• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Mission :- Shudarshanchakra

odin chacha

Banned
1,415
3,461
143
Waiting for your next update
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,003
173
INTODUCTION

Raghuveer Singh – Apne time ke kafi bade businesssman the. Inke khandaan raja maharaja ke khandaan se hai. Desh ke aazad hone ke baad inka raja kahlane ka haq to chala gya lekin inka jaydad ka 1 percent hissa bhi government ke haq me nhi gaya. Sab inhi ka hai. ye ab is duniya me nhi hai.

Gayatri Singh – Ye Raghuveer Singh ki biwi thi. Ab is duniya me nhi hai.

Prashant Singh – Ye Raghuveer Singh ka bda beta hai. Ye ek bahut hi khuddar kism ke wyakti hai lekin inke sar pe apne dam pe kuchh kar dikhane ka junun sawar ho rakha hai. Jab ye Mcom kr rhe the tab Raghuveer ko ek ladki se pyaar ho gya aur kanhi uske pita mna na kar de is dar se usne us ladki se bhaag ke shaadi kar li.

Karishma Singh – Ye Prashant Singh ki pahli biwi hai. Ye Prashant Singh se bahut pyaar karti thi lekin usse bhi jyada pyaar ye apne bete se karti thi. Waise to ye apni pati se bahut pyaar karti thi lekin iske bawjood inhone apne bare me kabhi bhi apne pati ko bahut kuchh nhi bataya tha. Hero ko janm ke samay hi inki maut ho gyi thi.

Rajini Singh – Ye Prashant Singh ki dusri biwi hai. Ye pahle Prashant Singh ki secretary hua karti thi lekin jab Karishma bimar rahne lagi tab isne Prashant Singh ke dil pe asani se raaj kar liya. Waise ye dil ki buri nhi hai inhe Prashant ko sambhalna bakhubi aata tha lekin pahle ye daksh ko bilkul bhi pasand nhi karti thi jiski wajah se isne kafi sari galtiya ki hai.

Darko/Daksh Singh – Ye Prashant Singh aur Karishma Singh ka beta hai. Iska janm Prashant aur Karishma ke shaadi ke 10 saal baad hua tha. Karishma ne iska naam Darko raakha tha. Reason to usne kabhi kisi ko bhi nhi bataya. Daksh thoda kamjor tha, green aakhen lekin gusse me uski aankhe lal rang ki ho jaya karti thi, aur ek handsome face ka malik hai. Lekin ise jo baat khas kar jyadatar logo se alag karti hai wo hai iska nature. Ye jab 8 saal ka tha tab apne pariwaar se dur ho gya tha.

DK – ye hamari kahani ka hero hai. Iske bare me koi kuchh jyada nhi janta. Sabke mutabik ye ek anath hai aur bachpan se army ke sath hi rha hai, aisa iski file me darj hai. Lekin ye asal me CHAKRA ka sabse khatarnak agent hai. Ab ye CHAKRA kya hai wo baad me aayega.

Rohit Singh – Ye Prashant aur Rajini ka beta ka hai. Ye dil ka achha hai. Waise to ye jyadatar time apni maa ke sath hi rahta hai lekin uske bawajud isme apni maa ke ek bhi gun nhi hai. Dikhne me thik-thak hi hai. Ye DK se 3 saal bda hai.

Pihu Singh – Ye Prashant aur Rajini ki beti hai. Ye bhi dil ki bahut achhi hai bas apne kaam se matlab rakhna jyada pasand karti hai. Ye DK se 1 saal badi hai.

Sanjiv Singh – Ye Raghuveer Singh ka dusra beta hai. Ye ek biomechanical aur technical scientist the. Ye kis sanstha ke liye kaam karte the ye to koi nhi janta lekin sobko inhone itna hi bta rakha tha ki ye Indian government ke liye kaam karte hai. Ek baar ye kanhi expedition ke liye gaye the lekin inka ship achanak se gayab ho gya aur inka kabhi kuchh pta nhi chala.

