• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery My digital alter ego

Status
Not open for further replies.

Bhavana694

Active Member
1,005
1,329
144
Last edited:

Bhavana694

Active Member
1,005
1,329
144
Ye ladki to badi hi sunskari hai :sanskar:
FB nahi pata isko.....
Priya ne nahi bataya tha isko kya :sigh:
Khair she got a hint.....ab waise bhi iska mann karne hi wala hai waha jaane ka.....wo ek jariya hoga khud ko chuppa ke khud ki icchaye puri karne ki
Btaya hota to hint kyu hota chapter ka title. Nd as far as apni icchaye puri krne ki baat hai ab vo to updates m pta chlega ki hoti hai ya nhi puri
 
  • Like
Reactions: Ristrcted

Dungeon Master

Its not who i am underneath
Staff member
Moderator
19,851
14,482
229
Trauma :?: wo kaise explain :waiting:
Trauma porn dekhne se, usne koi aisa sexual experience kia ho ya dekha ho family me, friends me jiski wajah se uska porn dekhne se fear hota hai.
like porn directly effects sexual behavior in relationships, they become addicts, and ultimately they never find stable relationships
 
  • Like
Reactions: Bhavana694

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,493
36,710
304
Ghar me itna bada kand ho gya ye mentally ek trauma hi h na kya pda fir first chapter
:sigh: uske liye porn chod diya :sigh: wapas to aayi naa wo....aur upar se itna stress leke chal rahi thi ye.....isko to aur chahiye hoga
 
  • Like
Reactions: Bhavana694

Ankitarani

Param satyagyani...
2,959
12,539
144
Chapter 1: The prologue

Ye kahani ek aisi ladki ki hai jo mp ki chhote saher me ek joint family me rahti hai. Kahani ki main heroine hai ankita. Ankita ki family me uske dada-dadi, badepapa-badimummy, chacha-chachi or unke mummy-papa ke sath apni 3 sagi bahane thi. Sabse badi bahen ka naam diksha jo ankita se 3 saal badi thi or chhoti bahan ka naam naina tha jo ankita se 3 saal chhoti thi.

Year 2007 jab ankita teenage me thi or jawani ki dahleez par kadam rakh chuki thi. PCMB ki student hone ke karan ankita ache se janti thi ki sex or sexual changes is age me kya kya hote hai. Ankita in sab chizo ko 10th class se hi explore kar rahi thi. Vo apni mom ke phone me chup chup kar porn videos dekhti thi. Girls school me padne ke karan uska interaction boys se jyada hua nahi tha lekin fir bhi jab bhi teeno bahane bazar jati thi to unhe pta hota tha ki kis ladke ki nigahe unhe tad rahi hai.

Jawani ki inhi chulbuli dahleez me ankita ke jeevan me bahut badi ghatna hoti hai. Diksha ko 2007 me uske parents higher study ke liye metro city bhejte hai jha diksha ek ladke se pyar kar baithti hai. Vo ladka lower caste ka hota hai jis karan diksha ko pta tha ki uske parents is rishte ko accept nahi karege. Isle apni gradution exam ke last paper vale din yani 2010 me diksha us ladke ke sath shaadi kar leti hai lekin usne ek galti kar di or apne gharwalo ko ye baat bta di. Diksha ki baat sunte hi ankita ke parents diksha ko lene saher chle jate hai or khushkismati se diksha us time apne husband ke sath jane ke liye hostal me apne kapde pack karne aayi hui thi.

Diksha ko jese tese uske parents apne ghar le aate hai. Or ghar aakar diksha ne mano pura ghar sir par utha liya. Gharwalo ne use smzane ki bahut koshish ki lekin vo nahi mani, use mummy papa ke hatho ki mar bhi khani padi lekin vo nahi mani or usi ladke ke sath jane ke liye adi rahi. Dheere dheere ye news pure town me fail gyi or ankita ki family ki bahut badnami hone lagi. Diksha ko laye abhi 4 din hi hue the ki tabhi mano koi bomb visfot si ek or news ankita ko pta chalti hai or vo ye thi ki diksha pragnent hai.

