Jitu kumar
Active Member
- 1,946
- 6,493
- 143
Awesome update anand bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai

Awesome bhai
Aghori ne kayi bar uske upar chita ki raakh phenki lekin koi asar nahi hua to usne apne jhole me se khopdi nikal kar kuch mantra padhne laga ki tabhi jor se gusse me fufkarte huye alka ki jeebh bahar nikli aur ek jhatke me hi aghori ki gardan ko apni jeebh me lapet kar upar khich liya.
Aghori kuch samajh pata ki uske pahle hi chatt ki awaz ke sath uski gardan toot gayi....ye sab itna jaldi hua ki kisi ko kuch samajhne ka mouka hi nahi mil paya.
Aghori kisi ped se kate huye kisi patte ki bhanti jamin par dhadam se gir gaya....sab ki antar atma tak kaamp uthi iss vibhats drishya ko dekh kar...
Abhi hum sambhal bhi nahi paye the ki tabhi ..........
Ab Aage……
Alka ka ye bhayanak roop dekh kar sab dahal gaye…..unhe samajh me nahi aa raha tha ki kya kare aur kya na kare…? Kintu koi bhi ab aage badhne ki himmat nahi juta pa raha tha.
Abhi hum khud ko iss bhayanak hadse se sambhal bhi nahi paye the ki tabhi achanak alka ne chhat ki railing par chhipkali ki tarah rengte huye niche utarne lagi.
Usko niche aate dekh kar sab do kadam piche ho gaye kisi agami akasmik ghatna ko soch kar…..alka niche utarte huye jaise hi khidki ke karib pahuchi vaise hi ek nazar meri taraf dekha aur phir vahi se khidki ke bahar chhalang laga di.
Ye dekh kar sab ki cheekh nikal gayi…..sab bhagte huye khidki tak aa gaye lekin unke mann me darr itna adhik haavi ho chuka tha ki vo uske bahar dekhne se bhi katra rahe the.
Kumar (chillate huye)—alkaaaaaaaaaaaa.
Main turant cheekh kar khidki ke paas aaya aur vahi se turant bahar kood gaya kintu alka ka kahi koi namo nishan tak nahi tha….itna jaldi vo kidhar chali gayi, kuch samajh nahi aaya.
Mere piche piche sab doud kar pahuch gaye lekin unhe bhi kewal hairangi ke siwa kuch nahi mila….main paglo ki tarah idhar udhar bhag kar alka ki talash karne laga.
Aaj meri soch, meri dharna sab kuch jaise dharasayi ho chuki thi….rastogi uncle aur aur aunty mujhe sambhalne ki bharpur koshish kar rahi thi kintu main iss samay kuch bhi sochne samajhne ki halat ko paar kar gaya tha.
Rastogi—khud ko sambhalo kumar…agar tum hi aise toot jaoge to alka ka kya hoga….? Koun bachayega usko…?
Kanchan—ye sab uss nagin ka hi kiya dhara hai…..vo ab mujhe bhi nahi chhodegi…mujhe bhi maar degi vo.
Rastogi—kya ab bhi tumhe ye sab kewal ek andh vishwash lagta hai….? Itna sab kuch ho jane ke baavjud bhi kya tum abhi bhi isko dhong aur aadambar ka naam de sakoge…..?
Nandini—khud ko sambhalo kumar beta aur kisi tarah alka beti ko uss nagin ke changul se bachane ke bare me socho….vo kitni khatarnak hai ye to tum khud bhi dekh chuke ho…isse pahle ki vo alka ko koi nuksan …
Kumar (chillate huye)—kuch nahi hoga alka ko……main usko kuch nahi hone dunga…..ab jo bhi karna hai main khud karunga…agar alka ko kuch bhi hua to aag laga dunga sari duniya ko…
Rastogi—ye samay kroadh me hosh khone ka nahi hai balki shant dimag se kuch soch vichar karne ka hai..jisse alka ko bachaya ja sake.
Kanchan—akhir vo nagin humse chahti kya hai…..?
Bahut der tak alka ko khojne ke baad jab vo nahi mili to sabhi nirash ho kar andar aa gaye…..ab koi bhi akela nahi rahna chahta tha, vaise bhi need to ab sabhi ankho se koso door ja chuki thi to vo sab mere hi kamre me aa kar baith gaye.
