• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy NAAG MANI

FRIDAY

Active Member
559
1,567
123
NICE & VERY INTERESTING STORY.
AAJ HI BINA RUKHE UPDATE 15 TAK POR CHUKA HU.
YE NAAGIN KUMAR KI LIYE KHATARNAK NAHI HAI KINTU USKE PARIWAR WALA KI LIYE KHATARNAK HAI.
DEKHTE HAI AAP KIA HOTA HAI.
NICE GOING......
GREAT WORK....
KEEP IT UP........
 

Zas23

Well-Known Member
4,624
4,624
158

NAAG MANI

UPDATE-14

Rastogi—lekin ab vo tasveer nominate ho chuki hai...aur kal hone wale exhibition me vo sabke samne rakhi bhi jayegi...ab hum kuch bhi nahi kar sakte..kewal tamasha dekhne ke alawa.

Kanchan—Papa..lekin ye kaam bahut jokhim bhara ho sakta hai, aaj huye hadse ko dekhte huye

Rastogi—Janta hu beta...par ab der ho chuki hai..ab to bhagwan hi malik hai..jane kya kya gul khilayegi kumar ki ye rahasmayi painting kal ke exhibition me... ?

Ab Aage......

Kumar—uncle phir to aap ko hi dekhna padega…main alka ko aisi halat mein akeli nahi chhod sakta.

Rastogi—hmmmm, ye baat bhi sahi hai....chalo jo bhi hoga dekha jayega kal...vaise bhi ab hum kar bhi kya sakte hain... ?

Kanchan—Jiju..vo nagin to aap ki baat maan jati hai....pahle bhi usne kayi baar aap ki kayi kahi huyi baate mani hain..to aap usse kaho na ki hamara aur alka didi picha chhod de.

Kumar—Sali sahiba...vo mahaj ek ittefaq bhi to ho sakta hai.

Nandini—nahi beta…itna sab kuch hone ke baad mujhe to ye koi ittefaq nahi lagta hai…ab to bas vo baba aa jaye tab hi kuch pata chal sakega.

Kanchan—Papa..aap driver ko call kar ke pucho na ki vo kab tak aa rahe hain …uss aghori ke guru dev

Rastogi—beta..vo khud hi phone karega, tum pareshan mat ho…mujhe abhi doctor sahab ke yaha bhi jana padega vo hamare family member jaise hi the.

Nandini—main bhi chalungi kuch der ke liye.

Hum baat kar hi rahe the ki alka dhire dhire apne hath hilane lagi, shayad usko ab hosh aa raha tha…ye dekh maine uska sir apni god me rakh liya.

Rastogi—alka se ab iss ghatna ke vishay me koi baat nahi karega….uske dimag par dabav dena sahi nahi hoga abhi.

Kumar—aap sahi kah rahe hain uncle.

Lagbhag dus minute aise hi hath pair hilane ke baad alka ne apni ankhe kholi aur apna sir meri god me mahsoos karte hi mujhse lipat gayi.

Nandini—thank god meri beti ko hosh aa gaya.

Kanchan—ab kaisi tabiyat hai didi…?

Alka ne jab kanchan aur nandini ki awaz suni to sabke samne meri baho me lipatne par sankoch vash vo thoda lajjit hokar uthane lagi, lekin maine usse apni god me hi lita liya…aunty ne bhi alka ko lete rahne ko kaha.

Alka (dhire se)—Ji ab theek hai.

Kanchan—issi baat par main coffee bana kar lati hu.

Rastogi—that’s a good girl.

Kuch der baithne ke baad rastogi uncle aur nandini apne family doctor ke ghar milne chale gaye jabki kanchan yahi mere paas rah gayi…raat me dinner ke baad vo bhi mere bagal me hi let gayi.

Kumar—mere sath so rahi ho Sali sahiba…agar raat me mujhse tumhari didi ke dhokhe me tumhare sath kuch ulta sidha ho gaya to phir mujhe dosh mat dena.

Kanchan (kaan me)—to apko roka kisne hai Jiju.

Alka—chalo so jao..mujhe to need aa rahi hai..mai soti hu.

