Raj
Well-Known Member
- 4,444
- 15,225
- 158
Nice update
Nandini aur kanchan dono alka ke sath mere kamre me us painting ko dekhne ke liye chali gayi aur main rastogi ji ke sath baith kar kal ki shadi ki taiyari ke bare me baate karne laga
Abhi hum shadi ko lekar discussion kar hi rahe the ki andar se kanchan ke jor jor se cheekhne ki awaz sun kar dono ghabra kar turant andar bhage….andar pahuchte hi meri ankho ne jo drishya dekha us par yakin karna mushkil ho gaya
Ab Aage……..
Jaise hi hum room me pahuche to samne kanchan ek kone me dari sahmi khadi thi aur uske samne vahi nagin apna fun phailaye us photo me kundli maarkar baithi huyi thi
Alka (darte huye)—dekhiye…ye…ye wohi nagin hai
Rastogi—omg…..kya ab bhi tum isko sirf ek andh vishwas hi kahte ho kumar…..?
Kanchan—mujhe bachao papa pahle…ye mujhe yaha se hilne dulne bhi nahi de rahi hai…thoda sa bhi idhar udhar hoti hu to kaatne ko jhapat rahi hai
Kumar—aap chinta mat kijiye…mai kuch karta hu
Alka—sambhal kar jana udhar..mai to kahti hu kisi saanp pakadne wale ko bulate hain to jyada theek hoga
Nandini—alka sahi kah rahi hai
Rastogi—mai abhi phone karta hu
Kumar—par ye aayi kaha se is kamre me
Alka—pata nahi.....hum jab kamre me aaye tab koyi bhi nahi tha yaha.....kanchan ji ne jaise hi us photo me hath phera to tabhi pata nahi kaha se achanak ye nagin kanchan ji ke upar kud padi......ye to achcha hua ki unhone turant use jaldi se niche phek diya....lekin ab vo unko kahi jane nahi de rahi
Rastogi—kuch bhi kaho kumar....tumhari ye photo bahut hi jyada rahasyamayi hai...chahe tum mano ya na mano... sabse pahle rahasya ki baat to yahi hai ki ye photo tumhare hatho khud-ba-khud ban jati hai tum na bhi banana chaho tab bhi roj...dusra rahasya....ye nagin hai jisne tumhe kahi aane ko kaha hai kagaz me likh kar bataya bhi.. teesri hairani ki baat ye hai ki ye nagin ka is photo wali ladki se avashya hi koi gahra rishta hai....mera to dil kahta hai ki tumhara aur is photo wali ladki ka avashya hi koi na koi apas me rishta hai
Kumar—par uncle...mai to is photo wali ladki ko janta tak nahi hu aur na hi kabhi isko dekha hai maine aaj tak kahi bhi
Rastogi—is baar ke exhibition me to kohram mach jayega dekhna tumhari is rahasyamayi painting se
Nandini—pahle meri beti ko to bachao
Rastogi—saanp pakadne wale ko phone kar diya hai vo aata hi hoga….beti tum chup chap bilkul shant vahi khadi raho
Mai khud bhi bahut hairan tha ki ye nagin baar baar mere kamre me kaise aur kaha se aa jati hai aur phir achanak se khud hi gayab bhi ho jati hai…khair hum apas me aisi hi apni udhedbun me lage huye the tab tak vo saanp pakadne wala bhi pahuch gaya
Sapera—kaha hai saanp……?
Rastogi—aa jao…yaha is kamre me…..vo rahi nagin……
Sapera (nagin ko dekh)—kyaaaaaa……… isko ko pakadna hai……..?
Kumar—aur nahi to kya ab hum khud ko pakadne ke liye tumhe bulayenge…..
