi, to wo kaise na rota fir
main rajkumari kanwal se ya maharja aur maharani se kuch bhi nahi bola aur chalta hua rajkumar dinesh ke paas ja pohnchaa.. apne jute utare aur bed par baith kar rajkumar dinesh ko utha kar apni god me bitha liya..
uska wazan nahi tha.. bohut halka tha wo, agar uska zawaz zayada bhi hota to mere liye koi badi baat nahi thi.. main use fir bhi utha leta
ek hath ki ungli se mai rajkumar dinesh k aansu saaf karne laga...
arjun:- mujhe jaante han aap rajkumar dinesh... main bohut pyaar se aur dheeme lehje me bola
meri god me aa ke wo mujhe tukkar tukkar dekhne laga tha.. wo abhi bhi hichkiyon me ro raha tha.. uske aansu mai saaf kar chuka tha
wo naa me sarr hilane laga
arjun:- mai tumhara bada bhai hon
meri baat par wo firse naa me sarr hilane laga..
arjun:- to fir main aaj se tumhara bada bhai.. banoge na mere bhai
wo haan me sarr hilane laga
main kisi ki or nahi dekh raha tha.. par jaanta tha k kamre me maujud sab bohut heran the.. sab bohut khush bhi the......
arjun:- mere sath bahar ghoomne jaaoge naa
bohut khush hokar wo haan me sarr hilane laga..
arjun:- kal suba main tumhe jungle me le jaaonga.. chaloge na mere sath
wo firse haan me sarr hilane laga..
arjun:- to fir mujhe bhi vaise pyar karo, jaise apni didi ko karte ho.. meri baat par wo rajkumari kanwal ko dekhne laga.. main bhi udhar dekhne laga.. rajkumari kanwal ka chehra khil utha tha.. wo bohut khush thi, main uske ladle bhai ko bohut pyaar de raha tha, aur wo bhi mere sath ghul mil raha tha..
rajkumari kanwal ne use haan me sarr hila kar mujhse pyar karne ki permission de di, to wo foran hi fir mere gaalon ko sehlane laga.. maine uske ek gaal par kiss kiya, aur fir apna ek gaal uske mohn barabar kar dia.. wo bhi samjh gaya aur mere gaal par kiss kardi.
aise hi fir main use liye bed se utra.. jute pehne aur sabke paas ja pohnchaa..
arjun:- chalen rajkumari ji aaj hum bhai ke sath milkar is mehal ko dekhenge... sab dard bhare lamhat se nikal aaye the.. sab bohut khush the.. sab fir kamre se nikal pade
maharaja:- arjun beta tum ghoom aao, hum tumhara intezar karte han..
arjun:- ji uncle ji
fir main rajkumari aur uski friends ke sath mehal dekhne laga.. rajkumar dinesh ko kisi ne shayad apni god me utha kar mehal ki sair nahi karwayi thi.. wo meri god me mehal dekhte hue bohut khush the. baar baar mere chehre par wo hath fer raha tha.. mere gaalon ko wo choom raha tha...
manorma:- arjun tum jaante ho, rajkumar dinesh ki kismat bohut achhi hai.. tumhara yahan aana koi ittefaq nahi tha.. ye sabb hona likha hua tha.. rajkumar dinesh ka theek hona bhi uske naseeb me likha hua tha..
arjun:- haan abb main bohut kuch samjhte laga hon..
rajkumar kanwal aur uski friends ke sath main saara mehal to nahi dekh sakta tha.. mehal kaunsa chhota tha.. adhe ghante baad rajkumari kanwal ki friends ne khud se hi mujhe rajkumari kanwal ke sath akela chhod dia..
fir rajkumari kanwal mujhe liye hue mehal ek park me pohnchi.. kai kisam ke pholon se saja wo park bohut khubsurat tha.. bohut dil ko bhaane wali khushbu aa rahi thee. wahi kuch fasle par rakhe hue ek bench par main aur rajkumari kanwal ja baithe
rajkumari kanwal abb kuch jhijhakne lagi thee. uske bhai k siva koi tha bhi to nahi paas me .. kuch faasle par lagi hui lights ki roshni yahan bhi aa rahi thi.. rajkumari sharmo haya wali ladki thi .. aur main ek mard
sharam to banti hi thi.. rajkumar dinesh ka ek hath mere chehre par to dusra rajkumari kanwal ke hath me tha..
