kahani kuch rahasyamay ghatanao ko leke adharit hai.... aur adharit hai ki kaise burayi kisi achhe bhale insaan par havi hoti hai.... ushe uski insaaniyat ko khatam kar ushe hawas, lalach aur hinsha, paap ke raah par le chalti hai... succubus naam ka jiv jo saitaan ke pujari ki madad se kisi achhe bhale insaan ke contact mein aati hai sapno ke jariye... phir apni mayabi jaal mein fanshake us insaan ko hawas, lalach aur hinsha ke raah pe le chalti hai... apne dwara rache gaye hawas ke khel mein us insaan ko andar hi andar khokhla kar deti hai... us insaan ki saari shakti chus aur chin ke khud ko ek roop deti hai khud ko ek insaani aakar deti hai..... yahan tak ki us shikar bane insaan ko is kadar bhadka deti hai ki wo insaan khud ke apno ko jaan se maarne se bhi piche nahi hat ta...
jaise arun ke pita abhishek ke sath hua... wo to us mohini ke jaal mein fansh kar apni hi biwi ko jaan se maarne ke liye soch raha tha..
Lekin kehte hai na ki burayi chaahe lakh burayi failane ki koshish kare lekin achhai ke samne uski kad hamesha se hi chhoti hi rehti hai... mohini ki mamle mein bhi wohi hua.. usne chaahe apne roop jaal moh mein apne shikar abhishek ko lakh kabu karne ki koshish ki ho lekin uski andar ki insaaniyat aur jameer ko khatam nahi kar paayi...
aur sabse aham baat maarne wale se zyada bachane wala bada hota hai... jaise wo devi saman aurat jo train mein mili thi abhishek ko..... uhone jab dekha ki koi buri shakti abhishek ke dilo dimag mein chayi hui hai phir bhi uski insaaniyat aaj bhi jinda hai isliye unhone bhi bhi madad ki abhishek ko us buri shakti se khud ko bachne ke liye... us buri shakti ko apne aur apni life se hamesha hamesha ke liye dur faink dene ke liye...
lekin ek sach yeh bhi ki jab tak is sanshar mein paap, moh, lalach aur hinsa hai tab tak mohini jaisi buri takat burayi failane ki koshish karti rahegi... aur shikar banenge wo jo masoom hote hai jo burayi se kosho dur rahte hai
kyunki bure insaan ko bura banane ki jaroorat hi nahi...mohini jaisi buri takat ko bas itna karna hai ki apni mayabi jaal mein fanshake achhe insaano ko burayi ke raah le jaani hai .. aur upor aise bhole bhale logo ko fansana kuch zyada hi asan hai Mohini jaisi buri shaktiyo ke liye
jaise ant mein us saitaan ke pujari kaha... ek aur bhola bhala sachha insaan uske jaal mein jaa fansa...
yahan pe anirdam aur Ramesh ek tarah se adhar bana mohini ke baare mein ek details mein jaanne ke liye... ki akhir kya raaz hai us murti kr piche, kya rahasya hai jiske chalte jo bhi murti ko apne paas rakhe uski haalat din ba din bigadti chali jaaye....
haalaki in baaton pe vishvas karna hai muskil.... lekin kehte hai na is dharti pe ab kayi aise raaz chupi hai jo manav jaati ke soch se bhi pade hai...
Khair...
sabse pasandida kirdaar?
wo train wali aurat.... I think wo devi thi shayad....
pata nahi kyun unko pranam karne ko jee kare naman karne ko jee kare... unki kahi gayi har baat dil ko chu gayi...
pata nahi kyun aankhein nam ho gayi jab wo gayab ho gayi train se utar te hi..
Writer sahab ne ek kam role diya unko is kahani mein...
Baban saheb... ye bahot buri baat hai
![Chair :chair: :chair:](/uploads/smilies/chair.gif)
kahani mein koi pasandida bhag?
Well sabse pasandida bhag jab abhishek ko devi saman aurat ne ek jaba phool deke uske sar pe hath kahi ki uska Kalyan ho... lage ki sach mein devi maa utar aayi ho dharti pe ek nirdosh ko buri takaton se bachane ke liye... bhakti se mann gad gad aur itni khushi ki aankhein huyi nam..
Koi tanavpurn ya dukhad drishya?
Jab abhishek apni hi biwi ko maarne ka khayal apne mann mein paal raha tha us tharki mohini ki baaton mein aake.. usse bhi zyada tanavpurn drishya jab jab ek chhota bachha apne hi pita ko kisi gair aurat sang dekha appattijanak avastha mein... jaane kitna bura prabhav pade uske mann mastishk pe...
Kahani ko leke koi anuman?
Kabhi khud apne upor aur apno ke upor burayi ko haavee hone mat dijiye aur kabhi kisi anjan chij ya bastu ya insaan hi ho... in par katayi vishvas na kare... kya pata agle hi pal aapka sab kuch tabah kar jaaye...
Koi hasane wala drishya?
yes... ye scene meri favorite hai..... socho jab Kareena Kapoor is khud is story ko read karegi aur us mohini ne Kareena ka roop lekar jo kiya hai, wo padhegi... us din kahani ka lekhak to giyo
Akhir mein kuch shabd
Baban sahab ke liye ... aapki Kayi stories read ki hai sab ek se badhkar ek hai... lekin ye kahani unsab se hatakar hai... Agar kayi saal baad bhi koi reader aake aapki ye kahani padhe yehi kahenge ki wah kahani ho to aisi.... jo ek bahot hi arthpurn sikh de jaaye...
sukriya aapko... is sandaar kahani ko likhke humare samne pesh karne ke liye.. aur jis udasya se aapne is kahani ko pesh ki hai wo sarthak rahi.. Ki burayi chaahe kitni bhi badi kyun na ho achhai saamne uski kad hamesha chhoti rahti hai... aur lakh chaahe burayi achhai ko khatam karne ko koshish kare lekin upor wala kisi na kisi roop mein aake us burayi ko khatam kar logo ko mukti dilate hai us burayi se
![Bow :bow: :bow:](/uploads/smilies/bow2.gif)
Brilliant story line with awesome writing skills
Baban Sahab