• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Nafrat: pyaar ki ek kahani

parkas

Well-Known Member
26,232
58,567
303
Nice and hot update...
Arav se baldle ki chah me mili har nakami uske anadr nafrat me badal gayi aur ye nafrat samay ke sath badhti ja rahi hai .
Jab ye nafrat had jyada badh jaye to samne walo ko jalane me kabhi khood bhi jal jate hai .
Dekhte hai Anu ke es nafrat ka kya anjam nikalta hai.
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,054
188
Nice update
 

Aryanv

Active Member
1,319
4,003
158
UPDATE 8
Sunny Anu ke jaane ke baad andar aa jaata hai. Wo bahut gusse mai hota hai. Shaam ho chuki thi,Aarav khaana bana raha hota hai.
Aarav: sunny khaana ban gaya hai, chal khaate hai.
Aarav plate lagata hua kehta hai.
Sunny: mujhe bhook nahi hai.

Sunny use ektuk keh deta hai.

Aarav: ab tujhe kya hua yr, tune kyu muh fulaya hua hai.

Sunny: tujhe kya farq padta hai, tujhe to apne siwa koi aur dikhai hi nahi deta.
Sunny poore gusse mai hota hai.
Aarav: Tu kesi baate kar raha hai yr, tujhe achhi tarah pata hai ki meri life mai teri aur hamare pariwar ki ahmiyat sabse jyada hai.

Sunny: m Anu ki baat kar raha hu, tujhe andaza bhi hai aaz tune uski kitni beizzati ki hai.

Sunny uski aur dekhkar bola.

Aarav: oh to tera mood is wajah se off hai, mtlb ab tu uski wajah se mujhse naraaz hoga.

Aarav bhi uske saamne bethta hua bola.
Sunny: ha m naraaz hu, kyonki wo itni achhi ladki hai aur tune na jaane kitni baar uski beizzati ki hai. Lekin wo sari beizzati chupchap bardst karti rahi kyu...kyuki wo tujhe chahne lagi hai. Pure college mai sabse khubsurat ladki hai wo, uske peeche ladko ki kami nahi hai. Lekin us bechari ki kismat hi futi hui hai ki use tujh jese admi se pyaar hua.

Aarav: sunny tujhe to pata hai na yaar ki m.....
Sunny: ha pata hai, tere wo purane parvachan bla..bla... bla.

Sunny uski baat kaat te hue bola aur uthkar khaana khaane laga. Phir dono chup chap khaana khaane lagte hai, aur phir badhne beth jaate hai. Raat ko sone se pehle Aarav ko Anu ki aur se good night msg aata hai.
Sunny: dekha, wo teri har ek beizzati, tera gussa sab kuch bardast kar rahi hai. Kyonki wo tujhse pyaar karti hai, warna koi kisi ki nahi sunta aaz ke waqt mai.

Sunny bistar par lait te hue bola. Aarav bhi bina koi jawab diye lait jaata hai. Lekin uske saamne Anu ka rota hua chehra saamne aa raha tha.

Aarav: ha mene uski kuch jyada hi insult kardi hai, lekin m kya karu, jab wo mujhe baar baar disturb kar rahi hai. Lekin mujhe is tarah se react nahi karna chahiye tha.Ok kal m use sorry bol dunga.

Aarav sochte hue so jaata hai. Subah uthte hi Anu ka phir se good morning ka sms tha. Wo dono ready hokar college ke liye nikal jaate hai. Lecture on ho jaate hai, lekin aaz Anu aur nidhi abhi tak nahi aayi thi. Kafi der baad wo dono bhi aa jaati hai. Lunch time mai wo dono canteen aate hai.

Sunny: mere liye samosa bol dena, mujhe aaz thodi bhook lag rahi hai.
Sunny haath dhote hue bola. Wo dono aakar chair par bethe hi the ki waha Anu aati hai.

Anu: ye lo, ye apne bhai ko de dena, mene uske liye banaya tha.
Anu sunny ko ek tiffen dete hue boli aur ye kehkar wo waha se nikal gayi.
Sunny: le bhai, tere liye dekar gayi hai. Lekin hai kya isme.. khushbu to badi achhi aa rahi hai.