arjun:- rajkumari ji koi baat karen naa
rajkumari kanwal ne mujhe dekha, fir nazren jhuka len.. aisi baaton se rajkumar dinesh anjaan tha.. mujhe manorma bata chuki thi
kanwal:- kya baat karon arjun ji, kuch smajh hi nahi aa raha
arjun:- haan to hai, aap apne bade bhai ke baare me kuch bata rahi thee mehal me unka kamra dikhate samay
kanwal:- haan bhai ko shikar ka aur pehlwani ka bohut shok hai.. talvar bazi, teza bazi, wo bhi aapke jaise hi jayale han.... rajkumari apne bhai ki baat par jhijhak bhul gai thee.. aksar aisa hi hota hai.. jab baat badal di jaaye to ladkiyon ki jhijhak kam ya khatam ho jati hai
arjun:- ye to achhi baat hai.. jab wo aayen to unke sath meri achhi mehfalen jama karengi
kanwal:- haan ye to hai, unhe bhi dost banane ka bohut shok hai.. aksar hi apne doston ke sath shikar par jaate rehte han.. aapse milkar to wo bohut khush honge
arjun:- mujhse milkar wo khush honge
kanwal:- y-yahi k aap bhi unke jaise hi han.. har baat me sabse aage.. race me, ladai me, dusron se relation banane me..
rajkumari kanwal ek baar firse thoda sa jhijhak gai thee..
arjun:- kal main rajkumr dinesh ko apne sath jungle me lajaaonga, wo bhi akele
kanwal:-n-nahi akele kaise, jungle me darindon se khatra ho sakta hai.. aap khud ko aur bhai ko ek sath kaise bachayenge darindo se
arjun:- rajkumari ji mujhe to aapne jaan hi liya hai, jungle darinde mere aage koi ahmiyat nahi rakhte
rajkumari kanwal meri ankhon me dekh rahi thi.... fir wo ek lambi saans chhodte hue boli
kanwal:- main nahi jaanti arjun ji k aapki ankhon me dekh kar mujhe aapki har ek baat par vishwash karne ko dil kyun karta hai.. aisa lagne lagta ha k aapke rehte kabhi kisi ko koi pareshani nahi hogi.. aisa hi yakeen mujhe aapki ankhon me nazar aata hai.. aapke jaisa yakeen aur mazbut iradon wala maine pehle kabhikoi insan nahi dekha..
arjun:- aur maine bhi aapke jaisi koi ladki aaj tak nahi dekhi.......... rajkumari ko jhatka laga meri baat par
kanwal:- kya matlab.?...
arjun:- yahi k aapke jaise sanskaar bhi to kisi me nahi han...... rajkumari ne ruki hui saans bahar chhodi aur mujhe dekh kar aage boli
kanwal:- arjun ji aapke baat karne ka andaz bohut khatarnaak hai.. ekbaar to saamne wala hil hi jaata hai
arjun:- hahaha to fir next time mujhse bach ke hi rahiyega, aise hi aur bhi kai jhatke main aapko deta rahunga
rajkumari kanwal bhi is baar halka sa hass padi.. wo mujhe chamkakti ankhon se dekhne lagi.. bohut sunder thi rajkumari kanwal.. bohut nekdil aur milansar thi rajkmari kanwal, bure vicharon se bachi hui ladki thi.. dunya sari hi dekh rahi thi, sab samjhti bhi thi. kisi ki bhi ankhon me dekh kar use jaan bhi leti thi.. kaun kaisa hai... ladkiyon me ek yahi baat hi to khasa hoti hai..
arjun:- chalen andar hamara intezar ho raha hoga.. rajkumar dinesh bhi so chuke han khana khaye bina hi........... main uthte hue bola
kanwal ne apne bhai ke gaal ko sehlaya
kanwal:- bhai ke khane ki timing alag hai arjun ji
arjun:- ye bhi sahi hai.. abb chalen........... kanwal ne sarr hila dia.. fir dono baaten karte hue mehal ke andar jaane lage..... jaisi fitrat ki malik thi rajkumari kanwal baaten bhi maine usse usi k hisab se ki thee.. na wo sasti thi aur na hi main.