Ankita ke parents ne apne family doctor se diksha ka abortion karwa diya tha. Diksha bhut royi thi or use apni family se nafrat si hone lagi. To vahi uske ke parents ne na jane kitne baba, fakir logo se diksha ke man ko badalne ka intezam karwaya. Or uski family ka ye prayas safal sabit hua or diksha ne us ladke ko 3 mahine bad divorce de diya. In sab ghatna ka ankita or naina ke dimag par bahut gahra asar hua. Unhone zindagi me pahli bar apne mummy papa ko rote hue dekha. Unhone ye bhi dekha ki kese samaj ki jhoothi shan ke karan betiyo ki icchao ka gala ghont diya jata hai. Isle dono bahano ne apne mummy papa ki iccha ka palan karna behtar samza or bade saher ane ki jagah ankita ne apna admission town ke hi girls college me karwa liya.


Apni college ki padai ke sath sath ankita ghar me apni mummy ki help bhi karne lagi or bank ki exam ki prepration bhi karne lagi. To vahi diksha bhi upsc ki prepration me lag gyi. Or naina apni school ki padai me lag gayi. Samay ke sath sab thik hota gya or 3 saal bad diksha UPSC pas karke ek IAS officer ban gyi to vahi ankita ne bhi bank ki probational officer ki exam pas kr li.

Ghar me fir se sab khushiyo ka mahol tha. Town me fir se ankita ki family ko sab izzat se dekhne lage the kyuki aaj usi ghar ki betiyon ne unki khoyi izzat jo vaps lautayi thi. Lekin ankita kahi na kahi khush nahi thi jiska karan tha diksha ki success ko gharwalo ke dwara adhik mahatav dena. Ankita ke man me 2010 ki ghatna ke bad se hi diksha ke liye ek negative chhavi ban gayi thi. Kyuki diksha ke karan ankita apni engineer ban ne ki dream puri nahi kar payi or use B.Sc. karni pdi usi town ke college me or vo diksha ko apni gharwalo ki izzat dubane ka doshi manti thi. Kher ankita ne kabhi bahar se ye baat jahir nahi hone di ki use diksha se jalan hai or na hi apne mummy papa ko is baat ka ahsas hone diya ki vo dheere dheere unse bhi nafrat karti ja rhi hai kyuki uski nazaro ne jo pyar or samman use milna tha vo sab diksha ko mil rha hai.

Kher ankita in baato ko bhul kar apni joining ka wait karne lagi or use ahemdabad ki branch me joining mili. Ankita bahut khush thi ki finally use apni is small town se bahar metro city me jane ka mauka mil rha hai. Ankita apni packing me busy thi ki tabhi uske pas uski maa aati hai or use smzati hui kahti hai..

Mummy - ankita dekh ahemdabad bahut bada saher hai.

Ankita - haa maa vha jaugi tabhi pta lagega na.

Mummy - main bas yahi bolna chahti hu ki..

Ankita - ki kya ??

Mummy - humari izzat mat dubo dena.. 3 saal pahle jo is ghar me hua hum use dobara bardasht nahi kar payege.. isle beti bas tujhse yahi kahna chahti hu ki agar tujhe zara bhi lage ki tu bahek rahi hai to hume bol dena hum teri shaadi karwa dege.

Maa ki baat se ankita ko vo sab ghatna fir yaad aa gayi mano uske dil ka ghav fir hara ho gya or usne apni maa ke hatho ko pakad ke kaha..

Maa mein aapko vishvas dilati hu ki mein koi aisa kam nahi karugi jis se humare parivar ki izzat mitti me mil jaye..


Ankita ki baat sun uski maa bhavuk ho gyi or apni beti ke gale lag ke rone lagi. Ankita bhi apni maa ko rota dekh rone lag gayi. Kher thodi der bad dono chup hue or ankita apni packing me lag gayi. Kal ankita ko ahemdabad jana tha apne ghar se pahli bar ankita bahar ja rahi thi vo bhi apna career start karne use bahut khushi thi ki vo apne pero par khadi hone ja rahi hai. Use khushi thi ki vo apne parents or family ka sahara ban ne ja rhi hai. Apni isi khushi ke sath vo raat ko bahut chain se soti hai or apne aane vale bhavishya ke ujjawal sapne dekhne lagti hai.


Ab ye to waqt hi btayega ki ankita ka bhavishya kitna ujjawal hai......



PS: please share your views. I know mene bahut si stories ko criticize kiya hai or bahut si stories padne ke bad ye story bnayi hai. So be honest or saccha opinion comment kare.
This is my secodn story i m reading...
Wese to mai writer hu...story likhna jada pasand hai...buttt but...the word " digitel alter ego"is the reason that m here....
I think this story is going to be much complex...

First question to writer...are you a writer? Have you write any story before this?...or just start by this story...