Kanchan (mann me)—aap ko kya batau Jiju…dil to mera bhi aap ke upar aa gaya hai, Jab se aap ne uss nagin se meri jaan bachayi hai tab se ye dil mera nahi raha kintu majboor hu…kabhi kabhi sochti hu ki izhar kar hi du, lekin darr lagta hai ki kahi aap mana na kar de…main to chahti hu ki mere sath aap sab kuch kar lo..dil ko ek sukun to rahega ki jisko dil diya,aur tan bhi usko hi diya.

Lekin kanchan ke dil ki ye baat shayad kisi ne sun li aur usko ye bilkul bhi pasand nahi aaya….uski ankhe gusse se ekdam lal ho gayi aur vo apni gusse bhari nazaro se kanchan ko ghurte huye uske muh se fufkar nikalne lagi.

Khair raat maine jagte huye hi bitayi..kyon ki main ab kisi bhi tarah ka risk nahi lena chahta tha…raat me aisa kuch bhi nahi hua jaisi ki sab ko ashanka ho rahi thi.

Agli subah behad khushnuma palo ke sath shuru huyi kyon ki alka ne need khulte hi ek meetha chumban mere adhro par diya..maine usse apni god me utha kar bathroom pahucha kar bahar aa gaya aur kanchan ko jagane laga lekin kanchan ne need me hone ka bahana kar ke mujhe khich kar apne upar gira liya aur jaldi jaldi dus barah chumban mere hotho aur gaalo par ankit kar diye.

Main hatprabh hokar usse dekhta rah gaya ki abhi abhi jo hua wo kya tha…? Meri to kuch samajh me hi nahi aa raha tha ki kanchan ne ye sab jaan bujh kar kiya hai ya vo sachmuch need me koi khwab dekh rahi thi.

Khair main jyada na sochte huye alka ke fresh hone ke baad bahar laya to tab tak kanchan bhi uth chuki thi aur mujhe dekh kar haule haule mushkura rahi thi…jisse main samajh gaya ki ye sab isne jagte huye hi kiya hai.

Kuch der baad rastogi uncle aur aunty aa gaye..break fast unhone yahi sath me kiya jo kanchan ne hi ready kiya tha uske baad hum aaj ke bare me charcha karne lage.

Rastogi—achcha beta, ab main chalta hu exhibition me shamil hone ke liye…tum sath me rahte to jyada better rahta

Kumar—maine problem kal hi bata di thi uncle

Kanchan—isme itni problem kya hai…? Hum sab didi ko bhi sath me liye chalte hain na.

Kumar—nahi…nahi…aap jaiye uncle

Alka—chaliye na..jab sab ka dil hai to

Kumar—magar….

Alka—agar magar kuch nahi…

Kumar—theek hai..chalo…jao ready ho jao.

Rastogi—aaj kafi fresh lag rahi hai alka beti

Kumar—haa uncle…lekin kya ye taajjub karne wali baat nahi hai ki alka ne hosh me aane ke baad se abhi tak ek bar bhi kal wali ghatna ka koi jikra nahi kiya hai aur uske chehre par vo kal jaise darr aur khauf bhi nahi dikh raha hai.

Rastogi—Ye baat to maine bhi notice ki hai…khair theek hi hai ek tarah se….aur vo baba bhi aaj shaam tak aa jayenge, vo raat yahi ruk kar kuch kriya karenge uss nagin ko apne vash me karne ki.

Kumar—Jaisa apko uchit lage uncle….main to thahra nastik admi..in sab baba vaba ke chakkaro ko nahi manta lekin alka ke liye kuch bhi karunga.

Alka aur kanchan ke ready hote hi hum sab sath me rastogi uncle ki gadi me hi exhibition ceremoney ke liye nikal gaye….bade hi bhavya paimane par sajaya gaya tha haal ko.

Poore desh bhar se aaye painters ki banayi huyi paintings iss pradarshani ki shobha badha rahi thi..sab ki sab ek se badhkar ek thi….vaha ke MLA aaj ke program ke chief guest the.

Jab hum pahuche to program start ho chuka tha…ek jagah khali jagah dekh kar hum bhi baith gaye….kuch der tak sab ka bhasan chalta raha.

Uske baad sabhi judges bari bari se har ek paintings ke paas ja kar usme darshayi gayi khubiyo ka avlokan karne lage…sab har ek paintings ki dil khol kar tarif karte ja rahe the.

