- 20
- 25
- 13
Chapter 3
Accident and new beginning (part - 3)
aur jo maene dekha mujhe samjhte der na lagi ......( next )
ji haan mujhe samjhte der na lagi ki ab main gaya , truck ne already bus ke agle hisse pe thokar maar di thi .
Agle hi pal kya hua ?! , i don't have any idea (mujhe kuch naheen malooom ) , bus itna yaad hai ki ass pass ki har cheez black ho gayi aur ek lagataar awaaz mujhe sunai de rahi thi . Us awaaz ke baare mein main bata naheen sakta ki wo kaesi awaaz thi , lekin agar aapne kabhi heart machine dekhi ho , to mareez ke marne ke baad jaesi machine awaaz karti hai jaese ki teeeeeeeeeeeeeeeeeeennnnnnnnnnnnnnnn ---------------- , to shayad aap andaza laga saktein hain.
Tabhi meri aankh khul jati hai ! . Waqt beech raat ka , charo taraf mere qamre mein andhera.Main paseene se lath path aur saanse tez .Maine socha yaar ye kaesa khwaab tha ! jaan hi le li . Khair kisi tarah se maine wo raat kati .
Agli subah kisi anjaan awaaz ki wajah se meri neend khuli . Awaaz ghar walon se bilkul alag thi , normally mom aati thin mujhko jagane kabhi bhi agar main late tak sota rah jaaon to . Par aaj ek alag hi awaaz ? akhir kiski hai ? par ek baat thi ki , ye ek ladki ki awaaz thi . To zayada dimaag pe zor na dalte hue maine socha ki shayad koi mehmaan aye honge .
Maine apko pahle hi bataya tha ki mujhe logo se mulakaat mein bilkul dilchaspi naheen thee . Isliye main sota hi raha infact yuun kahein ki nataq karta raha .
Lekin uske baad jo baat-chit maine suni ,usne mujhe pura andar taq hila ke rakh diya . Ek awaaz to mom ki thi , aur ek kisi anjaan shaqs ki . Aur baat cheet kuch iss tarah thi ....