Sunny tiffen uski aur badhata hua bola.
Aarav: mujhe usme ya uski kisi bhi cheezo mai koi interest nahi hai.
Aarav apni coffee ka sip leta hua bola.
Sunny: theek hai to m hi open karke dekhta hu ki isme kya hai.
Sunny use open karte hue bola.
Sunny: woww yr isme to teri favourite dish hai.

Sunny uski aur tiffen badhate hue bola. Aarav dekhta hai to usme kheer thi. Kheer dekhkar Aarav ki jeebh laplapayi, lekin usne khud ko control kiya. Usne us se tiffen liya aur use lekar canteen se bahar chala gaya.
Sunny: ab ise kya hua, ye yaha beth kar bhi to khaa sakta tha.

Aarav ko jaate dekh sunny khud se bolta hai.
Bahar aakar Aarav Anu ko dhoondne lagta hai. Wo use park mai bethe hue milti hai.

Aarav: mujhe tumse baat karni hai.
Aarav Anu aur Nidhi ke paas aata hua bola.
Anu: ha bolo.

Anu khush hote hue kehti hai.

Aarav: sabse pehle to kal jo hua uske liye sorry.
Anu: koi baat nahi Aarav. M us baat ko kabka bhool gayi hu.

Anu uski aur smile karte hue kehti hai.
Aarav: ok theek hai, dekho Anu achha ye hi hoga ki tum mujhse door raho. M tumhare type ka ladka nahi hu. M ek middle class family se belong karta hu. Tumhe to pata bhi nahi hoga ki kese ek maa baap khud apni ichhaye, apne shok ko maarkar apne bacho ki har khawaish puri karta hai. Unhe padhata likhata hai taaki wo unka naam roshan kar sake. Aur mere parents bhi aese hi hai, unhone bhi mere liye bahut si kurbaniya di hai. Taki m apne pero par khada ho saku. Wo apne har sapne ko mujhme jeena chahte hai.Aur m unki har ichha puri karna chahta hu. Isliye m nahi chahta ki mere aur mere goal ke beech mai koi aur aaye, jo mujhe us se door kare.
Aryan ne ek hi saans mai apni saari baat bata di.
Anu: Aarav tum mujhe ek baar aazma kar to dekho, m har kadam par tumhara saath dungi. Mujhe tum jis haal mai rakhoge, jaha rakhoge.. m bilkul wese hi rahungi. Kabhi tumhare dream ke beech mai nahi aaungi. Tumhare parents ko apne parents samjhungi.

Anu bhi uski baat ka jawab dete hue boli.
Aarav: sorry Anu, lekin sach ye hi hai ki mujhe tum mai koi interest nahi hai.

Aarav waha se jaate hue bola.
Aarav: aur ha ye... mujhe iski jarurat nahi hai.
Aarav wapas mudta hua use tiffen dekar kehta hai.
Anu: lekin ye mene tumhare liye banaya tha, kyonki ye tumhari favourite dish hai.

Aarav: ha favourite dish hai lekin meri mummy ke haatho se bani hui.

ye kehkar Aarav waha se chalta bana.
Anu: aur kitni beizzati karega ye meri.
Anu daant peeskar kehti hai.

Nidhi: Anu yr jaane de na, wo bechara mid family se belong karta hai. Wo apne parents ko khushi dene ke liye har haal mai apna sapna pura karna chahta hai. Kyu kisi ki bad duae leni hai yr hame.

Nidhi Aarav ki side lete hue boli.
Anu: nahi Nidhi, ab to paani sar se upar jaa chuka hai. Ab to shayad m ek pal ke liye bhool bhi jaati, lekin kal jo usne meri beizzati ki hai, use m zindagi bhar nahi bhulungi. Aur uska sapna.. wo to m kisi bhi haal mai pura nahi hone dungi. IAS ban na hai na use, tu dekhna wo hawaldar tak nahi ban paayega.

Aur aese hi class off ho jaati hai. Class mai bhi Anu sirf Aarav ki aur hi dekhti rahi. Jiski wajah se teacher ne use daanta bhi. Ghar aakar raat ko goodnight aur subah mai good morning wish karna uska roz ka kaam ho gaya tha.
Anu to ekdam piche hi pad gai है
 
  • Like
Reactions: aman rathore

Robins

Member
207
427
78
Meri ye story bhi pehli srory ki tarah ek romantic love story hogi. Ye pure romantic story hogi to isme sex naam ki koi cheez add nahi hogi. Agar add hogi to sirf last mai.