Kisi ki paintings me Prakratik sundarta ki karigari thi to kisi me science aur technology ke bare me bataya gaya tha paintings ke madhyam se..kisi me kuch to kisi me kuch….

Aise hi chalte huye sab achanak ruk gaye…unki nigah apne samne rakhi paintings par tik gayi….kisi ke muh se koi shabd nahi nikla…na to unme se kisi ne koi tarif ki aur na hi burayi..bas bina palak jhapkaye uss paintings ko dekhte rahe.

Karib pandrah minute tak kisi mook darshak ki bhanti dekhne ke baad antatah uss vidhayak mahoday ne apni juban kholi.

MLA—Marvelous,Amazing, What a beauty……aise lagta hai ki jaise sakshat samne khadi ho..lagta hi nahi ki ye kisi kagaz me banayi gayi chitrakala ka ek namuna hai balki bilkul sajeev lag rahi hai….kiski hai ye painting..?

Judge—Mr. Kumar….

MLA—Lekin isme to arjun-anjali likha hua hai…..Ye painting main kharid raha hu….iski teen guni keemat par

Hum sab shocked rah gaye…kyon ki maine to aisa kuch nahi likha tha….MLA uss painting ko hath me uthane ke liye jaise hi apne hath aage badhaya hi tha ki tabhi vaha vahi hua jiska mujhe aur rastogi uncle ko darr tha…poore haal me jaljala sa aa gaya…
Nice update
 

Zas23

Well-Known Member
4,624
4,624
158

NAAG MANI

UPDATE-15

MLA—Marvelous,Amazing, What a beauty……aise lagta hai ki jaise sakshat samne khadi ho..lagta hi nahi ki ye kisi kagaz me banayi gayi chitrakala ka ek namuna hai balki bilkul sajeev lag rahi hai….kiski hai ye painting..?

Judge—Mr. Kumar….

MLA—Lekin isme to arjun-anjali likha hua hai…..Ye painting main kharid raha hu….iski teen guni keemat par

Hum sab shocked rah gaye…kyon ki maine to aisa kuch nahi likha tha….MLA uss painting ko hath me uthane ke liye jaise hi apne hath aage badhaya hi tha ki tabhi vaha vahi hua jiska mujhe aur rastogi uncle ko darr tha…poore haal me jaljala sa aa gaya…

Ab Aage…..

MLA ne jaise hi uss painting ko apne hath me uthane ke liye hath badhaye ki achanak haal ki light band ho gayi…. Din ke samay me raat jaisi sthiti nirmit ho gayi…Poora haal andhakar me doob gaya.

Sab ashcharya me pad gaye ki din me itna andhera kaise ho sakta hai ki kuch bhi dikhayi dena band ho jaye…aur agle hi pal ek jordar cheekh ke sath haal ki light phir se vapis jal uthi.

Lekin sab vaisa nahi tha jaisa ki light jane ke pahle tha..samne dekhte hi sab hairan hi nahi huye balki uske sath hi sab hall me moujud log dahshat me aa gaye.

MLA niche jamin par pada hua tha aur uske muh se safed jhag nikal raha tha…uska poora sharir neela pad chuka tha….sabse badi dahshat ki baat to ye thi ki uske sharir ke upar anginat saanp lipte huye usko dass rahe rhe…vo tasveer bhi ab apni jagah se gayab thi.

Logo ke dil me ye drishya dekhte hi itna khouf aa gaya ki vaha bhagdad mach gayi….log ek dusre ke upar girte takarate huye bahar ki taraf chillate huye bhagne lage.

Sab ko bhagte dekh kar vo saanp bhi MLA ko chhod kar unke piche doud pade….poore haal me hahakar mach gaya Jane kitne hi log ek dusre ki chapet me aane ki vajah se gir kar ghayal ho gaye.

Ye khabar aag ki tarah poore city me phail gayi…iss program ko live jo dikhaya ja raha tha….kuch hi seconds me haal khali ho gaya….main hairan khade sab dekhta raha…kanchan buri tarah se mujse lipti huyi thi aur darr se kaamp rahi thi…yahi haal uncle aur aunty ka bhi tha.

Alka to kab ki ye sab dekhte hi behosh hokar jamin me gir chuki thi…mera dhyan hi nahi gaya alka par….thodi hi der me light phir off ho gayi lekin jaldi hi aa gayi.

