Riitesh02
Creepy Reader
- 863
- 2,878
- 138
Use kya pata tha jo rista uske chacha ke karan tuta tha wo uske karan wapis judne wala hai.UPDATE 17
Subah Aarav ki neend khulti hai. Wo apna mobile dekhta hai to hamesha ki tarah az Anu ka gm sms nahi thi. Wo Sunny ko uthata hai lekin wo chadar taankar pada rehta hai. Phir Aarav akela hi exercise ke liye chala jaata hai. Wo wapas aata hai to Sunny naasta banane mai laga tha.
Aarav: kya hua, tu mujhse kyu naraaz hai yr.
Aarav ready hone ke baad aata hua bola.
Sunny: nahi m kyu naraaz hounga, naaraaz to us bande se hote hai, jise kisi ki narazgi se farq padta ho.
Sunny nasta serve karte hue bola.
Aarav: tu mujhpe tanz kas raha hai.
Sunny: nahi m tujhe sachhai bata raha hu.
Aarav: wese mene nahi socha tha ki ek ladki ki wajah se hamare beech dooriya aa jaayegi.
Aarav bahut emotional hokar ye baat kehta hai.
Sunny: Aarav hamare beech dooriya naam ki koi cheez nahi hai samjha. Ham dono ko hi achhi tarah se pata hai ki ham ek dusre ki life mai kya maayne rakhte hai. Aur m sirf tujhse naraaz hu.
Sunny use kehta hai.
Aarav: ok chal, jaldi finish kar.
Aur wo dono college ke liye nikal gaye. Aaz Nidhi bhi college nahi aayi thi.
------
------
Anu: gm papa, mummy...
Anu apne papa ko hug karte hue boli.
Vinod: gm my angel, chalo betho naasta karo.
Vinod use bethne ke liye kehta hai.
Shalu: aaz college se kyu chutti ki tune.
Shalu nasta serve karte hue boli.
Anu: mummy college mai 2-3 kuch khaas nahi hone wala hai to mene socha ki m tab tak papa ke saath office jaaungi.
Vinod: are wah ye to bahut achhi baat hai. Hamari beti aaz hame company degi.
tabhi Anu ko phone bajne lagta hai.
Anu: excuse me papa, Nidhi ka call hai.
Anu waha ss jaate hue boli.
Anu: ha Nidhi kesi hai.
Nidhi: m achhi hu, tu bata kesi hu.
Anu: ha m bhi achhi hi hu.
Nidhi: college aayegi.
Anu: Nahi.
Nidhi: yr Anu uske liye apna carrier kyu barabaad karne par tuli huyi hai tu.
Anu: plz yr Nidhi,mujhe is baare mai koi baat nahi karni hai.
Nidhi: to phir kab tak tu yunhi ghar par rahegi.
Anu: jab tak ki wo mujhe accept nahi kar leta.
Nidhi: tujhe to samjhana hi bekaar hai.
Aur unke beech kuch aur battein hoti rehti hai.
-----
-----
Aaz Sunny ka man college mai nahi lag raha tha. Aarav bhi bas padhai par concentrate kar raha tha, lekin use khud nahi pata tha ki wo concentrate kar bhi paa raha hai ya nahi. Is tarah wo din bhi beet gaya. Next day Nidhi to college aa gayi thi. Teeno class mai ek jagah hi bethe hue the.
Sunny: Anu se baat hui tumhari.
Canteen mai coffee peete hue Sunny Nidhi se puchhta hai. Pass mai hi Aarav bhi betha hua tha.
Nidhi: ha us se to hoti hi rehti hai.
Sunny: to kab college aayegi wo.
Nidhi: ye sawal tumhe mujhse nahi, apne bhai se karna chahiye.
Nidhi Aarav ki aur dekhkar kehti hai.
Sunny: lekin is se kyu.
Nidhi: kyonki jab tak Aarav usko accept nahi karega, wo college nahi aayegi.
Nidhi ek sip lete hue boli.
Sunny: aur agar isne uske pyaar ko accept na kiya to.
Sunny us se puchhta hai.
Nidhi: to wo dobara kbhi college nahi aayegi.
Nidhi seedha sa jawab deti hai. Tabhi canteen mai Ankur, Ajay, tina bhi aa jate hai. Wo Nidhi se Anu ke baare mai puchhte hai, to Nidhi unhe uski tabiyat kharab hone ki baat kehkar taal deti hai. Is tarah se 2 din aur beet jaate hai.
----
----
yaha Nidhi Anu se 2 din baad milne aati hai.
Nidhi: plz yr anu, apni ye zid chhod de na. Tere bina kisi ka bhi man nahi lag raha hai.
Nidhi use manane ki kosis karti hai.
Anu: nahi Anu, ye jid nahi mere pyaar ka junoon hai. Jo m hargiz nahi chhod sakti.
Nidhi: Anu yr kyu us insaan ke peeche khud ko pareshan kar rahi hai, jiska dil hi pathhar ka ho.
Anu: pyaar se to achhe achho ke patthar dil bhi mom ban jaate hai yr.
Nidhi: lekin mujhe nahi lagta yr ki wo banda pighlega.
Tabhi waha Shalu chai lekar aa jaati hai.
Shalu: kya baate ho rahi hai bhai.
Nidhi: kuch khaas nahi Aunty.
Shalu: achha mujhe tum ye batao ki Anu ko college mai koi problem to nahi hai na.
Shalu unke pass bethte hue boli.
Anu: mummmyyyy.
