Yaar plot to mast hai btw nice update bro..,.....
Nice startUPDATE 1Short of changing human nature … the only way to achieve a practical, livable peace in a world of competing nations is to take the profit out of war. – Richard Nixon
War does not determines who is right…… Only who is left
There’s nothing wrong with being a terrorist, as long as you win. Then you write the history. – Paul Watson
“1947 me Russian government ne ek aisa program chalu kia jiski madad se ye aise soldiers create kiye jaa sake jo akele hi 100 ke brabar ho. Is team ki aguwai kar rhe the Mr. Samuil Baranov. Inki dekh rekh me unki team ne ek aisa serum taiyaar kiya jo kisi me bhi dala jaye to uski mental aur physical abilities ko badaya jaa sakta tha lekin iska side effect ye tha ki is serum ki wajah se us insaan ke sare emotions khatam ho jate the. Sath hi serum lagne ke 1 mahine baad hi test subjects ki maut ho jati thi.
Unki team ne kayi saalon tak kafi research kiya lekin ye research kabhi bhi pura nhi ho paa rha tha. Lekin in sab ke bawajud Mr. Samuil Baranov ki curiosity is serum lo le ke badti hi jaa rahi thi. Isliye wo naye sire se research karne ke naam pe duniya bhar se myth ikattha karne lage. Aise hi kai sare myth me unhe ek baat badi common najar aai ki kai sare devi devtao ki puja karne wale logon me kai tarah ki saktiya hua karti thi. Aise hi reseach ke daruan unhe kai aisi kahaniya mili jinme devi devta kisi insaan ko apne sath le jate the aur jab wo insaan lautta to uska dimag aur takat bahut jyada hoti. Inhi sab chizo ki wajah se unka research ab pagalpan me tabdil hone lga tha. Aise hi research ke dauran unhe pta chala ki Himalaya ki pahadiyo ke bichh ek khai me ek aisa kabila rahta tha jiske log jaldi bude nhi hote the aur unki takat bhi aam logo se jyada hoti thi. Ye pta chalte hi Samuil apni 5 saal ki beti ke sath holiday ke bahane us kabile ka pta lagane aa gya. Jab Samuil ko wo kabila tab tak us kabile ka koi bhi wyakti jinda nhi bacha tha. Usne jab iska pta kiya to pta chala ki 1745 ke karib is kabile me kai tarah ki musibate ek sath tut padi thi jiski wajah se kabile ki jansankhya kafi kam ho gayi thi aur fir ek avalanch me inka kabila hamesha hamesha ke liye khatam ho gya. Jab Samuil wanha pahucha to wanha pe kuchh pedo chhadiyo aur khandaro ke kuchh bhi nhi tha. Uski puri team wanha ki khog bin me lag gyi. Idhar Samui lek saal se usi jagah pe research me lga hua tha, aur is pure time uski beti wanhi uske sath hi thi. Uski beti ka naam Timofey Baranov tha. Jab wanha aaye huye inhe 2 mahine ho gaye the tab Samuil ke team ke sath ek hadsa hua unhi khandaro me aur uske kai team members ki jaan chali gayi, aur uski beti bahut jyada bimar ho gyi thi. Tab Samuil apni beti ko le ke wapis russia aa gya aur yanhi ke khufiya lab me experiments karne lga. 5 saalon ke baad uska experiment safal hua lekin us experiment ke side effect ki wajah se govt. ko ye project band karna pda.”
Room ki sari lights ek sath on ho jati hai. Is samay ek conference room me 3 log baithe huye the.
Jo is samay is room me maujud the wo the – ek aadmi jo computer operate kar rha tha, ek 40-45 saal ka ek aadmi aur ek 18-19 saal ka ladka tha.
Aadmi – (Computer operator ko dekhte hue) Ab tun jaa sakte ho.
Unke itna bolte hi wo aadmi utha aur us room se bahar nikal gya.
