Main Santosh ke Ghar par to shant thi lekin ab main upar se to shant thi lekin andar se mujhe rona our bahut jyada gussa aa raha tha.
KD gadi drive karne ke sath sath mujhe bhi dekh rahe the. Shayad vo meri halat samajh rahe the. KD mujhse kuchh kahna chahte the lekin kuchh sonch kar baar baar chup ho jaate the. Didi peeche baithin ro rahin theen. Jiski bajah se main irritate hone lagi thi. Ya ye gussa tha Jo didi ke upar tha itne din se. Vo mujhse badi theen isliye Maine apne gusse ko daba ke rakha hua tha Jo ab bahar nikalne ki koshish kar raha tha. Our didi ka rona mere gusse ko our bhadka raha tha.
Main- (didi se) Can you please stop this nonsense??? (KD se) Our aap thoda speed badhaye please.
KD- It's allready on 100KMph. We will reach in few seconds. Don't worry.
Didi meri awaaz sun ke Chup to ho gayin lekin rona nahin band kiya tha.
Arti Didi- Sorry babu. Tum Jo chaho saza de sakti ho. Main achchhi bahan nahin hoon.
Main- Aap sorry kyun bol rahin hain. Main sorry hoon. Saari galti to meri hi thi na. Our Main aapko saza kaise de sakti hoon. (Fir ruk kar) Aap ko pata hai aap meri ideal thi. Aap jo mujhse boltin ya batati main usko hi sach manti kabhi bhi aapki baat par doubt nahin kiya. Aap ne kaise Maan liya ki main aapke sath ye sab karvaungi. Aapko bahar valon ki baat par yakeen ho gaya. Par aapne ek baar bhi mujhse confirm karne ki koshish hi nahi ki. Ek baar to puchhti aap mujhse.
KD- Zeba we are on destination. Main Door lock hai.
Main- Just break it. And CALL THE POLICE.
KD- All right.
KD police ko phone karte hain uske baad KD ne gadi ko halka sa reverse kar ke full speed se gate ko hit kiya. Gadi main gate ko todti hui andar pahunch gayi. Ye ek farmhouse type ka Ghar tha. Iske aas paas our koi Ghar nahin tha jiski bajah se jab hamne gate ko hitt kiya to bahut tez awaaz hui. Jab tak ham bahar nikalte tab tak Alam sir ke maa baap bahar aa gaye.
Alam's Father- Ye kya badtameezi hai gate hi tod diya.
KD- Sorry sir break fail ho gaya tha is bajah se.
A's Father- OK but bachchon is time aap yahan kya kar rahe hain.
Main- Vo kya hai na uncle didi ko Alam ji ki yaad aa rahi thi. Unka Dil ghabra raha tha isliye ham aa gaye.
A's Mom- par bete aap abhi theek nahin hain. Aap bhi aa gayin. (Didi se) Our bete aap kyun ro rahin hain.
Main- Kuchh nahin aunty didi ne koi bura sapna dekh liya tha isliye vo dar gayin our tab se ro rahin hain.
A's Father- Andar chal kar baat karte hain.
Ham sab andar aa gaye.
Didi- Alam ji nahin dikh rahe hain. Kahan hain vo.
A's Father- Vo kya hai na beta ek to accident hua dusra uski beemari fir se ukhad gayi hai to rest kar raha hai vo.
Main- Kaisi beemari. Sir ne kabhi bataya nahi uske baare me.
A's Mom- (Has ke) Vo aisa hi hai. Pareshan nahin karna chahta kisi ko.
Main- Problem kya hai. Vo nahi batai aapne.
A's Mom- Uske munh se our naak se blood aane lagta hai kabhi kabhi.
Main ye sun ke chownk gayi ki Aisa bhi koi poison aata hai jo ek saal tak jinda rahta hai insaan. Our usko blood bhi aata hai.
Main KD ko confirm karne ke liye unko dekhne lagi.
KD- (Haan me sir hila ke) It's true. Aisa hota hai.