rajkumar dinesh ke kamre me pehle pohnche aur rajkumar dinesh ko bed par lita diya...
fir dono sath chalte hue maharaja aur maharani ke paas ja pohnche.. dono ek kamre me maujud the.. kamra bedroom nahi tha
sitting room tha.. use libarary bhi keh sakte han.. mehal ke andar ek aur badi library bhi thi.. par ye andar wali specail thi, jise wo khud istemal me laate the..
wahi baithe hue dono baaton me lage hue the..
hum andar pohnche to dono khade ho gaye.. fir sab milkar ek dusre ke aamne saamne baith gaye...
rajkumari kanwal mere left side me 1 foot ke faasle par baithi thi.. is bar rajkumari kanwal pure aitmad se baithi thi.. uski jhijhak abb jati rahi thi
maharani:- arjun beta aap apne chhote bhai ko kaise theek karenge..
mahraja:- haan arjun beta ye to humne poocha hi nahi tumse.....
maharani mujhe aap aur maharaja mujhe tumse bula rahe the.. dono ke andaz e takhatab alag alag tha, par dono ke pyar me koi fark nahi tha..
arjun:- ye to nahi pata.. main ek baat aapko batata hon.. hua kuch youn k yaaddasht ke gumm ho jaane k baad jab main jungle ke raaste se guzar raha tha k ek sher se meri mud bhed ho gai thi.. maine ek dande se uski ek tang ko khasa zakhmi kar dia tha... fir sherni aur uske bachhe bhi wahi pohnch gaye to sher ko maarne ki bajaye main fir uski treatment karne laga..
wahi jungle me maujud jadibutioyn ko dekh kar mujhe lagne laga k main jaise jungle me paayi jaane wali sabhi jadi butiyon ka gyan rakhta hon.. bas fir kya tha, unhi jadibutiyon ki madad se maine maine fir sher ka ilaj kiya, kuch minton me hi use bohut araam mil gaya tha.. rajkumar dinesh ko dekh kar mere andar se aisi awaz aane lagi k jaise main use bhi theek kar sakta hon, hamare desh k junglon me bohut kuch aisa hai, jiski madad k har ek rogi ko bhi theek kiya ja sakta hai..
meri baat sunkar to sab ke mohn hi reh gaye the..
maharaja hi bole pehle
maharaja:- arjun beta tum sher se lade, fir tumne uska ilaj bhi kiya..
maharani:- kitni hairat ki baat hai
kanwal:- haan maa baat to badi hairan wali batayi hai arjun ji ne.. parr unki ek ek baat me sachhayi hai
maharani:- haan wo to main samjh hi rahi hon
maharaja:- aur main bhi sab samjh raha hon kanwal beti.. par mujhe hairat is baat par hai, insano ke baad darindo ke bhi dil jeetne ki salahiyat rakhta hai arjun beta..
arjun:- haan shayad main bhi koi junglee insan hi hon.. jo aisa sab kar gaya hon
maharani:- nahi arjun beta aap junglee insan to nahi lagte kahi se bhi..
kanwal:- maa arjun ji kuch to aise han jo wo khud ya hum nahi jaante..
maharaja:- bhagwan ke rang han sab, tum khud ko bhul chuke ho arjun beta, zarur iski bhi koi waja hogi.. bhagwan jaane apne bandon ko kaise kaise halat dikhata hai.. aksar aisa hota hai, k insan khud ko yaad rakhte hue wo kaam nahi kar pata, jo wo khud ko bhul kar jata hai
manroma:- dekha main bhi to yahi kehti hon na arjun
arjun:- to abb kal hi rajkumar dinesh ko theek karte han
manorma:- nahi arjun ek baar se nahi kar sakte.. aise to charon aur hungama mach jaayega.. koi bhi rogi ek hi baar me theek ho jaaye to fir baat badal jaati hai.. hamare desh me bohut se aise log bhi han, jo kaali shaktiyon ko badhane me lage hue han, unke kaanon me baat pohnchegi to halat bhi fir khatarnak rukh akhtiyar karne lagenge.. fir hogi charon aur khuni ki holi.. bohut se begunah bhi maare jaayenge
arjun:- chalo is par bad me bat karte han..
arjun:- maa ji kal main rajkumar dinesh ko apne sath jungle me le jaaonga, fir wahi sab smajhne ki koshish karunga..