Diksha ko hostel me rakar kisi ldke se pyar ho gya...and he belongs to a lower caste....wese ye caste system ekdm bkwas hota hai...
So...family wale islie against the ki wo lower caste se tha...ya fir islie against the ki wo love marriege ko thik nhi mante...?

"Jhuti shano shokat...ijjjat"ye word mene kai bar sune hai...pr sch kahu...parents ke khilaf ye wors use krna story,movies me achha lgta hai...but actually wo shayad thik hote hai...jo hme bad me pta lgta h...

Mere pdos me ek itna bhyank case hua tha ki mai bta nhi sakti...ldki ne ma bap ke against jakar shadi ki...and....than puri family ka styanash ho gya...khair...that is not the topic...

Kuch jaadu tone ke bad...disha ke sr se pyar ka bhut utar gya...intresting...
Usse pahle diksha ka obortion krwa diya..jo bahut glt step tha...

Khair dhire dhire sb normal ho gya...
And...now ankita...ankita ko itni jalan islie hui kyuki...diksha ias bn gyi or usko jada respect milne lgi ..
Chalo sahi hai...
Mujhe lg rha hai thoda sa dimak hilane wali rhegi kahani...
Khair...bhavna ji you are wrinting a very good story....filhal bahut achha tha frst update....achha lga pdhkar...i hope batter pdhne ko milega.....
Carry on and thanks alot..
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Bhavana694

Bhavana694

Active Member
1,005
1,329
144
This is my secodn story i m reading...
Wese to mai writer hu...story likhna jada pasand hai...buttt but...the word " digitel alter ego"is the reason that m here....
I think this story is going to be much complex...

First question to writer...are you a writer? Have you write any story before this?...or just start by this story...

Diksha ko hostel me rakar kisi ldke se pyar ho gya...and he belongs to a lower caste....wese ye caste system ekdm bkwas hota hai...
So...family wale islie against the ki wo lower caste se tha...ya fir islie against the ki wo love marriege ko thik nhi mante...?

"Jhuti shano shokat...ijjjat"ye word mene kai bar sune hai...pr sch kahu...parents ke khilaf ye wors use krna story,movies me achha lgta hai...but actually wo shayad thik hote hai...jo hme bad me pta lgta h...

Mere pdos me ek itna bhyank case hua tha ki mai bta nhi sakti...ldki ne ma bap ke against jakar shadi ki...and....than puri family ka styanash ho gya...khair...that is not the topic...

Kuch jaadu tone ke bad...disha ke sr se pyar ka bhut utar gya...intresting...
Usse pahle diksha ka obortion krwa diya..jo bahut glt step tha...

Khair dhire dhire sb normal ho gya...
And...now ankita...ankita ko itni jalan islie hui kyuki...diksha ias bn gyi or usko jada respect milne lgi ..
Chalo sahi hai...
Mujhe lg rha hai thoda sa dimak hilane wali rhegi kahani...
Khair...bhavna ji you are wrinting a very good story....filhal bahut achha tha frst update....achha lga pdhkar...i hope batter pdhne ko milega.....
Carry on and thanks alot..
Thnx for reading Ankitarani well story ko mene jitna ho sake reality se link rakhne ki sochi thi jesa ki indian parents act krte hai that's why isme baba vgrh ka thoda likha hai. As far as ankita ki jealousy ki baat hai to vo isle jealous nhi h ki diksha ias ban gyi vo isle jeaoous hai kyuki diksha ke karan uske career par kisi ne dhyan nahi diya diksha ke incident ne uski life change kr di or uska doshi vo diksha ko manti hai or uske parents diksha ko jyada dhyan dete hai. Isle vo diksha se jealous feel karti hai.
 
Last edited:

Bhavana694

Active Member
1,005
1,329
144
Chapter 6 : Raat akeli hai (1)

Ankita apne bed par fb ke bare me sochti sochti hi so jati hai or vahi saziya, ankita ki baato ko dhyan se samazne ki koshish karte karte nind ke aagosh me samz jati hai. Subah 6 baje uth kar ankita washroom me jakr nha kar apne room me aati hai tab tak saziya bhi uth chuki hoti hai. Ankita saziya ko dekh kar good morning wish karti hai or saziya bhi ek smile ke sath use wish kar deti hai.

ankita mess me apna nashta lekar ek bench par baithi thi ki use jyoti aati dikhti hai or ankita use apne pas aane ka ishara kar deti hai. Dono nashta kar apne apne room me chale jate hai. Ankita jese hi room me jati hai use saziya ka phone bed par dikhta hai. Saziya ke pas samsung ka latest android phone tha to vahi ankita ke pas purana keypad vala phone. Ankita us phone ko dekhti hai ki tabhi saziya ke phone par message ki notification aati hai. Ankita use open karne ki koshish karti hai par phone password se lock tha. Ankita use vese hi bed par rakh deti hai.

