Continued as a Mini Series...
-BETA POV-
Mainne kisi tarah bus wali ghatna ko bhula diya. Aakhir aur kar bhi kya sakta tha? Mera muh kholna matlab apne ghar ki barbadi. Hum Lucknow pahunch gaye aur shadi ke mahaul mein kho gaye. Shadi ka environment ek taraf kaafi shandar tha, to dusri taraf ladai-jhagde ki wajah se tanav bhi bana hua tha. Main in sab cheezon ko nazar-andaz kar apni umar ke family members ke saath ghul mil gaya aur shadi ke kaamon mein hath batane laga.
Agle din shadi thi. Hum sab barat le kar community hall pahunch gaye. Khane ka accha intezaam tha, to hum sab usme busy ho gaye. Raat ko shadi ka program chal raha tha, aur sab log thak kar aadhe soye hue lag rahe the. Main bhi baar-baar neend ke jhoke me chala ja raha tha, ki tabhi mera phone baj utha. Papa ki call thi.
"Beta, tumhari mummy phone nahi utha rahi hain. Unhe phone dedo, mujhe unse thodi baat karni hai," Papa bole. Maine haan kaha aur mummy ko nazar ghuma ke dekhne ki koshish ki, lekin wo kahin dikh nahi rahi thi. To main phone lekar community hall ke bahar gaya aur food stalls ke paas nazar daudayi. Tab mujhe mummy dikh gayi.
Main aadhi neend me unki taraf badhne laga, lekin jaise-jaise main nazdeek gaya, meri neend ekdum hawa ho gayi.
Mummy ek ladke ke saath baithi baatein kar rahi thi. Aur yeh koi aira-gera nahi tha, balki wahi bus wala ladka tha. Use dekhte hi mera man kiya ki turant use pakad ke maar dun, lekin pata nahi kaise, maine khud ko control kar liya. Mainne use ghura aur mummy ko phone diya. Unhone phone le kar baat shuru ki, aur isse pehle ki main kuch kar dun, main wahan se chala gaya aur Mummy bhi mere sath chali aayi.
x-x-x-x
Agle din hamara train mein reservation tha. Kismat se maine AC3 ki tickets le li thi. Main itna thak chuka tha ki din bhar sota raha, aur meri neend tab khuli jab mummy ne mujhe jagaya. Meri nazar unke chehre par gayi—ajeeb si utsukta thi unki aankhon mein, lekin maine is baat ko nazarandaz kiya. Main apna saman sametne laga, aur kuch der baad humne khana khaya aur train station ke liye nikal gaye.
Station par hum dono platform par khade train ka intezaar kar rahe the, lekin mujhe lag raha tha ki mummy bar-bar apne phone ki taraf dekh rahi thi, jaise kisi ka intezaar ho.
Achanak wo mere paas aayi aur kaha ki unhe ek emergency hai aur kuch der mein wapas aa jayengi. Maine pucha, "Kya pareshaani hai?" To unhone chupke se kaha, "Ladies issue." Ye sunkar maine aur kuch puchna zaroori nahi samjha aur baat wahi khatam kar di. Wo jaldi se bheed mein kho gayi, aur main wahi khada unka intezaar karta raha.
Thodi hi der mein train platform par aa gayi. Maine apna saman coach mein rakh diya aur mummy ko phone lagakar unhe jaldi aane ko kaha, kyunki train chutne hi wali thi.
Kuch waqt baad mummy train ke compartment mein dakhil hui. Wo halki si jhuki hui thi, jaise thak gayi ho, aur saans lene ki koshish kar rahi thi. Unka chehra pasine se chamak raha tha, aur unke baal bhi thode bikhre hue lag rahe the. Pasine ke wajah se unki sari pith par chipak gayi thi. Mujhe mummy ko dekh kar turant bus ka ek purana manzar yaad aa gaya, lekin maine us khayaal ko zabardasti apne dil se nikal diya.
"Mummy, sab theek hai na?" Maine dheere se puchha.
"Sab theek hai," unhone hichkichahat se jawab diya, phir apni jagah par baith kar paani ka ek sip liya.
Main chup ho gaya, lekin unki halat dekh kar mann mein ajeeb se sawaal uthne lage.
x-x-x-x
Main kafi thaka hua tha, aur train ke chalne ke saath hi apni sleeper berth par jaa kar so gaya. Mummy bhi apni middle berth par chadh kar sone chali gayi. Thakaan ke maare main gehri neend mein chala gaya aur seedha agle din hi utha, jab Mummy ne mujhe jagaya.
Agle din Mummy ke chehre par ek alag hi chamak thi. Wo bahut khush aur chehak chahak rahi thi. Unka muskurata hua chehra dekh kar mujhe bhi bahut achha laga. Jaise unki muskaan ne meri sari chintaen mita di ho.
Maine socha ki jo kuch bus mein hua, use bhul jaana hi behtar hoga. Hum dono ne apna saman samet kar Papa ke bheje hue gaadi mein baith ghar ki taraf rukh kar liya.