Sanjana Singh – Ye Sanjiv Singh ki wife hai. Ye quantum computing, Mechanical, Modern Artillary aur Biogenetics se phd kar rakhi hai. Ye bhi apne pati ke sath hi kaam karti thi aur unki senior thi. Inhone Sanjiv se college me entry lete hi shaadi kar li thi kyuki ek to ye ek dusre se bachpan se pyaar karte the dusra Sanjana ke papa jo ki Raghuveer ke bahut khas dost the unki ye aakhiri ichchha bhi thi. Kuchh saal pahle jab ye aur Sanjiv ek project ki wajah se kanhi research pe gaye the to unka pura crew ship ke sath hi kanhi gayab ho gya tha.

Mohit Singh – Ye Sanjiv aur Sanjana ka beta hai. Ye Daksh se 4 saal bda hi hai. Ye hamesha se apne Dadaji ke sath hi rahta aaya hai. Iska nature bahut hi achha hai lekin jab ise gussa aata hai to ye kisi ki bhi nhi suntan. Lekin iska dimag bahut tej hai bas iski ek hi problem hai ki ye jaldi kisi pe bhi bharosa nhi karta.

Banki intro time aane pe
Behtreen parstavna bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,003
173
UPDATE 1
Short of changing human nature … the only way to achieve a practical, livable peace in a world of competing nations is to take the profit out of war. – Richard Nixon

War does not determines who is right…… Only who is left

There’s nothing wrong with being a terrorist, as long as you win. Then you write the history. – Paul Watson



“1947 me Russian government ne ek aisa program chalu kia jiski madad se ye aise soldiers create kiye jaa sake jo akele hi 100 ke brabar ho. Is team ki aguwai kar rhe the Mr. Samuil Baranov. Inki dekh rekh me unki team ne ek aisa serum taiyaar kiya jo kisi me bhi dala jaye to uski mental aur physical abilities ko badaya jaa sakta tha lekin iska side effect ye tha ki is serum ki wajah se us insaan ke sare emotions khatam ho jate the. Sath hi serum lagne ke 1 mahine baad hi test subjects ki maut ho jati thi.

Unki team ne kayi saalon tak kafi research kiya lekin ye research kabhi bhi pura nhi ho paa rha tha. Lekin in sab ke bawajud Mr. Samuil Baranov ki curiosity is serum lo le ke badti hi jaa rahi thi. Isliye wo naye sire se research karne ke naam pe duniya bhar se myth ikattha karne lage. Aise hi kai sare myth me unhe ek baat badi common najar aai ki kai sare devi devtao ki puja karne wale logon me kai tarah ki saktiya hua karti thi. Aise hi reseach ke daruan unhe kai aisi kahaniya mili jinme devi devta kisi insaan ko apne sath le jate the aur jab wo insaan lautta to uska dimag aur takat bahut jyada hoti. Inhi sab chizo ki wajah se unka research ab pagalpan me tabdil hone lga tha. Aise hi research ke dauran unhe pta chala ki Himalaya ki pahadiyo ke bichh ek khai me ek aisa kabila rahta tha jiske log jaldi bude nhi hote the aur unki takat bhi aam logo se jyada hoti thi. Ye pta chalte hi Samuil apni 5 saal ki beti ke sath holiday ke bahane us kabile ka pta lagane aa gya. Jab Samuil ko wo kabila tab tak us kabile ka koi bhi wyakti jinda nhi bacha tha. Usne jab iska pta kiya to pta chala ki 1745 ke karib is kabile me kai tarah ki musibate ek sath tut padi thi jiski wajah se kabile ki jansankhya kafi kam ho gayi thi aur fir ek avalanch me inka kabila hamesha hamesha ke liye khatam ho gya. Jab Samuil wanha pahucha to wanha pe kuchh pedo chhadiyo aur khandaro ke kuchh bhi nhi tha. Uski puri team wanha ki khog bin me lag gyi. Idhar Samui lek saal se usi jagah pe research me lga hua tha, aur is pure time uski beti wanhi uske sath hi thi. Uski beti ka naam Timofey Baranov tha. Jab wanha aaye huye inhe 2 mahine ho gaye the tab Samuil ke team ke sath ek hadsa hua unhi khandaro me aur uske kai team members ki jaan chali gayi, aur uski beti bahut jyada bimar ho gyi thi. Tab Samuil apni beti ko le ke wapis russia aa gya aur yanhi ke khufiya lab me experiments karne lga. 5 saalon ke baad uska experiment safal hua lekin us experiment ke side effect ki wajah se govt. ko ye project band karna pda.”