Nidhi: nahi aunty, aesi to koi baat nahi hai...kyu....
Shalu: bas yunhi puchha tha, ek to ye kuch dino se college nahi jaa rahi hai aur pura din pata nahi kin khayaalo mai khoyi rehti hai.ye to kuch bata nahi rahi hai, tu hi bata de kahi koi pyaar vyaar ka chakkar to nahi hai.
Shalu Nidhi ki aur ek tak dekhte hue boli.
Anu: mummy aap bhi na, mene apse kaha to hai aesa kuch nahi hai. Agar kabhi aesa hoga bhi to m sabse pehle apko aur dad ko hi bataungi.
Anu Nidhi ke kuch kehne se pehle hi bol uthi.
Shalu: ok bhai tum logo ki marzi hai. Lekin agar aesi koi baat ho to bata sakti ho, ham khud us ladke se baat kar lenge.
Shalu haste hue boli.
Anu: mom plzz aesi koi baat nahi...
Shalu: ok..ok
-------
Sunny: kya baat hai tera dhyaan kaha hai aaz kal.
Sunny Aarav ko dekhkar kehta gai jab wo khaana banate hue apni ungli jala leta hai.
Aarav: kahi bhi to nahi, bas galti se ho gaya.
Sunny: tujhe kya lagta hai tu mujhse kuchh bhi chhipa payega.
Sunny use dekhkar kehta hai.
Aarav: kya mtlb hai tera...
Sunny: mtlb tujhe bhi pata hai m kis baare mai baat kar raha hu. Tu itna khud ko nahi jaanta jitna m tujhe jaanta hu.
Aarav: achha, aur phir bhi ye sawaal tu mujhse kar raha hai.
Aarav bhi use dekhkar kehta hai.
Sunny: Aarav tu sach kyu nahi kehta yr ki tu Anu se pyaar karta hai.
Aarav: Sunny ye kya bakwas kar raha hai tu.
Aarav thode sakht lehze mai kehta hai.
Sunny: is tarah react karne se sach badal nahi jayega Aarav. TU sabse apni feelings chhipa sakta hai lekin mujhse nahi. Kya mujhe nahi pata ki tu ab pura din khoya khoya sa rehta hai. Tere saamne book hoti hai lekin tera dhyaan kahi aur hi hota hai, subah shaam Anu ke sms ka wait karta hai. Aur tune hi un dono ladko ko peeta tah. Keh de ki ye jhoot hai...
Sunny bhi tunak kar kehta hai.
Aarav: sunny mujhe is baare mai koi baat nahi karni.
Sunny: kyu nahi karni, aakhir kis baat ka dar hai tujhe. Jab tujhe us se pyaar nahi hai to un dono ladko ko kyu maara tune.
Sunny use unchi awaaz mai kehta hai.
Aarav: dar hai Sunny, aur ye tujhe bhi achhe se pata hai.
Sunny: to tu maanta hai ki tu Anu se pyaar karta hai.
Sunny use dekhkar kehta hai.
Aarav: ha karta hu bahut jyada pyaar karta hu. Jabse mene use pehli baar dekha tha tabse hi mere dil mai uske liye feelings aane lagi thi. Lekin m pyaar karne se darta hu Sunny..
Aarav kursi par jese deh sa jaate hue bola.
Sunny: aarav mere bhai pyaar karne se dil toota nahi karte balki juda karte hai.
Aarav: lekin mene dil toot te hue bhi dekhe hai bhai. Sunny m darta hu kyonki m nahi chahta ki jo chacha ji ne kiya wo mere saath bhi ho. M apne dadaji ko jara sa bhi dukh nahi pahunchana chahta.
Aarav ye kehte hue bahut bhawuk ho gaya tha.
Sunny: bhai tu itna aage ka kyu soch raha hai.
Aarav: sochna padta hai bhai, m in sab chakkro se ab tak is liye bachta raha hu ki kahi m kise se jyada attach ho gaya to phir kya hoga. Agar dadaji, mummy papa ne hamare riste ko accept nahi kiya to .. kya m phir use bhool paunga... nahi Sunny m is maamle mai bahut sensitive hu.
Sunny: yr tujhe pata to hai ki hamari family hamse kitna pyaar karti hai, hamari khushi mai hi unki khushi hai.
Sunny use samjhaane ki puri kosis kar raha tha.
Aarav: mujhe pata hai yr, lekin mujhe dar lagta hai ki kahi m pyaar ki wajah se bhatak gaya to.
Sunny: kuch nahi hoga yr, aur kya tujhe ye achha lagta hai ki teri wajah se ek ladki ne apna sab kuch daanv par laga diya hai.
Sunny Anu ki baat karte hue bola.
Aarav: nahi achha lag raha hai yr, tabhi ro mere dil mai bhi uske liye pyaar har pal badhta hi jaa raha hai.
Sunny: to phir use kehta kyu nahi, mere bhai ek baar use bolkar to dekh, mujhe poora yakeen hai wo tera puri life saath degi.
Sunny use shayad convince kar chuka tha.
Aarav: theek hai m us se baat karunga.
Aarav kuch der baad sochkar kehta hai.
Sunny: kab..
Sunny excite hokar kehta hai.
Aarav: kal college mai.
Sunny: college mai nahi, waha to bheedbhaad jyada hoti hai.
Aarav: to phir.......
Lekin kya ye rishta sach me judega ya phir aur bhi jyada tut jayega.
Mast update h bhai. Lekin intezar bhi kraya apne update ke liye.
Waiting for next update.