INTRODUCTION
ye kahani ek middle class family se related hai. Joki varansi city mai rehti hai. Is pariwar mai har log ek dusre par jaan chhidakte hai. Is pariwar mai kul milakar 6 log hai.
1. Vishnu sharma:: ye ek 65 saal ke buzurg vyakti hai, is ghar ke mukhiya. Bahut hi shaleen, samjhdar,robdar lekin kathor. Inka hamesha se ye hi maanna hai ki sabse badhkar ijjat hoti hai. Ye apne hero se bahut pyaar karte hai. Ghar mai inka hi hukm chalta hai. Inki wife ki kafi time pehle maut ho chuki hai. Inke 2 bete aur 1 beti hai. Lekin aaz se kafi waqt pehle inke chhote bete ne bhaag kar shaadi karli thi. Aur inhone apni izzat ko barkarar rakhte hue use apni jindagi se nikal diya tha. Lekin sachhai ye hai ki wo aaz bhi apne chhote bete ko bahut miss karte hai. Unke bete ne bahut baar unse baat karne ki kosis ki thi lekin unhone apni izzat ko hamesha hi upar rakha. Ab aate hai inke bade bete par yaani ki hero ke pitaji.

2. Anil sharma:: inki age lagbhag 45 saal hai. Ye ek govt worker hai. Ye apne pariwar se bahut pyaar karte hai. Ye bhi apne chhote bhai ko hamesha miss karte hai, lekin apne baap ki wajah se kabhi unki apne bhai ko wapas laane ki himmat hi nahi hui. Ab to unhe pata bhi nahi hai ki wo kis haal mai hai, kaha hai.

3.Savita sharma: ye Anil ki wife hai, gora rang, bahut khoobsurat. Ghar ko kese chalaya jaata hai, ye inhe bakhubi pata hai. Ghar mai har kisi ki jarurat, pasand-napasnd ka unhe achhi tarah se pata hai. Apne bachho se ye bahut pyaar karti hai.

4. Neelam:: ye Anil ki badi beti hai. Inki age lagbhag 24 saal hai, kuch waqt pehle hi inki shaadi hui hai. Inke pati ka naam punit hai.

5. Aarav:: aur ye hai is kahani ka hero. Age lagbhag 22 saal hai- bahut hi handsome,smart aur ekdam fit. Is par hamesha se hi ladkiya marti hai, lekin ye janab hai ki kisi ko bhi bhaw nahi deta. Ye apni family se bahut pyaar karta hai. Ye koi bhi aesa kaam nahi karta jis se ki iske pariwar walo ko koi bhi pareshani ho isliye ye pyaar, mohabbat jesi cheezo se door hi rehta hai. Ye padhne mai bahut hoshiyar hai, iska bas ek hi dream hai ki ye ek IAS officer bane. Abhi haal mai hi isne BBA khtm ki hai. Ye ab aage tayyari karna chahta tha lekin apne jigri yaar (joki iski bua ka ladka bhi hai) ki wajah se isne admission ke liye apply kiya aur dono ko MBA ke liye delhi university mai admission bhi mil gaya tha.

6. Ayush: ye is ghar ka sabse chhota beta hai. Isne abhi 12 complete ki hai. Ye bhi handsome, smart hone ke saath saath kafi shararati bhi hai. Ye pure ghar mai toofan mail bana ghumta hai. Isne isi city ke college mai admission liya hai.

Ab aate hai Anil ki behan par. Inka naam Reena hai. Vishnu apni beti se bahut pyar karta tha isliye usne apni beti ki shadi isi city mai ki thi. Dono pariwaro ka aapas mai bahut jyada pyaar tha.

1.Reena Sharma: ye sabhi bhai behno mai sabse chhoti hai. Inki age lagbhag 41 saal hai. Ye apne bhai aur baap se bahut pyaar karti hai. Aur jitna pyar ye apne bete se karti thi, utna hi pyar ye Aarav se bhi karti thi.

2. Sunil: ye reena ke husband hai, ye ek police officer hai. Ye bhi apne pariwar par jaan chidakte hai. Inke 2 bachhe hai.