Room ki sari lights ek sath on ho jati hai. Is samay ek conference room me 3 log baithe huye the.

Jo is samay is room me maujud the wo the – ek aadmi jo computer operate kar rha tha, ek 40-45 saal ka ek aadmi aur ek 18-19 saal ka ladka tha.

Aadmi – (Computer operator ko dekhte hue) Ab tun jaa sakte ho.


Unke itna bolte hi wo aadmi utha aur us room se bahar nikal gya.

Aadmi – To jaisa ki is report me dikh rha tha ki govt. ne side effect ki wajah se experiment ko band kar diya tha. But ye sach nhi hai. Sabse pahli baat Samuil ne jis jagah ko khoja tha wo wah jagah thi janha se CHAKRA ki shuruwat hui thi. Use wanha wo mila jiske bare me kabhi CHAKRA ke founder ko bhi nhi pta tha. Usne uska fayda uthane ki kosis ki lekin uske kai team members ki maut ho gayi aur sath hi uski beti infect bhi ho gyi. Apne beti ko bachane ke liye usne bahut mehnat ki aur puri team ke sath russia aa gya, lekin last me usne apne experiment ko pura kar liya lekin wo ab ye experiment ko apni beti ko bachane ke liye kar rha tha, lekin jab wo experiment inshaano pe kiya gya to un experiments ne wanha maujud sabhi logo ki jaan le li sirf 2 log hi jinda bache. Ek to Dr. Samuil aur dusre Dr. Vijendra Singh.

Us aadmi ke itna bolte hi wo ladka unki taraf dekhne laga.


Aadmi – Haan, jab Dr. Samuil research ke liye India aaye the tab unki dosti Vijendra Ji se ho gyi. Aur isliye rules na hone ke bawajud Samuil ne Vijendra ji ko russia invite kiya tha. Waise maut to Vijendra ji ki bhi ho jati lekin jab unke sath aaye ek bodyguard ko ek experiment ne maar diya to Vijendra ji ko maarne se pahle hi wo experiments apne aap hi mar gaye. Aisa hota dekh ke Samuil bahut dar gya, kyuki usne same serum apni beti ko bhi diya tha. Lekin uski beti ko kuchh nhi hua tha. Insab ki wajah se Samuil ne is experiment ko nast karne ka faisla liya. Khuskisamati se Vijendra ji aur Timofey ke wanha hone ka kisi ko bhi nhi pata tha, isliye Vijendra Ji ne ek plan banaya aur apne guard ko wanhi chhod ke underground gas pipe ka istemaal karke us puri jagah ka namo nishaan mitwa diya. Lekin Govt. ke pass ye report aayi ki experiment ke fail hone ki wajah se ye dhamaka hua hai. Aur dhamake ka fayda utha ke Vijendra ji Dr. Samuil aur Timofey ko le ke india aa gaye. Uske baad Vijendra ji ne unhe CHAKRA me shamil karwa diya. Lekin us experiment ki wajah se Timofey 20 saalo ke liye koma me rahi lekin kamal ki baat to ye thi ki in chaar salon me uski umra ek din ke liye bhi nhi badi aur uske baalon ka colour bhi change ho gya tha. Ye us experiment ka diya hua ek taufa tha Timofey ke liye lekin sath hi uski umar bhi bda diya lekin jyada time ke liye nhi. Lekin jab timofey coma se bahar aayi tab tak Dr. Samuil ji ki maut ho chuki thi. Aur Vijendra Ji bude ho chuke the aur Timofey sirf 10 saal ki hi thi to uski bhalai ke liye wo Timofey ko apne ghar le aaye aur uski file aur highly cofidential file ghosit kar diya. Unhone Timofey ki bhalai ke liye uska naam change karke Karishma rakh diya aur bahar hostel me padne ke liye bhej diya. Unka plan Karishma aur apne pote Prashant ki shaadi karwane ki thi lekin usse pahle ki wo is dunia ko chhod ke chale gye. Unke baad Raghuveer ji apne pita ka sapna pura karna chahte the lekin usse pahle hi Prashant aur Karishma ko aapas me pyaar ho gya aur unhone bhag ke shaadi kar li. Prashant ko hamesha dar rha ki uske pita uski shaadi ke liye kabhi nhi manenge lekin sachhai to ye tha ki uske papa bhi yahi chahte the. Khair Jab Raghuveer ji ko pta chala ki Prashant ne Karishma se shaadi kar li hai to wo apne bete aur bahu ko wapis lane ke liye dhundne lage. Tab karishma ne unhe khud contact kiya aur ye wada liya ki jab sahi samay aayega tab wo wapis aa jayegi lekin badle me ye wada bhi kiya ki wo apni sachchai kabhi nhi batayegi. Aur fir tumhe pta hi hai jab kai salon tak karishma maa na ban saki to Prashant se ye sahan na hua aur usne Rajini se sambandh bna liye, aur wo pregnant ho gyi. Karishma ne apne pyaar ke liye use apni sautan ke rup me swikar kiya, aur jab tumhara janm hua tab uski body ye sahan nhi kar payi aur tumhare janm ke sath hi uski maut ho gyi.
Jabardast update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,003
173
UPDATE - 2