************************************************************************************
mehal ke usi kamre me main masehri par leta hua tha.. jispar shaam time me leta hua tha.
raat ke 11 baje ka time tha.. aur main chhat ko tak raha tha..
ajeeb si halat ho gai thi.. kabhi to main manorma me kho jaata tha, to kabhi rajkumari kanwal ki yaadon me... pehle main aisa nahi tha...
abb mere andar bohut se badlaao aate jaa rahe the.. mere andar ke rang bhi badalne lage the. aisi life shayad main pehle kabhi nahi ji paya tha.. abb ladkiyon ke baare me hi aksar mere mann me kuch na kuch chalta rehta tha..
rajkumri kanwal k sath bitata samay mujhe yaad aa raha tha.. rajkumari kanwal ke badan ki khushbu main yaho bed par leta hua bhi mehsus kar paa raha tha.. tabiat bhi meri romantic si hoti ja rahi thi.. rajkumari park me mere sath akeli thi to bohut mann ho raha tha mera usse dunya bhar ki baaten karne k liye.. routine se hat kar baaten karne k liye.. words ko limit me rakhte hue rajkumari kanwal se romantic baten karne ko mann hone laga tha.. masti karne ka bhi mann hone laga tha..
main jo shayad talvaron se khelne wala insan tha.. darindon se khelne wala insan tha.. wo andar se badalne laga tha... pyaar kya hota hai shayad main sahi se nahi jaanta tha.. par mere andar ke rang mujhe bohut kuch khudse hi sikha rahe the
romantic life itni mujhe bhaane lagi thi. k jo dil ko achha lage uske sath masti karte hue, romance karte hue samay bitaya jaaye..
sex ki agar baat ki jaaye to mera mann shakuntla jaisiyon ko chodne ka bhi karne laga tha.. lund ko chut me ghusne ki adat pad gai thi.. lund chut ke sawad ko chakh chuka tha.. jism me surur ki lehren si daudne lagti thee.. jab bhi basanti ke sath, shakuntla ke sath bitaya samay yaad aata tha.. lund me bhi tanao sa aa jata tha.. manorma meri aisi halat par bohut hansa karti thi.
kameeni kahi ki.. mujhe sare rango me utarne par majbur kar dia tha usne.. abb mujhpar wo hassti thi...
jo bhi tha, jo kuch bhi mere sath ho raha tha, wo sab karte hue main apni life ko enjoy bohut kar raha tha.. manorma mere saamne hoti, mere pohnch me wo hoti to itna usko choomta, itna choomta k saari hasraten hi khatam ho jaati
shayad aisa nahi tha, hasraten ek baar janam le len to fir kabhi kabhi nahi hua karti
arjun:- manorma tum kya keh rahi thi k kali shaktiyon wale hamare peeche lag sakte han
manorma jo mujhe dekh kabhi hass rahi thi, kabhi muskura rahi thi.. kabhi mere seene par alti palti maar kar baith jaati to kabhi apne nange nanhe chucho ki jhalak dikhate hue mere seene par late jaati .. wo ekdumm se serious ho gai
manorma:- haan arjun maine sahi kaha, dunya matlab parasto se bhari padi hai. hamare desh me bohut se log shakiyon ko badhane k chalte aise aise kaam kar rahe han k dekhne se hi ghin aane lage..
arjun:- to tum aison ko khatam nahi kar sakti kyaa
manorma:- har kaam asaan nahi hota, is dunya me ser par sava ser bhi han.. mere paas bhi bohut si shaktiyan han.. par kali shaktiyon wale bhi kamm nahi hote.. aur fir kisi ke sath bila waja main bhid bhi nahi sakti.. jab bhagwan ne sab ko chhoot di hui hai to mai kyun unki raah me aane lagi.. koi agar hamari raah me aayega to fir usse mukabla karna banta hai.. khud se kisi se takrana danishmandi nahi hai.. rajkumar dinesh theek nahi ho sakta, ye baat bohut se kaali shaktiyon wale bhi jaante honge, main agar rajkumar dinesh ko theek karungi to wo sab mere peeche pad jaayenge..