Hairat ki baat to ab ye thi ki ab haal me ek bhi saanp nahi tha aur vo photo bhi apni jagah par rakhi huyi thi…tab tak ambulance aa gayi aur MLA ko le gaye sath me bhagdad me jo bhi hatahat huye the unko bhi.

Tab jakar mujhe alka ka dhyan aaya to maine uski halat dekh fauran god me utha kar bahar bhaga….uncle ne jaldi se car ka door open kiya..hum jaldi se vaha se nikal gaye….mere vaha se nikalte hi vo tasveer phir se vaha se gayab ho gayi.

Ghar pahuch kar maine jaldi se alka ko bed par litaya…uske chehre par pani chhidka lekin vo hosh me nahi aayi kanchan bhi behad darri huyi thi aur mujhe chhod hi nahi rahi thi…alka ki halat dekh ab mujhe tension hone lagi thi.

Kumar—uncle jaldi se kisi doctor ko call kijiye.

Rastogi—haaa..abhi call kar ke bulata hu.

Uncle doctor ko call lagate huye bahar chale gaye aur main bar bar alka ko hosh me lane ki koshish karta raha… nandini aunty bhi uska sir sahlaye ja rahi thi.

Kanchan—Jiju..vo mujhe bhi maaar degiii

Kumar—koi nahi maar dega…main hu tumhare paas,,,phir kaisa darr.

Kanchan (seene se lagte huye)—aap mujhe chhod kar kahi mat jana....nahiii...to main bhi mar jaungii

Kumar—kuch nahi hoga...na to tumhe aur na hi alka ko...main kuch bhi nahi hone dunga.

Nandini—kumar jo aaj hua vo sab kya tha... ?

Kumar—pata nahi...main to khud bhi confuse hu.

Tab tak uncle ek doctor ko pakad laye…usne check karne ke baad alka ke hath me ek injection lagaya…aur kuch medicines di khilane ke liye hosh me aane ke baad.

Doctor—kuch nahi…inke dil me darr baith gaya hai…chinta ki koi baat nahi hai…sab theek ho jayega..every thing is normal.

Rastogi—kab tak hosh me aa jayegi meri beti doctor.

Doctor—hosh me to ye ek se do ghante me aa jayegi lekin injection ke asar ke karan ye abhi kuch ghante need me hi rahengi…

Kumar—thanks doctor

Iske baad vo chala gaya..lekin hum sab vahi baithe rahe alka ke paas…uncle bahar se khana le aaye..mann to nahi tha par unke dabav me khana pada…kanchan ko bhi maine hi khilaya.

Rastogi—jis baat ka darr tha hame akhir vo hi hua

Kumar—maine to mana kiya tha ki uss tasveer ko exhibition me shamil mat kijiye..khair jo ho gaya..uske upar baat karne se kya fayda.

Rastogi—lekin tumhari vo painting kuch hi ghanto me poore desh me charcha ka mukhya vishay ban gayi hai…bahut famous ho gayi hai vo painting ab.

Hum sab aise hi bato me lage rahe…kanchan meri god me sir rakh kar hi so gayi..nandini ne usko sofe par sidha litaya…shaam hote hote bhola uss aghori ke guru ko lekar aa gaya…uncle aur aunty ne usko pranam kiya to maine namaste kiya.

Usko haal me baith kar aunty ne chaay nasta diya…main alka ke paas chala gaya…udhar uncle usko sari ram kahani batane lage.

Aghori—hmmmm….baat to badi hi vichitra hai…phir bhi main ek bar uss ladki aur poore ghar ka avlokan karna chahta hu.

Rastogi—theek hai..aaiye mere sath

Uncle aghori ko ghar ka ek ek kona dikhane lage…vo badi bariki se har jagah ka nirikshan karta raha….ant me vo mere kaksh me aaye..lekin aghori darwaje ke bahar hi ruk gaya.

Nandini—kya hua maharaj…? Andar aa jaiye..yahi hai vo ladki.

Kuch der tak vo vahi darwaje ke paas khade khade ankhe band kar ke kuch budbudata raha dhire dhire, ya shayad koi mantra jaap kar raha ho..tatpashchat vo andar aa gaya.

Andar aane ke baad vo alka ko bade dhyan se dekhta raha…uski ankhe, nakhoon aadi gaur se dekhne ke baad kamre ko dhyan se dekhne laga.