Ladka – To fir bhala wanha jane ki kya jarurat aan padi.

Aadmi – ye sab abhi tak jo bhi tumhe bataya gya hai wo isliye kyuki tumne iski demand ki thi, lekin tumhare family pe hamesha se kayi dusman hai aur kuchh din pahle Rohit Singh pe attack hua tha. Aur usse pahle Prashant ji pe bhi attack hua tha. Fir 3 din pahle Pihu singh ko kidnap karne ki kosis ki gayi thi jise hamare kuchh agents ki wajah se roka ja saka. Kyuki Karishma ke bare me jo bhi jaante the wo yaa to mar chuke hai ya fir ab hum dono hi hai to ye karan to ho nhi sakta. Iska matlab yahi hai ki ab Raja Sahab ka koi purana dusman laut aaya hai. That’s why you are taking this mission as a bodyguard for Pihu Singh.

Ladka – Hmm.

Aadmi – Aur tumhe is mission me kisi ko marna nhi hai.

Ladka – haa?

Aadmi – yes, is baar tumhe marna nhi hai balki wapis jane ka waqt aa gya hai.

Ladka us aadmi ko hairani se ghurne lagta hai.

Aadmi – It’s time DK, go back to your life. Tumhari age sirf 18 hai. Tum pichle 9 salon se is battlefield me ho. Ab waqt aa gya hai normal jindagi jine ka.

Ladka (DK) kuchh nhi bolta hai aur bas us aadmi ko ghurte rahta hai.

Aadmi – look DK…….. this is an order DK, go back to your family. You will get your mission letter and details at the reception.

DK – Wo meri family nhi hai wo Daksh ki family hai.

Itna bolke DK apni jagah se uthta hai aur salute karke jaane lagta hai to wo aadmi pichhe se bolta hai.

Aadmi – Protect them well DK. Protect this family, protect them well. That’s what your mother and grandfather wanted from you.

DK ye sun ke rukta hai lekin fir bade hi dheeme sukhe aur kadak se awaj me bolta hai jaise use bolna pasand hi na ho.

DK – I will do my mission well, but I am not a member of that family, my family died long time ago. I….am…going there because……..of this mission. And I don’t want to repeat myself again… (gusse me) that is not my family.

Itna kah ke wo ladka wanha se chala jata hai. Tabhi ek aur aadmi us room me enter hota hai.

Aadmi 2 – Aman sir, aap ise bhala us mission pe kyu bhej rahe hai?