3. Sunny: ye inka bada beta hai. Age lagbhag Aarav jitni hi hai. Ye bhi kafi handsome hai. Body Aarav ki tarah hi muscular hai, lekin us se thoda kam. Ye dono bachpan se hi ek dusre ki jaan hai. Ek saath rehna, khaana-peena,padhna sab saath hota tha. Dono ek hi school mai saath padhte the, phir college bhi saath kiya. Dono ek dusre ko khud se bhi jyada jaante hai. Inki dosti ki log misaal diya karte hai.
4. Tanu: ye is ghar ki choti beti hai. Abhi 12 class mai aayi hai. Ye bhi kafi natkhat hai.

Aur baki charactes ka introduction aage aage hota rahega.
but ye to incest section h....love story....i didn't get the point
 
  • Like
Reactions: aman rathore

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,197
158
UPDATE 8
Sunny Anu ke jaane ke baad andar aa jaata hai. Wo bahut gusse mai hota hai. Shaam ho chuki thi,Aarav khaana bana raha hota hai.
Aarav: sunny khaana ban gaya hai, chal khaate hai.
Aarav plate lagata hua kehta hai.
Sunny: mujhe bhook nahi hai.

Sunny use ektuk keh deta hai.

Aarav: ab tujhe kya hua yr, tune kyu muh fulaya hua hai.

Sunny: tujhe kya farq padta hai, tujhe to apne siwa koi aur dikhai hi nahi deta.
Sunny poore gusse mai hota hai.
Aarav: Tu kesi baate kar raha hai yr, tujhe achhi tarah pata hai ki meri life mai teri aur hamare pariwar ki ahmiyat sabse jyada hai.

Sunny: m Anu ki baat kar raha hu, tujhe andaza bhi hai aaz tune uski kitni beizzati ki hai.

Sunny uski aur dekhkar bola.

Aarav: oh to tera mood is wajah se off hai, mtlb ab tu uski wajah se mujhse naraaz hoga.

Aarav bhi uske saamne bethta hua bola.
Sunny: ha m naraaz hu, kyonki wo itni achhi ladki hai aur tune na jaane kitni baar uski beizzati ki hai. Lekin wo sari beizzati chupchap bardst karti rahi kyu...kyuki wo tujhe chahne lagi hai. Pure college mai sabse khubsurat ladki hai wo, uske peeche ladko ki kami nahi hai. Lekin us bechari ki kismat hi futi hui hai ki use tujh jese admi se pyaar hua.

Aarav: sunny tujhe to pata hai na yaar ki m.....
Sunny: ha pata hai, tere wo purane parvachan bla..bla... bla.

Sunny uski baat kaat te hue bola aur uthkar khaana khaane laga. Phir dono chup chap khaana khaane lagte hai, aur phir badhne beth jaate hai. Raat ko sone se pehle Aarav ko Anu ki aur se good night msg aata hai.
Sunny: dekha, wo teri har ek beizzati, tera gussa sab kuch bardast kar rahi hai. Kyonki wo tujhse pyaar karti hai, warna koi kisi ki nahi sunta aaz ke waqt mai.

Sunny bistar par lait te hue bola. Aarav bhi bina koi jawab diye lait jaata hai. Lekin uske saamne Anu ka rota hua chehra saamne aa raha tha.

Aarav: ha mene uski kuch jyada hi insult kardi hai, lekin m kya karu, jab wo mujhe baar baar disturb kar rahi hai. Lekin mujhe is tarah se react nahi karna chahiye tha.Ok kal m use sorry bol dunga.

Aarav sochte hue so jaata hai. Subah uthte hi Anu ka phir se good morning ka sms tha. Wo dono ready hokar college ke liye nikal jaate hai. Lecture on ho jaate hai, lekin aaz Anu aur nidhi abhi tak nahi aayi thi. Kafi der baad wo dono bhi aa jaati hai. Lunch time mai wo dono canteen aate hai.

Sunny: mere liye samosa bol dena, mujhe aaz thodi bhook lag rahi hai.
Sunny haath dhote hue bola. Wo dono aakar chair par bethe hi the ki waha Anu aati hai.

Anu: ye lo, ye apne bhai ko de dena, mene uske liye banaya tha.
Anu sunny ko ek tiffen dete hue boli aur ye kehkar wo waha se nikal gayi.
Sunny: le bhai, tere liye dekar gayi hai. Lekin hai kya isme.. khushbu to badi achhi aa rahi hai.