arjun:- to fir kya karna padega humen..
manorma:- jadibutiyon se hi karungi theek ek baar suba rajkumar dinesh ko sath le jayenge.. usse sab ko yakeen bhi ho jaayege.. koi agar kahi se chhup kar dekhega bhi to jaan nahi paayega..
arjun:- aur saari jadibutiyan isi jungle se mil jaayengi kya.?
manorma:- nahi saari yahan ke junglon se nahi milengi.. kuch to mujhe africa se laani padengi.. usse yahan ki se milne wali jadibutiyon me mix kardenge to kisi ko pata bhi nahi chalega.. thoda sa main apni shaktiyon ka bhi istemal kar lungi.. is tarah se sab kaam theek ho jaayega..
arjun:- kitne din lagenge rajkumar dinesh ko theek hone me.. hone ko to main use abhi bhi theek kar sakti hon.. par aisa karna sahi nahi rahega... 1 mahine ka period theek rahega.. dheere dheere wo behtar hoga to baat phelne shuru ho jaayegi.. a mahine lagega theek hone me to kisi ko kuch gadbabadi bhi mehsus nahi hogi...........
************************************************************************************
agle din 5 baje shaam ko main rajkumar dinesh ko jungle se le kar wapis se mehal me pohnch chuka tha.. wahi hua tha jiska manroma ne zikr kiya tha..
mehal me baat aam kardi gai thi.. baat me kisi ko koi shak na rahe.. kuch log jungle me chhupte chhupate hamare peeche ja pohnche the.. kisi ko yakeen nahi aaya tha k rajkumar theek bhi ho sakta ha.. zarur daal me kuch kaala hai, shak karnen wale aisa soch rahe the... usi riyasat me rehne wale desi ilaj karne wale bhi jaante the k rajkumar dinesh theek nahi ho paayega.. isi baat ke chalte wo mujhe check karne jungle pohnche hue the.
par kisi ko koi andaza nahi ho saka tha.. jo kuch main jaanta tha, ya manorma jaanti thi, wo nahi jaan sakte the.. hum ne kai aisi jadibutiyan aisi bhi apne sath le li thee.. jinhe aksar ved bekar samjhte the.. unme kuch kaam ki thee to kuch bekar kisam ki.. koi smajh na paaye isliye bohut kuch ulat pulat kar dia tha humne..
faltu kisam ki jadi butiyon ko humne phenk diya tha..
mehal me pohnche to sabne hamara sawagat kiya... dinesh ko uske kamre me pohncha kar wahi fir main uske liye laayi hui jadi butiyon se dawa tayyar karne laga.. sabko maine karme se nikal dia tha.. ek kaale rang ka chamakta hua patthar manorma africa ki bhaynarkar guffao le aayi thi, asal kaam uska tha... wo patthar paani me garam karne se pighal jata tha.. fir wo ek oil sa ban jata tha.. paani bhaap bankar ud jata aur oil bacha reh jata
aur bhi bohut kuch urlam purlam tha mere paas... maalish 24 ghante me 6 baar karni thi.. tab tak main yahi rehne wala tha.
rajkumar dinesh ko mujhse bhi mohabbat ho gai thi.. jungle me jaa ke wo bohut khush hua tha.. abb bhi wo mujhe dekh kar bohut khush tha....
main laga raha apne kaam me... khane bhi maine kamre me hi mangwa liya tha.. agle din rat ko sham k bad fir main kamre se bahar niklaa..
maalish wala kaam pura ho chuka tha... malish ka result dheere dheere saamne aata.. par rajkumar jismani taur par bohut fitt ho jaata.. khaane k liye bhi jadi butiyan main use khilata raha tha. wo meri ankhon me dekhte hue bura sa mohn bana kar khaa leta tha. ye achhi baat thi.. jo wo meri bat maan leta tha.. warna wo jadi butiyan khana asaan kaam nahi tha........ jungle ghoomne ka lalach de kar main use sab khilata raha tha..
shaam ke baad jab main kamer se nikla to kuch der baad firse sabke sath kamre me dakhil ho gaya.. rajkumar ki surat hi badal gai thi.. uske chehre ki chamak badh gai thi..
