Update 64
Ab tak
Phir aman apne jab se pasina pochte hue ghar chala jata hai. Wahi dusari aur hospital mein rohan ko haus aa gya tha. Rohan ko hoaus aate hi wo ayush ke bare mein puchta hai. To use ye kah diya jata hai ayush ghar gya hai. Kal phir tumse milne aayega.
Ab aage
Maine payal ko apne hatho se khana khilata hu. Satha hi maine janvi ko bhi khana khilata hu. Phir dono ne milkar phir se mujhe khana ek bar aur khilati hai. Baki sabhi ne khana kha liya. Khana khane ke baad main apne room sone chala jata hu. Wahi payal janvi se bartan saf karte hue baate karti hai. Idhar tanya aur kalpana kuch der bate karti hai phir sone chali jati hai, baki sabhi khana khane ke baad apne apne room mein sone chali jati hai.
Aaj payal janvi ke sath mere hi room mein so jati hai wahi raat ke 12 baje main apne bistar se gayab jata hu. Ek vyakti mujhe nind se jaga raha tha.
Vyakti _ ayush uth jaao aaj aage ki practice karni hai.
Ayush_ ????
Vyakti_ ayush ayush uth jaao.
Phir wo mere chahre pr apne kamandal se pani nikal kar chhitte marte hai. Aur jaise hi main nind se jagta hu to us vyakti ko dekh kar hairan ho jata hu.
Ayush_ pranam gurudev aap aur yaha. Mujhe bula liya hota apne pas.
Gurudev_ chiranjiv bhawah. ayush jara dhyan se dekho abhi tum kaha ho.
Ayush_ aur jaise hi main dekhta hu hairan rah jata hu. Gurudev main kab aaya yaha. Main to apne room mein so raha tha.
Gurudev _ ayush yaha tumhein mail lekar aaya hu.
Ayush _ pr kyu gurudev?
Gurudev_ ayush main aasha karta hu ki tumhein panchtatv pr kabu pa liya hoga.
Ayush _ ji gurudev.
Gurudev _ ayush aaj main tumhein in pacho tatv ko kaise prayog karte hai ye tumhein shikhaunga. Aur sath hi gyan bhi.
Ayush _ thik hai gurudev. Pr gurudev kuch ghanto mein ye kaise ho payega.
Gurudev _ ayush hum gyan ko do prakar se prapt kar sakte hai. Ya tum swaym arjit karo ya koi tumhein adhyaatamik taur pr pradan kare, agar tum swaym arjit karoge to bahut adhik samay lagega. Pr aadhyaatamik taur pr wo sare gyan jo tumhein swaym arjit karne mein bahut adhik samay laga tha use asaani se aur kam samay mein prapt kar loge. Isi aadhyaatmik taur pr Valmiki ji ne apna sara gyna apne preey shshiya Lav Kush ko diya tha jise unhone prapt karne mein lamba samay aur kathin parishrma karna pda tha. Kuch samjh aaya.
Ayush _ ji guruwar.
Gurudev_ ab tum dhyan awastha mein baith jao
Ayush _ phir main dhyan awastha mein baith jata hu.
Mere dhyan awastha mein baithte hi gurudev bhi dhyan awstha mein baith jate hai. Phir gurudev mere mashtik se apna mashtik jod lete hai.
Gurudev _ ayush tumhein meri awaj sunai de rahi hai.
Ayush _ ji gurudev mujhe apki awaj sunai de rahi hai.
Gurudev _ ab main wo sare gyan jise mein varsho arjit kiya hai. Use main tumhein dene ja raha hu. Pr use pahle tumhein mujhe ek wachan dena hoga. Kya tum iske liye taiyar ho.
Ayush _ ji gurudev main ready hu. Wachan dene ke liye.
Gurudev _ to ayush ab tum mere sath sath dauraho jo main bolta hu.
Ayush _ ji gurudev.
Gurudev _ main ayush is panch tatv, apne mata pita, pure brahmand aur sabhi devtao ko shakshi mankar main aapko wachan deta hu. Main in shaktiyon ka prayog poore brahmand aur manushya ki bhalai ke liye karunga. Na ki swaym ki hiit ke liye, gurudev aap ise tum bolo
Ayush_ ji gurudev. main ayush is panch tatv, apne mata pita, pure brahmand aur sabhi devtao ko shakshi mankar main aapko wachan deta hu. Main in shaktiyon ka prayog poore brahmand aur manushya ki bhalai ke liye karunga. Na ki swaym ki hiit ke liye,
Gurudev _ tum mahan ho ayush aisa bahut hi kam.log karte hai. Jo apne hito ko chhod kar dusaro ke bare mein sochte hai. Ab main wo sare gyan deta hu jise arjit karne mein mujhe koi varsh lag gye.
Phir gurudev mujhe apne sare gyan pradan karte hai jisme ashtr shashtr gyan, yuddhkala, devgyan, alokigyan aise bahut si gyan pradan karte hai. Jab gurudev ne mujhe wo sare gyan pradan kar diya to gurudev ne mujhe kaha ayush ab tumhein wo pushtak de raha hu jise mein aadishakti se prapt kiya tha.
Gurudev _ ayush ab tum ise vinamrapurak grahan karo.
Ayush_ phir main use vinamrata puran grahan karta hu. Jaise main use grahan karta hu. Meri aakhen khul jati hai.
Gurudev_ ayush ab tumhein jana hoga. Kyuki waha tumhari jarurat hai. Ayush maine wo sare gyan tumhein pradan kar diya hai jo mere pas the. Ayush tum ye kabhi mat sochna ki tum is sansar mein sarvshrat ho.
Ayush_ ji gurudev main aisa kabhi nahi samjhuga.
Gurudev _ ayush ab tumhein waha jana hoga.
Ayush_ ab aap mujhe aagya dijiye
Gurudev_ vijayibhawah.
Isi ke sath main waha se gayab hi jata hu. Aur pahuch jata hu ek yuddh ke maidan mein.