Aadmi – To jaisa ki is report me dikh rha tha ki govt. ne side effect ki wajah se experiment ko band kar diya tha. But ye sach nhi hai. Sabse pahli baat Samuil ne jis jagah ko khoja tha wo wah jagah thi janha se CHAKRA ki shuruwat hui thi. Use wanha wo mila jiske bare me kabhi CHAKRA ke founder ko bhi nhi pta tha. Usne uska fayda uthane ki kosis ki lekin uske kai team members ki maut ho gayi aur sath hi uski beti infect bhi ho gyi. Apne beti ko bachane ke liye usne bahut mehnat ki aur puri team ke sath russia aa gya, lekin last me usne apne experiment ko pura kar liya lekin wo ab ye experiment ko apni beti ko bachane ke liye kar rha tha, lekin jab wo experiment inshaano pe kiya gya to un experiments ne wanha maujud sabhi logo ki jaan le li sirf 2 log hi jinda bache. Ek to Dr. Samuil aur dusre Dr. Vijendra Singh.
Us aadmi ke itna bolte hi wo ladka unki taraf dekhne laga.
Aadmi – Haan, jab Dr. Samuil research ke liye India aaye the tab unki dosti Vijendra Ji se ho gyi. Aur isliye rules na hone ke bawajud Samuil ne Vijendra ji ko russia invite kiya tha. Waise maut to Vijendra ji ki bhi ho jati lekin jab unke sath aaye ek bodyguard ko ek experiment ne maar diya to Vijendra ji ko maarne se pahle hi wo experiments apne aap hi mar gaye. Aisa hota dekh ke Samuil bahut dar gya, kyuki usne same serum apni beti ko bhi diya tha. Lekin uski beti ko kuchh nhi hua tha. Insab ki wajah se Samuil ne is experiment ko nast karne ka faisla liya. Khuskisamati se Vijendra ji aur Timofey ke wanha hone ka kisi ko bhi nhi pata tha, isliye Vijendra Ji ne ek plan banaya aur apne guard ko wanhi chhod ke underground gas pipe ka istemaal karke us puri jagah ka namo nishaan mitwa diya. Lekin Govt. ke pass ye report aayi ki experiment ke fail hone ki wajah se ye dhamaka hua hai. Aur dhamake ka fayda utha ke Vijendra ji Dr. Samuil aur Timofey ko le ke india aa gaye. Uske baad Vijendra ji ne unhe CHAKRA me shamil karwa diya. Lekin us experiment ki wajah se Timofey 20 saalo ke liye koma me rahi lekin kamal ki baat to ye thi ki in chaar salon me uski umra ek din ke liye bhi nhi badi aur uske baalon ka colour bhi change ho gya tha. Ye us experiment ka diya hua ek taufa tha Timofey ke liye lekin sath hi uski umar bhi bda diya lekin jyada time ke liye nhi. Lekin jab timofey coma se bahar aayi tab tak Dr. Samuil ji ki maut ho chuki thi. Aur Vijendra Ji bude ho chuke the aur Timofey sirf 10 saal ki hi thi to uski bhalai ke liye wo Timofey ko apne ghar le aaye aur uski file aur highly cofidential file ghosit kar diya. Unhone Timofey ki bhalai ke liye uska naam change karke Karishma rakh diya aur bahar hostel me padne ke liye bhej diya. Unka plan Karishma aur apne pote Prashant ki shaadi karwane ki thi lekin usse pahle ki wo is dunia ko chhod ke chale gye. Unke baad Raghuveer ji apne pita ka sapna pura karna chahte the lekin usse pahle hi Prashant aur Karishma ko aapas me pyaar ho gya aur unhone bhag ke shaadi kar li. Prashant ko hamesha dar rha ki uske pita uski shaadi ke liye kabhi nhi manenge lekin sachhai to ye tha ki uske papa bhi yahi chahte the. Khair Jab Raghuveer ji ko pta chala ki Prashant ne Karishma se shaadi kar li hai to wo apne bete aur bahu ko wapis lane ke liye dhundne lage. Tab karishma ne unhe khud contact kiya aur ye wada liya ki jab sahi samay aayega tab wo wapis aa jayegi lekin badle me ye wada bhi kiya ki wo apni sachchai kabhi nhi batayegi. Aur fir tumhe pta hi hai jab kai salon tak karishma maa na ban saki to Prashant se ye sahan na hua aur usne Rajini se sambandh bna liye, aur wo pregnant ho gyi. Karishma ne apne pyaar ke liye use apni sautan ke rup me swikar kiya, aur jab tumhara janm hua tab uski body ye sahan nhi kar payi aur tumhare janm ke sath hi uski maut ho gyi.
THANK YOUKeep it up dear । We are always with you.
thank youNice update bro
thank you broNice updates bro
thank you broYaar plot to mast hai btw nice update bro..,.....
thank you broNice start