kanwal bhag kar apne bhai k pass pohnchi aur use apne gale se laga liya.. maharaja aur maharani bhi rajkumar dinesh ke paas ja pohnche.. unhe bhi bohut kuch mehsus hone laga tha rajkumar dinesh me..
maharaja aur maharani dinesh ko dekh kar meri aur badhe aur fir mujhe dono ne ek sath apne seene se laga liya... dono mera chehra choomne lage the.. dono bohut dikh rahe the.
rajkumari kanwal bhi wahi baithi mujhe mashkoor nazron se dekhne lagi.. uski aas aur bhi abb badh chuki thi
mujhe wapis jaana chahiye tha, par main jaanta k wo mujhe jaane nahi denge, isliye maine bhi jaane ka mann badal liya tha..
sab bohut khush the.. maharaja, maharani aur rajkumari kanwal mujhse aur bhi kareeb ho gaye the..
rat dinner ke baad firse gapshap hui.. rajkumari se wahi park me baith kar aur bhi kuch baaten hui.. dil me kuch aur bhi kuch kucu hone laga tha..
apne kamre me bed par leta hua main rajkumari kanwal baare soch raha tha.. manomra mujhe chhed rahi thi.. manorma mere seene par leti hui mujhe chhed rahi thi
fir ekdumm se hi manorma uth khadi hui aur hawaon me ghoorne lagi..
main manorma ko badle andaz ko dekh kar heran reh gaya.. mai bhi puri tarha se active ho gaya..
arjun:- kyaa baat hai manroma tum aise react kyun kar rahi ho.. kahi kuch gadbad to nahi hai naa.. george, dheeraj aur dusre sab theek han naa
manorma:- baat wo nahi nahi hai arjun... baat kuch aur hai.. jo bhi hai tumhe wahi pohnch kar sab batati hon.
arjun:- kahan jane ki bat kar rahi ho manorma
manorma:- baaten matt karo arjun, utho aur apni talvar aur khajar sath le lo..
manorma ka andaz kuch hatt ke tha, main foran hi utha aur fir der nahi lagi main puri tarha se tayyar tha.. manorma ne mera hath pakad aur mujhe lekar ghayab ho gai..
ghayab hone se pehle meri ankhen band karwa di thee manorma ne.. dusre hi pal manorma k kehne par maine ankhen kholen to jahan main khada tha, wahan ka manzar dekhte hi main heran reh gaya..
manorma mujhe yahan kyun le aayi thi main nahi jaanta tha.. main ek behri jahaz par tha.
jis jaga main khada tha, wahan andhera tha.. maine idhar udhar dekhne laga.. behri jahaz dekhne se main 100 gazz se bhi badhkar tha.. kuch faasle par mujhe kuch log dikh rahe the... unke hathon me talvaren aur bandoqen thee..
arjun:- manorma tum mujhe yahan kyun laayi ho, aur ye log kaun han..
manorma:- arjun ye jahaz samaglron ka hai, is jahaz me 500 ke kareeb ladkiyan maujud han, jihne mukhtlif desho se aghwa kiya gaya hai.. tumhare desh ki bhi bohut si ladkiyan is jahaz par maujud han, tumhe sab ko bachana hai.. ek ladki bhi chhupti chhupati is jahaz par sawar hai.. wo apni behen ko bachane k liye aayi hai, aur tumhe uski madad karte hue use,uski behen ko aur sabko bachana hai..
arjun:- kaun hai wo ladki..
manorma se maine poochha to manorma ke jawab se mujhe laga k wo mujhe us ladki ke baare me bhi jhut hi bol rahi hai.. jaane kaun thi wo ladki.. aur manorma kyun uske baare me mujhe sahi se nahi bata rahi thi.. manorma ke adhe kaam sahi aur adhe galat hua karte the..
abb mai kya kar sakta tha.. manorma ki maante hue us ladki ko, us ladki ki behen ko aur baaki sabb ko bachana tha.. yahan maujud jitne bhi badmash the.. sabko maar girana tha.
thanks bhaiNice mast update
thanks bhaiNice behtarin mast awesome update bro
shukriya HIran jiSuperb update bro![]()
Nice update bhaiUpdate....No:18