Main- Uska antidote.
A's Father- Antidote.... Kya kaha bete.
KD- bleeding ke liye medicine puchh rahi hai ye.
A's Father- (Has ke) Ohhh.
Main-Aap kya samjhe.
A's Father- Ham kya samjhenge. Kuchh nahi.
Main- Ohhh. Hame laga aap ko kuchh pata hai is baare me. Khair usko chhodiye. Kya ham mil sakte hain Alam sir se.
A's Mom- Vo aaram kar raha hai. Aap log kal mil lena aa kar. Theek hai na bete.
Main- Hamen koi dikkat nahin hai aunty but didi ko dekhiye kaise ro rahin hain. Please milva dijiye na.
A's Father- Aye ladki tujhe samajh nahin aa raha hai. Alam araam kar raha hai. usko problem hogi.
Main- KD go-ahead.
Maine jaise hi ishara kiya to KD ne Alam ji father ke ek full power slap yani jordar chanta maar diya.
A's Father- Ye kya badtameezi hai. Abhi police ko bulata hun.
Main- Jaa, Jaa, kar phone our ye bhi batana ki tune Alam ji ko slow poison diya tha jisse uski Jaan khatre me aa gayi hai.
Alam ji ke Mom Dad ye sun ke chounk gaye.
A's Mom- Tum ko kaise pata.
A's Father- Kya sabut hai tumhare paas ki hamne Alam ko poison diya hai.
KD- Inko saboot se milva dete hain.
Main- good idea.
Ye bol KD, Santosh ko lene chale gaye. Didi ne meri Wheelchair ko sambhal liya tha. Meri stick sword mere hath me thi jise main apne hathon se ghuma rahi thi. Alam ji ke mom dad ye sonch ke ghabra rahe the ki aisa kya saboot hai jisse milvaya jayega.
Main in kadiyon ko milane ki koshish kar rahi thi ki Alam ji ke Mom Dad unko kyun marna chahte the. Dimagh me kayi baaten aa rahi thi jaise ye ho sakta hai ki
1- ye donon Alam ji ke Mom Dad hi na hon. Our ye Alam ji property par kabza karna chahte hai. Lekin fir ye sonch kar isko cancel kar deti ki agar aisa hota to shayad vo ham logon ko bata dete.
2- in donon ka koi raaz Alam ji ko pata ho our ye is dar se ki agar vo raaz bahar aa gaya to in dono ki zindagi tabaah ho jayegi. Isliye ye unhen raste se hatana chahte the. Lekin fir ye sochti ki koi bhi maa baap apne bachchon ko nuksaan kyun denge.
Abhi main ye sab soch hi rahi thi ki KD, Santosh ko le kar aa gaye. Santosh ko dekh kar Alam ji ke mom dad ghabra gaye lekin apna dar chhupa ki koshish karni nahin chhodi.
Alam's Father- Ye koun hai?
Main- Aap ise nahin jaante. Pakka na.
Alam's Father- Yes.
Main- Ek baar fir sonch lijiye.
Alam's Father- Haan
Main- Fir aapne iski jamanat kyun karvayi thi.
Alam's Father- Main isko janta nahi to main kyun iski jamanat karvaunga.
KD- Bata bhai kyun isne teri jamanat karvayi thi.
Santosh- inhone meri jamanat isliye karvayi thi kyunki main inke liye kaam karta tha. Inhone kayi baar apne bete par hamle karvaye par uski Kismat bahut achchhi thi. Jab jab use marne ki koshish karta use har baar koi na koi bacha leta.
Alam's Father- Kya saboot hai ki Maine tumse apne bete ko Marne ke liye kaha. Sab tum logon par shak karenge. Ham to uske Maa-Baap hain. Koi bhi ham par shak nahin karega.
Santosh- Saboot hai mere paas. Main jab bhi kisi ki supari leta hoon to us deal ki video recording kar leta hoon.
Main- our kisi ko pata bhi nahi chalta.
Santosh- Nahin. Kyunki shirt ke batan par camera lagata hoon main.