Kumar (vichlit)—pata nahi kaha chali gayi alka..? itna jaldi vo kaise kahi gayab ho sakti hai... ?
Rastogi—vo sirf alka ka sharir tha...jis par uss nagin ne kabza kar liya hai....uske paas jarur hi koi na koi shakti hai jiske karan vo itni adhik khatarnak hai....varna itne bade tantrik aghori guru ko marna saral kaam nahi hai.
Kumar—ab main apni alka ko kaise vapis laun kuch samajh me nahi aa raha... ? kya karu, kaise karu.. ? ab aap hi koi upay bataye uncle....main alka ke liye sab kuch karne ko taiyyar hu.
Rastogi—ab to mere paas bhi koi idea nahi hai ... aghori se ummid thi to usko bhi uss nagin ne itni asani se maar diya..isse hi uski taqat ka andaza lagaya ja sakta hai.
Hum sabhi vahi baith kar alka ko bachane ke liye soch vichar karte huye apne apne tark dene lage...iss douran rastogi uncle ne uss aghori ki dead body ko bhola ke jariye kahi dafnane ko bhej diya.
Kumar—samajh me nahi aata ki kaha se alka ke talash ki shuruwat karu.... ?
Kanchan—jiju, apko uss nagin ne kuch kagaz diya tha na....aur usme kahi par aane ke liye kaha tha...aap vahi se shuruwat kyo nahi karte hain.... ?
Rastogi—ye to tumne bilkul sahi baat kahi hai beti….main bhi iss baat se sahmat hu…akhir kahi na kahi se to hame shuruwat karni hi padegi.
Kumar—shayad aap theek kahte hain...main aaj hi vaha jaunga..shayad vahi se koi clue mile.
Nandini—vaise uss kagaz me kis jagah par jane ka likha hua tha.... ?
Kumar—himalaya me ek roop kund namak jheel hai...vahi par jane ke liye likha tha...pata nahi ye jheel hai bhi ki nahi..pata nahi.
Kanchan—kya abhi raat me jana theek rahega.... ? aur haan..apke sath main bhi chalungi..yaha rahi to vo nagin jarur mujhe bhi hadap kar jayegi.
Kumar—nahi mere sath koi bhi nahi jayega….main ab aur kisi ki zindagi khatre me nahi daal sakta….apni manzil ab mujhe khud hi talash karni hogi.
Kanchan—nahi..main jaungi apke sath…main apko akele nahi jane dungi.
Rastogi—hum dono bhi tumhare sath chalenge…alka agar tumhari patni hai to hamne bhi usko apni beti mana hai ab jo bhi hoga dekha jayega.
Kumar—lekin uncle….
Nandini—lekin vekin kuch nahi…subah hote hi hum sab sath me chalenge.
Kumar—magar uncle…alka to yahi thi na…itna jaldi vo vaha himalaya tak kaise pahuch sakti hai…?
Nandini—jaise vo deewar par bina kisi sahare ke chadh sakti hai..vaise hi uss nagin ke liye kuch bhi karna asambhav nahi hai.
Rastogi—aur vaise bhi mujhe lagta hai ki vo nagin alka ko marna nahi chahti hai…agar usko marna hota to kab ka maar chuki hoti vo..kintu phir bhi kuch na kuch nuksan to pahucha hi sakti hai…ya phir shayad vo alka ko tumse door rakhna chahti hai.
Kumar—agar vo alka ko mujhse door rakhna chahti hai to vo alka ko maar bhi to sakti hai…?
Rastogi—haan..agar vo alka ko tumse door na kar payi tab aisa bhi kar sakti hai.
Hum sab raat bhar apne agle kadam ke baare me yojna banate rahe aur intazar karte rahe ki shayad alka kahi se lout aaye … kintu jab vo nahi aayi to subah hote hi apne ghar ki dekh rekh karne ki jimmedari bhola ko soump kar hum ek anjane safar ki oor nikal pade…ye bina jane samjhe ki ye safar hamare liye kitna khatarnak ho sakta hai aur meri jeevan ki disha hi badal sakta hai.
Nice update