Sapera—maf karna….mai ye nahi kar sakta aap kisi aur sapere ko khoj lo is kaam ke liye
Rastogi (hairat se)—kyo…kya hua…tum bhi to sapere ho….? Tumhara to kafi naam hai
Sapera—ye bahut khatarnak nagin hai…..iske bare me kayi baar TV me bataya ja chuka hai….ab tak isne 100 se jyada logo ko kaata hai aur unme se koi nahi bacha hai aaj tak….mujhe abhi marna nahi hai
Kumar—use pakad ke jungle me hi to chhodna hai tumhe
Sapera—use koyi pakad hi to nahi paya hai aaj tak…..jisne bhi koshish ki vo jaan se gaya
Kumar—ye koyi jaruri thodi hi hai ki ye vahi nagin ho……koi dusri bhi to ho sakti hai….uska koyi naam thodi hi likha hai uske mathe par…ki jo tum aisa kah rahe ho
Sapera—nahi ye vahi hai…vo dekho..uske gale me ‘’v’’ likha hai...yahi uski pahchan hai
Sapere ki baato se pahli baar hamara dhyan us taraf gaya to vakayi me uske gale me vahi hindi ka word likha hua tha….jisne ek baar phir se sabhi ko hairani me daal diya
Sapera—mai chalta hu…ram ram
Sabne bahut rokne ka prayas kiya lekin vo sapera nahi mana aur jaise aaya tha vaise hi vaha se chala gaya….hum sab ke mathe par shikan ke badal madrane lage
Nandini (pareshan hokar)—ab meri beti ka kya hoga….? Ye usko kaat legi ab
Kumar—mai kuch karta hu…aap chinta mat kariye
Alka—nahi…nahi…aap uske paas mat jaiye
Kumar—daro mat….mai kanchan ji ko yo marne to nahi de sakta na….sab theek ho jayega
Maine bachane ke liye kah to diya tha par phat to meri bhi rahi thi…itna sab dekh kar aur upar se us sapere ne jo bataya is nagin ke bare me to halat to patli honi hi thi
Koi insan hota to kab ka ab tak mai usko patak diya hota lekin yaha baat kisi insan ki nahi ho rahi thi balki ek nagin ki thi…darte huye main aage kanchan ki taraf badhne laga
Rastogi—kumar sambhalkar…..be careful
Kumar—hhuuuuu
Mai himmat kar ke aage badhne laga….par jaise hi us nagin ke paas pahucha to mere pair thar tharane lage…badi mushkil se apne andar ke darr ko kabu kiya hua tha maine
Kumar (darte huye)—chal bhag yaha se…..chal ja…jaldi se
Aur tabhi jaise chamatkar hi ho gaya.....mere itna kahte hi usne apna fun niche kiya aur sarakte huye vaha se chup chap khidki ke raste se hokar bahar nikal gayi
Hum sabhi shocked hokar use hi dekhte rah gaye...jab tak ki vo hamari ankho se ojhal nahi ho gayi.....uske jate hi kanchan bhag kar mere gale se lag kar rone lagi..sath hi alka bhi ek taraf se mujhse aakar chipak gayi
Kumar—shant hojaiye kanchan ji...ab vo chali gayi hai...tension ki koi baat nahi ab
Rastogi (hairat se muh phade)—ek aur rahasya ki baat hai ye....ki tumhare ek baar kahne matra se hi vo chup chap chali gayi yaha se
Alka—mujhe to bahut tension ho rahi hai ab
Kumar—mere hote huye tumhe kis baat ki tension hai
Nandini—shukriya beta…tumne aaj meri beti ki jaan bacha li…tumhara ye ehsaan hamesha mujh par upkar rahega
Kumar—aisa mat kahiye aap….ye to mera farz tha
Rastogi—sochne wali baat hai ki us word ka kya matlab ho sakta hai….A ka matlab alka …A ka matlab Arjun….right arjun….yahi matlab hai us word ka…arjun
Kumar—koun arjun….? Main kisi arjun ko nahi janta
Alka—ha...us kagaz me bhi to kisi arjun ka hi jikra tha
Rastogi—bahut hi rahasyamay baat hai ye....akhir ye arjun,ye nagin aur tumhara is painting se kya connection hai.... ?