Alam's Father- Haan ham use marna chahte hain. Main is saari zayadad ko apne bete, apne sage bete ke naam karvana chahte the.
KD- Saga beta. Fir too Alam sir ka kya lagta hai.
Alam's Father- Kuchh bhi nahin. Vo mere dost ka beta tha. Uske baap ke paas dher sara Paisa tha. Hamne uske Maa-Baap ko raste se hata diya. Ham use nahin maar sakte the kyunki Sab kuchh uske naam tha our agar ham use maarte to ye sab kuchh Trust me chala jata. Ham use Baaligh hone Tak nahin maar sakte the.
Main- our jaise hi vo baaligh hue tumne unhen maarne ki koshish shuru kar di. But your bad luck, jab jab tumne use marne ki koshish ki tab tab ham me se koi na koi unke sath the our vo har baar safe bach jaate.
Alam's Father- Haan isliye ham use poison dene lage. Jo slowly work karta hai lekin accurate work karta hai.
Main- Our vo zahar dete kaise the.
Alam's Father- Doodh me mila ke.
Alam- Our aapko kya lagta tha ki main vo doodh peeta tha.
Alam sir ki awaaz sun ke ham sab chownk gaye.
Arti didi turant Alam sir paas bhag kar gayin.
Arti Didi- Aap theek hain. Aapko ye log poison dete the. Aapko kuchh hoga to nahin.
Alam- Shhhhh. Calm Down. Calm Down. Mujhe kuchh nahi hoga.
Main- Apko poison ke baare mein pata tha.
Alam- Haan. Jab Mere munh se bleeding hui. Tab mujhe laga ki mujhe cancer ya fir Tuberculosis ho gaya hai. Jisko confirm karne ke liye maine apni investigation karvayin. Jisse mujhe pata chala koi foreign body mere ander gayi hai jiske kaaran ye sab ho raha hai like poison. Fir maine our bhi deep investigation karvayin tab mujhe pata chala ki THALLIUM name ka poison mujhe diya gaya hai.
Bahar main sirf tum logon ke sath hota hoon. Our tum log to vaise bhi Hostel mess ka khana khate ho. To tum log to ho nahin sakte the.
Maine socha fir koun ho sakta hai. To samjh aaya meri family hi meri dushman hai. Lekin ab problem ye thi ki pata kaise chale ki ye log zahar de kisme rahe hain. Khana ye log ek sath khate hain to khane me to milayenge nahin kyunki agar khane me zahar milate to inko bhi kuchh na kuchh effect zarur padta. Bacha doodh jo ammi Roz raat me detin theen peene ke liye. Maine us doodh ki testing karvayi tab pata chala ki zahar doodh me hi milaya jata hai.
Main- Jab aapko pata tha zahar ke baare me tab aapne complaint kyun nahin ki.
Alam- Main soch raha tha ki ye log badal jayenge isliye nahi complaint ki. Main to yahi sochta tha Koun Maa-Baap apne bachchon ko marna chahta hai. Mujhe nahin pata tha ki ye mere Maa-Baap nahin hain.
Main- Kya matlab, aapko pata hi nahin tha ki ye aapke Maa-Baap hain. Aisa kaise ho sakta hai.(Alam's Father se) Inko kaise pata nahi. Kuchh kiya tha kya.
Alam's Father- 1 saal ka tha us time ye.
Main- Tere bete ko pata tha is baare mein.
Alam's Father- Haan janta hai vo.
"TAB TO VO BHI ARREST KIYA JAYEGA."
Ye awaaz sun ke ham logon ne pichhe mud ke dekh to paya ye police officer the.
Alam's Father- Police.
KD- Yes Police. Ye bahot pahle hi aa chuke the. Jab main Santosh ko lene gaya tha tab hi aa gaye the.
Main- Bahot sahi time par aaye hain aap log.
Police- Ham to time par hi pahuchne ki koshish karte hain. Par kabhi kabhi ham late ho jaate hain. (Apne officer's se) Arrest karo in teeno ko. Inke bete ka bhi address lo our usko uthao.