Nandini—maharaj..kuch bhi kar ke hame iss musibat se chhutkara dilaiye.

Aghori—ye itna saral nahi hai beti…..badi hi jatil samasya lag rahi hai….mere rahne ke liye ek kamre ka prabandh kar do…aur kuch saman jo main likh kar de raha hu vo yatha shighra le aaiye…mujhe kuch kriyaye karni padegi iss gutthi ko samajhne ke liye aur uss nagin ko vash me karne ke liye.

Usne kuch saman likhwaye ..jinhe lane ke liye uncle ne bhola ko bhej diya…raat ka khana bhi bahar se order kar ke mangwa liya….dinner ke baad aghori ek kamre me chala gaya aur darwaja band kar ke andar apni sadhna karne laga.

Iss douran alka ko kshanik hosh aaya kintu phir usne apni ankhe band kar li…main bhi uske hi paas me let gaya.. kanchan mere se chipak kar let gayi.

Uncle aur aunty bhi haal me sofe par hi let gaye….shayad unki bhi jhapki lag gayi thi…aghori abhi bhi apni kriya me laga hua tha…lete huye thakan aur do din se na sone ke karan meri bhi need lag gayi.

Achanak sote huye mujhe kuch badi ajib ajib si awaze sunayi dene lagi…meri kachchi need fauran khul gayi…maine mahsoos kiya ki ye mera swapn nahi balki haqiqat me koi dhire dhire kisi ladki ki awaz me kuch gunguna raha hai.

Maine palat kar turant apne bagal me alka ki taraf rukh kiya to shocked rah gaya….alka vaha nahi thi…maine awaz ki disha me jab dekha to meri ruh tak kaamp gayi..aur main jor se chilla pada.

Kumar (jor se)—alkaaaaaaaaaaa

Mere jor se chillane ki awaz se sabki need toot gayi…sab bhagte huye mere kamre me aa gaye…kanchan bhi uth kar baith gayi aur darr se kaampne lagi….jaise hi sabki nazar alka par gayi to unki ankho me bhi khauf utar aaya

Aghori bhi kisi anhoni ki ashanka se jaldi se darwaja khol kar doud kar aaya to vo bhi ye drishya dekh kar ashchakit huye bina nahi rah saka.

Drishya tha hi kuch aisa ki jo bhi dekh leta vahi dahshat me aa jata….alka iss samay upar ki chhat wali railing par kisi chhipkali ki tarah chipki huyi thi aur dhire dhire kuch gunguna rahi thi.

Ye sab dekhne ke baad aaj mera vishwash dharashayi ho chuka tha…meri ankhe ye scene dekh kar pani barsane lagi..vahi dasha sab ki ho rahi thi.

Nandini (rote huye)—maharaj—meri beti ko ye kya ho gaya…? Jaldi se kuch kariye…?

Aghori—main abhi isse sahi karta hu.

Aghori turant apne kriya wale kamre me gaya aur apna jhola utha laya...usme se chita ki bhasm nikal kar apne hath me rakh ke kuch mantra padhne laga aur phir uss bhasm ko alka ki taraf muh kar ke phenk diya lekin usse kuch nahi hua ulta alka ke gale se bhayanak fufkar ki awaz nikalne lagi aur vo aghori ko apni lal lal ankho se ghurte huye chhat ki deewar par chhipkali ki tarah chalne lagi.

Aghori ne kayi bar uske upar chita ki raakh phenki lekin koi asar nahi hua to usne apne jhole me se khopdi nikal kar kuch mantra padhne laga ki tabhi jor se gusse me fufkarte huye alka ki jeebh bahar nikli aur ek jhatke me hi aghori ki gardan ko apni jeebh me lapet kar upar khich liya.

Aghori kuch samajh pata ki uske pahle hi chatt ki awaz ke sath uski gardan toot gayi....ye sab itna jaldi hua ki kisi ko kuch samajhne ka mouka hi nahi mil paya.

Aghori kisi ped se kate huye kisi patte ki bhanti jamin par dhadam se gir gaya....sab ki antar atma tak kaamp uthi iss vibhats drishya ko dekh kar...

Abhi hum sambhal bhi nahi paye the ki tabhi ..........
Nice update
 
Top