Sunny tiffen uski aur badhata hua bola.
Aarav: mujhe usme ya uski kisi bhi cheezo mai koi interest nahi hai.
Aarav apni coffee ka sip leta hua bola.
Sunny: theek hai to m hi open karke dekhta hu ki isme kya hai.
Sunny use open karte hue bola.
Sunny: woww yr isme to teri favourite dish hai.

Sunny uski aur tiffen badhate hue bola. Aarav dekhta hai to usme kheer thi. Kheer dekhkar Aarav ki jeebh laplapayi, lekin usne khud ko control kiya. Usne us se tiffen liya aur use lekar canteen se bahar chala gaya.
Sunny: ab ise kya hua, ye yaha beth kar bhi to khaa sakta tha.

Aarav ko jaate dekh sunny khud se bolta hai.
Bahar aakar Aarav Anu ko dhoondne lagta hai. Wo use park mai bethe hue milti hai.

Aarav: mujhe tumse baat karni hai.
Aarav Anu aur Nidhi ke paas aata hua bola.
Anu: ha bolo.

Anu khush hote hue kehti hai.

Aarav: sabse pehle to kal jo hua uske liye sorry.
Anu: koi baat nahi Aarav. M us baat ko kabka bhool gayi hu.

Anu uski aur smile karte hue kehti hai.
Aarav: ok theek hai, dekho Anu achha ye hi hoga ki tum mujhse door raho. M tumhare type ka ladka nahi hu. M ek middle class family se belong karta hu. Tumhe to pata bhi nahi hoga ki kese ek maa baap khud apni ichhaye, apne shok ko maarkar apne bacho ki har khawaish puri karta hai. Unhe padhata likhata hai taaki wo unka naam roshan kar sake. Aur mere parents bhi aese hi hai, unhone bhi mere liye bahut si kurbaniya di hai. Taki m apne pero par khada ho saku. Wo apne har sapne ko mujhme jeena chahte hai.Aur m unki har ichha puri karna chahta hu. Isliye m nahi chahta ki mere aur mere goal ke beech mai koi aur aaye, jo mujhe us se door kare.
Aryan ne ek hi saans mai apni saari baat bata di.
Anu: Aarav tum mujhe ek baar aazma kar to dekho, m har kadam par tumhara saath dungi. Mujhe tum jis haal mai rakhoge, jaha rakhoge.. m bilkul wese hi rahungi. Kabhi tumhare dream ke beech mai nahi aaungi. Tumhare parents ko apne parents samjhungi.

Anu bhi uski baat ka jawab dete hue boli.
Aarav: sorry Anu, lekin sach ye hi hai ki mujhe tum mai koi interest nahi hai.

Aarav waha se jaate hue bola.
Aarav: aur ha ye... mujhe iski jarurat nahi hai.
Aarav wapas mudta hua use tiffen dekar kehta hai.
Anu: lekin ye mene tumhare liye banaya tha, kyonki ye tumhari favourite dish hai.

Aarav: ha favourite dish hai lekin meri mummy ke haatho se bani hui.

ye kehkar Aarav waha se chalta bana.
Anu: aur kitni beizzati karega ye meri.
Anu daant peeskar kehti hai.

Nidhi: Anu yr jaane de na, wo bechara mid family se belong karta hai. Wo apne parents ko khushi dene ke liye har haal mai apna sapna pura karna chahta hai. Kyu kisi ki bad duae leni hai yr hame.

Nidhi Aarav ki side lete hue boli.
Anu: nahi Nidhi, ab to paani sar se upar jaa chuka hai. Ab to shayad m ek pal ke liye bhool bhi jaati, lekin kal jo usne meri beizzati ki hai, use m zindagi bhar nahi bhulungi. Aur uska sapna.. wo to m kisi bhi haal mai pura nahi hone dungi. IAS ban na hai na use, tu dekhna wo hawaldar tak nahi ban paayega.

Aur aese hi class off ho jaati hai. Class mai bhi Anu sirf Aarav ki aur hi dekhti rahi. Jiski wajah se teacher ne use daanta bhi. Ghar aakar raat ko goodnight aur subah mai good morning wish karna uska roz ka kaam ho gaya tha.
:reading1:
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
39,700
100,679
304
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: aman rathore
Top