Chapter - 1
Bachpan me mein jab mamise puchhithi ki meri maa kahan hai to wo jhat se boli “margayee” aur munh pher di thi.
“Aur baba?”
“Wo bhi.” Mami kuchh tez nazar se dekhi meri taraf aur jhad di “Phaltu baate band kar Deepti aur ja apni padhai kar.”
Tab mein shayad 5-6 saal ki thi. Maa-baba aur mama-mami ki antar kya hai – ye gyan meri na tha. Sirf, utchhukta isi baat par jagi ki jab aaspadosh ke bachhe ghar me badon ko maa ya baba pukarte the tab mein mami ya mama kyon?
Ham log ek chhota sa sahar me rehte the. Mama ek college me adhyapak the aur mami primary school teacher thi. Unke apne koi bachhe nahin the aur ek baat me ek til ke barabar na hichkichaye keh sakti hun ki unhone jis pyar se badhaya aur sanskar mujhme daala – wo kisibhi pita-mata ke apne beti ki dekhbhal se kam nahin thi. Bachpan ke dhundle yaadon me ye hain ki mami shaam ko roti sekti thi jab ki mein farsh per bathi homework karthi thi ya unche awaz me padhai kar rahi thi. Galti hone par ek do thappad padna sadharan baat tha. Mein class me first aya karti thi – par is par mujhe koi khaas dilchasp nahin tha- balki kab rasoi aur khane ka paryaya samapt hoga – usi par mera dhyaan laga hua tha.
Kyonki uske baad mein seedhe uchhal jaati thi mama ke god par aur wo kaske pakadke ek do baar upar uchhalte the, jhutmut ki kusti ladte the jis me mein hamesha jeetti thi. Phir wo apna dadhi mere gale se ghisate jab mein gudgudi se behaal ho jaati – ye sab karyakram tab tak chalte the jab tak mami awaz na daalti sone ke liye. Mama ek haath se mujhe kandhe par latkate le jaate the palank tak.
Haan, mami ke bare me do aur yaaden. Chauthi kakhya me mera class me rank do par aa gaya tha aur mani ne meri jamkar pitai ki. Usike baad me kabhibhi wo galti nahin dohrayi. Paanchwi aur saatwime merit scholarship payi. Dusri baat ye ki mein jab malaria ka shikar hui , tab mami ne ek mahine ki chuthhi li thi aur raat raat bhar mere bagal me baithi mathepe gili patti chadhati rahi.
Ye thi meri bachpan. Samaya ke uparant, mami mujhe ghar karni dheere dheere sikhayi. Jo padhai aur shikhya ki baat – wo mama ab sambhalne lage. Unke margdarshan se mera padhai me aur bhi dilchaspi badhti rahi.
“Bada hokar doctor banegi mera Deepti”, mere ser pe haath pherte hue kaha unhone.
Mein muskarai.