Aadmi (Aman Choudhary) – Dilip ab time aa gya hai ki ye apni family me wapis jaye, CHAKRA Iska pariwar jarur hai lekin iska asli pariwaar wahi hai.

Dilip (Aadmi 2) – But sir kya ye wanha ghul mil payega. I mean ye kanha se aapko 18 saal ka ladka lagta hai. Mujhe iski tension nhi hai mujhe is duniya ki tension ho rhi hai. Pta nhi jab ye wanha jayega to kya karega?

Aman – (haste huye) Kya karega, tumhara kaam badega aur kya. (Aur itna kah ke hasne lagta hai)

Idhar DK reception pe pahuchta hai to wanha ek ladki computer ke samne baithi hui thi.

DK us ladki ke samne jaa ke khada ho jata hai, aur bina kuchh bole bas us ladki ko dekhta rahta hai. Wo ladki bhi apna kaam rok ke jaldi se ek file nikla ke DK ko de deti hai, uske aankho me ek dar dikhai de rha tha, Uski himmat nhi hui ki wo DK se najre mila sake. DK ki surkh lal aankhe kisi ko bhi darane ke liye kafi thi. DK ne ek najar us file pe dali aur use lekar wanha se bahar nikal gya. Jab usne wanha se niche utra to wo ek hotel ka hall tha. DK wanha se nikla aur sidha ek gadi me baith ke nikal gya.

Idhar delhi ke aalishaan ghar me kuchh log hall me baithe huye the.

Rajini Singh – Prashant, kya tumne Pihu ke security ke liye kuchh baat kiya.

Prashant Singh – haan mai baat kar chuka hun. Minister sahab ne bharosha dilaya hai ki wo jald hi kisi ko bhejne wale hai.

Pihu Singh – But dad mujhe koi bodyguard nhi chahiye. Isse sirf mera freedom hi khatam ho jata hai.

Prashant Singh – Ab kya kar sakte hai beti, ab agar hum amir hai to hamare dusman bhi to honge hi na.

Pihu Singh – Fir to isse achchha yahi hota ki hum itne amir hi nhi hote.

Rohit Singh – To kya tum aisi jindagi jee pati jaisi ab jee rahi ho.

Pihu Singh – Hamp, to kam se kam itne amir to nhi hona chahiye tha na.

Prashant Singh – Pihu beta bas tumhare graduation tak ki hi to baat hai fir hum Vijaygarh chale jayenge aur apne mahal me rahenge. In sabhi musibaton se dur.

Rajini – Achchha beta ab aap tension mat lo. Waise prashant wo bodyguard kab tak aa rha hai?

Prashant – Kal subah tak aajayega. Waise beti wo lagbhag tumahare hi age ka hai to tumhe koi problem nhi hogi, maine uski file padi thi, wo tumhare suraksha ke liye bilkul sahi rahega. Rajini tum bhi Pihu ke sath wala room uske liye upar wala roo saaf karwa dena.

Rajini – Lekin Prashant aise kaise ek jawan ladke ko aap pihu ka bodyguard bna sakte hai?

Prashant – Are tum bekar me dar rhi ho, Home Minister sahab ne mujhe khud kha hai ki usse best sayad ki is pure country me koi hoga. Aur uska track record sabse achha hai. To tension mat lo.

Rajini – jaisa aap kahen.

Fir ye log bhi apne apne kaam pe nikal jate hai.

Idhar raat me DK ek flat se kuchh bags le ke sidha airport ki taraf nikal jata hai. Airport pe jaa ke wo ticket counter pe apni id dikhata hai to wanha baithi ledy use delhi ki ticket de deti hai bina kuchh bole. Is samay DK ne sunglasses pahan rakhe the jiski wajah se uski aankhe nhi dikh rhi thi, lekin uske batch ko show karne ke baad uski bina checking ke hi sidha plane me Business class me le jaya gya.

Agle din subah wo delhi me land hua. Aur bina kisi ke taraf dhyan diye sidha airport se bahar nikal gya.
Atulye update mitr
 
Top