Ankita ka aj bank me kaam par dhyan nahi tha use bar bar facebook vali saziya ki baate dimag me yaad aa rahi thi. Lunch me vo jyoti ke sath baat karti hai or baato baato me topic fb par aa jata hai to ankita us se bolti hai..

ye fake id kya chiz hai fb par tu bhi fake id chlati hai kya ?

jyoti ankita ke sawal se hadbada jati hai jese uski chori pakdi gayi ho or vo use bolti hai..

n..nn..nhi mujhe nahi pta f.. fake id kya hai. Tujhe kisne btaya ?

ankita - nhi just curiosity kher jane de.

jyoti ki hadbadahat ne ankita ko sochne par majbur kar diya vo khud se bolne lagi..

ye aise kyu ghabra rahi hai jese mene iski koi chori akad li ho. Kahi ye bhi fake id to nahi chlati. Agar aisa hai to fir mujhe pta lgana hi pdega ki aisa kya hota hai fake id me. Par kese jyoti to btayegi nahi kal saziya bhi thodi ghabra gyi thi.. umm ab to ek hi solution hai. Ha yhi sahi rahega.

apne man me ek plan soch kar ankita bank hour khatam hone ke bad hostel aati hai or apne room me jakar fresh hokar dress change karne lagti hai or fir apne ghar par call karke mummy papa se baate karti hai fir thodi der bed par let jati hai. Thodi der me saziya bhi apne college se aa jati hai or ankita ek smile ke sath room open kar saziya ka welcome karti hai.

ankita ki smile dekh kar saziya soch me pad jati hai..

kya hua ise aaj mujhe dekh kar itni badi smile. Ab to mujhe pkka yakin hai isne us raat mujhe finger karte hue dekh liya. Shitt yaar saziya bas ye apne muh na khol de kahi. Ise bottle me lana pdega ab lgta hai.

or aisa bol saziya ankita se baat karti hui bolti hai..

aj kya baat hai badi khush lag rahi ho.

ankita - kyu khush hone ke liye reason hona jaruri hai kya.

saziya - nahi aisa to mene nahi kha me to bas ye puch rahi ki khush kyu ho mujhe bhi btao me bhi khush ho lugi tere sath.

ankita - kuch nahi bas aise hi ghar par baat ki to man acha feel kar rha hai.

saziya - ohh to kese hai ghar par sab.

ankita - badiya hai sab.

saziya ab apni dress change karne ke liye uthti hai or ankita se bolti hai..

yaar meri kurti ka zipper khol de please.

ankita - m.. me kese kholu

saziya - kya natak kar rhi hai ankita yaar. Khol de mere pas bhi vahi saman hai jo tere pas hai samzi ab drame mat kar jyada or zipper open kar mera.

ankita khade hokar saziya ki kurti ki zip kampte hatho se dheere dheere niche karti hai. Ghar par to usne kai baar apni baheno ki kurti ki zipper lgane ya kholne me help ki thi but kisi ajnabi ki dress ki zip kholna uske liye kafi ajib sa experience tha kyuki saziya ke sath use room share karte hue koi 2 din hi hue hoge aise me dress ki zip open karna ankita ke liye badi baat thi.

kher vo jese tese saziya ki dress ki zip open karti or tabhi saziya apne shoulder se kurti nikalne ko hoti hai ki ankita chilla padti hai..

ye kya kar rahi hai saziya bathroom me jakr change kar please.

saziya - are to itna chilla ke kyu bol rahi hai. Aaye ko 2 din nhi hue or drame dekho madam ke.

saziya muh bnati hui bathroom me chali jati hai. Un dono me koi baat nahi hoti uske bad dono alag alag time par dinner karke apne room me aate hai lekin aj ankita ka dhyan saziya ke upar hi tha vo dhayn se dekh rahi thi saziya ko uska phone use karte hue. Saziya in sab baato se anjaan apna phone chlane me busy thi.

aakhir kya tha ankita ke mind me kyu vo saziya ke phone ki screen ko dhyan se dekhe ja rahi thi padege next update me.
 
Status
Not open for further replies.
Top