Alam's Father- Beta Alam tum hame maaf kar do. Hame is baar jail Jane se bacha lo. Hamne tumhen bachpan se paal poss ke itna bada kar diya uska kuchh khayaal rakho.
Alam- Main maanta hoon aapne mujhe paal poss ke itna bada kar diya lekin usme bhi aap ka fayada tha. Our main aap logon ko bacha loon kis keemat par. Agar aap sirf mujhe nuksan pahunchana chahate to main kuchh nahin kahta lekin aapne mere Ammi-Abbu ko maar diya kisliye. Sirf is property ke liye. Main aapko kabhi maaf nahin kar sakta. (Officers se) Le jaiye inhen yahan se. Ab main inhen yahan our bardasht nahi kar sakta.
Police officer un teeno ko le gaye. Alam sir rone lagte hain. KD unke paas jaane ko hue to Maine unhen rok liya. Didi bhi unke paas Jana chahti thi lekin shayad mere sath kiye gayi unki harkaton ki bajah se vo kuchh kar nahi pa rahi thi ya baat kuchh our thi pata nahi. Lekin main bhi unki hi bahan thi to Maine KD ko ishara kiya unhen bhejne ke liye. KD ko isliye kyunki main abhi unse baat nahi karna chahti thi. Kyunki main unse abhi gussa thi. Sirf gussa, nafrat to main unse kar hi nahi sakti thi. Chahen vo mujhe kitna bhi torture kare ya fir humiliate karen par main unse nafrat nahin kar sakti thi.
KD ka ishara paate hi Didi Alam sir ke paas pahunch gayin. Ye dekh kar main muskurayi our KD ko le ghar se bahar nikal gayi. KD un dono ko console karna chahte the lekin vo meri condition bhi jaante the. Main jyada der wheel chair par baithi nahin rah sakti thi isliye unhone mujhe gadi me lita diya. KD mujhe chhod kar andar jaane lage to maine unka haath pakad liya.
KD- What happened. Are you all right.
Main- KD poori body me chitiyan kaat rahi hain. Itni der pata nahi maine kaise control kiya. Body ab resist nahin kar pa rahi hai. Meri koi galti na hone par bhi maine saza pai hai. bina kuchh kiye ya bina kuchh soche hi main sex ke liye pagal rahne lagi hoon. KD kuchh kariye Please.
KD mujhe release karva kar shant karte hain.
Wahin andar dono ek dusre ke gale lage hue the.
Alam- Calm down. Calm down. Kuchh nahin hua mujhe. Jab tak tum log sath ho mere mujhe kuchh bhi nahin hone bala. Lekin tumne galti kari Anam par vishwas na kar ke.
Arti Didi- maine usse bhi badi ek galti kar di hai.
Alam- Kya.
Arti Didi- Uska jab se operation hua hai tab se main use daily ek sex injection de rahi thi. Lekin jab aap logon ka accident hua tab sab usko pata lag gaya.
Alam- Wo samajhdar ladki hai. Usne tumhen maaf kar diya hoga.
Arti Didi- puri baat to suniye. Jab aap logon ka accident hua to reports me ye samne aa gaya tha. Lekin main gusse me thi to tab se maine use our bhi jyada humiliate our torture kiya hai.
Alam- Matlab. Kya kiya uske saath.
Arti Didi- Usko maine kaha ki agar maafi chahiye to meri slave ban jaye. Our maine har 4 hour ke baad usko ek sex injection diya hai. Bina kisi galti ke usne ye sab karne diye. Sirf meri nafrat ko khatm karne ke liye. Uski bina kisi galti ke maine uske sath vo sab kiya.
Alam- Jaan ye galti nahin gunah Kiya hai tumne. Maine tumko pahle bhi kaha tha. Jahan tak main use samajh paya hoon vo aisa nahin kar sakti. lekin tumne meri ek na suni our ye sab kar diya.