Update 28
Arushi - jis din tumhe tadpa ke marungi usdin tumhe pata chal jayega ki ye dailoge tha ya kuch aur.....
Itna keh kar wo waha se chali jati hai
Uske Jane ke bad mai bed pe beth jata hu.....
"achha hai bhai saste me nipat gaya warna laga tha bahut kuch hoga".....
Ab aage......
Itna sab hone ke bad mujhe ye to pata chal gaya tha ki mai kitna bhi chahu par isse chutkara nahi paa sakta
Iski najar hardam mujhpe rahegi isse mujhe dikkat to hone wali thi par ab aage badh gaya hu to insab ka sochke kya fayda
Dekha jaaye to yaha rukne ka koi matlb najar nahi aaraha tha
To wahi dusri taraf yaha ka mahol dekh ke aisa lagraha hai ki kuch ajib bate hai jo mujhe samjh nahi aarahi jisse mujhe yaha rukne pe majbur kardiya tha
Aisa lag raha tha mano kuch to galat hone wala hai shayad kuch bahut bada par ye meri dil ki awaj thi naa ki dimag ki dimag to usse aage soch raha tha jiske chalte pata nahi kya karu ye sawal paida ho rahe they
Khair mai bhi jaldi se room se nikal ke samne aagaya
Mahesh raghav ka saman car me rakh raha tha
Mai uske pass jake khada ho gaya
Jab usne mujhe dekha to apne sath andar le gaya
jaha hall me hi sab baithey huwe they Shayad raghav akela jaa raha tha use koi jaruri kaam tha
Mujhe waha dekhte hi usne mujhe apne samne bulaya
Raghav -(sochte huwe) tumne apna naam kya bataya tha
Mai - ji sir Akash
Raghav - are haa toh Akash tum aaj se meri beti ki security karne wale ho
Mai - ji sir
Raghav - aur kya tum wo achhe se kar paoge
Mai - ji sir bilkul mujhe to aisa hi lagta hai
Raghav - hmm achhi bat hai lekin tumhare lagne se mujhe koi matlb nahi hai
Bas itna kehna chahta hoon ki tum uski suraksha ki jimmedari lene wale ho to wo tumhe kisi bhi kimat par karni hi padegi samjhe tum
Ye baat usne mere bilkul karib aake kahi thi ek dam face to face
Shayad wo mujhe mere kaam ki ehmiyat batana chahta tha
Par usko apne pass dekh ke mai bata nahi sakta tha ki mujhe kya ho raha tha
Sach kehta hoon agar isne mujhe paida naa kiya hota to isne jo mere sath aaj tak kiya tha uske badle mai ise jinda nahi chodhta
Mai -(khud ko sambhal ke) ji sir mai aap ko nirash nahi karunga
aap agle 10din bina kisi chinta ke aap ki beti ki jimmedari mujhpe chodh sakte hai
Ye last line maine chhoti maa ko dekh ke kahi thi kyu ki mujhe pata tha abhi yaha pe ek wahi thi jo mere favor me thi
Aur mujhe pata tha in baap-beti se mujhe wahi bacha sakti thi
Aur meri baat ka asar turant dekhne ko mila
Siya /Choti maa - hame akash pe pura bharosa hai isliye hamne usko ye kaam diya hai
Siya ki baat sunke raghav aage kuch nahi bola shayad wo usse behas nahi karna chahta tha
Fir usne mahesh ko kuch ishara kiya jisse mahesh ne mere samne ek 9mm. Wali pistol rakhi
Raghav - ye gun tum apne pass rakho isse tumhe apne kaam me koi taklif nahi hogi
Mai use iske liye mana karna chahta tha par kuch sochke maine wo pistol uthali
Raghav - tum ise chalana to jante honge naa
Mai - ji nahi sir mai ek fighter hu koi gunda ya police wala nahi jo gun chalana janta hoga
Aur wese bhi mujhe in khilono se jyada khud pe bharosa hai
Lekin aap ka kaam bhi kuch aasan nahi hai isliye ise rakh leta hu.
Meri baat sunke raghav ne aage jyada kuch nahi bola bas apni betiyo se baat kar ke bahar aagaya sath me sab they
Bahar aake usne mahesh ko bhi achhe se security check karte rehne ke bare me jataya aur use sath leke airport chala gaya
Uske jate hi sab andar chale gaye aur mai bhi apne sath wo pistol leke apne room me jaane laga aage jate jate maine piche mud ke dekha to 2log mujhe tirchi najro se dekh rahe they
Usme ek to komal thi jiski najro me kuch aur hi tha
Jese koi kisi apne ko dekhta hai
Aur dusri to mujhe bilkul kha jaane wali najro se dekh rahi thi aur wo thi...... Chodo jane do kya uska naam leke mud kharab karna
Rat ko Mahesh aur mai room me khana kha rahe they jise mahesh khud apne sath leke aaya tha aur sath me 2 botel daru bhi laya tha jise pite huwe khana kha rahe they
Mahesh (nashe me) - kya tujhe pata hai ki tu jarurat se jyada bat karta hai
Mai - kab maine kab jyada bat ki
Mahesh - abhi thodi der pehle sir ke samne jo dailoge mar raha tha wo kya tha
Mai - hmm isme ab konse dailoge mare maine
Mahesh - dailoge nahi to kya tha yaar wo bade log hai unhe aise bat karna pasand nahi aata
Wo kuch bole to bas yes sir ji sir bolna chahiye jisse wo khush rehte hai
Mai - achha aur mai wo kyu karunga wo bataoge
Mahesh - kyu ki...
Mai - achha wo rehne de mujhe ye bata (wo pistol uspe tante huwe) iski ek goli se teri khopdi khul sakti hai kya
Meri bat sunte hi uski khumari ek second me gayab ho gayi
Mahesh - ye tu kya kar raha hai
Mai - abe kaha ghanta kuch kar raha hoon mujhe ye chalani hi nahi aati ise pakad mujhe iski jarurat nahi hai
Itna keh ke mai use wo pistol de deta hoon
Wo to bas fata muh leke mujhe dekhta raha
Uske bad maine usse thodi bahut bat ki aur use bhej diya
Wese bhi mujhe ab tak pata lag gaya tha ki ye uski chaplusi karta hai to isse jyada frank hona bhi thik nahi tha
isiliye maine use pistol wapas dedi thi kyu ki agar naa deta to iski madam yani... Kher chodho sabko pata hi hai
Wo fir ispe kuch aur samajh ke mere ko marne aajati
Wese soch to mai ye soch raha tha ki use hath pao chalana sikhaya kon
usdin ka punch abhi tak yaad hai mujhe
Bahut jor se mara tha....
Tu be continued......